- 79,634
- 117,553
- 354
भगवान कसम , ये सब पढ़ते ही मेरे आंखो मे आँसू आ गए। मै बार बार इस फोरम पर लोगो को समझाने का प्रयास करता हूं कि आत्महत्या किसी भी प्रॉब्लम का समाधान नही हो सकता। उस लड़की ने भी वही गलत किया जो सालों पहले मेरी एक बहन ने किया था। भगवान उनकी आत्मा को शांति और मोक्ष प्रदान करे।
शुभम भाई , आप तो अभी नौजवान है जबकि मै पचास से भी अधिक हूं। आपने वह सब दुख नही झेला होगा जो उम्र के इस पड़ाव पर भी मै भोगते आ रहा हूं। कभी ढंग से सुख पाया ही नही। शायद आप मेरी जगह होते तो अब तक न जाने कितनी बार मरने की बात कह रहे होते।
इस विषय पर कभी जरूर बात करेंगे जब या तो हम दोनो एक दूसरे के सामने खड़े होंगे या किसी और माध्यम से हम अपनी बात शेयर कर सकेंगे।
हमारे रिव्यू पर आप के दिए गए कमेंट्स से मुझे लग गया था कि आप कुछ प्राब्लम मे है। और इसीलिए आपके कमेंट पर मैने कभो सवाल नही किया।
वो लड़की चली गई लेकिन इस की वजह आप नही थे। उसकी अपनी कुछ सेन्टिमेंटल इशू होंगी। इसके लिए आप खुद को दोषी न मानना।
आप के दिल की बात मै अच्छी तरह समझ रहा हूं लेकिन यही तो जीवन है। महीने मे सिर्फ चार दिन ही खुशी के होते है बाकी सब दुख के।
प्रभु की इच्छा सर माथे पर। चाहे जो कुछ भी हो।
Hamare yaha kisi ko ye nahi bataya gaya tha ki us ladki ko bhautik baadha wali pareshaniya bhi hain. Jab ye haadsa ho gaya tab ye sab baate pata chali ki use asal me bhautik baadha wali samasya thi. Uske Ghar walo ko bataya bhi gaya tha ki navratra ke dino me uska dhyaan rakhe aur use akela na chhode. Well niyati ke aage kisi ka zor nahi chalta. Vinash kaale vipreet buddhi wali baat hai....kya kahoon......... shabd hi kahe ja sakte hain......... lekin man ke bhav sirf mahsoos kiye ja sakte hain...... kewal apne man ke
main aapki manosthiti samajh raha hoon........ kyonki main in paristhitiyon se gujar chuka hoon.........
unki mrityu aur shadi na ho pane ke dukh se bhi bada jo bojh apke man par hai, jo antardwand, jo chhatpatahat, jo bechaini aur atmglani bhi.....
wo kewal isliye hai ki itne kareeb aakar, rishte ki dor mein bandhne se pahle unhone aisa kadam utha liya..... kyon, ye apko nahin pata.... kahin na kahin man swayam hi atm-vishleshan karne lagta hai........... tarah tarah ki atkalein, karan dhoondhne lagta hai................
lekin............ kuchh nahin raha ab wahan.......... jo tha chala gaya.......... ab kaaran koi bhi ho........... nivaran koi bhi nahin hai........ aage badhne ke sivay
Hamare bich sab kuch thik tha. Raat ko 2 baje tak hasi Khushi hamari baate huyi thi, yaha tak ki subah 7:35 par har roj ki tarah usne Good morning msg kar ke wish bhi Kiya tha mujhe. Na main aur na hi uske ghar wale ye kalpana kar sakte the ki subah 10 baje itna bada kaand ho jayega. Din bhar main apni duty par raha. Mere alawa mere ghar me sabko pata chal gaya tha ki usne khudkushi kar ke apna jeewan samaapt kar liya hai. Mujhe to teesre din pata chala wo bhi kahi aur se. Do din main pareshaan raha ki aakhir uska koi msg koi call kyo nahi aaya aur jab sach pata chala to pairo tale se zameen hi khisak gayi. Mujhe yakeen nahi ho raha tha ki ab wo nahi rahi. Khair jeewan me is tarah ka bhi ek dard aur anubhav milna likha tha to mil gaya. Zahen me bas ek hi sawaal hai ki aakhir kyo hua aisa?????
Last edited: