Aap se bara hone ke nate etana hi kahunga wakt thik hi hota hai hamari peristhitiya anukul aur pratikul hoti hai. mitra jivan ki yehi khubsurati hai pratikul paristhitiya sadaiv nahi rahegi aur vaise hi aukul paristhiti bhi. isi jivan ke utar chadav main hamain hamari sari jimmevariyo ka narvahan karna hai. isiliye mitra jivan ke prati aashanvit rahain. yadi per mai kate hai to phool bhi avasya lagengi. aur keval phool ko hi kyo dekhana. hamain to uski hari patiyo ko bhi sanjona chahiye. phool to sal main do char bar lagenge par ye patiya sadaiv rahangi.Sab kuch hamare chaahne se kaha hota hai mitra. Agar hota to shayad duniya me kisi ko kisi bhi tarah ka dukh na hota. Main sirf lekhak hi bas nahi hu balki main bhi aap sabki tarah ek reader hu. Mujhe bhi ye dekh kar takleef hoti hai ki mera koi favourite writer apni story ko aage kyo nahi badha raha...Like Sanju bhaiya aur Kamdev bhaiya. In dono ne apni story ko jane kab se pause kar rakha hai. Par main samajhta hu ki unki bhi apni koi vajah zarur hai. Wo likhne se kahi zyada padhne ko importance dete hain. Khair....itna hi kahuga ki ab koi bhi new story tab tak nahi likhuga jab tak ki meri incomplete stories complete nahi ho jaati. Sabse yahi kahuga ki mere liye dua kijiye ki mera wakt achha rahe aur beraham wakt mera sath de....mera jeewan itna to sahaj ho ki sab kuch apne wakt par kar saku.
SADHUVAAD