Woah waqt aa jata hai jab party ke function chalu ho jata hai aur mehmaan ane chalu ho jate hai.
Mahesh:Mehmaan,ana chalu ho gaye hai,shehzaade sahab kahan hai,jiske liye party rakhi hai wahi gayab hai.
Mansi:Taiyaar ho raha hoga ata hoga,time toh lagta hai sab chiz mai.
Mahesh,Mansi aapas mai baat kar rahe the toh piche se aawaaz ati hai,”Saxena sahab aaj humari yaad aa hi gayi mujhe laga tum hume bhul hi gaye ho”yeah aawaaz koi aur nahi roy industries ke malik Varun Roy ki thi jo apne biwi ke sath aye the.
Roy Industries hai bahut badi top leading company mai se ek jiska dekh rekh Varun aur in ka beta Puneet roy karta hai jo Varun roy ka beta hai,kaam ki wajih se puneet bhi function mai nahi aya hai.
Varun Roy ki wife ka naam Reena Roy hai inki ek beti hai jiska naam Varsha Roy hai abhi woah function mai nahi ayi hai.
(Varun and Mahesh bahut purani dosti hai,Duniya idhar se udhar ho jaye inki dosti ki neev kabhi tuti nahi inki dosti ko Jai Veeru ka naam bhi diya jata hai)
Mahesh:Kaisi baat kar raha hai yaar tujhe bhul jaun aise ho sakta hai kya,duniya idhar se udhar ho jaye tujhe kabhi nahi bhulunga.
Varun:Sale budha ho gaya lekin hoshiyari karni nahi chora,ab toh sudhar ja do bachona ka baap hai,Dada ban gaya hai phir bhi masti karna nahi chorta.
Mahesh:Jaise tu bahut sudhar gaya na,mujhe bata raha hai,abhi wahi akad hai jitna jawani ke time tha.
Mansi:tum dono wapas se chalu ho gaye,kabhi jagah dekh kar chalu ho jaya karo.
Varun:Bhabhi,isse samjhaiye jab dekho,ulti sulti harkat karta rehta hai.
Mahesh:Isse dekho,ate hi chalu ho gaya.
Reena:Choro inhe,inka toh roz ka hai,inhe akela chor dete hai,mai apke kaam mai madat karti hun.
Mansi:Haan,chalo chalo.
Reena mansi chali jati hai,phir ek awaaz ati hai”Dono business ke diggaz idhar hi mil gaye,aap log se milne ke liye kab se bekraar tha” yeah awaaz koi aur nahi inke dushman Anant mittal ka tha jo apni beti rihana mittal ke sath aye the.
Varun mahesh ke kaan mai:Abey sale isko kisne bola tha bulane ko pura mood kharab kar diya.
Mahesh:Mere bete ne mittal industries ki neev hilakr rakhi hai,aj itna bada din hai uske dushman ko bhi pata chalna chahiye,uske takkar ka koi khada hai.
Varun:tu bhi na,kabhi kabhi rakhta hai tu hi apne bete ka dushman hai.
Dono ka fusar fusar sunkar Anant bolta hai
Anant:Kya baat kar rahe hai dono,jara mai bhi sunu,Hum bhi apke dost jaise hai.
Varun:Kuch nahi aise hi baat kar rahe the,bolo anant kaise ana hua.
Mahesh:Excuse me,mai bake mehmano ko dekhkar ata hun aisa bolkar Mahesh varun ko anant ke pass chorkar baki mehmano se milne chala jata hai.
Varun man mai:Mahesh tujhe baad mai dekhta hun,fasa diya mujhe.
Anant:Kya roy sahab apko in gawar saxena mai kya dikh gaya,apne inke sath partnership kiya hum kya mar gye the,hume mauka diye hote hum apke tarakki par chand chand laga diye hote.
Varun: Dekho mittal,yeah faisla puneet ka the isme mujhe tum mat ghasito toh acha hoga,mere bete ka faisla mera faisla hai,chalo mujhe kuch kaam hai mai ata hun.
Varun wahan se chala jata hai
Anant apni beti rihana se iski akad ko ek din niche lana hoga bahut akad hai iske andar.
Rihana: Dad,apne husn ka jadoo iske bete par chalun kya,dekhna kaise apne kadamo mai ata hai.
Anant:Tum pahile adi par concentrate karo,sala woah fas gaya na,roy aur saxena dono mere kadamo mai.
Rihana:Apne bola,yeah kaam ho gaya.
Anant:Tumse yehi umeed hai beta,sala woah nalayak tumhara bhai pata nahi kahan mar gaya use ek kaam diya tha varsha ko fasane ka lekin woah bhi dhang se nahi kar paya,idhar ane ko bola uske liye bhi mana kar diya.Sala varsha ko fasa diya hota roy industry mere kadmo mai hoti.
Rihana:Tension mat lo dad,husn ka jaam saap ke jeher se jyada khatarnak hota hai yeah bolkar dono baap beti hansne lag jate hai.
Upar se ek pyara couple apni beti ke sath niche utarta hai woah koi nahi Ansh,Priya and unki pyari beti ananya thi.
Inlog itne pyare lag rahe the mehmano ka nazar inse hat nahi rahi thi.
Ansh priya ke kana mai:Tum aj bilkul apsara lag rahi ho,kahi tumhe meri nazar na lag jaye.
Priya ansh ki baat sunkar laal ho jati hai:Priya aap bhi bahut handsome lag rahe hai aaj.
Ansh:Haaye mai satke jawa,dil mera garden garden ho gaya.
Priya:Chup kariye kahi bhi chalu ho jate hai.jagah toh dekh liya kariye.
Ansh:Mohabaat ke liye jagah nahi dekhi jati hai,ho jati hai,duniya ke samne izhaar karne mai kaisi sharam
Priya:Aap bhi na,aisi bolkar apni princess ananya ke sath chali jati hai.
Ansh:arey suno,par woah mehmano se milne chali jati hai,ansh bhi mehmano mai busy ho jata hai.
Mehmano mai ek shakhs aur aya tha Dilip saxena and Annu saxena jo adi ke mama mami hai lekin adi ko pasand nahi karte,adi se bahut nafrat karte hai.
Priya unlog ko dekhti hai mansi se kehti hai:Apne inhe bhi bulaya hai apko pata hai na,yeah log party enjoy karne ke jagah tamasha karte hai.Adi se kitna nafrat karte hai yeah log.
Mansi:Jaise bhi hai toh apne parivaar,hum inse kaise muh fer sakte hai.
Priya:Kaisa parivaar jo adi ko bachpan mai anath chor diya,aap log nahi aaj woah kahan jata,woah log humesh hi adi ko nicha dikhaya hai phir bhi.
Mansi:Priya beta shant ho jao khushi ke palo ko aisa vyarth mat karo,chalo inka swagat karne jate hai.
Priya fiki man se Mansi ke sath jati hai.
Mansi:Aiye,bhaiya bhabhi,aap hi ka intezaar kar rahe,aap hi reh gaye the party mai ane ka
Dilip:Woah kya tha humara man nahi tha,kisi guttar ke nali par apne samay vyarth karna tumne pyaar se bulaya toh ana pad gaya.
Mansi ko yeah baat sunkar bahut bura laga kuch boli nahi priya apne man mai”nahi aye hote kisne bola ane ko.
Annu:Tum bhi na mansi,kisi guttar ke liye itna tam jam kar rahi ho,guttar ka nali hai ek din das lega tumhe.
Is baar mansi ko gussa aa gaya.
Mansi:Bhabhi,woah koi guttar nahi mera beta hai,jo kuch humare pass hai uske mehnat se hai,aap agar pyar nahi de sakte aap beizatti bhi mat kariye.
Mahesh baton ko garam hota dekh aa jata hai
Mahesh:Bhaiya bhabhi,chalo apko baki mehmano se milata hun,aur unhe le jata hai.
Priya:Mummyji aap kuch bol rahe the,apko gussa kaise aa gaya?
Mansi:Tu chup reh,mere bete ke bare mai koi ulta sulta bolega sun ke lungi kya bhale hi woah koi bhi ho.
Priya yeah bat sunkar muskura deti hai.
Mansi:Muskura mat chalo baki mehmano ko dekhte hai
Dono chale jate hai.
Upar ek ladka ate ek dum prince jaisa laga raha tha,ankhon ki chamak chehre ki muskurat kisi ko bhi ghayal kar de woah koi nahi Adi utarkar aa raha tha.
Aj ke liye itna guys i hope apko update acha laga hoga, apna likes and reviews jamkar dena.