Adi Mehra seediyon se utarkar aa raha tha,jitne mehmaan aye the sab adi ke deewane ho gye the,khaskar ladkiyan jo use dekhkar pagal hi ho gye the.
Ansh:Aj bhi waise hi chamak hai jaise pahile huya karti thi,chehre ki muskurahat toh dekho,ladkiyan kaise uske aage piche mandarah rahi hai.
Priya :Mera bhai kisi se kam hai kya,aj bhi chahe itne ladkiyan uske liye line lagane ko taiyaar hai.
Ansh haste huve:Par hamara adi ab kisi ke hath nahi ayega,bal brahmachari jo ban chuka hai.
Priya:Sab prachi ki wajah se adi ki jindagi mai ayi adi ko jindagi ka sikh dekar hum sab se dur chali gayi.(aisa bolkar priya ke ankh mai anshu aa gaye)
Ansh:Priya,prachi ki kami hum kabhi pura nahi kar sakte aur uski kami humesha khalti rahegi lekin is khushi ke pal mai use khush rehkar yaad karna chahiye aisa udas hokar nahi,is samay hume adi ki shakti banna hai kamjori nahi,bhul gayi humne prachi se kya wada kiya tha.
Priya:Sorry,bhul gayi thi,agli baar se dhyan rakhungi.(apne chere ka anshu pochti hai khush hokar adi ka swagat karne jati hai)
Mahesh:Mansi,mera bacha rajkumar lag raha hai,kisi bhi hero ko mat de sakta hai.
Mansi:Mere bache par nazar na lagaiye,kitne dinon baad toh khush hai mera bacha,apki nazar se sab kharab ho jayega.
Mahesh:tum bhi kaisi baat karti ho mansi,koi baap apne bache par nazar lagayega,tum bhi na kuch bhi sochti ho,tum mujhe bol rahi ho woah dekho anant ki beti rihana kaise ghur rahi hai humare adi jaise kha jayegi.
Mansi:Nahi,Nahi yeah chudail ko apne bete ke pass bhatakne nahi dungi,apki galti hai kyu bulaya use humare khushiyon ko barbaad karne.
Mahesh:Woah kya hai,dushmano ko chidane mai maza ata hai,unhe bhi pata chalna chahiye samne jo sakhs khada woah inke haar ka karan hai.
Mansi:Ek din,apki isi harqat ki wajih se adi ko kuch hua na apko jinda nahi chorungi,pata hone ke baad bhi aap aisi harqat karte hai.
Mahesh:Mahesh saxena jab tak jinda hai use kuch nahi hone dunga tum faltu mai tension leti ho,apna sada sa muh thik karo aur chalo adi aa raha uske swagat ke liye jate hai aj uska bahut bada din hai.
Mansi:Hmm,chalo
Adi jaise hi niche ata hai samne se choti bachi bhagte adi ke pass aa rahi thi woah koi nahi ananya thi.
Ananya:chachu godi.
Adi use pyaar se utha leta hai usko lekar mansi,mahesh,priya,ansh ke pass chala jata hai jo adi ke swagat ke liye khade the.
Mahesh:Tumhara hi sab rah dekh rahe the beta chalo manch par,duniya ke samne tumhari jeet ki tarif karni hai.
Adi:Mausa,iski kya jarurat hai,hum toh aise hi jashn bana sakte hai na,duniya ke samne dikhava karna jaruri hai.
Mansi adi ka hath pakadte huvye:Beta,yeah dikhava nahi hai,tumne itni badi jeet hasil ki hai,Duniya ko pata chalna chahiye tumne kya hasil kiya hai beta,isme koi sharam ki baat nahi hai
Adi:Mausi par
Mansi:Par war kuch nahi chalo manch par,tumhara man nahi hai humare liye chal lo,kya tum hume bhi apni khushiyan manane se rokoge rone ka natak karte huye.
Adi:Nahi mausi,aap jaisi chahengi waisa hi hoga.
Priya:Anu chalo chacha ko choro,woah manch par ja rahe hai na,phir aa jana.
Ananya adi ka shirt kas kar pakadkar:Nahi anu nahi choregi chacha ke sath jayegi.
Priya:Anu jidd nahi karte
Adi bich mai baat kathte huye:Rehne dijiye bhabhi koi dikkat nahi hai anu mere god mai khush hai toh use khush rehne dijiye.
Priya:thik hai jaisi tumhari marzi.
Mansi adi ka hath pakadkar manch ki aur jane lagti hai,tabhi piche mudkar mahesh ko ankh marti hai.
Mahesh Ghabrakar apne bete ansh par:Puri nautanki hai tumhari maa,bichara humara adi humesha inke jaal mai fas jata hai.
Ansh haskar:Jaise aap fas gye the bolkar hansne lagta hai
Mahesh:Chupkar,nalayak bache paida kiya hai maine sharam hi nahi,kuch bhi bolta hai.
Ansh:Aap hi ka beta hun dad,dna ka asar hai.
Mansi Piche mudkar:Apko nahi chalna,mai jakar bolu
Mahesh Ghabrakar:Nahi Nahi aa raha hun,tujhe toh bad mai dekhta hun ansh,aise bolkar jane lagte hai.
Ansh smile karte huye:All the best Dad.
Mahesh,Mansi,Adi anu ko god mai lekar manch par chale jate hai.
Mahesh mike lekar:Ladies and gentlemen,jaise apko pata lag hi gaya hoga aj humne kis khushi mai party rakhi hai,phir bhi jisko nahi pata unhe bata deta hun aj mera beta adi itna bada tender hasil kiya us khushi mai maine aj party rakhi hai,aap log ko pata hi hoga kuch saal pahile hum diwaliya hone wale the,tab mere bete adi ne saxena industries mai kadam rakha tab se abhi tak saxena industries taraki kar rahi hai.
Sab log mahesh ki baat sunkar jor jor se taliyan bajane lagte hai.
Baad mai mansi mike lekar:Ladies and Gentlemen hum bas itna chahte hai aap yeah party enjoy kariye aur mere bete ko ashirwaad aur pyaar dete rahiye jisse ki woah aur kamyabi hasil kare.
Mahesh aur mansi adi ki tarifo ki pul band rahe the sab jor jor se taliyan baja rahe the
Priya:Ansh,humara adi kitna khush hai na,uske sath humari bachi apna chacha ki kamyabi par kitni chehek rahi hai use toh pata hi nahi use chacha ne kya hasil kiya hai,bas logon ki taliyon ki awaaz sunkar khush ho ja rahi hai.
Ansh:Priya,bache nandan hi hote hai unhe duniya se koi lena dena nahi woah toh sirf itna hi chahte hai uske apne uske sath rahe unke khushi mai khush ho jate hai jaise humari bachi Anu.
Priya:Hmm tum sahi keh rahe ho,bolkar adi aur anu ko dekhne lagti hai aur khush hone lagti hai
Ansh ko tabhi call ata hai jab dekhta hai usme kisi ka number hai toh priya se kaan mai urgent bolkar chala jata hai.
Priya wahi akeli khadi hokar adi aur anu ko khush hote huye dekhti hai jo char ankhen yeah sab dekh rahi thi unhe mauka mil gaya priya se baat karne adi ke khilaf bhadkane ka woah koi nahi adi ke mama mami yani(Dilip aur Annu the)
[dekho guys confuse mat hona idar do annu hai Adi ke gharwale ananya ko pyar se annu bulate hai adi ki mami ka naam annu hi hai]
Dilip: Dekha annu,kaise humari ful si bachi ka koi dhyan hi nahi de raha,kaise akeli khadi,manch ko dekh rahi hai,yeah bhi koi use khushi mai shamil kar le,bas aise hi tanha akela chor diya.
Annu:Haan,Guttar ko dekho iski bachi ko bhi sath le gaya,yeah bhi nahi pucha iska maa ka kya haal hoga,aj is guttar ki nali ne iski bachi liya kal isko ghar se bahar kar dega.
Dilip:Beta,tum fikar mat karo,humare rehte huye,yeah guttar ka nali kuch nahi kar payega,tum humari ghar ki bahu jaisi ho pura khyal rakhenge tumhara aur tumhe property dilane mai madat karenge.
Priya jo kabse inki batein sunkar apna gussa shant karne ki koshish kar rahi thi lekin last mai priya ka gussa fut gaya inpar.
Priya apni laal ankh se:Mama,Mami aap shikayenge adi kaisa insaan hai,Jo khud apni behen ka bhai nahi ban saka unke marte hi unke bete ko anath chor diya yeah bhi nahi pucha kaise jiyega,bas tana mar diya woah gutter hai,Gutter tum log ho jo bhaiya aur bhabhi ka farz na nibha sake.Kya bola woah dekh rahe ho meri beti ko kitni khush hai use pata woah jin hatho ne use thama hai woah kitna safe hai.Aur haan Adi mujhe bhabhi bolta hai har saal use mai rakhi bandhti hun meri ek baat adi ne kabhi nahi tali usne har farz nishta se nibhaya hai musibat mai parivaar ke sath khada raha tumhari tarah nahi musibat ayi hath piche kar lo,guttar mera adi nahi tum log ho,agar agli bar adi ko kuch bola bhul jaungi aap humare parivaar ke kuch ho samjhe,abhi izzat bachi hai to nikal jao warna aur beizatti karwana hai.
Priya unhe jawab dekar manch ki aur chali jati hai
Dilip:Ek din tume is beizatti ka jawab dena padega priya.
Annu:Humara bhi waqt ayega abhi inhe khushiyan banane do
Dilip:Hmm
Dilip aur annu wahan se gusse mai chale jate hai.....