bhattaraiashal
Live life king size
- 39
- 30
- 18
Bha
Jab shaam ko Ansh hospital se aata hai,samne dekhta ghar mai taiyairi chalu thi jo mansi aur priya milkar kar rahe the,andar jakar apni maa mansi se puchta hai
Ansh:Yeah sab taiyairi kis chiz ke liye ho rahi hai maa,aj ghar mai koi mehmaan ane wale hai
Mansi:Beta,adi ne project hasil ki hai us khushi mai tumhare papa ne Function rakha hai,jao tum bhi taiyaar ho jao jyada time nahi hain function ke liye mehmaan ane ka time ho gaya hai.
Ansh:Chalo acha hai,papa ne kuch toh acha kaam kiya,warna humesha hi ulta sulta kaam karte rehte hai.
Mahesh piche se ate hue:Janab aap kuch keh reh the mere bare mai,jara khul ke bolenge kya burai kar rahe ho meri.
Ansh:Nahi Nahi maine kuch nahi bola mai toh apki tarif kar raha hun,aap humesha ache kaam karte hai,aap kitne ache hai aage bolta use pahile
Mahesh:Jyada makhan mat laga samjha sab samjta hun teri nautanki tum maa bete milkar humesha meri burai karte rehte hai ek meri bahu hai prachi jo humesha meri side leti hai ek tum dono humesha meri tangein khichte rehte ho.
Priya bolte hue:Haan apne sahi kaha,humesha burai karte hai apki,apki tangein khichte hai,aap log ko pata hai na thore pagal hai,har kaam ulta sulta karte hai kyu inhe sata rahe ho aap log pitaji abhi aap ko koi kuch nahi bolega.
Mahesh:Tum hi meri pyari bachi ho baki sab nautanki karte hai,mahesh ki baat sunkar sab andar hi andar muskura dete hai jab mahesh ko yaad ata hai priya ne kya bola
Mahesh:Priyaa,tum bhi inke sath milkar chalu ho gayi,mahesh ki baat sunkar sab jor jor se hansne lag jate hai,mahesh bhi un log ke sath hasne lag jata hai.
Ansh:Maa,Papa aj kitne time baad hum aisa khulkar hase hai,warna waqt ne humare ghar ki khushiyan chin liya tha.
Priya:Aj ghar mai khushiyan hai aise samay mai aisi baat nahi karte ansh,kitne time baad humare ghar mai khushiyaan ayi hai use khulkar celebrate karte hai.
Ansh:Tum thik kehti ho,jiske liye aap log ne funtion rakha hai woah maharaj kaha hai,aya bhi hai ki nahi
Mansi:Aya hai upar apne kamre tumhari beti ke sath khel raha hai,jao mil lo adi se
Ansh:Sahi mai,sach mai aya hai,aisa bolkar bhagkar adi se milne uske kamre mai jata hai,priya bhi ansh ke piche chal deti hai
Mansi:Aise hi humare bache humesha khush rahe,humari khushiyan ko ab kisi ko nazar na lage.
Mahesh:Nahi lagegi bhagyawan,mujhe unpar pura bharosa hai
Aapas mai baat kar ke mahesh aur mansi kaam mai lag jate hai.
Ansh jab adi ke kamre mai use dekhne jata hai adi ananya ko guitar chalana sikha raha tha,ananya bahut dhyan se guitar sikh rahi thi,waise toh bachi thi kuch pata toh nahi tha bas adi ke sath guitar par ungli chala rahi thi aur anand le rahi thi.Ansh yeah sab chupke se dekh raha tha.Ansh ke piche priya khadi thi woah bhi Ansh ke sath yeah khubsurat nazare ka anand le rahi thi.
Adi ki nazar Ansh ke upar jati hai Ansh chupane ki koshish karta hai lekin adi pehchan leta hai
Adi:Bhaiya,Andar Aa jaiye chupane ki jarurat nahi hai,maine apko dekh liya hai,Ansh aur Priya andar ate hue,Ananya apne papa ko dekhkar chehek uththi hai,Bhagkar unke godi mai jati hai.
Ansh:Haaye,mera bacha chacha ke sath guitar bajana sikh rahi thi.
Adi:Haan,dekhna ek din mere se bhi achi guitarist banegi apko uspar bahut proud hoga.
Adi ki baat sunkar ananya khush ho jati hai aur garden haan mai mila deti hai
Priya:Mujhe pata meri pyari si ladli bahut naam kamayegi,jab uska chacha jo apne time ka itna acha kalakar se sikh rahi hai,toh puri duniya mai naam kamayegi hi.
Adi:Bhabhi,kuch bhi mai kahan itna acha tha mai to bas bol kar ruk jata hai,chalo aap batao kis liye ana hua.
Ansh:Annu kya tum bahar khelne jaogi,tumhare dada dadi tumhare sath khelne ke liye intezaar kar rahe hai,Mujhe aur tumhari mummy ko chacha se kuch baat karni hai
Ananya kuch nahi bolti,haan mai gardan hila deti hai aur adi se gale lagkar bolti hai
Ananya:Annu ja rahi dad dadi ke sath khelne,adi ko puppy dekar chali jati hai
Adi:Kitni pyari bachi hai,bilkul aap dono par gyi hai,boliye kya baat karni thi aap logo ko merese
Ansh:Aj tereko Ghar mai jaldi dekha soch liya mil lun terese,tumhare darshan kabhi kabhi hote hai hume,darshan lene ana padega na.
Adi:Kuch bhi bhaiya,subah subah apse milte huye jata hi hun,phir bhi aap aise bol rahe hai.
Ansh:Priya,jara bolna inhe ek mahine se woah bhi naseeb mai kahan hai,tumhari shakal dekhne mil jaye,jaldi office jane ghar late ana yehi chal raha tumhara.
Adi:Bhaiya project mai busy ho gya tha,chalo choro abhi toh mai hun na bataiye kya karna hai mujhe yeah sevak ap ki khidmat karne ke liye humesh taiyaar rahega.
Ansh:Baat ko badal mat,tujhe bhi pata hai,hume kya chahiye,bas teri khushiyan hi toh chahte hai woah bhi sochna galat baat hai kya,apne kya halat bana li hai tune.
Adi:Mai bahut khush hun,yakin maniye mujhe koi taklif nahi hai,aap log meri fikar nahi kiya kariye,mujhe kuch nahi hoga kabhi.
Priya Adi ke pass baith te hue:Adi,shahyad tumhe lagta hai hume kuch pata nahi chalte,hume sab pata hai,tumhare dard hum mehsoos kar sakte hai,par aage nikalna hoga na,bhulana padega woah sab,kab tak tum woah sab yaad karke apne apko saza dete rahoge adi.
Adi kuch nahi bolta bas shant rehta hai aur uske ankh se pani aa jata hai.priya adi ke ankh se anshu pochte huye bolti hai:
Priya:Prachi,meri bhi bahut achi dost thi,dost kam behen jyada thi,tumhara dard mujhse jyada nahi ho sakta na,phir bhi mai ji rahi hun na use yaad karke, Uski yadein humesha humare dil mai rahegi,tum bhul rahe ho adi upar se woah tumhe is halat mai dekhegi use bhi dard hoga.
Priya Ansh ke sath bahar jati hai palatkar bolti hai
Priya:Aj party hai adi ,umeed karti hun tum khush hokar pahile wala adi bankar aaoge.
Aisa bolkar ansh aur priya chale jae hai chor jate hai khamoshiyan.
Ansh:umeed karta hun sudhar jayega.
Priya:Ansh,ghav itni jaldi nahi bharenge,kam jarur honge.
Aj ke liye itna guys i hope apko update acha laga hoga, apna likes and reviews jamkar dena.
Bhai update mast hai. Lekin next update kab aayega . Waiting for the update bro.