Dhakad boy
Active Member
- 1,178
- 1,796
- 143
Bhut hi jabardast updateUPDATE 29
Ananya ki aankhein phat gayi. Yeh jo saamne tha, yeh Dev toh nahi lag raha tha. Uski aankhon ka woh gehra dard, woh insaniyat… sab kuch gayab tha. Jaise koi aur cheez uske andar jag chuki ho.
Aditya ke haathon se taser gun girte girte bachi. Usne apne guards ki taraf dekha—jo bhi bacha tha, woh ek second ke liye bhi Dev ke kareeb jaane ki himmat nahi kar raha tha.
"Yeh… yeh kya ho raha hai?" Aditya ki awaaz thodi kanp gayi. Usne kabhi socha bhi nahi tha ki Code X iss tareeke se activate hoga.
Dev ne apna haath dheere se neeche kiya. Uske haath se ek guard ka nikal chuka dil zameen par tapak gaya, ek gande, bheege hue sponge ki tarah.
Aur phir, Dev ne apni ungli uthai.
Ek second ke liye sab kuch slow ho gaya.
Ananya ka dil zor se dhadak raha tha. Uska intuition keh raha tha ki kuch bada hone wala hai. Jaise hi Dev ne ungli uthai, room ke sabhi electronic devices glitch hone lage. Screens par distortions aane lage, cameras ek ke baad ek fuse hone lage.
Aditya peeche hata, lekin tab tak bohot der ho chuki thi.
Dev ka sharir ek ajeeb tareeke se move kar raha tha—jaise koi glitch ho raha ho, jaise uski har ek harqat human speed se kai zyada tez ho gayi ho.
Aur phir…
“EXTERMINATE.”
Yeh ek robotic awaaz thi. Yeh Dev ki awaaz toh thi, par usme koi aur hi energy thi—koi aur hi cheez bol rahi thi.
Ek second ke andar Dev ka haath aage badha, aur ek guard ka sir ek jhatke me ulta ho gaya. Haddi ke tootne ki awaaz room me goonj gayi. Khoon ki ek patli dhar neeche girne lagi.
Aditya ne turant apne guards ko signal mic se diya—“MARO ISSE! ABHI KE ABHI!”
Lekin jo hua, usne sabko shock kar diya.
Jis bhi guard ne goli chalane ki koshish ki, uska haath uske control me nahi raha. Unki ungliyan freeze ho gayi. Weapons ek ek karke neeche girne lage.
"Yeh kya ho raha hai??" ek guard cheekha, lekin agle pal uske gale se ek tez awaaz nikli, jaise kisi ne uska windpipe tod diya ho.
TAP! TAP! TAP!
Dev ek hi second me har jagah tha. Kabhi ek guard ke saamne, kabhi doosre ke peechhe. Koi bhi samajh nahi paa raha tha ki woh kis speed se move kar raha tha.
Ek guard ne bhaag ne ki koshish ki, lekin jaise hi usne darwaza khola—Dev uske samne tha.
Ek second.
Bas ek second.
Aur uske seene me ek bada suraakh ho chuka tha.
Aur ek tezz si awwaz hui adity jiss room me thaa waha kaa gate toot gaya aur bhaar dev kadha thaa
Aditya ke pair lachakne lage. Usne apni taser gun uthai, aur seedha Dev ke chest pe chala di.
“ZZZZT!”
Bijli ki ek tez lahar Dev ke sharir me daudi.
Aur phir… kuch bhi nahi hua.
Dev ek inch bhi nahi hila.
Aditya ki aankhon me dar clearly dikh raha tha.
Dev dheere se aage badha. Uske chehre par koi emotion nahi tha—na gussa, na sukoon. Bas ek sannata....
Aur tabhi…
Ek second me Dev ne Aditya ke gala pakda, aur usko hawa me utha diya.
Aditya haath pair maarne laga, uska saans ruk raha tha.
Aditya ki aankhon me maut nazar aane lagi
Aur woh beshosh ho gaya
Aur phir…
Dev ki aankhon ka rang badalne laga.
Ek ajeeb si black liquid uski aankhon se bahar aane lagi.
Ananya ab aur bhi zyada shock me thi. Yeh… yeh kya ho raha thaBhnanya ki saansein tez ho rahi thi. Uski aankhon ke saamne jo ho raha tha, woh ek nightmare jaisa lag raha tha. Dev… ya jo bhi ab uske andar tha, uska roop badal chuka tha. Woh insaan nahi lag raha tha.
Lekin Ananya ne apne darr ko peecha chhoda.
Uske dimaag me ek hi cheez chal rahi thi—Code X ko deactivate karna hoga!
Usne zor se ek gehri saans li, aur ek kadam aage badhkar cheekhi—
"CODE X DEACTIVATED!"
Ek pal ke liye sab kuch rukh gaya.
Dev ki aankhon ka woh kala liquid ek jhatke me hilne laga. Jaise hi Ananya ke shabdon ki goonj us tak pahunchi, uska pura sharir ek second ke liye vibrate hua, jaise koi circuit overload ho raha ho.
Aur phir…
"SYSTEM… SHUTTING… DOWN…"
Dev ka body jhatke se dheela pad gaya. Uski pakad Aditya ke gale se chhut gayi, aur Aditya neeche zameen par dhad se gir gaya. Uski aankhein phat chuki thi, par abhi tak woh hosh me tha.
Ananya ne dekha—Dev ab wahin zameen par girne wala tha.
"Nahi!"
Woh bijli ki tarah aage badhi aur Dev ko apne kandhe par uthaya.
Halki si muskurahat uske hothon par aa gayi.
"Itna bhaari lag rahe rhe phele par abb Dev… tum toh sach me ek flower jaisa halke ho gaye ho "
Lekin yeh mazaak ka waqt nahi tha. Ananya ne apne aas paas dekha—kahi bhi guards hosh me aa sakte the. Kahi bhi koi aur security aa sakti thi.
"Yahan rukna matlab maut!"
Usne turant apni taqat lagayi aur Dev ko apne kandhe par le jaakar bahar ki taraf daud gayi. Uske kadam halki si mitti ko udane lage, jaise woh koi professional fighter ho.
TAP! TAP! TAP!
Woh bina rukke bhaag rahi thi.
Jaise hi usne side me bike dekhi, uski aankhon me ek chamak aa gayi.
"Shukr hai ki dev yeh bike le kar aaya tha!"
Ek hi jhatke me usne Dev ko pichli seat par bithaya uska haath apni kamar ke gird lapeta, aur usko apne duppate se baandh liyaa aur turant ignition on kar diya.
VRRRROOOOMMMM!!!
Bike ek tez awaaz ke saath hawa me jaise udti chali gayi.
Ananya ne apni aankhon ke kone se dekha—peechhe kuch guards ab bhi bhaag rahe the, lekin ab woh kuch nahi kar sakte the.
Woh seedha Priya ke ghar ki taraf ja rahi thi.
Uske dimaag me sirf ek hi sawal ghoom raha tha—"Priya is sab ke baare me kitna aur kaise batana padega kaya apne aur dev ke payaar ke baare me priyaa ko bata du "
Ananya bike ke brakes zor se dabaate hue Priya ke ghar ke samne ruki. Uske saans phool rahi thi, lekin usne ek pal ki bhi deri nahi ki. Dev ab bhi behosh tha, uska sharir dheela pad chuka tha.
Ananya ne gate par zor se knock kiya.
"Koi hai?? Jaldi darwaza kholo!"
Andar se halki si awaz aayi, aur kuch hi seconds me gate khula. Samne Anju aunty khadi thi—Priya ki maa. Jaise hi unhone Ananya ko dekha, unki aankhein phat gayi. Par asli jhatka tab laga jab unki nazar Dev par padhi.
"HAI BHAGWAN!! YEH KYA HUA??" Anju aunty zor se cheekhi.
Unki awaz itni tez thi ki poora ghar gunj utha. Seedhiyon se ek dum bhagte hue Priya neeche aayi.
"Maa, kya hua??" Priya ne ghabraate hue pucha, lekin jaise hi usne Ananya ko dekha, uska chehra ekdum serious ho gaya. Phir uski nazar Dev par gayi, jo Ananya ke kandhe par dheela latak raha tha.
"DEV!!!" Priya ke muh se ek zor ki cheekh nikal gayi.
"Ananya, isko andar le chalo!" Priya ne turant kaha, aur bina kisi deri ke dono ladkiyan milkar Dev ko andar le aayi.
Priya ke bhai, shreyas , jo ab tak apne kamre me tha, awazein sunke neeche aa gaya. "Kya ho raha hai yahan?" Lekin jaise hi uski nazar Dev par padi, woh bhi ek second ke liye shock me aa gaya.
Priya aur Ananya ne milkar Dev ko bedroom ke bed par lita diya. Priya ka haath thoda kaanp raha tha.
"Ananya, mujhe batao, yeh sab kya ho raha hai?yeh jab tumhe lekar gaye the toh tum behosh thi aur aaye toh yeh behosh? " Priya ki awaaz thodi tez ho gayi.
Ananya ne Priya ki taraf dekha, phir usne ek gehri saans li.
"Bahut kuch bataana hai, Priya. Lekin abhi sabse zaroori hai ki Dev ko hosh jaldi aaye ."
Priya ne gusse se kaha, "Aur agar yeh hosh me nahi aaya toh??"
Ananya ne ek pal ke liye Dev kaa haath pakda, uski nadiaan check ki.
"Hosh me toh aayege … par kaunse Dev hosh me aayega, yeh nahi pata."
Room me ek bhayanak sannata chh gaya.
Ayush ne apni behen ki taraf dekha aur dheere se bola, "Main doctor bulaun?"
Ananya ne mana kar diya. "Nahi… Dev ka case normal nahi hai. Yeh koi doctor nahi samajh sakta."
Priya ne ghabrakar Ananya ki taraf dekha. "Tum kehna kya chahti ho?"
Ananya ne apne hoth kas liye.
Ananyaa - shreyas aur aunty kaya aap log thodi der hume akela chhod denge
Woh dono bina kuch kahe chale gaye aur gate band ho gayaa
Priya haath pakad ke ananaya kaa - bata kaya kehana hai
Ananya - i love dev
Priya has kar - haa bhai hai tere karegi hi naa
Ananaya dev ke maathe ko chum kar - dev mere bhai nahi mera payaar hai meri jaan hai mera samaan hai mera sara jahaan hai
udhar
Aditya ko uthaa hai usske maa baap bhi le jaane lagte hai
sari jagah ko dekh kr pura pariwar thoda shocked thaa ki yaha kaya sach me abhi code x activate hua kuch minute ke liyee.....
Code x me to kuch der ke andar hi tahlaka macha diya
Vo to ananya ne code x ko deactivate kar diya nahi to Aditya jinda nahi bachata