- 531
- 1,110
- 124
Very intresting and fabulous updateUpdate 11 Raaz, Badle Aur Ek Nayi Chunauti :-
Senapati : Hamari sena taiyar hai. Hamle ki planning ho chuki hai. Jab Veer Singh Raghuvanshi ka birthday hoga, tab hum apna asli roop dikhayenge. Woh din Raghuvanshiyon ke ant ki shuruat hoga.
Sabhi admi Senapati ke is faisle par sehmat the. Unhein pata tha ki unka Senapati kisi bhi had tak ja sakta hai. Unke liye yeh sirf ek "cheez" nahin thi, balki unka saalon purana sapna aur badle ki aag thi. Woh sabhi Senapati ke aage sar jhukakar uske agle aadesh ka intezaar karne lage.
Ab aghee!
Surya ke jaane ke baad, Raghuvanshi Mansion main ek gahra sannata cha gaya. Sonia ne thakaan aur chinta se bhare chehre ke saath apne dada-dadi ki taraf dekha.
Dadaji (gahri sans lete hue ) : is ladke main kuch khaas tha. Uski ankhoo main ek ajeeb si roshni thi, jaise woh hamare parivar se juda ho.
Dadi ji ( sir hilata hue ) : Haan, aur woh Sonia ke liye jhoot bol raha tha. Usne khud chaku khaya, phir bhi Sonia ke jhoot bolne per usne Sonia ki haa main haa Mila di
badi chachi Sonia ki mom
Badi chachi ( gusse main ) . "Jo bhi ho, Sonia, tumne apni had paar kar di. Baghair security ke bahar jaana, aur phir ek anjan ladke ko ghar lana... yeh kya nautanki hai?
Sonia ( sir jukate hue ) : Mom, woh mera friend hai. Aur usne sach main meri madad ki.
Dada ji : Maya, tumhe kya lagta hai?
Dadi ji : Veer, mujhe us ladke main sachchai nazar aayi. Woh seedha saada aur nek dil lag raha tha. Lekin Sonia ne jo jhoot bola, use main hairan hoon.
Tabhi Vinod Singh Raghuvanshi waha AA jata Hain . Vinod ne apni maa ki baat suni thi aur apni bhauhen chadhayi karte hue bola
Bade chacha : Anjan logo ko ghar mein laana sahi nahi hai, Sonia. Hum ek bade parivar hain, hamare bohut dushman hain.
Sonia : Lekin Dad, woh toh ek acha ladka tha. Usne meri jaan bachayi."
Badi chachi : Haan Vinod, Sonia thek keh rahi hai. Usne Sonia ki jaan bachai, hum main uska sukarya ada karna chahiye.
Bade chacha ( ek lambi saans lete hue ) :
Junoon ya bewakoofi. Aise hi ladke baad main bade mushkil ban jaate hain. Hum main us par nazar rakhni chahiye
Badi Chachi : Bilkul theek keh rahe ho ap. Mujhe us par bilkul bharosa nahin. Lagta hai Sonia ne apni koi galti chhupaane ke Liye yeh sab Kiya hain
Sonia ( gusse main ) : Mom! Ap har baar aisa kyun sochti hain? Main galti karungi toh bataungi Nahin jhoot kyun bolungi? Surya sach main bahut achha ladka hai."
Dada ji ne gusse se Sonia ko chup karaya
Dada ji : Bas! Tum dono ki behas abhi band karo.
Ishi beech, Paramveer Singh Raghuvanshi, jo ab tak chupchap sabko sun rahe the, woh aage badhe. Unhone Apne papa se kaha
Paramveer : Vinod bhaiya ki baat bhi theek hai. Humein savdhan rehna chahiye. Par Sonia bhi galat nahi hai. Uski aankhon mein us ladke ke liye ek alag hi izzat thi. Shayad usne sach mein iski madad ki ho.
Dada ji ne Paramveer ko dekha, aur kaha
Dada ji : Tum thek keh rahe ho Paramveer. Mujhe abhi is baat ka pata lagana hai ki woh ladka hai kaun. Vinod, tum apne aadmiyon se pata lagao. Mujhe uski poori jaankari chahiye.
Sakti Singh Raghuvanshi (Suryan ke step father) ne apni baat rakhi,
Sakti Singh : Bhai sahab, itni jaldi kya hai? Woh ladka toh hamare birthday party par aayega. Us waqt hum usse milenge aur jaan lenge.
Dada ji ne unki baat sunkar kaha,
Dada ji : Woh thek hai, lekin use pehle main uske bare main sab kuch janna chahta hoon. Woh itna nek dil lag raha hai, aur Sonia ki itni madad ki, is liye main usko khali haath nahin lautne doonga. Agar woh sach main ek acha ladka hai, toh main uski madad karna chahta hoon.
Sab logon ne unki baat suni aur sir hila diya. Dada ji ke aadesh ke baad, sab log birthday party ki taiyariyon main wapas lag gaye, lekin sabke dimag main ab bhi Surya hi ghoom raha tha.
Wahi in sab se alag ek room main ek mahila Tanhai aur andhera Dard main thi Raghuvanshi mansion ke ek alag hisse main, ek kamre main, Juhi Singh Raghuvanshi (Shakti Singh ki patni) akeli baithi thi. Kamre main halka andhera tha, aur sirf ek table lamp ki roshni thi. Uske haath main ek purani, peeli pad chuki tasveer thi. Tasveer mein ek chhota, masoom sa ladka muskurata hua nazar aa raha tha. Yeh uske bete Surya ki tasveer thi.
Us tasveer ko dekte hue juhi ne rote hua bolna Suru Kiya
"Ek nanha sa pal tha, jab tu meri god main soya,
Meri ankhoo ka tara tha, jaane kahan kho gaya.
Woh methi si hasi, woh chote se hath,
Ab bas yadon main hain, aur khali hai mera hath.
Tu gaya jab ghar se, woh akhri baar,
Meri rooh ka ek tukda, ho gaya tha bezaar.
Maine chahkar bhi rok na payi tujhe ,Kyunki taqdeer ka likha tha, aur koi ilaj na sujhe.
Ab har roz main wahi khali jhoola dekhti hoon,
Jahan tu jhoolta tha, main wahi intezar karti hoon.
Woh nanhi si chaddi, woh toote khilone,
Sab kuch yahin hai, bas tu nahi hai.
Log kehte hain, waqt sab kuch bhula deta hai,
Par mera dil teri yaad main aaj bhi tadapta hai.
Mere honthon par ek hi sawaal,
"Mera bachpan ka beta kahan hai, kis haal mein hai?
Meri ankhoo main ab aansu nahi, bas khali sa manzar hai,
Tera aana toh mumkin nahi, yeh janti hoon main andar se.
Bas ek dua hai, jahan bhi tu ho, khush rahe,
Aur agar kabhi meri yaad aaye, toh dil se hi muskura lena.
Yeh kehte hue juhi ki ankhoo main ansu behnikle
Juhi ki aankhon se aansu beh rahe the, aur woh tasveer ko apne seene se lagaye hue thi. "Mere bete," usne dhimi awaaz mein kaha. "Mujhe maaf kar dena. Main tumhe bacha nahi payi." Uske honton par ek adhoori muskan thi, jis main khushi se zyada dard chhupa tha.
Uske dimag main purani yaadein taaza ho gayi...
Flashback - Juhi ki Kahani
Jab Juhi hospital main behosh hui thi aur Surya ne use door jaane ka faisla kiya tha, uski zindagi ek toofan se guzar rahi thi. Jab woh hosh mein aayi, toh uske father, Digvijay Thakur, uske paas the. Digvijay ne apni beti ki halat dekhi aur uska dil pighal gaya. Unhone usko USA le jaane ka faisla kiya jahan uske cancer ka behtar ilaj ho sake.
Juhi ne pehle toh inkar kiya. Uska dil sirf apne bete ko dhundna chahti thi. Lekin Digvijay ne zidd ki. "Tumhe jeena hoga, Juhi. Apne liye, aur uske liye bhi jise tumne kho diya. Uska balidaan bekaar nahi jaana chahiye." Digvijay ki aankhon mein apni beti ke liye pyar tha, jo saalon se chhupa hua tha.
USA main Juhi ka ilaj shuru hua. Shuru main yeh mushkil tha, chemotherapy aur davaein uske shareer ko thaka deti thin. Lekin Digvijay aur Chaya Thakur (Juhi ki maa) ne uska poora khayal rakha. Unhone usko har tarah se sahara diya, bhale hi unka gussa apni beti par abhi bhi tha. Dheere dheere, Juhi ki sehat mein sudhaar aane laga. Cancer control mein aa gaya, aur woh phir se zindagi jeene ki koshish karne lagi. Uski body heal ho rahi thi, par dil ka ghav ab bhi taaza tha.
Lekin Digvijay ki ek aur zidd thi. Unka kehna tha ki Juhi ko ab ek naya jeevan shuru karna chahiye aur ek respectable parivar main shaadi karni chahiye. Unhone Shakti Singh Raghuvanshi ka rishta Juhi ke liye pasand kiya. Shakti Singh ek nek aur samajhdar insaan the, jo Digvijay ke business circles mein kaafi izzatdaar the.
Juhi ne pehle inkar kiya. Uska dil sirf apne bete aur pehle pati ki yaadon mein uljha hua tha. "Main Shakti Singh se shaadi kaise kar sakti hoon jabke mera beta kahin ghumshuda hai? Aur najane ki Haal main Hoga usne apni maa Chaya se kaha tha. Lekin Digvijay ki zidd aur uski maa Chaya ka pyar ne usse yeh shaadi karne par majboor kar diya. Shaadi ek saade samaroh main hui. Shakti Singh ne Juhi ke past ko bina kisi shiqwa-gila ke accept kiya. Unhone uske gham ko samjha aur usko kabhi akela mehsoos nahi hone diya. Juhi ne Shakti ko izzat aur samman diya, lekin pyar uske dil se kabhi nikla hi nahi.
Shaadi ke baad, Juhi ne apne Mayke (Digvijay ke ghar) jaana kam kar diya. Uski wajah yeh thi ki Mayke main ab bhi uske kuch rishtedaar the jo Surya aur uski pehli shaadi ko lekar taane dete the. Juhi ko yeh pasand nahi tha, aur woh apni nayi zindagi Shakti ke saath khushi se jeena chahti thi. Usko Shakti Singh ke parivaar ka pyar mila tha, jo uske liye kaafi tha.
Kuch samay baad, Juhi ne Shakti aur Raghuvanshi parivar ko apne pehle marriage aur apne bete Surya ke baare mein bataya. Usne socha tha ki shayad woh use accept nahi karenge, lekin Raghuvanshi parivaar ne, khaas kar Veer Singh Raghuvanshi (Dadaji) aur Maya Singh Raghuvanshi (Dadi ji) ne, bina kisi jijhak ke use accept kar liya. Unhone Juhi ke dard ko samjha aur use poora sahara diya. Shakti ne bhi usko aur zyada pyar diya, aur uski zindagi mein ek sukoon aa gaya. Lekin Surya ki yaad uske dil mein hamesha zinda rahi.
(End of Flashback)
Juhi ne tasveer ko pakde rakha aur dil hi dil mein kaha,
Juhi : Pata nahi kaisa hoga mera beta ab. Kya woh zinda hoga? Khush hoga?" Uski aankhon se aansuon ka silsila ruk nahi raha tha. Har raat, woh apne bete ke liye duayein maangti thi.
Next day
SSR Company Ka Pehla Din
Agli subah, Surya jaldi uth gaya. Aaj uske liye ek naya chapter shuru ho raha tha. Jagira ke diye hue jaadu se uske bank account main itne paise aa chuke the ki woh ab ek aam insaan nahi tha. Usne phone par Vidya ko call kiya.
Surya : “Good morning, dii. Ready hain ap?
Vidya : Good morning, Surya. Main bilkul ready hoon. Aaj un sab ko dikhaungi jinhone mujhe neeche giraya tha.
Surya : Main jaanta hoon aap un sab se badla zaroor lengi, lekin filhal aapko sirf apni company par focus karna hai. Ek baar company top par pahunch jaye, phir hum un sabko unki jagah dikhayenge.”
Vidya : Theek hai, Surya. Tumne jo company kharedi hai, uski saari information mujhe kal raat hi mil gayi thi. Main seedha office jaa rahi hoon. Tum kab aaoge?
Surya : Main abhi nahi aa sakta, dii. Mere aur bhi zarori kaam hain. Ap bus apna kaam ache se kijiye aur mujhe report karte rahiyega.
Vidya: “Thek hai, Surya. Tum fikar mat karo.”
Vidya ne call cut kar di aur ek lambi saans li. Uske chehre par ek nayi chamak aur aag thi. Woh jaanti thi ki uska raasta mushkil hai, lekin ab woh akeli nahi thi.
Vidya ka SSR main Pehla Din
Vidya ek black suit pehan kar office ke liye nikli. Jab woh company ke building ke saamne pahunchi, toh use ek pal ke liye sab purani baatein yaad aa gayi. Usi building se use beizzat kar ke nikala gaya tha. Lekin aaj woh wapas aa rahi thi, ek maalik ki tarah.
Jaise hi woh andar aayi, security guard ne use rok liya.
Guard: “Excuse me, ma'am. Aapko kahan jaana hai?”
Vidya ne unhe apni aankhon main dekha aur ek card nikal kar unke saamne rakh diya, jis par bade aksharon main likha tha, “Vidya Khurana, MD, SSR Group of Companies”.
Guard ko pehli baar main yakeen nahi hua, lekin jab usne card dhang se dekha, toh uske hosh ud gaye. Usne jaldi se Vidya ko salaam kiya aur andar jaane diya.
Andar ka mahaul ek dum shant tha. Sab log pareshaan dikh rahe the, jaise unhe kisi ne ummeed hi na di ho. Sabse pehle Vidya apni purani cabin main gayi, jo ab uski thi. Usne dekha ki saare documents aur files bikhre hue the. Uske purane partner ne company chhodne se pehle sab kuch barbaad karne ki koshish ki thi.
Tabhi ek junior employee Vidya ke paas aaya aur darte hue bola, “Ma'am... main aapko jaanta hoon. Ap yahan kya kar rahi hain?”
Vidya ne uski taraf palat kar muskurate hue kaha, “Main wapas aa gayi hoon. Aur aaj se main is company ki MD hoon.”
Usne wahan maujood sabhi employees ko bulaya.
Vidya: “Main jaanti hoon, ap sab bahut mushkil waqt se guzar rahe hain. Lekin ab sab kuch badalne wala hai. Aaj se hum ek naye naam se, SSR ke naam se, is company ko ek baar phir se khada karenge.”
Sab employees Vidya ko hairaani se dekh rahe the. Kuch log khush the, lekin zyadatar ko dar tha.
Vidya: “Jinhone Hume dhokha diya, unhe hum unki galti ka ehsaas zaroor karayenge. Lekin usse pehle, humein kaam shuru karna hoga. Main aapko waada karti hoon ki agar aapne mera saath diya, toh SSR Group of Companies ek baar phir se India ki top company banegi.”
Vidya ki baaton mein ek nayi ummeed thi. Jab Vidya ne sabko encourage kiya, toh un employees ke chehre par bhi ek nayi roshni aayi. Ab unke paas ek neta tha, ek maalik tha jo unhe phir se unki pehchan dila sakta tha.
Vidya ne employees se baat karne ke baad, unko kaam par lagaya. Sabko ek naya direction mil chuka tha aur company main ek nayi energy aa gayi thi. Lekin Vidya ka asli junoon abhi bhi uske andar ka badla tha. Sabko jaane ke baad, woh apni cabin mein akeli baithi thi.
Uski nazar deewar par lagi uski maa ki tasveer par padi. Tasveer mein uski maa muskura rahi thi. Vidya ki aankhon mein aansu aa gaye. Woh tasveer ke paas gayi aur use pakad kar dheere se boli:
Vidya : Maa... aapne sikhaya tha ki jab koi galat kare toh usko maaf kar dena chahiye. Par aaj... aaj main aisi jagah khadi hoon jahan agar maine maaf kiya, toh woh log mujhe aur barbaad kar denge. Unhone meri company, meri mehnat... aur meri izzat ko chheen liya. Lekin ab... ab main kamosh nahi rahoongi. Main unki har saazish ka hisaab loongi. Unki zindagi main woh andhera karungi ki woh roshni ke liye taras jayenge. Aur yeh wada hai, maa, jab tak main unko unki jagah nahi dikhaungi, tab tak main chain se nahi rahoongi."
Uske baad, Vidya ne apne akelepan aur gusse ko ek side rakha. Usne apna phone nikala aur kuch numbers dial kiye.
Thodi der baad, uski cabin ka darwaza khula aur uski purani secretary, Seema, andar aayi. Seema Vidya ke liye ek employee se badhkar thi, woh Vidya ki sabse vafadaar dost thi.
Seema: “Ma'am... main jaanti thi aap wapas zaroor aayengi.
Seema ki aankhoo main khushi aur ansu the. Usne Vidya ko gale laga liya.
Vidya : Seema, tumhari vafadari ka hi toh nateeja hai ki tum aaj yahan ho. Tumhare purane boss ne tumhe nikal diya tha na?
Seema : Haan ma'am. Unhone kaha ki main aapke liye kaam karti thi, isliye mujhe yahan rehne ka koi haq nahi hai. Lekin maine aapki hi wajah se itne saal yahan kaam kiya tha.
Vidya : Achha suno, Seema. Main ab tumhari maalik nahi, balki tumhari sathi hoon. Ab hum dono mil kar is company ko phir se khada karenge. Aur hamara pehla kadam hoga, un sabki jankari ikatthi karna jinhone mujhe dhokha diya.”
Seema: “Ma'am... aapka matlab unse hai, jo aapki family main se hain?”
Vidya ne ek lambi saans li.
Vidya : Seema, jab tak hum sachhai tak nahi pahunchte, tab tak hum kisi par ungli nahi utha sakte. Tumhe un sabke baare main har chhoti-badi information nikalni hai. Unke phone calls, unke bank transactions... sab kuch.
Seema : Ji ma'am. Main abhi se kaam par lagti hoon. Ap chinta mat kijiye.
Seema cabin se bahar chali gayi aur Vidya ek baar phir apni maa ki tasveer ko dekhne lagi. Uske chehre par ab aansu nahi, balki ek thos iraada tha.
Next day
Morning time 9 : 00 AM
Mumbai Police Headquarters :-
Mumbai Police Commissioner ke office main ek high-level, top-secret meeting chal rahi thi. Tables par files aur maps bikhre hue the. Commissioner saheb ke saamne ek young, dynamic, aur sharp ACP Divya Mehra baithi thi. Divya apne tez dimag aur unparalleled investigative skills ke liye jaani jaati thi.
Commissioner: "Divya, yeh jo warehouse par hamla hua hai, yeh koi mamooli kaam nahi hai. Hamare intelligence sources bata rahe hain ki koi bada international player Mumbai main enter ho chuka hai."
Divya (confident tone mein): "Sir, meri intelligence reports bhi yahi keh rahi hain. Aur sabse bada suspect hai Don Corleone. Uska modus operandi similar hai.
Another Officer: "Lekin ACP Divya, Corleone India main kya kar raha hai? Uska toh yahan koi direct business nahi hai."
Divya: "Wahi to sawal hai, Sir. Corleone sirf paise ke liye kaam nahi karta. Woh power aur control ke liye kaam karta hai. Veer Singh Raghuvanshi Rajasthan ke sabse bade figures main se ek hain. Agar Corleone unhein target kar raha hai, toh iske piche koi bahut badi conspiracy ho sakti hai. Ho sakta hai woh kisi local faction ke saath milkar kaam kar raha ho."
Commissioner: Hamare paas Corleone ke khilaaf solid proof nahi hain. Hum usko kaise pakdenge?
Divya: Sir, proof dhundhna hamara kaam hai. Main apni special task force ko Corleone ke har move par nazar rakhne ke liye laga rahi hoon. Har airport, har port, har luxury hotel par discreet surveillance hogi. Aur Veer Singh Raghuvanshi ki security bhi secretly monitor ki jayegi."
Commissioner: "Good. Yeh mamla bahut sensitive hai. Ek bhi galti hamare liye bhari pad sakti hai. Keep me updated, Divya."
Divya: "Yes, Sir." Usne apni team ko turant activate kar diya.
Aur waha se Nikal kar Apne office Chali Gai
Divya ne tezi se kadam badhaye. Uski khakhi uniform par lage badges chamak rahe the, aur uski aankhon mein ek tez chamak thi. Woh apne cabin mein enter hui jahan uski team ke do junior officers already files ke dher mein dube hue the.
"Good morning, team," Divya ne files uthate hue kaha, uski awaaz mein ek control tha jo uski umar se zyada mature lagti thi. "Main abhi abhi Commissioner sir ke pass se AA Rahi ho aur Ek naya headache hai, aur yeh headache seedha international borders se aa raha hai."
Usne whiteboard par ek naam likha – "Don Corleone."
"Yeh naam Mumbai ke underworld main abhi tak suna nahi gaya, lekin international intel is se ek global threat bata raha hai, Divya ne marker ghumate hue kaha. Aur hamare initial reports bata rahe hain ki Corleone ne Veer Singh Raghuvanshi ke business partner ke warehouse par jo hamla karwaya, woh sirf ek trailer tha. Humein iski asli film ko release hone se pehle hi rokna hoga."
Uski team ne ek dusre ko dekha, unki aankhon main Divya ke plan ke prati vishwaas saaf dikh raha tha. Divya ne unki taraf dekha aur ek halki muskaan di. "So, let's get to work. Time to catch a big fish."
RAW Safe House
Last night :-
Ek ghani raat, Delhi ke ek sunsaan ilake mein, ek purane, anjaan se building ke chat par, RAW Agent ek sniper rifle ke scope se niche road par khadi luxury gaadiyon ko scan kar rahi thi. Uska chehra raat ke andhere mein chhupa hua tha, aur uski saansein bhi control mein thi.
Uske earpiece mein ek awaaz aayi: "Kiran, target confirmed. Meeting shuru ho chuki hai."
"Understood," Kiran ne dheemi awaaz mein reply kiya. Uski ungli trigger par thi, par uska maksad jaan lena nahi, balki jaan lena tha ki andar kya chal raha hai. Uska mission tha ek high-profile arms dealer aur uske international connections ke baare main jaankari ikatthi karna, jab tak use ek ka naya mission nahi mil jata.
"Desh ki suraksha ke liye har khatra jaanlena zaroori hai," usne mann hi mann main kaha. "Chahe woh border par ho, ya hamare shehar main chhupa hua."
Kuch der baad, use apne senior agent ka call aaya. "Kiran, naya mission. Don Corleone India main enter ho chuka hai. Humara intel keh raha hai ki woh Rajasthan ke Veer Singh Raghuvanshi ko target kar raha hai. Tumhe turant team ke saath Mumbai rawana hona hoga."
Kiran ne bina koi sawal kiye rifle niche rakhi. Uske chehre par koi expression nahi tha, bas ek nischay tha. "Understood, Sir. Hum nikalte hain."
Currant time :-
Mumbai main, RAW ke ek highly classified safe house main, panch (5) top agents ek round table par baithe the. In mein se ek thi RAW Agent Kiran Mehra. Kiran apne sharp instincts, combat skills, aur global espionage main mahaarat ke liye jaani jaati thi. Uski nazar main Corleone jaise threats sirf crime nahi, balki national security ke liye bhi khatra the.
Senior Agent: "Gentlemen, aur Kiran. Hum ek bade international threat ki baat kar rahe hain. Don Corleone ki India main presence, woh bhi itni gupt tarike se, ek serious concern hai. Humara intel bata raha hai ki uska target Veer Singh Raghuvanshi hai."
Agent 1: "Sir, Veer Singh Raghuvanshi sirf ek businessman hain.woh kyun target karega?"
Kiran: "Woh sirf businessman nahi hain. Veer Singh Raghuvanshi ki political aur social influence Rajasthan main bahut gehri hai. Unpar koi bhi hamla, Rajasthan main rajneetik asthirta paida kar sakta hai, jiska fayda anti-national elements utha sakte hain."
Agent 2: "Toh humara action plan kya hai, Kiran?
Kiran: "Hamara maksad Corleone ko identify karna, uske networks ko dismantle karna, aur uski asli intentions ka pata lagana hai. Main apni team ke saath shadow operation par jaungi. Hum Corleone ke har contact, har meeting, har transaction par nazar rakhenge. Uske saath kon local groups jude hue hain, yeh pata lagana bahut zaroori hai."
Senior Agent: "Yeh mission bahut risky hai, Kiran. Corleone bahut chalak hai.
Kiran: "Sir, hamare paas koi option nahi hai. Agar Corleone yahan apna network bana leta hai, toh yeh desh ke liye ek bada khatra ban jayega. Hum Veer Singh Raghuvanshi ki security ko bhi discreetly strong karenge. Aur haan, unke ghar ke pichhe ek purana mandir hai, us par bhi khas nazar rakhna. Intel suggests there might be something hidden there, linked to the Raghuvanshi's old power."
Senior Agent: "Understood, Agent Kiran. You have full clearance. Do whatever it takes."
Kiran ne apne haath jode. "Mission accepted, Sir." Usne apni team ko code words aur stealth protocols ke saath deploy kar diya. Ab Corleone ko bina pata chale hi RAW ki nazarein us par thi.
~~~~aj ke Liye itna hi ~~~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna
AJ Friday Hain and Sunday ko next update ayega woh bi mega update okay
Thank you very much sir jiFor completed 100 pages on your story thread....
Outstanding update great jobUpdate 12
Subhe, Surya apne college admission ke liye ek lambi line main khada tha. Tabhi, uske paas ek ladki aayi aur usse poochha,
Ladki : Excuse me, kya yahan BCA admission ke liye line hai?
Surya ne uski taraf dekha aur thoda sa smile karke bola,
Surya : Haan, yahi line hai. Tum bhi BCA ke liye ho?
Ladki : Haan, mera naam Naira hai, ( usne muskurate hue kaha ) Aur tumhara?
Surya : Mera Naam Surya Hain aur Tum kaun se batch se admission le rahi ho?
Naira : Main first batch main try kar rahi hoon Aur tum?
Surya : Same here, Waise tum kahan se ho?
Naira : Main Jaipur se hoon,
Surya : Acha, main toh Mumbai ka hi hoon,
Dono main kaafi baatein hui. Unhone apne pasand, hobbies aur future plans ke baare main bhi discuss kiya. Baaton-baaton main unhein pata hi nahi chala ki line kitni jaldi aage badh gayi. Naira ne bataya ki uske father ka naam
Father : Amit Singhaniya (age 46) yeh ek bade business hain.
Aur bohut gamandi insan hain hamesha paiso ke Piche bagta rehta hain
mother:Kavita Singhaniya,( age 44) ek social worker hain. Aur bohut hasmuk lady Hain itne paise hone ke bawajud gamand bilkul Nahin hai
Arti singhaniya (age 19)
UK main fashion designing ki padhai Karne halhi main gayi Hain bohut gamandi Hain Apne samne Kisi ko Kuch Nahin manti
Naira singhaniya ( age 19 )
( Heroin )
Yeh Hain toh Arti ki judwa Behan Lekin use bilkul alag hamesha dusro ki help Karti Hain apni maa per gayi Hain
Kuch der baad, Surya ka number aaya. Usne jaldi se form fill kiya, admission fees jama ki aur baahar aa gaya. Usne Naira ko bola,
Surya : Main canteen jaa raha hoon, kuch khane ka mann hai. Tum chalogi?
Naira : Sorry, Surya, mujhe abhi ghar jaana hai
Surya : Par chalte-chalte ek coffee toh ho sakti hai.
Dono ne canteen se coffee li aur thodi der baatein karte rahe. Phir Naira ne usse apna number share kiya aur bola,
Naira : Aaj toh kaafi accha laga tumse milkar. Ab hum touch main rahenge.
Surya ne bhi apna number diya aur woh dono alag ho gaye.
Surya canteen main ek table par baith kar kuch kha hi raha tha ki tabhi, uske kaan mein ek awaaz padi,
Ladki : Hi Bhai, kese ho?
Surya ne mudkar dekha toh wahan ek ladki khadi thi. Usko dekti Hain surya ke chahre per hilki muskan AA gayi
Surya : Main... bhai? Main tumhara bhai kab se ban gaya?
Sonia : Tabse, jab se tune meri jaan un gundo se bachai thi,
woh haste hue boli.
Surya : Oh, sorry acha Laga tumhare muh se Bhai sunkar
Sonia : acha Badi ajeeb baat Hain jaha tak mujhe pata Hain agar ladka Kisi ladki ki jaan bacha le toh usko Piche pad jata Hain ke gf banao yeh woh
Surya ne thoda uncomfortable feel karte hue kaha,
Surya : Woh toh bas...
Sonia ne uski baat kaat di.
Sonia : Kher, chodo. Inse milo, usne apne saath khadi ladkiyon ki taraf ishara karte hue kaha.
"Yeh hain Sapna Di,
ek ladki ki taraf ishara karte hue. Sapna ne haath hilaya.
"Yeh hain Ishita," ek aur ladki ki taraf. Ishita ne bhi smile kiya.
always logo png
"Yeh hain Diya," teesri ladki.
"Yeh hain Dipali," chauthi ladki
Aur yeh main metali
"Aur main Sonia,
usne jor se haste hue boli.
Sonia : Aur mere do bhai bhi hain, lekin woh chale gaye. Woh hum main drop karne aaye the.
Surya ne un sab se politely haath milaya aur bola,
Surya : Hi girls.
Sab ne "Hi" bola aur uski table par baith gayin. Unke baithte hi Sonia ne bola,
Sonia : Yaar, badi bhok lagi hai. Kuch order kar sakte ho?
Surya : Haan, haan, bilkul,
Surya bola aur un sab se unka order pochne laga.
Sab ka order lene ke baad, woh counter par jaane laga ki tabhi 6 ladkon ka ek group unki table ke paas aaya. Unme se ek ladka, jo unka leader lag raha tha, Sonia aur Sapna ki taraf dekh kar gande tareeke se hasa.
Ladka 1 Hi, chamak challo, kaisi ho tum?
ladke ne Sapna se poocha.
Sapna ne gusse se uski taraf dekha aur boli
Sapna : Tameez se baat karo, samjhe?
Ladka hasa,
Ladka 1 : Arey maaf karna, abhi karta hoon. Kaisi ho, chamak challo jee?
Sonia : Dekho Vinay Tum apni had main raho, warna thek nahi hoga tumhare liye.
Ladke ka naam Vinay Verma tha. Woh hasa aur bola,
Vinay : A ha, kya kar legi tu? Tere dono bhai toh jaa chuke hain yahan se. Ab kaun bachayega tujhe?
Diya ne un sab ko dekha aur bola,
Diya : Dekho, humko jaane do, warna tumhare liye achha nahi hoga.
Vinay : ha, main bhi dekhta hoon ki kya kar legi tu,
Vinay unki taraf badhne laga.
Tabhi, Ishita se raha nahi gaya aur usne zor se Vinay ke gaal par ek thappad maar diya. Thappad ki awaaz se poora canteen hil gaya. Vinay gusse se laal ho gaya.
Vinay : Sali! Teri himmat kaise hui mujhe maarne ki?
usne chilakar bola. Phir usne apne saath aaye ladko ko dekha aur bola
Vinay : Dekh kya rahe ho? Pakdo in sab ko, aur lekar jao ground main. Wahin par sabke saamne inka rape karega, taaki sabko pata chale ki Vinay Verma kya cheez hai.
Unke aate hi ladko ne un sab ko pakad liya. Sonia, Sapna, Ishita, Diya Dipali aur metali sab ko woh ladke ground main lekar chale gaye. Canteen ke saare students, staff aur teacher sab dar ke maare chup-chap khade the.
Vinay, Ishita ki taraf badha, uski aakhon main gussa aur badla lene ki aag thi. Jaise hi woh uske paas pahuncha, achanak ek jordaar kick uske pet par padi aur woh hawa main udta hua peeche jaa gira.
Ek second ke liye sab chup ho gaye. Phir wahan ek chehra nazar aaya, jise dekhkar sab hairan the. Woh koi aur nahi, Surya tha. Usne pehle hi canteen main ek staff member ko phone karke police ko bulaane ke liye bol diya tha.
Vinay utha aur gusse se Surya ki taraf dekha.
Vinay : Tu kaun hai be?
Vinay cilla kar bola
Surya : Main woh hoon jo tumhari hadd dikhane aaya hai,
Surya ne calmly jawab diya
Vinay : Oye, ladko! Isko pakdo aur iski aisi taisi kar do,
Vinay ne chillaya.
Vinay ke 5 friends ne Surya par ek saath attack kiya. Lekin Surya ne ek professional fighter ki tarah un hein face kiya.
Surya ne pehle ladke ko ek hi punch main zameen par gira diya. Doosra ladka jab us par attack karne aaya, toh Surya ne uski wrist pakdi aur use ghuma kar peeth ke bal zameen par patak diya. Teesri ladka uske paas aane laga, toh Surya ne uske chehre par ek punch maara, jisse woh dor jaakar gir gaya
Baaki ke do ladke dar gaye. Woh dono ek saath us par attack karne lage, par Surya ne un hein bhi sambhal liya. Ek ladke ko usne kick maari aur doosre ko punch maara. Dono zameen par gir pade.
Ab sirf Vinay bacha tha. Woh dar gaya tha. Usne pehle kabhi kisi ko itni jaldi itne logon ko marte hue nahi dekha tha. Surya uski taraf badha. Vinay peeche hatne laga.
Vinay : Ab... ab... tu kya karega?
Vinay ne darte hue poocha.
Surya : Wahi jo tum inke saath karne wale the,
Surya ne calmly kaha.
Surya : Bas farak itna hai ki main tumhe maarkar nahi sudhaarkar chhodunga.
Usne Vinay ki collar pakdi aur usko upar uthaya. Phir usne Vinay ko ek hi punch se zameen par gira diya. Vinay ke chehre par khoon nikalne laga. Surya ne use police ke hawaale karne ke liye ready kiya.
Tabhi, police wahan aa gayi aur un sab ladkon ko pakad liya aur Chali gayi
Mumbai airport se nikalne ke baad, Don Corleone aur uske do bodyguards, BG1 aur BG2, seedhe ek luxury five-star hotel main check-in kiya. Corleone ne apni identity chhupane ke liye ek farzi passport aur ek naya naam istemal kiya tha. Uska plan tha ki Veer Singh Raghuvanshi ke birthday se pehle kuch local jaankari jama karega aur apne network ko mazboot banayega.
Hotel ke presidential suite main Corleone ne apni "operations room" banayi. Usne apne local contacts ko phone kiya. Ye contacts woh log the jinse usne pehle bhi deals ki thi, ya jo international crime syndicates se jude hue the
DC (Italian accent): Suno, mujhe jaankari chahiye. Veer Singh Raghuvanshi ke baare main sab kuch. Uski routine, uski family, uski security, uske dushman... sab kuch.
Contact 1 (phone par): Yes, Don. Ho jayega. Lekin ek local feudal lord main itna interest kyun?
DC: Woh koi local feudal lord nahi hai. Woh ek nishana hai. Aur woh tumhare soch se kahin zyada takatwar hai. Yeh kaam bilkul sahi hona chahiye. Koi galti nahi.
Corleone ne apni berahami dikhane ke liye pehla kadam uthaya. Usne Veer Singh Raghuvanshi ke ek bade business partner, jo Mumbai main tha, ki sabse badi warehouse par ek chhota sa hamla karwaya. Usne apne gundo ko bheja. Gundo ne aag lagai, lekin is tarah se ki koi jaan ka nuksaan na ho, sirf paison ka. Gundo ne warehouse main aag lagayi, jisse lakhon ka nuksaan hua. Is hamle se Mumbai ke underworld main yeh khabar aag ki tarah phail gayi ki koi bahut bada khiladi shehar main aa chuka hai.
Corleone ne apne contacts ko Delhi aur Jaipur ke kuch local gangs se milne ke liye bheja. Uska maksad tha unhein apne mission main shamil karna ya unki madad se Veer Singh tak pahunchna. Usne bade amounts main paisa offer kiya.
BG1 (Corleone se) : Sir, hamare local contacts ne kuch reports di hain. Veer Singh Raghuvanshi ki security bohut tight hai. Aur unka network bohot bada hai.
DC (muskurate hue): Acha. Jitna mushkil nishana, utna hi mazedaar maut. Birthday party ke baare main kya Koi details?
BG2 : Haan, Sir. Ek bohut bada event hone wala hai. Bahut saare VIPs honge wahan. Ek bade hamle ke liye yeh bilkul sahi mauka hai.
Corleone ne ek map nikala aur us par Raghuvanshi mansion ka blueprint dekha. Usne Veer Singh ke dushmanon ke baare main bhi jaankari ikatthi karwana shuru kar diya tha, jis main Sir aur GJ jaise log bhi shamil the. Corleone ki strategy thi ki woh apne dushman ke dushmanon ko use karega, ya unhein akele hi khatam kar dega.
Corleone ne apni planning ko aur refined kiya. Uska maksad sirf Veer Singh ko maarna nahi tha, balki Raghuvanshi empire ko hila kar rakh dena tha. Usne apne aapko ek global player banaya tha, aur Veer Singh ko maarne se uska naam international crime world main aur ooncha ho jayega.
"Veer Singh Raghuvanshi,"
Corleone ne wine ka glass uthate hue kaha, "Tumhara waqt khatam ho chuka hai. Kyunke Don Corleone aa chuka hai.
Wahi dusri taraf
Wahin, Shakti Singh Raghuvanshi ek meeting attend karne ke liye ek hotel gaye hue the. Meeting khatam karke Shakti Singh ko bohut tez toilet aayi, toh woh usi hotel ke ek toilet main gaye. Tabhi, unke kaano main halki-halki awaaz aane lagi. Awaaz main Veer Singh ke birthday par hamle ki baat ho rahi thi. Pehle toh Shakti Singh ko laga ki yeh unka waham hai, lekin baad main unhein confirm hua ki nahi, yeh sach hai.
Tab Shakti Singh ne kuch soch kar chupke se us taraf gaye, jahan se awaaz aa rahi thi. Unko Sir ka chehra dikh gaya. Shakti Singh ne chupke se uski photo le li, lekin uske saath jo khada tha, uska chehra unko nazar nahi aa raha tha. Lekin Sir use baat kar rahe the
Sir: "Dekho, plan poora ho chuka hai. Ab hum peeche nahi hat sakte.
GJ (saamne wala): Haan, tum sahi keh rahe ho. Aur tum chinta mat karo, humara plan kaamyaab hokar rahega.
Sir: Haan, GJ, humara plan kaamyaab hona hi chahiye. Agar hum is baar fail hue toh boss humko zinda nahi chhodenge. Samajh rahe ho na tum?
GJ: Ap fikr na karein, Sir. Plan kaamyaab hokar rahega.
Sir: I hope aisa hi ho. Agar hum fail hue toh bhi Don Corleone toh hai na. Usne aate hi attack bhi kar diya hai.
GJ: Kya woh attack usne kiya tha?
Sir: Haan, usne hi kiya tha.
GJ: Phir toh bade jigar wala hai. Ab toh Veer Singh Raghuvanshi nahi bach payega.
Sir: Haan, hai toh. Lekin tum par toh kisi ko shak nahi hua na?
GJ: Nahi, aise kaise hum par shak ho sakta hai? Aakhir yeh plastic surgery kisne ki hai?
Sir: Haan, tum sahi keh rahe ho. Ekdum real jaisi lag rahi hai.
Isi tarah unki baatein hoti rahi aur Shakti Singh Raghuvanshi ne yeh saari baatein apne mobile main video recording kar di. Chupke se woh wahan se nikal gaye. Raaste main woh sochne lage ki yeh baat woh kisko batayein. Apne papa ko toh bata nahi sakte, kyunke ghar ke andar se koi mila hua hai. Ab kisko batayein? Achanak unko pata nahi kyun, Surya ki yaad aayi. Aur woh wahi se Surya se milne uske hotel chale gaye.
Jab Shakti Singh Raghuvanshi Surya ke hotel pahunche, toh unka chehra darr aur chinta se bhara hua tha. Unhone reception par pooncha aur seedhe Surya ke room main chale gaye.
Surya ne darwaza khola aur Shakti Singh ko dekh kar thoda hairan hua.
Surya : Sir? Ap yahan? Sab theek toh hai?
Shakti Singh ne jaldi se andar aakar darwaza band kiya. Unke haath kaanp rahe the aur woh ghabraye hue the.
Sakti Singh : Surya, main tumhare paas ek bahut zaroori baat ke liye aaya hoon. Yeh baat kisi ko pata nahi chalni chahiye, samjhe?
Surya ne unki haalat dekh kar unko paani diya.
Surya : Ap shant ho jaiye. Pehle paani pijiye, phir aram se bataiye kya baat hai.
Shakti Singh ne paani peeya aur phir ek gehri saans li.
Sakti Singh : Surya, Mera papa ki jaan ko khatra hai. Unke birthday par unpar hamla hone wala hai.
Surya yeh sunkar chauk gaya.
Surya : Kya? Ap yeh kya keh rahe hain? Aapko yeh kaise pata chala?
Shakti Singh ne apna phone nikala aur Surya ko video dikhaya, jo unhone hotel ke toilet main chupkar record kiya tha.
Sakti Singh : Main ek meeting main gaya tha aur galti se maine yeh sun liya. Dekho, yeh Sir aur uska aadmi GJ hai, jo papa ko maarne ka plan bana rahe hain.
Surya ne video dekha. Us video main Sir ki awaaz saaf sunai de rahi thi aur uska chehra bhi dikh raha tha. GJ ka chehra saaf nahi tha, lekin unki baaton se poora plan samajh aa raha tha.
Surya : Yeh toh bahut badi saazish hai,
Surya ne video dekhne ke baad kaha
Surya : Lekin yeh Don Corleone kaun hai jiska naam yeh log le rahe hain?
Sakti Singh: Pata nahi Inki baaton se lagta hai ki woh Don Corleone bhi is plan ka hissa hai. Usne papa ke ek business partner par bhi hamla kiya hai. Iska matlab hai ki woh log bahut khatarnak hain.
Surya Aapko kaise pata chala ki inki baatein sach hain?
Sakti Singh : Inki baaton main dum tha aur Kal Raat Sach main papa ke ek business partner per hamla hua tha Aur unhone Don Corleone ke attack ki baat ki. Iska matlab hai ki unka plan shuru ho chuka hai.
Sakti Singh : Aur sabse badi baat Inki baaton se yeh bhi pata chala ki yeh log sirf bahar ke nahi hain. GJ ne plastic surgery karayi hai. Iska matlab hai ki woh family ka hi koi member ho sakta hai, jisne apna chehra badal liya hai. Isliye, main papa ko directly nahi bata sakta. Pata nahi kaun unka apna bankar unke saath dhoka kar raha hai.
Surya ne Shakti Singh ke kandhe par haath rakha.
Surya : Aapne bilkul sahi kiya, jo ap mere paas aaye. Agar ap Raja Sahab ko batate, aur ghar ka hi koi unka dushman hota, toh ap bhi khatre main aa jaate. Aap mujh par bharosa kar sakte hain.
Shakti Singh ne relief ki saans li.
Surya : Ap chinta mat kijiye Ab jab mujhe pata chal gaya hai, toh main raja Sahab ko kuch nahi hone dunga. Hum is mamle ko akele handle karenge, taaki us gaddar ko pata na chale ki hum uske plan ke baare main jaante hain. Pehle hum GJ ki asli identity pata karenge aur Don Corleone ke baare main bhi jaankari ikattha karenge.
Sakti Singh: Theek hai
Main jo bhi information collect kar sakta hoon, Tumhe deta rahunga. Bas Tum yeh yaad rakna yeh matter family ke andar se hi hai. Isliye hum main har kadam soch samajh kar uthana hoga.
Surya : Ap fikar na kariye sab thek ho Jayega
Phir surya ne apna phone nikala aur us video ki ek copy le li.
Surya : Ap fikr mat kijiye. Main sab sambhal lunga. Aur ab apko ghabrane ki zaroorat nahi hai. Hum sab thek kar denge."
Shakti Singh ke jaane ke baad, Surya ek gehri soch main doob gaya. Uske saamne ek bahut badi saazish thi. Veer Singh ke birthday party par hamla hone wala tha, aur sabse badi baat yeh thi ki is saazish main ghar ka hi koi bhediya shamil tha. Surya ko samajh aa gaya tha ki yeh maamla itna aasan nahi hai. Veer Singh ki jaan ke saath-saath poore Raghuvanshi parivar aur unse jude hue logon ki suraksha bhi daav par thi.
Surya ne apni ankheen band ki aur ek gehri saans li. Usne apne man main ek ajeeb sa mantra padha aur tabhi wahan par ek neeli roshni chamki. Us roshni mein se ek bahut hi takatwar aur shaant chehra nikal kar saamne aaya. Yeh Jinn Jagira tha, jisne Surya ke har hukm ko nibhane ka waada kiya tha.
.
Jinn Jagira: Kya hukum Hain mere aaqa Aapne mujhe yaad kiya, iska matlab hai ki koi bahut bada khatra hai. Kya hukum hai?
Surya: (serious hokar) "Jagira, hum main Veer Singh Raghuvanshi aur unke poore parivar ki suraksha karni hai. Unki jaan ko ek bade khatre se bachana hai."
Jinn Jagira: aaqa Kya is khatre ke baare main aap mujhe aur bata sakte hain?
Surya: Veer Singh ke birthday party par ek bahut bada hamla hone wala hai. Aur is saazish main unke hi ghar ka koi bhediya shamil hai, jisne apni plastic surgery karayi hai. Isliye hum main chupke se kaam karna hoga. Kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye ki hum main iske baare main maloom hai.
Jinn Jagira (sir hilate hue) : Jaisa aapka hukm, aaqa. Main apni sabse takatwar jinnon ki team ko bula lunga.
Surya ne usko roka.
Surya : Nahi, Jagira. Yeh kaam bahut hi chupke se karna hoga. Main chahta hoon ki tum apne saath 9-10 jinnon ko le jao, jo har tarah ke khatre se parivar ki suraksha kar sakte hain.
Jinn Jagira : Jaisa ap kahein, maalik. Hum sabse takatwar jinnon ko le jayenge, jo nazar bhi nahi aayenge. Unka kaam hoga Veer Singh Raghuvanshi ke parivar ke har sadasya, khaas karke unki patni aur bachhon ki raksha karna.
Surya ne apni baat ko aur clear kiya.
Surya : Sirf Veer Singh Raghuvanshi ka parivar hi nahi, balke Thakur Digvijay ( surya ke nana ka Ghar ) ke parivar ki bhi suraksha karni hai. Unke mansion ke har kone main tumhare jinn hone chahiye. Koi bhi shak ke daayre main aaye toh us par nazar rakhna, par unko chuna mat, jab tak koi hamla na ho.
Jinn Jagira: Jaisa aapka hukm, maalik. Main abhi sabse takatwar jinnon ko le kar Raghuvanshi Mansion ki suraksha main laga deta hoon. Hum unki family ko har khatre se surakshit rakhenge, aur koi bhi hamare hone ka pata nahi laga payega. Jab aap humein aage ka hukm denge, tab tak hum yahi par unki suraksha karenge.
Jinn Jagira ne sar hilaya, ek halki si roshni chamki, aur woh wahan se gaayab ho gaya. Surya ko pata tha ki usne ab ek bada kadam utha liya hai. Ab Raghuvanshi aur Digvijay parivar bilkul surakshit the. Ab usko bas Veer Singh ki family ka bhediya dhoondna tha aur us international criminal Don Corleone ka pata lagana tha.
Surya ne Kuch soch kar ek call lagaya
Kuch der main samne wale ne call utha li toh surya ne kaha
Surya : hello darling kesi ho
Samne se : you tumhari himmat kesi hui mujhe darling kehne ki jante ho na Kon ho main
Surya : ha ha ache se Janta ho ke Kon ho tum darling ek Kam tha tumse
Samne se : acha tabhi toh main soche ke janab ne itne time bad call kese Kiya hain
Surya : yar be serious family problem Hain
Samne se : sorry bolo Kya baat hain Tum bohut serious lag Rahe ho
Surya : don Corleone Naam ka ek international criminal Hain Jo Meri family ke Piche padha Hain
Samne se : kyaaa yeh Tum Kya Keh Rahe ho
Surya : kyun Kya hua
Samne se : Nahin Kuch Nahin woh Kya Hain na is don Corleone ka case mujhe handle Karne ke Liye diya gaya Hain aur main next flight se Jaipur AA Rahi ho
Surya ( khush hote Hue) : Kya Sachaim darling Tum Jaipur AA Rahi ho
Samne se : shut up agar phir se mujhe darling kaha toh samje
Surya : acha thek Hain Tum aajao Yaha per baat karge aur haa ka time mujhe Bata Dena main Tumhe airport per Lene AA jaoga okay
Samne se : woh toh Tumhe aana ho Hoga samje main Tumhe flight ka time aur details main Tumhe msg kar dungi okay
Surya : okay bye phir Raat ko Milne Hain
Samne se : bye
phir surya call cut kar deta Hain
Raghuvanshi Mansion main Veer Singh Raghuvanshi apne bade se study room main baithe the. Unka chehra shaant tha, par unki aankhon main ek ajeeb si tension nazar aa rahi thi. Tabhi darwaza khula aur unke business partner, Gaurav Kapoor, andar aaye. Gaurav ka chehra peela pad chuka tha aur woh ghabraya hua lag raha tha. Unke peechhe Veer Singh ki wife bhi thi, jo unhein tasalli dene ki koshish kar rahi thi.
Veer Singh: Aao, Gaurav. Baitho. Tum abhi bhi shock main lag rahe ho. Tumhari tabiyat toh theek hai na?
Gaurav Kapoor: (chair par baithte hue, haath kaanpte hue) "Thek kya khaak hoon, Veer? Croredo ka nuksaan ho gaya hai. Poora warehouse jal kar raakh ho gaya. Magar nuksaan se zyada, us hamle ka tarika mujhe dara raha hai.
Veer Singh: Tarika? Woh kaise?
Gaurav Kapoor : Yeh koi aam goondon ka kaam nahi tha, Veer. Woh log bade professional the. Unhone sirf ek jagah aag lagai, magar is tarah se ki poora warehouse uski lapet mein aa gaya. Aur sabse ajeeb baat... unhone kisi ki jaan ko nuksaan nahi pahunchaya. Jaise unka maksad sirf mujhe darana tha."
Veer Singh: (serious hokar) Yeh seedha-seedha mere liye ek message hain
Gaurav Kapoor : Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur tum jante ho, unka leader... woh Italian accent main baat kar raha tha. Aisa lag raha tha jaise woh koi videshi criminal ho.
Veer Singh ne apni ankheen band ki aur gehri saans li.
Veer Singh : Don Corleone,
unhone dheere se kaha.
Gaurav Kapoor : Kaun? Tum kisi ko jaante ho?
Veer Singh: Abhi pakka nahi keh sakta. Par naam suna hai. Yeh lagta hai, koi naya khiladi hamare shahar main aaya hai, aur woh seedha mujhse takkar lena chahta hai.
Gaurav Kapoor : Veer, please, tumhari ladai main main nahi aana chahta. Main abhi se apna business tumse alag kar raha hoon. Jab tak sab theek nahi hota, main tumhari koi madad nahi kar sakta.
Veer Singh ne apna haath Gaurav ke kandhe par rakha. Unki awaaz main ab gusse ke saath-saath ek solid confidence tha.
Veer Singh : Gaurav, tum jante ho, darne se koi solution nahi milta. Agar tum ab peeche hatoge, toh yeh log aur haavi ho jayenge. Main tumhe aur tumhare business ko kuch nahi hone dunga. Yeh meri zimmedari hai.
Gaurav ne unki baat maani, par uske chehre par darr saaf dikh raha tha. Woh utha aur Veer Singh ko "take care" bolkar wahan se chala gaya.
Gaurav ke jaate hi Veer Singh ne apne phone par ek number dial kiya.
Veer Singh: Security Head? Main Veer Singh bol raha hoon. Meri ek meeting hai abhi ke abhi, mere office main. Saare security reports lao, khaaskar jo pichhle 48 ghanto main hue hain. Aur haan, Don Corleone naam ke aadmi ke baare main poori jaankari chahiye. Uska har ek move, mujhe pata hona chahiye."
Veer Singh ne phone rakha aur uski aakhon main ek nayi aag jal uthi. Woh samajh chuka tha ki uske birthday par sirf celebrations nahi, balki ek bada war shuru hone wala hai.
Veer Singh ( man me ) : Corleone Tumne ek bar phir Yaha aakar apni mout ko Bula Liya Hain is bar main bi dekta ho tu kese Bach Sakta Hain pichli bar Tumhe zinda chod kar Meri bool Thi ab ki bar tujhe Nahin chodega yeh wada Raha veer Singh Raghuvanshi ka tujse
~~~aj ke Liye itna hi ~~~
“Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna„
FarewellUpdate 13
Veer Singh Raghuvanshi (Raja Sahab) apni chair par baithe the, unka chehra gehrai se soch main dooba hua tha. Unhone apne haath main rakhe ek photo frame ko dekha jis main unka poora parivaar tha. Tabhi darwaza khula aur unka security head, Colonel arun shekhawat andar aaya, jo ek ex-army officer tha.
Arun : "Sir, mujhe aapko kuch zaroori batana hai."
Veer Singh : "Haan, Colonel, bolo. Tumhara chehra itna serious kyun hai?"
Arun ne table par ek file rakhi aur ek tablet on karke Veer Singh ke saamne rakha.
Arun : "Sir, hamare sources ne confirm kiya hai ki aapki birthday party par ek bahut bada hamla hone wala hai.
Veer Singh ke chehre par koi expression nahi aaya. Woh shanti se bole,
Veer Singh : Tumne sahi suna hai na? Tumhe kaise pata chala?
Arun : Sir, hamare paas solid proof hain. Kal raat Mumbai main aapke business partner ke warehouse par jo hamla hua tha, woh ek warning thi. Yeh sab Don Corleone ne karwaya hai. Hamare agents ne uske local contacts ko track kiya hai. Unki baaton se pata chala hai ki unka maksad aapke birthday par Raghuvanshi parivaar ko khatam karna hai.
Arun ( ne aage kaha ) : Sir, hamla sirf Corleone ki taraf se nahi hai. Hum main aur bhi groups ke baare main jaankari mili hai. Lagta hai ki yeh ek bohut badi conspiracy hai. Aur Sir, ek aur baat... hamein lagta hai ki is saazish main koi Raghuvanshi parivaar se bhi mila hua hai.
Veer Singh ke chehre par ab pehli baar gusse ki laali dikhi. Unhone gusse se bola veer Singh : Kya keh rahe ho tum? Mere hi ghar ka koi sadasya?
Arun : Sir, hamare sources ne bataya hai ki hamle ka ek hissa andar se hi chalaya jaa raha hai. Ek admi ne plastic surgery karwai hai taki woh pehchan main na aaye.
Veer Singh ne ek gehri saans li aur unki aankhon main ek ajeeb si chamak aa gayi. Unhone Colonel arun ki taraf dekhkar kaha.
Veer Singh : Colonel, hamare pas ziyada waqt nahi hai. Hum main ek aisi chaal chalni hogi ki hamare dushman yeh sochein ki woh jeet gaye, lekin asliyat main woh apni maut ke jaal mein phas jaayenge."
Arun : "Sir, aapka kya plan hai?"
Veer Singh: Suno, tum abhi se ek jhoothi khabar failana shuru kar do. Sabko yeh bata do ki is saal birthday party Raghuvanshi Mansion main hi hogi, aur woh bhi bahut dhoom-dhaam se. Saare arrangements publically karo, taki hamare dushmano ko lage ki sab kuch plan ke mutabik ho raha hai.
Arun : "Lekin Sir, agar hamla yahan hua toh?"
Veer Singh : "Asal main party yahan nahi, balki ek alag secret location par hogi. Yahan par sirf tum aur hamare kuch bharosemand admi rahenge. Hamla yahan hoga, lekin hamara parivaar usse door ek surakshit jagah par rahega. Isse hamare dushman yeh sochkar aayenge ki unhone poora parivaar khatam kar diya, lekin woh sirf hamari security se takrayenge.
Arun : Sir, yeh plan bohut risky hai. Agar dushman ko pata chal gaya toh?
Veer Singh : Pata chalne nahi dena hai. Har ek kadam gupt roop se uthana hai
Dushmano ko lagna chahiye ki unhone game jeet liya, lekin is game ka asli player main hoon. Aur hamle ke din, woh gaddaar bhi yahan hi aayega, taki woh apna kaam pora kar sake. Hamara maksad us bhediye ko bhi pakadna hai.
Arun ( ne sir hilaya. ) : Jaisa ap kahe, Sir. Main abhi se is par kaam shuru karta hoon.
Veer Singh : Aur haan, is baat ka kisi ko pata nahi chalna chahiye, yahan tak ki mere parivar ko bhi nahi. Bas tum aur main hi is raaz ko jaante hain. Hamara parivar tabhi surakshit rahega, jab unhein lagega ki sab kuch normal hai.
Arun ne unko salaam kiya aur wahan se chala gaya. Veer Singh wapas apni chair par baithe aur apne chehre par ek muskan lekar us tasveer ko dekha.
Veer Singh : Mere bachon, main tumhari hifazat ke liye har had tak jaa sakta hoon. Ab is khel ka asli maza shuru hoga.
Veer Singh aur Colonel arun ki baatein jaise hi khatam hui, study room ke darwaze ke peeche se ek parchhai nikal kar aage badhi. Yeh koi aur nahi, GJ tha. Usne chupke se unki poori baat sun li thi. Uske chehre par ek evil muskan thi. Usne dheemi awaaz main kaha.
GJ : Veer Singh, tumne socha ki tum humse ziyada chaalak ho? Tumne apne parivar ko bachane ka plan banaya hai, lekin tum yeh bhool gaye ki tumhare apne hi tumhare sabse bade dushman hain. Ab hum tumhari chaal ko tumhare khilaaf istemal karenge. Tumne jo jaal bichhaya hai, us main ab tum khud hi phansoge. Hahahahahaha...
GJ jaldi se wahan se nikal gaya, jaise usko pata tha ki kaun aage aane wala hai. Uske jaane ke kuch hi seconds baad, uski jagah Vinod Singh Raghuvanshi ne le li, jo andar se ek drink lene jaa raha tha. Lekin usko GJ ke hone ka pata bhi nahi chala.
Next day :-
Subah 9 baje ka waqt tha. Surya Jaipur airport par apni TVS bike par khada tha. Uska chehra shaant tha, lekin uski aankhon main ek tez chamak thi. Woh apni dost ka intezaar kar raha tha.
Kuch der baad, airport ke arrival gate se ek ladki nikal kar aayi. Usne black jeans aur ek simple white top pehna hua tha, lekin uski chal se hi uski authority saaf dikh rahi thi. Yeh aur koi nahi, Divya Mehra thi.
(Jee Haan doston jisse surya baat kar Raha tha yeh koi aur Nahin ACP Divya mehra Thi )
Divya ne Surya ko dekha aur uske paas aakar boli
Divya : Tumhara dimag kharab ho gaya hai? Mujhe darling bola! Tum jaante ho na main police main acp ho
Surya ( haste hue ) : Acha... toh ek baar One police hone ka certificate dikha do. Waise bhi, darling toh darling hi hoti hai,
Divya ne gusse se uski taraf dekha.
Divya : Tum kabhi nahi sudhar sakte. Waise, tumne bataya nahi ki tumhare paas bike bhi hai. Ab chalo, humein jaldi se hotel jaana hai.
Surya ne uski baat sunkar Divya ko apni bike par baithne ka ishara kiya. Divya bike par baith gayi aur usne Surya ko raste main kaha,
Divya : Pehle tum mujhe woh video dikhao jo tumne mujhe kal raat ko bataya tha. Main jaanna chahti hoon ki tum kis musibat main ho."
Surya ne bike chalate hue kaha,
Surya : Yeh video hotel main dikhaunga, par ek baat batao... kya tumhein sach main lagta hai ki Don Corleone jaisa criminal itna asani se pakda jayega?
Divya ne apni saansein chhodte hue kaha,
Divya : Tumhari baat sunkar mujhe bhi lag raha hai ki yeh mamla bohot hi pecheeda hai. Is liye toh main khud aayi hoon. Hum saath main is case ko solve karenge. Par mujhe abhi bhi samajh nahi aa raha ki tumhare jaise am ladke ka is sab se kya connection hai.
Surya ne bas muskuraya aur usne koi jawab nahi diya
Hotel pahunchne ke baad, Divya aur Surya uske room main chale gaye. Divya ne pehle toh uske hotel room ko dekh kar socha ki Surya bohot ameer hai, lekin usne kuch nahi kaha. Surya ne usko video dikhaya, jismein Sir aur GJ ki baatein thi.
Video dekhne ke baad, Divya ka chehra serious ho gaya.
Divya : Yeh toh wahi case hai jiski Mumbai Police jaanch kar rahi hai. Don Corleone ka naam bhi hai. Lekin, yeh GJ kaun hai aur usne plastic surgery kyun karwai hai?
Surya ne usko Shakti Singh ke saath hui apni mulakat ke baare main bataya. Divya ne saari baat suni aur ek gehri soch main doob gayi.
Divya : Toh iska matlab hai ki Raghuvanshi parivar ka hi koi sadasya unke saath gaddari kar raha hai. Ab humein yeh dhoondhna hoga ki woh kaun hai aur yeh Don Corleone yahan kya kar raha hai.
Tabhi, Divya ke phone ki ring baji. Screen par 'Kiran' naam dekhkar Divya hairaan ho gayi. Usne call uthaya.
Kiran : hello Divya tu thek toh Hain na Maine tujhe Kitne call Kiya lekin tera phone switch off AA Raha hain kher yeh sab chod main Kisi zarori Kam ke Liye Jaipur ayi ho tohujhe aane main time lagega okay
Divya shock main Surya ki taraf dekha aur phir boli,
Divya : Kiran... Tu... Tu Jaipur main hai?
Kiran : Haan, main Jaipur main hoon. RAW ne mujhe ek mission par bheja hai. Lekin tu yeh sab kyun poch Rahi Hain sab thek toh Hain na
Divya : Main bhi... main bhi Jaipur main hoon. Mumbai Police ne mujhe yahan ek case ke liye hi bheja hai. Tu kahan hai?
Kiran : Main airport ke pas hi hoon. Tu kahan hai? Main aati hoon tere pas.
Divya ne hotel ka address bataya, aur call cut kar di. Divya ka chehra hairaani aur pareshaani se bhara hua tha. Surya ne uski haalat dekhkar usse poocha.
Surya : Kya hua? Tum itni hairaan kyun lag rahi ho?
Divya : Woh Kiran hai na Woh bhi Jaipur main hai. Aur woh bhi ek case par kaam kar rahi hai.
Surya ne Divya ki taraf dekha aur usne kaha,
Surya : Yeh toh bohot acchi baat hai. Ab humein aur bhi madad mil jayegi. Tumhare aur tumhari sister ke milne se hamari team aur mazboot ho jayegi.
Kuch der baad, hotel room ka darwaza khula aur andar Kiran Mehra aayi. Usne Divya ko dekha aur gale laga liya. Dono judwaa behen bohut pyari lag rahi thin. Kiran ne Surya ko dekha aur usko muskurate hue haath milaya.
Kiran : Hi, Surya, tum kaise ho?
Surya ne usko welcome kiya.
Surya : Main thek hoon, lekin meri darling mujhse naraz hai.
Divya ne gusse se Surya ki taraf dekha.
Divya : Tumhari himmat kaise hui mujhe phir se darling kehne ki?
Surya ne Divya ko chidate hue kaha,
Surya : Toh kya karogi? Mujhe marogi? Hahaha...
Dono ke beech nok-jhok shuru ho gayi.
Kiran : Bas karo tum dono! Har baar milte hi shuru ho jaate ho.
Kiran ne haskar dono ko chup karaya.
Small intro of Divya and Kiran family :-
Balram mehra ( death )
Mumbai Police main ek honest aur brave inspector the. Ek baar, jab woh ek bade gang ke khilaaf investigation kar rahe the, tab us gang ke leader ne unko maar diya.
Sarla Mehra ( death )
ek social worker thi, aur unka sapna tha ki inki betiyan honest aur achi insaan banein. Jab unke pati ko mara gaya, tab us attack main inko bi mar diya gaya
Divya aur Kiran ( age 24 ) saal ki judwaa behenein hain. lekin sakal nahi milti lekin dono ki personality alag hai. Divya aggressive, tez-tarrar aur practical hai, jabki Kiran shaant, aatmavishvasi aur strategic hai. Dono apni physical aur mental abilities ke liye jaani jaati hain.
ACP Divya mehra
Raw agent Kiran mehra
Jab inke maa bap per attack hua tab Divya aur Kiran bilkul toot gaye the.
Us attack main Divya aur Kiran ko bhi bohot chot lagi thi aur woh behosh ho gaye the, tab Surya ne unki jaan bachayi thi. Us waqt Surya ne unko ek hospital main admit karwaya tha, aur tab se hi yeh teeno ek doosre ko jaante hain. Surya ne unko bataya tha ki woh bhi unki tarah hi orphaned hai, aur tab se hi Divya aur Kiran ne usko apna sabse acha friend manna shuru kar diya tha
Surya ne unko us waqt bataya tha ki woh Mumbai main rehta hai aur wahan ek college main padhai karta hai. Divya aur Kiran ne uski baat maan li thi, kyunki us waqt woh bahut emotional the. Lekin Surya ne apni asli identity unko kabhi nahi batayi thi.
Aaj, jab teen saal baad, woh ek baar phir mil rahe the, tab unki aankhon main ek ajeeb si chamak thi. Unko pata tha ki unki ladai ab aur bhi mushkil hone wali hai, kyunki unka dushman ab aur bhi bada hai. Lekin unhein yeh bhi pata tha ki woh ab akele nahi hain. Unke paas ab ek doosre ka sahara tha.
Kiran ne haskar dono ko chup karaya aur phir serious hokar Surya ki taraf dekha.
Kiran : Acha, tum dono ka to yahi chalta rahega. Ab humein serious hona chahiye
Kiran : tumne Divya ko kya bataya hai? Aur tum is sab main kaise involved ho?
Surya ne Divya aur Kiran ko apne paas bulaya aur dheere se kaha,
Surya : Abhi jo main tum dono ko batane wala hoon, woh sirf tumhare aur mere beech hi rahega. Iske baare main kisi ko pata nahi chalna chahiye, yahan tak ki tumhare officers ko bhi nahi.
Divya aur Kiran ne haan main sir hilaya.
Surya ne unko Veer Singh Raghuvanshi, Don Corleone, aur ghar ke bhediye (GJ) ke baare main sab kuch bataya. Usne Shakti Singh ke phone se li hui video bhi unko dikhai. Divya aur Kiran yeh sab sunkar hairan the.
Kiran : Toh iska matlab hai ki Don Corleone sirf ek criminal nahi, balki national security ke liye bhi khatra hai. Aur hamara maksad ab sirf Veer Singh Raghuvanshi ko bachana nahi, balki is conspiracy ko bhi expose karna hai.
Divya : Haan, aur us bhediye ko bhi dhoondhna hai, jo ghar ke andar se hi hamla kar raha hai. Surya, tum is sab main kaise involved ho?
Surya ne Divya ko kaha
Surya : Main Raghuvanshi parivar se pehle mil chuka hoon. Aur woh mujhe apne birthday party par bhi invite kar chuke hain. Isliye main bhi unko bachana chahta hoon."
Kiran ne hairani se poocha,
Kiran : Tum unko kaise jante ho? Tumhara unse kya rishta hai?
Surya ne apni asli identity chupaane ke liye ek jhoot bola,
Surya : Main Sonia ka friend hoon. Usne hi mujhe unse milwaya tha. Aur Sonia ki madad ki wajah se hi maine unko bachaya.
Divya ne kaha : Surya, tum humse kuch chupa rahe ho. Tum ek simple college student nahi ho. Tum itne bade hotel main kaise reh rahe ho? Aur tumhein itni badi conspiracy ke baare main kaise pata chala?
Surya ne bas muskuraya aur kaha,
Surya : Main tumhara friend hoon, yahi kafi hai. Abhi us sab par focus mat karo. Hamara maksad ab ek hai: Veer Singh Raghuvanshi ko bachana aur unke dushmano ko unki jagah dikhana."
Ab teeno ne milkar ek plan banaya.
Divya: Thek hai. Main Mumbai Police ki taraf se hoon aur Kiran RAW ki taraf se hai. Ab hum dono alag-alag departments se hain, lekin hum milkar kaam karenge. Hum Don Corleone ke har move par nazar rakhenge aur uske local contacts ko dhoondhenge.
Kiran : Divya, main Corleone ke network aur uske international connections ko dhoondhungi. Tum uske local contacts par focus karo. Aur Surya, tum Raghuvanshi mansion ke andar se information collect karo. Tum unke saath birthday party par jaoge. Wahan par tum us bhediye ko pehchan sakte ho.
Surya ne kaha : Main party par jaunga aur us bhediye ko dhoondhne ki koshish karunga. Lekin tum dono ko bhi savdhan rehna hoga. Don Corleone bohot khatarnak hai aur woh tum dono ko pehchan sakta hai.
Divya ne kaha : Surya, tum chinta mat karo. Hum Don Corleone se kaise deal karte hain, yeh tum achhe se jaante ho. Tum bas apna kaam karo.
Kiran ne bhi haan main sir hilaya.
Kiran : Haan, humne tumhari wajah se hi itna kuchh seekha hai. Tumne hamari jaan bachai hai, aur hum bhi tumhari tarah hi honest aur brave hai.
Surya ne un dono ko gale lagaya aur kaha,
Surya Mujhe tum dono par pura bharosa hai. Ab humein kaam par lagna chahiye. Waise, Kiran, tum ab kahan jaogi?
Kiran ne kaha : Main apne safe house main jaungi. Wahan se hi main apna kaam shuru karungi.
Divya ne kaha : Surya tum akele mat rehna. Main bhi tumhare saath hi rahungi.
Surya ne Divya ko chup karaya.
Surya : Nahi, Divya. Tumhe akele kaam karna hoga. Hamara maksad Corleone ko pakadna hai, aur tum woh kaam akele hi kar sakti ho.
Divya ne socha : Thek hai. Main tumhare saath hotel main hi rahungi, par alag room main
Surya ( ne has kar kaha ) : Acha... toh jaise tum kaho, darling.
Divya ne usko gusse se dekha
Divya : Tum kabhi nahi sudhar sakte.
Kiran ( ne haskar kaha ) : Tum dono ka to yahi chalta rahega. Ab main chalti hoon. Hum jaldi milenge.
Kiran wahan se chali gayi. Divya aur Surya ab hotel main akele the. Unko pata tha ki unka kaam ab shuru ho chuka tha aur unki ladai ek bade dushman se hai. Lekin unhein yeh bhi pata tha ki woh ab akele nahi hain. Unke paas ab ek doosre ka sahara tha.
Kuch der baad, jab Surya aur Divya hotel room main akele the aur aage ke plan par baat kar rahe the, tabhi Surya ka phone baja. Screen par "Naira" ka naam dekhkar Surya ke chehre par ek muskan aa gayi.
Surya ne call uthaya.
Surya : Hello, Naira... kaisi ho?
Naira : Main thek hoon, Surya. Tum kahan ho? Main tumhare pas aana chahti hoon. Kya hum coffee par mil sakte hain?
Surya ne Divya ki taraf dekha, jiske chehre par ab hairani aur thoda sa gussa tha
Surya : Naira, main thoda busy hoon. Tumhe kuch kaam hai?
Naira : Tumne kal kaha tha ki hum 'touch' main rahenge. Isliye main tumse milna chahti hoon. Tum kahan ho? Main aati hoon.
Surya ne muskurate hue kaha,
Surya : Thek hai, Tum jagha decide karo aur mujhe msg kar Dena main AA jaoga okay
Naira : okay thek Hain bye
Usne call cut kar di aur surya ne Divya ki taraf dekha, jo ab gusse se uski taraf dekh rahi thi.
Divya: "Yeh kaun hai? Aur yeh Naira kaun hai?
Surya ( ne haskar kaha ) : Yeh Naira hai, jisse main college main mila tha. Ab usko mujse coffee per milna hai.
Divya ( ne sar hilaya ) : College student? Surya, tum humse kuch chupa rahe ho. Tumhari life main itne saare log kahan se aa gaye? Aur ab yeh kaun hai? Aur tum use milne kyun jaa rahe ho?
Surya ne Divya ko chidate hue kaha
Surya : kyunke woh Meri bestest friend Hain darling
Divya ne usko gusse se dekha aur kaha,
Divya : Tum kabhi nahi sudhar sakte. Par ek baat suno, agar tumhari is 'Naira' ki wajah se hamara plan bigad gaya, toh main tumhe nahi chhodungi.
Surya ne usko chup karaya aur kaha,
Surya : Tum chinta mat karo, darling. Sab thek ho jayega.
Divya ne usko gusse se dekha aur ek gehri saans li
Divya: Thek hai. Ab humein Don Corleone aur uske admiyo ko dhoondhna hoga. Aur tumhara kaam hai us bhediye ko pehchanna.
Surya ne muskurate hue kaha, "Thek hai. Ab kaam par lagte hain Lekin use pahle main “NAIRA „ se Milne jaa Raha ho
Abhi yeh baate kar Rahi Rahe the ke tabhi surya ke phone per ek msg ka pop hua surya ne jab dekha toh naira ka msg tha jisko dekar surya muskurate hue Divya se kaha
Surya : Divya Tum yahi with karo main ek gante main wapis AA jaoga okay
Divya ( gusse main ) : waise jaa kaha Rahe ho
Surya : xxx hotel main Tum Jana Chahti ho Kya
Divya : bilkul bi Nahin dada ho Jao yaha se
Yeh sunkar surya haste hue waha se Nikal jata Hain
Ek taraf, Mumbai Police aur RAW ki agents ek international criminal ke peeche lage the, aur dusri taraf Senapati aur uske admi Mumbai ke jungle main apna agla kadam utha rahe the.
Senapati mandir ke andar baitha hua tha aur uske saamne ek chamakti hui Divya Mani ki tasveer thi. Uske chehre par ek ajeeb si shanti thi, lekin uski ankhoo main ek aag thi
Senapati : Hamare purvajon ne is Divya Mani ko Raghuvanshi parivaar se chheen ne ki bohot koshish ki thi, lekin woh nakam rahe. Lekin ab, yeh Divya Mani hamari hai aur hum isse lekar rahenge.
Uske saamne baithe ek aadmi ne poocha,
Admi 1 : Senapati ji, aapka agla kadam kya hai? Hamla toh birthday party par hona hai.
Senapati : Haan, hamla birthday party par hi hoga, lekin use pehle hamein ek aur kaam karna hoga. Hamare pas ek aisi information hai, jo hamare liye game-changer ban sakti hai. Hamare spies ne hamein bataya hai ki Raghuvanshi mansion ke piche ek gupt surang hai, jis mein yeh Divya Mani chhupi hai."
Sabhi log hairaan ho gaye.
Senapati : Is Divya Mani ko sirf Raghuvanshi parivar ka hi koi sadasya chala sakta hai. Isliye, hamein hamle ke dauran, Raghuvanshi parivaar ke kisi sadasya ko zinda pakadna hoga. Aur usko majboor karke Divya Mani ko bahar nikalwana hoga.
Ek aur admi ne poocha : Lekin Senapati ji, hamla toh Don Corleone bhi karne wala hai. Kya hamara use koi connection hai?
Senapati : Hamara Corleone se koi connection nahi hai. Lekin hamara maksad ek hai Raghuvanshi parivar ko khatam karna. sabse pehle Raghuvanshi parivar ko khatam karenge aur uske baad, agar Don Corleone hamare beech main aaya, toh hum usko bhi nahi chhodenge.
Senapati ne apne saare aadmiyon ko birthday party ki taiyari karne ka hukm diya. Uske baad, woh wahan se chala gaya, aur uske chehre par ek evil smile thi. Use pata tha ki uski ladai sirf Raghuvanshi parivar se nahi, balki Don Corleone se bhi hai. Lekin usko yeh bhi pata tha ki woh is ladai main zaroor jeetega, kyunki uske pas Divya Mani ki shakti thi.
~~~Aj ke Liye itna hi ~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna
Outstanding update great job![]()
![]()
![]()
Thank youFarewell
Fabulous and beautiful update![]()
![]()
![]()
![]()
Great jobUpdate 14
Surya hotel se nikal kar apni TVS bike par baitha aur seedha us hotel ki taraf chal pada jiska address Naira ne bheja tha. Raaste bhar uske dimag main Divya ki baatein ghoom rahi thi. Usne socha ki agar Divya ko pata chal gaya ki woh ek aur ladki se milne jaa raha hai, toh woh pakka use daantegi. Par uske chehre par ek muskurahat thi, jaise woh is nok-jhok ko enjoy kar raha ho.
Jab woh hotel ke andar pahuncha, toh usne dekha ki Naira ek coffee shop main uska intezaar kar rahi thi. Usne ek beautiful black dress pehni hui thi, aur woh bohot hi khubsoorat lag rahi thi. Naira ne Surya ko dekha aur muskurate hue haath hilaya.
Naira : Hi, Surya. Aao, baitho.
Surya uske paas gaya aur ek chair par baith gaya.
Surya : "Tum bohot khubsoorat lag rahi ho,
Naira Tumne pehle se bhi zyaada acchi lag rahi ho.
Naira thoda sharma gayi aur usne Surya ko thank you bola.
Naira : "Waise, tumne bataya nahi ki tum Mumbai main kahan rehte the. Tum toh college ke ladke ho, par lagte toh nahi ho. Tumhari baaton main ek alag hi seriousness hai.
Surya ne haskar jawab diya
Surya : "Mumbai main rehta tha ab Nahin, lekin college ke student hone ke saath-saath main ek aur bhi kaam karta hoon. Waise, tum yahan akele ho, ya tumhare parents bhi saath hain?
Naira : "Papa business trip par gaye hain, aur mari uske Saath banti Nahin Hain . Aur nahi unse milne Chahti ho aur waise bi Tumse milna zaroori tha.
Surya : "Mujhse? Mujhse kya kaam tha?
Naira ne ek gehri saans li aur usne apni baat Shuru kardi
Naira : "Mere papa na, woh bohot ghamandi hain. Unko sirf paison se matlab hai. Meri maa ne ek NGO khola hai, lekin papa unki koi help nahin karte. Ulta, unko pareshaan karte rehte hain. Aur meri behen, Arti, woh bhi papa ki tarah hai. Woh humesha paison ke peeche bhagti rehti hai.
Naira ne aage kaha,
Naira : Main apni maa ki madad karna chahti hoon, lekin mere pas itne paise nahi hain. Agar main apne papa se maangti hoon, toh woh mujhe daantte hain. Main apni maa ko khush dekhna chahti hoon. Woh ek bohot hi acchi social worker hain, par unke paas itne resources nahi hain.
Surya ne use kaha,
Surya : "Tum chinta mat karo, Naira. Ab main tumhare saath hoon. Tum bas mujhe batao ki tumhari maa ka NGO kis kaam main hai, aur unko kitne paison ki zaroorat hai. Main unki madad karunga.
Naira ne hairani se Surya ki taraf dekha.
Naira : "Tum meri madad karoge? Tum toh ek student ho, tum kahan se paise laoge?
Surya ne muskurate hue kaha,
Surya : "Paisa mere liye zaroori nahi hai, Naira Main tumhari aur tumhari maa ki madad karunga. Tum bas mujhe address bata do.
Naira ne Surya ki baat maani aur usne usko apni maa ke NGO ka address de diya. Surya ne usko tasalli di aur kaha
Surya : "Ab tum khush ho jao. Main tumhari maa ki zaroor madad karunga
Abhi yeh dono baat kar hi Rahe the ke surya ka mobile per Kisi ka phone aane Laga jab surya ne dekha toh us main sakti Singh ka Naam show ho Raha tha
Surya : naira Tum toda with karo main yeh call attend Karke aata ho okay
Naira : okay no problem
Phir surya waha se uth kar ek side gaya aur dono ke bech Kuch baate hui phir surya ne call cut kardi
Phir surya wapis AA kar naira ke Saath beth gaya aur coffee pi aur phir wahan se nikal gaye. Naira ne Surya ko thank you bola aur uski aankhon main ek naya vishwas tha
Jab Surya apni bike par wapis jaa raha tha, tab uske dimag main Divya ka chehra tha
Raghuvanshi mension :-
Veer Singh Raghuvanshi ne Colonel Arun Shekhawat se baat karne ke baad, apne parivaar ke sabse bharosemand sadasyon ko ek secret meeting ke liye bulaya. Is meeting main sirf woh, Dadi ji, Paramveer aur Shakti Singh the.
Veer Singh : "Hum ek mushkil waqt se guzar rahe hain. Mere birthday par ek bohot bada khatra hai. Lekin hum is khatre se darte nahi hain.
Paramveer : Dad, hume pata hai ki aapki birthday party par attack hone wala hai. Par ap chinta mat kijiye. Hum sab aapke saath hain.
Shakti Singh (darte hue) : Lekin bhai sahab, woh log bohot khatarnak hain. Unhone hamare business partner par bhi attack kar diya. Hamein kuch karna hoga.
Veer Singh : Wahi toh main keh raha hoon. Hum ek naya plan banayenge. Hamare dushmano ko lagega ki woh game jeet gaye, lekin asliyat main woh hamare jaal main phans jaayenge.
Veer Singh ne apna plan unko bataya. Unka plan tha ki woh party ek alag secret location par rakhenge, aur us jagah ko puri tarah se secure karenge. Aur yahan, Raghuvanshi Mansion main, woh sirf kuch bharosemand aadmi rakhenge, taaki dushmano ko lage ki woh unko maar denge.
Veer Singh : "Hum apne dushmano ko yeh bhi batayenge ki hamare pas ek Divya Mani hai, jo hamare liye game-changer ban sakti hai. Ise woh us Divya Mani ko chheen ne ki koshish karenge, aur hum unko wahin par pakad lenge.
Shakti Singh ne Veer Singh ki baat suni aur unka chehra peela pad gaya. Unhone socha ki woh Surya ko yeh baat bata denge.
Shakti Singh ( man main ) : "Yeh toh bohot hi khatarnak plan hai. Mujhe Surya ko yeh sab batana hoga.
Shakti Singh Raghuvanshi ne man hi man main faisla kar liya tha ki woh Apne papa ka khatarnak plan Surya ko batayega. Uske man main dar tha, lekin usko Surya par bharosa bhi tha. Meeting khatam hone ke baad, jab sab log wahan se chale gaye, tab Shakti Singh ne jaldi se Surya ko phone kiya.
Shakti Singh : Surya, main Shakti Singh bol raha hoon. Ek bahut zaroori baat karni hai.
Surya : Sir, sab thek toh hai na? Aapki awaaz se lag raha hai ki aap ghabra rahe hain.
Shakti Singh : Nahi, sab thek nahi hai. Papa ne ek naya plan banaya hai. Unhone bataya ki hamle ke din, woh birthday party ek secret location par rakhenge, aur yahan sirf hamare kuch bharosemand admi rahenge. Dushmano ko lagega ki woh jeet gaye, lekin woh hamare jaal main phans jayenge.
Surya : Yeh toh bohut hi khatarnak plan hai! Unhone aisa kyun kiya?
Shakti Singh : Unka plan yeh hai ki woh dushmano ko yeh bhi batayenge ki hamare paas ek Divya Mani hai, jo hamare liye game-changer ban sakti hai. Ise woh us Divya Mani ko chhen ne ki koshish karenge, aur hum unko wahin par pakad lenge.
Surya yeh sunkar hairan ho gaya.
Surya : Divya Mani? Yeh kya hai, Sir?
Shakti Singh : Mujhe bhi iske bare main zyadah jaankari nahi hai. Bas itna pata hai ki yeh bohot hi powerful hai. Mujhe laga ki main tumhein yeh sab batana chahiye.
Surya ne usko tasalli di.
Surya : Aapne bilkul sahi kiya, Sir. Ab main is matter ko apne tarike se handle karunga. Ap bas unke plans par nazar rakhiye aur mujhe update karte rahiye.
Shakti Singh ne Surya ko thank you bola aur phone cut kar diya. Ab Surya ko Divya Mani ke baare main jaanna tha. Uske man main bohut se sawal the.
Kiran Mehra side :
Kiran apne safe house main baithi thi. Uske paas kuch files thi, jin main Don Corleone ke baare main poori jaankari thi. Usne Don Corleone ke har ek move ko track kiya tha. Usne uske local contacts ko bhi dhoondh liya tha.
Kiran ( man main ) : "Don Corleone bohot hi khatarnak criminal hai. Woh sirf paison ke liye kaam nahi karta. Uska maksad kuch aur bhi hai. Uske local contacts bhi bohot powerful hain. Mujhe un sabko expose karna hoga."
Tabhi, uske phone ki ring baji. Screen par ek unknown number tha. Usne phone uthaya
Unknown voice : Kiran Mehra? Main tumse milna chahta hoon.
Kiran : "Kaun bol rahe ho?
Unknown voice : Main tumse milkar hi bataunga. Main tumhe address bhej raha hoon. Jald se jald wahan pahunch jao. Yeh tumhari national security se juda hua mamla hai.
Kiran ne phone cut kar diya aur uske chehre par ek ajeeb sa expression tha. Usne socha ki kaun ho sakta hai jo use milna chahta hai. Par usne us address par jaane ka faisla kar liya. Usne socha ki agar yeh koi gaddar hua, toh woh usko wahin par khatam kar degi.
Don Corleone's Plan
Don Corleone apne hotel room main baitha tha, aur uske saamne uska laptop tha. Uske laptop par Raghuvanshi Mansion ka blueprint tha. Usne apne local contacts se baat ki
DC : Tum logon ne Raghuvanshi jaha party de Rahe Hain waha ki security ko ache se jaanch kiya hai na? Koi galti nahi honi chahiye.
Contact 1 : Yes, Don. Humne sab kuch check kar liya hai. Wahan par koi bhi CCTV camera ya security guard nahi hai. Sab kuch normal hai.
DC : Perfect. Ab tum sab birthday party ki taiyari karo. Main apni team ke saath wahan pahunch jaunga. Aur haan, yeh dhyan rakhna ki woh Divya Mani hamare paas honi chahiye.
Contact 2 : Divya Mani? Woh kya hai, Don?
DC : Woh tumhare kaam ki chez nahi hai. Tum bas apna kaam karo.
Corleone ne apni aankhoo main ek ajeeb si chamak ke saath kaha
DC : Veer Singh, ab tumhara waqt khatam ho chuka hai. Main tumhari family ko khatam karunga, aur tumhare Divya Mani ko chhen lunga. Kyunke Don Corleone aa chuka hai.
Surya side :-
Surya apni bike par sochta hua jaa raha tha ki tabhi, raaste main use ek mandir dikha. Mandir main bohot bheed thi aur zor se Ramayan Katha chal rahi thi. Is katha main usko bohot interest aaya aur woh bhi bike rok kar wahan chala gaya.
Katha ka aakhri hissa chal raha tha,
jismein Ram aur Raavan ka yudh dikhaya jaa raha tha.
Mahaguru : "Jab Raavan ne Sita Mata ka apaharan kiya, tab Shri Ram ne poori vanar sena ke saath milkar Lanka par chadai ki. Raavan bohot takatwar tha, lekin Shri Ram ki bhakti aur satya ke aage woh har gaya. Aakhir main, Shri Ram ne Raavan ka ant kiya, aur Sita Mata ko wapas lekar aaye. Is katha se humein yeh sikh milta hai ki satya hamesha jhooth par jeetta hai, aur achai hamesha burai par jeetti hai.
Katha khatam hone ke baad, sab log wahan se chale gaye. Mahaguru ne Surya ko dekha aur usko apne paas bulaya.
Mahaguru : "Aao, beta. Tum kaun ho aur yahan kya kar rahe ho?
Surya ne unko pranam kiya aur bola,
Surya : Guru ji, mera naam Surya hai. Main toh bas katha sunne aaya tha.
Mahaguru : Tumhare chehre par ek alag hi chamak hai, beta. Tum koi aam insan nahi ho. Tumhara mann bohot hi shaant hai, lekin tumhare andar ek aag hai, jo tumhein kuch bada karne ke liye prerit kar rahi hai.
Surya yeh sunkar hairan ho gaya. Mahaguru ne muskurate hue kaha,
Mahaguru : "Chinta mat karo, beta. Main jaanta hoon ki tumhara maksad kya hai. Main tumhe ek choti si kahani sunaunga.
Mahaguru : "Hazaaron saal pehle, Raghuvanshi parivaar ke purvajon ko ek bohot hi powerful Divya Mani mili thi. Is Divya Mani main itni shakti thi ki woh poori duniya ko barbaad kar sakti thi ya usko bachaa bhi sakti thi. Lekin isko chalaane ke liye ek special khoon ki zaroorat thi. Isliye, Raghuvanshi parivaar ne usko ek gupt surang main chupa diya, jahan koi bhi usko chhoo nahi sakta tha.
Mahaguru ne Surya ko aage bataya,
Mahaguru : Ab woh Divya Mani agle 10 dino main jaagne wali hai. Aur jis din woh jaagegi, us din agar koi bhi usko chhoo leta hai, toh uski saari shaktiyan uski ho jayengi. Lekin woh shaktiyan sirf woh hi le sakta hai, jiske khoon main Raghuvanshi parivaar ka khoon ho.
Surya yeh sunkar chauk gaya. Usne socha ki agar yeh sach hai, toh Divya Mani ka use galat haath main nahi hona chahiye. Mahaguru ne muskurate hue kaha,
Mahaguru : "Beta, tum uski chinta mat karo Divya Mani per jiska adikar Hain Divya Mani us tak khud hi ponch jaygi. bas Tum peri ek baat yad rakna kabhi bi burai ka Saath mat dena Tum bas apne dil ki suno aur aage badho.
Surya : danyawad guru ji mujhe yeh sab batane ke Liye
Mahaguru : putra jab Tum Apne parivar ko shurakshit karo uske bad mujse Milne AA Jana Tum se Kuch zarori baat Karni Hain
Surya yeh sunkar shock ho gaya aur bola
Surya : Aaaap ko kese pata aur kyaaa baat Karni Hain
Mahaguru : Tum chinta mat karo aur ha har ek baat ka Sahi samay hota Hain jab woh samay ayega toh sab kuch. Apne ap thek ho Jayega
Surya ne Mahaguru ko dhanyavad bola aur wahan se chala gaya. Ab usko Divya Mani ke baare main sab kuch pata chal gaya tha aur uska maksad ab aur bhi bada ho gaya tha.
Jab Surya wapas hotel main aaya, toh usne Divya ko bohut gusse main dekha. Divya ne usse poocha,
Divya : "Kahan gaye the? Itni der se? Aur woh Naira kaun hai? Tumhe yaad nahi ki hamara ek case chal raha hai?
Surya ne haskar kaha,
Surya : "Darling, main tumhe yeh sab nahi bata sakta. Par main Naira se milkar aaya hoon. Aur ab humein apne case par focus karna hoga. Ab humein Don Corleone ko dhoondhna hoga.
Divya ne uski baat maani, par uske chehre par abhi bhi gussa tha. Dono ne milkar Corleone ko dhoondhne ka plan banaya. Unka plan tha ki woh uske local contacts ko track karenge, aur unhein pakad lenge.
Surya : Ab humein Don Corleone ko dhoondhna hoga. Usne Veer Singh ke birthday party par attack karne ka plan banaya hai. Agar hum usko usse pehle pakad lete hain, toh Veer Singh ki jaan bach jayegi."
Divya : "Tum sahi keh rahe ho. Ab humein apna kaam shuru karna hoga. Main apne sources se baat karti hoon.
Abhi yeh baat kar hi Rahe the ke tabhi Divya ka phone bajne Laga Divya ke dekha toh Kiran ki call Thi Divya ne uthi aur Kiran se baat Karni lagi baat Karne ke bad Divya ne call cut kardi aur surya se boli
Surya : Kya hua kiski call Thi
Divya : Kiran ki call Thi usne mujhe bataya hai ki usko ek anjaan aadmi ne bulaya hai. Usne kaha hai ki woh national security se juda hua mamla hai.
Surya yeh sunkar chauk gaya.
Surya : Yeh kaun ho sakta hai? Kya tumhein kuch pata hai?
Divya ne na main sir hilaya.
Divya : Nahi, lekin mujhe lagta hai ki yeh Don Corleone se juda hua hai. Kiran ne us anjaan aadmi ka pata lagaya hai. Woh Mumbai ka ek bohot hi influential businessman hai, jiska naam hai Main aur Kiran usse milne jaa rahe hain.
Surya ne Divya ko dekha, uske chehre par ab chinta thi.
Surya : Divya, tum dono savdhan rehna. Yeh sab ek jaal ho sakta hai. Aur haan, yeh sab kuch Kiran ko bhi mat batana.
Divya ne muskurate hue kaha,
Divya : Tum chinta mat karo. Hum Don Corleone se kaise deal karte hain, yeh tum achhe se jaante ho
Surya : thek Hain Tum apna deyan rakna
Divya : thek Hain bye
Surya : bye darling
Divya surya ko gusse se dekne lagi Lekin surya muskura Raha tha ek pal ke Liye Divya surya main hi kho gayi Lekin jaldi hi usne Apne so ko sambala aur waha se Nikal gayi
Wahi dusri taraf :-
Jab Sanjay ko hosh aaya, usne sabse pehle apni aankhein kholi aur aas-paas dekha. Uske saamne uski biwi Santi, beta Vikram, beti Mehar aur chhota beta Manav baithe the. Mehar aur Manav ki aankhon main aansu the aur Vikram ka chehra udaas tha. Santi un sabko sambhal rahi thi.
Sanjay ki halat dekh kar, Santi ki aankhon main bhi aansu aa gaye. Usne Sanjay ka haath pakad liya.
Sanjay : "Santi... main thek hoon. Vikram... Mehar... Manav...
Sanjay ne kamre main nazar daudai, par usko ek chehra nazar nahi aaya. Wo chehra usko pareshan kar raha tha.
Sanjay: "Santi... Surya kahan hai? Wo dikhai nahi de raha.
Sanjay ke is sawal par Santi ka gussa wapis aa gaya. Uski aawaz main pehle jaisa pyaar nahi tha, balki ab usmein thodi kadwahat thi.
Santi : Uska naam mat lo, Sanjay. Uski wajah se hi tumhari aur bachchon ki ye halat hui hai.
Sanjay ko kuch samajh nahi aaya. Usne confuse hokar poocha,
Sanjay : Kya hua hai? Kiski wajah se? Saf-saf batao, Santi.
Vikram ne aage badhkar kaha,
Vikram : Papa, wo us ladki ke piche pad gaya tha, jisne usko dhokha diya. Usne us ladki ko bachane ke liye kuch gundo ko maara tha, jinki wajah se unhone tumhara accident karwaya. Police ne bhi aakar bataya, aur... aur...
Vikram ki baat sunkar, Sanjay bahut hairan ho gaya. Usne Santi ki taraf dekha aur poocha,
Sanjay : Kya ye sach hai, Santi?
Santi ne gusse main kaha,
Santi : Haan, ye sach hai. Maine khud usko thappad maara, us par chillai aur usko ghar se nikaal diya.
Sanjay : Tumne ye kya kiya, Santi? Kya tum pagal ho gayi ho? Ek pal ke liye bhi socha ki wo hamara beta hai? Wo aakhri baar humse milne nahi aaya?
Santi : tum jhut bol raha hai. Wo hamara beta ho hi nahi sakta.
Sanjay : Tumhe gussa aya, ye main samajh sakta hoon. Par ek baar bhi socha ki wo humse kaisa behave karta hai? Tumne uska haal bhi nahi poocha, na hi humne usko dobara dhundne ki koshish ki.
Santi : Wo hamare layak nahi hai.
Sanjay : Tumhari galti hai, Santi. Usne humare liye itna kuch kiya, aur tumne usko gusse main ghar se nikaal diya. Wo hamare saath hamesha se raha, par tumne usko ek bhi mauka nahi diya. Tumne usko sach batane ka ek bhi mauka nahi diya.
Sanjay Santi se gusse main baat kar raha tha, par Santi bas wahan khamoshi se khadi rahi, uski aankhon mein aansu the.
Sanjay : Usne apni jaan ki parwah nahi ki, aur un gundo se lad gaya. Usne apni girlfriend ko bachaya, jo uske saath nahi rehna chahti thi. Usne sab kuch hamare liye kiya.
Santi : Sanjay... main...
Sanjay : Wo hamara Surya hai. Tumne usko thappad maara aur ghar se nikaal diya. Tumne uske saath acha nahi kiya.
Sanjay ke lafz sunkar, Santi ko apni galti ka ehsaas hua. Usko us din ki har baat yaad aane lagi, aur wo wahi zameen par baith kar zor-zor se rone lagi.
Santi : Sanjay... maine... maine Surya ko dhokha diya. Maine usko ghar se nikaal diya.
Vikram, Mehar, aur Manav ne Santi ko sambhalne ki koshish ki, par Santi ko ab Surya ki yaadein sata rahi thi.
Sanjay : Ab rone se kya hoga, Santi? Jo ho gaya, so ho gaya. Ab humein Surya ko dhundna hai.
Sanjay ne zor lagaya aur bed se uthne ki koshish ki. Vikram ne usko wapis bed par litaya aur kaha,
Vikram : Papa, ap aram karo. Main Surya ko dhundne ja raha hoon.
Sanjay : Haan, Vikram. Uske documents, kapde aur saara samaan uske bag main hai. Usne sab kuch le liya hai. Uska phone bhi band hai.
Sanjay ne ye sab kehte hue apna sir haathon se pakad liya.
Sanjay : Agar usko dhunda nahi gaya, toh ho sakta hai usko koi aur utha le jaayega. Wo ek special ladka hai.
Sanjay ne sabko darwaze ke paas bulaya.
Sanjay : Santi, tum galti kar chuki ho, par ab galti sudhaarne ka time hai. Tumhare pas sirf ek hi mauka hai, aur wo hai Surya ko wapis laana.
Santi ne rote hue sir hilaya.
Sanjay : Vikram, tum jaoge, par ab tum akela nahi jaoge. Tumhare saath Mehar aur Manav bhi jayenge. Ye teeno milkar usko dhundenge. Jao.
Teeno bhai-behen ek dusre se gale lage aur wahan se nikal gaye.
Sanjay ko Kuch yad aya aur usne teeno ko rok diya aur kaha
Sanjay : roko Tum sabko Kahi jaane ki zarorat Nahin Hain
Vikram : Lekin kyun papa Kya hua
Sanjay : woh Kya Hain Mera ek dost Hain Jo army officer Hain main usko phone Karke pata Laga Sakta ho
Sanjay ne apne dost, jo ek army officer tha, ko call kiya.
Sanjay : Hello, vinit. Ek help chahiye thi.
Vinit : Haan, bol Sanjay. Kya hua? Teri awaaz thek nahi lag rahi.
Sanjay : Mera beta Surya ghar se chala gaya hai, aur uska phone bhi band hai. Uska number track karwana hai.
Rakesh: “Dekh bhai, ye aasan nahi hai. Iske liye mujhe IMEI number chahiye hoga. Bina uske track karna mushkil hai.
Sanjay: Thek hai, main deta hoon.
Sanjay ne call cut karke Vikram ko bulaya.
Sanjay : Vikram, jaldi ghar jao. Surya ne jo naya phone liya tha, uska box kahin hoga. Usme phone ka IMEI number likha hoga. Wo number note karke jaldi se wapis aao.
Vikram bina kuch bole ghar ki taraf bhag gaya. Thodi der baad woh wapis aya aur Sanjay ko IMEI number diya.
Sanjay ne woh number vinit ko bheja kareeb 2 gante bad vinit ka call aaya.
Rakesh : Sanjay, location Jaipur dikha rahi hai.
Sanjay : Jaipur? Itni door?
Vinit : Haan, aur maine uski puri location history nikaal li hai. Wo kis college main admission le raha hai, wo bhi pata chal gaya hai.
Sanjay: Kaunse college?
Vinit : xxxx college main
Sanjay ne vinit ka shukriya kiya aur call cut kar diya. Usne Santi ko bulaya.
Sanjay : Santi, humein kuch karna hoga.
Santi : Kya? Wo itni door Jaipur chala gaya hai.
Sanjay : Mehar ko hum Jaipur bhej rahe hain.
Santi : Jaipur? Akeli? Itne bade shehar main uska akela jana theek nahi hai, Sanjay.
Sanjay: “Mehar akeli kahan hai? Wahaan Surya hai na.
Sanjay ne Mehar ko apne paas bulaya.
Sanjay : Mehar, meri baat dhyan se suno. Tumhe Jaipur jaana hoga.
Mehar : Jaipur? Kyun, Papa?
Sanjay : Wahan Surya hai. Lekin wahan jaakar tum usse ye mat batana ki humne tumhe bheja hai. Ho sakta hai wo wapis aane se mana kar de.
Mehar : Toh main use kya kahungi?
Sanjay : Tum use kehna ki tum wahan padhne aayi ho. Tumhara admission bhi uske college main karwa denge Jab wo tumhare saath rahega, tab hum usko samjha sakte hain. Par abhi, usko ye nahi pata chalna chahiye.
Mehar ne sir hila kar haan kaha. Santi bhi ab Sanjay ki baat se sehmat thi.
~~~ aj ke Liye itna hi ~~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna
Ashish khurana nam hai nautaar denge, lekin badle main usko Vinod Khurana ko doosre projects ke documents