• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Short stories written by me

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kon si story aap aage aur padna pasand karenge

  • Koi Lauta Do Mujhe

    Votes: 0 0.0%
  • Bank Robbery

    Votes: 0 0.0%
  • Khoya Hua Pyaar

    Votes: 0 0.0%
  • Mysterious Island aur Khazana

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    1
Status
Not open for further replies.

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,789
32,485
259
5th story

Mysterious Island aur Khazana

Mysterious Island aur Khazana

“Kya bakwass hai ye, khazana wazana sab fizul ki baate hoti hain” Anirudh ne apne dost Yakub se kaha.
“Nahi yaar, sach bhi ho sakti hai, talash karne jaane me kya harz hai, akhir baki ke 4 log bhi to jaa rahe hain alag alag desho ke” yakub ne jawab diya.
“baaki ke 4 log ? matlab aur bhi log hain...? anirudh ne utsuktawash puchha.
Yakub-“haan mere bhai 4 log aur hain,vo bhi alag alag dekho ke, waise bhi itni door ek sunsan ajnabi island pe sirf 1-2 log to jaa nahi sakte, maine internet ki ek website ke zariye aur logo se baat kari thi jinhe iss island ke khazane wali baat pe yakeen hai, unme se 4 log jaane ko tayyar hain, Hum wahan tak kiraye ki ek waterboat se jayenge, un 4 me se ek boat ka malik hai, pura intezam ho chukka hai, tujhe chalna hai to chal warna main tere bina hi chala jaunga, lekin agar mujhe khazana mil gaya to maangne na aiyoga”
Anirudh- “achha baba chalunga, to hum to abhi india me hain, vo baki ke log kahan ke hain aur hume kahan milenge?”
Yakub- “vo island pashchimi Africa ke nikat hai, hum pashchimi Africa pahuchenge, baki ke log hume wahi milenge, jahan se hum boat ke zariye uss island ke liye nikal jayenge, boat se island tak pahucne me kareeb 25-30 ghante ka waqt lagega”
Agle din hi Anirudh aur Yakub Pashchimi Africa ke liye rawana ho gaye, pashchimi Africa pahuch ke vo uss jagah pahuche jahan unhe baki log milne wale the.
Anirud- “yaar le pahuch gaye, yahi milne wale the na baki ke log”
Yakub-“haan vo log aane hi wale honge, hum log thoda jaldi pahuch gaye hain”
Anirudh-“Achha ye to bata baki ke log kon kon hain aur kahan se hain?”
Yakub- “Boat ka malik samual local hi hai, Kate America se hai, John England se aur Mike Australia se hai”
Tabhi unhe kisine avaz di, ye samual tha, Boat ka malik.
Yakub-“hii samual....”
“hii...tum yahan pahuch gaye, baki log kahan hai” samual ne puchha.
Yakub-“Ane hi wale honge... time to ho gye hai”
Tabhi unhe chhoti si short aur aur tight white top pahne ek mahila aati dikhi.
“ye zaroor kate hogi...uff kya mast maal hai yaar... ab to waqayi me maza aa jayegi” anirudh ne dheere se yakub se kaha.
Yakub-“shutup yaar.... vo shadi shuda hai”
Anirudh-“par yahan to akele aayi hai hai na”
Yakub-“tu nahi sudhrega”
“Hii kate,” un teeno ne hath hilake kate ka abhiwadan kiya .
“hii” kate ne un teeno ko dekhkar muskurate hue kaha.
Kate-“3 log yahan hain 4thi main hu baki ke 2 nahi aaye kya abhi?”
Yakub- “John aurMike bhi bus aane wale hi honge, meri unse phone pe baat hui thi”

Thodi hi der me John aur Mike bhi pahuch gaye aur fir sub log boat me sawar ho kar uss island ke liye rawana ho gye. Kareeb 27 ghante ke safar ke baad island nazar aane laga, unhone uss island ke kinare pe apni boat roki aur utare. Wahan kafi Ghana jungle tha, itna Ghana ki upar se satellite ya havaijahaz se photo se to use zameen dikhayi hi na pade sirf hare hare ped hi nazar aaye. Khair vo 6 boat se utre. Ve apne sath ek zameen ke upar se zameen me dabi dhatu ka pata lagane wali machine bhi laaye the, uske zariye vo 6yo wahan khazane ka pata lagane me lage the. Tabhi unhe kisi ki avaz sunayi di, unhone dekha to paya ki samne ek jungle aadmi tha, jo behad kala tha aur sharer pe patte pahne tha, uske shareer par laal color se lakeere bhi bani hui thi aur use haath me ek bhala-numa hathiyar the.
“Ye kon hai aur kya bol raha hai” yakub ne kaha.
“ye hume puchh raha hai ki hum yahan kyu aaye hain, ye ek jungli hai, yahan aur bhi jungli honge” samul ne jawab diya.
“Tum inki bhasha jante ho?” anirudh ne puchha.
Samual-“haan janta hu, main ye bhi janta hu ki khazana inke paas hi hai, ye log kafi khatarnaak hain, hume khazana chahiye to inhe hara kar hi milega”
Itna kahkar samual ne apni bandook nikal li, tabhi uss jungle aadmi ne bhala fek ke samual ke or maara jisse samual to bach gaya lekin vo bhala samual ke peechhe khade MIke ke lag seene me lag gaya, mike ghayal hoke gir gaya aur dekhte hi dekhte usne dum tod diya, kyuki vo bhala zahar bujha bhala tha.
Ye dekh kar samual ko gussa aa gaya aur usne ek ke baad ek 2-3 goliya fire kar ke uss junglee ko maut ke ghaat utar diya.
vo pancho log Mike ki lash ke paas gaye aur uski nabz tatolne ki koshish kar rahe the par Mike to bhala lagte hi mar chuka tha.
“what the hell.... tumne jante hue bhi hume in jungliyo ke bare me kyu nahi bataya” kate ne chillate hue samual se kaha.
“dekho khazana pana itna asaan nahi hota hai, mujhe dukh hai ki Mike nahi raha, vo agar aur savdhani dikhata to shayad bach jata, main bandooke laya hu tum sub ek ek bandook apni hifazt ke liye rakh lo, iss jungle me jugliyo ka pura kabeela hai unke paas hi khazana hai, vo hume dhundh ke aate hi honge, hum pancho ko hi unka mukabla karna hai, agar humne un sub ko maar diya to unka khazana humara ho jayega.” samual ne kaha.
“Kitne wahiyat insaan ho tum samual, ek khazane ke liye hum itni jaane kaise le sakte hain, nahi chahiye mujhe aisa khazana” John ne kaha.
“John theek kah raha hai, vo bhi insaan hain, hum Khazane ke liye itna khoon nahi baha sakte, aur waise bhi vo humse kai guna zyada ki tadaat me honge, unke paas bhi hathiyar hain, agar hum unse ladenge bhi hain to humari hi jaan jayegi” Kate ne kaha.
“dekho ab bahas karne ka waqt nahi hai vo log hume dhundhne aane wale hi honge behtar hoga ki hum log yahan se nikal chale, warna humari lash hi bachegi bus” Anirudh ne kaha.
Samual-“dekho tum sub itna lamba safar karke yahan aaye ho aur yahan se khali hath jaoge? shayad kate sahi kah rahi hai hum unse lad kar, aur unka khoon bahakar shayad khazana na hasil kar paayen, hum khazane ko chori karenge, agar tum log mera sath nahi derahe to wapas jaa sakte ho, par tair kar, kyuki vo boat meri hai aur main bina khazana liye yahan se nahi jaane wala”
Ab un bakiyon ke paas samual ki baat manne ke alawa koi chara bhi nahi tha.
theek hai, to plan kya hai, ab hume kya karna hoga?” Yakub ne puchha.
samual- “sabse pahle to iss jungli ki lash ko thikana lagate hain, kyuki agar unhe pata chal gaya ki humne unke ek aadmi ko mara hai to vo hume kisi bhi keemat pe chhodenge nahi, main unki bhasha janta hu, vo log har bahri ko apna dushman samajhte hain aur use jaan se maar dete hain, hum unke paas jayenge aur main uhne ye samjhane ki koshish karunga ki hum unhe nuksaan pahuchane nahi aye hain, hum bhatak kar yahan aa gaye hain, isi bahane hum dekhenge ki unke sardaar ki jhopdi kahan hai, meri jankari k mutabik unke sardar ki ji jhopdi me ya uske neeche khazana hai...hum mauka dekh kar vo khazana lekar faraar ho jayenge”
“aur agar unhone humari baat ka yakeen na kiya aur hume maar dala to?” kate ne puchha.
samual-“jaisa ki main ki maine pahle bhi kaha main hathiyar laya hu, hum apne paas bandooke chhupaye rahenge, agar vo humari jaan lene pe utaru ho jayenge to hum guns ka instemal kar ke bhaag jayenge”
“theek hai” baki sabne kaha aur unhone gaddha khod kar mike ko aur uss jingli ki lash ko dafna diya. Fir vo log jugnle me thoda aage bade hi the ki unhe kayi saare jungli dikhayi diya jinke hatho me bhale aur teer kaman wagahra the.
Unko dekh kar samual unki bhasha me unse kuchh kahne laga.
aur fir samual ne bakiyo se kaha “maine inse kaha hai ki hm log dushman nahi hain, ye log hume apne sardar ke paas chalne ke liye kah rahe hain, hume inke sardaar ke paas chalna hoga.”
Thodi der chalne ke baad vo log unke kabeele pahuche jahan kai sari jhopdiya thi, kayi jungli log the sub patte wagahra pahne hue the the aur shareero pe laal rang ki kayi lakeere bani hui thi. unme mard aurate sabhi the, jinme se kayi ke hatho me bhalo aur teer kaman jaise hathiyaar the, tabhi ek badi jhopdi se ek aadmi nikla jo pura sone chandi se lada tha, vo patto ke bajaye sona chandi hi pahna tha, sona ka mukit, gale me sone ke kayi har the, ye un jungliyon ka sardar tha, usko dekh kar baki sabne sir jhuka liya, samual aur baki ke charo ne bhi aisa hi kiya.
Fir vo jungli sainik un pancho ko lekar sardar ke samne pahuche. aur unse apni bhasha me kuchh kahne laga. sardar ne apni bhasha me apne sipahiyo ko koi adesh diya. aur unhone un pancho ko kaid kar liya. aur ek hone ke pinjrenuma jail me un pancho ko daal diya.
“kya kah raha tha unka sardaar, humko kaid kyu kar liya” Uss pinjre me bakioye ne ek sath samual se puchha.
Samual-“sardaar ko is baat pe yakin na hua ki hum bhatakte hue aa gaye hain, vo samajh gya ki hum dushman hain jo khazane ke liye yahan aaye hain, aur vo ab hume kal subah hone par maar denge, aur kate mahila hai... khubsurat hai...isliye use sardaar ko saunp diya jayega”
Kate-“what the f.... uss junglee sardaar ke sath rahne se accha hai ki mujhe bhi maar diya jaaye..”
Samual-“ghabraao nahi... humme se koi nahi maregi... aaj ki raat khazana lekar hum furr ho jayenge”
Aniruddh-“kaise?”
Samual-“bus hume moka dekhna hoga , hum sub ke paas guns hai, aur uss guns se fire karne pe bilkul bhi avaz nahi hogi, hum moka dekh kar pahra de rahe sipahiyo ko goli maar denge, aur fir sardaar kki jhopdi me ghus kar use bhi goli maar kar khazana le kar khisak lenge”
“lekin agar hum pakde gye to ye junglee humara bura hashar karenge” Yakub ne kaha.
Samual-“mujhpe bharosa rakho hum pakde nahi jayenge”
Aur vo log muke ki talash dekhne lage, Rat ke waqt tha, kabeele ke sare log apni apani jhopdiyo me so rahe the, jahan vo 5cho kaid the uss pinjre ke aas paas kareeb 4 sipahi pahra de rahe the. Samual ne dekha ki vo sipahi unki or nahi dekh rahe hain to usne chupke se apni bandook nikali aur ek ek karke charo juglee sipahiyo pe nishana laga kar ek hi nishane me thikane laga diya. samual ke paas silencer wali bandook isliye usse goli chalne ki avaz nahi hui.
“ab iss pinjre ko kaise khole?” Yakub ne puchha.
“ghabrao nahi ek hi shot me ye bhi toot jayega” samual ne kaha aur uss pinjre ke lock pe fire kiya jisse ki uss pinjre ka gate khul gaya
“ab hum kahan jayenge” kate ne puchha.
Samual-“Ab hum sardar ki jhopdi me jaa kar khazana le ke faraar ho jayenge”
Aur vo log chupke se junglee sardar ki jhopdi me dakhil hue wahan Vo sardaar apni biwiyo ke sath so raha tha. Samual uske kamre me pahucha, usne yakub ,anirudh aur john se sardar ki teeno biwiyo ko bandhak banane ko kaha, aur khud uss sardar ki kanpati me bandook sata di aur uski bhasha me puchha “bata khazana kaha hai. nahi to tujhe aur teri biwiyo ko maar dunga”
Sardar ne use bata diya ki jhopdi ke neeche khazana hai aur neeche tahkhane me jaane ka rasta bhi bata diya. Samual aur baki log sardar aur uski biwiyo ki kanpati pe bandooke sataye the. Samual ne kate se khazana laane ko kaha,
“Par khazana bharenge kisme” Kate ne puchha.
“main apne kapdo ke neeche chhipake boriya laya hu, kyuki main janta tha ki hume khazana milega, Ye lo” Samual ne kaha aur apni shirt ke neeche chhupi hui kuchh boriyan kate ko dedi. Kate jaldi se tahkhane me utri jahan sona chandi heere jawahraat bhare pade the, kisi tarah usne sare khazane ko 3 boriyo me bhara aur use khich ke tahkhane se upar laayi.
“woww....mil gaya khazana....ab hume yahan se jaldi se jaldi khisakna hoga” Samual ne kaha.
“Unhe maarna mat” Kate ne kaha.
“achha theek hai nahi marunga” Samual ne kaha, aur ek rassi se sardar aur uski biwiyo ko bandh diya, aur apne sath laya hua ek tape unke muh pe chipka diya taki vo chilla na paaye. Aur fir vo log boriya apne apne kandhe pe laad kar kabeele se door jungle me bhaag nikle.
“hum to jungle me hain hume pata kaise chalega ki humari boat kahan hai, kaise dhundhenge hum boat ko” Bhagte hue Anirudhh ne samual se puchha.
“Boat me lagi device ke zariye.” Samual ne kaha aur Aur apna mobile phone nikala.
“Humri boat Uttar disha me hai” Samual ne kaha.
Aur vo log uttar disha ki or bhaag nikle thodi der bhaag kar akhir vo log boat pe pahuch gaye, vo kafi thak chuke the. Vo log boat par pahuch gaye aur khazana rakh diya.
Aur samual ne boat start kar di aur vo log Island se rawana ho gaye.
“To dosto hum sab caror pati ban gaye, woww... achha laao meri guns to de do main kisi se maang ke laya tha, mujhe wapas bhi karni hai” Samual ne kaha. Aur sabhi ne samual ki guns use wapas kar di, Sabse guns lene ke baad samual ne apni bandook nikali aur bola “sorry guys, par tum sabko marunga nahi to mujhe iss khazane ko tum se baatna padega isliye tum sabko maarna zaroori hai, Khazana yahan tak lane me meri madad karne ke liye shukriya” Samual ne kaha.
“You bloody....Tumne humare sath dhokha kiya.... tumne humara istemaal kiya” Anirudh ne chilla ke kaha. Par Samual ne anirudh pe bandook chala di par anirudh ne furti dikhayi aur samual ka nishana chook gaya, Peechhe se John samual pe jhapta Aur uski gun cheen ke goli maar kar Samual ka kaam tamam kar diya.
“Bechara .... lalach buri bala...lalach hi ise le doobi........” Kate ne kaha.
Un charo ne Samual ki lash boat se samundar fek di.
“Afsos ki baat hai hum 6 gaye the aur 4 wapas laut rahe hain,par khushi baat ye hai ki hume khazana mil gaya, chalo ab iss khazane ke 4 hisse laga lete hain” Yakub ne kaha.
Aur un charo ne uss khazane k 4 hisse laga liye. Aur apne apne hisse ka khazana unhone pashchimi africa me bech kar hi cash me change kar liya kyuki koi bhi desh limit se zyada sona jawahrat apne desh le jaane ki parmission nahi deta aur iss tarah khazana bech kar vo sabhi carorpati ban gaye har ek ke hisse me kareeb 8-8 caror rupye aaye.
Anirudh aur yakoob bhi caror pati ho gaye India pahuch ke unhone un rupyo ko business me lagya jisse aaj vo arabpati ban chuke hain.
The End
gajab ki kahani ..6 log khajana dhundne jaate hai aur usme se 1 jo boat ka malik hai wo jungli bhasha bhi jaanta tha aur usko pata bhi tha ki khajana kaha hai .
ek jungli ke haatho se maara gaya aur samuel baaki dosto ke haatho .
samuel ki galti ye hai ki usne lalach kiya aur mara gaya ,,baakiyo ne lalach naa karte huye khajane ke hisse kiya aur sab amir bann gaye 🤩..

zabardast kahani thi .
 
  • Love
Reactions: ag86

ag86

The Witcher
Prime
14,420
10,761
229

Thank you for beautiful review :love:
 
  • Like
Reactions: KEKIUS MAXIMUS

ag86

The Witcher
Prime
14,420
10,761
229
romanchak kahani ..
dr. ki khoj ki huyi dawai aman ko lagayi gayi aur usne us dawa ko paane ke liye aur galat istemal karne ki sochne wale ashok ko maar diya ..

ek baat samajh nahi aayi ki isme pyar kaha hai .??

ek scientist jo desh ke liye kuch karta hai par wo kuch kar nahi pata ..
Thanks for review :love:
Aapne puchha pyaar kahan hai to uttar ye hai ki ye love story nahi hai jaisa ki Index me already mentioned hai
 
Last edited:
  • Like
Reactions: KEKIUS MAXIMUS

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,674
144

Bahut khub mast jbardast story likhi aapne.
 
  • Love
Reactions: ag86

Aakash.

sᴡᴇᴇᴛ ᴀs ғᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
45,777
157,678
304
Annual Story Contest - XForum
Hello everyone!
We are thrilled to present the annual story contest of XForum!
"The Ultimate Story Contest" (USC).

"Win cash prizes up to Rs 8500!"

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 8000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 25th March ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th April 2025 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Important Links:
- Chit Chat Thread (For discussions)
- Review Thread (For reviews)
- Rules & Queries Thread (For contest details)
- Entry Thread (To submit your story)

Prizes
Position Rewards
Winner 3500 ₹ + image Award + 7000 Likes + 30-day Sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 2000 ₹ + image1 Award + 5000 Likes + 15-day Sticky Thread (Stories)
2nd Runner-Up 1000 ₹ + 3000 Likes + 7-day Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-Up 500 ₹ + 3000 Likes
Best Supporting Reader (Top 3) 500 ₹ (Each) + image2 Award + 1000 Likes
Reporting Plagiarized Stories imag3 200 Likes per valid report

Regards, XForum Staff
 
Status
Not open for further replies.
Top