Update 4: “Dukaan Band Hone Wali Hai”
“Jo chehre dikhte hain na… unka asli kaam aksar andhere mein hota hai.”
---
Location: Mumbai – College Canteen – 3:12 PM
Dev samose ki plate leke aaya, lekin Ayaan ki nazar khidki ke bahar fix thi.
Shruti: “Tu jab khud se baat karta hai, tab sabse zyada dangerous lagta hai.”
Ayaan ne kuch nahi bola. Bas thoda zukh ke kaha —
“Tum logon ko lagta hai main yahan chill karne aaya hoon… par asli kaam doosri taraf chalu hai.”
Shruti hansi, samajh ke bhi nahi samajh paayi. Par uske andar kuch disturb hua. Ayaan ke chehre ka ohh shant rehna , kuch aur bol raha tha.
---
Flashback: Last Night – 2:47 AM – Reay Road Warehouse
Ek chhoti si light blink kar rahi thi, aur container ke peeche ek aadmi — phone pe kisi se baat kar raha tha.
“Bhau ne bola, shipment secure ho. Banda us taraf se aayega… ‘Revenant’ naam ka hai, zyada puchna mat.”
Ayaan ne rooftop se pura scene record kiya.
Uska voice recorder silently chalu tha, uske pass ka high-zoom lens ek ek lafz capture kar raha tha.
Aur phir — ek choti si movement.
Ek dusra banda — face half-covered, backdoor se enter hua. Knife ka flash dikha.
Ayaan : “Shuru ho gaya.”
---
Present: Mumbai – Evening – Kabir’s Office – Rajan House
Kabir table pe file slam karta hai.
Kabir: “Bhau ke aadmi campus tak pahuch rahe hain. Agar wo political funding ke route pe aaye, toh sab kuch ganda ho jaayega.”
Ayaan : “Main sambhal lunga.”
Kabir : “Tu kya karega, haan? Tere paas gun hai kya? Ya tu bhi kisi gang mein ghusa hua hai jo mujhe nahi pata?”
Ayaan: “Nahi bhai... main bas sab kuch dekh raha hoon.”
---
Night – 11:58 PM – Secret Message Received
“Code 44-B initiated: Target - Nayak Bhau’s North Zone courier route. Dekhna + thoda Interference. Marna nahi hey ”
Ayaan silently hoodie pehenta hai. Ek black pouch uske bag mein jaata hai — tools, camera, stealth gloves.
Niche Kabir ki car khadi hai — black Fortuner.
Ayaan choti avaj mey :
"Bhai sochta hai main bas ek student hoon… lekin main wo hoon jiske baare mein soch ke Duniya chup ho jati hai."
---
Location: Byculla - 1:43 AM – Abandoned Printing Press
Bhau ka courier route wahi se operate karta tha. Ek black Scorpio gate ke paas khadi thi. Teen log andar maal load kar rahe the.
Ayaan chhat par tha. Drone nikalta hai, thermal vision on karta hai.
Infra-red view:
3 guards
1 supervisor
1 unknown figure – full black, ghutne tak coat, lamba scarf
“Yeh kaun hai?” ayan sochta hai.
Zoom karta hai — aadmi ki gardan pe ek 'X' cut nishan dikhayi deta hai.
“The Butchers of Karachi?” Ayaan ke dimaag mein danger siren bajti hai.
---
FLASHBACK: Episode 2 ka scene callback – Yusuf ka coded message
Yusuf ne jab kaha tha — “Bhau ke saath kuch naye log jude hain. Cross-border hai… kuch bada hone wala hai.”
Ayaan : “Toh game badal gaya hai…”
---
Action Sequence: 2:07 AM
Scorpio ke driver ne peechhe se sound suna —
Gun nikaala, lekin tab tak — Ayaan ne ek ultra-frequency sonic tap chhoda, sabke ears block ho gaye. Confusion create kar diya.
Guard ne goli chalai — galat direction mein.
Ek banda ne flashlight on kiya — uss waqt Ayaan ne ek smoke grande fake Diya.
11 seconds mey :
Shipment ka ek video bana.
ID plates ki photo li.
Unknown figure ka face half-capture hua.
Tracker ek box ke neeche chipka diya.
Aur bina kisi awaj ke, nikal gaya.
---
Morning – 7:55 AM – Ayaan’s Room
Ayaan ke haath mein hot chai ka cup, aankhon mein thakan… lekin mission complete tha.
Shruti ka message aaya:
“Kal tu kitna odd lag raha tha. Kuch toh chhupa raha hai.”
Usne sirf likha:
“Kuch dukaano ka shutter girne wala hai. Dhyan rakhna.”
---
Nayak Bhau ke core warehouse mein ek screen chal rahi hai. Black hoodie wala bande ki footage blur ho gayi, par ek voiceover sunayi diya:
“Revenant active hai…”
Warehouse ka manager darr ke maare bola:
“Bhai… dukaan band hone wali hai.”....