prasha_tam
Well-Known Member
- 4,393
- 6,239
- 143
Bhai phone khrab ho gya tha dusra hamara border area hai tumhe pta hai na war ki situation chal rahi thi abhi sab shant hua hai isliye update nhi aaya aur abhi bhi chotta sa hi likha hai kyunki phone thik se nhi chal raha haiBhai update kab doge![]()
Mast update hai bhaiUpdate 77 part 3
Sana ab suman ke room mein chai bnakar le kar jaati hai aur uske face par gussa saaf dikhai de raha tha .suman is waqt apne bed par baithkar kuch kaam kar rahi thi tabhi woh sana ko aata hue dekhti hai .suman is waqt sana ki tarf dekh rahi thi par sana ne gusse se apna muh dusri taraf kiya hua tha .
Sana- maa ji chai
Suman is waqt soch rahi thi ki sana abhi bhi gussa hai isliye usne aisi shakal bnayi hui aur sana ko bacho ki gussa karte hue dekh kar suman thoda muskra deti hai
Sana ab wahan par chai rakh kar room se jaane lgti hai tabhi suman usko awaz lagati hai aur sana phir ruk jaati hai par abhi bhi gusse mein hi lag rahi thi
Suman- tu mujhse naraj hai
Sana - han
Suman - kyu isliye ki maine tujhe gusse se bol diya
Sana - nhi aap toh meri saas ho isliye aap mujhe gusse se bhi bol sakte ho aur khul ke daant bhi sakte ho
Suman- toh phir kis baat ka gussa hai tujhe jo aise tune muh fulaya hua hai
Sana- mein is baat se gussa hun ki apne yeh soch bhi kaise liya ki mein inke baare mein aisa kuch soch sakti hun .maa ji mujhe yeh sab daalne ki aadat nhi hai isliye kabhi kabhi bhul jaati hun maine yeh koi jaan bhujkar nhi kiya ki aap isse hurt ho aur dusra maa agar chai pini thi toh mujhe aap keh dete toh mein bna deti par apne mujhe ignore kar ke neha ko chai bnane ko kaha
Suman - idhar aa baith mere paas
Sana- nhi mein jaa rahi hun mujhe raat ke liye sabzi bnani hai
Suman - maine kaha na idhar aa
Sana ab bade hesitantly suman ke pass jaakar baith jaati hai
Suman - are tu toh aise behave kar rahi hai jaise pta nhi jaise mein teri koi dushman hun
Sana ab suman ki taraf dekhti hai aur bahut serious si shakal bnati hai
Sana - nhi nhi maa ji aisi koi baat nhi hai bas jab apne bola na ki maine tumhari saas ko kaha tha ki agar is ghar mein rehna hai toh yahan ke roti riwaj follow karne honge .maa ji aap khud hi btayo ki ab woh meri saas hai ke aap
Suman ko ab lagta hai ki usne kuch jayada hi bol diya aur ab usko apni kahi baatona par pachtawa ho raha tha
Sana- maa ji mera toh ab dil nhi kar raha hai apse baat karne ko aap btao maine aisi bhi kya galti kar di ki jo apne aisa bola upar se aap aur papa mujhse yeh bhi chupa rahe hai ki apko paiso ki zarurat hai kya maa aap mere ko is family ka part nhi mante
Suman ab sana ke sar par bade pyar se hath rakhti hai
Suman - mujhse galti ho gyi beta mujhe maaf kar de mujhe aise baat nhi karni chahiye thi tere sath .mein gusse mein kuch zyada hi bol gyi woh kya hai na buddhi ho gyi hun toh jo muh mein aata hai bol deti hun
Sana ko ab thoda bura lgta hai ki suman usse maafi mang rahi hai isliye woh bichme bolne lgti hai par suman usko chup kra deti hai
Sana- nhi maa ji...
Suman - are chup kar agar meri baat ka tujhe bura laga ho toh mere ko maaf kar de beti aur tu toh meri pyari si bahu hai .beti jo bhi maine tujhe kaha mere dil mein tere liye aisa kuch nhi hai aur mein teri koi saas nhi hun mein toh Teri maa hun aur ek beti hone ke naate tu apni maa ko maaf nhi kar sakti kya
Suman aise bolkar sana ke mathe ko chum leti hai
Sana - maa ji please aise mat kaho mujhe achha nhi lag raha hai ki aap mujhse maafi mang rahe ho mujhe pta hai jab mein akeli pad gyi thi is ghar mein toh apne hi mera sath diya tha aur jab maine socha tha ki mein yeh ghar chorrkar chali jaungi tab bhi apne mujhe kuch ulta sidha nhi kaha
Suman - par ab toh bol diya maine ulta sidha
Sana ab suman ke gale lag jaati hai
Sana- bas kijiye maa aur sharminda mat kijiye mujhe aise bolkar
Suman- beti tujhe kya lagta hai mein tujhe koi baatein suna Rahi hun nhi bahu mein sach mein sharminda hun aur aaj ke baad mein tujhe kabhi bhi aise nhi bolungi chal ab apna gussa chorr de ab tu kya mujhse baat bhi nhi karegi meri bachi
Sani - haye yeh aap kya bol rahe ho maine kab aisa kaha ki mein apse koi baat nhi karungi .agar aap mujhe apni beti mante ho toh mein bhi apko apni maa hi samajhti hun
Suman ab sana ke gaal ko touch karti hai aur phir usko ashirwad deti hai
Suman - sorry beta maine tujhe apni baaton se hurt kiya aur kisna kaha ki tu hamari family ka part nhi hai khabardar tune aisi baat ki toh tu hi toh hamari family ka sabse important hissa hai ab tujhe hi toh is parivar ko ab aage badane wali hai aur sun meri baat humne tujhe kya aryan yan neha se bhi yeh paise wali baat nhi ki kyunki hum tumhare maa baap aur tum logon koi dikkat nhi dena chahte samjhi yeh sab toh hum kaise bhi kar ke manage kar lenge tu iski chinta mat kar
Sana - maa ji phir bhi
Suman -are bacho maine kaha na koi tension lene ki zarurat nhi hai bas tu itna dhyan rakh ki tu apni grhasti ko aur apne pati ko acche se sambhala .sana sun meri baat beta meri halat waise bhi nazuk rehti hai tujhe pta toh hai aur agar mujhe kuch ho gya toh mere bete ka sath tujhe hi dena hai
Sana- are maa aap yeh kya bol rahe ho abhi aap ki umar hu kitni hai suno meri baat mein apko kuch nhi hone dungi abhi toh apko mere bacho ki bhi shadi dekhni hai
Suman sana ki baat par thoda has deti hai
Suman - are wah bahu tune toh bahut aage ka soch kar rakha hai
Sana bhi ab suman ka reaction dekh kar has deti hai
Sana- aur nhi toh kya aur maa ji please aap na aise mat bola karo achha nhi lgta hai udhar ammi bhi kabhi kabhi aisi befaltu ki baatien karti hai
Suman - achha toh meri baatien befaltu hai
Sana - nhi nhi maa ji maine kab aisa bola par han yeh jaane wali baat toh ek dum befaltu thi
Suman - hina sahi kehti hai tu ek no ki badboli hai
Sana ab suman ke samne acting karne lgti hai
Sana- nhi maa ji hina toh aise hi bolti hai mein toh bahut chup chap rehti hun sach mein .apko lgta hai mein koi itna bolti hun
Suman ab pyar se sana ka kaan pakad leti hai
Suman - mere samne yeh na acting mat kiya kar
Sana ab suman ki taraf dekh kar hasne lagti hai
Sana- are maa ji chorriye aur mein toh sach bol rahi hun
Suman - han woh toh teri shakal se pta chal raha hai bahu .ek no ki dramebaaz hai tu
Suman aisa bolkar sana ko chorr deti hai
Sana- sorry maa ji
Suman- dekh kaise has rahi hai aur sorry kyun bol rahi hai .dekh beti tu jaisi hai waise ban kar raha kar tujhe kya lgta hai mein tujhe koi daant dungi
Sana- nhi
Suman- toh phir .sana aisa nhi karte beta tu jaisi hai aur tujhe jo karna hai woh kar mein tujhe kuch nhi kehne wali samjhi aur mujhe waise bhi yeh dar dar ke rehne wali ladkiyan pasand nhi hai bas jo karna hai karo par is baat ka dhyan rakhte hue ki is ghar ki ijjat par koi aanch nhi aani chahiye aur na hi tere charitar par samjhi meri baat
Sana man mein - are maa ji toh bade khule vicharon wali lgti hai
Sana- ji maa mein aapki baat achhi tarah samjh gyi
Suman - chal ab toh tu mujhse gussa nhi hai na
Sana- nhi maa ji bilkul bhi nhi aur mein bhi aage se dhyan rakhungi ki ghar par jaldi aana hai aur agar kahi jaana hai toh apko bta kar hi jau
Suman - waise tum subah thoda langra kar kyu chal rahi thi
Sana man mein- ab inko kya btau ki yeh sab inke bete ke ka kiya hua hai yeh aryan ko maine bola tha ki aram se kar par nhi ek no ka pagal hai yeh ladka rukta hi nhi
Sana- woh woh maa ji
Suman - tune phir ghabrana shuru kar diya .
Sana- nhi maa bas mein keh rahi thi ki woh mere party mein chot lag gyi thi
Suman - achha toh tumhare chot lag gyi thi dikhana kaha lagi hai chot mein abhi dawai laga deti hun thik ho jayega
Sana- nhi maa ji itni bhi chot nhi lagi ki marham lagane ki koi zarurat hai
Suman - are dikha toh sahi
Sana man mein - are yaar yeh toh mere piche hi par gyi hain ab mein inko kya btau ki chot paer par nhi lagi hai kahi dusri jagah dard ho raha hai .mein bhi yaar har time aise situation mein kyu fas jaati hun
Sana- nhi maa ji rehne dijiye
Suman - maine kaha na dikha
Suman ab khud sana ke paero ko dekhne lgti hai
Suman - yahan toh koi chot nhi lgi tere
Suman ab sana ki taraf dekhti hai aur sana is waqt thoda sharama sa rahi thi jis se suman ko hint mil jaata hai ki sana aur aryan koi party par nhi gye the
Sana- maa ji adhruni chot hai shayad isliye apko dikh nhi Rahi aur ab toh sab thik hai dard bhi
kam hi gya hai
Suman - achha tum kehti ho toh Maan leti hun tumhari baat bachi
Sana man mein - yeh mr immature mujhe har baar fasa deta hai
Suman ab chai pine lgti hai aur sana achanak suman ke cup ko hath lagati hai
Sana- are yeh kyaa maa ji aap thandi hi chai pi rahi hain rukiye mein apke liye dusri garma garm chai bnakar laati hun
Suman - are rehne de bahu.
Sana- nhi bilkul nhi aap abhi ruko mein bas 5 min mein apke liye chai bna kar laati hun
Suman - achha thik hai
Sana ab suman ke room se bahar aati hai tabhi aryan ke ghar ki doorbell bajti hai .
Suman - bahu dekhna Zara kon hai bahar
Sana- ji maa ji abhi jaati hun
Sana man mein -lgta hai aa gye maharaj ji waise bhi uska time bhi toh ho gya aane ka abhi jaati hun
Sana ab ghar ka gate kholne bahar jaati hai
Okk bro , aap bas time nikal ke update de DenaAb update regular nhi aayenge mere exams aa gye hain