Update 77 part 2
Sana is waqt akeli kitchen mein thi aur baki sab log apne apne room mein the .sana kitchen mein aate hi khana garam karti hai aur hina ke room mein chali jaati hai
Hina is waqt apne dada se baat kar rahi thi aur sana ko dekhte hi woh phone kaat deti hai aur sana uske paas baithkar khana khane lgti hai aur abhi bhi usne udas si shakal si bnayi hui thi kyunki ek toh usko suman ki baat par gussa aa raha tha dusra woh suman se maafi bhi magna chahti thi kyunki usko pta tha ki suman bhi gusse mein isliye boli thi kyunki usko bhi sana ki fikkar thi sath mein suman ke is baat se bhi bahut fark padta hai ki koi rishtedae isi bahane sana ko baatein na suna de shayad tabhi usne sana ko aise bola hoga
Hina- kya baat hai tu thik toh hai
Sana- hmm
Hina- phir tune itni udas si shakal kyu bnayi hui hai
Sana- tujhe kya
Hina - kitna gussa hai na tere mein maine tujhe kuch kaha ki tu mere se aise baat kare bta na kya baat hai yeh tera mood suman aunty ki wajah se khrab hai na
Sana is baat ka koi jawab nhi deti
Hina- toh yeh hi baat hai
Sana - han yeh hi baat hai tu khud bta hina maine aisa bhi kya kar diya ki mujhe unhone aise bola
Hina- mujhe pta hai darling ki aunty ki hi galti hai unhe aise nhi kehna chahiye tha par kya kar sakte hai aur chal na tu apna mood ko kyo khrab karti hai Ghar mein toh yeh sab hota rehta hai
Sana- par phir bhi mujhe nhi achha laga
Hina- toh ab tu aunty se baat nhi karegi
Sana- nhi nhi aisa maine kab kaha bas mein unse thodi naraz hun par jaisa bhi hai woh saas hain meri aur mujhe pta hai woh mujhe bahut pyar karti hai bas aaj mujhe laga kuch jyada ho gya
Hina- yeh toh hona hi tha tujhe pta hai bhi woh kitni tension mein thi unhone toh khana bhi ab tere aane ke baad khaya hai subah se tum dono ko phone pe phone kar rahi thi aur neha ko bhi unhone dant diya ki usne tum dono ko party mein jane kyo diya
Sana hina ki baat sunkar thodi hairan ho jaati hai aur wahan se uthkar jaane lgti hai
Hina- kahan jaa rahi hai ab
Sana- maa ji se maafi magne
Hina- are na jaa woh is waqt so rahi hain unhe sone de waise bhi unka BP bahut low hai unhe rest karne de
Sana hina ki baat sunkar ruk jaati hai aur phir hina ke paas baith jaati hai
Hina- ab khana kyu nhi kha rahi
Sana- bukh mar gyi
Hina- sana galat baat hai chal khana kha le behan jab woh uth jayengi toh maaf magne chale jaana
Sana- nhi khana hai
Hina- bahut ziddi hai abhi khana kha le aur drame bnd kar tera khasam mujhe bolkar gya hai ki agar sana khana nnhk khati hai toh mein usko phone pe bta du
Sana jab yeh sunti hai toh andar hi andar bahut khushi hoti hai ki aryan chahe thoda naadan hai par uski care toh woh karta hai
Sana- kaha na mujhe nhi khana
Hina - toh abhi bhi mein usko phone karti hun
Sana- nhi ruk usko phone mat karna pehle hi bechara pareshan hai mein kha leti hu.
Hina- ab aayi na line pe
Sana ab khana khane lgti hai aur hina bhi usko karn ke ghar par kya pehan ke jaana hai aur kya karna hai yeh sab puchti hai aur hina ke sath thoda hasi mazak kar ke uska mood bhi thik ho jaata hai
Sana- achha sun chorr abhi dinner ki baat mujhe tujhe kuch btana tha par mujhe dar lag raha hai ki tu mujhe judge na karne lage
Hina- tu pagal hai kya .
bindas bol kya baat hai
Sana- baat yeh hai ki jab aryan aur mein ghar par aane se pehle kisi coffee shop mein gye the kyunki aryan ka koi dost usse milna aane wala tha
Hina- han toh phir
Sana- phir yeh ki yaar jab maine uske dost ko dekha toh mein bas 5 sec ke liye usko dekhti hi reh gi aur mujhe thoda attraction bhi feel hua
Hina - kya bol rahi hai sana yeh tu itna hot tha kya woh ladka (hairani mein )
Sana- han tha par mujhe bahut bura laga ki Maine apne aryan ke alawa aisa kisi dusre mard ke baare mein socha .hina mein aryan se bahut pyar karti hun toh yeh kaise ho gya mein toh yeh sochkar hi pagal ho rahi hun mujhe khud par gussa aa raha hai
Hina- are itni si baat par tu
kyo guilt feel kar rahi hai
Sana- yeh tu kya bol rahi hai kyu na guilty feel Karu .mein aryan se pyar karti hun aur woh mera husband hai mein uske alawa kisi ke baare mein sochna bhi nhi chahti
Hina- dekh tu overreact kar rahi hai sun meri baat kya tune us ladke ko koi signal diya
Sana- tu pagal hai maine toh uske sath has ke baat tak nhi ki mujhe toh uspar gussa aane laga tha pta nhi kyun
Hina- toh phir tu guilt kyo feel kar rahi hai sana dekh tu ek female hai aur yeh bahut natural hai ki tu ek opposite gender se kahi na kahi toh physicaly attract ho gi aur yeh baat aryan ke liye bhi laagu hoti hai bas tujhe yeh samjhna hai ki tu aur aryan ab ek rishte mein ho aur ek dusre ke liye committeed ho isliye teri tarf se aur uski taraf se bhi koi galat harqat nhi honi chahiye jo tumhare rishte ko hi khatam kar de sath mein mujhe pta hai tu bahut samajhdar hai tu aisi koi bewkufi nhi karegi
Sana- tu sahi bol rahi hai mein aisi galti karne ki kabhi sochungi bhi nhi par phir bhi yaar maine aisa soch bhi kaise liya mein itni buri hun kya
Hina- ek baat bta tu us pagal aryan se sach mein pyar karti hai
Sana- han aur itna ki tu soch bhi nhi sakti uske liye mein kuch bhi karne ko taiyar hun .mein jab uske sath hoti hun na toh bahut accha lagta hai mein bas ab uski hun aur uske aage kuch bhi nhi hai ab meri jindagi mein woh hi meri zindagi hai
Hina- toh bas nikal ab is befaltu ki guilt se
Sana- shayad tu sahi bol rahi hai
Hina- bilkul mein sahi hi hun
Sana- thik hai baba par meri chorr yeh bta ki tu karn bhai ke sath kahan par gyi thi
Hina ab sana ki baat sunkar blush karne lgti hai aur sana bhi usko dekh kar thodi excited ho jaati hai
Sana - aise kya blush kar rahi hai bta na kaha par gye the
Hina- jannat mein
Sana- matlab
Hina- matlab yeh ki hum kahi ghumne gye the mere Wale ne aryan ko bolkar koi room book karwaya tha aur mujhe wahan ke gya aur yeh sab tere khasam ka hi plan tha
Sana- kya aur iska matlab tum dono ke bich
Hina- han tu sahi samajh rahi hai
Sana ab thodi khush lag rahi thi aur hina ki baat sunkar excited ho gyi thi
Sana- toh kaisi performance hai hamare karn bhaiya ki
Hina- puch mat kya hi kahu din mein taare dikha deta hai
Sana- sach mein
Hina- or nhi toh kya aur ek no ka jaanwar hai uske sath maza hi aa jata hai are mere se toh kal thik se bhi chala nhi jaa raha tha
Sana- kamini tune yeh baat mujhe kal hi kyo nhi btayi
Hina- kaise btati tu kal bhi muh fula kar baith gyi thi tum dono miya biwi kitna ladte ho waise
Sana- toh kya hua ladte hai toh pyar bhi toh karte hai na waise tujhe kya pta hum miya biwi ke bich mein kya kya baatien hoti hai
Hina- achha toh bta de kya baatien hoti hain
Sana - tujhe kyo btau
Hina- mat bta behan par yeh toh bta tumhari party kaise rahi
Sana - achhi thi aryan ke sath dost the wahan par humne bahut maza kiya wahan par
Hina- mujhe pta tha ki tu yeh hi bakwas karegi actually behan neha ne mujhe bta diya ki tum saari raat konsi party kar rahe the
Sana man mein - are yaar yeh neha kab sudhregi .yeh dono bhai behan ek jaise hi hain
Sana - yeh tum..
Hina- abhi bhi drame kar rahi hai na tu bta kaisa raha kal waise chalne mein toh tujhe bhi thodi dikkat lag rahi hai
Sana ab hina ki baat sunkar sharma jaati hai aur uska muh par lali aa jati hai
Hina- kar liye na tune apna gaal tamatar ki tarah laal bta phir kaisi rahi raat
Sana- nhi bas kuch khas nhi
Hina- kya itna bura hai aryan
Hina ki baat sunkar sana ko bahut gussa aa jata hai
Sana- jyada bakwas mat kar aryan toh best hai uske sath maza hi aa jata hai tujhe kya pta hum saari raat ek dusre ki bahon mein the aur usne mera bura haal kar diya ek asli mard hai woh j.ab uske sath sex karti hu toh aisa lgta hai jaise chand par pahunch gyi hun tujhe kya hi pta aryan kamal ka hai aur woh ek baar jab shuru hota hai toh rukta hi nhi .hum puri raat toh kya dopehar tak lage hue the mein kya btau kitna achha lagta hai uske sath woh mujhe aise feel karata hai jaise mein koi chotti si zidi ladki hun jisko woh hi control kar sakta hai
Sana man mein - are yeh mein gusse mein kya kya bol gyi
Hina- kya baat hai aur bta na teri toh baaton se toh lag raha tu toh saari raat hin saatvien aasman par thi kamini toh isliye tum dono late ho gye the
Sana- mein jaa rahi hun mujhe raat ka dinner taiyar karna hai sab ke liye
Hina ab sana ko pakad leti hai
Sana- chorr mujhe
Hina- ruk toh sahi kahan jaa rahi hai pure detail mein bta na kya kya hua tha
Sana - jyada na bakwas mat kar aur kitna detail mein tujhe btau
Hina - are chal uske aujar ke baare mein hi bta de
Sana- shi kitni gandi hai tu chal hat tujhe kya lena dena is sab se chorr de mujhe nhi toh ek chanta maar dungi
Hina- nhi chorrungi
( Hina aise bolti hai tabhi uske phone par karn ka phone aa jata hai usi aur sana ko chorr ke karn se baatien karne lgti hai )
Sana man mein - shukar hai karn bhaiya ka call aa gya nhi toh yeh sab sun ke hi mujhe yahan se jaane deti
Sana - mein jaa rahi hun
Hina- han aur sun time par taiyar ho jaana
Sana- thik hai baba
Sana ab wahan se nikal kar suman ke room mein usko sorry bolne jaane wali hoti hai tabhi usko bahar se hi suman aur r lal ki baatein sunayi deti hai aur aise lag raha tha ki woh dono kafi tension mein hain
Suman - par ji hum 2 lakh rs kahan se layenge
R lal - woh hi toh mujhe ab tension ho rahi hai par koi n koi hal toh dhundna padega mujhe toh laga tha ki koi rishtedar se maang lun ga par sab koi n koi bahana bna rahe hai
Suman - rohan se puchna rha tha na usne toh hamari pehle bhi kaafi madad ki hai
R lal - woh hi toh problem hai ki usne itni madad ki hai ki ab usse magne ko dil nhi kar raha hai aur uska bhi hath tight hai kafi abhi parso hi phone pe baar hui thi pta nhi mein yeh apna kaam kab shuru kar paunga
Suman -aap chinta mat kijiye upar wala koi na koi hal jarur nikalega hamare liye
R lal - kaah aisa hi ho psr mujhe nhi lagta aisa kuch hoga
Suman - aap aise chinta mat karo apne kisi dost se baat kar ke dekho kya pta koi thodi bahut help hi kar de
R lal- han thik hai mein jaata hun ummeed toh hai thodi bahut madad hi ho jaye
Suman - dekhiyega sab achha hi hoga
R lal- chalo dekhte hai
Sana yeh baatein sun rahi thi aur kuch sochne lgti hai tabhi r lal bahar ki taraf aa jata hai
R lal - are beti kaisi ho
Sana- bas achhi hun papa aur Btaiye kaise chal rahi hai apki taiyari naya kaam kholne ke liye
Sana ki baat sunte suman bhi bahar ko aati hai aur uski taraf dekhti hai aur sana bhi suman ko dekh ke kuch nhi bolti
R lal- bas beti samjho ki kaam shuru hi karne wale hai kal parso se
Sana- sach mein
R lal - aur nhi toh kya
Sana- yeh toh badi achhi baat hai papa waise papa apne jo maal mangaya tha woh aa gya ( aakhir yeh mujhse itni si baat kyu chupa rahe hai )
R lal - darasal beti mujhe zara bahar kisi kaam pe jaana hai baki ki baat hum aakar karte hai aur han maal kal tak aa jayega par mujhe khushi huyi ki mera beta chahe nhi bahu toh kaam mein toh intrest dikha rahi hai
Sana is baat par muskra deti hai aur r lal sana ke sar pyar se hath rakhta hai aur usko dhimi awaz mein bolta hai
R lal - chinta mat karo bahu tumhari saas abhi tumse thodi gusse hai bas thodi der baad khud dekhna sab phir jaisa normal ho jayega tum dono ke bich samjh aayi
Sana r lal ki baat sunkar han mein sar hilati hai aur wahan se jaane ki sochti hai aur wahan se sidha apne room wale bathroom mein jo kapde dhone ke liye rakhe the woh saaf karne chali jaati hai
Sana phir bathroom mein kapde saaf karne ke baad kitchen mein khana bnane aati hai aur ab sham ho chuki thi aur sham ke 6 baje the .sana ab dinner ki taiyari karne ko sochti hai tabhi wahan par neha aa jaati hai
Sana- ho gya tumhara kaam khatam
Neha- han ho gya aap btao phir kaisi rahi apki party
Sana neha ki baat sunti hai aur muskrane lgti hai
Neha- kya baat hai tumhari muskurahat hi bta Rahi hai kaisi rahi hogi party saari raat chali kya
Sana- chup kar besharam mere se aise baat mat kiya kar thoda toh lihaj rakh aur tujhe yeh sab baat us hina ko btana zaruri rha tha kya problem hai teri
Neha- are mein kya karti woh sun hi nhi rahi thi toh maine bta diya
Sana- achha chal jhuthi kahi ki
Neha- waise yeh sab chorro yeh btao yahan par aap kya kar rahi ho
Sana- dinner bnane ki soch rahi hun btao kya khana hai tumhe aaj woh hi bna dungi madam
Neha- aap na bhindi badi kamal ki bnati ho toh woh hi bna Lo
Sana- par ghar mein bhindi nhi hai
Neha- toh ek kaam karo us bandar ko phone kar ke keh do woh aate aate le aayega
Sana - yeh bandar kya hota hai neha unka sidha sidha naam le maana ki tu unki badi behan hai par mere samne yeh sab bakwas mat kiya kar
Neha- itna gussa
Aryan- gusse wali baat hai toh gussa toh aayega hi
Neha- jaise tum maa se gussa ho
Sana- han hun gussa waise tujhe kya ho gya tha mere liye badi behas kar rahi thi tu maa ji ke sath
Neha - galti hi unki thi aise thode na bolte hai
Sana- chalo thik hai ab jo hona tha ho gya par sun meri baat maa ji mujhe maaf toh kar dengi
Neha- apne koi galti nhi ki jo apko maaf kare woh aap na unse koi baat nhi karna jab tak woh khud aakar apse baat nhi karti
Sana - chup kar bala apne bado ke samne kis baat ki akad aur agar unki jagah mein mafi mangungi toh koi chotti nhi par jaungi
Neha- achha
Sana aur neha abhi baatien kar rahi thi tabhi unko suman ki awaz aati hai jo neha ko chai bnane ko bolti hai
Neha- dekha inki akad tumhe nhi kaha chai bnane ko jaan bhujkar yeh jante hue ki aap kitchen mein ho abhi dekho inki akad
Neha - maa darasal mujhe office ka koi kaam karna hai mein abhi nhi bna sakti chai
Suman - chal koi baat nhi mein baad mein khud bnakar pilungi
Neha- thik hai
Neha ab sana ki taraf dekhti hai aur sana ka chehra ab phir se thoda udas sa ho jaata hai
Sana- maa mujhe bhi toh bol sakti thi
Neha- bilkul par yeh jab gussa ho jaati hai toh bas aisa hi karti hai
Sana- kitni galat baat hai na neha yeh
Neha- bilkul hai
Sana- mujhe laga tha maa ka gussa thanda ho gya hai
Neha - chorro unko aap kyo apna mood kharab kar rahi ho
Sana- par phir bhi.
Neha- chorro yaar
Sana ab kuch nhi bolti bas thoda udas ho jaati hai
Sana - tujhe koi kaam hai
Neha- han aapko kuch kaam tha mujhse
Sana -nhi
Neha- Bta do mere paas 20 min hai phir mujhe 2- 3 kaam karne hai
Sana- nhi tu jaa mein khud kar lungi
Neha - ok phir thik hai aur han apna mood ab thoda sahi karo bhabhi
Sana- achha thik hai
Sana ab neha ke jaate hi aryan ko phone karti hai
Sana- hello suniye ji
Aryan- han bolo
Sana- kaisi chali rahi hai apki acting
Aryan - chal hi Rahi hai tum btao abhi bhi tumhara mood kharab hai
Sana- hmmm
Aryan- toh mood sahi kar nhi toh phir raat ko mein tera mood sahi karu ghar aakar
Sana- nhi ji aap pehle hi mere mood ki maa behan ek kar chuke ho
Aryan - maine kya kiya yaar aur han phone rakho agar tumko mere se bas behas karni hai
Sana - kya aap bhi maine apse behas karne ko phone thoda na kiya hai
Aryan- toh btao ki kya kaam hai
Sana- woh aate hue market se bhindi le aana sath mein woh bartan saaf karne wala liquid le aana khatam hone wala hai
Sana ki baat sunkar aryan ka thoda mood kharab ho jaata hai kyunki uski jeb mein is waqt sirf 500 rs the par woh kuch nhi bolta hai Kyunki woh sana ko naraj nhi karna chahta tha
Aryan- ok madam ji aur kuch lekar aana hai
Sana- han apke saare underwears mein ched ho gye hai toh aap aate hue apne liye 2-3 underwear Lete aana ( sana yeh bahut pyar se bolti hai )
Aryan - phone rakh jab dekho mere kachon ki taraf padi rehti hai
Sana- are aap aise gussa kyu kar rahe ho
Aryan- phone rakh de nhi toh sunegi mere se kuch
Sana ab gusse mein phone rakh deti hai .
Sana- kitna gussa karta hai yeh are maine aisa bhi kya bol diya sach mein is bande ko ijjat raas nhi aati
Sana ab aryan se phone rakhne ke baad Suman ke liye chai bnati hai aur uske room mein chali jaati hai par usne bhi soch liya tha ki woh bhi suman se ab koi maafi nhi mangegi kyunki sana is baat se gussa ho gyi thi ki suman ne usko chai bnane ko nhi kaha
Mast update hai bhai


dono Aryan aur Sana ka bech ki nokh jhok bahut Mazza aata hai
Aur ab Sana apna guilt sa bahar aa gayi jo ki achi baat hai . Toh wahi Suman aunty gussa ki Hui baithi hai .
Ab dekhta hai kon baat karega phela aur saas bahu mai kitna Mazza aata hai
