krishnamdev1111
Member
- 442
- 462
- 64
Bhai story to bahut hi interesting hoti jaa rahi haiAb sana bathroom ki achhe se safai karne ke baad apni maa ki di huyi bedsheet jo aryan ne kharab kar di thi par usko woh nhi milti tab usko lagta hai ki shayad neha ne kal hi saaf kar di hogi isliye yahan par nhi mil rahi hai shayad niche padi ho iske baad woh terrace par jhadu lagane chalo jaati hai aur samne hi sheets ko tanga hua dekhti hai aur neha bhi is waqt upar thi aur thodi exercise kar rahi thi
Sana- are neha tere ko yeh bed sheet saaf karne ki kya zaroorat thi maine bola tha na mein kar dungi
Neha - nhi maine toh saaf nhi ki mujhe toh lag raha tha apne hi dho di hogi
Sana- par maine toh saaf nhi ki
Neha - phir kis ne
(Ab dono ek sath bolti hai ghabrate hue lehje mein ki kahi maa ne toh saaf nhi ki )
Sana- nhi nhi maa ne nhi ki hogi kyunki agar aisa hota toh woh hamse puch leti
Neha - han par phir kisne
(Tabhi sana ke phone par aryan ka phone aata hai )
Sana- le baat kar iske sath subah ke 7 phone kar chuka hai par maine ek baar bhi nhi uthaya
Neha - nhi baba mujhe apne jhagde mein fir mat ghasito
Sana- baat kar nhi toh jaa mein tujhse bhi baat nhi karungi
Neha - achha thik hai lao idhar karti hun baat
Sana- speaker par rakhiyo
(Neha ab aryan ka phone uthakar speaker par rakh deti hai )
Aryan- kaisi ho darling maine itne phone kiye tumne Mera phone nhi uthaya chalo chorro dekho ab toh gussa thik do mujhse galti ho gyi jaan aage se pakka sharab ko hath nhi lagaunga aur han suno woh jo tumhari ammi ki gift ki hui bedsheet thi na maine woh saaf kar ke sukhane ke liye terrace par rakhi hai usko ab niche le aana woh sukh gyi hogi
Neha - sorry Bhai par phone par tumhari biwi nhi main hun aur woh bedsheet saaf karne ka credit mein le chuki hun isliye ab apna muh band rakhna nhi toh woh mujhe jhuth bolne ke liye dante gi
Aryan- kya di ek toh us nakchari ko pehle hi mana mushkil hai upar se tumne Mera credit bhi le liya ab toh woh mujhe bulayegi nhi subah se usko awaz sunane ke liye taras gya hun par woh bolna toh dur meri taraf dekh bhi nhi Rahi hai
Sana aryan ki baat sunkar muskra deti hai aur uska aryan ka usko khush karne ke liye bedsheet saaf karna bhi achha lagta hai ab uska gussa shayad thoda thanda ho gya tha
Neha - toh aisi harqate kyu karta hai
Aryan- are yaar galti se pi li thi mein koi jaan bhujkar thode na aise karta hun
Aryan- waise woh sana thik toh hai na ab uska mood kaisa hai subah toh bahut naraz thi na
Neha - abhi bhi naraz hi hai
Aryan- dekho usko na tum kaise bhi kar manao aur nashta karao bechari ne subah se kuch khaya nhi hoga
Sana ko pta tha ki aryan uski care toh karta hai aur uski baaton se uska gussa bhi thoda shant ho raha tha
Neha - kya teri biwi koi 5 saal ki bachi hai ki ab usko khana bhi hum khilaye .dekh bhai mein toh thak gyi tum dono se mera ho gya bas ab achha thik hai mein phone rakhti hun
Aryan - ruko meri baat toh suno
Neha- han bol
Aryan- mujhe kuch paise chahiye the tumse mujhe jab thankwah milegi toh wapas kar dunga
Sana ab ishare se kehti hai ki puch isko paise kyo chahiye kya karega aur kitne paise chahiye
Neha - kitne paise chahiye
Aryan- yeh hi kuch 2000
Neha - kyu Aisa kya ho gya
Aryan- woh darasal baat yeh the ki sana ne kal kaha tha na ki saree ke ilawa aaj tak kuch gift nhi kiya toh socha ki usko koi achha sa suit gift kar du woh thoda khush ho jayegi
(Neha ab ishare se sana ko puchti hai ki woh usko paise de ka nahi aur sana usko paise dene se mana kar deti hai )
Neha - nhi mere paas abhi paise nhi hai
Aryan- tum jhuth kyo bol rahi ho di mujhe pta hai tumhare pass paise hai
Neha - achaa bye teri biwi aa gyi hai mein phone rakhti hun
Neha ab phone call cut kar deti hai
Neha - are bhabhi woh tumhare liye suit lekar aana chahta toh tumne mana kyo kar diya kal toh bahut bol rahi thi ki kuch lekar nhi deta
Sana- woh toh maine gusse mein bol diya tha aur maine tumko mana isliye Kiya kyunki maharaj ki sar par pehle se hi 10000-15000 ka uddhar hai woh abhi tak isne diya nhi hai jab dekho befzul paise kharch karta hai aur kya hum tere se paise achhe lagte hai
Neha - par bhabhi
Sana- chup reh aur apni exercise kar aur mujhe apna kaam karne de khud toh tu ghar ka ek kaam karke raazi nhi hai
Sana ab pura terrace saaf karti hai akele uske baad thak kar niche chali jaati hai aur thodi der apne bed par let jaati hai par uske man se aryan par jo gussa tha woh thoda shant ho gya tha par woh aditi ki baataon ko abhi tak bhul nhi payi thi upar se usko is baat ka bhi bura lag raha tha ki aryan aditi ko koi ulta jawab bhi nhi diya
Sana man mein- woh kamini kahi ki kitna bhonk rahi thi .mujhe usne abhi tak dekha nhi hai na isliye woh mujhe aise aunty aunty bol rahi thi upar se himmat toh dekho woh aryan ko mere hote hue dusra affair karne ki bol rahi thi woh bhi 2- 3 ladkiyo ke sath kitni tej ho gi yeh ladki mein toh isko ghar mein ghusne hi nhi dungi aur yeh mera pati usko kuch bola bhi nhi kam se kam yeh toh keh hi sakta tha ki woh mujhse bahut pyar karta hai isliye woh ab koi dusri bakwas na kare par yaar mein. Ab kya karu ab usko ghar par aane ke liye toh nhi rok sakti na .
Sana- mujhe toh bahut tension hone laga hai upar se neha bhi keh rahi thi ki aryan ko us par crush tha sath mein usne aditi ko kiss bhi karni chahiye thi .mujhe toh ab dar lagne laga hai ki aryan usko dekh kar phir pyar mein na par jaye agar aisa hua toh mein. Kaha jaungi .Neha bhi keh rahi thi ki woh bahut kamal ki dikhti hai kya woh mujhse bhi sundar hai ek kaam karti hun abhi uska instagram account dekhti hun
Ab sana aditi ki dp dekhne lagti hai kyunki uska account hi private tha
Sana- dikhne mein toh thik hi hai par iska face nhi dikh raha upar se kuch achee se nazar bhi nha aa raha hai thik se .
Ab sana ke dimag mein ek idea aata hai aur woh neha ko phone kar ke niche bulati hai
Neha - boliye kyun bulaya apne
Sana- mera ek kaam karegi
Neha - aap hukum karo
Sana- woh kya naam tha aryan ki dost ka aditi hai na uski tere paas agar koi photos ho toh mujhe dikha sakti hai kya
Neha - yeh baat thi mujhe laga bahut zaruri kaam hai itni si baat thi aur aap toh aise muh bna Rahi ho jaise pta nhi kya ho gya hota hai
Sana- toh tere paas hai uski photo
Neha - nhi
Sana ka chehra ab utar sa jaata hai aur woh udas si shakal bna leti hai
Sana- par tu bol toh aise rahi thi jaise abhi mera kaam kar degi
Neha- kaam toh mein tumhara abhi bhi kar sakti hun par apko treat deni padegi
Sana- bol kya chahiye
Neha - aaj dinner ke time ice cream tumhari taraf se
Sana- achha thik hai par pehle yeh bta tu uski photos kaha se layegi
Neha - maa ka phone hai usme kafi hongi uski photos
Sana- par maa ke phone mein uski photos kya kar rahi hai
Aryan kabhi kabhi aditi se maa ke phone se hi baat karta hai kyuki aditi ke baap ko uska aryan se baat karna
Pasand nhi hai isliye woh aaj bhi jab dil karta hai uske sath baat kar leta hai maa ke phone par hi
Sana- thik hai par mere ko uski tasveerien abhi isi time par chahiye
Neha - aapka kaam ho gya samajho par ek baat bolu aap jaisa soch rahi hai waisa kuch bhi nhi hai aditi ek bahut modern ladki hai woh bhulkar bhi mere bandar bhai ko attention nhi dene wali kyunki upar se hum gareeb hai dusra aryan ki shakal bhi thik thak hi hai aur woh kitni achhi dikhti hai sath mein aryan ki tarah bacho jaisi harqate nhi karti
(Sana ab aditi ki tareef sunkar chirr jati hai )
Sana- tujhe Jo bola hai woh kar zyada na vakeel mat ban us Aditi ki nhi toh mujhse bura koi nhi hoga
Neha ab niche jaati hai suman ke room mein
Neha - maa apna phone dena
Suman - kya karna hai
Neha - woh chahiye tha bas 10 min is se jyada nhi bahut zaruri kaam hai isliye bol rahi hun
(Suman is waqt apna favourite serial phone par dekh rahi thi isliye woh neha ko phone nhi dena chahti thi par neha ke thoda minnatie karne ke baad woh usko phone de deti hai )
Suman - 5 min milega sirf aur abhi pakda din
Neha - thik hai
Neha ab suman ka phone lekar gallery dekhne lagti hai aur usko Aditi ko photos dhundne mein hi 3 min lag jaate hai aur woh saari photos ko Send karne lagti hai par phir woh notice karti hai ki usne aditi aur aryan ki photo par click kar diya hai send karne ke liye aur agar usne send kar di unki photo toh sana phir apna mood kharab kar degi isliye woh 3- 4 photos ko send karna cancel kar deti hai tabhi suman usse apna phone wapis magne lagti hai aur neha jaldi jaldi mein baki ki photos send kar deti hai aur phir galler band kar ke suman ko usko phonebpakda deti hai aur thodi der suman ke paas baithne ke baad apne job ka kaam karne lag jaati hai
Sana tabhi saari photos aate hi ek ek karke dekhne lagti hai
Sana aditi ki photos ko dekh kar bahut jealous feel kar rahi thi kyunki woh sach mein bahut khubsurat thi aur dikhne mein ek model se kam nhi Rahi thi sana is waqt man mein soch rahi thi ki aisi ladki ko dekh kar aryan toh kya koi bhi pigal jaye yeh toh bahut kamal ki hai upar se iske kapde kitne shandar hai mujhe toh ab kuch samajh nhi aa raha hai ki mein ab kya karu yeh toh mujhse har baat mein mujhse perfect lag rahi kya aryan phir iske pyar mein pad sakta hai.
Ab sana agli photo dikhti hai jisme aditi bahut hot lag rahi thi aur sana ka muh us photo ko dekh kar chotta sa ho jata hai
Sana man mein keh rahi thi ki yeh is photos mein kitni hot lag rahi hai aur yeh aryan ko apni aisi photos bhejti hai kya bakwas hai kahi in dono ka secretly chakkar vaklar toh nhi chal raha upar se yeh photos abhi tak maa ke phone mein hai aur maa ko isme koi dikkat nhi nhi hai kahi maa yeh toh nhi chahti ki aryan ki isse dusri shadi ho jaye kyunki meri age bahut zyada hai par 31 saal ki ho toh hun itni bhi buddhi nhi hui .
Ab sana uski agli photo dekhti hai jisme usne saree pehan rakhi thi
Toh isliye is aryan ko saree itni achhi lagti hai kamina kahi ka yaar yeh itni achhi kyu lag rahi hai mujhse ab aur yeh dekha nhi jaa raha hai
Sana ab aryan ki aditi ke sath photos dekhti hai aur uski jalan ki ab koi seema nhi rehti .
Sana- yeh toh is kamini ke sath kitna khush lag raha hai itna khush to mere sath nhi hota hai aur ab tak isneere sath bhi aisi koi photo nhi li jo iske sath khinchi hui hai mein toh iske sath pyar kar ke fas gyi mujhe kya pta tha mere piche yeh sab kuch kar chuka hai kya yeh mujhse bhi achha khana bnati hogi dikhne mein toh yeh mujhse achhi hi hai ab mein kya karu mujhe lagta hai mujhe bhi thode modern kapde try karne chahiye par mein yeh sab maa ke samne toh nhi pehan sakti na
Sana ab jalan se jyada dukh mehsus kar rahi thi ab woh thodi der befaltu ki baatien sochne ke baad bathroom mein chali jaati hai woh ab mirror mein dekh kar pout karne lagti hai ab woh bich bich mein soch rahi thi ki ab woh aryan ko kabhi bulayegi bhi nhi phir sana mirror ke samne sexy se pose karne lagti hai aur khud ko Aditi ke sath compare karne lagti hai kabhi woh apne boobs touch karti hai aur kabhi dusre sexy sexy pose bnane lagti hai phir udas hokar niche chali jaati hai suman ke paas jo is time par phone par baat kar rhi thi .
Suman- yeh lo sana aa hi gyi yeh le sana baat kar
Sana- kon hai
Suman - baat toh kar tujhe khud pta chal jayega
Darasal suman is waqt sana ki maa se baatein kar rahi thi
Sana- hello
Ammi- kaisi hai tu beti
(Sana apni ammi ki awaz sunkar emotional ho jaati hai aur woh pehle hi bahut dukhi thi )
Sana- ammi tum
Ammi - han beta tumne toh hamara phone uthana nhi hota itni bhi kya narajgi aur agar naraj hona hai toh apne abbu se ho maine tujhe ya fir damad ji ko kuch kaha tha kya
Sana- ammi mujhse galti ho gyi mujhe tumhare sath aisa nhi karna chahiye tha par mein us time bahut gusse mein thi
(Ab toh sana ka muh pura rone wala ban gya tha )
Ammi- chal aise udas mat ho aur yeh bta tu thik toh hai na aryan tera khyal toh rakhta hai dekh agar tumhe kisi bhi chiz ki zarurat ho toh mujhe bta dena bina kisi sharam ke .
Sana- ji ammi mein thik hun aur mera chorro tum kaisi ho aur woh ruksana thik hai na
Ammi- sab thik hai beta bas tu apna dhyan rakh aur han mein jald hi agle mahine shayad tujhse milne bhi aayu
Sana- han ammi please aa jana tumhari bahut yaad aati hai
Ammi- agar itni hi yaad aati hai toh phone hi kar leti ek baar bhi tune phone nhi kiya upar se mera phone bhi nhi uthaya ek dum apne baap par gyi jab dekho gusse mein rehti hai
Sana- yeh kya tumne toh dantna shuru kar diya
Ammi- achha yeh sab chorr yeh bta ki aryan koi ab kaam karta hai ya fir
Sana- nhi ammi unhe kaam mil gya hai aur woh mehnat bhi kar rahe hai
Ammi- chalo achhi baat hai
Sana- ammi abbu thik hai
Ammi- han beta par abhi bhi naraz hai tujhse par tujhe bahut yaad bhi karte hai bas upar se dikhate nhi hai
Sana- meri baat krayogi ek baar
Ammi- are beti tujhe pta toh hai unke gusse ka
Sana- ammi please ek baar mujhe unse baat toh Kara do
Ammi- chal mein try karti hun
Ab sana ki maa abdul ke paas jaakar usko sana se baat karne ke liye mana rahi thi par abdul nhi manta aur khud ki hi akad mein rehta hai sana un dono ki baaton ko achhe se sun rahi thi
Abdul - dekho mein ek aisi badtamiz ladki se bilkul baat nhi karna chahta jisne ek do kodi ke ladke ke liye mere sath behas ki aur kya hi farak padta hai agar woh kaam karne laga toh kamata toh 10000 hi hota ya fir 15000 .dekho mujhe koi fark nhi padta ki woh ladki mujhse baat karna chahti hai ke nhi mere liye toh ab woh mar gyi hai par agar ab bhi usme thodi si akal baki bachi hai toh usko keh dena ki mein abhi bhi usko apnane ko taiyar hun agar woh apne nikkame sohar ko talaq de de aur mere pasand ke ladke se dusra nikkah pade
Ab sana ki maa thodi behas ke baad phir sana se baat karti hai .
Ammi - are tere papa thode busy hai bol rahe the ki baad mein baat kar lunga
Sana - rehne do ammi jhuth mat bolo maine sab sun liya hai abbu ne kya kaha aur aap bhi abbu ko keh dijiyega ki mein aryan ji ko kabhi talaq nhi dene wali aur han mujhe unki koi zarurat nhi hai achha ab mein phone rakhti hun.
Suman ne sana ki yeh baat nhi suni thi kyunki woh pehle hi apne room mein chali gyi thi dusri taraf sana ab bahut dukhi ho jaati hai kyunki usko sach mein apne baap ki yaad aa rahi thi aur woh uske sath baat nhi karna chahti thi par kar nhi pati upar se usne aditi aur aryan ke baare mein soch kar apne sar ek pahad sa bna liya tha
Ab dopehar ho chuki thi aur aryan bhi Vicky ke vaade ke mutabik saara kaam chorr ke ghar ke liye nikal jaata hai halanki usko vicky ko apne vaade par ki woh aryan ko half day dega yeh manane mein hi 25 min lag jaate hai



Last edited: