Update 64
Aryan ab ghar se nikal jaata hai aur apni bike se sidha medical store ki taraf nikalta hai
Sana man mein - isne toh mujhe maa ke samne hi kiss kar diya haye Allah ab maa kya soch rahi hogi mujhe toh bahut sharam aa rahi kya maa abhi meri taraf dekh rahi hai par mein yeh kaise dekhu ek toh maa ke samne mujhe pta nhi kya ho jaata hai ek kaam karti hun sidha upar jaati hun aur apne room ka bacha hua kaam karti hun phir baad mein niche aakar kasam karungi
Ab sana apna muh upar karti hai aur dekhti hai ki suman wahan se chali gyi hai aur woh upar wale room mein chali jaati hai
Aryan dusri taraf bike chalate chalate yeh soch raha tha ki woh sana ko aakhir manaye kaisi upar se aditi ne kitni bakwas kar di sana ke samne pehle hi sana meri taraf dekh nhi Rahi upar se ab yeh problem.mujhe toh dar lag raha hai ki jab yeh aamne samne hongi toh kya karengi par jo bhi kare mere sath toh end mein bura hi hota hai
(Aryan ab medical store par pahunchta hai )
Vicky - kaisa hai aur kaisi rahi phir kal ki raat maza aaya na
Aryan- maza kam saza zyada mili hai mujhe
Vicky - aisa kya ho gya
Aryan - biwi se ladai ho gyi aur kya ab woh naraz hokar baith gyi hai btao ab mein kya karu
Vicky - ab mein kya hi bolu waise teri apni wife se kitni fatati hai
Aryan- han toh tum nhi apni biwi se darte kya
Vicky- bilkul bhi nhi woh toh bechari mere pairo mein padi rehti hai mein nhi par woh mujhse darti hai
Aryan- bas yeh hi sunana tha
Vicky - matlab
Aryan- matlab ki yeh maine tumhhei audio record kar li hai ab isko what's app par bhabhi ko bhej dunga
Vicky - par tere paas meri biwi ka number nhi hai
Aryan - mujhe unki instagram id pta hai wahan par bhej dunga
Vicky - nhi nhi ruk ja nhi toh woh mujhe ulta sidha bolegi
Aryan- dekha bhai Sach toh yeh hai ki apni apni biwi se sab darte hai
Tabhi vicky ke phone par unknown no se call aati hai
Vivky- ab yeh kon hai
Aryan - sana ka number hai
Vicky - par woh mujhe call kyu kar rahi hai
Aryan- dekho bhai ab tumhara mere sath dosti nibhane ka waqt aa gya
Vicky - matlab
Aryan- matlab ab tum ko meri se dant sun ni padegi aur han uske sath tamiz se baat karna
Vicky - par bhai mein toh iska phone hi nhi uthane wala
Aryan - thik hai mat uthao woh idhar aakar phir tumhari beijjati kar degi
Vicky - kya
Aryan - han woh aise hi
Vicky - dekh bhai mein toh waise aurton se tamiz se pesh aata hun par agar woh aise meri hi dukan par meri beijjati karegi toh achha nhi hoga mein pehle hi bta du
Aryan- kya meri wife ke sath badtamizi karoge dekho mere samne toh chorro agar tumne meri sana ko phone par bhi kuch ulta sidha bola toh tumhara hashar kya hoga vicky bhai yeh tum khud dekh lena
Vicky - tu mujhe dhamki dega sale tujhe apna dost mana tha dekh agar tune mujhe touch bhi kiya na toh yehi kaam se nikal dunga aur yeh bhi make sure karunga tujhe koi kaam na de market mein
Aryan- chinta mat karo bhai mein tumhe touch nhi karunga
Vicky - dekha dar gya na mere ko tum jaise logo ko achhi tarah handle karne aata hai
Aryan- nhi mein yeh baat samajh dara nhi kyunki mein toh tumko touch bhi nhi karunga
Vicky - phir yeh tune hashar wali baat kyo ki
Aryan- dekho simple si baat hai agar tumne meri sana ko kuch galat bola toh woh mujhe phone karegi toh mein usko bolunga ki shant ho jaa par woh toh shant hone wali mein se nhi hai phir mein bolunga ki tu na karn bhai se baat kar vicky karn bhai ka bahut achha dost hai aur phir woh yeh baat karn bhai ko btayegi tab karn bhai yahan par aayenge aur tumhari jo kutayi hogi kya baat hai mujhe toh abhi se yeh sochkar mere rongte khade ho gye
Vicky - par woh karn mujhe kyu marega
Aryan- woh kya hai na karn bhai sana ko apni behan manta hai bas aur kuch nhi aur usne liye toh usne mujhe 2-3 baar peet diya toh phir tum kon ho
Vicky - nhi bhai Teri biwi se toh mein baat hi nhi karunga mein ghar jaa raha hun tujhe toh daru pilakar maine galti hi kardo aage se tere sath kabhi chill nhi karunga waise bhi agar aisa kuch hua nhi nhi us kamine karn ka hath bahut baadi hai
Aryan- par mein toh chahta hun aisa kuch ho isi bahane sana mere se baat toh karegi
Vicky - abe tu kitna matlabi hai bhai
Aryan- dekho mein toh kehta hun ki phone uthao thoda lecture suno nhi toh woh tumhare ghar tak aa sakti hai
Vicky - are nhi bhai meri biwi ko toh lagtaa hai mein bilkul koi Nasha nahi karta agar usko pta lag gya toh mein ek kaam karta hun phone utha hi leta hun nhi toh baad mein fas jaunga
Aryan- yeh ki na tumne samajhdari wali baat
Vicky - jyada bol mat jaakar apna kaam kar bahut kaam pada hua hai
Aryan- jaa raha hun
(Ab vicky sana ka phone utha hi leta hai)
Vicky - ji kon bol rha hai
Sana- vicky bhaiya mein sana bol rahi hun
Vicky - han boliye sana ji koi kaam tha mujhse
Sana- nhi mujhe bas apse yeh puchna tha ki kal raat ko aryan ji apke sath the
Vicky - han par kya hua
Sana- toh woh sahi bol rahe the apne hi usko sharab pilayi thi apko sharam nhi aati hai khud apne staff ko logo ko galat chize karna Sikha rahe ho upar se apne unko zabardasti sharab pilayi
Vicky - nhi sana ji maine koi zabardasti nhi ki usne khud sharab pi thi maine toh usko mana ho kiya tha
Sana- par aryan ji toh keh rahe the
Vicky - aap bhi kis jhuthe ki baaton mein aa gye dekhiye yeh sirf mujh par jhutha ilzam laga raha hai aur kuch nhi hai
Sana- dekhiye Vicky bhaiya manti hu mere husband kabhi kabhi jhuth bol dete hai par aap unhe aise jhutha mat boliye woh koi jhuthe nhi han aur is baar toh woh bilkul bhi jhuth nhi bol rahe kyunki unhone yeh baat meri kasam kha kar kahi thi
Vicky - par bhabhi
Sana- dekhiye bahane mat bnaiye mujhe pta hai apne hi unhe force Kiya hoga
Vicky - nhi maine usko koi zabardasti nhi pilayi thi bas yeh ek do baar insist kiya thi ki pile
Sana- usko zabardasti hi kehte hai aur yeh aap ki baat mujhe bilkul bhi achhi nhi lagi mujhe lagah ki aap ek achhe admi hai par ....
(Ab sana vicky ko 10 min tak lecture deti rehti aur woh chup chap sunta rehta hai aur jab woh phone rakhti hai toh woh upar wale ka shukar karta hai)
Vicky - yaar yeh kitna bolti hai isne toh mera dimag hi kha liya khair chal bhai koi baat nhi ab dost bola hai toh agar dost ki biwi ne do baatien bhi suna di toh koi baat nhi
Sana is waqt apne room mein thi aur phir vicky ke sath baat karne ke baad woh apne room ki safai kar ke bathroom ki safai karne chali jaati hai