MITHA PANI 5
"Na bhai, abki baar bhaw kaha h, na kapas ka na narme ka, Tu ek kaam krle, bhaw ka intzar krega to ghata hi hoga, jo bhaw mile usi me bech le, wese bhi jo bhaw waqt pe mil jaye wahi acha hota h" Apne samne bethe bachpan ke dost, jo spray wgerah lene aaya tha mandi me, se harish bola.
"Baat to shi h bhai g, pr 3 saal ho gye, kabhi saude ka mja nhi aaya, abki baar intzar krte h, kya pta 4000 paar chla jaye"
"Dekh le chal Tu, or bta, fasal kesi h"
"Kya btau harish bhai g, har saal ka tamasha ho gya h, fanke ki bimari, laal keedo ki bimari, benchod gand le rkhi h"
Galiya sunkar harish ko hasi aa gyi
"Ab jo h wo h bhai, spray krde, shamu bhi kah rha tha fanke ka to, keedo ka pta nhi"
"Bolde use bhi spray krne ko, acha thik h bhai m chalta hu"
"Arey chai to pija" Harish ne pucha
"Nhi bhai fir kabhi, late hojauga, ram ram"
"Ram ram bhai"
Dost ke chale jane ke baad harish ne phone nikala Or apne ek pdosi mahender godara ko phone milaya.
"Hello, haa, harish bhai g"
"Hello mahender bhai, ram ram"
"Ram ram bhai g, bolo kya hukm h"
"Yaar shamu se baat krni thi"
"Abhi krwata hu bhai g, 1 mint"
Mahender harish ke ghar jata h.
"Shamu, o shamu"
Mahender chacha ki awaj sunkar shamu bahar aaya.
"Haa chacha, kya hua"
"Le, tere bapu ka phone h, baat krle"
Mahender ke hath se phone leta h
"Haa papa"
"Haa beta, Tu spray ka bol rha tha, aaj aa jata lene"
"Mene to kal ka socha tha papa, chalo m aaj hi aata hu"
"Haa or sun, ye phone ki roj ki hi samasya ho gyi h, esa kr 2 phone bhi le aana, ek tere liye or ek ghar ke liye, yu baar baar tere chacha ko kahna pdta h"
"Haa papa le aauga, ye to m aapse kahne hi wala tha"
"Chal thik h fir, kab tk aa jayega"
"Bas thodi der me nikalta hu"
"Thik h to aram se aana, or motorcycle jyada tez mat chlana, helmet le lena sath me" Kisi aam baap ki tarah chinta krte huye harish ne kaha
"M tez nhi chlata papa, chalo thik h papa, aata hu m"
Kahke shamu ne phone kaat diya.
"Kya kah rhe the bhai g? " Mahender ne pucha.
"Spray ka bol rhe the, aaj ja rha hu, or chacha mobile bhi leke aauga" Shamu ke chehre pr mobile naam se muskurahat aa gyi thi. Aati bhi kyu nhi 10-12 saal pahle mobile utna aam nhi tha jitna aaj h.
"Aaye haye, kya baat h, fir to moj ho jayegi teri"
"Or aapko preshani se chhutkara" Shamu ne mjak me kaha
"Are nahi nahi, preshani wali konsi baat h, or haa yaar spray to mene bhi dalni h fasal me"
"To aap bhi chaliye, le aate h"
"Chal to m nha leta hu, fir chalte h"
"Thik h chacha, jaldi krna, m wait kr rha hu aapka"
"Bas abhi dekh"
Mahender apne ghar chla gya. Or shamu firse apni maa ke paas
"Maa o maa"
"Haa beta, aayi bs"
Shamu charpai pr beth gya or akhbar pdhne lga. Kuch hi der me Sita aangan me aa gyi.
"Haa, kya hua"
"Hona kya tha, m bazar ja rha hu"
"Aaj bazar, kese"
"Spray lane, mahender chacha bhi ja rhe h, or sath me 2 mobile bhi lauga" Shamu bahut khush tha mobile ke bare me sochke hi
"Mobile?, mobile ka kya krega, h to shi tere papa ke paas"
"Are wo to unka ha, or wese unhone hi kaha tha, mene nhi manga"
"To tujhe kon rokta h, pr Tu mangta hi nhi h kuch, tbhi to tera itna laad rkhte h tere papa, or bacho me or tujhme yhi to fark h" Shamu ke bagal me bethte huye Sita boli
"Pr 2 mobile ka kya krega"
"Are dono mere liye nhi, ek tere liye h" Shamu ne apni maa kr bholepan pr muskurake kaha.
"Mere liye nhi, ghar ke liye kaha hoga, mere liye kuch kahte h wo kabhi, huu" Sita ne jhutha mutha gussa dikhake kaha
Shamu ko hasi aa gyi
"Nhi maa, tere liye hi bola, baar baar pdosiyo ko presan krna acha nhi lagta unhe, or kya pta waha bethe teri yaad aati ho unko" Shamu haste huye mjak me bhagkar door khda ho gya
"Haye raam, dekho to murkh ko" Sita bhagkar uske piche gyi to halki si chapat lga di, gussa nhi tha, pr sharam jrur thi
"Chal Tu ja ab, apni fatfatiya saf krle, or aram se jana, sadak pr sadhan bahut ho gye h"
"Haa aram se hi jauga" Kahkar shamu apni bullet saaf krne lag gya, thodi der me mahender bhi aa gya or dono bazar chale gye.