- 43
- 181
- 49
♡♡♡ TRITIYA LAGHU KATHA ♡♡♡
APANI GAADI - TAAD KI GAADI (Part-2)
AB AAGE.....
" Ae Tittu, ehva se chala ja apne laundan ko leke, pahile se hi batay deta hu, fir naa boliye ki hum pahile se na bole, agar kachhu ho jaaye to"
Subah ke peher ho chala tha, abhi suraj nikalne me waqt tha, par aasman me chhata bikheri laalima sanket de chuki thi, ek naye ullash ki, nayi ummido ki.
Chidiyon ki chakchakahat, murge ki baang, gaaye aur bhaiso ka rambhana, aur mand mand si chalti thandi hawayein.....Viraan dil ko thandak dene ke liye kafi tha.
Gaon me chahal pahal suru ho chuka tha jo aam baat thi is antaral me. Gaaon ke log apne kheto ki or nikal chale the jo kal sandhya ko adhuri reh gyi thi use pura karne.
Cycle ke pichhe latkaye do bade bade doodh ke dabbe aur kuch baltani handle pr bhi, ghar ghar dene ko, sadko se hi awaaz lagaye doodh wala cycle ko nachaye ja raha tha.
Dukaano me kahi kisi film ke gaane radio pe baj rhe the to kahi charchayein baithi thi, aur charchaon ka chunav akhabaar ke paano se hi hota, aur kabhi kabhi to muth bhedh bhi ho jaati jab viparit vichaarein takrati to. Bina kisi sair pair ke charchaon pe bahas baaji...aur charchayein bhi aisi 'Neeta ambaani ke pass duniya ka sabse mehanga phone hai......Riya chakarvarti hi kaatil hai?, insaaf milna chahiye! ...CBI wale mile huye hai mai to kehta hu!?' ....koi kuch kehta to koi kuch....sirf baatein hi hoti, kaam naa hota to yahi hota......bematalbi!
Par in sabse dur gaon ke school ke pichhe, Saaf maidan se pata chal raha tha ki yaha school se chhutne ke baad bachhe aksar yahi hud dang machaya karte ho. Charo tarf se kantile tarein jo kahi kahi se ukhadi jaa chuki thi, usse karib chaar ya sadhe chaar bisse ko gheri gayi thi, jisme abhi fasalo ka bona baaki tha.....
Par abhi to vaha Jung ka maidan bichha tha, aur ye jung Vishya yudhh ( world war) se kam naa tha.
Sarkari school ke dress pehne , Basta pith pe laade to kuch haatho me liye. Solah- satrah ladke, jo barabar do tukdo me bate huye the, sirf do gaj ka hi fasla tha unme.
Umar jyada kisi ki na rahi hogi, yahi koi nau ya barah ke bich hi hogi. Pr Apne aapko Samraat Ashok se kam na samjh rahe the. Badale aur krodh se unki aankhein laal hui padi thi aur saansein gehri. Muthhi bhhichi aur shirt ke color uthi thi unki.
"Naa to kaa kar lega...umm?" Tittu ne apni aankhe Raju ke aankho me daal, daanto ko piste huye, usse ek ya dedh feet ke samip aa gya.
"U to pata chal jaayi, jab hoyi, aur e humar maidan hai, samjha ki naahi, babuji se keh, phikwa dunga, poolia se!"
Satta ka lobh, har kisi ko hoti hai aur uski taakat ki bhi, aur usko pane keliye koi sa bhi kadam galat ya sahi nahi hota. Unke najrome khastor pr, jinke pehle se hi haath range ho aur sath me mauka bhi, to der nn lagti dusro ke kandhe par banduk rakh goli chalane se.
Aur yahi haal tha Raju ka. Baap uska pradhaan, aur Tittu se dusmani to pehle hi din se suru ho gayi thi, jab Tittu ne uski kaksha me baithne wali bench hathiya li thi. Khoon khaul gya tha Raju ka us samay, par kiya kuch nahi, khoon ka ghut pi kar reh gya tha bas.
Par aaj jab baat aa gayi, uske hi jamin pe kabje ki to, usse ab naa ruka gya. Paani sar se upar jaa chuki thi, krodh ka toofan charam pe tha, aur badale ki bhaawna bijali si kadkne ko ho chali thi, aur bas bari thi Barasne ki.
Par apna Tittu bhi kam naa tha. Vo vo tha jo Sher ki maand me ghush, sher ke panje se Boti chhin, kha jaye, aur boti vahi fek, chal de.
"Haath laga ke to dikha, fir haath dundhte firiyo, langadate huye, ek pair pe" itna sunn, Raju ke andar ki jawalamukhi futh padi. Usne apne hath ki muthi ko khola jo nn jaane kab se bandhi thi.
Aur usne apne dahine haath ko utha, Tittu ke gaal pe jad diya. Gore gaal laal ho chuki thi, gulabi nase ubhar gyi thi, kaan laal aur aankho me kuch bunde bhi. Sann ki awaz aane lagi thi kaano se, hothon se halke khoon ka rishaaw suru ho gya tha jo uske thoddi ki or beh niche jamin ko girne ko ho chali thi.
Sab itna achhanak hua, kisi ko kuch nn samjh aaya. Isse pehle sabhi kuch karte Tittu ne aao dekha nn taw Jamin se uth, daud, Tittu ne apne baaju ko Raju ke charo taraf se gher liya aur apne sang use jordar dhakka diya.
Dono ab jamin pe pade huye the. Sabhi ladke kabhi ek dusre ko dekhte to kabhi Raju aur Tittu ko.
Tittu uth, uske upar baith , do se teen mukke jad diye mooh pe. Jo haal Tittu ka tha ab usse badtar Raju ka ho gaya tha. Raju ke nathuno se khoon nikalna suru ho gya tha, gaal bhi halke fat gaye the.
"Maaro be saalo, dekh ka rahe ho." Raaju ke itna bolte hi Do tuk me bate solah-satrah ladke bhid gye ek dusre se...
Raaju ne usko dhaaka de niche jamin pe gira diya...aur uth khada hua. Bagal me padi 'Taad ki gaadi' jo Tittu ki hi thi, utha li, aur de mara Tittu ke pith pe...Tittu vahi jaamin pe karaah ke reh gya. Dard se uski aawaz bhi aani band ho gyi thi. Pasine se kapdo pe lagi mitti ab gili ho chuki thi.... Aur Raju ka bhi haal koi alag nn tha, shirt ke upari do batton tut chuki thi uski....
Do tukdon me ladke apas me koharaam machaye pade the... koi apne baste se maar rha tha, to koi apne chappalo se waar karta, jo milta usse saamne wale dushman par dhaawa bolne me jara bhi hichkichahat na karte...paas pade mitti ke dhelo se bhi hamala suru ho chuka tha ab to...baat bahut aage nikal chuki thi...
Raaju tittu ki or badha, hath me liye 'Taad ki gaadi'. Tittu abhi bhi haaf raha tha, dard ke maare usse saanse bhi naa li jaa rahi thi, aankhe bojhil ho chali thi, Jameen pe ghutno ke bal baitha, hatho se jameen ka shara liye huye. Jab usne apni aankhe ghumayi to Raju ko ek baar fir tuti huyi 'Taad ki gaadi' se waar karta hua dekha to. Usne apni aankhe mund li, uski himmat tut chuki thi, jaise uski Taad ki gaadi ki.
"Ae...ehva kaa ho raha hai, abhi batata hu sabko". Master ji ki aawaz sun Tittu ne aankhe kholi to sabhi ladke bhaagte firte huye nazar aaye, baste aur chappale vahi jamin pe chode huye, kuch apne ghar ki or to kuch gaon ke siwaan ( khet) ki or, aur unme Raju bhi bhaagta hua nazar aaya.
Vo bas tuktuki lagaye dekhe hi jaa raha tha, kabhi samne se aate hath me chhadi liye master ji ko to kabhi vo apne 'Taad ki gaadi' ko dekhta, jiski dandi tut chuki thi, jo ab ek chakke ki hi bas reh gayi thi, ve gaadi, jaise vo tha, Akela........!!
......................
Kramashah......

Last edited: