Qaatil
Embrace The Magic Within
- 2,218
- 13,609
- 159
♡♡♡ TRITIYA LAGHU KATHA ♡♡♡
APANI GAADI - TAAD KI GAADI (Part-1)
Saal 1998
Shaam ke waqt Gaon ka maahol dekhte hi banta tha, suraj dhalne ko ho chala tha, aasmaan me laalima bikhari thi, panchiyo ke jhund apne ghosle ki or rukh kar rhe the, hawaywein bhi ab kuch raahat de rahi thi jo doparhari ke bela me aag ke gole barsa rahe the. Log apne kheto se kaam kr ghar ko laut rahe the hatho me taazi sabjiya liye. Gaaon ke bujurgon ki mandali rajana ki tarah aaj bhi lagi huyi thi chouk me, hamesha ki tarah bematalbi charchaayein, bematalbi isliye ki charchaon ka kendra me koi kharabi naa hoti allbatta uspe amal nhi ho paati, gaaon ke bujurg jo thehre , sirf sujhao hi de sakte hai, akhir me to apne aapko nau jawan kahe jaanewale yuvaan vahi karte jo unhe karni hoti hai.....
Kahi koi apne Gaayo ko chaara to koi apne gharo ke samne bane 'Baade' (aangan) me paani ka chhidkaao kr rahe the jaha dopahar ke waqt looh ke chalne se dhool mitti ka jamao ho gya tha, aur jis dhool mitti se kuch samay pehle Dum sa ghut jaata ab vo hi kisi ittr se kam naa tha.... Bhhini bhhini si......mitti ki khushboo!
"Ae chacha aae babu, Aaayi re aayi gaadi aayi, taad ki aayi gaadi aayi, apni gaadi taad ki gaadi, Tez hai gaadi apni gaadi, bichhuk nn jaaye tau ki gaaye, udd nn jaaye sabki dhoti bhai, aayi gaadi taad ki gaadi, taad ki gaadi apni gaadi ! Bhrruummmm Bhrrruummmm!!"
Taad ke ped ke kate huye do falo (Fruits) se banne chakke....aur unko kendra se aapas me jodti unke bich me sidhi chhoti si Dandi...aur nabbe ke kond (Perpendicular ) pe lagi usse panch guni badi si dandi jiska chhor 'Gulel ' sa hone se vo choti lakadi pe pakad banaye huye thi,aur bachao ke liye safed rang ke dhhage ki rassi se baandhi gyi thi....aur dusri chhor jo Handle ka kaam krta tha..
Haatho me Dandi pakade huye vo Taad ki gaadi ko aise mod rha jaise koi peshewar chalak ho, safed rang ka aadhe baah ki kurta pehna jiske saare botton khule huye the, filmo ka bada shaukin jo thehra, filmo ke abhinetaon ko dekh, naayi ki dukaan me jaa.. ghanto khud ko vaise dhaalne ka prayas krta...Aur baal bhi kisi hero se kaam naa the uske.
Aasmani rang ki half pant jo sarakari school se mila tha use teen mahine pehle jb vo dusri kaksha me dakhila liya tha..maaloom padta jaise school se aane ke baad school ki dress tab se nikali hi nn ho...Us aasamani rang ki half pant pe dhool mitti lagi padi thi jo laal dhaage se kamar se bandi huyi thi taaki ve kamar se sarke na, ye Jugaad uski maa Seema ne kiya tha jab vo apne laadle ko baar baar ek haath se pant khich, unse pareshan sa ho jata.....uske naap ki belt bhi naa milti thi, Patla jo thehra lekin bilkul swasth, gora chiitha ,apni maa seema pe jo gya, Seema ki umar lagbhag chhabis ya usse thoda hi upar hoga, pr nau youvan me uska kahi koi mukaabla nahi tha pure gaon ki aurto me, aur gaon ki nau jawaan ladkiya bhi uske aas pass tak na phatakti thi uske saundarya ke samip........khubsurati ke sath samjhdaar vyaktitva ki maalkin thi, Sehari hone ke bavjud Gaon ke sabhi Riti ritvaaj janti thi aur usme shamil bhi hoti thi.
..
Apne bade papa( Rajendra ) se jidd kr, Tittu ne ye gaadi banwai thi. Uske umar ke lagbhag saare bachho ke pass tha "Taad ki gaadi". Pr aisi baat bhi nahi hai ki Tittu ke pass pehle se naa thi uski apni ye gaadi, par uske bade papa mahir the inme, bachpan me unhone bhi kaafi hud dangai ki hui thi, pr ab ve purani baate ho chalii thi, aur ab unka vyaktitva bada hi gehra tha.. unke sar pe jimmedariya jo aa chuki thi, baba ke gujarne ke baad dono behno ki shadi, maa aur bhai ka khayal jo rakhna pada.
Vo ye tab se krte aa rhe the, jab unki umar yahi koi pandrah - solah varsh ki hi rahi hogi, pr jimmedariyo se kabhi nn bhaage, aur isme unka bharpur saath diya unki ardhangani Meena ne. Meena saral aur samjhdar thi, panchvi tak padhi thi, pr gyaan kisi se kam naa tha. Rajendra ji bhale hi ashikshit rhe ho par apne chhote bhai ko seher bhejh snatak krwaye aur behno ko barahvi. Aur iske piche Meena ka hath tha.
Aur jab Tittu ke pitaji ne saher me hi bina kisi se bataye shaadi kr li to Tittu ke bade papa bahut naaraj huye the ispe, aur to aur gair biradari upar se...gaon me kya muuh dikhaayenge??. Aur Apne bhai se bahut naraj huye aur baat itni badh gayi ki batware tak aa pahuchi. Par Tittu ke pitaji ne kuch bhi lene se inkaar kar diya, aur ve apne pyaar ko saath liye, gaon se vaapis saher bas gaye, aur saher me apne mehanat ke balbute achha khasa ghar aur pehchaan bana chuke the, aur apne kamai ka lagbag adha paisa ve apne bhai ke khaate me daal dete the, Kyuki aaj vo jo kuch bhi the sab apne bade bhai ke vajud se hi to the.
Par Tittu ke bade papa bhi the bade hi swabhimaani, unhone ek paise bhi naa liye apne chhote bhai ka. Aur aisa bhi nahi hai ki ve naaraj the balki gaaon me jab ve kisi madali ke charchao ka hissa bante to unke chhote bhai ki tarakki ka jikkar akshar hota, pr ve bolte kuch naa, bas andar hi andar apne bhai pe fakr mehsoos hota, aur dua karte ki unka bhai jaha bhi rahe khush rahe.
Tittu ke pitaaji bhi hafte bhar me telephone jarur karte, aur ghar ke sabhi logo kaa haal chaal puchte...aur Tittu ki maa bhi ghanto baatein karti apni Jethani se, aur kabhi kabhi to aankhein bhi chalak uthti thi dono ki...
Waqt aise hi gujarta gya, aur Tittu ke bade papa ki naarajgi bhi ab dhhumil huye chali thi... Bas ek jhhijhak ki partein hi rah gyi thi dono ke bich, jab Tittu ke pitaji apni bhabhi se baatein karte to , tab ve kisi bahane se ve kuch dhundhne ka natak krte aur apne bhai ki baatein sunne ki kosis karte. Jb unhe pata lagta vo sahi salamat hai aur khush hai, to jaake unke dil ko sukun aata, aur Meena bhi jaankar baatein jor jor se kiya karti thi aur apne devar ki baaton ko doharati thi.
Aur karib panch saal ke baad Tittu ki maa Seema ke pet se hone ki khabar aayi to, jaise ek baar fir khushiya laut aayi ho, ye khabar jab Meena ne Tittu ke bade papa Rajendra ji ko sunayi to ve phule nn samaye...Unki apni koi aulaad nn huyi thi...pr ab ghar ka chiraag aane wala tha..... Tittu ki maa Seema ke ghar se telephone aaya ki ve apne bachhe ko ve maiyke me ho, kyuki vaha unki maa aur bhabhiya bhi thi jo unka khayal rakhti... Is baat pr Tittu ke pitaji ne mohar laga di.....
Aur idhar Gaaon me Meena ke bahut samjhane pe Tittu ke bade papa ne bhi apni jo bhi gile sikwe the use bhula kar, apne chhote bhai ko telephone kiya. Jab ve telephone kiye to ve ghar se nikal hi rahe the... Telephone ki ghanti Seema ne suni to unka mann nhi kiya uthaane ka, pet se hone ke karan unhe chala bhi nahi jaa rha tha, kaafi thakan si ho gayi thi unhe, pehle bachhe ke waqt sharir utna chhamtawadi nahi rehta....
Par dubara telephone ki ghanti bajne se ve ghar ke bahar jaate jaate ruk gyi jaha unke pati 'marshal' liye intezaar kr rhe the.
Unhone ne bedili se telephone ke handle ko uthaa kaan ko lagaya to unhe anazaan vyakti ki ' Hello' ki aawaz sunayi di.
Vo handle ko vapas rakhne hi wali thi ki...
" Hello... Bittu...hello...hello!"......Tittu ke Pitaji ke gharelu naam sunn unhe der nn lagi pahchanane me ki Telephone ke us or kaun hai? Aur kya lagta?....
Unhe kuch nn samjh aaya.... ve bus jor jor se ro padi...telphone ka handle kaan se lagaye , niche jamin pe baith gyi.... unke aanshu rukne ka naam hi nahi le raha tha...
Tittu ke pitaji ne jab apne dharma patni ko bahar nn aate dekha to...unke mann me bure bure khyalo ne gherna suru kr diya....Ve turant daude andar ghar ki or...
Apne dharmpatni ko aise rote bilakhte huye kise se baatein krte huye dekha to ve jhhat se telephone le, apne kaan se laga " Hello... kaun hai?"
"Bittu... Hum hai...tohaar bhaiya...."
Ab to jaise bandh si tut padi ho...ansu rukne ka naam hi nahi le rha tha, ve bhi jamin pe baith, apne patni ko gale se laga liye, barso ki judayi ka aisa ant to hona hi tha, aur ye aanshu bhi to jaruri hi the, aur ye tadap bhi....Aane wale khushiyo ke liye.
Fir kya, Tittu ke bade papa ke kehne par ve dono apne gaaon ke liye nikal pade. Aur vahi Tittu ka janam hua....barso baad khushiya lauti thi. Sabke chehre khile huye the...Pure gaaon ko jasan me amantrit kiya gya...Dono bua bhi apne sasural se aayi...ve bhi apne chote bhai se mil khushi se ro padi....Sabhi khush the.
Aur jab Tittu ke pitaji ne apne vapasi ki baat jahir ki to Tittu ke bade papa ne saaf saaf inkar kr diya...
"Tumka jana hai to jaao... Tittu ehve rhega!" ...
Bahut samjhane pr bhi Jb Tittu ke bade papa na maane to unhone bhi apne bade bhai ke hathh ke saamne ghutne tek diye. Aur phir Tittu ke pitaji ko akele hi seher jana pada.
Par mahine me ve do ya teen din keliye jarur aate apni dharampatni aur apne ladle se milne.
Tittu apne aap me hi ek Toofaan sa tha, Na kabhi thakta aur na hi rukta jo tha , din bhar udam machaye rakhta tha, gaao ke saare bachon ka Agua ( The Leader) jo thehra. Hamesha uske saitaani mann me kuchh nn kuchh bulbule phhut te hi rehte the....Gaon ke log uske saitaniyo se pareshan bhi the. Aur kai baar to uski sikaayatein tak aa chuki thi, seema ko koi nn koi suna ke chala hi jata. Us din to uski khair nahi hoti pr hamesha ki tarh uski badi maa Meena bich bachao ke liye vaha maujood hoti, aur sath hi uski daadi bhi.....Ghar ka ek hi to Ladla tha.
Kitna bhi thaka hua ho, lekin Roj raat, apne Dadi se Raja rani aur pariyon ki kahaniya sun ke hi dum leta, agar bich me uski Dadi sunaate huye unki aankh lag jaati to ve unhe utha kr dubara sunane ki jidd krta , kahaniya sunn khush ho jata, dur kahi kalpanao ke gehre samundar me khota chala jaata, aur ve us samay vo Tittu naa hota jo vo aksar Taad ki gaadi chalate huye huwa krta tha., Shaant aur apne Vyktigat vyvhaarv ke viparit.
..............
Kramashah.........
Let me appreciate the person who brought this story to us. That is Luvyrus160 .
Update was Great, please keep posting stories like this and we will be very happy by reading your stories.


Update was Great, please keep posting stories like this and we will be very happy by reading your stories.


