♡♡♡ DWITIYA LAGHU KATHA ♡♡♡
CHINI KI ROTI !
"Ae maai, humka u dilayido, dekho nn, sabahi liye hai, aur upar se muh chidha rahe hai humka, naa dilaogi ve rangeen gubbare!?" Golu ne apne maa se guhaar lagayi, apne un unuchit khwahishon ko purn krne ke liye jo sirf chand lamho ka hi mohataz ho....Nanga badan lagbhag 5 saal ka jaan padta ho.. sawla sa, pr kanahaiya se kam na....
Ghar ke chaukhat pe baitha Golu un rang birange gubbaro ko paane ki aas lagaye nn jaane kab se baitha tha,
Aas pados ke bachho ko dekh uska hriday tadap utha tha, aur pados ke bachhe rang birange gubbare le, idhar udhar hudang machaaye the, jaise unhe koi khajaana mil gya ho...akhir usme rakha hi kya tha un char aane ke gubbaron me!?...... Golu bhi unki tarh udna chata tha un rang birange gubbaron ki tarah aazad ! , pr Golu ke liye ve ehasas bhi keval sapne sa hi tha....Lekin usko ye bhaan jaara bhi nn tha ki aazad sa dikhane wale be Gubbare bhi aazad kaha the, ve bhi to Gulam hai uske malik ke zanjiro se, chahe ve dhaage hi kyu nn ho...
Nange badan pe kapde hone ke naam pe maatr maile kuchaile ek ujali half Pant pehne huye tha, pr ab to ve bhi naa rahi..jangho ke bich silan ukhdi jo thi..vo bhi kai rango ke, pichle mahine ye pant use bhent mili thi, Nirmala ko apne Malkin se, Purani pant !, jaha vo saaf-safayi krne jaya karti thi, aur kabhi kabhar vo Golu ko bhi sath liye chal deti thi, chota jo thehra aur ladala bhi, Daulat ke bina bhi!.....
Nirmala jab choukari kar ghar vapas aayi to apne bete ko aise rangin gubbaro ko taktaki lagaye baitha dekha to uske hridaya me chubhan si mehsoos huyi.....Gaadhi nili rang ki saadi pahni, kahi kahi se unme chhote chhote ched jhalak aahi jaati pr chehre pe kahi koi sharmindagi na tha...un tamaam jhoothi aur dhongi hone ke dikhawe se koso dur thi....pr thi ve charahari si, lambi bhi, itna kam vo akele jo karti thi, aise sarir ke liye use koi alag se bhugtan nhi krna padta tha...daulat mando ki tarah ! ...Pati bhi uska mehanati tha,.......
Bete ki khwahish jaan, Nirmala devi kuch naa boli...bas chup rahi aur gusse se use ankhen dikha rahi thi, pr sirf bahari roop se hi, andar to kuch aur hi tha....sirf dukh..apne ladle ki khwahish ko pura nn kr paane me asamarth jo thahri thi...makaan ka kiraya bhi to chukana tha nn unhe, aur upar se rashan ka bhi...aur sath hi saas ke Damma ki dawaon ka bhojh.
" Lagata hai tu humse pyar naahi karti ho..agar karti to dila deti humka...u lalka wala...huh!" Bachpan ka hatthh !,uske aage to bhagwan ko bhi jhukna pad jata hai..par yaha majburi jo thehari...insaan ke dwara banaye bematlabi majburi...Dhan ki majburi...Uparwale ke paas aisi majburi thode hi hoti hai !
"Dilaungi nn...pr abhi raat hone wali hai, chal jaldi chal andar, baba bhi aate hi honge kaam pr se...aur e gubbare to phoot jayenge nn lalla, to in rangeen gubbare ke badle hum tumka rangeen kathpisim ( Pencil colour) dila deb aur saath hi aaj tumka hum chiniwala roti bhi khilaungi...khayega nn mera Lalla!" Badi chalaki se apne majaburi ko chhupa liya, pr kab tak chhupta...jab use duniya ke usoolo ko samajh aane lage!? Tab kya hoga!?.....
Par abhi to vo tha naadan...duniya ki samjh thode hi aayi hogi...
"haa khaunga...!!" Muh me to jaise bandh si tut padi ho, paani rukne ka naam hi naa le raha tha...sirf kalpana maatr se hi...
CHINI KI ROTI !....ADHURI reh gayi KHWAHISEIN pr ek achhe aur Ujjwal ,sunhare bhavishya ke liye..!!