• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

mehug

Active Member
822
1,357
123
Update 106

Me aur Pawansir jis ghar ke samne ruke the wo dekh kar me samajgaya tha ki ye kiska ghar hai, kyu ki me pehle bhi yaha aa chuka tha. Ye Manisha Madam ka ghar tha. Pawansir muje ander le gaye, waha kaam karnewali aurat ne hame bethne ko kaha aur wo ander chali gayi, thodi der me ek aadmi hamare samne aaya jise dekh kar Pawansir khade ho gaye to me bhi khada ho gaya.

Pawansir : Good afternoon sir, kaise hai aap?

Suryadev : Me achchha hu, aap kaise hai Pawanji, bethiye. (Unhone ek bar meri aur dekha fir Pawansir ki aur dekh kar)Kahiye kaise aana hua?

Pawansir : Aise hi milne chala aaya sir, waise bhi aap to milte nahi, bussiness ke wajah se aap hamesa kahi na kahi bahar hi hote ho, mene suna ki aap aaye hai to milne chala aya.

Suryadev : Achchhi baat hai, par me bussinesman hu aur me janta hu aap aise to milne aaye nahi honge. (Tabhi ander se Manisha madam apane bachche ke sath bahar aayi, wo dusare room ki aur ja rahi thi par muj par najar padte hi wo hamari taraf aayi)

Pawansir : Namaste madam, kaisi hai aap?

Manishamadam : Achchhi hu bhaisahab, kaise ho Shiv? (Unhone muje puchha to Suryadev aur Pawansir dono tajjub se muje dekhne lage, mene khade hote hue kaha)

Shiv : Achchha hu madam, aap kaisi hai?

Suryadev : Tum janti ho isse?

Manisha : Ha, ye Shiv hai, mene tumhe bataya tha na ki me ek khel mahotsav me inaam vitaran ke liye ja rahi hu, waha iss se mulakat hui thi, bahot honhar khiladi hai ye.

Suryadev : Are wah, ye to achchhi baat hai, par tum yaha kaise?(Me kya jawab deta to mene Pawansir ki aur dekha)

Pawansir : Ye abhi padhraha hai aur sath me kaam karta hai taki apana kharcha nikal shake, Waise to ye hamare yaha kaam karta hai par itne kaam waqt me hi ye hamare ghar ke sadasya jaisa ho gaya hai.

Manisha : You know Surya, he is orphan, but brilliant boy.

Suryadev : Impressive! (Pwansir ki aur dekh kar)Ha to kahiye Pawanji kaise aana hua?

Pawansir : Aur to kuchh nahi Sir, bas aap ka wo factory wala project kaha tak pahucha, bas ye jan na tha. (Manisha madam baar baar muje dekh rahi thi, me thoda ghabara raha tha)

Suryadev : Waise to tum jante hi ho, wo jamin ki wajah se wo ruka hua hai, jab tak us jamin ka masala hal nahi hota aage kuchh nahi ho shakta, mere kafi paise usme block ho gaye hai.

Pawansir : Par problem kya hai Sir, Prakashrao to aapke mitra hai, aur MLA se bhi aapki achchhi pehchan hai.

Suryadev : Aap to jante hai, bussiness me koi mitra ya dusman nahi hota, sab apana apana fayeda dhundhte hai, hamari baat hui thi par wo kuchh jyada hi demand kar rahe hai, aur muje aise jhuk kar faisale lena manjur nahi. Agar masala hal na hua to me ye project hi band kar dunga.

Pawansir : Are nahi sir, aapke iss project se saher ko kitna fayeda hoga, kayi logo ko kaam dhandha milega.

Suryadev : Me janta hu, par bura na man na, par tumhare partner Prakash Rao aur MLA dono mil kar game khel rahe hai, muje ye bhi pata hai ki jisne jamin par apana kabja dikhaya hai wo unhi ka aadmi hai. Rato raat unhone sare sabut bana diye hai, par ye sab sabit karne me barso nikal jayenge. Sach kahu to me Prakash Rao aur tumhari company ko contract dena hi nahi chahta, par lagta hai ki agar muje ye karna hai to tum logo ko hi kaam dena padega, upar se wo MLA is project me partnership maang raha hai, muje nahi lagta ki ye project hoga.

Pawnsir : Aisa maat kahiye sir, me aur Prakashrao to issliye saath kaam karte hai ki wo project le aate hai, par unke pass na man power hai na infrastructure to unhe mere jaise se hi kaam karwana padta hai, hum kaam karte hai aur malai wo khate hai. Problem yahi hai ki wo MLA ki madad se sare project hansil kar lete hai.

Suryadev : Me tumhari baat samaj raha hu, par kar bhi kya sakte hai?

Shiv : Sir agar hum wo jamin unke kabje se mukt karwa de to?

Pawansir : Ye kya keh rahe ho Shiv, ye mumkin nahi hai.

Shiv : Me janta hu sir, ye mumkin nahi hai, par agar aisa ho jaye to?

Suryadev : Agar ho jata hai to project tumhara. Par tum jante bhi ho tum kya keh rahe ho, aur ye karoge kaise?

Shiv : Sir, mera maan na hai ki agar kuchh karna hai to pehle uske bare me sochna padta hai, agar hum ye maan kar chalte rahe ki ye nahi ho shakta to wo hone se raha, agar hume us jamin ko chhudana hai to ye sochna hoga ki hume wo chhudani hai, to hamara dimag us aur sochne lagega ki kaise, jab tak hum ye sochenge nahi tab tak rasta kaise milega, koshis to karni hi chahiye. Agar hum soche ki hame chand par jana hai tabhi to hum uska rasta dhundh payenge, agar sochenge nahi to rasta kaise dhundhenge.

Suryadev : (Muskurate hue)Bilkul sahi soch hai tumhari, par sirf sochne se kuchh nahi hoga, karoge kaise?

Shiv : Abhi to muje nahi pata par koi na koi rasta jarur nikal aayega. Par agar nikal aaya to kya aap Pawansir ko ye project doge?

Suryadev : Ha jarur dunga.

Pawansir : (Wo thoda ghabara rahe the)Sir, par ye baat Prakashrao ko pata na chale, atleast tab tak jab tak iska koi hal na nikal aaye.

Suryadev : Tum fikar maat karo.

Manisha : Aap log baate karo me aapke liye kuchh banati hu, Shiv tab tak tum isse sambhalo(Unhone apana bachcha muje de diya, bada hi pyara bachcha tha, wo muje dekh kar muskurane laga)Agar rone lage to ander le aana.

Suryadev : Aisa kyu keh rahi ho, tumhe to pata hai ki wo tumhe nahi dekhega to royega, bina wajah kyu rulana use, tum use apane sath hi le jao.

Manisha : To aap sambhalo use.

Suryadev : Are yaar tumhe to pata hai wo mere pass aate hi rone lagta hai.

Manisha : Royega hi, tum use dikhte kab ho, jyadatar bahar rehte ho aur jab yaha hote ho tab bhi kaam kaam kaam. To ye kaise pehchanega.

Suryadev : Are baba, ab tum suru mat ho jao.

Manisha : Chalo Shiv, mere sath kitchen me khade rehna, wo muje dekhta rahe ga to nahi royega. (Mene Pawansir aur Suryadevsir ko dekha to madam fir se boli)Unhe kya dekh rahe ho, chalo. (Me kya karta, me aur madam ander chale gaye.)

Suryadev : Kon hai ye ladka, himmatwala hai, tarakki karega.

Pawansir : Sahi kaha Sir, waise to anath hai par jaha jata hai riste banaleta hai, nek ladka hai, kabhi kisi ka bura nahi kehta na sochta hai.

Suryadev : Apne sath rakhna, uske chalete tumhe bhi bahot fayeda hoga.

(Wo dono bahar baate kar rahe the)

Manisha : To akhirkar kismat tumhe mere pass khinch hi layi. (Me kuchh na bola) Kya yaar, itni si baat pe khafa ho, mene juth bola tha ki me tumhe fansa dungi. Muje us waqt kuchh suja nahi to aisa keh diya tha, sorry.

Shiv : Me janta tha. Waise bhi mere pass hai hi kya jo me ghabrau. Par jis tarha se aapne kaha wo muje achchha nahi laga tha.

Manisha : Sorry yaar, mitti dalo pichhali bato par. Ab me koi jabardasti nahi karungi, agar tumhari marji ho to aana, thik hai. Par sach kehti hu, yar besabari se intejar hai us pal ka.

Shiv : Aap janti hai, agar Sir ko pata chal gaya to kya hoga.

Manisha : Me pagal dikhti hu tumhe, tum se jyada muje iss baat ki fikar hai samje.

Shiv : (Suryadevji ki wajah se me ab inhe naraj nahi kar shakta tha, aur mera kya nuksan tha)Thik hai, mera number me de dunga aap ko.

Manisha : (Unke chehre par khusi chhalak aayi, jaise unhe khajana mil gaya ho)Thank you Shiv.

Thodi der waha rehne ke baad me aur Pawansir waha se nikal gaye, barish band ho chuki thi par jagah jagah pani bhara hua tha, aur fir se baris hone ke bhi asar the. Me aur wo dono Site par chale gaye, raste me bhi hum usi baat pe charcha kar rahe the, par koi rasta nahi mil raha tha. Mene vakil ki salah lene ko kaha to unhone Kavya madam se milne ke liye phone laga diya. Madam ne Raat ko milne ko bulaya. Baris ki wajah se site par kaam ruka hua tha, sirf ander ander ka kaam chal raha tha. Un sab ko chhutne me ab sirf ek hi ghanta bacha tha to hum dono sath me hi waha se nikal gaye. Wo tino muje dekh rahi thi par Pawansir ki wajah se kuchh boli nahi. Me waha se Juhi ke ghar chala gaya. Me aaj jaldi gaya tha, Mene dorbel bajayi to usne darwaja khola. Wo sayad so rahi thi to uske baal bikhare hue the, t-shirt aur ek chhoti chaddi pehne hue hi thi wo. Muje dekh kar wo khus ho gayi, muje ander khinch kar darwaja band kar liya, mene bhi use apani bahome bar liya aur uske mithe thotho ka ras pine laga. Jab hum dono ka dil bhar gaya to hum alag hue.

Juhi : Itna jaldi aa gaye?

Shiv : Baris ki wajah se aaj kaam band tha to jaldi chhutti mil gayi.

Juhi : Baris ki wajah se stadium bhi nahi jana hai. Tum betho me tumhare liye kuchh banati hu.

Shiv : Koi jarurat nahi hai, aao mere pass betho (Wo muskurati hui mere pass beth gayi, uski pyari muskan, bikhari julfe, pyar se bhara chehra, ankho me umadta pyar, us se dur rehna sachme na mumkin sa lag raha tha)

Juhi : Aise kya dekh rahe ho?

Shiv : Kuchh nahi, bas ye pyara sa chehra, aur tumhari ankhe jisme dher sara pyar hai.

Juhi : Aaj bade romantic ho rahe ho? Koi khas baat?

Shiv : Koi khas baat nahi, tum sath ho wohi khas hai. (Wo meri god me shir rakhte hue let gayi) Kya hua?

Juhi : Kuchh nahi, bas maan kia (Me uske chehre se baal hatane laga, wo muskurate hue muje dekh rahi thi)Muj par bahot pyar aa raha hai.

Shiv : Wo to hamesha aata hai Juhi, par me is layak nahi ki...

Juhi : No bakwas sirf pyar. (Uske aise bolne se me bhi muskura diya) Maat socho itna shiv, chhoti si to jindagi hai, soch soch kar gavane me kya fayeda. Jo hoga so hoga, aaj ka maza lo. (Mene uska gal sehlaya to wo muskurayi, usne mera hath pakada aur usko chum liya, uske baad usne usko apne ek stan par rakh diya, me hatane laga to wo boli) Kuchh maat karo, bas waha rakkhe raho, muje achchha lagta hai, muje aisa lagta hai jaise hum dono me koi duri nahi hai, muje aisa lagta hai jaise mujpar tumhar haq hai, tum muje kahi bhi chhu sakte ho. (Me muskuraya aur mene hath wahi rehne diya, uske sudol stan ka ehsas mere hath me ho raha tha) Lata kaisi hai?

Shiv : Thik hai, kyu puchh rahi ho?

Juhi : Bas aise hi, wo tumko bahot pyari hai na, isliye.

Shiv : Sach kehti ho tum, wo sabse pyari hai.

Juhi : Aur baki sab kaisa chal raha hai? Tumhari naukari?

Shiv : Sab thik hai, Pawansir achche hai.

Juhi : Aur Sneha? (Puchhne ke baad wo natkhat sa muskurayi, me bhi muskuraya) Lagta hai tumhara wo jaag raha hai(Mere lund ki baat kar rahi thi)

Shiv : Aise meri god me letogi aur mere hath ko apne stan par rakkho gi to aur kya hoga.

Juhi : Koi baat nahi, wo bhi muje achcha lagta hai.

Hum dono kafi der aise hi bate karte rahe, wo bhi aaj bahot khus thi. Aaj time tha to mene socha ki ek bar Bhargavi madam se bhi mil lu, mene phone kia to wo police station me hi thi, mene unhe puchha ki kab nikalnewali hai to unhone kaha ki thodi der me wo ghar hi ja rahi hai, mene unhe raste me milne ko kaha aur me Juhi ke ghar se nikal gaya. Me raste me khada tha ki police jeep mere pass aake ruki, me ander beth gaya. Wo police verdi me hi thi, muje dekh kar wo muskurayi.

Bhargavi : Aaj meri yaad kaise aa gayi?

Shiv : (Unhone jis tarha se puchha tha, ye ek inspector ki tarha nahi ek ladki ke jaise puchha tha, par mere maan me abhi bhi dar tha to mene us bhavna ko darkinar kia) Muje kuchh pata chala hai wo hi batana tha.

Bhargavi : Kis bare me?

Shiv : Jahir garage ke bare me.

Bhargavi : Achchha kya pata chala hai?

Shiv : Yaha aise khade rehkar baat karna kya thik rahega?

Bhargavi : Thik hai, chalo ghar chalte hai. (Unhone gadi aage badha di, thodi der me hum unke ghar pahuch gaye) Tum betho me change karke aati hu. (Thodi der baad wo three piece gown pehan kar aa gayi, ab wo bilkul alag lag rahi thi, wo ek ladki ki tarha lag rahi thi, baal bhi unhone khol diye the to ek do pal ke liye meri najar unke pure sharir par chali gayi, ab me tha to ek ladka, kya kar shakta hu, unhone bhi shayad ye notice kia, wo bhi mere chehre par aaye bhav samajne ki koshis kar rahi thi, mene unki ankho me hi dekhna sahi samja)Ha to batao kya pata chala hai?

Shiv : Madam, muje us jagah ka pata chala hai jaha wo aisi gadiya chhupa ke rakhta hai.

Bhargavi : (Meri aur ascharya se dekhte hue)Achchha, kaha?

Shiv : Wo saher se bahar hai, me aapko waha le ja shakta hu.

Bhargavi : Waise tumhe pakka hai na ki usi jagah gadiya rakkhi jati hai, mera matlab hai tumhe kaise ye pata chala?

Shiv : Wo maat puchhiye, par me sure hu ki gadiya wahi hogi.

Bhargavi : Thik hai to fir kal puri force ke sath waha chhapa marenge.

Shiv : Nahi, abhi nahi.

Bhargavi : Kya matlab hai tumhara?

Shiv : Dekhiye madam. Jaisa ki aapne kaha ki me sure hu ki nahi to mene bhi suna hi hai, ha itna yakin se keh sakta hu ki wo sahi hi hoga, fir bhi hum risk nahi le shakte, ek bar waha janch to karni chahiye, par akele, apke department me kisi ko pata chale bagai, kyu ki is se khabar leak hone ka khatara hai.

Bhargavi : (Kuchh sochte hue) Thik hai, tumhari baat me dum hai, par tum akele nahi jaoge, me bhi tumhare sath chalungi.

Shiv : Agar aap mere sath aayi to unhe pata chal shakta hai, aap police verdi me nahi chal shakti.

Bhargavi : Muje pata hai, me bevakuf nahi hu.

Shiv : Sorry, madam, mere kehne ka wo matlab nahi tha.

Bhargavi : (Muskurate hue)Muje pata hai, me sade kapade me aaungi, kab chalna hai?

Shiv : Waise to aaj bhi ja shakte hai, kyu ki andhera hone ke baad jana hi sahi rahega, kyu ki aas pass khuli jagah hai, agar ujale me jayenge to kisi ki bhi najar me aa shakte hai. Par abhi muje Kavya madam se milne jana hai.

Bhargavi : Kavya madam se kyu?

Shiv : Ye ek aur masala hai, waise hai usi jamin se juda hua.

Bhargavi : Aisi kya baat hai?

Shiv : Us jamin par Jahir ne avaidh tarike se kabja kiya hua hai, usne kuchh nakali dastavej banaye hai, me jaha kaam karta hu unhe apane naye project ke liye us jamin ko chhudvana padega, to usi silsileme baat karne ja rahe hai.

Bhargavi : Tum to supervisor ke taur par kaam karte ho na? fir tumhara kya lena dena is bat se?

Shiv : Vaise to koi lena dena nahi hai, par Pawansir muj par viswas karte hai to wo muje apane sath le ja rahe hai.

Bhargavi : To fir uske baad chalte hai.

Shiv : Jyada der nahi ho jayegi?

Bhargavi : Are yaar kya kahu tumse, upar se bahot pressure hai, muje ye case jald se jald solve karna hi hai.

Shiv : Thik hai, me ghar bol deta hu ki muje der hogi. Kavya madam se milne ke baad me aapko call karunga, aap aa jana, par police jeep me maat aana.

Bhargavi : Tum to aise muje salah de rahe ho jaise me koi dudhpiti bachchi hu, muje sab pata hai. (Me sorry bolnewala tha ki unhone muje rok diya) Tumhe bike aati hai?

Shiv : Ha aati hai?

Bhargavi : Aao mere sath. (Wo muje bahar le gayi, unhone ek dhaki hui bike pe se cover hataya) Ye bike tum le jao, waha kaam khatam karne ke baad wapas yahi aa jana.

Shiv : Ye bike?

Bhargavi : Meri hai, normali iski jarurat nahi padti iss liye yaha rakkhi hui hai. Lo chabi, aur jab wapas aao to muje call kar dena.

Mene bike li aur Kavya madam ke ghar chala gaya. Hum dono office me bethe the, abhi tak Pawansir nahi aaye the.

Kavya : (Thodi narajgi se)Tum to gayab hi ho gaye Shiv, kitne din baad aaye ho, tumhe pata hai na me tumhari vakil hu?

Shiv : Ji madam, par me bhi kya karta, me training ke liye dus din bahar tha, uske baad me exam fir ek compition, time hi nahi mila.

Kavya : (Narajgi se hi)Agar milna ho to time milhi jata hai, lagta hai tumhe meri jarurat nahi hai, thik hai koi dusara vakil dekh lo.

Shiv : (Unka chehra dekh ke dar gaya, me kaise dusara vakil kar shakta hu)Ye kya keh rahi hai madam., aap to janti hai me aisa nahi kar shakta. (Meri halat sach me kharab ho gayi thi)

Kavya : (Gambhirta se thodi der muje dekh rahi thi, me bhi bebasi se unhe dekh raha tha, achanak wo hasne lagi)Ha ha ha.......(Me abhi bhi unhe dekh raha tha, wo kyu has rahi thi muje samaj nahi aaya) Apana chehra to dekho, kitna dar gaye ho.

Shiv : Darunga hi na madam, aapne baat hi aisi kahi hai.

Kavya : To tum mante ho na ki me tumhare jivan me important hu?

Shiv : Isme maan ne ki kya baat hai, aap important ho.

Kavya : To fir us hisab se hi kabhi kabhar mil liya karo, vakil na sahi ek dost samaj kar hi milne aa jaya karo.

Shiv : Dost? (Meri kuchhh samaj nahi aaya)

Kavya : Kyu, muje dost nahi samaj sakte? Me kya itni badi ho gayi hu?

Shiv : Nahi, par me aapko dost samju, meri itni aukat nahi madam.

Kavya : Dosti aukat dekh kar nahi ki jati, agar dosti aukat dekh kar ki jaye to wo dosti nahi sauda hoga. Muje tum achchhe lage to mene tumse dosti karne ko kaha par tum shayad muje dost nahi maan shakte kyu hai na?

Shiv : Madam, aap meri dost bano ye to meri khusnasibi hogi, me kabhi sapane me bhi soch nahi sakta ki aap meri dost ban sakti hai.

Kavya : Ab bore maat karo Shiv, agar tumhe lagta hai ki tum muje dost bana shakte ho to thik hai, warna jaisa chal raha hai chalne do. Me tumhara case nahi chhodungi bas.

Shiv : Kyu nahi madam, muje khusi hogi, aap ko dost bana kar. Normally aisi dosti hoti nahi na, log aksar apni barabari ke hi dost banate hai.

Kavya : Wo sab muje nahi malum, vaise bhi mene kisi ko apana dost nahi banaya, tumhare sath achchha laga to tumhe keh diya, aage tumhari marji.

Shiv : Kya madam. Meri marji hogi, mene kaha na ki ye meri khusnasibi hai.

Kavya : To fir ye madam madam band karo, muje sirf Kavya kaho.

Shiv : Ye thoda muskil hai, kya madam dost nahi ho shakti? Aur waise bhi sabke samne me aap ko aise nahi bula shakta, thoda aukward lagta hai.(Tabhi niche se kamwali kehne aayi ki Pawansir aaye hai, to madam ne unhe bulane ko kaha)

Kavya: Thik hai, hum baad me baat karenge.

Thodi der baad Pawan sir aa gaye.

Kavya : Kahiye Pawanji, kya baat hai?(Unhone sari paristhiti madam ko bata di.) Dekhiye Pawanji, aisa to hai nahi ki ye chhota masala hai, aur ye bhi nahi ho sakta ki Suryadev ne kisi vakil ki salah na li ho, jaha tak muje lagta hai ki jis tarha se us par kabja kiya gaya hai ye sirf paresan karne ke liye hai, jo bhi sabut unhone banaye hai wo false hai wo hum court me sabit kar sakte hai, ye wo bhi jante honge, unka maksad is jamin ko hathiyana nahi hai, wo ye kar bhi nahi sakte kyu ki kanunan taur par ye jamin bechi aur kharidi gayi hai. Unka maksad bas itna hai ki Suryadev ko paresan kia jaye aur is case ko lamba khincha jaye, agar wo ye case karenge to yakinan jitenge par usme bahot time jayega, court ka to aapko pata hoga ki wo har tarha se janch karegi, kayi bar samnewala court me na hajir reh kar bhi agali tarikh nikalwata hai, wo log aise hi bina wajah is case ko lamba khinchenge, aur unka maksad bhi sirf yahi lagta hai.

Pawansir : To isme kya kia ja shakta hai madam?

Kavya : Mere hisabse to out of court settlement hi best option hai.

Pawansir : Ye to Suryadevji ko bhi pata hai par unki demand kuchh jyada hi hai, agar hame isme kuchh karna hai to kya kar shakte hai?

Kavya : Jaise unhone gair kanunan tarike se kabja kia hai waise hi gair kanunan tarike se kabja wapas lena.

Pawansir : Aapka matlab hai ki gundo ke sahare.

Kavya : Rasta to wohi hai, agar Jahir khud apana kabja chhod deta hai to hi ye jaldi niptega, waise to muje dusare kagjato ki janch bhi karni padegi ki unhone kya kya dave kiye hai, par jaha tak muje lag raha hai waha aur bhi logo ke naam par ghar aur jamin dikhaye honge, aur wo kafi samay se waha reh rahe hai aisa kuchh kia hoga. To hame unsab se NOC lena hoga ki ye unki jamin nahi hai.

Pawansir : Ye to bahot muskil hai madam.

Kavya : Sahi keh rahe hai aap, wo kyu dastakhat karenge? Ya to unhe paise mile ya to jaan ka khatara, ye do hi option hai ki wo dastakhat kare. Aur agar gair kanunan tarike se ye kiya jaye to ye bhi khatara hai ki wo log kanun ka sahara le aur aise me unka case aur majboot ho jayega.

Shiv : Unse jin kagjato par dastakhat lene hai wo aap ready kar shakte ho?

Kavya : Formate to mere PC me ready hi hai, par ye mumkin nahi Shiv.

Shiv : Me to bas puchh raha tha. Kyu ki hame har tarike se taiyar rehna chahiye.

Pawansir : Ye mumkin nahi Shiv, hum gundo ka sahara nahi le shakte aur na hi aise log mere sampark me hai, ye sab tedha kaam hai, hume bhul jana hi chahiye.

Shiv : Waise to aap sahi keh rahe hai par jaha chah hai wahi rah hai, koi na koi rasta to nikal hi aayega.

Kavya : Ye bahot khatarnak hai Shiv.

Shiv : Me janta hu madam, aur mene kab aisa kaha ki me ye karne jaunga, me to bas ye keh raha hu ki hame har tarha se taiyar rehna hai, na jane kab koi mauka hamara darwaja khat khataye, hame har mauke ke liye taiyar rehna chahiye.

Kavya : Tumhari yahi khubi tumhe khas banati hai, Gayatriwale case me bhi koi hope nahi thi fir bhi pata nahi kaise tumne use chhuda liya. Me bas itna kahungi ki bina wajah khatara lene ki koi jarurat nahi hai, ye Suryadev ka tention hai use handle karne do.

Pawansir : Thik hai madam, aapka sukriya, ab hum chalte hai.

Kavya : Thik hai Pawanji, agar aapki ijajat ho to muje Shiv se thoda kaam hai.

Pawansir : Thik hai, aap log bate kijiye me chalta hu.

Kavya : (Unke jane ke baad)Kya khichadi pak rahi hai tumhare maan me, ye bahot khatarnak kaam hai Shiv, aur tumhara kya lena dena in sab se, agar jamin wapas milegi to Suryadev ka fayeda hoga, tumhe kya jarurat hai in sab me padne ki.

Shiv : Agar jamin milegi to Pawansir ko uska contract mil jayega.

Kavya : Par fir bhi tumhara kya fayeda hai, tum kyu jokhim lene ki soch rahe ho.

Shiv : Me koi jokhim nahi le raha madam, aur waise bhi mera hai hi kon jo muje kisi baat ki parwah ho, ye hi sab to hai jo mere apane hai, inhone hi to mere bure waqt me mera sath diya hai, agar me inke kaam nahi aunga to kiske kaam aunga.

Kavya : Ek khinch ke marungi tumhe jo fir aisa kaha ki tumhara koi nahi hai, kya lahu ke sambandh hi sab hote hai?

Shiv : Yahi to me keh raha hu ki aap sab hi to hai mere apane, agar me aaplogo ke hi kaam na aau to fir kya fayyeda.

Kavya : Par ye sab alag hai Shiv, aur muje samjao kaise karoge ye sab?

Shiv : Mene kaha na ki muje nahi pata hai aur me abhi to ye bhi nahi keh raha ki me ye sab karunga, me to bas puchh raha tha.

Kavya : (Mere hath par hath rakh kar)Koi bevakufi maat karna.

Shiv : (Mene unki ankho me dekha, jaha mere liye chinta thi) Mene kaha na ki me aisa waisa kuchh nahi karunga, aur me kar bhi kya sakta hu, me koi super hero thodena hu jo unke sath jaake lad lunga. Me to bas sab puchh raha tha, aap bharosa kariye, mere maan me aisa waisa kuchh bhi nahi chal raha.

Kavya : Thik hai, muje bharosa hai tum par.

Thodi der baad me waha se nikal gaya, me Bhargavi madam ke ghar pahuch gaya.
Mind blowing update
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

Alok

Well-Known Member
11,598
28,397
258
बहुत ही खूबसूरत अपडेट Vega Star भाई।।।

शिव की सोच को नमन करना चाहिए जो हर स्थिति में शांति से हर पहलू पर ध्यान केंद्रित कर रहा है।।
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,926
189
Superb update jamin kaise khali hogi dekhte hain
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98
Top