• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Kundali Bhagya

Sushil@10

Active Member
759
742
93
Update 85

Me waha se Juhi ke ghar pahuch gaya, wo jal pari darwaja khol kar muskura rahi thi. Me bhi muskurate hue ander gaya. Usne darwaja band kia aur meri aur dekha, me uski bhavnao ko samaj raha tha to mene apne hath khol diye to wo meri baho me aa gayi. Uski khusbu muje behkane lagi, ek bar ke liye mene use thoda jor se apni bahome kas liya. Wo bhi bina kisi sankoch ke mere sath sat kar muje baho me bhare khadi rahi. Muje pata tha ki agar me thoda sa bhi aage badha to kya hoga.

Shiv : Chalo taiyar ho jao, let ho jayenge.

Juhi : Hmmmm.

Mene use chhoda to wo apne room me chali gayi, wo kapade badal kar wapas aayi aur dudh banakar mere samne beth gayi.

Shiv : Me kal batana bhul gaya, mere exam ki date bhi tay ho gayi hai.

Juhi : Kab hai?

Shiv : Pandrah din baad.

Juhi : Oh! Ye to samasya ho gayi, ab kya karenge?

Shiv : Ye to me tumse puchh raha hu, ab kya karenge?

Juhi : Exam bhi important hai aur camp bhi.

Shiv :Vaise muje exam ki jyada tention nahi hai, ha shayad mark thode kaam ho shakte hai.

Juhi : Sach kahu to agar tum me itna potential na hota to me kehti ki exam pe dhyan do, par tum me itna potential hai ki tum sports ke jariye apna mukam hasil kar paoge. Kitne hi kheladi hai jo sports ki wajah se achchhi post par hai. Muje lagta hai ki padhayi agar kaam bhi hogi to tumhe koi fark nahi padega.

Shiv : Mene to apne aap ko tumhe saup diya hai, jaisa tum kahogi waisa hi karuga.

Juhi : (Maan me) Abhi kaha saupa hai, me to kab se taras rahi hu.

Shiv : Kaha kho gayi?

Juhi : Nnn nahi to, kahi nahi.

Shiv : Chalo chalte hai, muje Pawansir se naukari ke liye apne hi Anathalay ki ek ladki ke bareme baat karni hai.

Juhi : (Glass uthate hue)Kiske bare me?

Shiv : Gayatrididi.

Juhi : Oh ha, thik hai chalo.

Hum dono gym aa gaye, mene Pawansir se Gayatrididi ke bareme baat ki to unhone muje Gayatrididi ko milwane ko kaha. Mene kaha ki sham ko sath lekar aaunga. Muje Kavya madam bhi mili.

Kavya : Parso Sunday hai, tumhe yaad hai na?

Shiv : (Waise to muje yaad tha, unhone kahi bahar jane ka program banaya tha) Ha yaad to hai madam, par muje camp jana hai.

Kavya : Kaisa camp? (Mene unhe sab bata diya) Oh!, chalo koi baat nahi, fir kabhi chalenge.

Shiv : Sorry madam.

Kavya : Are nahi, isme sorry ki kya baat hai, hum kaha bhage ja rahe hai, pehle apne carrier ke bareme socho. Hum to fir kabhi bhi ja shakte hai, par jab bhi mauka mile use pakad lena chahiye, tumhare liye ye bahot jaruri hai, waise mene tumhara video dekha aur donate bhi kia hai, apne group me bhi forward kar diya hai.

Shiv : Waise to thank you madam par muje aap ko paise dene hai, aap ne kyu muje diye?

Kavya : (Muskurate hue) Mene tumhe nahi diye, waha ko anath bachcho ko diye hai, tumhara aur mera hisab to alag se hai, kyu hai na?

Shiv : Ji, madam. Thank you, mere anathalay ki aur se. (Wo muskurayi, fir chali gayi, thodi der baad)

Juhi : Kya keh rahi thi, Kavya ji?

Shiv : Tum, muj par najar rakhti ho?

Juhi : Najar nahi rakhti par dekhti ho hu, to mene dekh liya.

Shiv : (Muskurate hue)Kuchh nahi, unhone wo video dekha aur donation diya hai wahi bata rahi thi.

Juhi : Ha, mene bhi bahot se logo ko forward kar diya hai. Muje lagta hai ab tumhari paiso ko problem solve ho jayegi.

Shiv : Wo to ho gayi hai, ye to extra hai, Latadidi ne dusare chhote bachcho ko bhi school me dalne ko kaha hai.

Juhi : Chalo, achchha hai, akhir kar sab kuchh, achchhe hatho me hai.

Shiv : Ye sab aap logo ki wajah se hi hua hai.

Juhi : Aisa kuchh nahi hai, jo bhagyame hai wohi hota hai, hum to sab jariya hai, aur kuchh nahi.

Shiv : Are ha, Pawansir ne Gayatrididi ko sham ko milne bulaya hai.

Juhi : Thik hai, aaj stadium nahi jate hai, me unhe le aaungi. Vaise sanivar raat ko train se jana hai hume.

Shiv : Sanivar, matlab kal raat ko?

Juhi : Ha, kal raat ko. Aur ek baat, aaj me tumhare school ke principal se bhi milne aa jaungi, aur tumhari chhutio ki baat bhi kar lenge.

Shiv : Thik hai.

Mene Gayatrididi ko bata diya ki sham ko unhe Juhi madam lene aayengi. Fir me, school chala gaya. Jab Beena madam padha rahi thi to peon aaya aur muje principal ke office me aane ko kaha. Mene madam se ijajat li, wo muje sawaliya najaro se dekh rahi thi, par sab ke samne to puchh nahi shakti thi, me unki baat samaj raha tha, to mene socha ki recess me unse baat kar lunga. Me waha se principalsir ke office me chala gaya, waha Juhi aur Varunsir bethe hue the.

Shiv : May I come in Sir?

Principal : Ha aao, Shiv. Juhi tumhari chhuttio ki arji le kar aayi hai.

Shiv : Ji Sir.

Principal : Waise to mene in dono se baat kar li hai, tum aage badhoge to hamare school ka hi naam badhega, par exam bhi hai, kya tum sab kar paoge?

Shiv : Ji sir.

Principal : Agar aaur koi hota to muje jyada dikkat nahi hoti, par muje pata hai ki tum padhne bhi hoshiyar ho, issliye muje thodi chinta ho rahi hai, kyu ki in sab ki wajah se tumhari padhayi par bhi asar hoga.

Shiv : Me kar lunga sir.

Principal : Wel, thik hai fir. Me tumhari chhutti manjur karta hu, aur tumhari hajari bharne ke liye bhi Beena madam se baat kar lunga.

Juhi : Thank you Sir.

Principal : Isme thank you kaisa, muje to tumhe thank you kehna chahiye jo tumne shiv ko sports ke liye protsahit kia. Tumhari wajah se hi hame ek honhar khiladi mila hai. So thank you. (Juhi muskurayi aur meri aur dekhne lagi, me bhi muskuraya, thodi der baat karne ke baad me waha se nikal gaya, class me aaya to Beena madam ke chehre par wahi sawal tha. Recess time me me unse milne chala gaya. Hum dono bahar lobby me khade the)

Beena madam : To dus din ki chhuti pe ja rahe ho?

Shiv : Ji, aap ko pata chal gaya?

Beena madam : Ha, Sir ne bataya. Kab nikalnewale ho?

Shiv : Ji, kal raat ko. (Unke chehre par jaise halki si udasi thi) Aap ko khusi nahi hui?

Beena madam : Nahi aisi baat nahi hai, tumhari tarakki se me kyu khus nahi houngi,(Thoda dhire se) tumhe dekhe bagair...

Shiv : (Unhone bahot dhire se bola tha par mene sunliya) Bas thode dino ki to baat hai. (Unhone muje dekha aur haa me shir hilaya, waise bhi bum jyada baat to nahi kar shakte the)

Beena madam : Jane se pehle miloge?

Shiv : Kaab?

Beena madam : Jaisa tumhe thik lage, school ke time ke baad to me ghar par hi hoti hu.

Shiv : Thik hai madam.

Me waha se nikal kar garden me gaya to muje Samim aur Vaiswi mile.

Samim : Hi, Shiv.

Shiv : (Samim ne mujse baat ki to me ruk gaya,Vaiswi ne meri aur ek najar ki, fir dusari aur dekhne lagi) Hi, Samim.

Samim : Principalsir ne kyu bulaya tha tumhe? (Shayad Viswi bhi jan na chahti thi to usne bhi meri aur dekha to me muskuraya, wo fauran dusari aur dekhne lagi)

Shiv : Me, das din ki chhutti pe ja raha hu, to unse permition mangi thi, issliye unhone bulaya tha.

Samim : (Chaukte hue) Dus din! Kab se?

Shiv : Waise to Monday se, par kal raat hi ja raha hu.

Samim : Tum pagal ho gaye ho kya, school me exam hai.

Shiv : Muje pata hai, par jana jaruri hai.

Samim : Aisa kya hai jo itna jaruri hai (Mene use sab bata diya) Oh! Fir to tumhe jana hi chahiye. Par me badi nirash hui.

Shiv : Wo kyu?

Samim : Are yaar, koi tumhe padhayi me harane ko soch raha tha, use mauka mil jayega. (Vaiswi ne ghur kar Samim ko dekha) Dus din me agar tum ye sab karoge to padhayi ka nukshan hoga na.

Shiv : (Me uski baat samaj raha tha) Tum chinta maat karo, jo muje harana chahta hai use keh dena ki wo muje in paristhitio me halke me na le, me dono jagaho par jit shakta hu, waise bhi compition me to namuna dekh hi liya hoga usne. (Vaiswi kuchh bol nahi rahi thi par dusri aur dekh kar hi apna muh banate hue jor jor se sanse le rahi thi, me samaj raha tha ki use gussa aa raha hai)

Samim : Naziadidi ka number to hai hi tumhare pass, agar waha kisi ke pass mobile ho to muje bata dena, me tumhe yaha ke notes bhejdungi.

Shiv : Yaar, sach me tumhi meri sabse khas dost ho, warna log khamkha compition karne lagte hai, mene to nahi kaha, muj se compition karo, ab me best hu to hu, isme me kya kar shakta hu? (Me aur Samim muskurane lage to Vaiswi ke nathune fulne lage, use dekh kar hum dono hasne lage)

Vaiswi : Me ja rahi hu.(Wo waha se jane lagi)

Samim : Are sun to, me bhi aati hu, bye Shiv, muje yaad se number bhejna.

Wo dono chali gayi, par muje Samim ki baat sahi lagi, muje mobile ka to intejam karna hi chahiye, jyada mehnga nahi par sastawala bhi le lena chahiye. Me ye sochte hue apne dosto ke pass chala gaya. Unhe bhi ye sab bata diya. Wo log bhi Sunday ka plan bana ka bethe the to wo bhi niras ho gaye. School ke baad me sidhe ghar chala gaya, aaj stadium jana nahi tha. Sade chhe baje Juhi aayi, hume lene ke liye. Mene Gayatrididi ko bata diya tha to wo taiyar ho gayi thi. Ab hum tin log the to ek scooter par kaise jate.

Juhi : Ek kaam karo Shiv, tum scooter chala lo, hum dono pichhe beth jate hai, tumhe chalega na Gayatri. (Unhone ha kaha, me aage beth gaya, mere pichhe Juhi hi bethi, aur uske baad Gayatrididi. Jagah kam thi to Juhi mujse puri tarha sati hui thi, (Gayatri ne dekha ki iss khubsurat ladki ne Shiv ko kamar se pakada hua hai, wo ascharya chakit thi, kyu ki Juhi bahot hi khubsurat thi aur lambi to itni thi ki in dono ke samne wo bahot bony lagti thi. Itni khubsurat ladki ko Shiv ke sath itna sahaj dekh kar usko bhi Shiv ke liye maan hone laga, kyu ki kuchh bhi ho, Shiv tha to ek hansom ladka.) Me aur Juhi baat kar rahe the, (Gayatri chup chap bethi thi). Thodi der me hum gym pahuch gaye. Mene scooter park kia, mene Gayatrididi ko dekha to wo gym ke board ko dekh rahi thi, unke chehre par dar dikh raha tha. Hota hai, aksar interview se pehle har koi nervous ho jata hai. Me unke pass gaya, mene unhe kandhe se pakada.

Shiv : Darne ki koi baat nahi hai didi, sab thik ho jayega. (Didi ne muje dekha, unhone ha me issara kia)

Hum ander chale gaye, Pawansir abhi tak aaye nahi the. Me jo jo kaam kar raha tha wo sab me didi ko samjata gaya, wo bade gaur se dekh rahi thi. Sabki entry karwane ke baad mene unhe sab packages ke bare me bhi bataya.

Shiv : Dekha didi, sab kitna asan hai, kya kar paogi aap. (Unhone ha me shir hila ya, utne me Pawansir bhi aagaye, mere sath didi ko bhi unhone dekha par kaha kuchh nahi, wo apne cabin me chale gaye). Didi aap betho me sir se baat karke aata hu.(Me ander gaya aur Pawansir ko didi ke bareme bata diya, unhone fir se ek baar didi ko dekha)

Pawansir : Thik hai, bulao use. (Me bhar gaya aur didi ko le kar ander aaya)

Gayatrididi : Good evening Sir.

Pawansir : Good evening, betho. (Didi mere samne dekhne lagi, mene ha me issara kia to wo beth gayi) Kya naam hai tumhara?

Gayatrididi : Gayatri.

Pawansir : Ha to Gayatri, mene dekha ki Shiv tumhe sab samja raha tha, tumhe kya lagta hai? Kya tum kar paogi?

Gayatri : Ji, Sir.

Pawansir : Thik hai, waise Shiv ne recomand kia hai to muje kuchh kehne ki jarurat nahi. Me Shiv ko dhayi hajar de raha tha, me uski salary badhanewala hi tha par ab wo ja raha hai aur waise bhi muje lag raha hai ki muje thodi salary badhani bhi chahiye taki koi yaha tik kar kaam kar shake, to me abhi filhal char hajar dunga, agar tumne achchhe se kaam kia to baad me badha bhi dunga, thik hai?

Gayatrididi : Ji Sir, thank you Sir.

Pawansir : Its alright, achchhese kaam karna. Shiv, ye tumhari jimmedari hai ki tum isse sab kuchh achchhe se samja do.

Shiv : Ji sir. (Hum dono bahar aa gaye, didi ke chehre par muskan thi.)Congratulation didi.

Gayatrididi : Thank you Shiv.

Shiv : Aise sirf thank you se kaam nahi chalega, party deni hogi.

Gayatrididi : Kaisi party? (Thoda mayusi se)Abhi to mere pass paise nahi hai.

Shiv : Meri party ke liye aap ko paise nahi kharchne padenge.

Gayatri : (Uska dil dhadakne laga, use lagne laga ki Shiv jarur wohi baat karega) To? Kya chahiye tumhe?

Shiv : Aap ko koi achchhi chij apne hatho se bana kar khilani padegi.

Gayatri : (Wo ek bar fir galat sabit hui) Thik hai(Wo muskurate hue Shiv ko dekhne lagi)

Shiv : Aap us kurshi par betho, ab se aap ki wohi jagah hai, me thodi kasarat kar leta hu.

Gayatri Shiv ko jata hua dekh rahi thi, ander bahot se log kasarat kar rahe the, par uski najar Shiv ke upar hi thi, Shiv apna Shirt uatar kar kasarat karne laga, uski body aur use aise kasarat karte dekh, wo use kisi film ke hero jaisa lag raha tha. Jab gym ka samay samapt hua to Shiv ne Madan sir ko Gayatrididi se milwaya. Madansir ne bhi unhe badhayi di. Sabke jane ke baad mene sab chije apni

Jagah rakhne laga aur didi ko sab samjane laga. Thodi der baad mene dekha ki Sneha madam bahar khadi hai. Didi ko dekh kar wo wahi khadi thi.

Shiv : Didi, aao me aap ko Pawansir ki wife se milwata hu. (Gayatri ne bhi bahar khadi ek khubsurat mahila ko dekha, wo use janti thi, usne dekha tha jab wo Shiv ki party me aayi thi, hum dono bahar aaye) Good evening madam.

Sneha : Good evening, tum bahar ja rahe ho? (Bina Gayatri ki parwah kiye unhone sidha sawal kia)

Shiv : Ha madam, sift dus dino ke liye. Ye Gayatrididi hai, ab se yahi yaha kaam karegi.

Sneha : Hi, Gayatri kaisi ho?

Gayatrididi : Achchhi hu madam, aap kaisi hai?

Sneha : Me bhi achchhi hu (Meri aur dekh kar)Tum aao muje tumse kuchh baat karni hai.

Hum dono cabin me chale gaye, Gayatri wahi khadi un dono ko dekh rahi thi, thodi der tak use laga ki madam Shiv ko dant rahi hai, wo use naraj dikh rahi thi, fir thodi der baad wo shant ho gayi, Shiv ke kuchh kehne par wo fir se muskurane lagi. Gayatri ko kuchh samaj nahi aa raha tha, par itna pata chal raha tha ki Shiv ke achchhe sambandh hai madam ke sath. Thodi der baad wo dono bahar aa gaye.

Sneha : Tumhara sab kaam ho gaya hai na Shiv?

Shiv : Ji, madam.

Sneha : Chalo, fir me tum dono ko ghar chhod deti hu.

Shiv : Thik hai madam. (Gayatri ko ajib lag raha tha. Sab gadi me beth gaye, Gayatri is alishan gadi me beth kar thodi asahaj ho rahi thi, wo dusaribar aisi gadi me bethi thi, pehli bar bhi wo Shiv ke sath hi bethi thi jab Shiv aur Kavya madam use le kar aaye the. Kavya madam bhi Shiv se kafi achchhe se baat kar rahi thi, Aaj Sneha madam bhi bahot achchhe se baat kar rahi thi, ab use lagne laga tha ki jab Shiv ke in sab ke sath itne achchhe sambandh hai to jarur Shiv me koi baat hogi, wo kham kha hi Shiv par shak kar rahi thi, Wo Shiv se isstarha se has kar baat kar rahi thi jaise Shiv unka koi dost ho)

Hum anathalay aa gaye. Hum ne Sneha ko bye kaha aur wo wapas laut gayi. Hum ander aa gaye, Mene hi sab ko ye khus khabari bhi di ki Gayatrididi ab naukari karengi. Sab khus the. Dusare din Sanivar tha, aaj Raat ko hame nikalna tha. Subah me aur didi chalke Juhi ke ghar gaye. Juhi ko Gayatrididi ke bare me pata nahi tha to usne waise hi jalpari ban kar darwaja khola. Gayatrididi ko mere sath dekh kar wo fatafat ander chali gayi. (Gayatri maan me sochne lagi ki jab Shiv ke samne itni pario ka mela laga hua hai to fir Shiv to uske bareme aisa waisa soch hi nahi shakta. Kyu ki in sab ke samne to wo kuchh bhi nahi hai.) Juhi kapade pahan kar aa gayi.

Juhi : Gayatri, tum coffe piogi na, kyu ki hum dono to protin shake pite hai.

Gayatri : Ji, uski koi jarurat nahi.

Juhi : Aise kaise. (Wo ander gayi aur hum dono ke liye wo khas dudh aur didi ke liye coffe le aayi) To ab se subah tum aaogi hai na. Tum aisa karna ki mere ghar hi aa jana, hum sath me chale jayenge.

Gayatri : Nahi, aap kyu taklif karti hai, me chali jaungi.

Juhi : Are, isme taklif kaisi, muje bhi jana hota hai, ha wapasi ki koi guarantee nahi, wo tumhe manage karna padega. (Thodi der baad sab bahar aa gaye, Gayatri ko laga ki us din ki tarha ti tino sath me jayenge, par waisa nahi hua, Juhi scooter par beth gayi, to Gayatri Shiv ko dekhne lagi) Are use kya dekh rahi ho, use me nahi bithanewali, tum beth jao. (Gayatrididi ko kuchh samaj nahi aaya, wo muje dekhne lagi )

Shiv : Aap beth jao didi, ye muje dauda ke le jayegi, aap nahi janti par ye meri trainer bhi hai.

Gayatri hichkichate hue beth gayi, wo dono aage aage ja rahi thi aur Shiv unke pichhe daud raha tha, Shiv ko itna tej bhagte dekh use ascharya ho raha tha, wo bar bar Shiv ko dekh rahi thi, kyu ki wo pure raste lagatar bhag raha tha. Uski itni takat dekh kar to wo achambit thi. Ghar me itna saral sa dikhnewala ye ladka kya tha use samaj hi nahi aa raha tha. Khair ek ghante ke baad me aur Juhi nikal gaye, muje ghar chhod kar wo gayi. Mene Gayatri didi ko kuchh paise de diye the taki wo rikshaw me ghar aa shake. Aaj time tha to mene socha ki Beena madam se mil leta hu, kyu ki unhone jane se pehle milne ko kaha tha. Me school uniform pehan kar bag lekar unke ghar chala gaya.
Excellent update and good story
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

Vega Star

Active Member
999
13,192
124
Update 106

Me aur Pawansir jis ghar ke samne ruke the wo dekh kar me samajgaya tha ki ye kiska ghar hai, kyu ki me pehle bhi yaha aa chuka tha. Ye Manisha Madam ka ghar tha. Pawansir muje ander le gaye, waha kaam karnewali aurat ne hame bethne ko kaha aur wo ander chali gayi, thodi der me ek aadmi hamare samne aaya jise dekh kar Pawansir khade ho gaye to me bhi khada ho gaya.

Pawansir : Good afternoon sir, kaise hai aap?

Suryadev : Me achchha hu, aap kaise hai Pawanji, bethiye. (Unhone ek bar meri aur dekha fir Pawansir ki aur dekh kar)Kahiye kaise aana hua?

Pawansir : Aise hi milne chala aaya sir, waise bhi aap to milte nahi, bussiness ke wajah se aap hamesa kahi na kahi bahar hi hote ho, mene suna ki aap aaye hai to milne chala aya.

Suryadev : Achchhi baat hai, par me bussinesman hu aur me janta hu aap aise to milne aaye nahi honge. (Tabhi ander se Manisha madam apane bachche ke sath bahar aayi, wo dusare room ki aur ja rahi thi par muj par najar padte hi wo hamari taraf aayi)

Pawansir : Namaste madam, kaisi hai aap?

Manishamadam : Achchhi hu bhaisahab, kaise ho Shiv? (Unhone muje puchha to Suryadev aur Pawansir dono tajjub se muje dekhne lage, mene khade hote hue kaha)

Shiv : Achchha hu madam, aap kaisi hai?

Suryadev : Tum janti ho isse?

Manisha : Ha, ye Shiv hai, mene tumhe bataya tha na ki me ek khel mahotsav me inaam vitaran ke liye ja rahi hu, waha iss se mulakat hui thi, bahot honhar khiladi hai ye.

Suryadev : Are wah, ye to achchhi baat hai, par tum yaha kaise?(Me kya jawab deta to mene Pawansir ki aur dekha)

Pawansir : Ye abhi padhraha hai aur sath me kaam karta hai taki apana kharcha nikal shake, Waise to ye hamare yaha kaam karta hai par itne kaam waqt me hi ye hamare ghar ke sadasya jaisa ho gaya hai.

Manisha : You know Surya, he is orphan, but brilliant boy.

Suryadev : Impressive! (Pwansir ki aur dekh kar)Ha to kahiye Pawanji kaise aana hua?

Pawansir : Aur to kuchh nahi Sir, bas aap ka wo factory wala project kaha tak pahucha, bas ye jan na tha. (Manisha madam baar baar muje dekh rahi thi, me thoda ghabara raha tha)

Suryadev : Waise to tum jante hi ho, wo jamin ki wajah se wo ruka hua hai, jab tak us jamin ka masala hal nahi hota aage kuchh nahi ho shakta, mere kafi paise usme block ho gaye hai.

Pawansir : Par problem kya hai Sir, Prakashrao to aapke mitra hai, aur MLA se bhi aapki achchhi pehchan hai.

Suryadev : Aap to jante hai, bussiness me koi mitra ya dusman nahi hota, sab apana apana fayeda dhundhte hai, hamari baat hui thi par wo kuchh jyada hi demand kar rahe hai, aur muje aise jhuk kar faisale lena manjur nahi. Agar masala hal na hua to me ye project hi band kar dunga.

Pawansir : Are nahi sir, aapke iss project se saher ko kitna fayeda hoga, kayi logo ko kaam dhandha milega.

Suryadev : Me janta hu, par bura na man na, par tumhare partner Prakash Rao aur MLA dono mil kar game khel rahe hai, muje ye bhi pata hai ki jisne jamin par apana kabja dikhaya hai wo unhi ka aadmi hai. Rato raat unhone sare sabut bana diye hai, par ye sab sabit karne me barso nikal jayenge. Sach kahu to me Prakash Rao aur tumhari company ko contract dena hi nahi chahta, par lagta hai ki agar muje ye karna hai to tum logo ko hi kaam dena padega, upar se wo MLA is project me partnership maang raha hai, muje nahi lagta ki ye project hoga.

Pawnsir : Aisa maat kahiye sir, me aur Prakashrao to issliye saath kaam karte hai ki wo project le aate hai, par unke pass na man power hai na infrastructure to unhe mere jaise se hi kaam karwana padta hai, hum kaam karte hai aur malai wo khate hai. Problem yahi hai ki wo MLA ki madad se sare project hansil kar lete hai.

Suryadev : Me tumhari baat samaj raha hu, par kar bhi kya sakte hai?

Shiv : Sir agar hum wo jamin unke kabje se mukt karwa de to?

Pawansir : Ye kya keh rahe ho Shiv, ye mumkin nahi hai.

Shiv : Me janta hu sir, ye mumkin nahi hai, par agar aisa ho jaye to?

Suryadev : Agar ho jata hai to project tumhara. Par tum jante bhi ho tum kya keh rahe ho, aur ye karoge kaise?

Shiv : Sir, mera maan na hai ki agar kuchh karna hai to pehle uske bare me sochna padta hai, agar hum ye maan kar chalte rahe ki ye nahi ho shakta to wo hone se raha, agar hume us jamin ko chhudana hai to ye sochna hoga ki hume wo chhudani hai, to hamara dimag us aur sochne lagega ki kaise, jab tak hum ye sochenge nahi tab tak rasta kaise milega, koshis to karni hi chahiye. Agar hum soche ki hame chand par jana hai tabhi to hum uska rasta dhundh payenge, agar sochenge nahi to rasta kaise dhundhenge.

Suryadev : (Muskurate hue)Bilkul sahi soch hai tumhari, par sirf sochne se kuchh nahi hoga, karoge kaise?

Shiv : Abhi to muje nahi pata par koi na koi rasta jarur nikal aayega. Par agar nikal aaya to kya aap Pawansir ko ye project doge?

Suryadev : Ha jarur dunga.

Pawansir : (Wo thoda ghabara rahe the)Sir, par ye baat Prakashrao ko pata na chale, atleast tab tak jab tak iska koi hal na nikal aaye.

Suryadev : Tum fikar maat karo.

Manisha : Aap log baate karo me aapke liye kuchh banati hu, Shiv tab tak tum isse sambhalo(Unhone apana bachcha muje de diya, bada hi pyara bachcha tha, wo muje dekh kar muskurane laga)Agar rone lage to ander le aana.

Suryadev : Aisa kyu keh rahi ho, tumhe to pata hai ki wo tumhe nahi dekhega to royega, bina wajah kyu rulana use, tum use apane sath hi le jao.

Manisha : To aap sambhalo use.

Suryadev : Are yaar tumhe to pata hai wo mere pass aate hi rone lagta hai.

Manisha : Royega hi, tum use dikhte kab ho, jyadatar bahar rehte ho aur jab yaha hote ho tab bhi kaam kaam kaam. To ye kaise pehchanega.

Suryadev : Are baba, ab tum suru mat ho jao.

Manisha : Chalo Shiv, mere sath kitchen me khade rehna, wo muje dekhta rahe ga to nahi royega. (Mene Pawansir aur Suryadevsir ko dekha to madam fir se boli)Unhe kya dekh rahe ho, chalo. (Me kya karta, me aur madam ander chale gaye.)

Suryadev : Kon hai ye ladka, himmatwala hai, tarakki karega.

Pawansir : Sahi kaha Sir, waise to anath hai par jaha jata hai riste banaleta hai, nek ladka hai, kabhi kisi ka bura nahi kehta na sochta hai.

Suryadev : Apne sath rakhna, uske chalete tumhe bhi bahot fayeda hoga.

(Wo dono bahar baate kar rahe the)

Manisha : To akhirkar kismat tumhe mere pass khinch hi layi. (Me kuchh na bola) Kya yaar, itni si baat pe khafa ho, mene juth bola tha ki me tumhe fansa dungi. Muje us waqt kuchh suja nahi to aisa keh diya tha, sorry.

Shiv : Me janta tha. Waise bhi mere pass hai hi kya jo me ghabrau. Par jis tarha se aapne kaha wo muje achchha nahi laga tha.

Manisha : Sorry yaar, mitti dalo pichhali bato par. Ab me koi jabardasti nahi karungi, agar tumhari marji ho to aana, thik hai. Par sach kehti hu, yar besabari se intejar hai us pal ka.

Shiv : Aap janti hai, agar Sir ko pata chal gaya to kya hoga.

Manisha : Me pagal dikhti hu tumhe, tum se jyada muje iss baat ki fikar hai samje.

Shiv : (Suryadevji ki wajah se me ab inhe naraj nahi kar shakta tha, aur mera kya nuksan tha)Thik hai, mera number me de dunga aap ko.

Manisha : (Unke chehre par khusi chhalak aayi, jaise unhe khajana mil gaya ho)Thank you Shiv.

Thodi der waha rehne ke baad me aur Pawansir waha se nikal gaye, barish band ho chuki thi par jagah jagah pani bhara hua tha, aur fir se baris hone ke bhi asar the. Me aur wo dono Site par chale gaye, raste me bhi hum usi baat pe charcha kar rahe the, par koi rasta nahi mil raha tha. Mene vakil ki salah lene ko kaha to unhone Kavya madam se milne ke liye phone laga diya. Madam ne Raat ko milne ko bulaya. Baris ki wajah se site par kaam ruka hua tha, sirf ander ander ka kaam chal raha tha. Un sab ko chhutne me ab sirf ek hi ghanta bacha tha to hum dono sath me hi waha se nikal gaye. Wo tino muje dekh rahi thi par Pawansir ki wajah se kuchh boli nahi. Me waha se Juhi ke ghar chala gaya. Me aaj jaldi gaya tha, Mene dorbel bajayi to usne darwaja khola. Wo sayad so rahi thi to uske baal bikhare hue the, t-shirt aur ek chhoti chaddi pehne hue hi thi wo. Muje dekh kar wo khus ho gayi, muje ander khinch kar darwaja band kar liya, mene bhi use apani bahome bar liya aur uske mithe thotho ka ras pine laga. Jab hum dono ka dil bhar gaya to hum alag hue.

Juhi : Itna jaldi aa gaye?

Shiv : Baris ki wajah se aaj kaam band tha to jaldi chhutti mil gayi.

Juhi : Baris ki wajah se stadium bhi nahi jana hai. Tum betho me tumhare liye kuchh banati hu.

Shiv : Koi jarurat nahi hai, aao mere pass betho (Wo muskurati hui mere pass beth gayi, uski pyari muskan, bikhari julfe, pyar se bhara chehra, ankho me umadta pyar, us se dur rehna sachme na mumkin sa lag raha tha)

Juhi : Aise kya dekh rahe ho?

Shiv : Kuchh nahi, bas ye pyara sa chehra, aur tumhari ankhe jisme dher sara pyar hai.

Juhi : Aaj bade romantic ho rahe ho? Koi khas baat?

Shiv : Koi khas baat nahi, tum sath ho wohi khas hai. (Wo meri god me shir rakhte hue let gayi) Kya hua?

Juhi : Kuchh nahi, bas maan kia (Me uske chehre se baal hatane laga, wo muskurate hue muje dekh rahi thi)Muj par bahot pyar aa raha hai.

Shiv : Wo to hamesha aata hai Juhi, par me is layak nahi ki...

Juhi : No bakwas sirf pyar. (Uske aise bolne se me bhi muskura diya) Maat socho itna shiv, chhoti si to jindagi hai, soch soch kar gavane me kya fayeda. Jo hoga so hoga, aaj ka maza lo. (Mene uska gal sehlaya to wo muskurayi, usne mera hath pakada aur usko chum liya, uske baad usne usko apne ek stan par rakh diya, me hatane laga to wo boli) Kuchh maat karo, bas waha rakkhe raho, muje achchha lagta hai, muje aisa lagta hai jaise hum dono me koi duri nahi hai, muje aisa lagta hai jaise mujpar tumhar haq hai, tum muje kahi bhi chhu sakte ho. (Me muskuraya aur mene hath wahi rehne diya, uske sudol stan ka ehsas mere hath me ho raha tha) Lata kaisi hai?

Shiv : Thik hai, kyu puchh rahi ho?

Juhi : Bas aise hi, wo tumko bahot pyari hai na, isliye.

Shiv : Sach kehti ho tum, wo sabse pyari hai.

Juhi : Aur baki sab kaisa chal raha hai? Tumhari naukari?

Shiv : Sab thik hai, Pawansir achche hai.

Juhi : Aur Sneha? (Puchhne ke baad wo natkhat sa muskurayi, me bhi muskuraya) Lagta hai tumhara wo jaag raha hai(Mere lund ki baat kar rahi thi)

Shiv : Aise meri god me letogi aur mere hath ko apne stan par rakkho gi to aur kya hoga.

Juhi : Koi baat nahi, wo bhi muje achcha lagta hai.

Hum dono kafi der aise hi bate karte rahe, wo bhi aaj bahot khus thi. Aaj time tha to mene socha ki ek bar Bhargavi madam se bhi mil lu, mene phone kia to wo police station me hi thi, mene unhe puchha ki kab nikalnewali hai to unhone kaha ki thodi der me wo ghar hi ja rahi hai, mene unhe raste me milne ko kaha aur me Juhi ke ghar se nikal gaya. Me raste me khada tha ki police jeep mere pass aake ruki, me ander beth gaya. Wo police verdi me hi thi, muje dekh kar wo muskurayi.

Bhargavi : Aaj meri yaad kaise aa gayi?

Shiv : (Unhone jis tarha se puchha tha, ye ek inspector ki tarha nahi ek ladki ke jaise puchha tha, par mere maan me abhi bhi dar tha to mene us bhavna ko darkinar kia) Muje kuchh pata chala hai wo hi batana tha.

Bhargavi : Kis bare me?

Shiv : Jahir garage ke bare me.

Bhargavi : Achchha kya pata chala hai?

Shiv : Yaha aise khade rehkar baat karna kya thik rahega?

Bhargavi : Thik hai, chalo ghar chalte hai. (Unhone gadi aage badha di, thodi der me hum unke ghar pahuch gaye) Tum betho me change karke aati hu. (Thodi der baad wo three piece gown pehan kar aa gayi, ab wo bilkul alag lag rahi thi, wo ek ladki ki tarha lag rahi thi, baal bhi unhone khol diye the to ek do pal ke liye meri najar unke pure sharir par chali gayi, ab me tha to ek ladka, kya kar shakta hu, unhone bhi shayad ye notice kia, wo bhi mere chehre par aaye bhav samajne ki koshis kar rahi thi, mene unki ankho me hi dekhna sahi samja)Ha to batao kya pata chala hai?

Shiv : Madam, muje us jagah ka pata chala hai jaha wo aisi gadiya chhupa ke rakhta hai.

Bhargavi : (Meri aur ascharya se dekhte hue)Achchha, kaha?

Shiv : Wo saher se bahar hai, me aapko waha le ja shakta hu.

Bhargavi : Waise tumhe pakka hai na ki usi jagah gadiya rakkhi jati hai, mera matlab hai tumhe kaise ye pata chala?

Shiv : Wo maat puchhiye, par me sure hu ki gadiya wahi hogi.

Bhargavi : Thik hai to fir kal puri force ke sath waha chhapa marenge.

Shiv : Nahi, abhi nahi.

Bhargavi : Kya matlab hai tumhara?

Shiv : Dekhiye madam. Jaisa ki aapne kaha ki me sure hu ki nahi to mene bhi suna hi hai, ha itna yakin se keh sakta hu ki wo sahi hi hoga, fir bhi hum risk nahi le shakte, ek bar waha janch to karni chahiye, par akele, apke department me kisi ko pata chale bagai, kyu ki is se khabar leak hone ka khatara hai.

Bhargavi : (Kuchh sochte hue) Thik hai, tumhari baat me dum hai, par tum akele nahi jaoge, me bhi tumhare sath chalungi.

Shiv : Agar aap mere sath aayi to unhe pata chal shakta hai, aap police verdi me nahi chal shakti.

Bhargavi : Muje pata hai, me bevakuf nahi hu.

Shiv : Sorry, madam, mere kehne ka wo matlab nahi tha.

Bhargavi : (Muskurate hue)Muje pata hai, me sade kapade me aaungi, kab chalna hai?

Shiv : Waise to aaj bhi ja shakte hai, kyu ki andhera hone ke baad jana hi sahi rahega, kyu ki aas pass khuli jagah hai, agar ujale me jayenge to kisi ki bhi najar me aa shakte hai. Par abhi muje Kavya madam se milne jana hai.

Bhargavi : Kavya madam se kyu?

Shiv : Ye ek aur masala hai, waise hai usi jamin se juda hua.

Bhargavi : Aisi kya baat hai?

Shiv : Us jamin par Jahir ne avaidh tarike se kabja kiya hua hai, usne kuchh nakali dastavej banaye hai, me jaha kaam karta hu unhe apane naye project ke liye us jamin ko chhudvana padega, to usi silsileme baat karne ja rahe hai.

Bhargavi : Tum to supervisor ke taur par kaam karte ho na? fir tumhara kya lena dena is bat se?

Shiv : Vaise to koi lena dena nahi hai, par Pawansir muj par viswas karte hai to wo muje apane sath le ja rahe hai.

Bhargavi : To fir uske baad chalte hai.

Shiv : Jyada der nahi ho jayegi?

Bhargavi : Are yaar kya kahu tumse, upar se bahot pressure hai, muje ye case jald se jald solve karna hi hai.

Shiv : Thik hai, me ghar bol deta hu ki muje der hogi. Kavya madam se milne ke baad me aapko call karunga, aap aa jana, par police jeep me maat aana.

Bhargavi : Tum to aise muje salah de rahe ho jaise me koi dudhpiti bachchi hu, muje sab pata hai. (Me sorry bolnewala tha ki unhone muje rok diya) Tumhe bike aati hai?

Shiv : Ha aati hai?

Bhargavi : Aao mere sath. (Wo muje bahar le gayi, unhone ek dhaki hui bike pe se cover hataya) Ye bike tum le jao, waha kaam khatam karne ke baad wapas yahi aa jana.

Shiv : Ye bike?

Bhargavi : Meri hai, normali iski jarurat nahi padti iss liye yaha rakkhi hui hai. Lo chabi, aur jab wapas aao to muje call kar dena.

Mene bike li aur Kavya madam ke ghar chala gaya. Hum dono office me bethe the, abhi tak Pawansir nahi aaye the.

Kavya : (Thodi narajgi se)Tum to gayab hi ho gaye Shiv, kitne din baad aaye ho, tumhe pata hai na me tumhari vakil hu?

Shiv : Ji madam, par me bhi kya karta, me training ke liye dus din bahar tha, uske baad me exam fir ek compition, time hi nahi mila.

Kavya : (Narajgi se hi)Agar milna ho to time milhi jata hai, lagta hai tumhe meri jarurat nahi hai, thik hai koi dusara vakil dekh lo.

Shiv : (Unka chehra dekh ke dar gaya, me kaise dusara vakil kar shakta hu)Ye kya keh rahi hai madam., aap to janti hai me aisa nahi kar shakta. (Meri halat sach me kharab ho gayi thi)

Kavya : (Gambhirta se thodi der muje dekh rahi thi, me bhi bebasi se unhe dekh raha tha, achanak wo hasne lagi)Ha ha ha.......(Me abhi bhi unhe dekh raha tha, wo kyu has rahi thi muje samaj nahi aaya) Apana chehra to dekho, kitna dar gaye ho.

Shiv : Darunga hi na madam, aapne baat hi aisi kahi hai.

Kavya : To tum mante ho na ki me tumhare jivan me important hu?

Shiv : Isme maan ne ki kya baat hai, aap important ho.

Kavya : To fir us hisab se hi kabhi kabhar mil liya karo, vakil na sahi ek dost samaj kar hi milne aa jaya karo.

Shiv : Dost? (Meri kuchhh samaj nahi aaya)

Kavya : Kyu, muje dost nahi samaj sakte? Me kya itni badi ho gayi hu?

Shiv : Nahi, par me aapko dost samju, meri itni aukat nahi madam.

Kavya : Dosti aukat dekh kar nahi ki jati, agar dosti aukat dekh kar ki jaye to wo dosti nahi sauda hoga. Muje tum achchhe lage to mene tumse dosti karne ko kaha par tum shayad muje dost nahi maan shakte kyu hai na?

Shiv : Madam, aap meri dost bano ye to meri khusnasibi hogi, me kabhi sapane me bhi soch nahi sakta ki aap meri dost ban sakti hai.

Kavya : Ab bore maat karo Shiv, agar tumhe lagta hai ki tum muje dost bana shakte ho to thik hai, warna jaisa chal raha hai chalne do. Me tumhara case nahi chhodungi bas.

Shiv : Kyu nahi madam, muje khusi hogi, aap ko dost bana kar. Normally aisi dosti hoti nahi na, log aksar apni barabari ke hi dost banate hai.

Kavya : Wo sab muje nahi malum, vaise bhi mene kisi ko apana dost nahi banaya, tumhare sath achchha laga to tumhe keh diya, aage tumhari marji.

Shiv : Kya madam. Meri marji hogi, mene kaha na ki ye meri khusnasibi hai.

Kavya : To fir ye madam madam band karo, muje sirf Kavya kaho.

Shiv : Ye thoda muskil hai, kya madam dost nahi ho shakti? Aur waise bhi sabke samne me aap ko aise nahi bula shakta, thoda aukward lagta hai.(Tabhi niche se kamwali kehne aayi ki Pawansir aaye hai, to madam ne unhe bulane ko kaha)

Kavya: Thik hai, hum baad me baat karenge.

Thodi der baad Pawan sir aa gaye.

Kavya : Kahiye Pawanji, kya baat hai?(Unhone sari paristhiti madam ko bata di.) Dekhiye Pawanji, aisa to hai nahi ki ye chhota masala hai, aur ye bhi nahi ho sakta ki Suryadev ne kisi vakil ki salah na li ho, jaha tak muje lagta hai ki jis tarha se us par kabja kiya gaya hai ye sirf paresan karne ke liye hai, jo bhi sabut unhone banaye hai wo false hai wo hum court me sabit kar sakte hai, ye wo bhi jante honge, unka maksad is jamin ko hathiyana nahi hai, wo ye kar bhi nahi sakte kyu ki kanunan taur par ye jamin bechi aur kharidi gayi hai. Unka maksad bas itna hai ki Suryadev ko paresan kia jaye aur is case ko lamba khincha jaye, agar wo ye case karenge to yakinan jitenge par usme bahot time jayega, court ka to aapko pata hoga ki wo har tarha se janch karegi, kayi bar samnewala court me na hajir reh kar bhi agali tarikh nikalwata hai, wo log aise hi bina wajah is case ko lamba khinchenge, aur unka maksad bhi sirf yahi lagta hai.

Pawansir : To isme kya kia ja shakta hai madam?

Kavya : Mere hisabse to out of court settlement hi best option hai.

Pawansir : Ye to Suryadevji ko bhi pata hai par unki demand kuchh jyada hi hai, agar hame isme kuchh karna hai to kya kar shakte hai?

Kavya : Jaise unhone gair kanunan tarike se kabja kia hai waise hi gair kanunan tarike se kabja wapas lena.

Pawansir : Aapka matlab hai ki gundo ke sahare.

Kavya : Rasta to wohi hai, agar Jahir khud apana kabja chhod deta hai to hi ye jaldi niptega, waise to muje dusare kagjato ki janch bhi karni padegi ki unhone kya kya dave kiye hai, par jaha tak muje lag raha hai waha aur bhi logo ke naam par ghar aur jamin dikhaye honge, aur wo kafi samay se waha reh rahe hai aisa kuchh kia hoga. To hame unsab se NOC lena hoga ki ye unki jamin nahi hai.

Pawansir : Ye to bahot muskil hai madam.

Kavya : Sahi keh rahe hai aap, wo kyu dastakhat karenge? Ya to unhe paise mile ya to jaan ka khatara, ye do hi option hai ki wo dastakhat kare. Aur agar gair kanunan tarike se ye kiya jaye to ye bhi khatara hai ki wo log kanun ka sahara le aur aise me unka case aur majboot ho jayega.

Shiv : Unse jin kagjato par dastakhat lene hai wo aap ready kar shakte ho?

Kavya : Formate to mere PC me ready hi hai, par ye mumkin nahi Shiv.

Shiv : Me to bas puchh raha tha. Kyu ki hame har tarike se taiyar rehna chahiye.

Pawansir : Ye mumkin nahi Shiv, hum gundo ka sahara nahi le shakte aur na hi aise log mere sampark me hai, ye sab tedha kaam hai, hume bhul jana hi chahiye.

Shiv : Waise to aap sahi keh rahe hai par jaha chah hai wahi rah hai, koi na koi rasta to nikal hi aayega.

Kavya : Ye bahot khatarnak hai Shiv.

Shiv : Me janta hu madam, aur mene kab aisa kaha ki me ye karne jaunga, me to bas ye keh raha hu ki hame har tarha se taiyar rehna hai, na jane kab koi mauka hamara darwaja khat khataye, hame har mauke ke liye taiyar rehna chahiye.

Kavya : Tumhari yahi khubi tumhe khas banati hai, Gayatriwale case me bhi koi hope nahi thi fir bhi pata nahi kaise tumne use chhuda liya. Me bas itna kahungi ki bina wajah khatara lene ki koi jarurat nahi hai, ye Suryadev ka tention hai use handle karne do.

Pawansir : Thik hai madam, aapka sukriya, ab hum chalte hai.

Kavya : Thik hai Pawanji, agar aapki ijajat ho to muje Shiv se thoda kaam hai.

Pawansir : Thik hai, aap log bate kijiye me chalta hu.

Kavya : (Unke jane ke baad)Kya khichadi pak rahi hai tumhare maan me, ye bahot khatarnak kaam hai Shiv, aur tumhara kya lena dena in sab se, agar jamin wapas milegi to Suryadev ka fayeda hoga, tumhe kya jarurat hai in sab me padne ki.

Shiv : Agar jamin milegi to Pawansir ko uska contract mil jayega.

Kavya : Par fir bhi tumhara kya fayeda hai, tum kyu jokhim lene ki soch rahe ho.

Shiv : Me koi jokhim nahi le raha madam, aur waise bhi mera hai hi kon jo muje kisi baat ki parwah ho, ye hi sab to hai jo mere apane hai, inhone hi to mere bure waqt me mera sath diya hai, agar me inke kaam nahi aunga to kiske kaam aunga.

Kavya : Ek khinch ke marungi tumhe jo fir aisa kaha ki tumhara koi nahi hai, kya lahu ke sambandh hi sab hote hai?

Shiv : Yahi to me keh raha hu ki aap sab hi to hai mere apane, agar me aaplogo ke hi kaam na aau to fir kya fayyeda.

Kavya : Par ye sab alag hai Shiv, aur muje samjao kaise karoge ye sab?

Shiv : Mene kaha na ki muje nahi pata hai aur me abhi to ye bhi nahi keh raha ki me ye sab karunga, me to bas puchh raha tha.

Kavya : (Mere hath par hath rakh kar)Koi bevakufi maat karna.

Shiv : (Mene unki ankho me dekha, jaha mere liye chinta thi) Mene kaha na ki me aisa waisa kuchh nahi karunga, aur me kar bhi kya sakta hu, me koi super hero thodena hu jo unke sath jaake lad lunga. Me to bas sab puchh raha tha, aap bharosa kariye, mere maan me aisa waisa kuchh bhi nahi chal raha.

Kavya : Thik hai, muje bharosa hai tum par.

Thodi der baad me waha se nikal gaya, me Bhargavi madam ke ghar pahuch gaya.
 

Ramesh628

Active Member
564
1,477
138
Bhai sahb bhai sahb kya hi update diya hai
Sari kahani ko ghuma ke rakh diya hai
Kanha se late ho itani himmat
Apne to sare kirdaron ko lekar ek Chakravew hi rach dala
Thanks itane pyare update ke liye
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98
Top