• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

rgcrazyboy

:dazed:
Prime
1,966
3,399
159
Maine to 225 update me kam se kam 175 update ko aisi hi jagah par roka hoga ki, reader ki utsukta agle update ke liye bani rahe. Aapko to ye sab pata hai aur post ki gayi saari story ka bhi pata hai. Fir bhi aapki shikayat karne ki aadat nahi gayi hai. Isliye aapko bhi kaha hai. :blush1:
kuch gile shikh we na raha jai is liye ham sikayat kar liya karte hai.
ab ise shikyato ko koi nam mil jai to is main burai kaha hai. :blush1:
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,629
159
Ko To Rok Lo {Update - 171}
____________________________

Kuch der tak wo apne aapko sambhalne ki koshish karti rahi. Lekin aaj uske sabar ka paimana chhalak chuka tha aur uske aansu thamne ka naam nahi le rahe the. Fir bhi usne kisi tarah apni baat ko aage badate huye kaha.

Priya boli “kya tum janna chahoge, wo ajnabi ladka kaun hai. Kya is pagal ladki ke pyar ko samajhne ki himmat tumhare andar hai. Yadi tumhare andar himmat hai to, lo dekho, us ajanbi ladke ko dekh lo.”

Ye kahte huye priya ne apne mobile me koi pic khola aur fir mobile meri taraf bada diya. Mobile ka pic dekhte hi mujhe ek jor ka jhatka laga aur mai us pic ki jagah ko pehchanne ki koshish karne laga.

Magar chahte huye bhi mai use pehchan nahi pa raha tha. Meri aankhon ke samne ka is samay ka manjar, duniya ke aathwen ajube se kam nahi tha. Jise dekh kar mai bahut jyada hairan aur pareshan ho gaya tha.

Wahi priya apni aankhon ko masal kar apne aansu rokne ki nakam koshish kar rahi thi. Magar priya ke aansu bhi uski muskurahat ki tarah, uske sath puri wafadari nibha rahe the aur kisi bhi haal me uska sath chhodne ko taiyar nahi ho rahe the.

Ek taraf priya ke aansu the aur ek taraf meri hairani thi. Na priya apne aansuon se pichha chhuda pa rahi thi aur na hi mai apni hairani se pichha chhuda pa raha tha. Mai priya ke mobile me jo pic dekh raha tha, wo meri hi pic thi.

Meri wo pic jaha par li gayi thi, wo koi jaani pehchani si jagah lag rahi thi. Lekin bahut koshish karne ke bad bhi, mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ye pic kis jagah ki hai aur kab li gayi hai.

Mai abhi isi soch me khoya hua tha ki, tabhi priya ne apni khamoshi ko tod kar, meri hairani ko door karte huye kaha.

Priya boli “ye pic eid ke din ki hi hai. Pichhle saal ramzan ke mahine me chalne wale roze ke samay mai wahi thi aur maine eid ke din tumhari ye pic li thi.”

Priya ke eid ka naam lete hi, mujhe yaad aa gaya ki, ye pic baji ke ghar ke samne wale restaurant ki hai. Kyoki mai ramzan ke mahine me baji ke ghar aftari karne ke bad, aksar aslam ke sath chay coffee ke liye waha jaya karta tha.

Ye baat samajh me aate hi, mujhe is pic ki kahani bhi kuch kuch samajh me aa chuki thi aur ye baat bhi puri tarah se saaf ho chuki thi, priya mujhe mumbai me aane ke pahle se hi janti thi.

Mere man me priya se karne ke liye hajaron sawal the. Lekin uska rota hua chehra dekh kar, mujhe abhi us se koi sawal karna thik nahi laga. Isliye maine apne un sawalon ko ek kinare rakh kar baat ko badalte huye, us se kaha.

Mai bola “to tum mujhe mere yaha aane ke pahle se janti thi. Lekin tumne ye kaise soch liya ki, mai ye baat nahi janta hu ki, ye pagal ladki ek swimming champion hai aur mere shahar me bhi swimming tour par aa chuki hai.”

Meri is baat ne priya ke jhakhmo par marham lagane ka kaam kiya tha. Uske aansu thamne lage the aur ab wo meri taraf aise dekh rahi thi, jaise janna chahti ho ki, mujhe ye baat kisne batayi. Maine bhi apni baat ko aage badate huye us se kaha.

Mai bola “barkha didi ne jis din tumko yaha dekha tha, un ne usi din mujhe ye baat bata di thi ki, pichhle saal wo tumhare sath humare shahar me national games ke liye aayi thi. Jisme tumhara top 10 medal winners me 1st rank tha aur tumne 9 gold medals aur 1 silver medals jeeta tha.”

“Us din mujhe ye sab sunkar, jitni khushi huyi thi. Utna hi is baat ka dukh bhi hua tha ki, tumhari bimari ki vajah se tum wo mukam hasil nahi kar saki, jo tum hasil kar sakti thi. Sath hi mujhe tum par aur nikki par gussa bhi aaya tha ki, tum dono ne kabhi mujhe ye baat kyo nahi batayi.”

Priya ab kuch had tak khud ko sambhal chuki thi aur uske aansu bahna band ho gaye the. Usne namnak (Tearful) lahje me apni khamoshi todte huye kaha.

Priya boli “isme nikki ka koi kasur nahi hai. Swimming me ye mukam hasil karne me meri kayi saalon ki mehnat lagi thi. Lekin bimari ki vajah se swimming chhod dene ke bad, mai swimming ka naam sunte hi behad tanav me aa jati thi. Jis vajah se ghar me sabne swimming ka jikar karna tak chhod diya tha.”

Priya ka man is baat me lagte dekh kar, maine bhi is vishay par baat karna thik samjha aur us se kaha.

Mai bola “lekin tumhare jeete huye saare medals aur trophies kaha hai. Mujhe wo na to tumhare kamre me najar aaye aur na hi niche kahi najar aaye.”

Priya boli “mujhe swimming champion banane me raj bhaiya ne bahut mehnat ki thi. Lekin jab mujhe swimming ke naam se hi pareshani hone lagi to, papa wo saare medals aur trophies bhi hatane lage. Tab raj bhaiya wo saare medals aur trophies apne kamre me le gaye aur aaj bhi wo unke kamre me kisi sunhare sapne ki tarah saje huye hai.”

Priya ab bahut had tak pahle ki haalat me wapas aa chuki thi. Isliye maine fir se pahle wali baat par wapas aate huye kaha.

Mai bola “to tumne mujhe pahli baar is restaurant me dekha aur mai tumhe itna pasand aaya ki, tumne meri photo le li.”

Meri baat sunkar, priya ne ek pal ke liye meri taraf dekha aur fir apni najren jhuka kar, meri baat ka jabab dete huye kaha.

Priya boli “nahi, maine pahli baar tumhe is restaurant me nahi, balki ek market me dekha tha. Tab tum apni bahno ke sath kuch kharidi kar rahe the. Mujhe unka chulbulapan bahut acha lag raha tha aur mai unko dekh rahi thi.”

“Tabhi meri najar tum par padi thi. Us samay mujhe tumhara bholapan bhi bahut pasand aaya tha. Uske bad maine ek din tumhe apni hotel ke samne wale ghar se nikalte dekha.”

“Tum waha se nikal kar humare hotel ke niche bane restaurant me aa gaye. Fir us din ke bad se maine aisa roj hote dekha. Mujhe tumko dekhna bahut acha lagne laga tha.”

“Pata nahi us samay mujh par tumko dekhne ka kaisa bhoot sawar ho gaya tha ki, mai roj tumhara us ghar me aane ka intejar karti rahti thi. Ek din tumko restaurant me aate dekh kar, mai bhi waha gayi.”

“Fir aisa roj hi hone laga. Mai chahti thi ki, tumhari najar bhi mujh par pade. Lekin aisa kabhi hua hi nahi. Fir eid ke din apni saheli se baat karte karte, maine uski pic lene ke bahane se, tumhari ye pic le li thi.”

“Kuch din baad hum sab ki ghar wapsi ho gayi. Magar tab tak tum mere seene me ek meethi yaad ban kar bas chuke the. Meri tumse kabhi baat bhi nahi huyi thi. Fir bhi mujhe aisa lagta tha ki, jaise mai tumko barso se janti hu.”

“Din aise hi gujar rahe the ki, ek din didi hum sabko tumhari cousin ke nikki ke humshakal hone ki baat batate huye, hume uski photo dikhane lagi. Tabhi tumhari cousin ke sath, maine tumhari photo bhi dekhi thi.”

“Mujhe apni aankhon par yakin nahi ho raha tha ki, jo mai dekh rahi hu, wo sab ek sapna nahi sach hai. Sabko lag raha tha ki, mai tumhari cousin ko dekh kar hairan hu. Lekin meri hairani ki vajah to tum the.”

“Tab maine faisla kar liya tha ki, ab chahe jo ho jaye, mai apni chachi ke ghar jarur jaugi. Lekin mere waha jaane ke pahle hi tum yaha humare ghar aa gaye. Us din tumhe apne ghar me dekh kar mai khushi se fooli nahi sama rahi thi.”

“Mujhe lag raha tha ki, ab tumhe mera hone se koi nahi rok sakta. Lekin ye khushi sirf kuch dino ki thi. Kyoki uske bad jo kuch bhi hua, wo sab tum bhi ache se jante hi ho.”

Itna kah kar, priya chup ho gayi. Ab wo kisi patthar ke but ki tarah najre jhuka kar, bilkul shant baithi thi. Lekin uski is kahani ko sunkar, uske dard ke aehsas se meri aankhon me nami chha gayi thi.

Ab na to mai priya se kuch kah pa raha tha aur na hi kuch puchh pa raha tha. Priya ne jab mujhe khamosh dekha to, najar utha kar meri taraf dekha aur mujh par najar padte hi, use meri haalat ka aehsas bhi ho gaya.

Wo shayad apni vajah se mujhe is tarah pareshan hote dekhna nahi chahti thi. Isliye wo apne chehre par ek feeki si muskan sajate huye ek shayari kahne lagi.

Priya ki shayari “Ek Dard Hai Jo Mujhe Jeene Nahi Deta.
Dil Sabar Ka Aadi Hai Mujhe Rone Nahi Deta.
Mai Unki Hoon Ye Raz To Wo Jaan Gaye Hai.
Wo Kiske Hai Ye Sawal Mujhe Sone Nahi Deta.”​

Priya ki ye shayari sunkar, mujhe uske dard ka aehsas ho raha tha. Lekin jab maine uski taraf dekha to, uske chehre par ek feeki si hansi thi aur wo apni aankhen matka ishare se mujhse puchh rahi thi ki, wo ladki kaun hai.

Uski is harkat ko dekh kar koi bhi ye hi kahta ki, wo mere sath majak kar rahi hai. Lekin uski is harkat se mai aaj sahi mayne me uski jhuthi hansi ka matlab samajh paya tha.

Uski is jhuthi hansi ka hamesha ek hi matlab hota tha ki, na khud udas raho aur na hi dusro ko udas rahne do. Aaj mujhe sach me uski is hansi ko jhutha kahne par afsos ho raha tha. Isliye maine bhi uski is hansi me sath nibhate huye kaha.

Mai bola “hum logon ko yaha aaye kaafi der ho chuki hai. Mujhe lagta hai ki, ab hume yaha se chalna chahiye. Warna abhi koi hume yaha bulane aa jayega.”

Meri baat ke jabab me priya ne khade hote huye kaha.

Priya boli “haan thik hai, mai thoda muh dho lu, fir hum chalte hai.”

Itna kah kar wo bathroom ki taraf chali gayi. Tab tak mai bhi apna chehra sahi sa karne laga. Thodi der bad priya muh dho kar wapas aa gayi aur fir hum niche aa gaye. Lekin niche aane ke bad, usne mujhe kuch der rukne ko kaha aur ghar ke andar chali gayi.

Kuch der bad, jab wo wapas aayi to, mai use dekh kar samajh gaya ki, usne abhi muh dhoya tha, isliye wo fir se make-up karne andar gayi thi. Ab wo fir se pahle wali priya hi najar aa rahi thi.

Hum dono party me wapas aa gaye. Party me aate hi priya nikki ke pas chali gayi. Ab 1:30 baj gaye the aur party me mehmano ke naam par ek do log hi najar aa rahe the. Isliye ab mehul log sab ghar walon ke liye khana lagane me lage the aur sabko bula bula kar le ja rahe the.

Mai khade kahde charo taraf ka muayna kar raha tha ki, tabhi meri najar hetal didi par padi. Wo meri hi taraf dekh rahi thi aur mujhse najar milte hi un ne mujhe apne pas aane ka ishara kiya.

Unka ishara samajhte hi mai unki taraf bad gaya. Wo is samay kisi anjan dampatti ke sath khadi thi. Wo pati patni kisi bahut bade ghar ke najar aa rahe the. Maine hetal didi ke pas pahuch kar kaha.

Mai bola “ji, didi.”

Meri baat sunkar, hetal didi ne muskurate huye mera parichay un dampatti se karaya aur fir unka parichay mujhse karwate huye kaha.

Hetal didi boli “ye mere mummy papa hai.”

Unka parichay pate hi, maine fauran unse namaste kiya aur unka haal chaal puchhne laga. Hetal didi ke mummy papa dono hi bahut khush mijaj lag rahe the. Wo dono khule dil se, is saare intejam ke liye, meri tarif karne lage.

Tabhi nikki hume khane ke liye, bulane aa gayi aur hum log bhi khane ki table ke pas pahuch gaye. Jaha par ajay ka pura parivar pahle se hi maujud tha. Unke sath aunty, barkha, chhoti maa aur padmini aunty log bhi baithi thi.

Udhar ka najara kuch aisa tha ki, ek badi si dining table ke ek taraf bich me aman aur dusri taraf ajay baitha tha. Aman ke dahini taraf nisha bhabhi aur bayin taraf uski chachi baithi thi. Jabki ajay ke dahini taraf shikha didi aur bayin taraf dhiru shah baithe the.

Nisha bhabhi ke bagal me nidhi, uske bad selu, fir seeru didi, uske bad hetal didi, fir nikki aur priya baithi thi. Jabki aman ki chachi ji ke bagal me uski mom, uske bad hetal didi ki mummy, fir shikha didi ki mummy, uske bad padmini aunty aur mohini aunty baithi thi.

Shikha didi ke bagal me aru, uske bad barkha, fir neha, fir riya aur uske bad nitika baithi thi. Jabki dhiru shah ke bagal me aman ke chacha, uske bad, hitu, uske bad raj, fir mehul aur chhoti maa baithi thi.

Mai sidhe jakar chhoti maa ke pas baith gaya. Mere samne mohini aunty baithi thi. Meri najar un par padi to, un ne mujhe ek pyari si muskan dete huye kaha.

Mohini aunty boli “itne bade ho gaye ho. Magar lagta hai ki, abhi tak apni mummy ka pallu pakde rahne ki aadat nahi gayi hai.”

Maine bhi mohini aunty ki is baat jabab muskura kar dete huye kaha.

Mai bola “aunty, mai inka pallu nahi pakadta hu. Balki inka pallu mujhe pakad kar apni taraf khich leta hai. Mai us se kahta bhi hu ki, ab mai bada ho gaya hu. Lekin wo meri ye baat samajhta hi nahi hai. Ab aap hi usko samjhaiye ki, mai bada ho gaya hu.”

Meri baat sunkar, sab hasne lage. Wahi mohini aunty ko mere sath is tarah hansi majak karte dekh kar, mehul kuch hairan sa ho gaya tha. Use samajh me nahi aa raha tha ki, mohini aunty mere sath inti ache se baat kaise kar rahi hai.

Asal me use mohini aunty ke andar huye badlaw ka pata nahi tha. Jis samay mohini aunty ke sath hadsa hua tha, wo kaam me vyast tha aur use kisi ne unke baare me kuch nahi bataya tha.

Lekin jab usne mohini aunty ko mere sath itne ache se baat karte dekha to, usne apni ye hairani raj ke samne jahir ki aur raj use dhire dhire sab kuch batane laga. Abhi raj aur mehul me khusar fusar chal rahi thi ki, tabhi nikki aur priya kisi baat ko lekar aapas me bahas karne lagi.

Is se pahle ki koi unki is bahas ko samajh pata ki, wo kis baat par bahas kar rahi hai. Us se pahle hi unki ye bahas jhagde me badal gayi. Unko is tarah aapas me jhagadte dekh kar, hetal didi ne dono ko shant hone ko kaha aur wo dono ko samjhane lagi.

Jiske bad priya nikki ke pas se uth kar, mere pas aakar baith gayi. Kisi ko bhi samajh me nahi aaya tha ki, dono ke bich kya hua hai. Dono hi bahut gusse me lag rahi thi aur sab unke is jhagde ki vajah se hairan the.

Is se pahle ki koi is baare me dono se kuch puchh pata, us ke pahle hi selu ne apni jagah par khade hote huye priya aur nikki se kaha.

Selina boli “ae ab tum dono ye jhagre ka natak karna band karo. Dekho sab kitne pareshan ho rahe hai.”

Selu ki baat sunkar, sab hairani se uski taraf dekhne lage aur usne hanste huye sabki is hairani ko door karte huye kaha.

Selu boli “aap log hairan mat hoiye. Seeru didi ko bina kisi hangame ke ye party achi nahi lag rahi thi. Isliye wo koi hangama karne ke liye nikki aur priya ke sath milkar ye jhagde ka natak kar rahi thi. Lekin mujhe aap sabko is tarah pareshan karna acha nahi lag raha hai. Isliye mai in logon ko ye natak band karne ko kah rahi hu.”

Selu ki ye baat sunte hi aman seeru didi ko is sab ke liye gussa karne laga. Jiske bad wo muskurate huye sabko sorry kahne lagi. Nikki aur priya ne bhi is baat ke liye sorry kaha aur wo dono bhi muskurane lagi.

Nikki aur priya ki dosti aisi thi ki, kabhi koi unke aapas me jhagadne ki baat soch bhi nahi sakta tha. Isliye sabne is baat par viswas kar liya ki, ye sab seeru didi ka hi ek natak tha aur sab fir se hansi majak karte huye khana khane lage.

Maine khana khate huye priya se baat karne laga. Lekin wo meri kisi bhi baat ka sahi se jabab nahi de rahi thi aur chup chap sar jhuka kar khana khane me lagi thi. Fir meri najar nikki par padi to, wo bhi chup chap khana khane me lagi thi.

Iske bad maine seeru didi ki taraf dekha to, wo bahut gambhir najar aa rahi thi aur baar baar nikki aur priya ki dekh rahi thi. Magar nikki aur priya me se koi bhi seeru didi se najar nahi mila raha tha.

Is sab ko dekh kar, ab mujhe aisa lag raha tha ki, yaha abhi jo kuch bhi hua hai, wo seeru didi ka natak nahi tha. Seeru didi ne sirf sabko is jhagde ke tanav se bahar nikalne ke liye saari baat apne upar le li thi.

Lekin meri samajh me ye baat nahi aa rahi thi ki, dono ke bich me achanak aisi kya baat ho gayi, jiski vajah se ek dusre ki baat par, aankh band karke viswas karne wali nikki aur priya, aaj aapas me hi jhagad gayi thi.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,629
159
Ko To Rok Lo {Update - 172}
____________________________

Nikki aur priya ki dosti aisi thi ki, kabhi koi unke aapas me jhagadne ki baat soch bhi nahi sakta tha. Isliye sabne is baat par viswas kar liya ki, ye sab seeru didi ka hi ek natak tha aur sab fir se hansi majak karte huye khana khane lage.

Maine khana khate huye priya se baat karne laga. Lekin wo meri kisi bhi baat ka sahi se jabab nahi de rahi thi aur chup chap sar jhuka kar khana khane me lagi thi. Fir meri najar nikki par padi to, wo bhi chup chap khana khane me lagi thi.

Iske bad maine seeru didi ki taraf dekha to, wo bahut gambhir najar aa rahi thi aur baar baar nikki aur priya ki dekh rahi thi. Magar nikki aur priya me se koi bhi seeru didi se najar nahi mila raha tha.

Is sab ko dekh kar, ab mujhe aisa lag raha tha ki, yaha abhi jo kuch bhi hua hai, wo seeru didi ka natak nahi tha. Seeru didi ne sirf sabko is jhagde ke tanav se bahar nikalne ke liye saari baat apne upar le li thi.

Lekin meri samajh me ye baat nahi aa rahi thi ki, dono ke bich me achanak aisi kya baat ho gayi, jiski vajah se ek dusre ki baat par, aankh band karke viswas karne wali nikki aur priya, aaj aapas me hi jhagad gayi thi.

Mai abhi apni is soch se ubhar bhi nahi paya tha ki, tabhi chhoti maa ka mobile bajne laga. Un ne call dekha aur sabko sorry bol kar jaane lagi. Unko waha se jate dekh kar, mai bhi uth kar khada hone laga.

Lekin un ne mujhe baithe rahne ka ishara kiya aur fir hum logon se thodi door jakar mobile par baat karne lagi. Mai itna to samajh gaya tha ki, ye call ghar se hi aaya hai. Magar ye baat meri samajh me nahi aa rahi thi ki, raat ko 2 baje kisne aur kyo call kiya hai.

Meri najar chhoti maa par hi tiki huyi thi aur wo baat karte karte kuch pareshan si najar aa rahi thi. Kuch der baat karne ke bad, un ne call rakh diya aur wapas humare pas aa gayi.

Unke pas aate hi mai unse kuch puchhne wala tha ki, tabhi mera mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, keerti ka call aa raha tha. Maine fauran call uthate huye kaha.

Mai bola “kya hua, ghar me sab thik to hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne mujhe waha ka haal samjhate huye kaha.

Keerti boli “yaha sab thik hai. Bas nimi nind se achanak jaag gayi aur rone lagi. Hum sabne is samjhane ki bahut koshish ki hai. Lekin ye chup hone ka naam hi nahi le rahi thi.”

“Aunty ne mausi ko bhi call kiya tha. Lekin ye unki baat bhi koi baat manne ko taiyar nahi hai. Isliye mausi ne is se tumhari baat karwane ko kaha hai. Lo ab apni ladli se baat karo.”

Ye kahte huye keerti ne nimi ko mobile pakda diya. Nimi ke hath me mobile lete hi mujhe uske rone ki aawaj sunayi dene lagi aur maine us se pyar se kaha.

Mai bola “kya hua meri nimmo ko.? Kya usne fir se koi bura sapna dekha hai.”

Meri baat sunkar, nimi ne rote huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, wo aadmi fir se aapko maar raha tha aur aap jor jor se ro rahe the.”

Nimi ki ye baat sunte hi mai samajh gaya ki, usko hamesha aane wale sapne ki vajah se hi wo itna dari huyi hai. Ye hi sapna use mere mumbai aane ke pahle bhi aaya tha. Maine use usi din ki tarah samjhate huye kaha.

Mai bola “chhoti, maine tujhe kitni baar samjhaya hai ki, aise sapne kabhi sach nahi hote hai. In sapno ka kabhi koi matlab nahi hota aur hamesha hi sapne ka ulta hota hai.”

Lekin nimi par meri is baat ka koi asar nahi pada. Wo abhi bhi roye ja rahi thi. Shayad wo bahut jyada dar gayi thi. Isliye maine uska dhyan sapne par se hatate huye kaha.

Mai bola “chhoti, tu darti kyo hai. Mujhe kuch nahi hua hai. Dekh mai acha bhala tujhse baat kar raha hu na. Mai to yaha mehul bhaiya ke sath baitha khana kha raha tha. Lekin ab tera rona dekh kar to, meri saari bhukh hi mar gayi hai.”

Meri is baat ne meri us nanhi si bahan ke dil par teer ki tarah se asar kiya . Uska rona turant band ho gaya aur mujhe uski siskiyon ki aawaj sunayi dene lagi. Jis se mujhe uski is samay ki haalat ka aehsas saaf saaf ho raha tha. Usne siskiyan lete huye mujhse kaha.

Nimi boli “nahi bhaiya, mai bilkul nahi ro rahi hu, aap khana kha lo.”

Uski siskiyan bahut tej thi, jis se mujhe samajh me aa raha tha ki, wo apne aapko rone se rokne ke liye kitni koshish kar rahi hai. Abhi jo sapne me mujhe pitta hua dekh kar, apne aansu rok nahi pa rahi thi. Wo hi ab mere bhukha rahne ki baat sunkar, apne aansu ko bahne nahi de rahi thi.

Usne to apne aansu rok liye the. Lekin apni is nanhi pari ka, apne liye ye pyar dekh kar, mai apne aansuon ko na rok saka aur meri aankhe chhalak gayi. Maine apne aapko sambhala aur fir use samjhate huye kaha.

Mai bola “tu meri bilkul fikar mat kar, pahle tu so ja, fir mai khana kha luga.”

Nimi boli “bhaiya, mujhe bahut dar lag raha hai.”

Mai bola “pagal darti kyo hai. Jab tak tu so nahi jati, mai tujhse baat karta rahuga. Tu jara keerti ko phone de.”

Meri baat sunkar, usne keerti ko mobile de diya. Keerti ke mobile lete hi maine us se kaha.

Mai bola “ami nimi ke pas kaun so raha hai.”

Keerti boli “unke pas aunty so rahi hai.”

Mai bola “thik hai, tu aunty ko mobile de.”

Keerti ne aunty ko mobile diya to, maine aunty se nimi ko apne se lipta lene ka kaha aur fir unko mobile nimi ko de dene ko kaha. Nimi ke phone lene par, maine use aankh band karne ko kaha aur fir maine use bataya ki, ab mai khana khate khate uske sath baat bhi karta jauga.

Ye kah kar mai khana khate huye nimi se baat karne laga. Udhar mere kahe anusar aunty ne nimi ko apne seene se chipka liya tha aur use thapki deti ja rahi thi. Mera khana khana to ho chuka tha.

Lekin mai nimi ke sone ke intejar me mai abhi bhi baitha hua tha. Jis vajah se baki log bhi khana kha lene ke bad bhi, abhi bhi baithe huye the. Kuch hi der me nimi ki nind lag gayi. Uski nind lagte hi, aunty ne uske hath se mobile le liya aur mujhse kaha.

Aunty boli “ami nimi dono so gayi hai. Ab tum mobile rakh sakte ho.”

Aunty ki baat sunkar, maine shukun ki saans li aur un se kaha.

Mai bola “aunty, abhi uski nind kachchi hi hogi. Isliye abhi aap use apne seene se chipkaye hi rahna, warna wo fir uth kar, rona suru kar degi.”

Meri baat sunkar, aunty ne mujhe jhutha gussa dikhate huye kaha.

Aunty boli “kya ab mujhe apne bachchon palna bhi tujhse sikhna padega. Sonu thik kahti thi ki, tu waha jakar bahut badi badi baten karne laga hai. Tu wapas aa fir mai tujhe batati hu ki, mujhe kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye.”

Aunty ki ye baat sunkar, mai hasne laga aur un ne mobile keerti ko thama diya. Keerti ko ek do baten samjhane ke bad, maine jaise hi call rakha, waise hi chhoti maa ne mujhse kaha.

Chhoti maa boli “kya hua, nimi so gayi.”

Mai bola “ji chhoti maa, wo dono so gayi hai. Sapne ki vajah se wo thoda dar gayi thi. Isliye pareshan kar rahi thi.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne bhi shukun ki saans lete huye kaha.

Chhoti maa boli “mai to use samjhate samjhate thak gayi thi. Isliye maine keerti se uski tujhse baat karwane ko kaha tha.”

Thodi der sab ami nimi ke baare me hi baten karte rahe. Lekin ye silsila sirf kuch hi der ka tha. Kyoki abhi shadi ki bahut si rasme baki thi. Isliye sab waha se fauran uth kar shadi ki baki rasmo ki taiyari me lag gaye.

Kuch hi der me shadi ki baki ki rasme suru ho gayi. Ab 3:30 baj gaye the aur sab ghar ke bahar fero ke liye bane pandal ke niche, shadi ki rasmo ko pura karne me lage huye the.

Aise hi rasme chalte chalte ek rasm ladki ke mama ki bhi aayi aur durjan ko dekha jaane laga. Lekin wo abhi bhi kahi najar nahi aa raha tha. Isliye alka aunty ne barkha aur neha ko durjan ko dekhne neha ke ghar bheja.

Kuch der bad wo dono waha se wapas lauti to, barkha ne bataya ki, ghar par to taala laga hai aur durjan mama ka mobile bhi band bata raha hai. Ye baat sunkar, sab pareshan ho gaye ki, ab mama ki rasm kaun puri karega. Lekin tabhi dhiru shah ne aage aate huye kaha.

Dhiru shah bola “waise to mai ladke ki taraf se hu. Lekin yadi kisi ko bura na lage to, ladki ke mama ki ye rasm mai puri karna chahta hu. Shayad is rasm ko pura karne se mere paap ka bojh kam ho jaye.”

Dhiru shah ki is baat ka kisi ne virodh nahi kiya aur usne ladki ke mama ki ye rasm puri kar di. Dhiru shah ki ye baat mere dil ko chhu gayi thi aur ab wo bhi mujhe ek acha insan samajh me aa raha tha.

Dhiru shah ki pichhli jindagi ke baare me sochte sochte, mujhe chhoti maa ki kahi huyi baat yaad aane lagi ki, burayi ko burayi se kabhi nahi mitaya ja sakta. Burayi se burayi sirf badti hi hai. Burayi ko sirf achchhai se hi mitaya ja sakta hai. Isliye bure ke sath bhi achchha hi karo, ek na ek din uski burayi, tumhari achchhai ke samne haar jayegi. Achchhai ko jeetne me samay jarur lagta hai. Lekin ant me jeet hamesha achchhai ki hi hoti hai.

Aaj mere samne burayi ki do misale, dhiru shah aur mohini aunty thi. Jinki burayi ko, ajay aur priya ki achchhai ne hara kar, unhe ek achchha insan banne par majbur kar diya tha.

Chhoti maa ki ye baat us samay to mere gale se nahi utar rahi thi. Lekin aaj jab mai unki is baat ki sachchai apni aankhon se dekh raha tha to, mujhe aehsas ho raha tha ki, un ne mujhe kitni sachchi baat batayi thi.

Is baat ka aehsas karte hi, meri najre yaha waha chhoti maa ko talash karne lagi. Chhoti maa jaha par ye rasme chal rahi thi. Waha se thodi hi duri par ek sofe par baithi mehul se baat kar rahi thi.

Un par najar padte hi maine ajay se thodi der bad aane ki baat jatayi aur sab ke pas se uth kar, sidhe chhoti maa aur mehul ke pas pahuch gaya. Unke bich me shayad mujhe lekar hi koi baat chal rahi thi. Isliye mujhe dekhte hi mehul ne chhoti maa se kaha.

Mehul bola “lo aunty, naam liya shaitan ka aur shaitan hajir ho gaya. Ab aap hi isko sambhalo, mai to chala yaha se warna abhi jhagda suru ho jayega.”

Ye kahte huye mehul humare pas se chala gaya. Uske jaane ke bad, chhoti maa ne mujhse kaha.

Chhoti maa boli “kya hua, tu waha se uth kar yaha kyo aa gaya.”

Chhoti maa ki is baat ke jabab me maine apni peeth par hath rakh kar, use kaman ki tarah modte huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, din bhar yaha waha bhatakte huye thak gaya hu. Isliye thoda peeth sidha karne yaha aa gaya hu.”

Ye kahte huye, mai chhoti maa ki god me sar rakh kar let gaya aur unhe aaj ki mohini aunty wali saari baten batane laga. Chhoti maa meri baten sun rahi thi aur muskurate huye mere sar par hath fer rahi thi. Mohini aunty ki baat khatam hone ke bad maine chhoti maa se kaha.

Mai bola “priya bata rahi thi ki, aap kal ghar wapas ja rahi hai. Kya aap ek din or nahi ruk sakti. Fir hum sab log sath hi ghar chalege.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne pyar se mere gaal par thapki marte huye kaha.

Chhoti maa boli “tu kahega to mai teri ye baat bhi maan lugi. Lekin abhi kuch der pahle tune khud hi nimi ki haalat dekhi hai. Kya iske bad bhi tujhe lagta hai ki, mujhe yaha ek din or rukna chahiye.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mujhse unse kuch bhi kahte na bana. Maine unki is baat ke jabab me apna sar na me hilakar, unke jaane ko apni sahmati dete huye apni aankh band kar li.

Wo mujhe is baare me samjhane lagi aur mai aankh band karke leta leta, unki baat sunta raha. Lekin unki god ke asar aur unke mere sar par hath ferne ke jadu se, mujhe pata hi nahi chala ki, kab mai gahri nind ki aagosh me chala gaya.

Fir meri nind subah 6 baje joote chori hone ki aawaj ka shor sunkar khuli. Maine aankh kholi to, mai abhi bhi chhoti maa ki god me sar rakh kar leta hua tha aur wo abhi bhi waisi ki waisi hi baithi huyi thi, jaisi ki mere nind lagne ke pahle baithi thi. Ye dekhte hi mai fauran uth kar baith gaya aur un se kaha.

Mai bola “chhoti maa, yadi meri nind lag gayi thi to, aapko mujhe jaga dena chahiye tha. Aap itni der aisi hi baithi baithi thak gayi hogi.”

Meri baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “mai bilkul bhi nahi thaki, balki tujhe is tarah apni god me sula kar, mujhe to aaram hi mila hai. Fir tu do raat se jara bhi soya nahi tha. Aise me tera thoda aaram karna jaruri tha. Isliye maine tujhe jagana thik nahi samjha.”

Abhi meri aur chhoti maa ki baten chal hi rahi thi ki, tabhi humare pas priya aur nikki aa gayi. Un dono ko ek baar fir se sath dekh kar, mujhe behad khushi huyi. Unke pas aate hi maine un se kaha.

Mai bola “ye itna shor kis baat ka ho raha hai.”

Meri is baat ka jabab nikki ne dete huye kaha.

Nikki boli “ye joote chori hone ka shor hai.”

Mai bola “lekin joote chori hone me itna shor kyo ho raha hai.”

Nikki boli “wo isliye kyoki jab hum sab ajay bhaiya aur aman bhaiya ke sath ghar ke andar jakar rasme puri kar rahe the. Usi samay joote bhi choori karna tha. Lekin jaise hi barkha didi joote chori karne gayi to, pata chala ki joote pahle hi chori ho chuke hai.”

“Ye dekh kar, barkha didi samajh gayi ki, ye kaam neha ke alawa koi nahi kar sakta. Isliye wo chup chap wapas andar chali gayi. Lekin jab hum sab bahar wapas aaye to dekha ki, ajay bhaiya ke sath sath aman bhaiya ke joote bhi gayab hai. Ab barkha didi to janti thi ki, ye kaam neha ka hai.”

“Isliye un ne neha se puchha ki, usne ajay bhaiya ke sath sath aman bhaiya ke joote bhi chori kyo kiye, to neha ne bataya ki, ajay bhaiya aur aman bhaiya dono ke joote ek jaise the. Jis vajah se use samajh me nahi aa raha tha ki, kaun se joote kiske hai. Isliye usne dono ke hi joote chori kar liye the.”

“Yaha tak to sab mamla thik tha. Lekin ab joote wapas karne ke samay neha ajay bhaiya ke sath sath aman bhaiya ke joote wapas karne ka bhi neng maang rahi hai. Jiske liye seeru didi log taiyar nahi hai aur neha apni jid par adi huyi hai. Isliye itna hungama ho raha hai.”

Nikki ki ye baat sunkar, mujhe bhi hansi aa rahi thi aur mai bhi ye sab dekhne ke liye jaane laga. Lekin tabhi chhoti maa ne mujhe rokte huye kaha.

Chhoti maa boli “abhi waha mat jao. Pahle jakar muh hath dho lo. Kyoki andar vida hone ki taiyari chal rahi hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mai upar jakar muh hath dhone laga. Muh hath dhone ke bad, mai niche aaya to, mehul ne phoolon se saji dhaji car, shikha didi ko vida karne ke liye ghar ke samne lakar khadi kar di.

Ab vida ki taiyari chal rahi thi. Mai ghar ke andar gaya to, shikha didi aunty se gale lag kar ro rahi thi. Mujhse ye sab dekha nahi gaya aur mai upar aakar chhat ki deewar se tik kar jamin par hi baith gaya.

Shikha didi ko rote dekh kar, mere bhi aansu rukne ka naam nahi le rahe the. Mai chahte huye bhi shikha didi ka samna karne ki himmat nahi juta pa raha tha. Isliye upar hi baitha akele me aansu baha raha tha.

Niche shikha didi ki viada ho rahi thi aur sab mujhe yaha waha dud rahe the. Mujhe kahi na pakar sabhi pareshan ho rahe the. Tabhi barkha mujhe dudti huyi upar aa gayi aur mujhe is tarah se baitha dekh kar, wo bhi mere pas baith gayi.

Lekin barkha ko apne pas dekh kar, mere liye apne aasnu rok pana aur bhi mushikl ho gaya. Maine uske kandhe par sar rakha aur behatasha aansu bahate huye kaha.

Mai bola “didi, mujhse ye nahi ho payega. Mai is samay didi ka samna nahi kar pauga. Mai unhe rote huye nahi dekh sakta.”

Meri baat ke jabab me, barkha ne mere aansu pochhe aur mujhe samajhate huye kaha.

Barkha boli “bhai, mai tumhare is dard ko samajh sakti hu. Lekin ye didi ki nayi jindagi ki sururaat hai. Wo tumse mile bina nahi jayegi. Isliye tumhe khushi khushi unko vida karna hoga.”

Itna kah kar barkha khadi ho gayi. Usne mera hath pakad kar, mujhe bhi khada kiya aur fir niche le aayi. Niche shikha didi sabse gale mil kar ro rahi thi. Jaise hi unki najar mujh par padi, wo mere pas aayi aur mujhse lipat kar rone lagi.

Unke mere gale lag kar rote hi, mai barkha ki di huyi saari samjhaish bhool gaya aur unke sath sath mai bhi rone laga. Padmini aunty shikha didi ko car tak le jaane ki koshish kar rahi thi.

Lekin shikha didi thi ki, mujhe chhod hi nahi rahi thi aur mujhse lipat kar roye ja rahi thi. Mai bhi kuch samajh nahi pa raha tha aur rone me unka sath diye ja raha tha.

Tab padmini aunty ne mujhse kaha ki, shikha ko le jakar car me baithao. Aunty ki ye baat sunkar mai kisi tarah shikha didi ko car tak le aaya aur unhe car me baithane ki koshish karne laga.

Lekin wo abhi bhi mujhe nahi chhod rahi thi aur mujhse lipat kar roye hi ja rahi thi. Mai khud ko to rone se nahi rok pa raha tha. Lekin unko baar baar rone se mana kar raha tha.

Tabhi padmini aunty ne aakar kisi tarah shikha didi ko gaadi me baitha diya. Iske bad bhi shikha didi ka rona jaari tha. Barkha aur alka aunty aakar shikha didi se milne lagi.

Alka unty aur barkha ke shikha didi ke pas se door hatte hi shikha didi ki gaadi dhire dhire aage badne lagi. Hum sab apni aansu bhari aankhon se unhe door jate huye dekhne lage.

Shikha didi bhi apni aankhon me aansu bhare palat palat kar hum logon ko dekh rahi thi. Fir kuch hi der me shikha didi humari najron se ojhal ho gayi. Shikha didi ke humari najron se ojhal hote hi, ek sunapan sa mere dil me samane laga.

Mai ab dil khol kar rona chahta tha. Isliye mai bhag kar fir usi jagah par aa gaya, jaha se barkha mujhe utha kar le gayi thi. Waha aakar bathte hi maine behatasha rona suru kar diya.

Jis bahan ki vidayi ke liye maine raat din ek kar diye the. Aaj usi bahan ki vidayi ke bad, uski judai mai sahan nahi kar pa raha tha aur use yaad karke roye ja raha tha.

Meri aankhon ke samne shikha didi ke sath bitaya har ek lamha ghoom raha tha. Mai har ek jagah par unki kami ko mehsus kar raha tha aur unki kahi har ek baat mujhe unki yaad dila kar rulaye ja rahi thi.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,629
159
Ko To Rok Lo {Update - 173}
____________________________

Alka unty aur barkha ke shikha didi ke pas se door hatte hi shikha didi ki gaadi dhire dhire aage badne lagi. Hum sab apni aansu bhari aankhon se unhe door jate huye dekhne lage.

Shikha didi bhi apni aankhon me aansu bhare palat palat kar hum logon ko dekh rahi thi. Fir kuch hi der me shikha didi humari najron se ojhal ho gayi. Shikha didi ke humari najron se ojhal hote hi, ek sunapan sa mere dil me samane laga.

Mai ab dil khol kar rona chahta tha. Isliye mai bhag kar fir usi jagah par aa gaya, jaha se barkha mujhe utha kar le gayi thi. Waha aakar bathte hi maine behatasha rona suru kar diya.

Jis bahan ki vidayi ke liye maine raat din ek kar diye the. Aaj usi bahan ki vidayi ke bad, uski judai mai sahan nahi kar pa raha tha aur use yaad karke roye ja raha tha.

Meri aankhon ke samne shikha didi ke sath bitaya har ek lamha ghoom raha tha. Mai har ek jagah par unki kami ko mehsus kar raha tha aur unki kahi har ek baat mujhe unki yaad dila kar rulaye ja rahi thi.

Mai apne aapko is sab se bahar nikalne ki koshish kar raha tha. Lekin chah kar bhi aisa kar nahi pa raha tha. Abhi mai apne aansu rokne ki nakam koshish me laga tha ki, tabhi chhoti maa aur priya upar aa gayi.

Un ne mujhe aisi haalat me dekha to, wo dono bhi mere pas jamin par hi baith gayi. Chhoti maa ko apne pas pakar mai apne aapko sambhal nahi paya aur unse lipat kar rone laga. Tabhi barkha bhi waha neha ke sath aa gayi. Usne mujhe fir se rote dekha to, usne chhoti maa se kaha.

Barkha boli “aunty, ye didi ke jaane ke pahle se hi, isi tarah se yaha baith kar ro raha hai. Mai to ise samjha samjha kar thak chuki hu. Ab aap hi ise kuch samjhaiye ki, ye ladkiyon ki tarah is tarah rona band kare. Aisa to koi ladki bhi nahi roti hai, jaisa ye ro raha hai.”

Barkha ki baat sunkar, chhoti maa ne mere aansu ponchhe. Lekin un ne mujhe kuch samjhane ki jagah, ulte barkha ko hi samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “jaisa tum soch rahi ho, aisa kuch nahi hai. Mera punnu bahut bahadur hai. Lekin iske sath sath ye bahut bhavuk bhi hai. Shikha ko ye dil se apni bahan manta hai. Isliye uski doori is se sahan nahi ho rahi hai.”

“Jise tum mere bete ki kamjori samajh rahi ho, wo hi iski asli takat hai. Jiski vajah se iske andar kisi bhi rishte ko samajhne aur us rishte ko nibhane ki kabliyat hum sab se jyada hai. Mujhe apne bete ki is kabliyat par bahut naaz hai.”

Ye kah kar chhoti maa ne mere mathe ko chuma aur mujhe apne gale se laga liya. Chooti ki maa ki baton ko sunkar, mai bhi ab kuch samanya sa mehsus kar raha tha. Wahi barkha ko laga ki chhoti maa ko uski baat buri lag gayi hai. Isliye usne apni baat par chhoti maa ko safayi dete huye kaha.

Barkha boli “sorry aunty, mai apni kisi baat se aapko ya punnu ko chot pahuchana nahi chahti thi. Maine to wo baat sirf majak me aur isko chup karane ke liye boli thi.”

Barkha ki is baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “mujhe tumhari kisi bhi baat ka bura nahi laga hai. Kyoki mai janti hu ki, tumne wo baat sirf punnu ko chup karane ke liye hi kahi thi. Mai to tumko sirf ye samjhana chahti thi ki, bhale hi ye apni bhavnaon par kabu nahi rakh pata hai. Magar iski yahi baat ise ek behtar insan banati hai aur is se milne wale har ek ko is se pyar karne par majbur kar deti hai.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, sabke chehre par muskurahat aa gayi aur barkha ne muskurate huye kaha.

Barkha boli “aunty, aapne iske baare me ye baat to bilkul sahi kahi hai. Mere is bhai me ye khoobi to jarur hai ki, ye ek baar jis kisi se mil le, wo ise jindgi bhar bhula nahi sakta.”

Barkha ki is baat par sab ek baar fir se muskura diye. Lekin chhoti maa ne sabki is muskurahat par viram lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “lekin iske andar ek buri aadat bhi hai.”

Chhoti maa ki is baat ne sabke sath sath mujhe bhi hairan kar diya tha aur sab hairani se unki taraf dekh rahe the. Wahi priya ne hairat se kaha.

Priya boli “wo buri aadat kya hai.”

Priya ki is baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “wo aadat ye hai ki, yadi ise samay par chay na mile to, iska sar bhari ho jata hai aur fir ye pure samay sar dard se pareshan rahta hai.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, sab hasne lage. Lekin barkha ne apne sar par hath marte huye kaha.

Barkha boli “ohh shitt, didi ne mujhe ye bataya bhi tha. Lekin mere dimag se ye baat nikal hi gayi. Aunty aap fresh ho jaiye, mai abhi chay lekar aati hu.”

Ye kah kar barkha, neha ko khichte huye apne sath niche le gayi. Unke jaane ke bad, chhoti maa ne mujhe kuch baten samjhayi aur fir wo fresh hone chali gayi. Chhoti maa ke jaane ke bad, maine priya se padmini aunty ke baare me puchha to, usne bataya ki, wo log ghar chali gayi hai.

Abhi meri aur priya ki baten chal hi rahi thi ki, tabhi mehul aa gaya. Usne raj ke ghar jaane ki baat batate huye kaha.

Mehul bola “mai raj ke sath ghar ja raha hu. Aunty ki flight 11 baje ki hai aur wo jaane ke pahle papa se milna chahti hai. Isliye tum aunty ko lekar pahle hospital aa jana. Fir wahi se airport ke liye nikal jana.”

Maine uski baat sunkar, haan me apni sahmati di. Iske bad usne priya se ghar chalne ka puchha to, wo fresh hone ki baat kah kar, uske sath chali gayi. Unke jaane ke bad, mai bhi fresh hone chala gaya.

Mai jab fresh hokar aaya to, chhoti maa taiyar ho chuki thi aur barkha ke sath chay nashta kar rahi thi. Maine bhi taiyar hote huye chay nashta karne laga. Chhoti maa ka chay nashta ho chuka tha aur ab wo apne saman ki packing kar rahi thi.

Unke saman ki packing hote hote, mera taiyar hona aur chay nashta karna bhi ho gaya. Iske bad, humari aapas me baten chalti rahi. Fir 9:baje mehul ka call aaya ki, wo log hospital ke liye nikal rahe hai.

Mehul ki baat sunkar, chhoti maa ne mujhse saman niche lekar chalne ko kaha aur wo niche aakar anuty se milne lagi. Is bich maine aur barkha ne aakar unka saman car me rakh diya.

Chhoti maa ke aunty se mil lene ke bad, mai barkha aur neha unke sath hospital ke liye nikal pade. Maine barkha se hitu ka puchha to, usne bataya ki, hitu ko bahut nind aa rahi thi. Isliye wo vida ke bad, hi ghar chala gaya.

Fir kuch hi der me hum hospital pahuch gaye. Hum waha pahuche to, hume waha nikki, riya, priya, nitika khadi najar aayi. Lekin uncle, mehul aur raj kahi najar nahi aaye.

Humne nikki se mehul logon ka puchha to, usne bataya ki, wo uncle ko doctor ko dikha rahe hai. Nikki ki baat sunkar hum sab unke aane ka intejar karne lage. Kuch hi der me mehul log bahar aate dikhayi diye.

Unke aate hi chhoti maa, rajesh uncle se milkar unka haal chaal puchhne lagi. Un ne kuch der tak uncle se baat ki aur fir unse ijajat lekar hum airport jaane ke liye nikal pade.

Hum log 10:45 baje airport pahuch gaye. Is thodi se samay me hi chhoti maa ne mujhe dher saari baten samjha di. Jab unki flight ka samay ho gaya to, wo baki sab logon se bhi milne lagi.

Iske bad un ne mujhe gale laga kar, mera matha chuma aur fir hum sabko bye kah kar apni flight ki taraf bad gayi. Chhoti maa ke jaane se ek baar fir meri aankhon me nami chha gayi thi.

Mai unhe jate huye dekh raha tha. Tabhi achanak un ne palat kar humari taraf dekha, unki aankhon me nami si najar aa rahi thi. Lekin un ne meri taraf muskura kar dekhte huye, mujhe aansu na bahane ka ishara kiya.

Jise dekh kar maine fauran apni aankhon ko pochh liya. Un ne mujhe ek pyari si muskan di. Magar fir achanak hi unki aankhe chhalakne lagi. Un ne faurna hi apni aankhon ko ponchha aur palat kar tej kadmo se apni flight ki taraf bad gayi.

Kuch hi der me wo humari najro se ojhal ho gayi. Magar mera dil abhi bhi waha se jaane ka nahi kar raha tha aur mai apni nam aankhen liye, abhi bhi usi taraf dekhe ja raha tha, jis taraf chhoti maa gayi thi. Mujhe aisa lag raha tha, jaise ki chhoti maa fir se muskurati huyi wapas aa jayegi.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,629
159
Ko To Rok Lo {Update - 174}
____________________________

Hum log 10:45 baje airport pahuch gaye. Is thodi se samay me hi chhoti maa ne mujhe dher saari baten samjha di. Jab unki flight ka samay ho gaya to, wo baki sab logon se bhi milne lagi.

Iske bad un ne mujhe gale laga kar, mera matha chuma aur fir hum sabko bye kah kar apni flight ki taraf bad gayi. Chhoti maa ke jaane se ek baar fir meri aankhon me nami chha gayi thi.

Mai unhe jate huye dekh raha tha. Tabhi achanak un ne palat kar humari taraf dekha, unki aankhon me nami si najar aa rahi thi. Lekin un ne meri taraf muskura kar dekhte huye, mujhe aansu na bahane ka ishara kiya.

Jise dekh kar maine fauran apni aankhon ko pochh liya. Un ne mujhe ek pyari si muskan di. Magar fir achanak hi unki aankhe chhalakne lagi. Un ne faurna hi apni aankhon ko ponchha aur palat kar tej kadmo se apni flight ki taraf bad gayi.

Kuch hi der me wo humari najro se ojhal ho gayi. Magar mera dil abhi bhi waha se jaane ka nahi kar raha tha aur mai apni nam aankhen liye, abhi bhi usi taraf dekhe ja raha tha, jis taraf chhoti maa gayi thi. Mujhe aisa lag raha tha, jaise ki chhoti maa fir se muskurati huyi wapas aa jayegi.

Mai bahut der tak waha waise hi khada raha aur mere sath sath baki log bhi waha khade rahe. Jab sabko waha khade huye kafi der ho gayi to, barkha ne mujhse kaha.

Barkha boli “aunty ki flight to kab ki ja chuki hai. Ab hum logon ko bhi yaha se chalna chahiye.”

Barkha ki baat sunkar, mai bhari dil se sab ke sath bahar aa gaya. Bahar aane ke bad, nikki ne hum sab ko bye kaha aur wo wapas ajay ke ghar ke liye nikal gayi. Nikki ke jaane ke bad, hum sab bhi wapas barkha ke ghar jaane ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum barkha ke ghar pahuch gaye.

Mehul humare pahuchne ke pahle hi, waha pahuch chuka tha aur sabka hisab karne me laga tha. Raj uske pas chala gaya aur riya, nitika, neha barkha ke sath andar jakar hum sab ke khana khane ki taiyari me lag gayi.

Mai priya ke sath upar aa gaya aur apne kapde pack karne me lag gaya. Mujhe apne saman ki packing karte dekh kar, shayad priya ko mere jaane ki baat satane lagi thi. Jis vajah se uska chehra kuch murjha sa gaya tha.

Mai uske man ki is haalat ko samajh sakta tha. Isliye maine uska dimag is baat se hatane ke liye, baat banate huye us se kaha.

Mai bola “mujhe ami nimi aur ghar ke baki logon ke liye kuch kharidi karni hai. Kya tum mere sath shopping karne chalogi.”

Meri baat sunte hi priya ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne fauran mujhse kaha.

Priya boli “haan, jarur chalugi. Lekin shopping par sirf hum dono hi jayege. Hum dono ke alawa koi teesra humare sath shopping par nahi jayega.”

Priya ki is baat par maine bhi muskurate huye haan kah diya. Abhi meri priya se baat chal hi rahi thi ki, tabhi barkha aa gayi. Usne mujhe apne kapde pack karte huye dekha to, achanak hi uske chehre ki muskurahat gayab ho gayi aur usne mujhse kaha.

Barkha boli “kya ab tum humare yaha nahi rukoge.”

Mai bola “didi, aisi koi baat nahi hai. Lekin ab kal hum logon ko ghar ke liye nikalna hai. Uske pahle mai ami nimi aur ghar ke baki logon ke liye thoda shopping karna chahta hu. Shopping karne ke bad, mujhe apne saman ki packing bhi karni hai.”

“Isliye mai apne ye kapde le ja raha hu. Taki raat ko aaram se apni packing kar saku. Ab rahi baat aapke sath rahne ki, to aap bilkul fikar mat kijiye. Mai jab tak yaha hu, tab tak mera khana aapke sath hi hoga.”

Meri baat sunkar, barkha ke chehre ki muskurahat wapas aa gayi. Usne muskurate huye kaha.

Barkha boli “chalo koi koi baat nahi. Sabke liye shopping na bhi karo, tab bhi chal jayega. Lekin ami nimi ke liye to shopping karna bahut jaruri hai. To fir tum shopping ke liye kab jaane wale ho.”

Mai bola “bas didi, khana khane ke bad, mai aur priya shopping ke liye nikal jayege.”

Meri baat sunkar barkha ne mujhse kaha.

Barkha boli “mujhe bhi ami, nimi aur aunty ke liye kuch saman bhejna tha. Yadi tum logon ko bura na lage to, kya mai bhi tumhare sath shopping ke liye chal sakti hu.”

Mai bola “didi, isme bura lagne wali kaun si baat hai. Maine to aapse sath chalne ke liye sirf isliye nahi bola tha. Kyoki mujhe laga tha ki, aapko yaha par koi kaam na ho. Yadi aap humare sath chalna chahti hai to, jarur chal sakti hai.”

Meri baat sunte hi barkha ne kaha.

Barkha boli “to thik hai, tum log jaldi se niche se aa jao. Tab tak mai sabke liye khana lagati hu. Fir uske bad hum log shopping par chalte hai.”

Maine bhi barkha ki baat me, haan me haan mila di aur meri baat sunte hi wo niche chali gayi. Lekin barkha ke bhi humare sath jaane ki baat ko lekar, priya ka muh ban gaya. Mai uski is narajgi ko samajh sakta tha.

Lekin barkha ko apne sath jaane se rokna mere bas me nahi tha. Mai barkha ka dil dukhane ki baat soch bhi nahi sakta tha. Jis vajah se mujhe priya ka dil dukhana pad gaya tha. Maine uska bana hua muh dekh kar, us se kaha.

Mai bola “sorry, mai janta hu ki, tumhe barkha didi ka humare sath jana acha nahi lag raha hai. Lekin mai unko jaane ke liye mana karke unka dil dukhana nahi chahta tha. Mere pas unko sath lekar chalne ke alawa koi rasta nahi tha.”

Maine apni baat priya ko samjhane ke liye kahi thi. Lekin uske upar meri is baat ka ulta hi asar hua. Meri baat sunte hi, uski aankhon me aansu chamakne lage aur unse mere upar bhadakte huye kaha.

Priya boli “tumko sabki khushi ka khayal rahta hai. Lekin tumhe kabhi meri kisi khushi ka khayal nahi rahta hai. Mere liye tumne khud to kabhi apne man se kuch kiya nahi tha.”

“Upar se aaj jab maine khud tumse kuch karne ko kaha to, tumse mere liye wo bhi na ho saka. Ab mujhe tumhare sath kisi shopping par nahi jana. Tum barkha didi ke sath hi jakar apni shopping kar lo. Aaj ke bad mai kabhi tumse kuch bhi nahi kahugi.”

Ye kahte huye wo gusse me mere pas se uth kar niche chali gayi aur mai hairani se use jate huye dekhta rah gaya. Mai ye to janta tha ki, priya ko meri ye baat buri lagegi. Lekin mujhe is baat ki jara bhi ummid nahi thi ki, wo mujhse is had tak naraj ho jayegi ki, mere sath jaane se hi mana kar degi.

Hamesha har kisi ki baat par hanste rahne wali ladki ka, meri jara si baat par is tarah se naraj ho jaane ki, mujhe bas ek vajah najar aa rahi thi aur wo vajah thi ki, usne kal apne dil ka saara haal mere samne khol kar rakh diya tha.

Iske bad bhi usne mujhe apne sath hamdardi jatane tak ka mauka nahi diya tha. Aise me mera uski kahi ek chhoti si baat ko bhi pura na kar pane se, uske dil ko chot pahuchi thi. Ye baat chahe mere liye bahut choti thi.

Lekin jis ladki ne apne liye, kabhi kisi se kuch na maanga ho, uske liye ek bahut badi baat thi. Ye hi vajah thi ki, meri baat se priya ke dil ko chot pahuchi thi aur ab mere sath shopping par jana nahi chahti thi.

Mai abhi priya ke khayalon me khoya hua tha ki, tabhi barkha ne khana khane ke liye niche aane ki aawaj laga di aur mai niche aa gaya. Mere aate hi sab khana khane baithne lage.

Mai bhi sabke sath khana khane baith gaya. Lekin priya jo mere pas baithne ka kabhi koi bhi mauka nahi chhodti thi. Aaj mujhse gussa hone ki vajah se nitika ke pas jakar baith gayi.

Wo ek baar bhi najar utha kar meri taraf nahi dekh rahi thi. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai use kaise samjhau. Jab mujhe kuch samajh me nahi aaya to, maine khana khate khate ek Sms priya ko bhej diya.

Mera Sms “Aaj Kuch Kami Si Hai Tere Baigar.
Na Rang Hai Na Roshini Hai Tere Bagair.
Waqt Apni Raftaar Se Chal Raha Hai,
Bas Dhadkan Thami Huyi Hai Tere Baigar.”​

Mera Sms pahuchte hi priya ne apna mobile nikal kar dekha aur fir Sms padne lagi. Mere Sms ko padne ke bad, usne meri taraf dekha to nahi, lekin uski ungliyan mobile par chalane lagi. Jise dekh kar nitika ne use tokte huye kaha.

Nitika boli “ye kya kar rahi hai. Mobile ke sath bad me khel lena. Pahle ache se khana to kha le.”

Nitika ki baat sunkar, priya ne muskurate huye us se kaha.

Priya boli “kuch nahi, bas ek faltu ka Sms aa gaya tha. Use delete kar rahi thi.”

Ye kah kar, wo fir se khana khane lagi. Uske is tarah mere Sms ko delete kar dene se hi pata chal raha tha ki, abhi uska gussa kam nahi hua hai. Lekin mere pas usko manane ke liye na to abhi samay tha aur na hi Sms karne ke siwa koi dusra rasta tha. Isliye maine use fir se Sms bhej diya.

Mera Sms “Wo Ek Dost Jo Pyara Sa Lagta Hai.
Bahut Pas Hai Fir Bhi Juda Sa Lagta Hai.
Aaya Nahi Koi Paigam Uska,
Shayad Kisi Baat Pe Khafa Sa Lagta Hai.”​

Lekin priya ne mere is Sms ka bhi wo hi haal kiya, jo usne mere pahle Sms ka kiya tha. Uski is harkat se mai samajh gaya tha ki, wo itni aasani se nahi manegi. Fir bhi maine ek aakhiri koshish karte huye use ek Sms or bhej diya.

Mera Sms “Najar Se Najar Churaoge Kab Tak.
Dosti Humari Bhulaoge Kab Tak.
Yu Hi Milte Rahenge Paigam Humare,
In Paigamon Ko Mitaoe Kab Tak.”​

Magar mere is Sms ka bhi priya ne wo hi haal kiya. Jo mere usne mere pichhle do Sms ka kiya tha. Priya ko manane ki meri saari koshish bekar ho chuki thi. Isliye ab mai bhi haar maan kar khana khane laga.

Khana khane ke bad, barkha taiyar hone chali gayi. Mai priya se baat karne ki koshish me laga tha. Lekin wo mujhe baat karne ka koi bhi mauka nahi de rahi thi. Tabhi keerti ka call aa gaya aur mai bahar aakar keerti se baat karne laga.

Maine use chhoti maa ke ghar wapas laune ki baat batayi. Uske bad mai use priya ki narajgi ki baat bhi batane laga. Jise sunte hi keerti hasne lagi. Use hanste dekh kar, maine us par gussa karte huye kaha.

Mai bola “mai barkha didi aur priya ke bich fasa hua hu aur tujhe meri is haalat par hansi aa rahi hai.”

Keerti boli “mai hansu nahi to or kya karu. Tum mujhe to kabhi mana nahi pate ho aur priya ko manane chale ho.”

Mai bola “chal, ab apni bak bak band kar, barkha didi aa rahi hai. Ab tu call rakh. Hum raat ko baat karte hai.”

Keerti boli “ok, mai call rakh rahi hu. Lekin mai tumko ek Sms bhejti hu. Tum usko bhej kar dekhna, shayad tumhara kaam ban jaye.”

Ye kah kar keerti ne call rakh diya aur mai uska Sms aane ka intejar karne laga. Thodi hi der me keerti ka Sms aa gaya aur maine wo Sms priya ko bhej diya.

Keerti ka Sms “Ho Jaye Koi Bhool To Na Dil Se Lagana.
Jo Bhi Shikayat Ho Mil Ke Batana.
Samjho Jo Apna To Haq Hum Pe Jatana,
Sachchi Hai Agar Dosti To Dil Se Nibhana.”​

Maine keerti ka ye Sms priya ko bhej to diya. Lekin mujhe priya ke maan jaane ki jara bhi ummid nahi thi. Mai abhi ghar ke bahar tha. Isliye mai ye jaan nahi pa raha tha ki, priya par mere is Sms ka kya asar pada hai.

Lekin hua wo hi, jiski mujhe jara ummid nahi thi. Mere Sms bhejne ke kuch hi der bad, priya ka Sms aa gaya aur mai uska Sms padne laga.

Priya ka Sms “Panchhi Kah Rahe Hai Ki Hum Chaman Chhod Denge.
Sitare Kah Rahe Hai Ki Hum Gagan Chhod Denge.
Agar Hum Tumhari Dosti Me Mar Bhi Jaye To,
Tum Dil Se Pukar Lena Hum Kafan Chhod Denge.”​

Priya ka ye Sms padte hi, mai ghar ke andar jaane ko hua. Magar tabhi priya aur barkha mujhe bahar aati dikh gayi. Unhe aate dekh mera chehra khushi se khil gaya. Barkha mere pas aakar mujhse baat karne lagi.

Lekin priya aate hi, seedhe gaadi me jakar baith gayi. Shayad uski narajgi abhi bhi kam nahi huyi thi aur wo abhi bhi mujhse najar nahi mila rahi thi. Lekin fir bhi mujhe is baat ki khushi thi ki, wo humare sath jaane ko taiyar ho gayi hai.

Ab mujhe is mauke ka fayda utha kar, kisi na kisi tarah uski is narajgi door karna thi. Priya ke gaadi me baithte hi, mai aur barkha bhi gaadi me baith gaye. Kuch hi der me humari gaadi ek shopping mall ke samne jakar ruk gayi.

Hum log gaadi se utre aur mall me apni shopping karne chale gaye. Maine papa ke alawa ghar ke sabhi logon ke liye kuch na kuch kharidi ki aur uske bad ami nimi ke liye khilone dekhne laga.

Is bich barkha aur priya bhi ami nimi aur chhoti maa ke liye kuch kharidi karne lagi. Hum logon ko apni shopping karne me 3 baj gaye. Humari achi khasi shopping ho gayi thi.

Iske bad hum log ghar ke liye wapas nikal pade. Lekin is sab me mere hath se priya ko manane ka ye mauka bhi nikal chuka tha aur priya ki narajgi abhi bhi mujhse kam nahi huyi thi.

Hum ghar pahuche to, mehul log raj ke sath ghar wapas ja chuke the. Mai aur priya kuch der waha ruke aur fir hum bhi priya ke ghar ke liye nikal pade. Priya ke ghar wapas pahuchne me hume 4 baj gaye.

Ghar pahuchte hi priya, sidhe apne kamre me chali aur mai shopping ka saman lekar apne kamre me aa gaya. Kamre me aane ke bad maine apne kapde badle aur let kar priya ki narajgi ke baare me sochne laga.

Mai chah kar bhi priya ki narajgi ko door nahi kar saka tha. Yahi baat sochte sochte pata nahi kab meri nind lag gayi. Do raat lagatar jagne ki vajah se mujhe itni gahri nind aayi ki, mujhe kisi baat ka hosh hi raha.

Fir meri nind sham ko 7 baje priya ke jagane par khuli. Maine uth kar darwaja khola to, priya ne beman se kaha.

Priya boli “jara apna mobile dekho, kaun kaun tumko, kab se call lagaye ja raha hai.”

Priya ki baat sunkar, maine apna mobile utha kar dekha to, usme chhoti maa, keerti, barkha, shikha didi, ajay aur seeru didi ke dher saare call the. Un sabke call dekhne ke bad, maine priya se kaha.

Mai bola “kya hua, ye log mujhe itna call kyo laga rahe hai.”

Priya boli “shikha didi aur baki sab tumhe waha bula rahe hai. Barkha didi, kuch hi der me hume lene yaha aane wali hai. Isliye ab tum jaldi se taiyar ho jao.”

Priya ki baat sunkar, maine use chay ka jataya aur fir mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad, mai taiyar hone laga. Ab mai aman ke diye kapde pahan raha tha. Mere taiyar hote hi priya bhi chay le aayi.

Hum dono chay peene lage. Abhi humara chay peena hua hi tha ki, tabhi nitika ne aakar bataya ki, barkha aa gayi hai. Barkha ke aane ki baat sunkar, hum dono uske sath bahar aa gaye.

Bahar raj, mehul, riya bhi taiyar khade the. Barkha ke sath, neha aur hitu bhi the. Mere unke pas pahuchte hi barkha ne jaldi chalne ki baat kahi aur hum sab ghar ke bahar aa gaye.

Bahar aakar sab alag alag car me baithne lage. Lekin mai bike uthane laga to, barkha ne iski vajah puchhi, tab maine use bataya ki, ye bike mujhe ajay ke bungalow me wapas rakhna hai.

Iske bad sab car me baith kar aage bad gaye aur maine bhi apni bike aage bada di. Ajay ke bangalow me car rakhne ke bad, mai ek najar bangalow ko dekhne laga. Yaha maine apna bahut hi keemti samay bitaya tha.

Isliye is bangalow se door jate huye mujhe kuch dukh bhi ho raha tha. Mai abhi bangalow ko nihar hi raha tha ki, tabhi priya log aa gayi. Maine bangalow me taala lagaya aur fir priya logon ke sath aman ke ghar ki taraf bad gaya.

Kuch hi der me hum log aman ke ghar pahuch gaye. Aman ka ghar kisi rajmahal se kam nahi lag raha tha. Humare waha pahuchte hi humara swagat seeru didi ne kiya.

Wo hum logon ko sidhe waha lekar aa gayi, jaha ajay aur aman ke sath ghar ke baki log the. Maine aman ki mom aur chacha chachi ke pair chhukar, unse aashirwad liya.

Iske bad, meri najar shikha didi ko yaha waha talash karne lagi. Shayad seeru didi meri in najro ka matlab, samajh gayi thi. Usne fauran hi mujhe tokte huye kaha.

Seerat boli “tum bekar me hi apni didi ko yaha waha dud rahe ho. Wo to sham ko hi aru, hetal aur dhiru uncle logon ke sath surat chali gayi hai. Wo bechari jaane se pahle tumse milna chahti thi. Isliye tumko call laga rahi thi. Lekin tumne unka call hi nahi uthaya aur unhe tumse mile bina hi jaana pada.”

Seeru didi ki ye baat sunkar, mera chehra chhota sa ho gaya aur ab mujhe waha kuch acha sa nahi lag raha tha. Maine ajay ko uske bangalow ki chaabi di aur use bataya ki, maine bike wahi rakh di hai.

Itna kah kar mai beman se wahi baith gaya. Meri baat sunkar, ajay kuch bolne ko hua. Lekin tabhi selu ne use tokte huye kaha.

Selina boli “bhaiya, humne aapse kuch karne ko kaha tha. Yadi aap wo nahi kar sakte hai to, aap yaha se chale jaiye.”

Selu ki baat sunkar, ajay ne mujhe baithne ko kaha aur mai uske pas baith kar chup chap sabki baten sun ne laga. Mujhe chup chap dekh kar, aman ki mom ne kaha.

Aunty boli “kya baat hai beta, yaha sab log kuch na kuch baat kar rahe hai. Lekin tum bilkul chup ho. Tumhe jara bhi sharmane ki jarurat nahi hai. Ye tumhara hi ghar hai.”

Aunty ki baat sunkar, maine kaha.

Mai bola “aunty, aisi koi baat nahi hai. Baat asal me ye hai ki, do din se meri nind puri nahi ho payi hai. Isliye mere sar me thoda sa dard hai.”

Meri ye baat sunte hi seeru didi ne kaha.

Seerat boli “are isme pareshani wali kya baat hai. Humari bhabhi doctor hai, wo abhi chutki bajate hi tumhara saara sar dard door kar degi.”

Mai seeru didi ko aisa karne se rokna chahta tha. Lekin un ne meri baat ko ansuna karte huye, ghar ke andar ki taraf aawaj lagate huye kaha.

Seerat boli “bhabhi yaha aapka chhota devar sar dard se parshan ho raha hai aur aap ho ki kitchen se bahar nikalne ka naam hi nahi le rahi hai. Aap saara kaam chhod kar jaldi se yaha aaiye.”

Seeru didi ki aawaj sunte hi, nisha bhabhi apne hath ponchhte huye humare pas aa gayi. Wo shayad sach me hi kitchen se aa rahi thi. Unko dekhte hi mere chehre par muskurahat aa gayi. Mai khada hone laga to, un ne mujhe tokte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “are baithe raho hero aur ye batao ki, tumhare sar ko kya hua hai.”

Mai bola “kuch nahi bhabhi, bas nind puri na hone ki vajah se sar me jara sa dard hai. Nind puri hote hi wo bhi chala jayega.”

Meri baat sunkar, nisha bhabhi ne kaha.

Nisha bhabhi boli “fikar mat karo. Mere pas tumhare is sar dard ki dawa bhi hai. Mai chutki bajate hi, tumara saara sar dard gayab kar dugi”

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, mai kuch kahne hi wala tha ki, tabhi un ne kitchen ki taraf dekh, kar aawaj lagate huye kaha.

Nisha bhabhi boli “nidhi, jara waha se sar dard ki dawa to lekar aana.”

Nisha bhabhi ki aawaj sunte hi kitchen se nidhi bahar nikli. Lekin uske hath me khane ka bartan tha. Wo use lekar sidhe dining table ki taraf bad gayi aur use waha rakh kar humari taraf muskura kar dekhne lagi.

Abhi mai hairani se nidhi ko dekh hi raha tha ki, tabhi mujhe fir se kitchen ki taraf se kisi ke aane ki aahat huyi. Maine palat kar dekha to ye nikki thi. Uske hath me bhi ek khane ka bartan tha.

Wo bhi use lekar sidhe dining table ki taraf bad gayi aur use waha rakh kar, mujhe dekh kar, muskurane lagi. Mujhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki, ye sab kya ho raha.

Lekin abhi mera or jyada hairan hona baki tha. Kyoki kuch hi der bad, kitchen se hetal aur aru nikal aayi. Un ne bhi wo hi kiya, jo nidhi aur nikki ne kiya tha. Hetal aur aru ko dekhne ke bad, meri najar is baar khud-ba-khud becheni se kitchen ki taraf chali gayi.

Kyoki hetal aur aru ko dekh kar, ab mujhe aisa lag raha tha ki, mere sath majak kiya ja raha hai aur shikha didi yahi par hai. Mujhe is tarah kitchen ki taraf dekhte dekh kar, seeru didi ne mujhe tokte huye kaha.

Seerat boli “are ab kitchen ki taraf kya dekh rahe ho. Saara khana to dining table par saj chuka hai aur sajane wale bhi sab yahi hai.”

Lekin mujhe seeru didi ki baat par yakin nahi aa raha tha. Maine ajay ki taraf dekha to, usne mujhe kitchen me dekh lene ka ishara kiya. Ajay ka ishara pakar mai uth kar kitchen ki taraf jaane laga.

Mujhe kitchen ki taraf jate dekh kar, seeru didi aur selu mujhe rukne ke liye kahne lagi. Lekin mai unki baat ko ansuna karke kitchen ki taraf bad gaya. Waha pahuchte hi mujhe shikha didi dikhayi de gayi.

Wo man laga kar puriyan tal rahi thi. Shayad unhe mere aane ki khabar nahi di gayi thi. Unhe dekhte hi mere chehre ki raunak wapas aa gayi. Maine unse dhire se kaha.

Mai bola “didi.”

Meri aawaj sunte hi, un ne palat kar dekha aur mujhe apne samne pate hi, unke chehre par saare jamane ki khushiyan simat kar aa gayi. Un ne mere upar sawalon ki bauchhar karte huye kaha.

Shikha didi boli “kya bhaiya, aapko pata hai, maine aapko kitne call lagaye the. Inke yaha niyam hai, ki shadi ke bad, pahli rasoi nayi dulhan hi pakati hai. Isliye maine aap sab ko bhi yaha bulane ki ijajat le li thi.”

“Lekin aap ka call tha ki, uth hi nahi raha tha. Isliye maine priya aur barkha se aapko sath lane ko kaha tha. Magar aap log kab aaye. Barkha aur priya log kaha hai. Kya wo log aapke sath nahi aayi hai.”

Shikha didi ko apne samne dekh kar, mujhe bhi aisa lag raha tha ki, jaise mai unhe barso bad dekh raha hu. Unke saare sawalon ka maine msukurate huye ek chhota sa jabab dete huye kaha.

Mai bola “didi, sab log aaye hai. Aap khud hi dekh lijiye.”

Meri baat sunkar, shikha didi mere sath bahar sabke pas aa gayi. Barkha aur neha un se milne lagi. Nisha bhabhi ne nidhi aur hetal ko kitchen ka kaam dekhne ke liye bhejte huye mujhse kaha.

Nisha bhabhi boli “kaho hero, ab tumhara sar dard kaisa hai.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “bhabhi, ab mera sar dard acha hai. Lekin aap logon ne to mujhe sach me dara hi diya tha.”

Meri baat sunkar, sab hasne lage aur barkha shikha didi ko saari baten batane lagi. Iske bad hum sabne sath baith kar khana khaya aur fir uske bad bahut der tak humari baten chalti rahi.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,629
159
Ko To Rok Lo {Update - 175}
____________________________

Shikha didi boli “kya bhaiya, aapko pata hai, maine aapko kitne call lagaye the. Inke yaha niyam hai, ki shadi ke bad, pahli rasoi nayi dulhan hi pakati hai. Isliye maine aap sab ko bhi yaha bulane ki ijajat le li thi.”

“Lekin aap ka call tha ki, uth hi nahi raha tha. Isliye maine priya aur barkha se aapko sath lane ko kaha tha. Magar aap log kab aaye. Barkha aur priya log kaha hai. Kya wo log aapke sath nahi aayi hai.”

Shikha didi ko apne samne dekh kar, mujhe bhi aisa lag raha tha ki, jaise mai unhe barso bad dekh raha hu. Unke saare sawalon ka maine msukurate huye ek chhota sa jabab dete huye kaha.

Mai bola “didi, sab log aaye hai. Aap khud hi dekh lijiye.”

Meri baat sunkar, shikha didi mere sath bahar sabke pas aa gayi. Barkha aur neha un se milne lagi. Nisha bhabhi ne nidhi aur hetal ko kitchen ka kaam dekhne ke liye bhejte huye mujhse kaha.

Nisha bhabhi boli “kaho hero, ab tumhara sar dard kaisa hai.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “bhabhi, ab mera sar dard acha hai. Lekin aap logon ne to mujhe sach me dara hi diya tha.”

Meri baat sunkar, sab hasne lage aur barkha shikha didi ko saari baten batane lagi. Iske bad hum sabne sath baith kar khana khaya aur fir uske bad bahut der tak humari baten chalti rahi.

Humare ghar wapsi ki flifgt ki tickets ajay ne karwayi thi. Isliye usne baton baton me is baar me sabko batate huye kaha ki, hum log kal sham ko 5 baje ki flight se ghar wapas ja rahe hai.

Waise to hum logon ke kal wapas jaane ki baat sabhi jante the. Bas humare jaane ka koi samay tay nahi tha. Lekin jaise hi ajay ne ye baat sabko batayi, waise hi sabke chehre utar gaye.

Ajay, shikha didi, nisha bhabhi, barkha, nikki, priya aur riya ka mujhse bahut lagav hone ki baat to mai janta tha. Lekin ajay ke ye baat batate hi, sabke chehre utar jaane se mujhe ye baat bhi samajh me aa gayi thi ki, baki sab ko bhi mujhse kam lagav nahi hai.

Un sabka apne liye itna lagav dekh kar, mai samajh nahi pa raha tha ki, mai kya kahu aur kya na kahu. Wahi nisha bhabhi ne achanak hi is hansi khushi ke mahol ko sanjida hote dekha to, sabka dhyan apni taraf khichte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “are aap sab ne iske jaane ki baat sunkar, is tarah se apna chehra kyo utar liya hai. Hum sabko to khush hona chahiye ki, ye jis kaam se yaha aaya tha, use pura karke ja raha hai.”

Unki is baat me seeru didi ne bhi, unka sath dete huye sab se kaha.

Seerat boli “bhabhi thik hi to kah rahi hai aur ye kaun sa hum se jyada door hai. Tum sab logon ka jab isko dekhne ka man kare, mujhe batana. Mai palak jhapakte hi isko waha se uthwa lugi.”

Seeru didi ki ye baat sunkar, sabke sath sath mere chehre par bhi hansi aa gayi aur hum logon me isi baat ko lekar baton ka daur suru ho gaya. Humari baton ka ye silsila der raat tak chalta raha.

Fir 11 baje raj ne ghar wapas chalne ki baat kahi to, hum sab ne ajay logon se ghar jaane ki ijajat li aur raj ke sath wapas uske ghar ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum raj ke ghar pahuch gaye.

Jab hum waha pahuche to, padmini aunty aur monini aunty baithi baten kar rahi thi. Humare pahuchte hi padmini aunty ne humari aaj ki party ke baare me puchha to, riya unhe party ke baare me batane lagi. Sab baith kar padmini aunty se baten karne lage.

Lekin priya ki narajgi abhi bhi mujhse door hote najar nahi aa rahi thi. Ab raat ke 12 bajne wale the aur do raton se jaagne ki vajah se mujhe ab nind satane lagi thi. Isliye maine sabko good night kaha aur apne apne kamre me aa gaya.

Apne kamre me aakar, maine apne kapde badle aur fir bed par lette huye keerti ko call laga diya. Mere call lagate hi, keerti ne mera call kaat diya aur fir uska call mere mobile par aane laga.

Lekin uska ye call uske pahle wale mobile se aa raha tha. Isliye mai thoda soch me pad gaya. Magar fir maine mauke ki najakat ko samajhte huye, uska call utha liya. Mere call uthate hi, keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “sorry jaan, us mobile me kuch network problem ho gayi hai. Jis vajah se, us se call nahi ja raha hai.”

Mai bola “koi baat nahi, tu ruk, mai tujhe wapas call karta hu.”

Itna kah kar, maine keerti ka koi jabab sune bina hi, uska call kaat kar, use wapas call laga diya. Usne mera call uthate huye kaha.

Keerti boli “are tumne mera call kyo kaat diya. Mere mobile me bahut balance hai.”

Mai bola “mere mobile me bhi bahut balance hai aur abhi to mere pas tere diye huye, recharge card bhi jaise ke taise hi rakhe huye hai. Isliye ab tu mere balance ki chinta karna chhod de aur ye bata ki, ab teri tabiyat kaisi hai.”

Keerti boli “meri tabiyat to achi hai. Lekin mai tumse najar hu.”

Mai bola “kyo, kya hua.? Maine aisa kya kar diya, jo tu mujhse naraj hai.”

Keerti boli “jyada bhole mat bano. Sham ko maine tumhe kitne call lagaye the. Lekin tumne mera ek bhi call nahi uthaya.”

Mai bola “sorry, meri bahut gahri nind lagi thi. Isliye mujhe tera call aane ki baat pata hi nahi chali.”

Keerti boli “lekin tum sokar, uthne ke bad to, call laga kar, ye baat puchh sakte the na ki, mai tumko itne call kyo laga rahi thi.”

Mai bola “haan, mujhse ye galti jarur huyi hai.”

Ye bolte huye, maine keerti ko apne jaagne se lekar abhi tak ki saari baten batayi aur fir uske call karne ki vajah puchhi to usne kaha.

Keerti boli “wo call mai nahi, ami laga rahi thi. Pahle usne mausi ke mobile se call lagaya tha. Lekin jab tumne call nahi uthaya to, mausi ne usko baar baar call lagane se mana kar diya tha. Isliye fir wo mere pas upar aakar tumko call laga rahi thi. Lekin tumne mere mobile se bhi call nahi uthaya.”

Mai bola “kya wo abhi jaag rahi hai.”

Keerti boli “nahi, wo so gayi hai. Lekin tum uski fikar mat karo. Jab tumne uska call nahi uthaya to, maine nitika ko call laga kar, uski baat nitika se karwa di thi. Nitika ne use bata diya tha ki, tum so rahe ho aur shikha didi log bhi tumko call laga laga kar pareshan ho gayi hai. Kyoki raat ko un ne sabko khane ke liye bulaya hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, pahle to maine shukun ki saans li. Fir us par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “jhuthi, char sau bees, tujhe sab pahle se hi pata tha. Fir bhi mujhse naraj hone ka natak kar rahi thi.”

Meri baat sunkar, keerti hasne lagi. Fir achanak hi use priya ki baat yaad aa gayi aur usne mujhse kaha.

Keerti boli “priya ka kya hua. Wo tumhare sath shopping par gayi thi ya nahi gayi.”

Mai bola “tune jo msg bheja tha. Us msg bhejne ke bad, usne mujhe msg bhi kiya aur mere sath shopping par bhi gayi thi. Lekin wo abhi bhi mujhse koi baat nahi kar rahi hai.”

Keerti boli “isme itna jyada naraj hone wali baat to nahi hai. Wo tumse bevajah hi naraj hai.”

Mai bola “nahi, wo bevajah naraj nahi hai. Abhi tum uski narajgi ki puri vajah nahi janti ho.”

Ye kahte huye, maine keerti ko meri raat ko priya se huyi saari baten bata di. Jise sunkar, keerti bhi soch me pad gayi. Jab thodi der tak, jab wo kuch nahi boli to, maine us se kaha.

Mai bola “kya hua.? Ab tu kis soch me pad gayi.”

Meri baat sunkar, keerti ne ek thandi si saans bharte huye kaha.

Keerti boli “mai ye soch rahi thi ki, priya tumko tab se chahti hai. Jab tumne shilpa ko dekha tak nahi tha. Yadi tumko usi samay priya ke is pyar ka pata chal gaya hota to, aaj shayad mai priya ki jagah par aur priya meri jagah par hoti.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine chidchidate huye kaha.

Mai bola “tu ye kaisi bahki bahki baten kar rahi hai. Yadi tujhe aisi hi baten karna hai to, tu phone rakh, mujhe nind aa rahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne ghabrate huye kaha.

Keerti boli “are tum phone mat rakhna. Mai to bas aise hi bol rahi thi.”

Abhi meri keerti se baat chal hi rahi thi ki, tabhi dusre mobile par uska call aane laga aur usne mujhse kaha.

Keerti boli “dekh kya rahe ho. Badi mushkil se call laga hai. Jaldi se call uthao.”

Maine fauran uska call uthaya aur usne mera call katte huye mujhse kaha.

Keerti boli “aakhir call lag hi gaya. Kitni der se call lagane ki koshish kar rahi thi.”

Mai bola “tu mujhse baat kar rahi thi ya tera saara dhyan call lagane par hi laga hua tha.”

Keerti boli “are mai baat karte karte call bhi laga kar dekh rahi thi ki, call ja raha hai ya nahi. Aakhir itni der bad call lag hi gaya.”

Mai bola “haan, tere liye mujhse baat karne se jyada jaruri kaam, mera balance bachana tha. Isliye tera dhyan meri baton par nahi, balki call lagane par laga hua tha.”

Keerti mere is tarah jara si baat par chidchidane ka matlab samajh gayi thi. Isliye usne mujhe apni pahle ki baat ko samjhate huye kaha.

Keerti boli “sorry baba, lekin tum meri baat ka galat matlab mat nikalo. Asal me mujhe priya ki ye baat sunkar, wo din yaad aa gaya, jab mujhe tumhare shilpa ko pasand karne ki baat chali thi.”

“Us din mai raat bhar bahut royi thi. Us din mujhe mere bachpan ka pyar, mujhse door hote najar aa raha tha aur mujhe aisa lag raha tha, jaise meri jindgi se sab kuch khatam ho gaya ho.”

“Mai is baat ko sah nahi pa rahi thi aur ro ro kar, upar wale se apne liye sirf maut hi mange ja rahi thi. Us din ke bad, mai jab bhi tumhe dekhti thi to, mera dil rone lagta tha.”

“Lekin tum mere dard se anjan, mujhse puchhte rahte ki, mujhe kya hua, kya mai tumse kisi baat ko lekar naraj hu. Tab mujhe na chahte huye bhi, tumse kahna pad jata tha ki, mujhse kuch nahi hua hai.”

“Mujhe tumhari khushi ke liye, tumhare samne muskurana pad jata tha. Magar andar hi andar tumko kho dene ke dard se mera dil rota rahta tha. Mera dil karta tha ki, mai ek baar tumhe apne gale se laga kar khoob ro lu.”

“Apne dil ka saara haal tumhe suna du. Lekin aisa karne ki meri himmat hi nahi hoti thi. Mai bas andar hi andar raat din ghutti rahti thi. Shayad meri is ghutan ko dekh kar, upar wale ko bhi mujh par raham aa gaya.”

“Usne tumhe shilpa ka nahi hone diya aur meri is dard bhari ghutan ka ant ho gaya. Lekin aaj bhi jab mai us din ki baat sochti hu to, meri aankhon me aansu aa jate hai.”

Itni baat kah kar keerti chup ho gayi. Shayad sach me uski aankhon me aansu aa gaye the. Lekin uski is baat ko sunkar, mai un dino ki yaad me kho gaya. Un dino wo aksar jara jara si baat par mere ghar aa jaya karti thi.

Wo hamesha mere aas pas madrati rahti thi. Mere kamre me taank jhank karna aur mujhe chor najron se dekhte rahna, uski aadat si ban gayi thi. Mai uski is bechaini ko kabhi samajh hi nahi saka ki, wo aisi harkat kyo kar rahi hai.

Mai to bas uski is harkat ko dekh kar, us se yahi kahta tha ki, tu kya yaha par meri jasusi karne aati hai. Meri is baat ko sunkar, wo hasne lagti aur ye baat wahi par aayi gayi ho jati.

Magar aaj jab mujhe uski un harkaton aur uski un bujhi bujhi aankhon ka matlab samajh me aaya to, mai apni aakhon ko chhalakne se na rok saka. Mai bhi us samay kitna nadan tha, jo uske is pyar ko kabhi mehsus hi na kar saka.

Mai apni aankhon me aansu liye, un dino ko yaad kar raha tha. Tabhi keerti ki aawaj, mujhe un yaadon se bahar khich layi. Keerti ne khud ko sambhalte huye mujhse kaha.

Keerti boli “sorry, mai tumhare dil ko koi thes lagana nahi chahti thi. Mai janti hu ki, tab tum mere dil ki baton se puri tarah se anjan the. Lekin iske bad bhi tum mujhe bahut pyar karte the.”

“Mere tumse itna ladne jhagadne aur pareshan karne ke bad bhi, tum mere ek baar bulane par hi daude chale aate the. Mujhe tumhara is tarah, meri itni jyada parwah karna bahut acha lagta tha.”

“Iisliye mai jaan bujh kar, tumhe pareshan kiya karti thi. Hamesha tumhare sath rahne ke bahane duda karti rahti thi. Tumhare sath ye sab karte karte, mujhe bas raat din bas tumhari hi soch rahne lagi thi.”

“Mai tum me itna jyada kho chuki thi ki, mujhe ye tak pata nahi chala ki, kab meri tumhe dekhne wali najar badal gayi hai aur mai tumhe dil hi dil pyar karne lagi hu.”

“Mujhe tumse itna jyada pyar ho gaya tha ki, mujhe tumhare bina jeene se acha, marna lagne laga tha. Aaj kismat se mujhe mera pyar mil gaya hai. Magar aaj bhi jab kabhi mere man me tumse door hone ka khayal aata hai to, meri jaan nikalne lagti hai.”

“Isliye jab aaj maine priya ki ye baat suni to, mera dil uske dard ko mehsus karke tadap utha tha. Mera irada apni kisi baat se tumko dukh pahuchne ka hargij nahi tha.”

Mai khamoshi se keerti ki ye baten sun tha aur uski baten sunte sunte mere chehre par khud hi muskurahat aa gayi. Uski baat khatam hote hi, maine us se kaha.

Mai bola “mai ye to nahi kahta ki, mai bhi teri tarah, tujhe suru se aise hi pyar karta tha. Kyoki mere man me ye baat kabhi aayi hi nahi thi ki, humare bich aisa kuch ho sakta hai.”

“Lekin ye baat sach hai ki, tu mujhe suru se hi sabse achi lagti thi aur mai har ladki ki sundarta ki tulna bhi suru se, tujhse hi karta aa raha hu. Tu bas mujhe bahut achi lagti thi aur tera sath mujhe bahut shukun deta tha.”

“Isliye tere ladne, jhagadne aur pareshan karne ke bad bhi, mai tere ek baar bulane par hi dauda dauda tere pas pahuch jata tha. Mai jab kabhi bhi tujhe dekhta to, ek baat jarur mere man me aati thi ki, kash tu meri bahan na hoti to, mai tujhe jindgi bhar ke liye apna bana kar rakh leta.”

“Lekin iska matlab ye hargij nahi tha ki, mai tere baare me kuch ulta sidha sochta tha. Maine tere baare me kabhi kuch galat nahi socha. Bas tu mere liye………..”

Abhi meri baat puri bhi nahi huyi thi ki, keerti meri baat par khilkhila kar hasne lagi. Use hanste dekh mujhe laga ki, shayad use meri is baat par yakin nahi hai. Isliye maine use apni baat ka yakin dilane ki kosis karte huye, us se kaha.

Mai bola “kya hua, kya tujhe meri is baat viswas nahi ho raha hai. Mera yakin maan, mai sach kah raha hu. Mere man me aaj tak tere liye kabhi koi bura vichar nahi aaya. Tu chahe to, mujhse kisi ki bhi kasam le sakti hai.”

Meri is baat ko sunte hi keerti ki hansi ruk gayi aur usne mujh par gussa hote huye kaha.

Keerti boli “ae tumhe kisi ki bhi kasam khane ki jarurat nahi hai. Mujhe khud se jyada tum par viswas hai. Tum nahi jante, mujhe sabse shukun bhari nind tab aayi, jab mai pahli baar tumhare pas soyi thi.”

“Tumne pyar se mere mathe ko chuma aur fir bahut der tak mere sar par hath ferte rahe. Us raat ko mai apne jeevan me kabhi nahi bhool sakti aur yahi chahti hu ki, waisi raat mere jeevan me roj aaye.”

Keerti ki ye baat sunte hi, meri najar me us raat ka najara ghoom gaya aur maine keerti se kaha.

Mai bola “jab us samay tu jaag rahi thi to, fir yu sone ka natak kyo karti rahi. Muh se kuch boli kyo nahi.”

Keerti boli “jab tumne mere mathe par kiss kiya, tab mai apni aankh kholne hi wali thi. Lekin uske bad tum pyar se mere sar par hath ferne lage. Tumhara aisa karne se mujhe itna shukun mila ki, mai aankh kholna hi bhool gayi.”

“Fir mujhe pata hi nahi chala ki, kab mai meethi nind me so gayi. Wo raat meri jindgi ki sabse yaadgar raat ban gayi aur fir mai tumhare isi pyar ke lalach me roj tumhare pas aakar sone lagi.”

“Ab dobara kabhi aisa mat sochna ki, mujhe tum par viswas nahi hai. Mere to viswas ka dusra naam hi tum ho. Jis din mera ye viswas toot jayega, us din meri saanso ki ye dor bhi toot jayegi.”

Keerti ki in baton ko sunkar, mujhe us par bahut pyar aa raha tha. Yadi is samay wo mere pas hoti to, ab tak maine use apni bahon me bhar liya hota. Magar is samay uske mere pas na hone se mai ek thandi si aah bhar kar rah gaya.

Ye hi haal waha shayad keerti ka bhi tha. Is baat ke bad, wo bhi khamosh si ho gayi thi. Hum dono hi khamosh the ki, tabhi mere mobile ki Sms tone baj uthi. Maine mobile utha kar dekha to, priya ka Sms tha. Keerti ne Sms pad kar sunane ko kaha to, mai wo Sms keerti ko pad kar sunane laga.

Priya ka Sms “Maine Use Ishara Kiya.
Usne “Salam” Likh Bheja.
Maine Puchha Tumhara Naam Kya Hai.
Usne “Chand” Likh Bheja.
Maine Puchha Tumhari Aankhen Kaisi Hai.
Usne “Jaam” Likh Bheja.
Maine Puchha Tumhe Kya Chahiye.
Usne “Saara Aasmaan” Likh Bheja.
Maine Puchha Kab Miloge.
Usne “Kayamat Ki Shaam” Likh Bheja.
Maine Puchha Kis Se Darte Ho.
Usne “Mohabbat Ka Anjaam” Likh Beja.
Maine Puchha Tumhe Nafrat Kis Se Hai.?
Kambakht Ne “Mera Naam” Likh Bheja.”​

Priya ka Sms keerti ko pad kar sunane ke bad, maine us se kaha.

Mai bola “tune iska Sms suna na. Ye ladki khud bhi pagal hai aur mujhe bhi pagal karke rahegi. Mujhe to yaad hi nahi ki, maine us se ye nafrat karne wali baat kab kah di.”

Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “are mujhe to is Sms me aisi koi baat najar nahi aa rahi. Ye to usne majak me bheja hai.”

Mai bola “mai us se kah chuka hu ki, mujhe shayari samajh me nahi aati hai to, fir use aisa Sms karna hi nahi chahiye tha.”

Keerti boli “ho sakta hai ki, usne tumko pareshan karne ke liye ye shayari wala Sms kiya ho. Chalo aaj tumahri taraf se mai us se baat karti hu.”

Keerti ki baat sunkar, maine chaukte huye kaha.

Mai bola “tera dimag to thikane hai. Tu us se kya baat karegi aur use kya batayegi ki, tu kaun hai.”

Keerti boli “isme itna pareshan hone ki baat nahi hai. Wo khud hi samajh jayegi ki, mai kaun hu. Tum bas us se meri conference me baat karwao. Pahle apne mobile se mujhe call karo aur uske bad usko call lagao. Baki sab mujh par chhod do.”

Mai bola “yaha ek pagal kam hai, jo tujhe bhi pagalpan karne ki sujh rahi hai.”

Keerti boli “tum daro mat, kuch nahi hoga. Tum bas call karo.”

Maine keerti ko samjhane ki bahut koshish karta raha. Magar ab usne bhi priya se baat karne ki jid pakad li thi. Jab wo meri baat sunne ko taiyar nahi huyi to, fir mujhe uski baat manna hi pad gayi.

Maine pahle apne dusre mobile se keerti ko call kiya. Uske call utha lene ke bad, maine dhadakte dil se priya ko call laga diya. Keerti hold par thi aur priya ke mobile par call ja raha tha. Jaise jaise priya ke mobile ki ring baj rahi thi. Waise waise ab kya hoga, ye soch soch kar mere dil ki dhadkane bad rahi thi.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,629
159
Ko To Rok Lo {Update - 176}
____________________________

Mai bola “tera dimag to thikane hai. Tu us se kya baat karegi aur use kya batayegi ki, tu kaun hai.”

Keerti boli “isme itna pareshan hone ki baat nahi hai. Wo khud hi samajh jayegi ki, mai kaun hu. Tum bas us se meri conference me baat karwao. Pahle apne mobile se mujhe call karo aur uske bad usko call lagao. Baki sab mujh par chhod do.”

Mai bola “yaha ek pagal kam hai, jo tujhe bhi pagalpan karne ki sujh rahi hai.”

Keerti boli “tum daro mat, kuch nahi hoga. Tum bas call karo.”

Maine keerti ko samjhane ki bahut koshish karta raha. Magar ab usne bhi priya se baat karne ki jid pakad li thi. Jab wo meri baat sunne ko taiyar nahi huyi to, fir mujhe uski baat manna hi pad gayi.

Maine pahle apne dusre mobile se keerti ko call kiya. Uske call utha lene ke bad, maine dhadakte dil se priya ko call laga diya. Keerti hold par thi aur priya ke mobile par call ja raha tha. Jaise jaise priya ke mobile ki ring baj rahi thi. Waise waise ab kya hoga, ye soch soch kar mere dil ki dhadkane bad rahi thi.

Mai man hi man ye hi dua kar raha tha ki, priya call na uthaye aur keerti ka priya se baat karna tal jaye. Lekin meri ye dua kaam nahi aayi aur priya ne call uthate huye kaha.

Priya boli “hello, haan bolo, tumko kya bolna hai.”

Priya ke call utha lene ke bad, mere pas uski keerti se baat karane ke alawa koi rasta nahi bacha tha. Isliye maine seedhe apni baat par aate huye priya se kaha.

Mai bola “mujhe tumse kuch nahi bolna hai. Lekin koi tumse baat karna chahta hai. Bas usi ki tumse baat karane ke liye maine tumko call kiya hai.”

Meri baat sunkar, ne kuch sochte huye kaha.

Priya boli “mai abhi kisi se koi baat nahi karna chahti. Tum subah jis se chaho, us se meri baat karwa dena.”

Priya shayad samajh gayi thi ki, mai is samay uski kis se baat karwana chahta hu. Magar wo shayad khud ko abhi iske liye taiyar nahi kar pa rahi thi. Isliye is samay baat karne se mana kar rahi thi.

Lekin keerti mujhe pahle hi dam de chuki thi ki, yadi priya call uthati hai aur mai uski baat keerti se nahi karwata hu to, us se bura koi nahi hoga. Mere samne ab priya ko iske liye taiyar karne ke siwa koi rasta nahi tha. Isliye maine priya ko apni baat samjhate huye kaha.

Mai bola “mai khud tumhe itni samay pareshan karna nahi chahta tha. Lekin mujhse baat karte karte, wo achanak hi tumse baat karne ki jid karne lagi. Maine use bahut samjhaya. Lekin jab wo nahi maani to, fir maine uska call hold par rakh kar, tumko call laga diya.”

“Wo tumse conference me baat karna chahti thi. Yadi tum us se abhi baat nahi karna chahti ho to, koi baat nahi hai. Tum us se conference me ye hi baat bol do ki, tum us se kal baat karogi.”

“Tumhare aisa karne se uski tumse baat bhi ho jayegi aur use ye bhi nahi lagega ki, mai uski tumse baat karwana nahi chahta tha. Ab aage tumhari marji, tum jo thik samjho, kar sakti ho.”

Meri baat sunkar, priya ne kuch der ki khamoshi ke bad, ek thandi si saans chhodte huye mujhse kaha.

Priya boli “ok, mai us se baat kar leti hu. Tum uske sath meri conference karwao.”

Priya ki baat sunte hi, maine priya ko thanks kaha aur fauran keerti ko conference me late huye, keerti se kaha.

Mai bola “ye lo, priya call par hai. Tum us se baat kar sakti ho.”

Meri baat sunkar, keerti ne mujhe ok kaha aur fir priya se kaha.

Keerti boli “hello priya, mere baare me to tum samajh hi gayi hogi ki, mai kaun hu.”

Keerti ki is baat par priya ne bhi muskurate huye kaha.

Priya boli “hello, haan mai ye to samajh gayi hu ki, tum kaun ho. Lekin punnu ne mujhe kabhi tumhara naam nahi bataya. Kya mai tumhara naam jaan sakti hu.”

Priya ki is baat ko sunkar, mai bhi keerti ke jabab ka bechaini se intejar karne laga. Udhar keerti ne priya ka ye sawal suna to, usne priya se hanste huye kaha.

Keerti boli “hehehe, mera naam tumhari tarah pyara nahi hai na, isliye punit ne tumhe mera naam nahi bataya hoga. Mera naam Tripti hai.”

Keerti ke muh se Tripti ka naam sunte hi, mujhe ek jhatka sa laga. Mujhe ummid thi ki, priya ke is sawal ke jabab me keerti ankita ka naam batayegi. Lekin keerti ke muh se Tripti naam sunkar, mai hairan rah gaya.

Magar ye hairani sirf mujhe hi nahi ho rahi thi. Balki priya bhi is naam ko sunkar chauke bina na rah saki aur usne bhi hairan hote huye keerti se kaha.

Priya boli “kya tum wo hi Tripti ho, jiski kavitaye punnu padta hai.”

Priya ki is baat par keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “nahi, mai wo Tripti nahi hu. Magar maine punit se uski kavitaye suni jarur hai aur mujhe khud bhi sher aur shayari bahut pasand hai. Lekin mai jab bhi isko shayari bhejti hu to, ye mere upar chidchidane lagta hai.”

Keerti ki baat sunkar, priya ne bhi hanste huye kaha.

Priya boli “mujhe bhi shayari karna bahut pasand hai. Meri to baat baat par shayari karne ki aadat hai aur ye mere upar bhi isi tarah chidchidata hai.”

Keerti boli “lekin mere upar iske chidchidane ka jara bhi asar nahi padta. Mai to iske bad bhi ise shayari bhej hi deti hu.”

Priya boli “mai bhi aisa hi karti hu. Maine to abhi thodi der pahle hi is ek shayari bheji hai.”

Ye baat bol kar priya khikhilane lagi aur uski is hansi me keerti bhi uska sath nibhane lagi. Dono mil kar is baat ko lekar mera majak udane lagi. Wo dono pahli baar ek dusre se baat kar rahi thi.

Magar unki baton se kahi se bhi aisa nahi lag raha tha ki, wo pahli baar ek dusre se baat kar rahi hai. Lekin un dono ki in baton me sabse ajib baat ye thi ki, dono me se koi bhi na to kisi se meri burayi sun sakti thi aur na hi kisi ko mera majak udate huye dekh sakti thi.

Lekin aaj dono khud hi ek dusre se mera majak bhi uda rahi thi aur meri burayi bhi kar rahi thi. Shayad dono hi aisa karke ek dusre ko khush karne me lagi thi. Unki is harkat par mujhe bhi hansi aa rahi thi.

Isliye maine un dono ki is baat chit me bich me padna thik nahi samjha aur mai khamoshi se unki baton ka maja leta raha. Kuch der tak wo dono aise hi mera majak udati rahi. Fir baat hi baat me keerti ne priya se kaha.

Keerti boli “ye sab to thik hai. Lekin mujhe tumse bhi ek shikayat hai. Punit itne dino tak mumbai me raha. Lekin ab bina mumbai dekhe hi, kal ghar wapas aa raha hai. Kya tum use mumbai ki kuch khas khas jagah bhi nahi dikha sakti thi.”

Keerti ki ye baat sunte hi priya ne apni safayi dete huye kaha.

Priya boli “is sab me meri jara bhi galti nahi hai. Iske pas khud hi mere sath kahi aane jaane ka samay nahi tha aur jab maine ise mumbai ghumane ki baat sochi to, isne mera bhi mood kharab karke rakh diya.”

Ye kahte huye priya ne keerti ko kal ki shopping wali saari baten bata di. Jise sunkar keerti ne priya ki tarafdari karte huye mujhse kaha.

Keerti boli “ye to tumne sach me bahut galat kaam kiya hai. Tumko samajhna chahiye tha ki, priya ne yadi tumse kisi ko apne sath na le chalne ki baat kahi thi to, us samay uske man me koi to baat rahi hogi. Tumhe apni is galti ke liye priya se abhi sorry bolna hoga. Warna ab mai bhi tumse baat nahi karugi.”

Keerti ki ye baad sunkar, mai hadbada gaya aur priya ki hansi chhut gayi. Meri hadbadahat ki vajah ye thi ki, sab kuch janne ke bad bhi, keerti ne priya ko jara bhi samjhane ki koshish nahi ki thi aur mujhe apni safayi dene ka mauka diye bina hi sorry bolne ki shart rakh di thi.

Lekin is sab ke bad bhi mujhe priya se sorry bolne me koi pareshani nahi thi. Mujhe to bas priya ki narajgi ko door karna tha. Isliye maine bhi bina koi bahas kiye priya se kaha.

Mai bola “sorry, mai apni galti ke liye maafi chahta hu.”

Lekin priya bhi keerti se kuch kam nahi thi. Usne mere is sorry ko ek sire se nakarte huye kaha.

Priya boli “mujhe tumhare is sorry ki koi jarurat nahi hai. Tumhe is galti ki saja jarur milegi aur tumhari saja ye hi hai ki, tum mujhe shayari me manao.”

Priya ki ye baat sunkar, mujhe fir ek jhatka laga. Dono hi ladkiyan mujhe jhatke par jhatke diye ja rahi thi aur meri jara bhi parwah nahi kar rahi thi. Yadi yahi kaam mujhe wo Sms me karne ko kahti to, mere mobile me dher saari shayari thi. Mai aasani se priya ko shayari bhej sakta tha.

Lekin abhi mere dono hi mobile busy the aur aise me mere koi shayari bol pane ka sawal hi paida nahi hota tha. Keerti shayad meri is pareshani ko samajh gayi thi. Isliye usne hanste huye kaha.

Keerti boli “waise to priya ne tumko bilkul thik saja di hai. Lekin mai priya ki is saja se tumko kuch riyayat de deti hu. Tum yadi priya ko shayari me nahi mana sakte ho to, use koi gaana gaa kar bhi mana sakte ho.”

Keerti ki baat sunkar, ek baar fir priya ke hasne ki aawaj goonj gayi aur usne bhi keerti ki is baat par apni sahmati dete huye kaha.

Priya boli “ok, mujhe tripti ki ye baat manjur hai. Ab tum der mat karo, jaldi se mujhe manana suru karo.”

Priya aur keerti ki is baat ke bad, mere pas unki baat manne ke alawa koi rasta nahi tha. Magar fir bhi maine unhe safayi dete huye kaha.

Mai bola “mujhe tum logon ki is ko manne me koi pareshani nahi hai. Lekin mujhe koi bhi gaana pura nahi aata.”

Priya boli “koi baat nahi, tumhe jitna bhi gaana aata hai. Tum utna hi gaana gaa do. Lekin jaldi karo, warna fir tumhe raat bhar gaana hi gana padege.”

Priya ki ye baat sunkar, maine bahas karna thik nahi samjha aur fir apna gala saaf karte huye sur me gaana gana suru kar diya.

Mera gaana “Musu Musu Hasi, Deu Malai Lai
Musu Musu Hasi Deu

Zara Muskura De, Muskura De
Zara Muskura De, Aye Khushi

Gham Baat Le Tu Apne
Humse Tu Le Hasee

Ho Gaye Hum Ab Tere
Tu Ho Gayee Apni

Musu Musu Hasi, Deu Malai Lai
Musu Musu Hasi Deu

Zara Muskura De, Muskura De
Zara Muskura De, Aye Khushi

Maana Humse Ho Gayee
Ek Choti Si Khataa

Hans Do Na Tum Zaraa
Do Na Humko Tum Sazaa

Maana Humse Ho Gayee
Ek Choti Si Khataa

Has Do Na Tum Zaraa
Do Na Humko Tum Sazaa

Tum Jo Has Pade To
Ab Hum Bhi Muskurayen

Aao Mil Ke Saath Gaayein
Dil Se Dil Bhi Milayein

Hey Hey, Musu Musu Hasi, Deu Malai Lai
Musu Musu Hasi Deu

Zara Muskura De, Muskura De
Zara Muskura De, Aye Khushi

Musu Musu Hasi, Deu Malai Lai
Musu Musu Hasi Deu

Hey, Zara Muskura De, Muskura De
Zara Muskura De, Aye Khushi.”​

Mere gaana khatam hone ke bad, mai keerti aur priya ke kuch bolne ka intejar karne laga. Mujhe keerti ki to koi aawaj sunayi nahi di. Lekin mere chup hote hi priya ki khilkhilahat goonj gayi aur usne chahakte huye mujhse kaha.

Priya boli “oh my god, tum to bahut acha gaate ho. Mai to tumhara gaana sunkar, usme kho si gayi thi.”

Mai bola “to ab tumhari mujhse narajgi door huyi ya nahi.”

Priya boli “haan, meri narajgi door ho gayi hai. Ab yadi tum chaho to, mai kal tumhe mumbai ki kuch khas jagah dikhane le chal sakti hu.”

Mai bola “ok, to hum kal subah subah hi chalte hai. Lekin subah uthne ke liye sona bhi jaruri hai. Isliye ab hum logon ko sona chahiye.”

Meri baat sunkar, priya ne bhi is baat ki haami bhari aur fir usne keerti se ek do baten karne ke bad call rakh diya. Priya ke call rakhne ke bad, maine us mobile se keerti ka call bhi kaat diya aur fir dusre mobile par aate huye keerti se kaha.

Mai bola “kya hua, tu achanak chup kyo ho gayi thi. Kya tujhe meri kisi baat ka bura laga hai.”

Meri is baat par keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “nahi, aisi koi baat nahi hai. Mujhe tumhari kisi baat ka bura nahi laga.”

Mai bola “to fir tu mera gaana sunne ke bad se chup chup si kyo hai. Uske pahle to mera kitna majak uda rahi thi.”

Meri baat sunkar, keerti ne thandi si saans bharte huye kaha.

Keerti boli “wo to isliye, kyoki priya sach kah rahi thi. Mai bhi tumhara gaana sunkar, usi me kho si gayi thi. Mujhe to pata hi nahi tha ki, tum itna acha gaate ho. Ab se tumhe mujhe manane ke liye bhi isi tarah se gaana gana padega.”

Keerti ki is baat par maine us par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “ab mai kabhi koi gaana vaana nahi gaane wala hu. Ye to tune hi mujhe fasa diya tha. Lekin ab tu mujhe ye bata ki, tune priya ko apna naam ankita ki jagah tripti kyo bataya. Ankita ko tune mehul se milane ke liye taiyar kiya tha. Ab mehul se milane ke liye tripti ko kaha se layege.”

Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “are tum bekar me pareshan ho rahe ho. Is me kaun si pareshani wali baat hai. Hum mehul se ankita ko hi tripti kah kar milwa dege.”

Mai bola “lekin tujhe ek jhuth ke upar ye dusra jhuth bolne ki kya jarurat thi. Tune priya ko apna naam ankita hi kyo nahi bata diya.”

Keerti boli “mujhe priya ko apna naam ankita batane me koi pareshani nahi thi. Lekin ankita ke sath tumhara naam joda jana mujhe acha nahi lag raha tha. Isliye maine ye naam bata diya.”

Mai bola “jab tujhe apni saheli ankita ke sath mera naam jode jaane me tujhe pareshani thi to, fir kisi anjan ladki ke sath mera naam kyo jod diya.”

Keerti boli “kyoki tripti naam ki kisi ladki ko hum dono me se koi bhi nahi janta hai aur fir tripti naam ko sunkar, aisa hi lagta hai, jaise ki ye mera hi naam ho. Ab samajh me aaya ki, maine ye hi naam kyo liya.”

Mai bola “tu puri pagal hai. Hamesha kuch na kuch ulta sidha sochti rahti hai. Ab pata nahi, tere is ek jhuth ke pichhe, hume or kitne jhuth bolna padege.”

Keerti boli “hume is jhuth ke liye, koi or jhuth nahi bolna padega. Ab tum ye faltu ki baten mat socho. Raat bahut ho gayi hai aur tumhari do din se nind bhi puri nahi huyi hai. Isliye ab tum sirf mere baare me sochte huye meethi nind me so jao.”

Keerti ki ye baat sunkar, mujhe bhi hansi aa gayi aur fir usne mujhe good night kah kar call rakh diya. Uske call rakhne ke bad, maine aankh band ki aur keerti ke baare me sochte sochte mai gahri nind me so gaya.

Subah 6 baje meri nind priya ke jagane par khuli. Lekin uski aankhon se mujhe aisa lag raha tha, jaise ki wo raat bhar soyi na ho. Aaj uski jaani pehchani muskan bhi uske chehre se gayab thi.

Wo muskurane ki bharpur koshish kar rahi thi. Magar aaj uska chehra, uski muskurahat ka sath nahi de raha tha aur uske chehre se, uski udasi saaf jhalak rahi thi. Wo muskurate huye mujhe taiyar hone ka kah rahi thi.

Usko raat ko hanste bolte dekh kar, mujhe bahut rahat mili thi. Lekin ab subah subah uska aisa murjhaya hua chehra dekh kar, mera dil baith gaya. Mujhse baat karte karte ek pal aisa bhi aaya, jab mujhe laga ki, priya abhi ro degi.

Lekin tabhi priya palat kar mere pas se chali gayi. Uske jaane ke bad bhi, mai uske baare me hi sochta raha. Uski ye udasi, shayad aaj mere wapas chale jaane ki vajah se thi.

Lekin mai chahte huye bhi uske liye kuch nahi kar sakta tha. Mai thodi der tak baitha priya ki isi udasi ke baare me sochta raha aur fir uth kar fresh hone ke liye chala gaya.

______________________________
 
Top