Update No. 19
Aaj office mai bohot hi jyada chehel-pehel thi…log apne kaam ko kuch jyada hi seriously le rahe the…aisa lag raha tha ki target pura karne keliye ye sab log itne teji se kaam kar rahe hai…lekin jahan tak mujhe pata tha abhi keliye koi main target nahi tha hum sab keliye….maine fir sidhaart se pucha jo mere hi office mai kaam kar raha tha…ki ye sab itne jaldi se aur aise pressure mai aake kyu kaam kar rahe hai…tab usne bataya ki humare boss ne…yani ki Mr. Chopra ne sabko hidayat di hai ki aaj jitne bhi pending kaam hai vo complete hone chahiye….kyuki aaj vo koi important baat bhi batane vale hai….jiss vajah se unhe aaj mostly saare jo pending bache hue kaam hai vo pure chahiye…ye batake vo firse apne kaam mai lag gaya….mai soch mai padd gaya tha…kyuki isse pehle to mr chopra jab bhi office visit dete tab unhone aisa kabhi nahi kaha tha…khair..mai bhi apna koi pending kaam jo bhi bacha tha minimal...usse pura karne laga…
Aise hi thodi der baat lunch time tak sabka pending kaam khatam ho chuka tha…fir hum log khana khane chale gaye….khana khane ke baad jab hum wapis office mai aagaye tab dekha ki Mr. Chopra already apne cabin mai aachuke the…aur hum sabka wait kar rahe the…5 min tak wait karne ke baad unhone ek urgent meeting vali notice bheji…jis keliye sab logoko yaha pe present trhne keliye bola gaya….jab sab log office mai aachuke the tab Mr. Chopra cabin se bahar aaye unhone ek baar humari taraf najar daali aur fir dusre pal apni wrist watch mai time dekha….unke expression se lag raha tha ki wo kisi ka wait kar rahe hai…time dekhne ke baad unhone wapis upar dekh ke sabke samne aagaye….aur kehne lage..
Mr. Chopra: Jaisa ki aap sabko pata hai ki aaj mera aakhri din hai yaha pe kaam karne ka…aur iske aage mai ab delhi ke office mai kaam sambhalne jaa raha hun….yun keh sakte hai ki meri waha pe transfer ki gayi hai…isiliye aaj maine ye meeting bulayi thi yaha pe taaki aap sabse ye baat share kar saku…..aur..
Mr. Chopra bolte rahe..lekin mai yaha par confused najro se unhe dekh raha tha…kyuki mere liye ye breaking news thi….mujhe jara sa bhi idea nahi tha ki mr chopra yahase dusre office jane vaale delhi mai…unhone isse pehle kabhi iska jikra tak nahi kiya tha….ya fir kiya hoga but maine kabhi dhyaan nahi diya hoga…well…ab thoda dukh jarur ho raha tha…kyuki mr chopra ek ache boss the aur mere liye ek mentor ki tarah the...lekin ab wo bhi yahase jaa rahe hai..huhh…mai firse unke speech pe dhyaan dene laga…
Mr. Chopra: To mai bas yehi kehna chahta hun ki aap sabke saath kaam krke acha laga..yahan ka friendly working environment tha usse mai jarur miss karunga…aur mere colleagues ko bhi….aur ek aur baat…ab meri jagah koi aur lenewala hai..jo isse aage aap sabki boss hogi…..wo kisi bhi waqt yaha pohoch sakti hai…tabtak..
Wo continue kar rahe the tabhi office ka darwaja khula aur ek lady andar aayi..jisne formal office dress pehna tha…..niche pant aur upar ek shirt ke upar blazer....lekin jaise hi meri najar uske chehre par chali gayi tab mai ekdumse stabdh reh gaya….mujhe vishwas hi nahi ho raha tha…usse dekh kar mujhe pata nahi mann mai ek ajib si feeling aa rahi thi….khushi ki…confusion ki…beichani….mai ektaak usse dekhta raha…wo aur koi nahi meri sheetal thi…..jo ek confident lady ki tarah mere samne aake khadi thi….lekin uski najar abhi tak mujhpar nahi padi thi…wo seedha chalte hue Mr chopra ke pass chali gayi…
Mr. Chopra ne bhi najar sheetal ki taraf kari aur zhat se bole…
Mr. Chopra: Aah…there she is…right on time…aur unhone ek haath se sheetal ki taraf point karte hue kaha….guys…meet your new boss….
Ye sunn ke mujhe lag raha tha ki mere kaano ke parde kahi fat na gaye ho…..aisa lag raha tha ki mere baju mai hi mr chopra ne ek bomb giraya ho…aur us vajah se mujhe kuch sunai nahi de raha….mai ekdum stabd hokar sheetal ko to kabhi mr chopra ko dekh raha tha….khush bhi tha aur thoda dara hua bhi….khush isliye kyuki sheetal firse mere life mai vapis aagayi thi…as a boss hi sahi lekin ab din mai kabhi kabar milna to hoga hi…aur dar is liye lag raha tha ki kahi vo mujhe starting se hi ignore na karne lage….aur upar se ab ye meri boss hongi to mere upar bohot pressure bana rahega..…mai ab ye sab sochte hue sheetal ko dekh raha tha….Mr. Chopra ab sheetal ko sabse introduce kar rahe the..jis wajah se meri heartbeat badh chuki thi….mai bohot hi nervous feel kar raha tha…itna to mai kabhi apne pehle interview keliye bhi nervous nahi tha..sheetal sabse smile kar ke mil rahi thi…
Jab Mr. Chopra ne sheetal ko mujhse milaya….sheetal ne mujhe specifically sirf 2 sec tak dekha…aur jhat se apni najre mujhse hatake aage ki aur dekhne lagi..uski smile bhi ab kam hogayi thi aur aisa lag raha tha ki usne apne chehre pe ek fake mask chadaya ho…kyuki uske aankho se pata chal raha tha uske andar kitna lava bhara pada tha jo kabhi bhi fat ke bahar aa sakta tha….Mr. chopra ko bhi kuch samajh nahi aaya…lekin unhone us baat ko ignore kar diya…aur sheetal ko baki logo se milane lage….mera ab mood utar chuka tha…kyuki jis tarah se sheetal se meri firse mulakat hui hai…usse yehi sabit hota hai ki sheetal ne mujhe abhi tak jara bhi maaf nahi kiya hai…vo to ab mujhe shayad dekhna bhi pasand nahi karti…..mai muh latkaye vahi khada raha..jabki sab log sheetal se milkar khush lag rahe the…khush to honge hi….sheetal ne apne pehle impression ke saath sabko impress kiya hoga…
Introduction ke baad Mr. Chopra sheetal ko leke unke cabin mai chale gaye aur hum sabko humare cubicles mai wapis jane keliye keh diya….mera mood abhi bhi thoda kharab tha….mujhe aur kaam karne ka mann nahi ho raha tha…lekin mere haath mai kuch nahi tha..aur aaj to half day leke yaha se kalti bhi nahi mar sakta….Aaj sheetal ka pehla din hai isiliye vo kuch na kuch to kaam jarur degi sabko….aur meri bhi aisi harkat karne se image kharab hojayegi….jo ki already ho chuki thi….irony…khair
Thodi der baad Mr. Chopra cabin se bahar aaye lekin unke chehre pe bane expression se lag raha tha ki andar unke aur sheetal ke bich kuch serious baate hui ho..mai apne chair se uthke unki taraf jaane laga…mujhe unse kuch baat karni thi…jaise hi maine unko bulaya..unhone palat ke mujhe dekha..aur ruk gaye… main unke pass gaya aur kuch bolne hi wala tha lekin usse pehle wo bole
Mr. Chopra: Mujhe tumse ye ummid nahi thi Anvay!
Ye kehte hue wo meri taraf disappointed najaro se dekhne lage..aur mai unki baat sunkar ekdum shock hoke unko dekhne laga….mai kuch bollu usse pehle vo firse naa mai sir hilake vahase jaane lage..aur mai unhe jaate hue dekh ke soch raha tha ki aakhir unhone mujhe aisa kyu kaha?…..kahi sheetal ne unhe humare bich jo bhi hua vo bata to nahi diya?!…mai ye sab sochte hue dhire dhire apne jagah pe vapis aake baith gaya….mujhe to kuch samaj hi nahi aa raha tha….kyuki Mr. Chopra isse pehle mujhse itna disappointed nahi the….