• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,668
25,495
219
Awesome update
 
  • Like
Reactions: Naik
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Naik

Well-Known Member
21,952
78,258
258
Update No. 21

Wo kehte hai na ki andhere mai agar jarasi bhi roshni dikhe to uspar depend hoke log us andhere se bahar nikal sakte hai....wo tiny hope....meri zindagi bhi ab usipe chal rhi thi....aur mere life mai wo tiny si hope thi sheetal....meri life ki situation is samay kitni bhi bikat ho lekin sheetal ke life mai wapas aane se ab mere andar ek chotisi ummed ki kiran najar aa rahi thi....ki pata nahi kal ko agar sheetal mujhe mafa kar de aur hum dono firse as a couple rehne lage....shayad!

Isi hope ke sahare mai har subah ek naya josh leke office pohochta tha...aur pehle din ki tarah sheetal mujhe kisi na kisi chij ko lekar mujhpe chillaya karti sabke samne ya fir meri insult karti...aur mai vo sab hasi hasi sehen kar leta ...kyuki akele reh kar dub marne se acha hai iski itni gaaliyan zhel lun...us karan hi sahi sheetal mujhse bata to karti hai daily….

Isi tarah se 2 months gujar gaye…aur ab office ke bohot se log sheetal ko achi tarah se jan chuke the…kuch female colleagues to uski dost bhi ban gyi thi ….mostly uske chehre pe serious expression rehte lekin kabhi kabar haste hue bhi dikhai deti hai jisse dekhkar mera mood bhi thik hojata hai…

Office mai jab bhi meri aur sheetal ki mulakat hoti...to vo pehle 1 month keliye to meri taraf galti se bhi dekhti nahi thi.…lekin ab jab hum aamne samne aate hai.…ya fir ye kehsakte...ki mai jab jan buch ke uske samne chala jaata hun...tab wo mujhse kuch kehti to nahi hai but meri taraf ab dekhti to hai...uski najre jaise hi mere chehre pe padti hai...mai use ek smile pass kar deta hun.…lekin vo hamesha ki tarah kuch react nahi karti hai aur mujhse opposite direction mai chali jaati hai...

Wo sab pichle kuch dino se chal raha tha lekin ab mujhe jald se jald sheetal se baat karni thi.…isiliye maine ek plan banaya.…mujhe pata tha ki sheetal dopher ke 2 se 4 baje tak apne cabin mai kaam karne baithti hai...aur uske baad bahar jati hai...isiliye maine aaj decide kiya ki usi samay mai kuch reason nikalke usse baat krne jaunga...

Jab 2 baj gaye tab maine ek file uthayi aur uske cabin ki aur chala gaya...jaise hi maine door open kiya to dekha ki vo laptop pe kuch kaam kar rahi thi.…maine fir door close karke uske paas chala gaya aur uske samne jaake khada hogaya...pehle 2 min tak to maine kuch nahi kaha...kyuki usne abhi tak meri taraf dekha nahi tha...usne abhi glasses use karna start kar diya tha.…badi cute lag rahi thi kaam karte hue.…ye mai kya kya bol rha hun...chya.…khair...

Jab maine 2 min tak kuch nahi kaha tab usne meri taraf sawal bhari najro se dekha...aur isharo se hi pucha kya hai?….main ab firse hosh mai aagaya...aur sidha point pe aate hiue kahan...

Me: Mujhe pata hai tum abhi mujhpe gussa ho kyuki maine.…….mai aage ki baat complete nahi kar paya kyuki uske expression itne jaldi se change hogaye...aur ab vo mujhe thoda gusse se. Dekh rahi thi.

Me: Mai bas yehi kehna chahta hun ki.…i am extremely sorry for everything i have done.…. please mujhe maaf kardo.…

Ab room mai bas diwar pe tange ghadi ke tick-tick ki aavaj aa rahi thi...silence aur suspense dono hi badhta jaa raha tha.…mai bas yehi dua kar raha tha ki ye mujhse saare nate na tod de.…kyuki pichli baar jab mai isse baat karne aya tha tab maine iska gussa experience kiya tha....aur ab shayad vo mujhse baat bhi krna nahi chahti ho.…yehi sab chijo ko overthink karte hue mai vaha khada raha...tabhi sheetal ne apna gala clear kiya aur mujhse kahan..

Sheetal: Office ke baad parking lot mai milna.…waha baat karenge.…ab mujhe apna kaam krne do.…..

Wow.…mai ye to jara bhi expect nahi kar raha tha.…mujjhe laga gusse se kuch ulta sidha keh degi ..lekin isne to shant swar mai …lekin thoda strictness dikhate hue mujhse jo bhi kahan...usse mai ashcharya se use dekhta raha.…aur thoda turn on bhi hogaya...ye bossy sheetal mujhe kuch jyad hi lasand aa rahi thi.…mai ab muh khula rakhe usse dekh raha tha.…lekin agle hi minute maine wo file uthayi aur uske cabin se bahar aagaya.…thoda khush bhi tha...ki aaj shaam sheetal se baat krne ka chance milega... clearly aur thoda tension mai bhi tha …jo ki obvious si baat thi.…mai fir apne chair pe jaake baith gaya...aur kaam oe dhyaan dene laga.

Jab office khatam hua to mai jhat se apna saman pack krke niche parking lot ki taraf daudta hua jaane laga.…sablog mujhe confusion bhari najro se dekh rahe the..lekin mujhe unki parva nahi thi...are bhai meri biwi ne order diya hai to usse follow krna padenga...nahi to apun ka vanda hoyenga aaye.…khair...

Mai jaise hi parking lot pohcha.…to dekha ki sheetal abhi tak yaha aayi nahi thi..maine fir jaldi se apne bike ki taraf jaate hue...apne baal thik jar liye...aur ek do baar bike ke aaine mai apna chehra dekha...fir apne muh se apne hatah fe ek phook maari jisse mujhe pata chale ki kahi mere muh se smell to nahi aa rahi.…lekin fir bhi backup keliye bag mai se maine ek centrefresh nikali aur apne muh mai dalke chabane laga.…aur firse sheetal ka wait krne laga.…

10min wait krne ke baad sheetal neeche aagayi...ab tak to pura parking lot khali ho chuka tha...isilye bas meri aur sheetal ki gaadi yaha khadi thi.…mai sheetal ko dekhne laga...wo dhire dhire chalte hue apne haath mai mobile liye meri tarah aa rhi thi...mai bhi thoda aage badha.…wo mere pass aagayi aur mujhse kahan ki office ke pass vale cafe mai jake baat krte hai..maine bhi thumbs up ka ishara kiya...aur jaldi se bike nikalke aur apna helmet pehen ke us cafe ki taraf badh gaya.…sheetal apni car leke aage chal rhi thi aur mai dhire speed rakhte hue uske piche...hum log cafe pohoch gaye...abhi office chutne ka time hogaya tha isiliye cafe khachakhach bhara pada tha.…hume fir bhi luckyly ek corner table mil gaya.…hum log vaha jaake baith gaye...sheetal ne apne liye ek coffee order kr di...jab waiter ne meri taraf dekha to maine usse kahan jo bhi inhone kaha vahi mere liye bhi laaye...kyuki mujhe ab coffee se jyada important yaha hone vaali baat thi...

Thodi der tak sheetal apne mobile mai dekhti rahi...mai bas chupchap baith ke usse dekhta raha...fir hum dono ki coffee aagayi.…coffee peena ke baad usne meri taraf dekha...aur mujhse kahan

Sheetal: Hmm..bolo.…kya kehna chahte ho?

Meri to halat patli hogayi thi ab tak...kyuki pichle 15 minute se jo mere pasine chute hai..by god...itna nervous to mai apne pehle interview keliye bhi nahi hua tha...jitna aaj hi rha hun.…aur upar se sheetal se itne saalo baad face to face ek ache mahol mai baat ho rhi thi.…

Maine fir khudko sambhalte hue ek lambi saas li...aur usse kaha

Me: Mai bas yehi kehna chahta hun ki maine jo bhi galtiya ki thi...past mai.…unke liye mai sharminda hun.…aur maine tumhe us waqt jitna hurt kiya hai.…isiliye i am extremely sorry.…mujhe please maaf kardo.…

Maine firse vahi baat dorahi jo maine usse cabin mai kahan tha...aur ab mai thoda guilty bhi feel kar raha tha.

Sheetal firse 2 minute tak shant baithi...aur fir kaha

Sheetal: Okay

Uska ye jawab sunte hi mai itna confuse hogaya...

Me: Okay?

Sheetal ne haan mai sir hilaya...

Me: Matlab?

Sheetal ne fir na mai sir hilaya...wo soch rhi hogi kitna bada bhuddhu hun mai...

Sheetal: Maine tumhe maaf kar diya.…

Bhaisahab….uski ye baat sunke mai jo statue bane baitha tha.…dimaag sun pad chuka tha.…yaar mai kya kya expect kar raha tha...jo ki situation ke hisaab se vaisa hi hona chahiye tha.…like...sheetal mujhse baat nahi karegi...fir mujhe bura bhala kahegi...fir mai usse manane ki koshish karunga.…ye sab.…lekin yaha to kuch aur hi ho raha tha.…bouncer pe bouncer aa rahe the samne se.…aur sheetal ke expression bhi ekdum normal the.…

Me: Lekin.….tum.…mai.…vo.….tum mujhse gussa nahi ho?

Sheetal ne na mai sir hilaya.…

Me: Lekin kyu?

Ye chaman chutia.…itna acha chance mila hai...is sawal ko puchke sab kuch bigad dega...mere dimaag ne mujhse kaha

Sheetal bhi thoda confuse hogayi.…aur boli

Sheetal: Tum khush nahi ho ki maine tumhe maaf kar diya?

Me: Are nahi nahi.…wo baat nahi hai...mai khush hun.…bohot khush hun...lekin.…mujhe kaha tum mujhpe gussa karogi...mujhe bura bhala kahogi.…

Sheetal thodasa hassi.….uff yaar...iski smile ek din maar dalegi mujhe.…kitne saalo baat usse smile krte hue dekh raha tha...vo bhi mujhse baat krte hue...

Sheetal: Nahi.…mai aisa kuch nahi kehne vali tumse.…infact mujhe tumhe thankyou kehna chahiye.…

Mai uski yee baat sunke aur chaunk gaya.…bhai aaj ho kya raha hai?? Ye sab jaise mere dimaag mai chal raha tha vaise to ho hi nahi rha.…mai kahi firse sapna to nahi dekh raha? Mujhe ab kuch samaj mai nahi aa raha tha...mai usse confused hoke dekhta raha...fir pucha...

Me: Thankyou?? Lekin kyu???

Sheetal: Thankyou isliye.…kyuki agar tumne us din mujhe hurt nahi kiya hota to aaj mai is mukam tak na pohochti.…agar vo din na hota to mai aaj bhi dasvi pass sheetal hi rehti...jisne life mai kuch haasil na kiya ho …usne confidently kahan.…

Mai uski baat sunke firse guilty feel krne laga..aur maine apni najre niche krke dekhne laga.…

Sheetal mere expression dekh ke samaj gayi...

Sheetal: Are..tum khudko doshi mat thehrao.…haan mai hurt hui thi us din.…lekin tumne agar mujhe us raat utna savkuch bola na hota to mai khudko motivate kaise karti? Khud ko prove krne keliye...

Mera mood ab pura down ho chuka tha..us raat ko yaad karke.…sheetal mujhse positively baat kar rahi thi...lekin mera mood down hone se mujhe uski baat bhi negative lag rhi thi.…mere pov se.…maine usse kahan..

Me: Matlab ab mai tumhari life mai villain ban chuka hun?! Hmm?

Sheetal: Are nahi yaar.…tum kyu villain banne lage mere life mai.…maine kahan na mai tumse gussa nahi hun.…jab mai vapas apne ghar chali gayi thi.…tab maine bohot dino tak apne andar jhak ke dekha...aur fir mujhe asal baat pata chali.…mere life ki villain to mai khud thi.…kyuki aaj ke life mai har ek ladki ko apne pairo pe khada hona chahiye... independent hona chahiye.…isiliye maine decide kar liya ki chahe kuch bhi hojaye...mai life mai kuch ban kar dikhaungi …iska matlab ye nahi ki mai tumhe dosh de rahi thi...balki tumne bhi meri help ki hai mujhe aaina dikha kar.…isiliye maine thankyou kahan...

Uski baat to sahi thi...lekin mera mann manne keliye hi tayar nahi tha.…

Me: Lekin mai...

Sheetal ne meri baat katte hue kahan..

Sheetal: Acha chalo...vo sab chodo...ab vo sab past mai hai.…aur uska jo bhi effect tha vo to positive hi nikal kar aaya na...khair.…tum ye batao...ki tum kaise ho?

Uski baat sunke mujhe acha laga.…kyuki itne saalo mai mujhse kisi ne pucha nahi tha ki mai kaisa hun.…..lekin jaise hi maine pichle 5 saalo mai jhanka.…to mujhe loneliness ke alawa kuch nahi dikha.…mere muh se ek hassi chut gayi...

Me: Mai to thik hi hun i guess.…actually nahi.…mai bilkul bhi thik nahi hun yaaaar.….ye kehte hi mere aankho se kab aansu aane lage mujhe oata hi nahi chala.….mai bilkul akela pad chuka hun.…tumhare jaane ke baad.…..

Maine usse sab kuch bata diya jo bhi in 5 saalo mai meri life mai hua tha...ye sab sunnke sheetal ke ankhe bhi bhar gayi...vo emotional hoke mujhe dekh rhi thi.…kyuki use ye to pata chal chuka tha meri baato se ki mai khudko doshi thera rha tha itne saal...lekin uske pov se baat kuch alag thi..lekin jaise hi usne maa aur papa ke baare mai sunna uske expression change hogaye.…

Sheetal ab tk jo soft ho chuki thi firse strict lehje mai aagayi aur kaha

Sheetal: Mai tumse isiliye naaraj nahi hun kyuki tumne mujhe hurt kiye.…mujhe bas ek baat achi nahi kagi ki tum maa aur papa se kaise behave krte ho.…kuch kuch din to tumhe unse baat karte hue ye bhi yaad nahi rehta tha.…ki vo tumhare maa baap hai.…

Wo un dino ki baat kar rahi thi jab mai kisi baat se gussa hota tha aur usse gusse se apne maa baap se jhagadta tha..kisi bhi baat par.…tab sheetal kuch kehti nahi thi.…shayad darti ho mujhse...lekin aaj ka din alag tha.…aaj vo mujhe khul ke keh sakti thi ki mai kahan galat hun...aur kahan sahi.…ye change mujhe acha lag raha tha.…ye sheetal mujhe achi lagne lagi thi.…

Me: Vo baat mujhe in 5 saalo mai realise hui.…ki mai kitne galat tarike se unse behave kar rha tha.…ab koi fayda nahi hai lekin.…kyuki ab to vo mujhse baat tak nahi karte.…

Hum dono firse shanta baith gaye.…fir sheetal ne time dekha...aur mujhse kahan...

Sheetal: Chalo.…8 baj gaye hai...ab mujhe ghar jana padega ….

Uski yee bat sunte hi mujhe ek sawal yaad aya...

Me: Ghar??…Tum kahan reh rahi ho? Kahan hai tumhara ghar?

Sheetal ne ek baar mujhe dekha...aur ek smile pass ki.…lekin ye normal vali smile nahi thi...

Sheetal: Is sheher mai mera bas ek hi ghar hai.…ye kehte hi usne fir mujhe ankho mai dekha...aur wait krne lagi.…

Pehle to mai confuse hogaya...lekin baad mai mujhe click hua.….uska ghar.…yani ki mera ghar...humara ghar.…Vo ghar jahan mai ab shayad hi vapas ja saku.…

Meri aankhe firse bhar aayi.…

Mere expression dekhke sheetal thodi der dekhti rahi...fir apna purse aur mobile leke khadi hogayi.…aur mujhe bye kehte hue cafe je bahar chali gayi.…lekin mai bas abhi apne khayalo mai dube...guilt mai dube samne dekhta raha.….mujhe pata hu nahi chala sheetal kab yahase chali gayi hai.…fir thodi ser baithne ke baad mai bhi utha aur apne room ki taraf badh gaya
Bahot badhiya
Shaandaar update
 
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

The Professor

Member
284
293
63
Update No. 22

Jabse humari baat hui thi cafe mai tabse sheetal ka behaviour thoda change hogaya tha meri taraf.…i mean pura nahi...lekin thoda...jo ki acchi baat thi...ab jab bhi hum office mai hote to vo mujhe dekh ke najre dusri taraf nahi pherti thi.…balki mere smile ko kabhi kabar respond krti thi.…

Cafe mai milne ke baad mujheme bhi thoda change aa chuka tha.…physically nahi par mentally….ab mujhe thoda halka bhi mehsus hone laga tha.…aise hi thode din beet gaye.…ab humare ek-do shabd ki baate thodi lambi der tak badhne lagi.…lekin fir bhi mujhe sheetal freely baat krte hue nahi dikh rahi thi.… I mean aisa lag raha tha ki hum dono ke bich abhi bhi ek boundary hai jo safety ki rehti na vaise.…kyuki bohot baar to maine ye notice bhi kiya ki sheetal baki logo ke saath freely baat krti thi...lekin mujhse thoda limit set krke...jaise ki mai us limit ko cross kr diya to kuch gadbad hojayegi.…mujhe ye baat achi nahi lag rahi thi..lekin mai ab sheetal pe gussa nahi hona chahta tha...i mean...ab to shayad mujhe vo hak bhi na ho uspe gussa honeka.…khair

Aaj ke din humne decide kiya ki hum raat ko khana khane kahi bahar jayenge.…i mean ye proposal mera tha lekin sheetal bhi mann gayi...jo ki achi baat hai.…kyuki aja bhi mujhe usse bohot se sawal puchne the....maine sheetal se kahan ki mai use pickup kar lunga...ghar se.…

Fir office khatam karke mai ghar aagaya..aur jaldi se bahar jane ki tayarri karne laga.
..ek dedh ghante ke baad sheetal ka mujhe call aya ki vo tayar ho chuki hai.…maine usse okay kahan aur fir apni bike ki chabi nikalke ghar ki taraf chal diya sheetal ko lene.…

Aaj pata nhi kitne saalo baad is road pe...is gully mai aachuka tha mai.…mai apne ghar ke samne aake khada hua aur sheetal ko call krdiya.…jo ki usne cut kar diya aur fir ghar ka darwaja khol ke bahar aagayi...usne shirt aur jeans pehni thi jo uspe bohot hi achi lag rahi thi.…aur upar se uske figure pe to mai kabse marta aa raha hun...vo mere paas aagayi aur ek smile pass karke bike pebaith gayi...aisa lag raha tha ki mai apni gf ko lene aaya hun aur hum kahi romantic long drive pe jaa rahe hai...haha.…kya pata aaj romantic raat ho ya nahi.…maine bike start krdi aur fir humlog sheetal ke favourite restaurant ki taraf badh gaye...

Khana khate hue hum log baat karne lage...

Me: Mujhe ek baat samajh nahi aa rahi...agar tum mujhpe gussa nahi thi...to fir itne saalo tak tumne mujhe ek call tak kyu nahi kiya?

Sheetal ne khana khate hue kaha

Sheetal: Mujhe khud ko distract nahi krna tha apne goal se.…kyuki agar mai tumhe call karke tumse baat karti to mai khudko sambhal na paati...aur fir mera jo maksad tha vo kabhi pura nahi ho pata...usne ekdum casually kaha...

Maine ek bata notice ki...jab se mai sheetal se mila hun.… I mean 5 saalo baad tabse usne apna expression control krna sikh liya hai shayad.…kyuki pehli najar mai samajh nahi aata ki uska mood ab kaisa hai...baat karte hue ya usae related….kyuki pehle uske chehre se hi oata chal jata ki vo khush hoke baat kar rahi hai ya dukhi hoke...khair..

Me: Toh...tum vapas ghar kab aagayi? I mean...us raat ke baad?

Sheetal: Us raat ke baad shayad 1 ya dedh mahine baad mai ghar vapas aagayi.…maine socha ki kisi aur ki galti ka dosh koi aur ko kyu de...i mean tumhare maa baap ne to mujhe shaadi hone ke baad tak pura support kiya hai.…mujhe apni beti ki tarah treat kiya hai.…aur unhe mai dukhi nahi dekhna chahti thi...isiliye mai vapas ghar gayi aur vahise apna agla safar complete kar liya... graduation and all.…

Maine bass haan mai air hilaya aur chupchap khana khane laga...kyuki ab mai firse guilty fee krne laga tha...

Khana khane ke baad hum log bahar aagaye... restaurant ke...aur fir humne decide kiya ki thodi der park mai ghum lete hai..thoda digestion bhi hojayega.…

Park mai chalte chalte maine sheetal se jhijhakte hue kahan...

Me: To.…um.…mere jane ke baad.…kya tum..i mean.…kya tumhara koi relation.…

Sheetal: No.….usne meri baat katte hue kahan.…usse pata chal chuka tha mai kya puchna chahta hun...

Fir usne mujhse pucha..

Sheetal: Tumhara hai koi affair?

Maine na mai gardan hiladi...

Sheetal: Oh...

Fir thodi der chalne ke baad maine usse ek aur baar jhijhakte hue pucha...

Me: To.…ab hum dono.…matlab...humara relation.….umm...arghh...hum dono firse...eksaath.…ye kehte hi mai baat krte hue ruk gaya aur sheetal ko dekhne laga...

Sheetal samne dekhte hue chal rahi thi lekin usne kuch response nahi diya.…

Mujhe laga shayad maine firse gadbad krdi ye sawal puch kar.…mai fir mayus hoke shanti se uske saath chalta raha...

Aise hi 5 min tak chalne ke baad sheetal ne kaha

Sheetal: I don't know.……i mean...law ke hisaab se hum dono abhi bhi husband wife hai...

Mai uski baat sunke thoda khush hua...

Sheetal: But...now i am not sure.…agar hum log firse vapas saath rehne lagi then too i can't say ki mai puri tarah dedicated reh sakti hun...i am scared

Uski baat sunke mera dil baith gaya.…mujhe laga shayad meri naiiya pani mai dub jayegi...

Maine usse kahan

Me: Toh.…umm...kya tum divorce chahti.…

Sheetal: NO!!…Tum pagal hogaye ho kya.…apna nahi to kamse kam apne maa baap ke baare mai yo socho.….usne gusse se mujhe kahan.…. already itna dukh de chuke ho...kya unhe aur hurt karna chahte ho?

Uski baat sunke mai ekdum se chup hogaya...guilt...sharam.…dukh...sab kuch ekhi saath mehsus kar raha tha mai...

Sheetal: Aur vaise bhi mere liye divorce is not an option….agar shaadi ki hai to usse nibhani padegi...mujhe divorce ke naam par bhagna nahi hai...balki samna karna hai is situation ka.…

Uski baat sunke mai kuch nahi bola.…chalo ye to acha hai ki usse divorce nahi chahiye.…

Hum log fir chalte hue ek bench pe aake baith gaye.…ekdum shanti se...lekin tabhi achanak sheetal ne kaha

Sheetal: Look.….mujhe ghumake baat karne ki aadat nahi hai.…mai sidha point pe aati hun.…ye jo bhi kuch hua in 5 saalo mai...usse humari puri family ko bohot dukh pohcha hai.…humari family jaise bikhar chuki ho …and mujhe humari family ki ye halat achi nahi kag rahi.…agar hume humare maa papa ko khush krna hai..jo family mai ek daarar aa chuki hai vo kam karni hai to we have to make our relationship work.…fir chahe kitna bhi galat situation ho jaye...lekin hume saath rehna hoga.….kyuki agar family hi saath nahi rahegi...to fir ye paisa...ye career …ye shaadi in sab ka kya fayda? And trust me maa aur papa ko maine itna dukhi aaj se pehle kabhi nahi dekha...mere bhi aur tumhare bhi.…usne meri taraf ungli karte hue kahan...

Mai bas uski baat sunne mai magna tha...

Sheetal: So.…i have a proposal for you.…if you are willing to make this relationship work.…then i can dedicate myself too...lekin agar tum firse apne purane vale roop mai aagaye jaha tum mujhe ya maa ya papa ko kuch bhi bol doge aur hum sun lenge...then it's not going to work.…aur mai ussi waqt tumse humara rishta hamesha keliye tod dungi kyuki i can't be with a worthless person who don't know how to treat his wife or his family right.

Mai fir hadbadate hue sheetal ko dekha...aur kahan...

Me: Nahi …aisa mai kabhi hone nahi dunga ..i promise.…balki mujhe to kabse apni galtiyon ko sudharna tha.…jiska mai pichle 5 saalo se wait kar raha tha.…

Sheetal ne meri baat sunte hue smile ki

Maine uska haath pakda..aur uski aankho mai dekhte hue kahan...

Me: Mai apna relation ko sudharne keliye puri tarah tayaur hun...mujhpe bharosa rakho sheetal.…i never stopped loving you.…

Meri last line sunte hi usne zhat se apna haath mere haath se nikal liya.…

Uske liye ye shayad choti action thi but uske aise krne se mujhe bohot hurt hua...shayad ab mai uska haath bhi tham nahi sakta oehle ki tarah...kya pata kal hum firse ek hogaye to vo mujhpe utna trust karegi ya nahi.…

Hum log thodi der shant baithe...tabhi sheetal ka phone baja.…maa ka phone tha.…usne call uthake maa ko kahan ki vo ab ghar aane keliye nikal rahi hai...aur fir call cut karke mujhse kahan hume ab chalna chahiye...

Maine bhi haan mai sir hilaya...aur fir hum dono bike pe baith ke ghar ki aur chale gaye.…ghar pohochte hi sheetal jaise hi bike se utar gayi..maine usse thanks kahan.…aaj mere saath dinner pe jane keliye...usne bas ek smile de diya...aur ghar ke andar chali gayi.…mai bhi bike nikalke room ki aur badh gaya...

Shayad se mere din ab badalne vale the.…

Shayad.
 
Bahot behtareen
Shaandaar update bhai
 
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Top