• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Dildariyan 2

Do you like this story?

  • Yes

  • No


Results are only viewable after voting.
Status
Not open for further replies.

Sidhusaab

Member
328
349
79
Update 25

Aarav ki baat sunkar Vicky ne ek baar Gusse se us watchman ki taraf dekha jo k ek kone mein jameen par aaram se baitha tha… “Sala pagal kahin ka" itna bol kar Vicky chup chap bahar lagi ghadi ki taraf dekhne laga yahan abhi subah ke 9:30 baje the… Abhi pata nahi kab tak yahin sadna tha…

Ab age…

Wait karte karte dopahar ke 1 baj chuke the but na toh abhi Commissioner ka kus pata tha aur na hi Aarav aur Vicky ko kus rahat mili thi…

Vicky(Shinde ko): hawldaar sahib 1 baj gaye… abhi aur kitna time ander rehna padega…

Shinde: yaar tu toh aise kar raha hai jaise tu sasural aya hai aur jab tera man karega bahar a jayega… dekh bhai hawalat mein insaan apni marji se ja toh sakta hai but bahar ana itna asan nahi rehta…

Vicky: kam se kam yeh toh bata dijiye k Commissioner sir kab tak ayenge…

Shinde: ab yeh mujhe kya pata… bade log hain jab unka man karega a jayenge…

Aarav: yaar Vicky tu baith na chup chap… hamari jaldbaji se kus nahi hone wala…

Vicky: han bhai lagta hai intzar ke ilawa kus nahi kar sakte…

Fir Vicky v udaas hokar Aarav ke sath ki floor par baith gaya… Wo watchman bilkul uske samne dusri diwar se peeth tikaye baitha tha… Usko dekhte hi Vicky ka man kiya k abhi use jaan se maar de par aisa karna uske hath mein nahi tha toh wo chup chap baitha ghadi ki taraf dekhne laga…

Abhi 10 ku mint hi gujre the k Inspector Talpade apne phone par baat karte huye bahar se a raha tha…

“Ji sir… Ji ap a jaiye… maine sab files tyar rakhi hain… ok bye sir…” fir Talpade ne call cut ki aur tezi se apne table ki taraf badha… usne apne table se ek file uthayi aur usko tezi se check karne laga…

Talpade(jor se awaj lagate huye): Shinde…

Shinde(Talpade ke samne akar): ji sir…

Talpade: dekh shinde… Commissioner sir 10-15 minute mein pahunch rahe honge… mujhe unke ane se pehle har on duty banda chowki mein chahiye aur agar unke samne kisi ne koi galati ki toh mujhse bura koi nahi hoga… samajh mein ayi meri baat…

Shinde: ji sir…

Talpade: good… toh chalo abhi kaam pe lago humein unke ane se pehle sab kus set chahiye….

Fir Shinde puri tezi se idhar udhar bhagne laga aur jitna ho sake utna sabko samjhane ki kosish karne laga… Karib 10 minute mein pura ka pura staff Ek line mein khada tha aur sab apni uniforms thik karte huye Commissioner ka intzar kar rahe the…

Kus hi palon mein ek lamba tagda aadmi police uniform pehne bade hi style mein chowki mein enter karta hai aur uske pichhe do police wale aur v the… Saaf jahir tha k yahi hain Commissioner sahab…

Commissioner ko dekhte hi sabhi police walon ke salute mara… Aur fir Talpade ek badi si smile leke seedha Commissioner ke samne jakar khada ho gaya…

Talpade(hath age karke): Hlo sir… I am inspector Talpade…

Commissioner(puri garamjoshi ke sath hath milate huye): Hlo Talpade sahab… kaise hain ap…

Talpade(daant nikalte huye): ji bas kripa hai apki…

Commissioner(halka sa hans kar): ji kripa toh uper wale ki hai hum toh bas ek aam insaan hain…

Talpade: aiye sir apko sab ka introduction karwa dun…

Commissioner: ji jarur…

Fir Inspector ne sabka introduction diya aur Commissioner v sab se hath milate huye age badhta gaya…

Commissioner: ap sab se mil kar badi khusi huyi… umeed hai mere under is police station ka kaam achhe se chalega… khair ap sabhi ja sakte hain aur apna apna kaam jaari rakh sakte hain… hum jara kaam ki batein kar lein… kion Talpade sahab…

Talpade: ji jarur…

Fir sabhi log apne apne kaam mein lag gaye aur Commissioner jakar Talpade ki chair par baith gaya aur Talpade usko files dikhane laga… Commissioner files dekh hi raha tha k tabhi uski nazar Aarav par padi… Commissioner ne use gaur se dekha toh use laga jaise wo use janta ho…

Commissioner: Talpade yeh ladka kon hai…

Talpade(Aarav ki taraf dekh kar): Sir iska naam Aarav hai… aj subah hi jhagde ke case mein ander aya hai…

Commissioner(kus soch kar): Aarav hmmm… iska pura naam kya hai…

Talpade(darte huye): Ji wo toh nahi pata…

Commissioner(gusse mein): kya baat kar rahe ho tum… pura naam nahi pata toh FIR mein kya likha hai…

Talpade(sharminda sa hote huye): ji wo… wo maine abhi tak likhi nahi…

Commissioner: kamaal karte ho Talpade sahab bina FIR ke kisi ko ander daal diya… khair umeed karta hun yeh apki aadat nahi hogi…

Talpade: ji bilkul nahi… wo ap ane wale the toh us chakkar mein nahi likha…

Commissioner: dekho bhai ap meri izzat karte ho achhi baat hai… but kaam sabse pehle ana chahiye… asha karta hun k age se dhyan rahega…

Talpade(sir jhuka kar): ji sir…

Commissioner: ek kaam karo… Is ladke bahar nikalo… mujhe isse kus baat karni hai…

Talpade: ji Sir… Shinde jara bahar leke ao ise…

Shinde: ji sahab…

Fir Shinde ne apni pocket se chabi nikali aur Tala khol diya… lock khulte hi wo watchman bhag kar Darwaje ke paas chala gaya…

Shinde: abe tu kidhar a raha hai… Tu yahin ruk… Bhai Aarav tujhe bade sahab bula rahe hain…

Aarav: ji chaliye…

Fir Aarav wahan se bahar nikal kar Commissioner ki taraf chal pada aur Shinde ne fir se tala laga kar chabi jeb mein daal li…

Aarav(Commissioner ke samne jakar): Namaste sir…

Commissioner: namaste… aiye baithiye…(samne wali kursi ki taraf ishara karte huye)

Fir Aarav kursi par baith gaya aur chup chap Commissioner ke bolne ka intzar karne laga…. Commissioner kus der aise hi use gaur se dekhta raha… wo kus der chup rehne ke baad apni bhari si awaj mein bola “toh aapka pura naam kya hai…”

Aarav: ji Aarav Ranvijay Singh…

Aarav ka pura naam sunte hi na jane kion but Commissioner ki ankhon mein chamak a gayi… Wo apni chair se khada huya aur Aarav ko uski chair se utha kar apne gale se laga liya… sab log use badi hairani se dekh rahe the aur Aarav khud v hairan sa khada tha…

Commissioner(Aarav ki peeth thapthapa kar): are Aarav beta bade dino baad dekha hai tujhe but kab se soch raha tha k yeh chehra kahin dekha lag raha hai…

Aarav(hairan sa): ji ap mujhe jante ho…

Commissioner(Aarav se alag hokar): are beta kaisi baat karta hai…mere inhi hathon mein khela hai tu… itna toh tujhe tere baap ne nahi uthaya hoga jitna maine tujhe apni god mein khilaya hai…

Aarav(abhi v commissioner ko pehchanne ki kosish karta huya): Ji maaf kijiyega but maine apko pehchana nahi…

Commissioner: are han maine bataya hi nahi… tu Shital ko janta hai na… use toh tune dekha hi hai…

Aarav: ji han main janta hun Shital aunty toh meri mom ki boht achhi dost hai… abhi kus din pehle hi hamare ghar ayi thi…

Commissioner(khus hokar): han toh main Shital ka husband hun… Gaurav…

Aarav(Gaurav ke pair chhute huye) : namaste uncle and sorry maine apko pehchana nahi…

Gaurav:are nahi beta main khud tujhe nahi pehchan paya tu toh tab boht chhota tha tujhe kahan se kus yaad hoga… khair bilkul apne baap pe gaya hai tu… wahi chehra wahi kad kathi… mujhe ek pal ke liye toh aisa lag raha hai k mera yaar Ranvijay mere samne khud khada ho…

Ranvijay ka naam lete hi Gaurav ka gala bhari ho gaya aur wo chup kar gaya… Aarav v thoda mayush sa ho gaya…

Gaurav(bhari man se): beta tu nahi janta k kitna pyar tha mera aur tere baap ka… Bachpan ke yaar the hum dono… boht khusmijaj admi tha Ranvijay… par shayad kus logon ko uski khusi raas na ayi…(yeh bolte huye Gaurav ki ankhon mein gussa saaf dikhayi de raha tha
Aarav: ji kya matlab…

Gaurav(Khud ko sambhalte huye): chalo chhodo in ateet ki baton ko… waqt ko kon palat sakta hai… khair tum yeh batao k tum yahan kaise…

Fir Aarav ne puri baat Gaurav ko bata di

Gaurav: achha toh yeh baat hai… dekho beta manta hun k is watchman ne galti ki par tumhe v kanoon ko apne hath mein nahi lena chahiye tha…

Aarav(Sir jhuka kar): ji sorry uncle… mujhe apni galti ka ehsaas hai…

Gaurav: chalo koi baat nahi… mujhe pata hai k tum achhe ladke ho toh tum aur tumhara dost ja sakte ho…

Aarav(khus hokar): thank you uncle… aur plz ap is watchman ko v chhod dijiye…

Gaurav: are thanks ki koi jarurat nahi aur isko v chhod denge…vaise tune is bare mein Apni maa ko toh nahi bataya na…

Aarav: ji nahi…

Gaurav: aur batana v mat jitna Aarti ko main janta hun… use pata chalega toh boht tension legi… ab tum ja sakte ho aur Age se aise jhagda mat karna warna main khud ghar ake khabar lunga tumhari…

Aarav: ji uncle… age se aisa nahi hoga…

Fir Gaurav halka sa muskura diya aur usne Aarav ko ek baar fir se gale lagaya aur Talpade ko keh kar Vicky aur us Watchman ko v chhod diya… Fir Vicky aur Aarav Gaurav se mil kar wahan se chale gaye…

To be continued…
 
Status
Not open for further replies.
Top