Bhai try karunga pakka nahi keh sakta but han kal ko pakka post kar dunga...Waiting
FANTASTIC UPDATE HAI BHAIUpdate 24
Aarav use gaalian dete huye buri tarah se peet raha tha aur yeh nazara dekh kar Vicky v wahan a gaya aur Aarav ko peeche khinchne laga but Aarav par toh jaise bhoot sawar tha wo Us watchman ko paglon ki tarah peete ja raha tha… Yeh sab chal hi raha tha k tabhi kisi taraf se police ki jeep ke siren ki awaj ayi… agle hi pal wo jeep wahan a kar ruki aur usmein se do hawldar Aarav aur Vicky ki taraf bhage aur un dono ko pakad kar watchman se dur karne lage…
Ab age…
Hawldar 1(Aarav ko kheech kar side mein lejate huye): abe chhod usko… maar dalega kya use…
Aarav: ap mujhe chhod dijiye… sala meri maa ko gaali deta hai… ise toh main chhodunga nahi…
Watchman(jameen se khada hokar): sale ab a toh sahi mere paas… maar maar ke tera keema na bana diya toh naam badal dena mera…
Hawldaar 1(watchman ko): chup… sala jameen par pada maar kha raha tha aur ab hero ban raha hai… sale time par na ate na toh keema toh tera ban jana tha ab tak… aur yaar kus toh sharam karo tum log… police ka koi lihaj hi nahi hai tum dono ko…
Vicky: are hawldaar sahib mujhe toh chhod dijiye main toh us Watchman ko bacha raha tha Aarav se…
Hawldaar 2: ab tum teeno ko seedha police station lejakar chhodenge…
Watchman(ghabra kar): par sahib main toh apni duty kar raha tha…
Hawldaar 2: han dekha maine tera tarika duty karne ka… sale tu watchman hai k gunda… baat karne ki kus akal wakal nahi hai kya…
Hawldaar: chal shinde daal in teeno ko jeep mein…
Vicky: par humne kya kiya… sari galti is watchman ki hai…
Shinde: chalo ab galti kiski hai yeh toh inspector sir hi batayenge…
Fir un dono hawldaron ne Un teeno ko jeep mein daala aur police station le gaye…
Shinde: chalo tum teeno ko inspector sahab ke paas le ke chalte hain…
Hawaldar 2: han Shinde le chal in sab ko main jara round ke liye niklta hun…
Shinde: chalo bhaiyo… swagat hai tum logon ka sasural mein…
Fir Shinde un teeno ko leke police inspector ke paas chala gaya… jo k is waqt kus files mein busy tha…
Shinde(inspector ke table ke samne jakar salute karte huye): salaam sahab…
Inspector(Shinde ki taraf dekh kar): are Shinde ao bhai… kab se teri hi raah dekh raha tha… kahan the abhi tak…
Shinde: sir patrolling ke liye gaya tha Gopi ke sath…
Inspector: achha toh bolo kya report hai…
Shinde: sir baki sab toh thik hai bas yeh teeno wahan Nehru market ke paas wali gali mein jhagda kar rahe the…
Inspector(gaur se un teeno ki taraf dekh kar): Yeh dono toh achhe ghar se lag rahe hain… par yeh iski uniform kaise fati padi hai(watchman ki taraf apne dande se ishara karte huye)....
Watchman: sir jinko ap achhe ghar ka bol rahe hain… un dono ne hi meri aisi halat ki hai…
Inspector(Shinde ki taraf dekh kar): kion bhai Shinde… yeh Watchman sach keh raha hai kya?
Shinde: ji janab jab humari jeep wahan se nikal rahi thi toh humne dekha k yeh ladka(Aarav) ise maar raha tha aur yeh wala(Vicky) shayad ise ladne se rok raha tha yah iska sath de raha tha clear pata nahi chala…
Aarav: Sir main hi maar raha tha Vicky toh mujhe rokne ki kosish kar raha tha…
Inspector: wo toh thik hai par tu ise kion maar raha tha…
Aarav: wo huya yun k main (Fir Aarav ne use puri baat shuru se ant tak bata di jise Inspector ne boht dhyan se suna aur sunne ke baad sochne laga k kya kiya jaye)
Inspector: vaise dekha jaye toh galti toh tum dono ki hai… Aur Vicky babu apki v hai… jhagde mein ap teeno ka barabar ka role raha hai…
Shinde: toh sir ab kya karein…
Inspector: dekho bhai main toh kehta hun k tum teeno apas mein sulah karlo kionk faltu ke chakkar mein padne ka koi matlab nahi hai…
Aarav: ji thik hai jaisa ap kahein…
Vicky: han main v tyar hun… ise bolo k humse gaali dene ke liye maafi maang le badle mein humari wajah se iska jo v nuksaan huya ho yah isko koi chot ayi ho toh hum nuksaan bharne ko tyar hain…
Inspector: han baat toh sahi hai chhore ki… kion bhai kya kehta hai tu(watchman ki taraf dekh kar)
Watchman: sir gareeb admi hun toh iska matlab yeh nahi hai k chaar paison ke liye bik jaaunga… in dono par case karunga aur saja v dilwaunga..
Inspector: abe oye krantikari ki aulad… khamkha court kachehri ke chakkar mein pisega aur kya pata sath mein tujhe v ander daal de… toh meri baat maan aur sulah karle…
Watchman: nahi sir jo hoga dekha jayega ap in dono par FIR karo…
Inspector: dekh bhai mera dimag mat kha tu in par FIR karega yeh tere pe karenge… tum log jao bhai yahan se…
Watchman: nahi sir main kahin nahi jane wala apko hamari complaint likhni hi hogi…
Inspector(apna sir pakad kar): yaar ajeeb admi hai yeh… iski bhalayi ki baat kar raha hun aur yeh hai k manta hi nahi… kahan se leke aya yaar inko…
Shinde: sir Btaya toh tha k Nehru market ke paas wali gali se…
Inspector(gusse mein): abe teri maa ka…control Talpade control… dekh bhai Shinde aj naye commissioner Sir pehli baar hamari chawki mein ane wale hain toh pehle se kaam ka bada stress hai… tu aisa kar in teeno ko ander daal… ek baar sir ake wapis chale gaye fir dekhte hain k kya karna hai inka…
Shinde: ok sir… chalo be tum logon ko thoda hawalat ki hawa khilayein….
Aarav: but sir hum toh sulah ke liye tyar hain na humein toh chhod do…
Shinde: Bhai tu tyar hai par yeh pagal tyar nahi hai na… ab jab tak yeh sulah ke liye nahi manega toh tum logon ko nahi jane de sakte…
Aarav: par humein ghar par call toh karne dijiye…
Shinde: han sach bhul gaya tha… jaldi se apna purse ghadi mobile jo kus v hai nikalo… hawalat ke ander kus v allowed nahi hai…
Fir Shinde ne unse unka sara saman jama karwaya aur unko uski receipt de di… fir un teeno ko ander band karke taala laga diya aur inspector ke paas jakar uski madad karne laga…
Vicky: Sala is pagal ki wajah se kahan fas gaye…
Aarav: maine bola tha na k isse jhagda mat kar… hum Surbhi se baad mein mil lete…
Vicky: Bhai tu na shayad bhul gaya hai k iski dhulayi tune ki hai jiski wajah se hum yahan ander hain…
Aarav: sale jhagda toh tune shuru kiya na… ab isne maa ki gaali di toh a gaya gussa kya karun…
Vicky: kya yaar kya socha tha aur kya ho gaya…
Aarav: han yaar ab toh mujhe lagta hai jab tak bahar ayenge Surbhi ke bache kahin mama mama na bolne lagein…
Vicky: chal sale itna galat mat bol… mera dil kehta hai k hum jaldi yahan se bahar niklenge aur teri aur Shurbi ki shadi hogi aur tum dono ke bache mujhe chacha bolenge…
Aarav: ab bhai mama yah chacha ka faisla toh tabhi hoga jab wo Commissioner ake wapis jayenge… tab tak toh yahin rehna padega…
Aarav ki baat sunkar Vicky ne ek baar Gusse se us watchman ki taraf dekha jo k ek kone mein jameen par aaram se baitha tha… “Sala pagal kahin ka" itna bol kar Vicky chup chap bahar lagi ghadi ki taraf dekhne laga yahan abhi subah ke 9:30 baje the… Abhi pata nahi kab tak yahin sadna tha…
To be continued…
Thanks bro... age jo bhi ho lekin apko padhke maja jarur ayega...FANTASTIC UPDATE HAI BHAI
AB DEKHTEN HAIN AAGE KYA HOGA

OK INTIZAR RAHE GAThanks bro... age jo bhi ho lekin apko padhke maja jarur ayega...
Thanks bhai... abhi toh pata nahi pyar ke liye kitne papad velne padenge...Excellent update....
Bohot funny bhi tha...
Pyar ke liye hawalat ki hawa khana pada....
for the update