- 328
- 349
- 79
Update 17
Yeh sab sochte huye uski ankh kab lag gayi pata hi nahi chala… udher Aarav v Rashmi ke khyalon mein khoya karwatein badal raha tha… jab v Use Rashmi ki koi baat yaad ati tab tab uske chehre par ek badi si smile a jati…Aarav kus der yeh sab sochta raha but jaldi hi use v Neend ne apne aagosh mein le liya…
Ab age…
Next day subah Aarav apni mom ko chhod kar apne college ke liye nikal gaya… Aarav abhi parking mein hi tha k use Rashmi, Sana aur Kiran dikhayi diye… wo teeno ek taraf khadi thi… Sana aur Kiran baat kar rahi thi aur Rashmi ek taraf aise hi chup chap khadi thi… wo aj kafi tension mein lag rahi thi aur uske chehre par wo roj wali smile bhi nahi thi… yeh baar Aarav ko achhi ne lagi aur wo un teeno ki taraf chal pada…
“Hlo girls… kya haal hai tum logon ka" Aarav ne peeche se aakar bola toh wo teeno palat gayi… Aarav ko dekhte hi Rashmi ke chehre par apne ap smile a gyi… uska man kiya k wo Aarav se roj ki tarah dher sari batein kare but jaldi hi usne khud par control kiya aur dobara se sadu si shakal bana kar khadi ho gayi… khair un teeno ne Aarav ko morning wish kiya aur haal chaal puchha… but Rashmi murjhayi si lag rahi thi aur baat v achhe se nahi kar rahi thi… yeh sab Aarav ko achha nahi lag raha tha… usne Rashmi se baat karne ka socha…
Aarav(Rashmi ko dekhkar): Rashmi kya huya tumhe aj… tum tension mein lag rahi ho…
Rashmi(rukhe se andaaz mein): nahi main thik hun…mujhe kya hona hai…
Aarav: par yaar tumhari shakal se saaf pata chal raha hai k tum pareshan ho… kya main tumse ek baar akele mein baat kar sakta hun…
Aarav ne yeh bolte huye Sana aur Kiran ki taraf dekha toh Wo dono v samajh gayi k Rashmi aur Aarav ko thoda time sath mein de dena chahiye…
Sana: han tum dono baat karo hum thoda kam karke ate hain…
Sana wahan se Kiran ka hath pakad kar jane hi lagi thi k peeche se Rashmi ne un logon ko rok liya “koi jarurat nahi hai tum logon ko jane ki… mujhe kus nahi huya hai main theek hun… aur chalo hum class ke liye late ho rahe hain….” Fir Rashmi ne Sana aur Kiran ka hath pakda aur bina Aarav se ankh milaye unko lekar wahan se chali gayi…
Aarav wahin thuga sa khada tha…use kus samajh mein nahi aya “achanak Rashmi ko kya ho gaya… kal raat ko baat ki thi toh theek thi… abhi ek dum se use kya ho gaya…kya pata shayad uske ghar pe koi tension ho… mujhe usse baat karni chahiye kya?” Aarav apne ap se hi swaal kar raha tha aur fir reply v khud hi karne laga “han main usse baat karunga k aise tension nahi lete agar mere layak koi kaam ho toh mujhe bataye main uski help karunga… but mujhe uski yeh utari huyi shakal achhi nahi lag rahi..” Aarav abhi v parking mein khada yeh sab soch raha tha..
Udher Rashmi Apni class ki taraf un dono ka hath pakde ja rahi thi k tabhi Kiran boli “kya huya yaar tujhe… kion us bechare ke sath aise behave kar rahi hai… aur hamara hath toh chhod abhi”… Rashmi ne Kiran ki baat ka koi jawab nahi diya but un dono ka hath chhod diya… fir wo dono chup chap class ki taraf chal padi aur Rashmi wahin khadi apne ap ko kosne lagi “Yaar yeh maine kya kiya… Main apni majburi ki saja Aarav ko kion de rahi hun…. Usko kitna bura lagega k main uske sath aisa behave kar rahi hun… but karun v toh kya… yahi hum dono ke liye sahi rahega… aur thode din mein Aarav v normal ho jayega akhir humein dost bane din hi kitne huye hain k wo mere bare mein hi sochta rahe…” Rashmi ne apne man mein decide kar liya tha k ab wo Aarav se koi baat nahi karegi aur yahi un dono ke liye sahi rahega…
Uske baad Aarav apne friends ke paas apni class mein chala gaya… puri class khatam ho gayi par wo pura time Rashmi ke bare mein sochta raha… use kus samajh mein nahi a raha tha k akhir huya kya hoga… wo kus v karke Rashmi ke chehre par smile lana chahta tha… par pehle yeh toh pata chale k use problem kya hai tabhi toh wo koi solution nikal payega na…
“Oye Aarav… oye bhai kya huya tujhe… sale so raha hai kya… chal puri class khali ho gayi aur tu abhi v yahin baitha hai…” Vicky Aarav ko uske kandhe se hila kar bola toh Aarav apne khyalon ki duniya se bahar nikla… usne Aas paas dekha toh pura room khali tha aur sirf Uske dost the jo uske paas khade the…
“Class kab khatam huyi" Aarav ne bada bekar sa question puchha… uska reaction aisa tha jaise kisi ne use neend se jaga diya ho aur wo puchh raha ho k subah kab huyi… khair Faiz ne uska hath pakad kar use table se uthaya aur bola “Sale ho kya gaya hai tujhe… chal canteen mein chal kar baat karte hain…”
Aarav table se khada huya aur usne Faiz ke hath ko halke se hataya aur Gandi si shakal bana kar bola “Yaar mood nahi hai… ghar chalein kya"… Aarav apne doston ke jawab ka wait kar raha tha but isse pehle ke koi kus bolta Vicky ne Aarav ka hath pakda aur use almost khichte huye classroom se bahar le jane laga aur Ashu se bola “Ashu dhakka laga isko… sale ka engine kharab ho Gya hai…”
Vicky ki baat sunkar Faiz aur Ashu Hanste huye Aarav ko dhakka lagane lage… tabhi Aarav ne unko roka aur bola “bhai chalta hun… tum log chhodo koi haddi baddi tod doge meri… main khud hi chalta hun"… Fir un logon ne Aarav ko chhod diya…
Vicky(Aarav ke kandhe par hath rakh kar): han yeh huyi na baat… chal canteen mein abhi tera mood thik karte hain…
Aarav(halka sa muskura kar): kion salo wahan kya Ashu se mujra karwaoge…
Ashu: bhai main hi kion… yeh Vicky khud hi karega… mujhe nahi ata mujra karna…
Ashu ki baat sunkar Aarav v hans pada aur use dekh kar wo teeno khus ho gaye… Fir wo charon canteen mein chale gaye aur Aarav ki favourite snacks aur drinks order kardi… Aarav abhi thoda achha feel kar raha tha kionk uske doston ne kus pal ke liye uska dhyan Rashmi se hata diya tha… but Un teeno ko abhi v achha nahi lag raha tha kionk unhe pata tha k Aarav kabhi v aise chup chap nahi rehta tha… isliye Vicky ne Aarav se baat karne ka socha…
Vicky(serious tone mein): Aarav… bhai tere se ek baat puchun…
Aarav: sale tu kion permission maang raha hai… jo puchhna hai puchh le…
Vicky: Yaar koi problem hai kya…
Vicky ke sath sath Faiz aur Ashu v Aarav ki taraf bade dhyan se dekh raha the… Aarav ko kus samajh mein nahi aya k wo teeno aise kion dekh rahe hain aur Vicky ne aisa kion puchha… “kya huya bhai… mujhe toh kus nahi huya… aisa kion puchha tune…” Aarav ne Vicky ki Taraf dekhte huye usse puchha…
Vicky: dekh bhai tere ko bachpan se jante hain hum aur Subah se notice kar rahe hain k tu chup chap sa hai… jarur koi tension hai tujhe… agar kus personal hai toh rehne de nahi toh humein bata de bhai…
Aarav: yaar kaisi baat kar raha hai hamare beech kya personal… wo toh asal mein aj subah(fir Aarav ne puri baat Un teeno ko bata di k kaise Rashmi upset thi aur usne Aarav ko ignore v kiya aur baki jo kus aj subah huya…)
Faiz(Aarav ki baat sun ne ke baad): are bhai uske ghar pe koi problem hogi yah fir koi study ka tension hoga… tu pareshan mat ho… ek adh din mein normal ho jayegi…
Aarav: han maine v yahi socha… but yaar mujhe uski fikar ho rahi hai… achha v nahi lag raha… man kar raha hai k usse baat karun…
Aarav ne apne dil ki baat apne doston ke samne Rakh hi di thi… Wo teeno v Aarav ki baat sun kar smile kar rahe the aur ek dusre ki taraf ishare kar rahe the… Aarav ne jab unhe aisa karte huye dekha toh use kus samajh mein nahi aya aur wo hairani se unki taraf dekhte huye bola “Salo tum logon ko kya huya… kya ishare se kar rahe ho ek dusre ko"…
Vicky(majak mein): bhai wo hum mein se kisi ko pyar ho gaya hai…
Aarav(excited hokar): kise… salo mujhe btaya kion nahi… bhai kisne humein bhabi dhundh kar di hai…
Faiz: bhai wo mahan insaan koi aur nahi tu hi hai…
Aarav(buri tarah se chonkte huye): kya…
Faiz: han bhai… tujhe ho gaya hai pyar Rashmi se…
Aarav(hairani se): bhai kya bol raha hai tu… dimag toh thik hai na tera… mujhe koi pyar wyar nahi huya kisi se…
Ashu: Sale agar pyar nahi huya toh kion subah se usi ke bare mein soch raha hai…akhir itni v kya gehri dosti ho gayi 4 din mein jo itna fikarmand ho raha hai uske liye…
Faiz: aur nahi toh kya… Bhai hum sahi soch rahe hain… tere dil mein sach mein Rashmi ke liye feelings hain…
Aarav(gusse mein): yaar bola na nahi… ab kya jabardasti manwaoge mujhse… bhai agar koi feelings hoti toh kya mujhe nahi pata hota…
Vicky: chal dekh hum tujhe kus nahi bolenge… tu ek baar khud hi soch kar dekh…
Aarav(gusse se table se khada ho gaya): Yaar kya bakwas kar rahe ho tum log… mujhe nahi hai kisi se koi pyar… galat soch rahe ho tum log…
Faiz(Aarav ka hath pakad kar): chal thik hai… gussa kion kar raha hai yeh Lemonade pi…
Aarav(apna hath chhuda kar): yaar mujhe nahi peena kus v… abhi mera mood nahi hai main ghar ja raha hun…
Itna bol kar Aarav wahan se jane ke liye nikal gaya… Use rokne ke liye Faiz chair se uth hi raha tha k Vicky ne uska hath pakda aur bola “Jane de use… use abhi kus samajh mein nahi a raha hai… thoda upset v hai wo… thodi der ghar jake Aaram karega toh thik ho jayega…” Vicky ki baat sun kar Faiz chup chap baith gaya aur Aarav wahan se chala gaya…
To be continued…

for the update