• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest DEV THE HIDDEN POWER

Dev the lover

Well-Known Member
3,777
16,049
159
✦ UPDATE 216 ✦

Masoom (thodi thak ke, par muskurate hue): Ab main mami ke ghar chalti hoon… phir kal Janu ko dhoondhungi…

(Tabhi peeche se kisi ne uske kandhe par haath rakha.)

Arav (halki hasi se): Arre arre… haath neeche kar behna… maregi kya!


Masoom (khush hokar): Arre… aap abhi tak yahin ho?

Arav: Haan… thodi flight late ho gayi thi.

Masoom: Janu ka pata chala?

Arav: Haan… pehle mujhe apne office jana hai… wahan se pata lagega.

Masoom (nakhre se): Main bhi chaloon?

Arav: Nahi… le ja nahi sakta wahan tujhe.

Masoom (uski aankhon mai dekh ke): Aapko meri kasam…

Arav (thoda naraz, thoda pighalte hue): Pagal hai kya… tu bhi Janu ki tarah!

Masoom: Haan… le chalo na… mujhe Janu se milwana hai…

Arav (hathiyar dalte hue): Theek hai… par tu neeche hi rehna… jahan main boloon, andar nahi jaana.

Masoom: Thik hai… chalo!



(Dono pahunchte hain RAW agency ke headquarters ke paas; Arav Masoom ko bahar chhodkar office ke andar chala jaata hai.)



Mohan (Arav ko dekh kar): Aa gaye Arav? Aao… baitho.

Arav (tanaav bhari awaaz mai): Ji sir… jaldi bataye… meri behen kahan hai?

Mohan: Woh theek hai… Shikha uske saath hi hai.

Arav (gusse se): Woh doctor na?

Mohan: Haan… wahi… usi ke bhai se tumhari behen pyaar karti hai… mujhe pata laga hai.

Arav (akdte hue): Main uski jaan nikal lunga… meri behen ko phansa raha hai woh!

Mohan (thandap se): Usse ulajhna mat… warna tumhare tukde dhoondhne par bhi nahi milenge… peeche dekho TV par…

(Arav peeche dekhta hai; TV par Dev ki jeevan-aash fight ki footage chal rahi hoti hai.)



Arav (dhar ke saath): Sir… aap itne khatarnak insaan ke saath kaise meri behen ko rakh sakte hain?

Mohan: Kyunki tumhari behen ke zariye… shayad hum usse apna naya agent bana sakte hain.

Arav (ghusse se): Sir… RAW kabse agents ke gharwalo ko use karne lagi?

Mohan (table par hath maarte hue): Tum lagta hai tameez bhool gaye ho… RAW woh sab karegi jo is desh ki suraksha ke liye zaruri hai… taaki koi desh ham par buri nazar na daale!

Arav: Phir ye kaam apni beti se kyun nahi karwate?

Mohan (chilla kar): Arav……!

Arav (thandi awaaz mai): Chillaaiye mat sir… apne par aayi toh aap bhi chillaane lage…

Mohan (gusse mai): Tum agar yahan ke best na hote… toh abhi yahan se nikal deta!

Arav (dekhte hue): Itna aasan nahi hai…

Jagpreet (taunt karte hue): Sir, ye sahi hai… ye bahut hi badtameez ladka hai… mujhe bhi ched raha tha.

Mohan: Toh maine toh nahi kaha tha ki iski behen usse pyaar kare!

Arav: Aap address bataye… mujhe abhi wahan jaana hai.

Jagpreet: Woh badtameez hai… par woh usse nuksaan nahi pahunchayega… abhi raat ho gayi hai… kal jaana.

(Arav ghusse se bahar nikal jaata hai.)



Masoom (bahar milte hi): Kya hua? Chalein ab?

Arav (thoda thande man se): Nahi… aaj nahi jaa sakte… thodi problem hai.

Masoom (uska haath pakad ke): Chaliye koi baat nahi… gussa mat kariye… mere saath mama ke ghar chaliye.

Arav: Nahi… main hotel mein jaa raha hoon… meri booking hai.

Masoom (thoda naraz): Chaliye sahi hai… aage se main bhi aap logon se hotel mein hi milungi.

Arav (halki hasi se): Tu toh bura maan gayi… accha… chal chalte hain.

Masoom: Yeh hui na baat!

(Dono saath nikal jaate hain; Arav abhi bhi sochta hai — sabse accha toh wahi hota hai jo main le raha hoon… neend… aur kya!)



(Ek jagah par — jahan sirf Phoenix hi Phoenix dikhti hain — wahi… Aditi ka rajya.)

Aditi (apni maa se): Maa… aapne jiske baare mai mujhe bataya hai… woh kaun hai?


Garuna (gahri awaaz mai): Beti… woh bahut bada samrat hai…

Aditi: Par maa… sab toh kehte hain woh mar gaya…

Garuna: Nahi beta… main jaanti hoon… kyunki woh meri bhi shaktiyon se bana hai… uski maa aur main achchi sahelian theen.

Aditi: Par woh mujhe kyun bachane aayenge?

Garuna: Kyunki usne wada kiya tha… ki humare parivaar mein ab koi nahi marega.

Aditi (aankhon mai dard ke saath): Ahh… maa…

Garuna: Yeh kya ho raha hai yahan par…?

(Tabhi gate tut jata hai… aur andar aata hai woh…)



Garuna (chilla kar): Tu yahan se chala ja… isse pehle teri maut ho jaaye!

Bb (thandi awaaz mai): Aap samajh nahi rahi ho… ab main woh nahi raha… main bhi Dev ke saath hoon.
Par bhavishya se vapas aane ke kaaran… woh bhi zinda ho chuka… jiske liye main Aditi ko marna chahta tha…

Garuna (tez nazron se): Main kaise yakeen kar loon tum par?


Bb (gehri awaaz, thoda thakaa hua): Itna kaafi nahi… ki main aapke saamne khada hoon? Gate bhi toh maine toda… koi mujhe aane nahi de raha tha…

Garuna (suspicious): Par baat kya hai?

Bb: Mujhe abhi inhe… Dev ke paas le jaana hoga… warna woh… inke pankh cheen lega.

Garuna (chauk kar): Yeh baat usko kaise nahi pata chali?

Bb (thoda tanz bhari muskurahat ke saath): Maharani ji… aap toh jaanti hain… jab se unki maut hui… unki divya jyoti toot chuki hai. Insaan wohi dekh sakte hain jo woh dikhana chaahen… yaa phir jo inse juda ho…
Aur abhi tak inka koi judaav nahi hua… jab tak yeh prithvi par nahi jaayengi.

Aditi (aage badh kar): Main toh aaram se jaa sakti hoon… main pehle bhi gayi hoon!


Bb (gusse se): Nahi! Bhukhasur ne Phoenix ke garah ka mani tod diya hai… jo usko prithvi se jodta tha…

Garuna (gehri saans lekar): Main tum par bharosa karun bhi toh kaise?

Bb (narmi se, dheemi awaaz mai): Main batana toh nahi chahta tha… par sach yeh hai… ki aapki beti… aage jaakar Dev… yaani Samrat ki ardhangini banegi…

Aditi & Garuna (dono ek saath, hairan): Kya…?!

(Tabhi ek teer sidha Aditi ki taraf aata hai — Bb apni pankh faila kar usse rok leta hai. Teer uske pankh ko cheerte hue khoon nikal deta hai.)

Bb (ghusse se, haath uske kandhe par rakhta hai): Mujhe aapko yahan se lekar jaana hi hoga… warna Bhukhasur pura rajya vinasht kar dega!


Garuna (tez awaaz mai): Jaldi… le jao isse!

(Bb apni bade pankh band karke, Aditi ko gale se baandhkar uda leta hai… asmaan ki taraf.)



(Ussse asmaan mai udate hue dekh kar…)

Bhukhasur (dahaad kar): Tujhe is dhokhe ka anjaam bhugatna hoga! Sab mere peeche chalo!


(Asmaan mai teer par teer bars rahe hain… Bb ne shield banayi hai, par kuch teer uske pankh chheel rahe hain, khoon beh raha hai.)



Aditi (roshni bhari aawaz mai): Hum lad sakte hain… apni raksha ke liye!

Bb (gehri thakawat aur udaas muskurahat ke saath): Nahi… Bhukhasur ko ek tapasya se prapt teer mila hai…
Jo humein tod bhi sakta hai…
 
Last edited:

Dev the lover

Well-Known Member
3,777
16,049
159
Top