“You sure ?”pramod bola phone par
“Haan lekin pakka nahi hai”Arnab bola
“Arnab jitna Mujhe pata hai ki khan sir ke team me bas aj,mai aur tu itna ho hai agar kisi aur ko include kiya hota to batate zaroor “pramod bola
“Ab karna kya hai?”arnab ne poocha
“Sakshi ko safe rakh until she reaches Indore “Pramod bola
“W wo mai khud uske saath a raha hoon”Arnab dheere se bola
“Kya??tera ego?self respect kidhar gaya be saale?”pramod haste hue bola
“Kaam kar le zyada irritate na kar”irritate hokar Arnab bola
“Dekh bhai dil wil na laga liyo Poonam aas liye baithi hai”Pramod haste hue bola
“Hat wo sirf achi dost hai waise tu wo sangeeta se ishq na laga lena “Arnab bola
“Arnab plz “Pramod serious ho gaya achanak
“Sorry bro mai bas…”Arnab ruk gaya bolte bolte kyunki uske tent se koi bahar a raha tha
Itni raat ko Koun aayega???
“Koun jaata hai dost ya dushman?”arnab chillaya
Arnab ki awaz paakar wo shaks bhaagne laga
Arnab ne apna sniper nikala aur
KHACHHH
goli pair me lagi aur arnab us shaks ke paas gaya chinese nikla
Itna saare chinese ko border ke ander access kisne aur kyun diya???
“Identity yourself”Arnab bola
KHACHHHH
KHACHHHHHH
do goliyan us shaks ke seene me lagi aur wo wahi mar gaya
Arnab furti ke saath ghoom Gaya lekin koi nahi tha Wahan
Usne us shaks ke kapde check kiye lekin zyada kuch haath nahi laga uske
Arnab ka sar ghoomne laga,kuch to uske tent ke aaspaas ho raha hai jisse is mission ka Lena Dena hai lekin kya???undercover operations me kabhi bhi arnab ko interest nahi tha aur na usne apna dimağ kabhi in sab me daudaya lekin baat wahi hai ki marta kya na karta
Pramod se kuch help milna bekar hai aur khan sir ise bas aise hi uda denge hawa me jaise ye bas ek mamooli baat hai use khud kuch karna hoga.
“İtni raat ko kya kar rahe ho baby?”sakshi ki awaz aayi arnab ko
“Tum soyi nahi??”arnab bola
“Nahi yaar itni thand me neend kahan aayegi”sakshi boli
“Tum mere saamne so Rahi thi sakshi “Arnab bola
“Uff tum chaloge??neend ko lekar pade ho “bol sakshi arnab ko apne saath lekar tent ki aur gayi lekin jaate jaate arnab ne sakshi ke pair dekh liye the jisse uske hosh udd gaye
————————————————————————-
“Hi “disha ka Khushi ka thikana nahi tha jab usne anuj ko apne ghar me dekha
“Hi Disha “anuj ka wahi expression less wala chehra dikha disha ko
“Tum kuch loge??breakfast kare saath me??chole bhature??sandwich aur juice???ya fir South Indian…”
“Disha maine breakfast ghar me hi kar liya hai.aaj koi aane wala hai tumne Bataya tha isliye…”anuj bola
“Oh mai Bhool hi gayi thi airport jaana hai u ko receive karne”disha ka ek darr anuj Mehsoos kar raha tha
“Misha madam ne bulaya hai”ek naukar ne Aakar kaha to anuj ne disha ki aur dekha
“Misha Malhotra meri badi didi abhi wahi is company ko sambhal Rahi hai”disha boli
“Aiyye “naukar ne bola to anuj uth kar chala Gaya aur kuch der baad ek bade de kamre me ghusa
“Anuj shastry ??”apni coffee pee kar laptop me kaam karti Rahi Misha naam ki ladki
“Aapke papa ne…”anuj ne bolna chaha
“Papa ko to aadat hai disha ke manmani ko support karne ki.tum kuch bhi ho lekin bodyguard to nahi ho sakte.koun se school me ho tum??”misha ne poocha
“Mujhe bola Gaya tha ki Aditya naam ka koi shaks a raha hai aur mujhe…”
“ADITYA AGARWAL KE BAARE ME JAANTE KYAHO TUM ??”achanak cheekh uthi Misha
“Tum jaise bachhe kya jaane ki business me kya kya jhelna padta hai wo bhi…” Misha ki awaz roondh gayi
“aap Mujhse zyada badi nahi hai sirf ek do saal ki hongi”anuj bola.
Misha ne Gusse se anuj ki aur dekha aur bell baja kar naukar ko bulaya
“Disha ma’am se kaho aane ko “Misha boli to kuch hi der me disha a gayi
“so this is my new bodyguard “Misha ne poocha
“Mai disha ke bodyguard ke hisab se aaya tha aapka nahi”bol anuj mud kar kamre se bahar chala gaya
“HAAN JAO JAO MUJHE BHI TUMHARI ZAROORAT NAHI HAI INFACT KISI KI NAHI HAI SAB KE SAB MUJHE ISTEMAL KARNA CHAHTE HAI SAB KE SAB”cheekh kar rone lagi Misha
“Anuj ruko anuj uff”disha daud kar anuj ke saamne a gayi
“Misha di ko Sachmuch khatra hai anuj aur isliye wo tumhe rok Rahi hai takı tum join na karo”disha boli
“Kisliye jhoot bola mummy se aur mujse?”anuj ne poocha
“Tum samajhte nahi situation hi aisi thi ki..uff anuj rulo to…Misha di ki izzat ko khatra hai”disha chillai aur is baar anuj ruk gaya
“Please bas uski izzat ko to bachao yaar itne pathhar dil na bano “disha ki aankhen bhar aayi aur wo haath jod kar khadi thi
“Theek hai lekin mai full time nahi reh paunga jo waqt tumhe allot kiya tha wahi waqt”anuj bola
“Ok done “disha boli aur muskurai
Door khadi Misha haath me coffee mug liye sab dekh Rahi thi
“Is bachhe ko kaise bhi rokna hoga.aditya bohut powerful hai”Misha sochne lagi