Anuj ka sar jhuka hua tha
“Ab Rehne bhi do mummy.kab se bas daant laga Rahi ho anuj ko”sangeeta boli
“Haan beta ab Rehne bhi de”dadaji bol pade
Aarti Gusse se sabziyan kaat rahi thi aur teerchi nazron se bas anuj ko dekhe ja Rahi thi
“Aaj Mahabharat chal raha hai kya “shruti ki awaz ne kam se kam ghar ka mahoul halka sa theek kiya
“Thanks god bua aap a gayi warna bhai ki haalat kharab kar diya tha mummy ne”sangeeta boli
“Pehle ye kachori aur jalebiyan ko jald se jald plates par daal mai dekhti hoon”shruti boli aur apna bag sangeeta ko de diya
“Dekh Shruti ye ladka akela tha yahan papa ke saath kal aur aaj saare body par pattiyan lagi hui hai”aarti Gusse se boli
“Pattiyan??”shruti ne poocha aur anuj ke paas gayi
“Pet me to gehra ghaav hai jaise ….”Shruti ki aankhen choti hoti gayi
Ye ghaav me ho Patti lagi thi isse pata chal raha hai ki taanke lage hai anuj ko.ye to kisi tez Dhar wale cheez se ho sakta hai ya fir….
“Bike explode kiya tha kal raat isliye kuch udta hua pet me this gaya tha”anuj bola
“Itni raat ko …bahar kya kar rahe the anuj?”shruti me poocha
“Kapde daal diye the.mera school uniform wahi tha use wapas lane gaya tha”anuj bola
“Raat ko kapde laane gaye the??seriously???”shruti boli
“Raat ko halkı se Baarish bhi hui thi Bheeg jaate kapde agar Rehne deta”anuj bola
“Baat to sahi hai maine kapde lagaya hi tha ki anuj ka phone aaya tha sangeeta ko chot lagi thi wo hospital me hai”aarti boli
“Hmm”shruti boli aur anuj ki aur dekhne lagi aur anuj bhi shruti ki aur dekhne laga
“Thande ho jayenge kachori aur jalebi “bol sangeeta ne table par plates laga diya
“Waise Shruti bua thanks is mast breakfast ke liye”anuj muskurate hue bola
Shruti bhi has di,anuj bohut rarely muskurata hai lekin uske muskurahat me ek ajeeb sa sukoon hai
“Aur wo jhansi ki raani kab back kar Rahi hai??”shruti ne poocha
“Pata nahi shruti achanak excursion me jaana pada use aur wo chali gayi”aarti boli
“Aisa excursion tha kya sangeeta?”shruti ne poocha
“Haan tha botany ka excursion tha department ne bheja tha”anuj achanak bola
“Tujhe kaise pata college ki saari baatein?”shruti ne poocha
“Sakshi di ne khud kaha tha sangeeta di ko bhi pata hai na sangeeta di?”anuj ne sangeeta ko poocha achanak to uske muh se haan hi nikla
“Band kar shruti yahan bhi police giri karegi kya?”dadaji irritate ho rahe the
“Papa mai bas..”shruti ne bolna chaha
“Rehne de bas bohut hua.aaj sangeeta hospital se aayi hai anuj bhi bhagwan ke shukr se baal baal bachha aur tu bas questions par questions kiye ja Rahi hai”dadaji bole
“Ok ok theek hai waise anuj school me koi mili kya hot ladki jisse…”shruti ka Dhyan toot gaya kyunki ghar ke saamne khadi thi
“Disha ???beta achanak??”khush hote hue aarti boli
“Sakshi Sikkim gayi hai beta”dadaji bole.sakshi ki best friend hai disha 2 saal ke differences me bhi dono pakke dost the
“M mai anuj se Milne aayi aur aapse aunty”Disha dheere se boli
“Bolo?”aarti boli Jawab me disha ne Charo aur dekha aur sar jhuka kar khadi Rahi
“Theek hai chalo ,tu bhi a anuj”aarti boli aur teeno doosre kamre me chale gaye
“Sorry no”anuj sapat bola jab disha ne jitna ho sake samjhane ki koshih ki
“Beta Anuj abhi bachha hai shahar me kitne saare bodyguards mil jaenge kitne saare security agencies hai “aarti boli
“Nahi aunty agar anuj hai to sahi warna jo hoga dekha jaega.chalti hoon bye”Bol haath Joe kar jaane lagi disha
“Ruko disha”aarti ke bolte hi ruk gayi disha
“Mai kuch na kuch karti hoon”aarti boli to disha ke jaan me jaan aayi aur wo chali gayi
“Aapko lagta nahi hame uske problem se koi matlab nahi hona chahiye “anuj bola
“Hona chahiye.yahi insaniyat hai.disha ne kabhi sakshi aur apne beech bhed bhaav nahi kiya.aur aaj jab use hamari zaroorat hai to hum….bas sirf disha ke saath hi to Rehna hai wo bhi sirf kuch ghante “aarti boli aur kamre se bahar nikal gayi jabki anuj sochne laga
———————————————————————
THAPPPPP
barf ka gola seedha arnab ke sar se takmaya
“Uff kya hai”arnab jhunjla utha
“Romance hai”bol sakshi fir ek gola banane lagi jaldi jaldi
“Ruko abhi”bol Arnab bhi Gusse se ek gola banata hai ki fir..
THABBBBB
Arnab Gole ki Parwah na karte hue dauda aur sakshi bhaagne lagi ki achanak arnab sakshi ko pakad kar zameen par letane hi wala tha ki …
SWOOSHHHHHH
hat kar sakshi ne arnab ke haath ko pakad kar apni Peeth se Arnab ke sharir ko uthaya aur doosra haath se uske collar ko pakad kar …
DHAPPPPPP
Arnab seedha barf par gir gaya aur sakshi uske oopar chad gayi
“Ab bol kya Kehta hai???aaj tujhe Koun bachayega jaaneman?”sakshi ek kutil smile ke saath boli
“I hate you”Arnab bola
“And I love you “sakshi boli aur apna sar fir arnab ke seene me sar rakh kar let gayi
“Pata nahi toofan kab rukega “Arnab bola
“Bhagwan kare aur der ho jaaye “sakshi boli
“Sakshi please samajhne ki koshish karo”Arnab bola
“Kya samjhu?do you love someone?please tell me that you are not into that bitch riva ”sakshi boli
“Sorry Sakshi I’m Bengali pure non veg chalta hai ghar me,tum vegetarian ho ….mai Indian army me hoon aur tum matlab…I don’t think this will work out.plus hamare beech 3 saal ka age difference hai”Arnab bola
“Chill dude I’m over 18 aur tum koi Buddhe nahi ho just 22 ke ho so yeah no issues”sakshi boli
“Lekin…”Arnab bola
“Do you love me?…..ruko ruko”sakshi boli aur arnab ka haath apne kamar par rakh kar boli
“Ab bolo do you love me?”
“I don’t know”Arnab bola aur sakshi ne Arnab ke baal pakad kar apne hont uske hont se laga liye
MMMMMMUAHHHHHHHHHHHH
“Ab bolo”sakshi ne poocha lekin tab tak Arnab apna sudh Budh kho chuka tha
“Aur agar maarna hi hai to tum bhi ek thappad maar sakte ho,kha lungi tumhare haath se”bol sakshi ne apni aankhen band ki aur apna gaal aage badhaya.
Sakshi ke gore rang ki Wajah se uske gaal laal ho chuke the thand me
Arnab ne muskurate hue apna haath Sakshi ke haal par halka sa maara
“Hisab barabar miss attitude “Arnab haste hue bola aur Sakshi Bina waqt gawaye lipat gayi arnab se
“Mai abhi aati hoon breakfast banakar “sakshi boli aur tent ki aur chali gayi
Arnab muskuraya aur kuch sochne laga ki achanak uska dimag thanka
Tent ke Charo aur Jin logo ko maara tha arnab ne sab ke sab gayab the
Doosri baat sakshi tak jab kuch log pohuchne hi wale the sakshi ki taraf tab arnab ne dekha ki teen log already mar chuke the wahan.arnab ki aankhen surkh hoti chali gayi .
Bohut kuch ho raha tha jiske baare kuch samajh paane ki koshish nakam ho Rahi thi aur arnab iski teh tak jaana chahta tha