parkas
Well-Known Member
- 30,774
- 66,328
- 303
Nice and awesome update...UPDATE-2
Break ke time harsh janvi ke sath bas canteen ki taraf jaa hi rha hota hai
Janvi:- harsh tumhe pata hai na ki humare collage mai iss saal ke carnival mai ek dance competition bhi ho rha hai
Harsh:- haa suna maine bhi uske baare mai toh
Janvi:- toh kya harsh hum dono nhi isme part lenge or dekhna hum hi jeetege
Harsh:- dekhege par abhi mera ye dance ya kisi or cheez ka mood nhi hai
itne mai wo canteen phoch jaate hai or harsh dekhta hai ki manya ke sath koi ladka tha
ye dekhkar harsh ko pata nhi bilkul acha nhi lagta or wo unke paas jakar bolta hai ki
Harsh:- manya kya baat hai kya ye tumhe pareshan kar rha hai
ladka:- aare nhi Tum galat samjh rhe ho mai or manya toh dance competition mai ek sath part lene ke baare mai baat kar rhe the
ye sun kar harsh ka dimag kharab ho jaata hai or wo uss ladke ka collar pakar kar bolta hai
Harsh:- kya be tu manya ka dance partner banega ( harsh ko khud nhi pata tha ki wo ye sab kyu kar rha hai )
Manya harsh ko yu gusse mai dekh ek dum se ghabra jaati hai kyuki wo aise gussa bhot kam hi karta tha
manya:- harsh shant ho jao Rahul (uss ladke ka naam ) sirf mujh se puch rha tha ki kya mai uski dance partner banu
Harsh ko pata nhi or gussa aa jata hai or wo Manya ka hath pakar kar usse apne sath collage ke ground mai le jaata hai
harsh:- mayu kya hai ye sab
Manya:- harsh kya hua calm down wo sirf mujhse puch rha tha
harsh:- acha kya tum usse pasand karti ho (harsh ko khud nhi pata tha ki wo usse aisa kyu puch rha hai)
manya:- aare nhi harsh tumhe aise kyu laga
harsh:- bas aise hi pakka na
Manya:- aare haa baba
harsh:- thik hai toh tum usse ab baat nhi karna
Manya;- par kyuu
harsh:- bas aise hi mujhe pasand nhi wo
Manya:- thik hai nhi karugi
harsh:- chalo ab class mai chalte hai or haa iss baar ke dance competition mai tum meri partner banogi
ye bolkar harsh waha se chala jaata or manya shock mai rhe jaate hai usse bikul umeed nhi thi ki harsh usse apna dance partner banne ke liye bolega
fir manya bhi class mai jaati hai or Avni ke sath baith jaati hai
avni:- kya hua manya
Manya:- pata nhi yaar harsh ko achanak kya hua bol rha hai ki rahul se baat mat karna or wo mujhe apna dance partner banne ke liye bol rha hai
Avni:- ohh acha matalab mera Shaq sahi nikla
Manya:- kaisa shaq
Avni:- yehi ki harsh bhi tujhse pyaar karta hai but abhi usko ye baat realise nhi hai
manya:- aare ye tu kya bol rhi meri kuch samjh nhi aa rha
Avni:- aare dekh terko Rahul se baat karta dekh usko jealousy hui or wo terko uske sath dance karte nhi dekh sakta isliye usne tujhe apna partner banne ko bola
manya(khush hote hue) :- aare haa shayad tu sahi bol rhi hai ohh god
Avni:- ab abhi tu uska ye pyaar bhar lane ki khosish kar
or yehi harsh ko ye samjh nhi aa rha tha ki usne aise react kyu kara or mujhe usko uss ladke ke sath dekhar itna gussa kyu aaya
tabhi harsh ka dost yash usse pareshan dekhar uske pass aata hai harsh usse sab bata deta hai
ye sab sunkar yash muskurate hue usse bolta hai
yash:- bhai bura na mane toh ek baat bolu
harsh:- aare yash aise kyu bol rha hai bol jo bolna hai
yash:- bhai mujhe lagta hai tujhe pyaar ho gya hai manya se
harsh:- yash pagal ho gya hai kya kya bole jaa rha hai behan hai wo meri
Yash:- toh isme bura hi kya hai or ab toh ye comon hai or mujhe lagta hai wo bhi tujhse pyaar karti hai
harsh:- lekin...
yash:- dekh yaar tera usko kisi or ke sath dekar jealous hona uski care karna sab bata rha hai
harsh:- chor yaar ye sab
YAsh:- sach se kitna bhi bhaag le par wo badlta nhi
yash ki baate sunkar harsh soch mai doob jaata hai
TO BE CONTINUED....