Thanks bhai... and yeh jaan kar achha laga k ap itne dhyan se padh rahe hain... mujhe laga tha k shayad hi kisi ko Vikramjeet ke bare mein yaad ho... khair next updates mein boht kus hone wala hai.... so plz keep supporting...wow romantic update bhai. ohh rashmi surbhi he aur thakur vikramjeet singh ki mangetar he bohat bada jatka laga re
. next update ke liye intazar rahega.
Shandar update bhai vaise mujhe to pahle se hi pata tha ki Rashmi hi wo ladki hogi jiski wajah se wo jhagda hua tha...Update 22
Rashmi v buri tarah se ghabra gayi thi… uske chehre ki hawayian udi huyi thi aur wo Itna dari huyi thi k uski ankhon mein ansoo utar aye the… wo kisi v pal ro deti… udher Aarav ke munh se kus nikal hi nahi raha tha… Use toh jaise shock laga ho… wo baar baar Kabhi Rashmi ki taraf toh kabhi uske ID card ki taraf dekh raha tha… kus palon ke baad jab wo thoda sambhla toh uske munh se bas ek hi naam nikal paya “Surbhi Sharma…”
Ab age…
Aarav(chonkte huye): tumhara naam… Rashmi nahi hai… tum Surbhi ho…
Aarav ne jaise hi Rashmi ka asal naam padha wo jhat se chair se khada ho gaya… Udher Rashmi matlab k Surbhi wahin chup chap sir jukaye baithi thi… uske paas koi jawab nahi tha Aarav ke is swaal ke…
Aarav(gusse mein): itna bada sach chhupaya tumne… yaar har insaan kabhi na kabhi jhuth bol sakta hai… But tumhari toh pehchan hi jhuthi nikli…
Surbhi(rote huye): Aarav plz meri baat suno… meri majburi thi…
Aarav(aur jyada gusse mein): yaar aisi v kya majburi… tujhe pata hai apni pehchan wo log chhupate hain jinhone kus galat kiya ho…
Surbhi (uth kar Aarav ke paas ate huye): maine kus galat nahi kiya hai… Aarav meri baat suno…
Aarav ka ab apne gusse par koi control nahi tha… aksar jis par hum boht jyada trust karte hain wo kus jhuth bole toh boht jyada takleef hoti hai… kus aisi hi halat is waqt Aarav ki thi…wo ab aur wahan nahi rukna chahta tha… usne Surbhi ka hath pakad kar uska ID card uske hath mein diya aur wahan se nikal gaya…
Aarav(bahar jate huye): aj ke baad mujhe kabhi apni shakal mat dikhana… main ek jhuthe insaan se koi rishta nahi rakhna chahta…
Surbhi: plz ruk jao Aarav… main tujhe boht jyada pyar karti hun… nahi reh paungi tumhare bina… plz Aarav…..
Surbhi peeche se Aarav ko bulati rahi but Aarav ne uski ek na suni aur gusse mein wahan se nikal gaya… Usko itne gusse mein bahar ata dekh Vicky ne usse baat karne ki kosish ki but wo uski koi baat sune bina wahan se chala gaya…
Vicky: yaar isko kya huya…
Fir wo sabhi Us room mein chale gaye yahan Surbhi jameen par baithi ro rahi thi… Unhone jaise hi Surbhi ki aisi halat dekhi toh wo sab buri tarah se ghabra gaye aur Bhag kar Surbhi ke paas chale gaye…
Kiran(Surbhi ke paas baith kar): Surbhi yeh sab kya ho raha hai… pehle Aarav aise gusse se bahar chala gaya aur ab tu yahan paglon jaise ro rahi hai…
Subhi(rote huye): Kiran use sab pata chal gaya hai aur ab wo boht jyada naraz hai mujhse…
Kiran(chonkte huye): kya… huya kya hai puri baat toh bata…
Fir Surbhi ne subakte subakte Un logon ko sari baat bata di… Puri baat sunne ke baad Kiran aur Sana tension mein the toh Faiz, Vicky aur Ashu buri tarah se chonk gaye the…
Vicky: tumhara naam Rashmi nahi hai kya…
Surbhi: nahi mera naam Surbhi Sharma hai…
Ashu: Toh tumne hum logon ko jhuth kion bola… ab Aarav toh bura manega hi na… wo boht kam dinon mein tumhare itna kareeb a chuka tha k use toh yeh jhatka boht buri tarah se laga hoga…
Faiz: Han tumhe aisa nahi karna chahiye tha…
Surbhi: yaar maine yeh sab shauk ke liye thodi na kiya hai…
Kiran(Surbhi ko rokte huye): dekho yeh sab meri wajah se huya hai… ismein Surbhi ki koi galti nahi hai…
Vicky: kya… tumhari wajah se kaise…
Kiran: tum logon ko yaad hai k jab hum log project ke liye mile the toh maine hi Surbhi ka intro diya tha… wo toh apna real name batane hi wali thi but usse pehle maine uska naam Rashmi bata diya…
Faiz: Han par tumne aisa kion kiya…
Kiran: asal mein Surbhi kayi dinon se Aarav ko chhup chhup kar dekhti thi… main aur Sana yeh sab notice karti thi aur us din jab project ki wajah se ise Aarav ke sath dosti karne ka mauka mila toh maine socha k kahin iska asli naam jaan kar Aarav isse Dosti karne se dar na jaye… isliye maine yeh sab kiya… baki meri koi galat intentions nahi thin…
Vicky: but tumhe yeh sab karne ki kya jarurat thi… Aarav kion darta Rashmi I mean Surbhi se dosti karne se…
Surbhi(rote huye): tumko yaad hai us din kus aadmion ne ek ladke ko parking mein buri tarah se peeta tha…
Ashu(kus soch kar): Han toh…
Surbhi: use jis ladki ki taraf dekhne ki wajah se peeta gaya tha wo ladki main hi hun…
Ashu(buri tarah se ghabra kar): matlab unhone us ladke ko sirf is liye peet diya kionk wo tumhari taraf dekh raha tha… Toh Aarav ka wo log kya haal karenge jab unhein tum dono ke bare mein pata chalega toh…
Surbhi(Nirash hokar): isliye maine ek din Aarav se baat na karne ka decision v liya tha but main usse baat kiye bina nahi reh payi… but abhi koi tension nahi hai na toh kabhi Aarav mere se baat karega na kabhi use koi meri wajah se problem hogi…
Vicky(Surbhi ke paas akar uske kandhe par hath rakh kar): dekho tum aise sad mat ho… Aarav ko main samjhaunga… abhi wo gusse mein hai… yahan tak use main janta hun kal tak thik ho jayega fir use sab bata dunga…
Ashu(buri tarah se ghabra kar): bhai mujhe tension Aarav ki nahi hai… wo toh shayad maan hi jayega but jab un logon ko pata chalega toh wo Aarav ke sath sath hum sab ka v keema bana denge…
Faiz: Sale tu ek gunde se dar raha hai… hum mil kar dekh lenge us do takke ke gunde ko…
Ashu: Are bhai wo do takke ka gunda nahi hai… uske paas aadmion ki puri fauj hai...
Surbhi: han Ashu theek keh raha hai… tum log Aarav ko kus mat kehna… Shayad mere se dur rehne mein hi uski bhalayi hai…
Vicky: tum Aarav se pyar karti ho na?
Surbhi: Han apni jaan se v jyada…
Vicky: Toh bas simple hai… tum usse pyar karti ho aur wo tumse… ab jab miyan biwi razi toh kya karega kazi…
Faiz: han sahi kaha…
Surbhi(jameen se khade hote huye): nahi Vicky… plz tum dono use kus mat batana… Vikramjeet ek bigda huya Raeeszada hai… agar meri wajah se Aarav ko kus v huya toh main jinda nahi bach paungi…
Kiran: par…
Surbhi: nahi maine keh diya na ek baar… ab koi behas nahi hogi… agar kisi ne v Aarav ko kus v btaya toh main sab kus chhod chhad kar yahan se hamesha ke liye chali jaungi…
Yeh bol kar Surbhi wahan se bahar chali gayi aur sab log helpless se khade use jate huye dekh rahe the… Tabhi Kiran aur Sana v uske peeche jane lage toh Faiz ne un logon ko rok diya…
Faiz: ruko main tum sab ko tumhare ghar chhod deta hun…
Itna bol kar Faiz unke sath bahar ko nikal gaya…Vicky aur Ashu wahin khade un logon ko jate huye dekhte rahe… Bahar sab log Diwali ki khusian mana rahe the toh idher kus logon ki khusian hi ruth gayi thi… abhi Na jane age aur kya kya hone wala hai…
To be continued…
Thanks bhai... toh fir apne sahi hi socha tha...Shandar update bhai vaise mujhe to pahle se hi pata tha ki Rashmi hi wo ladki hogi jiski wajah se wo jhagda hua tha...
Thanks bhai... keep supporting...New twist.....
Surbhi pehle se hi Aarav ko pyar karti hai....
Lekin woh apni pyar ke khatir usse door rah rahi thi....
Aarav bhi gussa ho gaya hai. ...
Story gets more interesting....
for the update