Rockstar_Rocky
Well-Known Member
- 9,003
- 36,964
- 219
YouAlreadyKnowMe Sangeeta Maurya ji,
Aaj se aapka naam 'Lekhika ji'!
To lekhika ji, jaankar khushi hui ki aap bina meri madd ke apni kahaani yaani apni aap-beeti likh rahi hain. Iske liye meri or se badhaai
Aapka likhne ka andaaz ekdum raw hai, ye andaaz kuch-kuch waisa hi hai jaisa main shuru amien likhta tha. Main jis 'phase' se guzra tha us dauran mujhe OCD ho gya tha jiska asar ab bhi mujh par hai. Mujhe ye adhuri likhaai dekh kar kuch ajeeb sa hone lagta hai! Wo adhure sentences, lack of punctuation mark etc dekh kar dimaag mein jhurjhuri si chhut jaati hai. Koshish kariyega ki aap sentences poore bnaayein or ye (.........) ka istemal kam se kam karein. Punctuation marks jahan jahan jarruri lagein wahan likhne ki koshish karein. Main ye sujhaav ek reader hone ke naate de raha hun, aapki koi galti nahin nikaal raha.
Ab baat krte hain ki aapki abhi tak jo bhi update thi use pdh kar mujhe kaisa lga? To main is waqt kuch bhi nahin kahunga, haan itna avshy kahunga ki ek reader hone ke naate main aapke saath avshy bnaa rahunga. Maine 'Silent Readers' ko bahut criticize kiya hai isliye main khud silent reader nahin banunga. Jahan tak ho sakega main aapka honsla badhaata rahunga.
Mere kuch mitrgan mujhe yahan na paa kar dukhi the, to unhein main in dinon ki gatividhiyaan btaana chahunga:
3 hafte pahle apne ek dost ke saath main peene ke liye baahr nikla. Hmaari manzil thi paas ka park or iraada tha beer peene ka. Parantu niyati ko kuch or manjoor tha isliye hamein na to Beera White mili, Na Kingfisher Ultra mili or yahant tak ki Tuborg (jise main waise bhi nahin peeta) wo mili! Le de kar wahan Bhutan ka ek brand tha jis par 'Lager' likha tha isliye humne kuch naya trk krne ki chull mein wo beer le li.
Swaad mein beer achhi thi, thodi si sweet thi or nasha naam maatr ka tha. Ab beer le kar hum park mein pahunche magar wahan ghum raha tha security guard! To apni chaud dikhaane ke liye humne chaokidaar ke exactly peeche khade ho kar pee. Shayad isi ko kahte hain diye tale andhera!
Khair, beer pee kar ghar lauta or sab kuch theek thaak tha. Smsya shuru hui agle din se jab subah uthte hi mujhe jukhaam ne jkda, gale mein khraash hone lagi. Dopahr hote-hote thand lagne lagi or fir bukhaar ne jakad liya. 4 baje crocin li to bukhaar utrte-utrte raat ke 7 baj gaye. Agle din se gala dukhne laga, dryness badh gai or kuch bhi swallow karne mein drd hone laga. Doctor ko dikhaayaa to unhone kaha ki mujhe 'chronic pharyngitis' hai. Bas tabhi se 5-5 din ke course kiye jaa raha hun, jab tak dwaai chalti hai tab tak sab 'changa si'. Lekin dwaai khtm hote hi, fir dheere-dheere drd hone lgta hai. Abhi bhi kabhi-kabhi gale mein drd uthta hai. Kuch din dekhta hun, nahin to fir se dwaai karwaaunga.
kamdev99008 sir ji,
Kaala ishq ka dusra adhyaay likhna shuru karunga, lekin is baar ka plot bahut-bahut ganda hone wala hai! Koshish karunga ki garda udaaun!
Filhaal swasth hone par dhyaan de raha hun.