Story - बंदिश
Writer -
Adirshi
"बंदिश" ek aisi kahani hai jo prem, khoya hua pyaar, aur ummeed ke beech ke jatil rishtey ko explore karti hai. Varsha, jiske pati Vivek ke gayab hone ke baad zindagi ruk si gayi hai, is kahani ka kendra hai. Uska dard, uski tanhayi, aur uski uljhan ko lekhak ne bade hi karigari se bayan kiya hai. Baarish ka mausam, jo aksar romanticism aur nayi shuruaat ka pratik hota hai, yahan Varsha ke liye udaasi aur yaado ka ek silsila ban gaya hai.
Amit ka kirdaar, jo Varsha ke liye ek dost aur shayad kuch aur bhi hai, kahani mein ek nayi pechidagi daalta hai. Kya wo Varsha ke dukh ko kam kar sakta hai? Kya wo use uske atit se aage badhne mein madad kar sakta hai? Ye sawal kahani ke ant tak reader ko bandhe rakhte hai.
Lekhak ki bhasha aur shaili shaandaar hai. Shabdon ka chunaav, vakyo ki sanrachna, aur pratikattmakta ka istemaal kahani ko ek alag hi star par le jaata hai. Phool, baarish, aur mausam ke badlav Varsha ki mansik sthiti ko darshate hain. Ye prateekattmakta kahani ko aur gehra aur arthpurn banati hai.
Kahani ka plot bhi kaafi majboot hai. Vivek ka gayab hona ek rahasya hai jo kahani ke ant tak suspense banaye rakhta hai. Aur ant me jo khulasa hota hai, woh readers ko hairaan kar dene wala hai. Ye ek aisa twist hai jo kahani ko yaadgaar bana deta hai.
Is kahani ki ek aur vishesh baat yeh hai ki isme koi bhi paatra bilkul saaf nahi hai. Har ek paatra ke apne-apne dosh aur kamzoriya hai, jo unhe insaan banati hai. Yeh kahani hume ye sikhati hai ki jeevan mein koi bhi faisla sahi ya galat nahi hota, bas paristhitiyan badalti hain.
Ant mein, "बंदिश " ek aisi kahani hai jo apne prabhavit karne wale kathanak aur gehrayi se reader ke man mei apni chhaap chhod jaati hai. Ye kahani un sabhi ke liye padhne layak hai jo ek gehri aur sochne par majboor karne wali kahani ki talash me hai. A must read story :claps2