Update 1...
Ye kahani suru hota hai ek gaw se jo jangalo me basa hua tha.. aur ussi gaw me ek ghar tha jo khar ka bana hua madai(ghar) tha ussi me do tin room type bana hua tha aur bich me angan tha aur nahane aur toilet ke liye ek aur ussi ghar ke sata hua khar(ghas fus) ka ek chhota sa ghera bana hua tha usme nulka bhi nahi laga tha aur do tin bade bade pathar the jinpe baith ke nahaya doya jata tha aur kapda ya bartan dhoya jata tha..
Iss ghar me 5 sadasya rahte the jisme ghar chalane wale mukhya admi gopal das the lekin abhi ye 6-7 salo se jyada tar bimar hi rahte hai inke umar 45sal tha aur unki patni rajeshwari jo 40 sal ki thi..
Inke 3 betiya hai ek beta tha jisse 1.5 sal ke umar me daku ne utha le gaye the wo bahut dubla patla kamjor bhi tha kyo ki uske samay me uski maa ki dudh hi jal gai thi aur ek bund bhi nahi pi paya tha apni maa ki dudh ko jiske wajah se wo gaye bhains ke dukh pi kar jita tha lekin uss dudh me v bahut pani hota tha iss liye wo kamjor ho gaya tha.. jo do number me hua tha .. sabse badi beti
1.. Sandhya thi jo 8thwi tak padhi hai.. aur bahut khubsurat hai apni maa ki tarah abhi wo apni maa ke sath logo ke kheto me kaam karti hai.. age 23 sal...
2.. Raj jo 1.5 sal ke umar me kidnappe ho gaya tha... Sandhya se 2 sal chhota tha...
3.. shikha age 19, 4.. radha age 18, ye dono 5th,6th tak hi padhi thi kyo ki inka halat aisa ho gaya hai ki inke pass book pen kharidne tak ke paise nahi the...
iss liye abb ye padhai chhod di hai.. ye dono bhi bahut khubsurat hai .. sab maa beti bahut gori hai aur nain naks bhi bahut sundar hai..
Dono maa beti jo bhi paise kamati hai usme me se jyadatar gopal ke bimari me lag jata tha.. aur thoda bahut bacha kar khane pine ke liye rasan kharid lete the ... Aur baki sab kuchh ko to bhul hi jao jaise naya kapda acha pakwan inke liye sapna ho jata tha.. kul mila kar inka jindagi bass kisi tarah kat raha tha...
Dopahar ka samay tha iss wakt pura dhup nikla hua tha.. rajeshwari kheto me kaam karne gai thi .. aur ye tino bahne jangal me sukhe lakdi chunne gai thi.. aur abb tak wo kaam bhar ke lakdi chun chuki thi aur phir aane se pahle wo nadi ke kinare me jati hai wo nadi bahut bada chaura tha .. wo hath muh dhone lagti hai aur phir jane lagti hai ki tabhi radha ko nadi ke kinare kuchh dikhta hai jisse dekh kar wo dar jati hai aur apni didi ke kamar ko pakad leti hai phir wo kampti awaj me apni didi se bolti hai .
Radh - didi waha dekhiye koi lash (dead body) hai jaldi chaliye yaha se.. mujhe dar lag raha hai..
Radha ki bat sun kar Sandhya aur sikha udhar dekhti hai to wo bhi dar jati hai aur radha ki tarah unke bhi dil dhak dhak karne lagta hai ... Lekin phir bhi Sandhya himmat karti hai usse cheak karne ki..
Sandhya - babi(radha) daro mat mai hu na chalo dekhte hai wo jinda hai ya mar gaya hai...
Radha - didi mujhe dar lag raha hai ..
Sandhya - babi ye galat baat hai hame dekhna chahiye kahi wo jinda ho to ..
Radha - thik hai chaliye...
Phir tino bahne uss lash ke pass jane lagti hai .. aur phir Sandhya himmat kar ke usko nadi ke kinare se thoda uppar lati hai jisme uski bahne bhi madad karti hai.. phir jab unka dhyan uss lash ke chehre pe jati hai to thoda chaunk jati hai sab kyo ki wo ek ladka tha jo Sandhya ki umar ka lag raha tha jo bilkul unke jaise hi dikh raha tha..
Sikha - didi ye to hamlog jaisa hi dikh rahe hain ..
Sandhya - ha sikha sahi bol rahi ho. ruko inko cheak karti hu ye jinda hai bhi ya nahi..
Phir sabse pahle Sandhya uske sas ko cheak karti hai to pati hai uske sas bahut dhire dhire chal raha tha .aur phir wobbolti hai...
Sandhya - sikha ye jinda hain chalo inko jaldi se baidh ji se dikhate hai ...
Radha - ha didi chaliye lekin didi hamare pass paise kaha se aayenge...
Sandhya- mai hamlogo ke kapda kharidne ke liye thode paise bachai thi wo hai ussi ko de denge baidh ji ko...
Radha - didi phir jaldi inko le chalte hai...
Phir wo apne lakdi ko wahi chhupa deti hai aur phir wo tino mil ke kisi tarah uss ladke ko apne ghar le jati hai .. unka ghar sabse bahar hi tha iss liye unhe koi nahi mila tha raste me aur waise bhi dhup bhi bahut nikla tha iss liye sab iss wakt aaram kar rahe the ...
Ghar aane ke baad Sandhya sikha ko baidh ji ko bulane ke liye bhej deti hai ye bol ke ki babuji ka tabiyat kharab hai..
Aur phir wo radha ke sath mil kar uss ladke ka gile kapde badalne ka faisla karti hai...
Aur phir wo apne babuji ka dhoti kurta lati hai aur khat pe lete huye uss ladke ka shirt nikalne lagti hai tabhi usse dikhta uss ladke ka sharir jagah jagah pe kata hua hai aur uske right shine pe do chhed dikh raha tha jisme se thoda thoda khun rish raha tha .. itna dekh kar Sandhya ko malum ho jata hai ki koi isko marne ki kosis kiya tha.
Itna ghaw dekh kar Sandhya usse kurta nahi pahnati hai kyo ki abb usse baidh ji ko dikhana tha phir uska paint nikalne ka bari aata hai saram to aa rahi thi lekin abhi saram waram karne ka time nahi tha iss liye usne radha ki madad se uska paint bhi nikal di jo thoda muskil se nikla kyo ki wo jeans tha..abb wo sirf underwear me tha phir Sandhya uske chaddi bhi nikal deti hai hai aur uske uppar dhoti se dhak deti hai .. ek baat tha uske kamar ke niche koi cut ya chot ka nishan nahi tha...
Idhar baidh ji aa jate hai aur phir unko uss ladke ke pass le jati hai sab.. baidh ji uss ladke ke sine pe lage huye do goli ko dekh kar hairan ho jate hai aur phir unse puchte hai ye ladka kaun hai ...
Phir Sandhya sab bata deti hai.. uske bad baidh ji uske sine se goli nikalte hai phir uspe take lagate hai .. aur phir baidh ji bolte hai kisi ko uske sath chlne ko .. wo jadi buti ka lep lagane ko denge..
Aur phir Sandhya paisa lati hai aur baidh ji ko deti hai lekin baidh ji sirf jadi buti ka paisa lete hai wo bhi bahut kam aur phir Sandhya sikha ko baidh ji ke sath bhej deti hai...
Abb tak gopal bhi sab Jan gaye the jab baidh ji aaye the to wo bhi wahi par the ..
Gopal (Sandhya se) - beti tumne bahut achha ki inka madad kar ke. Kya pata ye tumlogo ki madad se bach jaye.. aur achhe se khayal rakho . Mai aram karne jata hu.. aur ek baat ye biluk tumlogo jaisa dikh raha hai aisa lag raha hai jaise ye tumlogo ka bhai hai jisse bachpan me dakuo ne utha le gaye the... Khair koi baat nahi achhe se dekh bhal karo...
Aur phir gopal apne room me chale jate hai aur khat pe so jate hai..
Thode der me hi sikha aa jati hai sayad wo bahut jaldi aai thi iss liye haf bhi rahi thi..
Sikha - didi ye jadi buti ka lep inke ghaw pe lagana hai... Aur phir uske upper ye pata ko rakh dena hai jisse jadi buti hat na jaye..
Sandhya- thik hai do mai lagati hu tum dono meri madad karo...
Phir Sandhya uppar side me laga deti hai aur uske uppar patte bhi chipka deti hai phir pith ke taraf lagane ke liye thoda uske karwat pe karti hai phir uske pith pe bhi lagati hai udhar bass ek hi cut tha... Abhi Sandhya laga hi rahi thi tabhi radha apni hath me kuchh le kar bolti hai..
Radha - didi ye dekhiye ye locket to bilkul apki locket ke tarah hai ...
Radha ki bath sun kar Sandhya aur sikha bhi udhar dekhti hai ..
Sikha - ha didi ye to bilkul same to same hai ..
Sandhya- ha lekin ye kaise ho sakta hai kahi sach ye hamare bhai to nahi hai.. maa se puchenge aur bhi kuchh nishan ke bare me ..
Radha - haa didi aur aap dekhi thi jo jangh pe kala nisan tha usse lassan bolte hai.. maa se puchenge bhai ke sarir me kaha kaha nishan tha.. aur di ek bar aankh dekh lete hai kaisa hai kala ya bhura(broun) hai...
Itna bol kar radha uss ladke ka aankh ka palak bhi uthane lagti hai jisse uski dono didi bhi dekh rahi thi... Aur jaise hi radha ankh ki palak utha kar dekhti hai to uski ankhe bade bade ho jate hai . Aur shock me bolti hai..
Radha - didi didi ye dekhiye kinta sundar aankh hai inka mai to aaj tak aisa ankh nahi dekhi thi
Blue rang ka bhi kisi ka ankh hota hai kya ...
Sandhya (dhime se) - ha babi mai bhi nahi dekhi thi itni sundar ankh .. aur ye kitna khubsurat hai..
Sikha- kash ye hamare bhai hote to mai inhe kahi nahi jane deti..
Radha- ha didi aap sahi boli..
Sandhya- ye hame thodi hi pahchanenge kya pata inka bhi koi aur maa babuji honge... Lekin usse pahle inhe sahi to ho jane do...
Phir uss ladke ko achha se dhak kar sula deti hai
Aur Sandhya sikha jaldi se apni lakdi lane jangal me chali jati hai abb kiran bhi dubne wala tha ...
Idhar rajeshwari bhi kheto me se kam kar ke aa gai thi phir hath muh dho kar ghar me jati hai..
Aur aur apni betio ki room me jati hai to dekhti hai radha khat ke nische baithi hui hai kisi ko dekh rahi hai aur kabhi kabhi pankha bhi hak rahi hai jo khat pe soya hua tha...
Aur phir jaise hi rajeshwari waha ja kar kuch puchne ki hoti hai lekin khat pe soye huye sadasya ko dekh uski awaj hi ruk jati hai phir wo dhime aawaj me puchti hai ...
Rajeshwari - beti ye kaun hai ...
Phir radha sab kuchh apni maa ko batati hai ...
Rajeshwari - thik kiya beti tumlogo ne... Aur ye to bilkul mere bete jaise lag raha hai..
Radha - maa inke gale me ek locket hai jo bilkul didi ki locket jaise hi hai..
Rajeshwari radha ki iss bat ko sun kar thoda shocked hoti hai .
Rajeshwari- beti wo to maine hi bahut sal pahle kharidi thi ek Sandhya ko pahnai thi aur dusra tumhare bhaiya Raj ko pahnai thi ..
Radha ko apni maa ki baat sun kar ek ummid jagti hai iss liye abb aur bechaini hoti hai aur wo dusra sawal bhi puchh deti hai..
Radha- maa bhaiya ke sarir ka koi nisan aapko yaad hai to bataiye...
Rajeshwari thoda dimag pe jor deti hai tabhi usse kuchh kuchh yaad aata hai...
Rajeshwari - beti tumhare bhai ke jangh pe thoda bada kala lassan tha aur aur uska ankh bhi nila(blue) rang tha...
Radha apni maa ki aawaj sun kar khushi se shocked ho jati hai aur uski ankh se pani bhi nikal jati hai aur phir bolti hai...
Radha - maa ye hamare bhai hi hai aapne jo jo boli wo sab sach hai ..
Rajeshwari - kya tum logo ne cheak kiya tha..
Radha - ham maa kapda balalte wakt wo nisan dikha tha aur phir maine hi ankh dekhi thi aapse puchhne ke liye ....
Rajeshwari bhi baith jati hai aur uske galo pe hath ferne lagti hai aur uski ankh se anshu bhi nikalne lagti hai aur phir bolti hai...
Rajeshwari - mai to ek jhalak me apne bachhe ko pahchan gai thi.. uppar wala se prathna karo ki hamara bachha thik ho jaye ... Aur pata na kaun papi hamare bache ka aisa hal kiya hai ..
Radha - maa jisne bhi inka ye hal kiya hai n usko to mai chhodungi nahi bass bhaiya ko thik ho jane dijiye phir unn sabko sabak sikhaungi .
Rajeshwari - jano do beti gussa mat karo aur apne bhai ka khayal rakho... Kam se kam hame hamara bacha to mil gaya...
Rajeshwari - aur Sandhya aur sikha kaha hai abb tak ...
Abhi radha kuchh bolti usse pahle hi wo dono aai thi aur Sandhya boli ...
Sandhya - maa ham log aa gaye hai...
Phir sab ghar ke kamo lag jati hai aur radha bass apne bhai ke pass rahti hai..
.
..
....
.............
3 din pahle..