solo nightstar
Member
- 278
- 135
- 43
Jabardast action wala update thaEpisode 16 mega update
Fight with rank 3
Ochyra University ke grey barrack ke saamne pehle saal ke students aapas mai batey kar rahe thay, sab apne lecturer ka intezaar kar rahe thay jo field test start karne wala tha.
Ek larka apne doston se bola,
"Chalo bet lagate hain, sabse zyada score kaun karega?"
Dusra larka hans kar bola,
"Ye koi sawal hai? Idris Crawford, class 1-D ka, woh hi top karega."
Tabhi ek larki unke paas aayi aur kehti hai,
"Mujhe nahi lagta itna aasan hoga, woh peak rank 3 Awakened hai lekin Harmen bhi abhi rank 3 par pohanch gaya hai. Usay underestimate mat karo."
Students batey karte rahe, magar bheed mai ek shaks bilkul seedha aur sakht chehra liye khada tha – Sikandar.
Uske chehre par ghussa aur jazba dono tha.
Adhara aur Rosie uske sath thi. Dono ek doosre ko dekh kar samajh gayi thi ke Sikandar bohot bure mood mai hai. Red barrack se nikalne ke baad wo bilkul badal gaya tha. Usne baat karne ki koshish ki, magar Sikandar ne dono ko ignore kar diya.
Rosie aur Adhara ne uske zakham bandhe aur decide kiya ke abhi usay akela chhod dena behtar hai.
---
Grey barrack ka andar ka manzar red barrack se bohot bara tha – bilkul football stadium jitna. Aage ek bara maze tha jismein 30 entrances thay, har darwaze se dhundh nikal rahi thi aur pur asrar hawa chayi hui thi.
Thodi der baad Dave aur 5 lecturers saamne aaye. Ek muscular aadmi jiske chehre par bara zakham tha, awaaz ko magic se tez karte hue bola:
"Aaj tum sabka field test shuru hota hai. Ye maze asal mai ek Skeleton Cemetery hai. Tum log group bana sakte ho, max 5 log ka. Hum tum par nazar rakhenge, danger mai ho toh chillana. Ye test 2 din chalega, aur sabse zyada score wali team ko reward milega."
Phir usne rule samjhaya:
Rank 1 skeleton = 1 point
Rank 2 skeleton = 10 points
Rank 3 skeleton = 100 points
Points watch mai record honge, sirf skeleton chhoona hoga.
Ek student ne poocha,
"Sir, kya hum doosron se points chheen sakte hain?"
Lecturers muskura kar bole,
"Haan, lekin kisi ko maarne ki koshish ki toh hum khud tumhein maar denge."
Students ka rang ud gaya – sab lecturers kam az kam peak rank 4 Awakened thay.
Ek lambi larki jiske laal baal aur ankhen aag ki tarah chamak rahi thi, haath taali bajakar boli:
"Rules samajh gaye? Toh FIELD TEST SHURU HOTA HAI!"
---
Students apne apne entrances ki taraf daud pade. Kuch bohot tez, kuch dheere.
Sikandar, Adhara aur Rosie right-most entrance ki taraf gaye. Sikandar ko mehsoos ho raha tha ke wahan skeletons zyada hain. Uske dil mai ek hi khayal tha:
"Mujhe aur mazboot banna hai!"
Unko pata nahi tha ke unke peeche 5 logon ka group aa raha hai. Uska leader spiky black hair wala, black combat suit pehne hue aur haath mai saber pakde khatarnak aankhon se unhein dekh raha tha – Lucas Platchi.
---
Kuch der chalne ke baad Sikandar ruk gaya aur Adhara aur Rosie se bola,
"Tum dono ne kabhi supernatural se ladai ki hai?"
Dono ne ek dosre ko dekha aur ek saath bola,
"Nahi."
Sikandar ne apna chehra hath se daba kar kaha,
"Skeleton se ladai karni ho toh unka sir chur chur karna. Warna wo dobara uth khade honge."
Adhara muskara kar boli,
"Samajh gayi."
Rosie aankh ghumate hue boli,
"Got it… skeleton me kya mushkil hai."
Sikandar ne sar hila kar aage barhna shuru kiya.
---
Achanak unke saamne raasta band ho gaya – ek badi deewar. Wapas mudne ka soch rahe thay ke zameen se aawaz aayi:
"Raaawrrr!"
"Rooaaarrr!"
Dozens skeletons zameen se nikal aaye. Kuch ke haath mai talwar, kuch ke haath khali. Chehre pe latki hue jildi tukray aur khal ke sath woh bohot hi ghaleez lag rahe thay.
Adhara aur Rosie ki saansen ruk gayi, wo peeche hatt gayi.
Lekin Sikandar ne zara dair nahi ki. Usne sidha aage jump lagaya aur ek skeleton ka sir apne paon se tod diya.
BAM!
System ki awaaz uske dimagh mai ghoonji:
<Killed Rank 1 Skeleton, Obtained 100 Exp>
Sikandar ki aankhon mai barqi chamak aayi,
"100 Exp? Itna zyada? Ye to bohot acha hai!"
Phir wo puray josh se skeletons ke beech ghus gaya. Uske battle gloves chamak rahe thay, skeletons tod tod kar zameen par girne lage.
BAM! BANG! CRACK!
<Level Up!>
<All stats +1>
<Obtained 3 Attributable Stats>
Adhara aur Rosie ne bhi himmat jutayi aur ladai mai shamil ho gayi.
Rosie ne hawa ke teer bana kar skeletons kaat diye, Adhara ki aag skeletons ko jalane lagi.
Rosie khushi se cheekhi,
"Sikandar dekh! Maine bohot saare maar diye!"
Sikandar usay dekh hi raha tha ke ek skeleton ne achanak Rosie ki ankle pakad kar kaat liya. Dusra skeleton uske paon mai dagger ghusa deta hai.
"Aaaahhh!!!" Rosie cheekhi.
Sikandar ki aankhen khoon se bhar gayi. Usne apni sari taqat jama ki. Zameen uske paon ke neeche foot gayi aur wo shadow ki tarah Rosie ke paas pohanch gaya.
BOOOM!
Uske stomping se zameen phat gayi aur skeletons chur chur ho gaye.
<Level Up!>
<All stats +1>
<Obtained 3 Attributable Stats>
Adhara ne turant Rosie ke zakham ko apni aag se seal karna shuru kiya. Rosie dard se chilayi lekin khoon ruk gaya.
Rosie ne Sikandar ki taraf sharmindagi se dekha aur dheere se kaha:
"Sorry… Sikandar."
Sikandar ne apna sar hila kar kaha,
"Main tumhein pehle hi bata chuka hoon, Skeletons tab tak nahi marenge jab tak unka sar kuchla na jaye. Chal saktī ho?" – usne fikrmand andaaz mein poocha.
Rosie ne gehri saans le kar jawab diya,
"Main chal to lungi, lekin lag yeh raha hai ke main ab lar nahi paaungi… Afsos, itni jaldi bojh ban gayi."
Jab Adhara Rosie ka zakhm band kar rahi thi, Sikandar ne apne stats check kiye.
---
<Stats>
Naam: Sikandar Silverstar
Level: 9 (1120/3400)
Nasl: Half-Blood (Werewolf)
Full-Moon: 24 din – Dark Moon
Berserk: 45%
Sanity: 70%
Mental: 19
Strength: 22 (+3)
Agility: 15
Endurance: 17 (+3)
Intelligence: 0
Attributable Stats: 6
(Aam insaan ke paas her stat 5-7 points hoti hain, siwaye Intelligence ke)
---
Sikandar ke honthon par halki muskaan aayi,
"Accha! Main level 9 tak pohanch gaya. Ab yeh points kahan daalun?"
Kuch dair sochne ke baad usne faisla kiya ke is waqt safe rehna behtareen hoga.
Usne 3 points apne Mental stat mein aur baaqi 3 points Strength mein daale.
---
<Stats>
Naam: Sikandar Silverstar
Level: 9 (1120/3400)
Nasl: Half-Blood (Werewolf)
Full-Moon: 24 din – Dark Moon
Berserk: 45%
Sanity: 70%
Mental: 22
Strength: 25 (+3)
Agility: 15
Endurance: 17 (+3)
Intelligence: 0
Attributable Stats: 0
---
Apni nayi taqat dekh kar Sikandar ko yaqeen tha ke ab woh Noah ka saamna aram se kar sakta hai. Stats dekh kar hi yeh wazeh ho gaya tha ke woh ab rank 3 Awakened ke level mein dakhil ho chuka hai.
Magar isi dauran, usne achanak khatra mehsoos kiya.
Usne jhat se apna sir peeche ki taraf ghumaya – ek tez fireball seedha Rosie aur Adhara ki taraf aa raha tha. Dono larhkiyaan shock mein aankhen band kar ke darr gayin.
Lekin fireball un tak pohanchta, usse pehle hi Sikandar unke samne aa gaya aur ek hi strike mein use rokh diya.
Slash!
Ek karate chop ke saath usne fireball ko tod kar hawa mein hi mita diya.
Apna haath dekh kar uski aankhon mein roshni chamki,
"Ab main puray yaqeen ke saath in bachon ko hara sakta hoon," usne socha.
Samne 5 logon ka group khada tha. Unke agay ek kaala, teekhay baalon wala larka chal raha tha, apni bari si saber kheenchta hua. Agar koi aur hota to dar ke kaanp jata, magar Sikandar ki nazrein bilkul thandi aur beparwah thi.
Woh youth, jiska naam Lucas tha, muskuraya aur bola,
"Toh tum hi ho Sikandar Silverstar? Bohat accha, tumse mil kar khushi hui… Main tumhara qaatil hoon."
Lucas ke bagal mein kharay ek larke ne apni jeb se do pathar nikale, ek laal roshni aur ek grey roshni se chamak raha tha.
Sikandar ke chehre par bhi ek shaitani muskaan phail gayi,
"Samajh gaya… Yeh log ganda khel khelna chahte hain? Toh theek hai… Main bhi ganda khelna jaanta hoon."
---
"Kaun ho tum? Aur kya chahte ho?" Sikandar ne poocha, apni tamam hissiyat maximum tak badhate hue aur battle stance mai aa gaya.
"HAHAHAHA!" Lucas pagalpan se hans pada, phir apne baalon ko pakad kar ruk gaya jaise koi deewana, "Tumne meri ladki chura li, aur upar se meri team ko pit diya?! Tumhari itni himmat!"
Sikandar ne bhinwein sikodi aur Rosie ki taraf dekha, chehre par gussa aur shakk.
Uski nazar seh kar Rosie ne sharmindagi se apna chehra pher liya, wo aankhon mein aankhen daalne ki himmat na kar saki.
‘Huh, deal to deal hai’, Sikandar ne dil hi dil mein kaha aur Lucas ki taraf wapas dekha, "Pehli baat – wo tumhari nahi, meri ladki hai. Doosri baat – tumhari yeh bekaar si logic mujhe samajh nahi aayi."
Lucas ka chehra gusse se lal ho gaya, Sikandar ke alfaaz uske zehan ko aur bhi bhadakane lage. "Main Lucas Platchi hoon! Platchi khandaan se! Tumhari itni majaal ke mujhe zaleel karo?!"
"HAHAHA!" Sikandar uski baat par hans pada, "Majaal? Tum meri nazron mein sirf wo kachra ho jo apne khandaan ke naam ke piche chhup kar jeeta hai."
Lucas ki gardan par nasain ubhar aayi, aankhen laal, saans tez ho gayi. Usne ungli uthai, "Tu...!" lekin baat adhuri chhod di.
Uske honton par ek shaitani muskaan aayi, "Chalo chhodo... Tum to waise bhi ab marne wale ho."
Achanak, Sikandar ke saamne ek notification chamak uthi.
<DING!!>
<Sudden Quest!>
Protect and Defend Rosie and Adhara.
Lucas aur uski team badla lene aaye hain. Bach kar raho aur unhe harayo!
Reward: 1500 Exp + 2 Skill Upgrade
‘Wah! Koi aur raasta to hai nahi’, Sikandar ne socha aur challenge ko accept kar liya.
Lucas ke saath khade chaar ladke bhi usi tarah ke combat suit pehne hue the. Do ke paas koi weapon nahi tha, jabke ek ke paas dagger aur doosre ke paas talwar thi.
‘Do Elementalist aur do magic fighters... Sabhi Peak Rank Two Awakened. Rosie ladai ke qabil nahi hai, bas Adhara hi madad kar sakti hai. Aur Lucas apne gusse ke chakkar mein zaroor larkiyon ko nishana banayega.’ Sikandar ne andar hi andar socha.
Adhara ne dheere se fasaane ki tarah kaha, "Unke haath mein jo grey stone hai wo awaaz block karta hai, aur laal stone kisi tez offensive spell ke liye hai."
Sikandar ki soch tez ho gayi, ‘Grey stone ka matlab lecturers kuch sun nahi payenge. Laal stone khatarnaak hai... pehle usse hi khatam karna hoga.’
Usne zameen ke neeche kuch mehsoos kiya, phir halki si shaitani muskaan uske chehre par chhayi.
Lucas ki team ne apna aura chhod diya, jiski taqat ne Adhara ko dara diya. Wo khud bhi peak rank two thi, magar ek poori team ka saamna karna asaan nahi tha.
Usne Sikandar ki taraf dekha jo paani ki tarah pur-sukoon tha. Uske chehre ki thandak ne Adhara ke dil ko mazboot kar diya.
"Adhara, mera signal milte hi mere elbows ke peeche ek chhota explosion banana, samjhi?" Sikandar ne dheemi awaaz mai kaha.
Adhara hairan hui, "Kar sakti hoon... lekin kyun?"
"Bas karna," Sikandar ne nigaah badle baghair jawab diya.
Lucas dus meter door apni talwar kandhe par rakh kar muskura raha tha. Phir usne talwar se ishara karte hue cheekha:
"KILL HIM!"
Whooosh!!
Do ladke talwar aur dagger le kar bijli ki tarah Sikandar ki taraf bhage.
Lucas ki hansi ghoonj uthi, "Larkiyon ki fikar mat karo, unse main baad mein khel lunga. Pehle is kachre ko khatam karo!"
Do ladkon ki raftar itni tez thi ke aam insan unhe sirf saaye ki tarah dekh pate.
Magar Sikandar ki aankhon se kuch bach nahi sakta tha. Usne Adhara ko ek dhakka de kar side pe kiya aur khud defence mein haath uthaye.
Dagger wala ladka hawa mein uchhal kar Sikandar par jhapta. Dagger par sabz roshni ki lambi layer thi jo usse aur tez aur gehra bana rahi thi.
Sikandar ne bal-bal bach kar usse chhod diya, magar dagger ne uska gaal cheer diya. Khoon tapak pada.
Wo peeche flip karta hua space bana raha tha ki achanak usne talwar apni taraf aati dekhi.
BAM!!
Talwar zameen mein ghus gayi aur zameen phat gayi. Sword-user ne zameen se earth spike bulaya jo seedha Sikandar ki taraf nikal aaya.
Adhara ne cheekh kar kaha: "Ignite!!"
BAM!!
Explosion ne spike ki nok uda di. Us waqt Sikandar ne apna ghussa nikal kar spike ko mukka maara aur tod ke rakh diya.
Sword-user aankh phaad kar reh gaya.
Uski hairani ka faida uthate hue Sikandar ne flash step kiya aur ek second ke andar uske saamne aa gaya.
Sword-user ne hichkichahat se ek rock wall bulayi...
"Wall of Rock!"
Sikandar apna fist peeche kheenchta hai jaise ke woh diwar todne wala ho, lekin achanak uske hont par ek shaitani muskaan aati hai.
Diwar ko punch karne ke bajaye, woh apna paon us par maar kar uchhalta hai aur seedha us aadmi par jhapatta hai jo dagger lekar uske peechay se hamla karne wala tha.
Dagger wala shokh hojaata hai – jo punch woh diwar ko lagne wala samajh raha tha, asal mai ek chaal thi!
"NOW!!" Sikandar cheekhta hai aur apna mukka aage phenktay hue.
Dagger wala apni dono baahon ka X bana kar punch rokne ki koshish karta hai, lekin tabhi Adhara apni elemental mana ikathi karti hai. Uske jism se laal roshni phoot nikalti hai aur woh ek chhoti si explosion Sikandar ke elbow ke pichay banati hai.
BOOM!!
Explosion ki wajah se Sikandar ka mukka bijli ki raftaar se tez ho jaata hai. Dagger wala bas daant bhinch kar khud ko tayar karta hai.
Lekin uske chehre se sirf chand inch door, ek translucent pani ki barrier usay bachaane ke liye ubhar aati hai.
Sikandar ki aankhon mai ek khooni chamak jagmagati hai,
"Force Beam!!"
Uska mukka – jo waise hi itna taqatwar tha ke Rank 3 Awakened ko nuksaan pohcha sakta tha – ab ek safed roshni chhodta hai. Ye uski zindagi ka sabse zyada shiddat wala mukka hai!
CRACK!!
Water barrier choor choor ho jaata hai, aur mukka seedha us aadmi ke pait mai ghus jaata hai.
BAM!!!
Dagger wala khoon uchhal kar thookta hai aur uska jism zor se zameen par takrata hai, phir uchhal kar maze ki diwar se takraata hai. Duniya uski aankhon mai ghoomti nazar aati hai.
Lekin sochnay ka waqt nahi milta – Sikandar us par ek roundhouse kick martay hue usay maze ki diwar mai mar deta hai.
<Defeat a Peak Rank Two Awakened, Obtained 400 Exp>
Lucas aur uske group ke sabhi saans rok kar dekhte reh jaate hain. Sikandar ki taqat dekh kar unke dil kaanp uthte hain.
"Ye non-Awakened ki taqat hai?! Ye mumkin kaise hai?!" sab ke zehan mai yahi khaufnaak khayal ghoomta hai.
Dhool ke darmiyan, Sikandar ki aankhein shikari jaanwar ki tarah chamakti hain.
Lucas ki gardan sukh jaati hai – "Y-ye itna taqatwar kaise ho sakta hai?!"
Sikandar apne knuckles crack karta hai aur Force Beam ka istemaal karte hue zameen par paon marte hai.
CRACK!!!
Zameen mai jhaalidar dararein phail jaati hain. Uski badhti hui shiddat sab kuch bayaan kar rahi thi.
Sikandar shaitani muskaan leta hai,
"Kya hua? Ab bhi yaqeen hai ke tum mujhe maar sakte ho?"
Ye keh kar woh apni raftaar ka faida uthata hai aur talwar pakadne wale par jhapat padta hai.
Talwar wala hosh mai aata hai lekin der ho chuki hoti hai.
BAAM!
Woh bhi ud kar diwar se takraata hai aur behosh ho jaata hai.
<Defeat Peak Rank Two Awakened, Obtained 400 Exp>
Sikandar ki awaaz hawaa mai goonjti hai,
"Kya bas itni hi thi tumhari shaan, Lucas Platchi? Kya mazaak hai!"
Lucas ki aankhen laal ho jaati hain, "TU! Main tujhe zinda nahi chhorunga!!"
Sikandar qahqaha maar kar hasta hai,
"Hahahaha! Ye soch kar ajeeb lagta hai ke log tum jese buzdil se darte rahe."
Woh Force Beam ke sath zameen par pair marte hai.
BAM!!
Dararein aur gehri ho jaati hain.
"Aa jao! Kya intezaar hai? Aakar koshish karo mujhe maarne ki!"
Lucas ab apne gusse ko rok nahi pata. Woh apne saathi ke haath se laal patthar chheen leta hai.
"Tu ne mujhe majboor kar diya, Sikandar! Tere liye ye izzat hogi ke tu is jadoo ke sath mare!"
Sikandar phir paon zameen par martay hue cheekhta hai,
"Main yahan hoon! Kachray jese log mujhe kabhi hara nahi sakte!"
Rosie aur Adhara dono hairaan hoti hain ke Sikandar jaan bujh kar Lucas ko itna provoke kyun kar raha hai. Woh pathar se nikalne wali jadoo ki taqat mid-rank 3 ke barabar thi.
"SIKANDAR, RUK JAA!!" Rosie cheekhti hai.
Lekin Lucas apni hosh kho betha tha. Pathar se laal roshni chamakne lagti hai.
"MAR JAA!! FIRE NOVA!!"
Laal patthar ghoom kar ek bhayanak fire beam chhodta hai jo apne raste mai sab kuch jalaata jaata hai.
Sikandar paseena paseena ho jaata hai, zameen ko zor se stomping karte hue cheekhta hai,
"UTH JAAO!!!"
Akhri baar apna poora zor jama karte hue woh paon zameen par martay hai –
BAMMM!!!
Aur phir, achanak, zameen ke andar se ek vishaal skeleton phoot kar bahar nikalta hai!
---
Lecturers barrack ke charo konon par kharay thay—north, south, east aur west side par aik aik lecturer. Aur bilkul darmiyan mai ek muscular middle-aged lecturer hawa mai cross legs bitha hua tha, aankhein band, jaise sirf intezaar kar raha ho ke test khatam ho jaye.
South side par jo lecturer thi, uske surkh aag jese baal chamak rahe thay. Woh chain se baithi thi ke achanak uski nazar ke kone mai kuch hila—
ROAAAR!!
Zameen ko cheer kar aik bara skeleton dragon ubhar raha tha. Us lecturer ki aankhon mai ek chamak si aayi, “Akhirkar pehla saamna ek Rank 3 supernatural se… Skeletal Dragon,” usne socha, halki si excitement ke sath.
Magar us waqt ek student ki cheekh ne uska dhyaan tor diya,
“LECTURER HELP!!”
Usne be-ittifaqi se us taraf dekha aur dheere se socha, “Sirf ek rank 2 skeleton? Yeh pehli generation ke students kuch khaas nahi lag rahe…” Kehte hi woh apni jagah se gayab ho gayi madad dene.
---
Doosri taraf—
ROAAARR!!
Skeletal Dragon zameen se phat kar ubhar gaya. Uska jism itna bada tha ke kam az kam Sikandar se chaar guna uncha.
Jabhi woh nikla, Lucas ne foran us par ek fire beam phenki—
BOOOMM!!
Dhamaaka itna shadid tha ke dharti hil gayi. Uska asar aam nahi tha.
Sikandar foran Rosie aur Adhara ki taraf dauda. Adhara ne unke ird gird fire shield bana diya, Lucas ke saathi bhi apne leader ke liye barrier bana kar bachne ki koshish karne lage.
Dhamaakay ki lehron ne barrier ko hila kar rakh diya—
CRACK!!
Adhara daanton ko bhinchte hue himmat kar rahi thi, Rosie ne apni bachi kuchi taqat ikatthi karke barrier mai mana daalna shuru kiya. Dheere dheere darar band hui aur woh barrier abhi ke liye bach gaya.
Jab dhuaan chhata to zameen par dragon be-hosh pada tha.
Sikandar ki soch mai shak tha, “Ek rank 3 supernatural itni asaani se gir gaya? Yeh toh kam az kam ek Peak Rank 3 Awakened ka waar lagta hai…”
Lekin aglay hi lamhe dragon ki khokhli ankhon mai roshni chamki aur woh dobara uth khada hua.
Sikandar peeche kood gaya, uska dil tez dhadakne laga.
Lucas dragon ke peeche behaal sa tha. Uske do saathi barrier sambhal na sake thay aur khud khoon ulat kar gir gaye. Lucas ne dard se apne pait ko pakra, khoon uske honton se beh raha tha. Usne Sikandar ko dekha aur seedha bhaagne ki koshish ki.
Sikandar ki ragain phool gayin, uske andar gussa bhar gaya—aur tabhi system ki awaz gunji:
<DING!!!>
<Sudden Quest!>
Prevent Lucas from running away.
Reward: 2000 Exp, Primeval Blessing Stone, 3 Skill Upgrade.
Failure: Hunted by the Platchi’s Family.
Sikandar ki soch ulajh gayi, “Reward bohot zyada hai… iska matlab Platchi Family bohot hi taaqatwar hogi. Lekin iska matlab yeh bhi hai… Lucas ko har haal mai marna hoga!”
---
ROAAARR!!
Dragon gusse se dahada aur apni lambi poonch ko ghuma kar Lucas aur Sikandar dono ki taraf sweep kiya.
Pehle toh Lucas aur uske saathi diwar se takra kar khoon thookte hue gir gaye. Lekin poonch yahin rukhi nahi… ab woh seedha Sikandar ki taraf aa rahi thi.
Sikandar ne peeche dekha—Rosie zameen par be-hosh c pari thi, aur Adhara ghutnon par baithi thi, us ki saans phool rahi thi, dono thak kar girne hi wali thein.
Woh lecturer bhi waqt par nahi pohanch sakta tha.
Iss waqt ek hi raasta tha—Sikandar khud roke!
Usne apne jazbaat ko daba kar poora zor lagaya, stance liya aur dragon ki poonch ko rokne ke liye apne baazu phaila diye.
Uske zehan mai uske maa baap ki maut ka manzar flash hua—aur usne garaj kar kaha:
“MAIN DOBARA AISA NAHI HONE DOONGA!!”
Dragon ki poonch us par dhar se aayi, uske daant khoon choosne lage jab usne zor lagaya. Jism ki har rag phatne lagi, lekin usne hath nahi chhoda.
Rosie aur Adhara ki aankhein khauf se band hone wali thi… lekin jab unhone dheere se dekha toh woh hairan reh gayin.
Dragon ki poonch un tak pohanchi hi nahi thi—uske darmiyan Sikandar apne khooni hathon se usse roke khada tha!
Un dono ke dil mai jazbaat ubhar aaye. Sikandar chaahe asaani se bach sakta tha, lekin usne apni jaan daav par laga di… sirf unhein bachane ke liye.
Sikandar asaani se dragon ki tail sweep dodge kar sakta tha, lekin usne jaan jokhim mai daal kar seedha tail ko pakar liya—sirf is liye ke dono saathiyon ki zindagi bacha sake.
Dragon ne apna sar peeche ghumaya aur us shakhs ko dekha jo uski tail ko rok raha tha. Jab usne Sikandar ko dekha to woh hiran reh gaya.
Sikandar ki aankhon mai shiddat aur ghussa tha. Usay khud bhi ehsaas na hua ke uski peeth se nikalti laal siyah aura ek khofnaak shakal bana rahi thi.
Us aura ki soorat ek darinda-kaar werewolf ki thi jo sab kuch neecha dekh raha ho. Dragon ki fitrat ne foran usay khatra mehsoos karwaya.
(Duniya ke supernaturals ranks mai taqseem hote hain—jitna ooncha rank, utni zyada taqat. Neeche rank ke jandar hamesha upar ke rank walon se qudratan khauf mehsoos karte hain)
Aur Skeletal Dragon, ek neeche rank ka jandar hone ki wajah se, Sikandar ki aura dekh kar dar se jam gaya.
Zameen par pada hua Lucas, jo khoon uchhalte hoay khansi kar raha tha, aankhein phaad kar dekh raha tha: ek taqatwar rank 3 Skeletal Dragon, jo sab ke liye maut ka paighaam tha, woh Sikandar ke samne khauf se laraz raha tha!
“Na-mumkin! Mujhe bhaagna hoga!!” Lucas dil mai chillaya aur reengte hoay bachne ki koshish ki.
Sikandar ka ghussa barhta ja raha tha. Usne dragon ki daarti hui aankhon ko dekha aur foran mauqa chhupka. Woh ek lamhe mai uske seene ki taraf uchhal gaya.
Usne dragon ke rib cage mai se phisal kar andar ghus kar neela dhadakta dil dekha—jo ke Skeletal Dragon ki asli taqat aur zindagi ka markaz tha.
Dragon ne apni behoshi tod kar react karna chaha, lekin ab der ho chuki thi.
SPLURTT!!
Sikandar ka mukka seedha dragon ke neele dil mai ghus gaya. Neela khoon har taraf chhidak gaya.
Adhara ki aankhein dagmagaa gayi. Usne cheekh kar kaha:
“Sikandarr!! Nahi!! Dil phat jaayega!!”
Sikandar ne ye suna, magar ab sab kuch der se ho raha tha. Dil ab chamak utha tha aur uska rang tez roshni mai tabdeel ho raha tha. Usne haath kheenchna chaha, lekin uske haath dragon ke dil mai phans chuke the.
Dil ke gird urti quwwat ab ghanat banne lagi. Sikandar ne aankhein band kar li… aur tabhi ek awaaz uske kaanon mai goonji:
<Night Time!>
<Tamam stats 50% barh gaye!>
BOOOOMMM!!!
Dragon ka dil phat gaya aur neeli energy ka dhamaka hua. Woh dhamaka door tak nahi phaila magar jo asar paas walon par hua woh do guna tha.
Sikandar ek tooti patang ki tarah uchhal kar zameen par gira, uski landing se mitti mai bada crater ban gaya.
Uska dahina haath jal gaya tha. Woh be-hosh si halat mai zameen par seedha pad gaya.
Rosie be-hosh thi aur Adhara jhajkti hui Sikandar ko dekhti reh gayi. Uske honthon se cheekh nikal gayi:
“SIKANDAAARRR!!!”
Aankhon se aansoo behne lage. Uska dil khud ko dosh dene laga—apni kamzori ki wajah se usne Sikandar ko is halat mai dal diya.
Magar jese hi woh ro rahi thi, achanak Sikandar ka jism hila.
Woh sidha uth kar peeth khujaate hue bola:
“ufffffff, kitna dard hua!”
Phir usne larkiyon ki taraf dekha. Adhara usay ghuro ghuro kar dekh rahi thi, jaise yaqeen hi na aa raha ho.
Sikandar ka dahina haath dhire dhire sehatmand ho raha tha, zakhm band ho rahe the. Adhara ne aansoo ponch kar apna chehra phir liya.
Sikandar ne uske aansoo dekh liye. Woh uske paas aa kar uska sar rub karte hue bola:
“Tum theek ho?”
Adhara ka dil choo gaya. Apne zakhmon ka khayal karne ke bajaye, Sikandar sabse pehle uske zakhmon ki fikr kar raha tha.
Usne dheemi aawaaz mai kaha:
“Main theek hoon… bas thak gayi hoon. Healing magic nahi aati, is liye manually karna hoga…”
Lekin uski baat puri bhi na hui thi ke Sikandar ne usay roka aur Lucas ki taraf ghoor kar kaha:
“Abhi kaam khatam nahi hua.”
---
Aaj ke liye itna hi.. Thanks for 20 likes but kafi daar laga di.
Lekan koi naaa is update par jaldi kar dena..
Target same 20..
Nahi to 2 September ko next update.
Thanks and Good Night.
Badi khaternaak fight huwi Rosie or Adhara ghayal huwi Lekin sikandar ko bahot faida huwaEpisode 16 mega update

Episode 16 mega update

Thanks bro... Jaldi se 20 like kar do.Jabardast action wala update tha
Maja aa gaya
Waiting for next update
Thanks bro. Wo next update main. Aur khaas baat level 10th hone par kuch khaas hone wala hain.Nice update bhai
Dragon ko marne ka quest kyu nhi mila sikander ko
Agar mila to kitne exp point mile use?
Mere hathame hota to akelahi 20 like de detaThanks bro... Jaldi se 20 like kar do.