• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    321

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,942
21,545
144
Quick Recap of the Arc: After Aarav's encounter with kim Min-soo as Avinash Kim Min-soo ran away. Then Kunle got invitation from the Carnival of death (COD) to save him and for Aarav's alterior motive aarav and Yoo-Jung decided to go with him and joined them Becky and also Caroline who wanted undiscovered her father's murderer.

In carnival with Aarav and Yoo-Jung's help they clear each floor and Aarav was taking all game master out until at floor 3 they got tricked by the game master and lost becky there.

Later they are joined by another team's 2 remaining players (Mira&Daryl) and they entered the 4th floor where they got summoned into another world to complete a quest, Save this world from demon kind and from the demon king and an side quest to save both of Priestesses twin daughters(Eira&Sola). To save them Aarav made a sacred bond(Marriage by earth means) with both of daughters them and get into a physical relationship with them.

*End of recap*
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,942
21,545
144
Excellent update and lovely story

Kya likhte ho baba ronte khare ho jate h padhte padhte imagine karte huwe...
Shaandaarrrr.....

Mast update dia hai bhai....aapki tabiyat kharab hai phirbhi aapne update dia...dilse salam hain aapko...

Very nice update

Zabardast update

Awesome update bhai

1. Varsha ne locker kholkar dekha, lekin jo aarav aur urvi ke birth ke samay hua...... usme kya uska koi hath nahi tha?? Kyunki Aisa to bohot se twins ke sath hua .....but aarav special case nikla will to live ki wajah se
[ Lekin varsha ko jab mana kiya tha to kyun khola locker......achhi wife ke lakshan nHi h ye]

2. Use pata tha ki soul purifier ki life 25 sal h mana ki wo shayad aarav ko bhi bachana chahti ho lekin...... Bina avinash ki permission ke aur uski upasthiti ke ......jabki usne to pichhli baar bhi use maaf kiya tha ...galti rhi ho ya na rhi ho

(Yaha avinash time pe nahi aata to game baj jaata.... aur varsha kyu is baat ko bhool gai ki jo abhi Beatrice saanse le rhi h wo bhi Avinash ki den h...to itna chhupa ke sb q karna pad rha h ....matlab salo se understanding ghanta nahi bani .....bas naam ki hi thi)

3. Ye researcher me itna kida hota h na ki khud k bachchon ko bhi nahi chhodte

(Aur ye ankush .....sala chubh raha h jb se introduce hua h jabki shayad iska baap villain nikle ya ho sakta h ye bhi natak hi kr rha tha ab tk achha hone ka)

[Kul milakar mujhe varsha thik nahi lagi....or aisi harkaton ke baad explanation ka bhi koi matlab nahi]


Baaki veer aur aakash baad me kaam aaye .....to jo hua thik hua
Pr agar ye sahi tarike se ho jaata to maza hi nahi aata ....writer apni poori khopdi ghuma ke jo betha h👻


Nice update


Wow kya zabar dast update Diya bhi aap ne next update ke liye best of luck 🤞

Super update hai Bhai

Bohat ki khoobsurat update aur is update me kai RAAZ khul ker samney aaye.
1. Varsha n Avinash ka rishta Jo ek sukadh mod liye huay thaa usme achanak kyu itni qadwahat aa gayi.
2. Arav ke janm ki kahani aur yah ki will to live power uske sath bachpan se thee aur shayd isi wajah se hamesha woh har khatre ko paar kar ke wapas aa gaya hai. Aur uske sath woh nahi hua jo aur sab twins ke sath ho raha thaa.
3. Kyu veer n Akash usko apna bada bhai mantey they coz uske andar un dono ke twins ki soul consume hui wi thee. Aur unko bachpan ka woh Spiderman Superman n Batman wala khel yaad thaa.
4. Ankur ka beat rice ke sath koi na koi sambandh thaa aur woh itna gehra thaa ki usne Avinash per gun tan di thee aur woh usko Marne wala bhi thaa irrespective of varsha reaction ki woh kia kahegi jabki Ankur janta thaa ki Avinash uska suhag hai. Means something wrong from Ankur side.
5. Ab pata chala ki Arav ke pass kyu multiple Qi holder thaa. Coz usne soul consume Kari thee Qi holder baccho ki jo ki unstable thee.

In the end aap apna acche se khayal rakho coz aapki sehat depend karegi aapki mental health and ultimately shandar update.
So waiting for next update and hopeful for your good health too.

nice update

huh... Update kya hi bolun mai... Update par aane se pehle mai ek baat puchna chahunga Salty~Otaku bhai aapne 3 options diye the update ke pehla tha likes then schedule ka then mood ka...

Aapne schedule waala choose Kiya hai then likes thoda bhut kam hone par post kar do na yr... Nahi toh update ke past mai likh diya karo 120 likes ke baad hi update aayega next... { Preparation ke liye time mill jata hai na } Uss din pta nahi kya hua... Readers bhi thode toh backchd hai... Thoda paissense nahi rakh paate... Hadbada jaate hai update ek din upar neeche ho jaaye toh...

Baaki hat's off toh dedication... Bukhaar hone ke bawajood update likha 🤧🤧 yeh nahi padha hoga haters ne... Sirf update padh kar nice update likh denge.... Kaafi bakcdi ho gayi comming to the main part....


update 85' 86' hmm aarav abhi tak past dekh raha hai... aur jaisi cheezen chal rahi hai abhi tak... Mujhe nahi lagata isse Varsha khud ko justify kar paayegi ki usne theek kiya for sure... Maa hai yeh samjh kar maaf kar Dena... Bahut kharab angel pakad lega idher se.... Ab yaha se kuch dimaag kharab kar dene waala twist hi Varsha ko theek saabit kar sakta hai warna abhi tak toh woh expose hi ho rahi hai aarav ke saamne...

1- Avinash ne jo tumko bataya woh sab sach nahi hai... 🤔🤔 Waise yeh cheezen batane lyk bhi nahi thi... Aarav soul devour kar sakta hai... Iske baare mai nahi bataya toh kaafi sahi hi kiya mere hisaab se... 🤔🤔 Varsha❤️Ankush yeh cheez bhi batana nahi chahiye kon apni maa ke baare yeh sab cheezen sunna chahega... 🤔🤔 Aise kya cheez hai jo miss Varsha ko justify kar sakti hai jo Avinash ne bataya woh sab sach nahi hai...

2- haan yaad aa gaya Veer Aur Aakash Aarav ke bhai hain yeh baat Avinash ne nahi batya.. 🤔🤔 but biological aarav ne uske twins ko devour kiya hai... Yeh cheez aarav ko batana kya theek tha...

3- So called Mom Varsha Aarav ko 25 saal mai marne ke liye chod dena chahti hai aur fir baad mai koi solution nikaal lengi kyun kyun aarav se lagaav ho gaya hai itne saal saath rehne par... Aarav uska beta tha yeh yaad nahi aaya... Nahi aarav toh Avinash ka beta tha jo ki aarav past mi dekh raha hai... 🤧🤧


4- chutya ankush negetive vibes de raha hai starting se... Abhi bhi Avinash ko rok raha hai... Uska bete ko kuch ho gaya hai Varsha ke bete ko kuch ho gaya hai... But Nahi sabko Beatrice ki padi hai Uske liye aarav mar bhi jaye chalega... Dekna padega aakhir Beatrice hai kon jiske chalti itna raita hua hai... Varsha ne aarav ko marne ke liye chod diya... Ankush ( C ) Avinash se bhid gya... Don't tell me Beatrice mar jayegi jaise last scene mai ho raha hai... Varsha ki toh happy Diwali ho jayegi... 🤣🤣 BC itna scene create hua aur mila ghanta kuch nahi... Aarav se dur Avinash se dushmani Urvi se door Varsha ke liye mast happy ending hai...


legit dekhne layak baat hai aage Varaha kya karti hai... Yeh suspence mat banana next update 17 ko chahiye warna strike kar dunga... 😤😤 Iss scene ko jaldi khtam karo Varsha chubh rahi hai... 🤣🤣

Update acha tha bhai. Bahut achhe se matters ko samjha rahe ho. Next update ka intajaar rahegaa bhai 👌👌👌👌👌👌👌👍👍👍👍👍

Update to bahut hi Shandar Raha Jaisa ki Ham Pichhle 3 update Kyon Dekhte a Rahe Hain Ki Aarav Arya apna aur apne Pita aur Maa Ka histry dekh raha hai apni Maa Ki Yadon mein.
Jahan pr wo dekhta hai ki Kaise Avinash aur Varsha Ek dusre se mile aur kin condition Mein unki shaadi Hui..... kaise wo aur uski bahan Is Duniya Mein Hai..

Abhi tak ki histry ko Dekhte hue Mere Kuchh points Hain yah kah Lijiye yah Meri Socha Hai..

1. Varsha ne Arya Se Kaha Tha ki Avinash Ne usse Jo Kuchh Bhi bataya Hai vah Puri Tarah Se Satya Nahin Hai Lekin bahanchod abhi tak ki Dekhi Yadon mein Hamen to Avinash ki puri Baat Satya sabit hoti hi dikh rahi hai( Agar Avinash Ne Yahi Baat aarav ko batai ho to Kyunki abhi tak Hamen Nahin pata hai ki Avinash Ne aarav ko kya bataya hai uski maa k bare me).

2. Varsha ka Avinash se shaadi karne ke liye mukhyatah 2 vajh rahe hain... Pahli Majburi thi Aur dusri Avinash se shaadi karne ke bad use clan ki secret padhne Ko Mil Sakte the as clan leader wife.

3. Hua bhi aisa hi ..varsha ne Avinash se chup kar locker ko khola aur usme rakhi gayi secret tecnique ko padha aur us ki help se usne badhti hue sprit enrgy ko contro karne sikha..(.lekin ye jankari aduri thi..) jiska upyog wo apne ajnme hue bacho par kiya jiska natiza ye hua ki ek bacha mara hua paida hua ...lekin uski kismat ya u kahe WILL TO LIVE kuch jayada hi majboot thi iski vajah se wo ladka apne sprit core apne twin se waps le leta hai. Aur jina bach jata hai.

3. Bhenchod Ankush Arora itne varshon ke bad fir se screen Mein Kaise a Gaya.. kya Varsha lagatar Uske touch Mein thi.. yah Insan hi Mujhe chutiya lag raha hai.. Baki dekhte hain kya Kahani Hai Iski.

4. Beatric ....akhir hai kun ye madherchod jisko bachane k liye Varsha ne apne bacho ko bhi dav par laga diya....bhai iske bare me batane se pahale marna mat....kyu ki ankush bhi isko dilo jan se bachana chahata hai.

5. Abhi Tak Jo Varsha ke Lakshan rahe hain mujhe kahin se nahin lag raha hai use ki maaf kar dena chahie... Kyunki abhi tak ki Yadon Mein Jahan Tak Humne Dekha ki Avinash ne Varsha ke sath Kuchh Bhi galat nahin kiya hai.
Aur Barsa Madam ji abhi tak Apne pahle pyar ko bhul hi nahin hai... Kyunki Humne vartman Samay Mein Dekha Hai ki Varsha Ne Urvi ka jo Sar name hai vah Arora laga rakha hai..kyu??

Baki ki bakchidi puri history complete hone ke bad....tak tak k liye ... Cheers .

Nice update

what the fuck, cure dhunda wo bhi kis kimat par. dekha jaye to varsha ne apne dono bachon ko maar hi diya tha wo to arav ki qismat achi rhi k wo purifier ban geya aur us ne apni soul ko extract kar liye urvi se. soul purifier ki technique ko jan kar varsha itni excited ho gai ho gi k is cons ki taraf is ka dehan hi nhi geya ho ga. aur dekha jaye to varsha ne avinash k sath vishwas ghaat kiya hai, jab avinash ne sabhi resources access krne ki permission de di thi sirf us locker ko chor kar phir bhi varsha ne us locker ko khola. last update mein varsha ne esa kuch shyd kaha tha k is shadi se usey clan k resources ka access mil sakta hai. shadi k liye maan jana us ka main purpose yhi to nhi tha 🤔 curiosity k chalte us ne locker ko open kar liya lekin shyd us ne ye expect nhi kiya ho ga k avinash ko itni jaldi ye bat pta lag jaye gi. behanchod kese ek maa apne hi bache ki jaan ko khatre mein daal sakti hai just for a research aur upper se itni dhitai se khud ko sahi sabat krne ki koshish kar rhi hai arav k samne. kya pura sach nhi pta arav ko, is mein abhi tak to crystal clear nazar arha hai k varsha galti par hai. rishte mein darar ana to obvious hai. agar ek normal insaan ko pta lage k us ki wife ne sab kuch jante bhujte hue humare apne bachon ki jaan khatre mein daal di wo bhi kisi aur k liye. husband to phir nafrat hi kare ga. lekin yahan pe mujhy ye smjh nhi arhi k varsha avinash ko hi galat sabit krne pe hi q lagi hui hai kya us k reason sirf khud ko sacha sabit krna hai ya phir us ko kabhi avinash se pyaar tha hi nhi just ek samjhota tha shyd abhi bhi us k dil mein ankush ho jo k mujhy shuru se hi khatak rha hai jb se is ki entry hui hai story mein. mujhy is bande se negative vibs arhi hain. aur jitna close varsha ko is k dikha diya hai nah aur wo arav aur avinash k bich aya tha to avinash k pas moka tha is ki kalai ki jagah gardan tor deta. arav par bhi research start kar rhi varsha reason kya hai purifier ki age just 25 yrs hoti hai to is khatre mein dala bhi usi ne hai to phir bhi apne husband ki bjaye apne ex k sath secretly kam kar rhi hai. bro wtf thori c chutiya hai kya ye. and still "main aurat hun galat thori ho sakti hun". agar to Beatrice ki death ka reason de kar khud ko sacha sabit krna chah rhi hai to is se churiya reason nhi ho sakta aur is ka blame avinash pe dal rhi hai to is se bari chutiya aurat bhi nhi ho sakti koi bc dimagh khrab kar diya hai is L*uri ne. Beatrice to choro agar wo ankush ko bhi is k chalte mar deta ho wo mere liye avinash right tha. qk yahan us k apne bache ki zindagi ka sawal tha. i think agley update mein aur sb bhi clear ho jaye ga. haan koi twist dal kar humare writer varsha ko innocent aur avinash ko villain nah bna de. agar esa hota hai to it will be very disappointing

keep writing

waiting for the next update :dost:

Bahut badhiya update bro

1. To idhar varsha ne galti jar di ha anjane me akar usne soul purifier ke bare me padhkar use pure jane bina hi bas apne bachhon ki jindagi khatre me dal di uski ek galti dono bachhon ki jindagi khatm kar sakti thi uska lalach use kahan se kahan le jata kher wahi bat ha jab gyan jyada na ho to ungli nahi karni chhahiye ab ye bat janker avinash se or kya hi ummid rakhti ye ki jin bachhon ko wo jan se chhahta tha uski biwi anjane me hi unhe mar deti to kon bardasht karta wo to apna arav special tha isliye bachh gaya warna abki twins me se to ek hi bechhe han dusra mar gaya tha apna arav itne salon bad soul purifier ke roop me jnma ha

2. Kher jo nafrat ki diwar lagi thi wo dheere dheere kam hui thi lekin wo bat ha na insan galti karke bhi nahi sudharta ye lo varsha ne fir galti kar di avinash se chhupakar apne dono bachhon ko sath leke apne base per le gayi or udhar akash or veer bhi the or akash or veer ko arav ko bhai kehna ka raj bhi khul gaya or wo spiderman batman wali bat bhi arav ne hi unhe thik kiya tha unke twins ki souls ko consume karke ir suhani ko bhi ye suhani jyada uchhal rahi thi arav ke samne beta usi insan ki wajah se ye jinda khadi ha

3. Idhar arav ne inko thik to kar diya but wo out of controll ho gaya or lagta ha wo hota ha aisi power milne ke bad bhuk badh jati ha lagta ha waisa hi hua ab arav tha to bachha hi to wo controll na kar saka isliye to koi uske oas nahi gaya warana un sabki soul ko bhi consume kar leta arav or beatric ke sath bhi yahi hua arav ne lagta ha uski twin ki soul ke sath uski soul bhi consume kar li ha tabhi to last me lagta ha beatric ka tata gud bye ho gaya ha wo to avinash aa gaya udhar or soul binding se lagta ha usne arav ko rok diya lekin wahi avinash ko der ho gayi varsha ki ek or galti use avinash or bachhon se dur kar jane wali ha or sath me beatric ki mout ki jimmedar bhi wo khud hi hogi kyonki agar avinash ke under ye kam kiya hota to shayd avinash aise hi bich me rok sakta tha but varsha ko kon samjhaye or kahin beatric ke marne ka jimmedar ye avinash ko na tahra de

4. Idhar ye ankush ka lagta ha kuchh to ha beatric ke sath tabhi to ye beatric ko bachana chahta tha tabhi to varsha ke samne avinash per gun tan di usne jaise ki avinash to bas dekhta hi rahega diya usne ek iske to sari akl thikane aa gayi ki beta bap se panga nahi logon ko apni okat nahi bhulni chhahiye idhar varsha to bas dekhti rahi ise ir duriyan aa jayengi in dono ke bich or beatric ke marne ke bad lagta ha ankush out of controll ho jayega or kuchh plan kare avinash ke khilaf khin avinash accident ke pichhe iska hi hath na ho kuchh bhi ho sakta ha ho e ko to

5. Idhar arav ke pas itni sari power or special ability kyun thi ye bhi raj khulne laga ha ek to usne itne sare qi holder ki soul ko consume kari ha jisse uske pas asadharan power ha or devour or will to live ki skill to bachpan se hi uske pas thi jo system me thi lekin varsha ne kaha tha ki soul purifier 25 sal tak jinda nahi rah sakta but arav to ab tak jinda ha or uski age bhi jyada ha arav me kuchh to special ha

Idhar last me varsha ko itna sb karke kya mila jis beatric ke liye itna sab kiya akhir me jake kya mila use beatric khatm ulta apne dono bachhon se duri or avinash se bhi or varsha ke liye to ek bat ha ab tak to avinash galat nahi hua ha ulta wahi avinash ke khilf jakar galat sabit hui ha or present me arav ko ye sab dikhane ke bad kya ye chhahti ki iska beta or isse dur ho jaye ankush ke bare me jankar to lagta ha pehle hi arav ka gussa badh jayega kher dekhte han ki abhi past khatm nahi hua ha

Or chalo kuchh ho bhi gaya hoga to present me avinash kya power hold karke betha tha ye sachhai bas arav janta ha or arav kya kya kar sakta ha ye abhi to usne inhe bhi nahi bataya at the end arav ke liye uske pita avinash hi thik niklenge kyonki unhone jo arav ke liye kiya ha wo varsha ne abhi tak 1 persent bhi nahi kiya apne pita hone ki jimmedari bakhubi nibhate hue avinash ne apni jan dekar apne bete ki jan bachayi na ki varsha ki tarah jo ki khudke navjat bachhe ki jan khatre me dal di thi bas apne experiement ke liye to wo wahin galat ho gayi or usko khudke bachhon se itna lagav nahi tha wo to bad me hua tha she's failed as a mother

Osm update bro

Is update me bahut sare secrets ka kulasa hua hai ab dekte hai aage kya hota hai
Fabulous update

Bhai jab Avinash ne Beatrice ko maar diya to mujhe bilkul galat nahi laga ..
..
..
Sablog jaldi se update kar do login karke barna update late dega

Sorry like kardo jaldi se

Z

Zabardast 💯 🔥 💯 🔥

Zabardast 💯 😁 💯 😁


Zabardast 💯 🔥 🔥 🔥 🔥

Bahut hi behtarin update bro

Fabulous update

Mind blowing update

Great update. Shayad yeh story ka sabse important update tha.

1. Aarav ek Soul Purifier hai aur uske under Will To Live bachpan se thi jisne uski soul ko Urvi ke ander se vapis kheench liya.

2. Akash aur Veer usko apna bhai kyon maante the.

3. Abhi usko apni Soul Purifier per control nahi hai, Beatrice ke dead twin ki soul consume karne ke baad weh nahi ruka aur Beatrice ki soul ko bhi kheench liya.

4. Weh itna khatarnak ho gaya tha ki agar Avinash theek samay par nahi pahunchta, to weh tabahi kar sakta tha. Shayad sabki soul consume kar deta.

5. Versha apni research aur soul purifier dhundne ke liye itni pagal ho gayi thi ki usne apne bacchon ki jaan ko bhi daanv pe laga diya. Shayad usko iska andaaz nahi tha.

6. Usne locker ko khol kar pehle bahut badi galti ki aur phir Ankur se contact kar ke aur badi galti kar di. Avinash ko hamesha ke liye kho diya.

7. Kya Ankur ka Beatice ke saath koi sambandh tha, jiske liye Ankur aur Mohan ne itna paisa kharch kiya ya weh keval business ke liye Soul Purifier banana chahte hain. Yeh bhi ho sakta hai ki Versha aur Ankur shadi karna chahte the aur apne hone wale bacchon healthy chate the.

8. Abhi tak to Versha hi galat lag rahi hai, weh kaise Avinash ko doshi thehra sakti hai aur Akash bhi shayad Versha ka saath de raha hai.

Mujhe pst updt utne psnd nhi ate lekn ap bht ache se likh rhe ho lekn abhi yun jung aur baki sb ko dekhne ka dil chah rha hai aur ye ankash gusa dila rha he 💔

Awesome update

Nice update

Absolutely 💯 agreed apki sari btt theek hai lakin mein point ab yah hai k Arav py 25 years ka red flag a chuka hai us sy kaise deal kry ga woh ya phir Avinash ne jo Arav ko bachaya Arav ki jaga Apni soul bhj k us se Arav py se yah threat hat gya yah abhi tak clear nahi hai aur rahi Avinash ko villan bnane ki to woh possible nahi lagta aik baap jis ne apny bete ki jaan bachany k liyah uski ankhoo k samne uski jaga Apni soul dydi aur jate jate Apni sab powers bhi usy dydi hon woh kabhi bhi villan sabit nahi ho sakta uski nazro main phir chahe koi kuch bhi reason dyly. Haan agar koi Avinash py ungli uthay ga bhi to Hope ke Arav us ilzam ko galat sabit kry ga Apne Dad ke liyah.

Brilliant update bhai ☺️ 😊

Bhai Aarav ki current age 30 years hai...to 25 ka red line wo bahut pahale cross kar chuka

Some corrections.... Aarav 113 saal black hole mai rehkar aaya hai... 🤧☺️ Jaha age nahi badhti but time toh beet chuka na...

Bhai cross to kar chuka hai lakin woh hua kaise iska baray main abhi tak story main kuch nahi btaya gya. Shyd next jo updates aein gy un main btaya jay.

Baki aik disappointment c feel ho rahi hai jab se Urvi ki dobara se entry hoi hai. Avinash ya baki sab bhoolny ki kuch reasons rahi hon gi lakin Urvi ka Arav ko bhoolna acha nahi lag raha. Arav jis ki duniya e Urvi se chal rahi thi uska har kaam har step Apni life main agay badhna sab Urvi ke liyah tha. Itna sab achieve kar ke wapis ana aur revenge sab usk liyah tha. Aise feel ho raha hai jaise us se uski behan ko cheen liyah hai.

Urvi bhooli kaise aur isk pechy reason kya thi. Yah bhi janna hai Hope ke Salty~Otaku Bhai yah bhi jaldi clear kar dein gy next updates main.

Ek no update 😍😍😍😍.

Aakash & Veer awesome

awesome update bro

romanchak Update. aarav to paida hote hi power leke aaya hai .varsha ne dusre bachcho ke baare me sochkar apne hi bachcho ko daaw pe laga diya tha .
aarav ne aakash aur veer ke ander ki unke twins ki soul ko bahar nikal diya par Beatrice ke maamle me kuch alag hi ho gaya ..
kya sirf isi wajah se aakash aur veer itni respect karte the aarav ki 🤔.. agar unke twins ki soul aarav nahi nikalta to wo dhire dhire marr jaate .

Just owsm update

Nothing I say much about it

Aise comment se writer pe pressure padta hai lekin fir bhi
"Kya aaj update aayega?? "

Aaj update do ge bhi

ek no update mazedaar fantastic 😍 😍 😍 😍 .

Sab I'd kaam par lag chuki hai... 😁😁 Iss baar likes ke chalte bilkul risk nahi lene ka.... 😁

Ek no update mazedarr😍😍😍😍.

Ek no mazedarr update😍😍😍😍.

Ek no update brorher😍😍😍😍.

Ek no mazedaar awesome update😍😍😍😍😍.

Ek no update update brother maza aa gya😍😍😍😍😍.

Saare update padke ek baar mai reply kar do Maharaj ji kripa hogi aapki... Kya hai na... Update ka wait ho raha hai uper se app spamm kiye jaa rahe ho messages 😕 kuch review do tab bhi baat bane....

Update please Bhai 🙏

Sorry brother Agli baar se dhyan rakhunga

Nice update bro

Bhai aaj update aayega ki nahi


Aaj is itihas ko khatam hi kar dena bhai...

Koi baat nahin, aaraam se likhiye, Bhai. Hum intezaar kar lenge.

Bhai update dede

Okay waiting bro

Awesome update and nice story
Update 87 has been posted Guys!!! :catwoah:
 

DEVIL_AKKI

Member
101
295
78
UPDATE 87 ~
(History Unfolds) (4)



Sainte-Croix Hospital
France ~ 1985


*Click*


Varsha white room ke darwaze ko kholte huwe andar aa gayi, Usko andar aate he saamne Beatrice aur Suhani baithi huwi dikh gayi, Suhani khaana kha rahi thi, Lekin Beatrice muh fulaye baithi huwi thi.


Varsha ne Suhani ki taraf daikha to usne Beatrice ke acting karte huwe keh diya ke wo gussa hai, Varsha bhi muskurate huwe uske paas chali gayi aur uske saath baith gayi.


Lekin Beatrice muh fulaye huwe dusri taraf ghoom gayi, Varsha ne gloves pehne aur ek syringe utha ker Beatrice ke haath ko pakad ker taiyar karne lagi.

Varsha: Aj caretaker ko blood sample kyu nahi lene diya?


Beatrice: Kyu ke ap ne apna promise toda tha! Ap ne kaha tha ke ap yahan aati rahe gi, Lekin ap 17 din se nahi ayi thi, Aur unko main pasand bhi nahi karti.


Beatrice baat to ker rahi thi, Lekin usne ab tak Varsha ki taraf daikha bhi nahi tha, Ye daikh ker Varsha muskurane lagi aur uska blood sample lene lagi.


Varsha: Ap ko bhi pata hai na ke hospital me kitna kaam tha!? Ab usme busy ho gayi thi, Lekin ab aa gayi hu na...Care taker kyu nahi pasand?


Beatrice(Down): Us-Usne kaha ke ek baar main theek ho gayi to main ap se dur ho jaungi! Ye sach hai kya?


Varsha(Sigh): Huh...Uska ye matlab nahi tha! Wo sirf keh rahi thi ke ek baar tumhari bimari cure ho gayi to tum bhi dusre bacho ki tarha cheeze ker sako gi, Hum tumhare liye naye parents dhundhe gye aur tum ek baar dobara school ja sako gi aur ghoom sako gi aur jo kuchh bhi karne ko dil chahe ker sako gi.


Varsha ne uska sample lene ke baad kaha aur uski taraf daikhne lagi, Lekin uski baat sun ker Beatrice khush nahi lag rahi thi.


Varsha: Ab kya huwa?


Beatrice(Hesitant): Doctor, K-Kya ap mujhe adopt karo gi?...Main ap ke aur buddy ke saath rehna chahati hu, Agar nahi to mujhe cure nahi hona.


Beatrice ka chehara laal ho gaya tha, Usne keh to diya tha, Lekin usko ab cringe feel ho raha tha, Ankush he zyada samay uske aur Suhani ke saath bitata tha to unki dosti ho gayi thi.


Lekin Varsha aur Beatrice ke beech ek aur bhi khaas bond ban gaya tha, Varsha aur Beatrice ek tarha se uske bachapan se he saath the, Varsha se milne se pehle ki sab yaadein Beatrice ke liye kisi bure sapne ki tarha thi.


Beatrice ko uska khud ka baap he ek curse kehta aya tha, Ek bachi ko bhooka rakh aur torture ker ke usko lag raha tha ke wo uski patni ka intiqaam le raha hai, Usko torture ker ke wo khud ke andar Qi hone ki saza usko de raha tha.


Lekin Varsha se milne ke baad Beatrice ko pehli baar pata laga tha ke ek Maa ke paas hona kaisa lagta hai, Varsha ke liye bhi ab Beatrice uski khud ki bachi ki tarha ho gayi thi aur wo usko aage sirf ek achi life dena chahti thi.


Varsha(Nod): Hum saath rahe gye!....Lekin uske liye pehli main tumhe cure karu gi aur phir hum bina gloves ke ek dusre ka haath pakad ker duniya ghoome gye....I Promise!




****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30



*Gasping*


Varsha neeche ghutnon per baith ker aage ki taraf daikhte huwe lambi lambi saanse le rahi thi, Uske saamne bed per Beatrice ki body thi, Usne khud ke saamne Beatrice ki aatma ko nasht hote huwe daikha tha.


“Varsha?”


Ankush bhi apni kalai ko apne dusre haath se pakade huwe andar aa gaya, Lekin aage ka drishya daikh ker uski ruh kaanp gayi.


*Beeeeep*


Ankush ne monitor per heartbeat ki seedhi line ko daikha tha uske raungte khade ho gye, Usne aur Varsha ne hamesha Beatrice ko cure karne ke baare me he to socha tha, Lekin ab wo he Beatrice uski aankhon ke saamne bejan laiti huwi thi.


Ankush: Beatrice?


Ankush ke kadam khud he Beatrice ki taraf badhne lage, Usko abhi tak vishwas nahi ho raha tha, Ankush peeche darwaze per khadi huwi Suhani bhi khadi hairani se sab daikh rahi thi.


Ankush bed ke paas chala gaya aur usne Beatrice ka haath pakad liya, Lekin uski body sach me bejan thi, Ankush khud ko rok nahi saka aur uska haath pakade udhar khada rone laga.


Usko aise daikh kef Suhani ke bhi aansu chhalak pade aur wo udhar he baith ker rone lagi, Lekin Varsha me ab hilne ki bhi himmat nahi ho rahi thi.


*Thud*


*Groan*


Aarav neeche gir ker behosh ho gaya, Uske paas khade Avinash ka pura Arm laal ho gaya tha kyu ke usne bohat zyada samay ke baad apne Qi core ko unseal ker ke Use kiya tha.


Avinash ka shoulder bhu dislocate ho gaya tha aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha, Avinash khada lambi lambi saanse le raha tha, Usko daikh Varsha khadi ho gayi aur uski taraf badhne lagi.


*Grasped*


*Boom*


Varsha ne Avinash ko collar pakadte huwe usko deewar se laga diya, Uski aankhon me aansu aur gussa bhada huwa tha aur wo Avinash ko kha jaane wali nazron se daikh rahi thi.



Varsha(Furious): You could've save her too, Right!? Tum ek genius the, Aisa ho he nahi sakta ke tumhare paas dono ko ek saath bachane ka option nahi tha... *Sniff* Phir kyu tum ne usko bachaya nahi? Kyu usko marne diya? Aakhir Kyu?


Varsha uska collar pakade huwe he rone lagi, Uske andar khade rehne ki bhi shakti nahi thi, Avinash ne uski dono kalaiyon ko pakada aur uska haath jhatak ker khud se alag ker diya.


Avinash(Frustrated): Huh, Even if I could’ve saved her, why should I? I don’t even know her! If saving her even a little could put my son in danger...I’d choose my son every time.


Avinash ne Varsha ko khud se alag karte huwe kaha uske shabdon ko sun Varsha sirf usko hairani se daikhti reh gayi, Usko vishwas nahi ho raha tha ke ye Avinash keh raha tha.


Varsha(Bitter): Unbelievable, Ye sach me tum keh rahe ho? Ab tak sab ka rakshak ye keh raha hai? Kanha gaya wo Avinash jo dusro ke liye marne ko bhi taiyar tha? Abhi tum ek rakshak nahi *Shout* Rakshas lag rahe ho Rakshas...Kya uss bach per zara bhi tars nahi aya tumhe?


Varsha ko Avinash se ghin aa rahi thi, Usko pata tha ke usne Avinash ke saath galat kiya tha, Lekin usne kabhi Avinash ka ye roop daikhne ke baare me socha bhi nahi tha.


*Grasped*


*Choked*


Avinash ne Varsha ke gale ko pakadte huwe usko utha diya, Ye daikh Ankush ne uske paas aa ker usko rokna chaha, Lekin Avinash ke ek dhakke se wo peeche gir gaya.

Avinash(Furious): Haan, Ab bhi dusron ko liye main khud marne ko taiyar hu!...Lekin agar baat mere bacho ki hai!? I’d burn the whole world down to protect them...Phir chahe saamne unki khud ki Maa he kyu na ho.


Avinash ne Varsha ko phainkte huwe kaha to Varsha neeche gir gayi, Avinash ne ab tak Varsha ko maaf nahi kiya tha, Varsha gussa thi to Avinash ki aankhen bhi gusse se laal thi.


Avinash usko udhar he chhodte huwe aage badh ker Aarav ko uthane laga, Varsha ab usko rokna chah ker bhi rok nahi sakti thi.


Ankush aur Suhani ke saath baaki sab bhi unko khade daikh he sakte the, Avinash ne Aarav ko uthaya aur baahir nikal gaya aur beech se Urvi ka bhi haath pakad ker chala gaya.


Varsha unko aise jaate huwe daikhti he reh gayi, Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo udhar he besudh ho ker baith gayi.



Ankush: Varsha! Varsha!! Vars...shaaa!!!


Ankush ki aawaz dheeme se dheeme hoti gayi aur Varsha behoshi ki halat me girti rahi, Itne din aur raat ki mehnat ke baad ab ye sab hone se wo mentally exhaust ho gayi thi.


*Thud*





****


“Uhh...”



Varsha ne apne sar per haath rakhte huwe aankhe kholni shuru ker di, Uska sar abhi bhi kaafi bhaari tha, Varsha uth ker baith gayi.



Varsha(Groan): Ughhh!


“Varsha?”


Varsha ki awaz sun ker uske paas he kursi per baitha soo raha Ankush uth gaya, Usko hosh me ate daikh ker Ankush uske paas ho gaya, Varsha ko bhi ab ek saath uski behoshi se pehle huwe sab drishya dobara yaad ane lage.


Varsha: Ankush, Beatrice? Main kab se behosh thi?


Varsha ke savalon ko sun ker Ankush ne uska haath pakad liya, Varsha abhi buri tarha se kaanp rahi thi.


Ankush: Kal se unconscious ho tum! Hum ne...Hum ne Beatrice ko yanhi ek cemetery me dafana diya hai, Uski body ko ab zyada samay ke liye rakhna theek nahi tha.


Varsha ki dhadkane ek pal ke liye tham si gayi, Beatrice ko usne hamesha ke liye kho diya tha.


Varsha: Suhani kanha hai? Aur Veer aur Aakash ki kya halat hai?


Ankush: Aarav ne kya kiya ye mujhe ab tak pata nahi laga! Lekin bacho ki condition ab bohat behtar hai, Unke test kiye hai aur ye pehli baar huwa hai ke unke sab results normal aye hai...Unhe abhi white room me sulaya gaya hai, Aakash aur Veer Aarav se milna chahate the, Lekin unhe samjha diya hai.


Varsha uski baat sun ker aise he chup ker ke baith gayi, Ankush bhi usko sambhalne ka time de raha tha, Varsha kuch der baad uth gayi aur apna coat pehan liya.


Ankush: Kya huwa? Kidhar jaane ki taiyari?


Varsha: Kanha ja sakti hu! Apne bacho ke paas ja rahi hu, Apne ghar!


Ankush(: Seriously!? Abhi bhi usko ghar keh rahi ho? Varsha tumhe lagta hai ke wo insaan abhi bhi tumhe andar ane de ga?


Varsha: I don't care, Lekin main yahan per baithi nahi reh sakti! Mujhe mere bacho ke paas hona chahiye hai.


Ankush(Sigh): Huh, Fine! Lekin raat bohat ho gayi hai, Main bhi saath chalta hu.


Varsha(Nod): Okay!


Ankush bhi uske saath chal diya aur dono kamre se baahir aa gye, Varsha ne ek baar teeno bacho ko daikha to sab soo rahe the aur phir dono baahir aa gye, Ankush ki Car me baith ker dono Avinash ke ghar ki taraf chal diye.


*Screeeech*


Ankush ne ghar ke baahir car ko roka aur dono car se utar ker ghar ki taraf chalne lage, Raat ke 2 baj rahe the lagbhag sabhi gharon ki battiyan band ho gayi thi.


*Knock-Knock*


Varsha ne ghar ke darwaze per dastak di aur dono khade ho ker darwaza khulne ka intezar karne lage kuch der baad darwaza khula aur unke saamne Avinash khada huwa tha.


Unko daikh ker Avinash bina kuch bhi kahe darwaze ko khula chhod ker andar chala gaya, Varsha andar jaane lagi to Ankush bhi uske saath andar aa gaya.


Varsha: Kanha?


Ankush: 10 Minute yahan baith ker chala jaunga! Aise tumhe akeli nahi chhodunga.


Varsha: *Nod*


Varsha aur Ankush dono he ghar ke andar hall me aa gye, Varsha Ankush ko udhar baitha ker jaane lagi, Lekin kuch daikh ker uske kadam tham gye.


Uske saamne deewar per Bharat ki tasveer tangi huwi thi aur usper haar chadhayan huwa tha, Usko daikh Varsha bilkul chaunk gayi.


“3 Din pehle tumhare uncle ka dehant ho gaya tha”


Varsha ke peeche khadi Lakshmi ne kaha to Varsha ghoom gayi, Lakshmi ne white saree pehni huwi thi, Usko daikh ker lag raha tha ke usne kitne dinon se kuch bhi nahi khaya tha.


Varsha: Aunty?.... I'm sorry, M-Mujhe pata he nahi tha.


Lakshmi: Avinash ne tumhe aur bacho ko dhoodhne ki koshish ki thi! Lekin usko tum teeno mile he nahi, Kal Aarav ki Qi ko usne feel kiya to ghar se bhaagte huwe chala gaya tha.


Lakshmi ki baat sun ker Varsha ne yaad kiya to kal Avinash bhi white suit he pehne huwa tha, Varsha ko ab khud ki kahi huwi baato per gussa aa raha tha, Avinash ne uske baap ko khoya tha aur kal usne apne bache ko bhi lagbhag kho he diya tha.


Varsha: Sorry, Aunty...! Ap- Gussa ho kya?


Lakshmi: Main gussa kyu hone lagi? Ye tumhari aur Avinash ke beech ki baat hai... Lekin haan main nirash zaroor huwi thi sab kuch sun ker, Kabhi socha nahi tha ke har din mere kaam me jigyasa dikhane wali ek ladki uska ye arth nikale gi aur khud ke he bacho ki jaan sankat me daal de gi.


Varsha ke paas ab kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Lakshmi ne bhi usko aur kuch bhi nahi kaha aur Ankush ke saamne kursi per baith gayi, Varsha udhar he khadi rahi aur kuch samay ke baad Avinash apne haatho me Aarav aur Urvi ko uthaye aa gaya.


Aarav aur Urvi dono he abhi gehri neend me the, Avinash ne unko Lakshmi ke paas laita diya aur khud bhi uske saath he baith gaya, Varsha bhi ek kursi per uske saamne baith gayi.


Varsha: Avinash, Aunty ne abhi uncle ke baare me bataya!... I'm sorry, Mujhe kal kuch-


Avinash: Papa ko kuch bhi hone se tumhe kuch farak bhi padhta hai kya? Ye pata hote huwe bhi ke unki kya halat hai tum ne to apna he swarth daikha na?...Ek baar main ne tumhe maaf karne ki galti ker di hai ab dobara nahi ker sakta.


Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha bhi nahi, Varsha samajh gayi ke usko ab uski taraf daikhne se bhi ghin aa rahi thi.


Varsha: Ab kya chahate ho?


Avinash(Sigh): Mnemosyne's Gaze!


Naam sunte he Varsha ki aankhe hairat se khul gayi, Ye Lakshmi ki he banayi gayi ek forbidden art thi, Ye hypnosis ki tarha ki he thi, Lekin ye Art usko directly kisi ki yaadon me parvesh karne aur badlav karne me madad karti thi.


Lekin Lakshmi ke khud banane per bhi ye uske liye Use karni easy nahi thi, Usko bhi ye Art ke prayog ke liye support ki zaroorat hoti thi aur uske paas abhi Avinash ek support ke roop me tha.


Varsha: Aunty, ap kya bacho ki yaadein badalna chahte ho?


Avinash: Haan, Bacho ke liye tum sirf ek buri Maa ban jaogi! Unko tumhare wajood se bhi nafrat ho jaye gi aur wo tumhe kabhi daikhna bhi nahi chahe gye, Uske baad tum yahan se ja sakti ho aur kabhi bhi laut ker na ana.


Ankush: Avinash ye kuch zyada ho rah-


Avinash: Beech me bolne ki koshish bhi na karna! Agli baar tumhari kalai nahi gardan ho gi.


Avinash ne uski baat ke beech me he usko dhamki dete huwe kaha, Ankush ko gussa to aya, Lekin usne gussa pee liya aur chup ker ke baith gaya.


Varsha: Aur agar main ye na karu to phir kya karo gye?


Avinash(Sigh): Huh, Phir mere paas aur koi raasta nahi ho ga! Main Avinash Arya, Clan ka Leader ye kasam khata hu ke agli baar tum mere bacho ke kareeb dikhayi bhi di to tumhare baap ke aakhiri shabdon ko pura karte huwe tumhara sar dhar se alag ker dunga.



*Clang*


Avinash ne kehte huwe he clan leader ki sword ko unsheath karte huwe aage rakh diya, Varsha aur Ankush ki saanse thamne ko ho gayi.


Varsha sirf Avinash ki taraf daikhti he reh gayi, Lekin Avinash ne usko ek baar daikha bhi nahi aur baitha raha, Usko daikh ker lag raha tha ke wo sach me sar kaatne se pehle soche ga bhi nahi.


Varsha ne ek baar Lakshmi ki taraf umeed bhari nazron se daikha, Lekin Lakshmi ne bhi uski taraf daikha bhi nahi.


Avinash: Tumhare paas zyada samay nahi hai! Tumhe abhi nirnay lena ho ga.


Varsha ne ek baar dobara un dono ki taraf daikha, Lekin dono he ab badalne ke liye taiyar nahi the, Ye daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Uske paas sach me aur koi raasta nahi tha.


Varsha(Nod): Jaisa tumhe sahi lage! Lekin kya kabhi kabh-


Avinash: Ek baar bhi nahi! Unko tumhara chehara dobara dikhna bhi nahi chahiye.


Varsha bilkul bebas ho gayi thi, Uski nazar uske bacho per chali gayi, Unki wo aakhiri tasveer ko kaid ker lena chahti thi, Avinash bhi baitha intezar karta raha aur aakhir me Ankush ko he Varsha ko uthana per gaya.


Varsha apna sar jhukaye baahir ki taraf chal di, Usne khud he apne ghar ko kho diya tha, Uske dil me ek he chah thi ke ek baar dobara Avinash usko rok de aur kuch aur saza de de.


Lekin usko bhi andaza tha ke Avinash ab dobara vishwas nahi kare ga aur Ankush ke saath baahir chali gayi, Ankush ne uske liye car ka darwaza khola aur Varsha car me baith gayi.


Uske sabar ka bandh toot gaya aur wo car me baith ker rone lagi, Usne sab kuch he kho diya tha, Uska ghar uske bache aur Beatrice sab kuch he cheen liye gye the usse.


“Aur uss raat ke baad me ne tum dono ko kabhi bhi nahi daikha”



Car ke baahir Aarav aur Varsha parchhai ke roop me khade huwe the, Aarav ne uske brain se direct connection banaya tha to Varsha bhi uske saath thi.


Varsha: [Uske baad Avinash ne tumhe kya yaadein di mujhe nahi pata! Lekin wo sab sach nahi thi, Aarav tumhe pura sach nahi bataya gaya, Ye sirf Forged memories hai.]


Aarav(Scoff): [Aur ap ko aisa kyu laga ke aisi reality se bhu buri memories forge ho sakti hai? Meri Maa ne mujhe he maarne ki koshish ki aur wo bhi ek baar nahi do baar? Usse buri chhavi aur kya ban sakti hai ap ki?]


Aarav ki baate sun ker Varsha chaunk bhi gayi aur uske paas kehne ke liye bhi kuch nahi bacha, Aarav ki har baat sach thi.


Aarav: [Ap ko pata hai ap se pehle main ne ye sab kuch Dad ke nazariye se daikha tha!? Kya ap daikhna chaho gi?]


Aarav un memories ki baat ker raha tha jo usne Avinash ko devour karne ke baad daikhi thi, Varsha uski baat sun ker hairaan huwi aur usne sirf nod ker diya.


Aarav ne haath uthaya to unke saamne ka drishya badlne lage, Ab Aarav Avinash ki memories dikha raha tha, Varsha ne apne saamne daikha to usko sirf andhera dikhayi diya.


Varsha: [Ye kya hai?]


*Groan*


Abhi Varsha ne Aarav se pucha he tha ke usko ek taraf se kisi ke karahne ki awaz sunayi di, Varsha ne udhar daikha to usko Avinash khada dikhayi diya, Usne kuch pakada huwa tha.


Aarav: [Hairan ho gayi kya? Kuch andaza hai kya ke ya kya ho sakta hai?]


Varsha ke muh se ek shabd bhi baahir nahi aya, Usko pata lag gaya tha ke Avinash ne kya pakada huwa hai, Uske haath me abhi Beatrice ki soul thi, Jisko wo kanhi se khinch ker baahir nikal raha tha.


Varsha ne andar jhankana chaha to wo aur bhi hairan ho gayi, Uske saamne tha to sirf andhera he, Lekin wo usko mehsoos bhi ker sakti thi aur khud ko khinchate huwe mehsoos bhi ker sakti thi.


Varsha: [Ye kya hai?]


Aarav:
[Limitless Growth]


*Clap*


Aarav ke clap karte he Varsha ko Avinash ki nazar se dikhayi dene laga, Avinash ke saamne ek badi deewar thi aur deewar ke beech me ek chhed bana huwa tha.


Aarav: [Ye meri real potential hai! Limitless Growth, Lekin usko unlock karne ke liye ye deewar mujhe khud se todne ki zaroorat thi, Kyu ke agar main deewar ke dusri taraf ki growth ko control nahi ker sakta tha to wo mujhe control karne wali thi]


Varsha ke paas kehne ke liye shabd nahi the, Usko andar baaki sab souls dikhayi to de rahi thi, Lekin wo samundar me kuch bundon ke barabar bhi nahi thi.

Aarav: [Isko Unlock karne ke liye abhi bhi bohat samay tha! Lekin kisi ko laga ke kisi newborn baby ki soul ko transfer kiya jaye aur usko karte huwe ye chhed ban gaya]


Varsha ko aage ka kuch sochne ke liye aur sunane ki zaroorat nahi thi, Phir Aarav ki ye growth uske aur bhi souls ko devour karne se trigger ho gayi thi aur usko ab bhadne ke liye aur bhi energy chahiye thi.



Aarav: [Aur tab Dad ne dobara ek mushkil nirnay liya! Agar chhed band na kiya jata to baahir sab growth ke liye sirf ek energy ban ker reh jaate, Sab ko bachane ke liye Dad ne usko khatam ker diya]


Avinash ne Beatrice ki Soul ko haatho me he nasht ker diya aur uske baad chhed ko seal karne laga, Avinash ke liye wo nirnay kitna mushkil tha ye uski unstable energy se pata lag sakta tha.


Varsha: [Usne bataya kyu nahi?]


Aarav(Sigh): [Huh, Ap ne kaha ke unhone sach chupaya tha, Right? Ab ap ko batata hu ap ke ghinone sach ko chupa ker unhone hamay kya bataya]


Aarav ne dobara saamne ka drishya badal diya, Ab unke saamne dobara ussi raat ki memories thi, Lekin ye Avinash ki memory thi Varsha ke jaane ke baad ki.


Laskhmi: Avi...?


Lakshmi uth ker Avinash ke paas chali gayi aur usko gale se laga liya, Maa ki bahon me ate he Avinash ke aansu ruk nahi sake aur uske agosh me chehara chupaye wo rone laga.


Avinash in aansuon ko kab se roka huwa tha, Lakshmi ne bhi usko khul ker roo lene diya, Avinash bohat der aise he baitha rota raha aur aakhir shaant ho gaya, Lakshmi uske saamne baith gayi.


Lakshmi: Kya ho gaya tha? Itne aansuon ko chupa ker baitha huwa tha?


Avinash(Sniff): Aise he Kuch soch raha tha!...Usne kya he galat kaha tha? Aakhir ek rakshas he to hu na main? Sab se pehle apne logo ko he apne haatho se maara aur phir ek bachi ko bhi apne haatho se khatam ker diya!? Rakshas he to huwa na?


Lakshmi(Tearful): Aisa kyu bolta hai? Sab kuch tu ne dusron ke liye kiya tha, Lekin bojh uthane ke samay per tu akela kyu ho jata hai?


Lakshmi ne uska chehra thaamte huwe kaha usko sirf apne bete per taras he ata tha, Usne kabhi uske jaisa saaf dil insaan nahi daikha to aur sab dukh bhi uski kismat me he likh diye gye the.


Lakshmi: Ab sach sach bata! Kya sach me tu bacho ki memories me badlav karna chahta hai?


Avinash(Nod): Haan, Lekin unko Varsha ki buri memories nahi deni!...Ab ki baar ap ko mujhe bura banan ho ga.


Lakshmi(Frowns): Avi? Aisa kyu karna chahata hai?


Avinash(Sigh): Huh, Ap ko bataya tha na ke Aarav ki Limits ko seal kiya hai!? Lekin usko seal karna bohat mushkil tha, Meri banayi har seal ko he wo devour ker raha tha aur ant me....ant me mujhe khud ke core se ek seal banani per gayi.


Lakshmi: Huh? Kya matlab?


Avinash: Main uske chhed ko band to nahi ker sakta tha! Lekin main ne usko ab direct ker diya hai, Ab wo kisi ki bhi energy ko aise he nahi khinche ga, Usko ab sirf meri Qi chahiye ho gi, Aarav ke kareeb hone per wo khud he meri Qi khinchne lagta hai.


Lakshmi ne aisa kuch padha huwa tha, Ye karne se Avinash ne Aarav ko stable to ker diya tha, Lekin ab Aarav ke paas ane se uski Qi khinchne lagti thi aur agar uska pura core khali ho jata to Avinash ko bhi khatra tha.


Avinash: Ab bacchon se dur rehne ke liye kuch bahana to chahiye hai na? Agar ek bura baap ban gaya to bahanon ki zaroorat he nahi ho gi na?


Avinash keh to ye muskurate huwe raha tha, Lekin uski muskurahat ke peeche ka dard abhi Lakshmi daikh chuki thi, Usne sirf apne bete ke sar per haath rakh diya.


Avinash: Bacho ko ye bataye ke main ne unki Maa ko tadpaya aur zulm kiya hai! Aur Aakhir me mujhse tang aa ker usne dam tod diya tha.


Lakshmi: Maa ko maar kyu raha hai? Rok kyu nahi raha? Baap nahi to ek Maa to ho gi na?


Avinash: Ek baar bharosa ker ke daikh liya hai! Ab bacho ko dobara uske paas akela nahi chhodunga, Acha hai ke unhe lage ke unki Maa mar gayi hai.




****
Sayani Mansion
France ~ 12:24 AM



“Enough!”


Suhani ne Aarav ko dhaka dete huwe Varsha se alag ker diya, Suhani Aarav ko khoon pee jaane wali nazron se daikh rahi thi, Usne Varsha ko khud ke saath lagaya huwa tha.


Varsha bilkul sadme ki halat me Suhani ke saath lagi roo rahi thi, Varsha yahan khud ko Aarav ki nazron me sahi sabit karne ayi thi, Lekin yahan wo khud ki nazron me he galat sabit ho gayi thi.


Aakash ek taraf khamoshi se baith ker sab kuch observe ker raha tha, Barbie bhi uske saath khada huwa tha, Aarav ki taraf daikh ker usko andaza ho gaya tha ke Aarav ko ab sab kuch pata lag gaya hai.


Varsha: Aarav, Bache!


Varsha uth ker khadi ho gayi aur Aarav ki taraf badhne lagi, Ye daikh ker Suhani ko gussa aya, Lekin usne muh fer liya aur khadi ho gayi.


Varsha Aarav ke saamne aa ker khadi ho gayi, Lekin ab ki baar uski Aankhon me wo aatmavishwas nahi tha, Varsha andar se toot gayi thi, Usne Aarav ke saamne haath jod liye.


Varsha(Tearful): Aarav, Apni Maa ko maaf ker de! Bohat badi bhool ho gayi, Kab main khud ko ahankar me pagal ho gayi mujhe pata he nahi laga *Sob* Apni Maa ko maaf ker de.


Aarav ne Varsha ke haatho ko pakad ker neeche ker diya, Ye daikh Varsh uske haatho ko thaamne lagi, Lekin Aarav ne haath kheench liye.


Aarav(Scoff): Corpse, The Kid Who Was Supposed to Die, Right? Ap ko ek aur baat bataun kya? That kid really did die that day...The person you see in front of you isn’t your kid anymore....Murdon ko dobara zinda karne ki koshish na kariye, Sirf mayusi he ho gi.


Aarav ne Varsha ko dutkarte huwe dhakel diya, Varsha sirf usko hairani se daikhti he reh gayi, Aarav ki ye harkat daikh ker Suhani ke sabar ka band toot gaya.


Suhani(Furious): Aarav, Ab bohat ho gay-


Aarav: Kneel!



[Alpha Presence Activated]


Aarav ki ek nazar per Suhani uske ghutnon per aa gayi, Usko aise daikh ker Aakash ko hansi aa gayi, Usne usko bataya bhi tha ke Aarav kitna strong hai, Lekin ab usne khud mehsoos bhi ker liya tha.


Aarav: Just get out of my sight! Before I do something I'll regret later.


Aarav ki baat sunte he Aakash ne Barbie ko ishara ker diya, Barbie nod karte huwe Varsha aur Suhani ko baahir le gaya, Unke nikalte he Aarav table pakad ker khada ho gaya.


Ab tak to wo khud ko sambhale huwa tha, Lekin uske bhi emotions unstable ho gaye the, Varsha uski Maa thi, Uske saamne hone se wo bilkul unfazed nahi reh sakta tha.


Aakash: Andar dum ghutne laga hai! Kya kehte ho, Fresh air ke liye terrace chalo gye kya?


Aarav(Sweating): *Nod*


Aakash usko saath le ker Terrace per aa gaya, Aakash ne ek cigar ko nikal liya aur usko jalane laga, Aarav terrace se neeche daikhne laga, Usko Barbie neeche Varsha aur Suhani ko car me baithate huwe dikh gaya.


Aarav unki car ko mansion se nikalte tak daikhta raha, Unke baahir jaate he Aarav udhar baith gaya, Aakash uske paas chup ker ke khada raha.


Aarav: Aakash, Tum ne mere liye itna sab kuch kyu kiya?


Aakash: Mujhe laga ke tumhe ab tak pata lag gaya ho ga!?


Aarav(Scoff): Kya ye soch ker tum ne sab kuch kiya ke main tumhara bhai hu? Agar aisa hai to uski zaroorat nahi thi, Tumhare bhai ki soul ko main devour to kiya ho ga, Lekin sirf ek energy ke roop me, Main bhai nahi hu tumhara.


Aakash(Smile): *Nod* Haan, I know ke tum Sagar nahi ho! Huh...Aarav tumhe pata hai main sagar ko nafrat karta tha? Hamesha se mujhe lagta tha ke uske kaaran he main ajeeb hu...Lekin wo bechara to mujhe he bachate huwe mara tha, Mere liye mujhse zyada dukhi wo tha, Wo mujhse alag bhi nahi ho sakta tha...Lekin phir tum aye aur sab kuch badal gaya...Aarav Arya, Ya kahu ke spiderman *Laugh*


Aakash un palon ko yaad ke muskurane laga, Usko daikh ker Aarav mehsoos ker sakta tha ke Aakash sach me khush tha.


Aakash: Aarav tum mere aur Veer ke sab se pehle friend the! Haan, Tum hamare bhai nahi the, Lekin agar wo sach me hamare saamne hote to bilkul tumhari tarha ke he hote, Ye he kaaran hai ke unki soul ko devour karne ke baad hum tumhe he bhai kehne lage...Unhone hamay ye zindgi di thi aur tum ne hamay zindgi jeene ka mauka diya tha, Hum baakiyo ki tarah baahir nikal sakte the aur aj hum jo kuch bhi hai tumhare kaaran he hai, Agar hamay tumhari khatir marna he kyu per jaye hum taiyar hai.



Aarav(Sigh): Huh, Whatever! Lekin mujhse kuch bhi expect na karna ke main tumhara bhai banu ga.


Aarav itne emotions ko daikh ker sach me tang aa gaya tha, Usko daikh ker Aakash sirf muskura diya aur cigar ka anand lene laga.


“Master”


Aarav ko bulate huwe Tinkerbell baahir aa gayi-


Aarav: [Kya ho gaya?]


Tinkerbell: [Ap ka reward kuch minutes ke baad ap claim ker sakte ho! Ap ke liye ek surprise bhi hai, Ya kaho ke bonus hai]


Aarav: [Really!? Huh, Aur dusre kaam ka kya huwa?]


Tinkerbell: [Haan, Main ne error ke liye bhi check kiya tha, Lekin kuch bhi error nahi tha, Urvi per sach me dot nahi tha]


Aarav: [Huh, Lekin ye kaise ho sakta hai?]



Aarav ke saval per Tinkerbell ne bhi haath khade ker diya ke usko kuch bhi idea nahi hai.


Aarav: Aakash....Urvi ke baare me batao gye kya? Main ne Urvi ko khud m-.... marte huwe daikha tha, Phir wo yahan aur zinda kaise hai?


Aakash: Soch he raha tha ke ab tak tum ne pucha kyu nahi! Huh, Uske baare me main bhi kuch bhi khaas nahi janta, Urvi ki body ko Suhani ne claim kiya tha, Usko ek tumhara friend wanha le gaya tha, Unhe bhi Urvi ki dead body he mili thi, Lekin kab raaste me Urvi ki saanse dobara chalne lagi unhe bhi pata nahi hai.


Aarav ko bhi ache se yaad tha ke usne Urvi ki heartbeat ko rukte huwe suna tha, Usko ab bhi pura drishya kisi bure sapne ki tarha yaad tha, Usko Urvi ke zinda hone ki khushi to thi.


Lekin wo hairan huwe bina nahi reh sakta tha, Agar Varsha ne bhi kuch nahi kiya tha to huwa kya tha.


“Uske shareer ko main ne zinda kiya tha”




[You have entered the Domain of the Monarch]


[Prepare for potential encounter with powerful foe]


Aarav terrace se ek empty white space me aa gaya tha, Aarav ne sword ko nikal liya aur ladne ke liye taiyar ho gaya.


*Clanggggggg*


Ek attack ek side se aya aur Aarav mushkil se khud ko defend ker saka, Sirf ek attack ne uska balance bigad diya tha, Earth per ane ke baad usne aisa attack ye dusri baar feel kiya tha, Pehla usne Tarun ka aisa attack feel kiya tha.


“hohoho! Not bad, Young man”


Aarav ko uske side se awaaz ayi to wo uss taraf ghoom gaya, Uske saamne ek vyakti khada huwa tha, Lekin uske kapade bilkul sadharan the aur uske haath me ek purani E rank iron sword pakadi huwi thi aur chehre per ek mask pehna huwa tha.


122175872722ddc8165976c1bf6142dd.jpg

[Check]


[Target is too powerful!⚠️]


[Player cannot check his status]



Aarav: Huh?


[Access Granted!]


[The target has allowed you to check his status]



Vyakti ne Aarav ki taraf daikhte huwe usko check karne ka mauka de diya, Ye daikh ker Aarav ko aur bhi gussa aa raha tha.


[Check]


[
Name: Aarav Arya
Job: Soul Monarch]


Aarav(Shocked): What the fuck?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Aur yahan huwa history unfold ka ant, Khush to bohat ho gye aur action bhi aa gaya :D Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga, Target hamara wohi hai 150 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Jabardast update bro........
Shock de diye apne
 
  • Love
Reactions: Salty~Otaku

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,942
21,545
144
🤔🤔 Toh finally ek naya Arc shuru ho chuka hai.... First of all congratulations 🎉🎉🎉 story blockbuster hoti jaa rahi hai site par...
Ek naya Arc shuru hone ki sab ko khushi hotu hai aur Arc ke end per vacation ki khushi akele mujhe kyu? :shy:
urvi ki yaddasht chali gayi aarav ka ek baar fir cut chuka hai... Kitne umeed se urvi ke gale lag roya tha bechara but writer sahab kisi ke emotions kaha dekhte h.... Yaha bhi twist daal kar cheedlhani kar di
That's my job! Ab writer ap ragadkar likh raha hai to character ki pond me dard to hona he chahiye hai na :catshrug:


Aur yeh Dot ka kya chakkar hai kaha chala gaya shayad yaddasht chale Jane se dot ko farak nahi padta... Urvi ko aarav yaad hai but woh system ke jariye nahi bhooli aisa meri theory kehti hai....
Maybe or maybe not :shy:
And please aisa kuch twist mat daal dena ki starting se urvi jo aarav ke saath thi woh uski ek aur behn thi dimaag kharab ho jayega... Maja bhi nahi aayega....
Idea to acha hai:writing: Ap ko credit de dunga agar kisi ko pasand na aya to ap ke inbox me phool barsa sakta hai :holycat:
suhani ab yeh kon hai new character intro hua hai aarav se gussa just urvi ko hug karne par...
Urvi ko hug karne ke liye nahi Varsha ka gala pakadne ke liye! Naya arc aya to purane ko he bhool gye kya :doh:
4- Nandini aur aayush ki alag chamestry chal rahi hai... Ishika ko abhi hosh nahi aaya aur Mumbai mai kya ho raha abhi tak Singh family ko pata bhi nahi hai ishika kaha hai...
Hamare liye samay beeta hai! Story me abhi 10-15 update se 3-4 din he nahi guzare hai, Ishika ko 2 din he huwe hai hospital admit huwe huwe :redface:
Tanu bhaiya ka wait kar rahi hai... Kam se kam aayush hi uske paas phunch jata jisse woh rakhi jo usne banayi thi aarav ko bandh deti kyuki dusri jagah bhi aarav ka cut chuka hai... Kya socha tha kya hua..
Kya pata yahan bh- :cmouth:
Now talking about questions regarding last arc and fan theory bhi daal dunga... Jo mujhe lagta hai baaki writer shab iska jawab denge nahi update mai hi pata chalega... 🤣🤣
Not everytime :bigboss1:
sab log Zinda hai vanshika bhi hogi hi obvious hai quki abhi uske baare mai kuch detail pata nahi..
Uska main ne clear kiya tha na!?
Vanshika zinda hai :approve:
Mumbai mai aarav ki new team khatre se bahar hai.... Unko Deadpool update mai kaafi screen time diya writer sahab ne but aarav ki old team tha OG's ko bhut kam time Mila na unki theek se fight dekh paaye hum woh sab bhi S ranker hai thoda unko time bhi milta toh maja aata...
Unke liye pura first Arc tha! Unki character development pehle he ho chuki hai aur agar ab likhta to wo sirf milking he honi thi, Lekin new characters ke liye ye he unka character development arc tha :approve:
Baaki meri theory yaha kehti. Hai ki jab strong character ko kam time important updates mai milta hai toh woh bhut si baatain chupane ke liye hota hai.... Jo baatain aarav ko baad mai pata chal hi jaengi but abhi sawal jawab se bachne ke liye aisa kiya gaya hai...
Exactly
Sab cards abhi show kara dunga to aage kya Uno reverse he khelta rahu ga kya? :laughing:
Meri theory kehti hai aakash know about Vanshika maybe vanshika ki abhi woh condition na ho jise aarav dekh sake ek aur point yeh hai maybe vanshika would be traiter... Who knows I am just guessing....
Spoiler? :?:
3- Zinda hone se yaad aaya Avinash ki body monarch le gaye the... Fu~fu maybe.... Or maybe not but he is not dead yet itne twist and turns dekhne ke baad koi 100% nahi keh sakta.... Baaki yoo~ Jung ki sister hmmmm... Iske baare mai kuch pata nahi chala aage kisi arc mai yeh bhi graveyard se bahar hi milegi.... Maybe or maybe not 😁😁

reanimation-jutsu
4- Aarav ki new team purani se bhi khatarnak hai
Don't underestimate og's :smartm:
Michele ka jab uska saamna aarav se next time hoga tab toh aarav ke status 25% unseal ho chuke honge... Gand fat ke hath mai hi aa jayegi...
Michael smart hai! Tashreef bachane ke liye usne pehle he haath milane ka plan bana liya tha :D And don't forget about Mia :blush:
Isko last rakhte hai review Jayda bada ho raha hai... baaki bhut se sawaal ke jawaab abhi milna baaki hai kuch solve hoga tabhi mai bolunga abhi dekhte hai Salty~Otaku bhai Hume kya dikhna chahte hai....
Main to actually kuch aur dikhana chahata tha! Lekin yahan kuch characters ne gun point per kanhi aur he ghooma diya :redface:
Baaki ke sawaal next time till then signing off...
Time to sign in again :roll:
 

dev61901

" Never let an old flame burn you twice "
1,555
3,198
143
UPDATE 87 ~
(History Unfolds) (4)



Sainte-Croix Hospital
France ~ 1985


*Click*


Varsha white room ke darwaze ko kholte huwe andar aa gayi, Usko andar aate he saamne Beatrice aur Suhani baithi huwi dikh gayi, Suhani khaana kha rahi thi, Lekin Beatrice muh fulaye baithi huwi thi.


Varsha ne Suhani ki taraf daikha to usne Beatrice ke acting karte huwe keh diya ke wo gussa hai, Varsha bhi muskurate huwe uske paas chali gayi aur uske saath baith gayi.


Lekin Beatrice muh fulaye huwe dusri taraf ghoom gayi, Varsha ne gloves pehne aur ek syringe utha ker Beatrice ke haath ko pakad ker taiyar karne lagi.

Varsha: Aj caretaker ko blood sample kyu nahi lene diya?


Beatrice: Kyu ke ap ne apna promise toda tha! Ap ne kaha tha ke ap yahan aati rahe gi, Lekin ap 17 din se nahi ayi thi, Aur unko main pasand bhi nahi karti.


Beatrice baat to ker rahi thi, Lekin usne ab tak Varsha ki taraf daikha bhi nahi tha, Ye daikh ker Varsha muskurane lagi aur uska blood sample lene lagi.


Varsha: Ap ko bhi pata hai na ke hospital me kitna kaam tha!? Ab usme busy ho gayi thi, Lekin ab aa gayi hu na...Care taker kyu nahi pasand?


Beatrice(Down): Us-Usne kaha ke ek baar main theek ho gayi to main ap se dur ho jaungi! Ye sach hai kya?


Varsha(Sigh): Huh...Uska ye matlab nahi tha! Wo sirf keh rahi thi ke ek baar tumhari bimari cure ho gayi to tum bhi dusre bacho ki tarha cheeze ker sako gi, Hum tumhare liye naye parents dhundhe gye aur tum ek baar dobara school ja sako gi aur ghoom sako gi aur jo kuchh bhi karne ko dil chahe ker sako gi.


Varsha ne uska sample lene ke baad kaha aur uski taraf daikhne lagi, Lekin uski baat sun ker Beatrice khush nahi lag rahi thi.


Varsha: Ab kya huwa?


Beatrice(Hesitant): Doctor, K-Kya ap mujhe adopt karo gi?...Main ap ke aur buddy ke saath rehna chahati hu, Agar nahi to mujhe cure nahi hona.


Beatrice ka chehara laal ho gaya tha, Usne keh to diya tha, Lekin usko ab cringe feel ho raha tha, Ankush he zyada samay uske aur Suhani ke saath bitata tha to unki dosti ho gayi thi.


Lekin Varsha aur Beatrice ke beech ek aur bhi khaas bond ban gaya tha, Varsha aur Beatrice ek tarha se uske bachapan se he saath the, Varsha se milne se pehle ki sab yaadein Beatrice ke liye kisi bure sapne ki tarha thi.


Beatrice ko uska khud ka baap he ek curse kehta aya tha, Ek bachi ko bhooka rakh aur torture ker ke usko lag raha tha ke wo uski patni ka intiqaam le raha hai, Usko torture ker ke wo khud ke andar Qi hone ki saza usko de raha tha.


Lekin Varsha se milne ke baad Beatrice ko pehli baar pata laga tha ke ek Maa ke paas hona kaisa lagta hai, Varsha ke liye bhi ab Beatrice uski khud ki bachi ki tarha ho gayi thi aur wo usko aage sirf ek achi life dena chahti thi.


Varsha(Nod): Hum saath rahe gye!....Lekin uske liye pehli main tumhe cure karu gi aur phir hum bina gloves ke ek dusre ka haath pakad ker duniya ghoome gye....I Promise!




****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30



*Gasping*


Varsha neeche ghutnon per baith ker aage ki taraf daikhte huwe lambi lambi saanse le rahi thi, Uske saamne bed per Beatrice ki body thi, Usne khud ke saamne Beatrice ki aatma ko nasht hote huwe daikha tha.


“Varsha?”


Ankush bhi apni kalai ko apne dusre haath se pakade huwe andar aa gaya, Lekin aage ka drishya daikh ker uski ruh kaanp gayi.


*Beeeeep*


Ankush ne monitor per heartbeat ki seedhi line ko daikha tha uske raungte khade ho gye, Usne aur Varsha ne hamesha Beatrice ko cure karne ke baare me he to socha tha, Lekin ab wo he Beatrice uski aankhon ke saamne bejan laiti huwi thi.


Ankush: Beatrice?


Ankush ke kadam khud he Beatrice ki taraf badhne lage, Usko abhi tak vishwas nahi ho raha tha, Ankush peeche darwaze per khadi huwi Suhani bhi khadi hairani se sab daikh rahi thi.


Ankush bed ke paas chala gaya aur usne Beatrice ka haath pakad liya, Lekin uski body sach me bejan thi, Ankush khud ko rok nahi saka aur uska haath pakade udhar khada rone laga.


Usko aise daikh kef Suhani ke bhi aansu chhalak pade aur wo udhar he baith ker rone lagi, Lekin Varsha me ab hilne ki bhi himmat nahi ho rahi thi.


*Thud*


*Groan*


Aarav neeche gir ker behosh ho gaya, Uske paas khade Avinash ka pura Arm laal ho gaya tha kyu ke usne bohat zyada samay ke baad apne Qi core ko unseal ker ke Use kiya tha.


Avinash ka shoulder bhu dislocate ho gaya tha aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha, Avinash khada lambi lambi saanse le raha tha, Usko daikh Varsha khadi ho gayi aur uski taraf badhne lagi.


*Grasped*


*Boom*


Varsha ne Avinash ko collar pakadte huwe usko deewar se laga diya, Uski aankhon me aansu aur gussa bhada huwa tha aur wo Avinash ko kha jaane wali nazron se daikh rahi thi.



Varsha(Furious): You could've save her too, Right!? Tum ek genius the, Aisa ho he nahi sakta ke tumhare paas dono ko ek saath bachane ka option nahi tha... *Sniff* Phir kyu tum ne usko bachaya nahi? Kyu usko marne diya? Aakhir Kyu?


Varsha uska collar pakade huwe he rone lagi, Uske andar khade rehne ki bhi shakti nahi thi, Avinash ne uski dono kalaiyon ko pakada aur uska haath jhatak ker khud se alag ker diya.


Avinash(Frustrated): Huh, Even if I could’ve saved her, why should I? I don’t even know her! If saving her even a little could put my son in danger...I’d choose my son every time.


Avinash ne Varsha ko khud se alag karte huwe kaha uske shabdon ko sun Varsha sirf usko hairani se daikhti reh gayi, Usko vishwas nahi ho raha tha ke ye Avinash keh raha tha.


Varsha(Bitter): Unbelievable, Ye sach me tum keh rahe ho? Ab tak sab ka rakshak ye keh raha hai? Kanha gaya wo Avinash jo dusro ke liye marne ko bhi taiyar tha? Abhi tum ek rakshak nahi *Shout* Rakshas lag rahe ho Rakshas...Kya uss bach per zara bhi tars nahi aya tumhe?


Varsha ko Avinash se ghin aa rahi thi, Usko pata tha ke usne Avinash ke saath galat kiya tha, Lekin usne kabhi Avinash ka ye roop daikhne ke baare me socha bhi nahi tha.


*Grasped*


*Choked*


Avinash ne Varsha ke gale ko pakadte huwe usko utha diya, Ye daikh Ankush ne uske paas aa ker usko rokna chaha, Lekin Avinash ke ek dhakke se wo peeche gir gaya.

Avinash(Furious): Haan, Ab bhi dusron ko liye main khud marne ko taiyar hu!...Lekin agar baat mere bacho ki hai!? I’d burn the whole world down to protect them...Phir chahe saamne unki khud ki Maa he kyu na ho.


Avinash ne Varsha ko phainkte huwe kaha to Varsha neeche gir gayi, Avinash ne ab tak Varsha ko maaf nahi kiya tha, Varsha gussa thi to Avinash ki aankhen bhi gusse se laal thi.


Avinash usko udhar he chhodte huwe aage badh ker Aarav ko uthane laga, Varsha ab usko rokna chah ker bhi rok nahi sakti thi.


Ankush aur Suhani ke saath baaki sab bhi unko khade daikh he sakte the, Avinash ne Aarav ko uthaya aur baahir nikal gaya aur beech se Urvi ka bhi haath pakad ker chala gaya.


Varsha unko aise jaate huwe daikhti he reh gayi, Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo udhar he besudh ho ker baith gayi.



Ankush: Varsha! Varsha!! Vars...shaaa!!!


Ankush ki aawaz dheeme se dheeme hoti gayi aur Varsha behoshi ki halat me girti rahi, Itne din aur raat ki mehnat ke baad ab ye sab hone se wo mentally exhaust ho gayi thi.


*Thud*





****


“Uhh...”



Varsha ne apne sar per haath rakhte huwe aankhe kholni shuru ker di, Uska sar abhi bhi kaafi bhaari tha, Varsha uth ker baith gayi.



Varsha(Groan): Ughhh!


“Varsha?”


Varsha ki awaz sun ker uske paas he kursi per baitha soo raha Ankush uth gaya, Usko hosh me ate daikh ker Ankush uske paas ho gaya, Varsha ko bhi ab ek saath uski behoshi se pehle huwe sab drishya dobara yaad ane lage.


Varsha: Ankush, Beatrice? Main kab se behosh thi?


Varsha ke savalon ko sun ker Ankush ne uska haath pakad liya, Varsha abhi buri tarha se kaanp rahi thi.


Ankush: Kal se unconscious ho tum! Hum ne...Hum ne Beatrice ko yanhi ek cemetery me dafana diya hai, Uski body ko ab zyada samay ke liye rakhna theek nahi tha.


Varsha ki dhadkane ek pal ke liye tham si gayi, Beatrice ko usne hamesha ke liye kho diya tha.


Varsha: Suhani kanha hai? Aur Veer aur Aakash ki kya halat hai?


Ankush: Aarav ne kya kiya ye mujhe ab tak pata nahi laga! Lekin bacho ki condition ab bohat behtar hai, Unke test kiye hai aur ye pehli baar huwa hai ke unke sab results normal aye hai...Unhe abhi white room me sulaya gaya hai, Aakash aur Veer Aarav se milna chahate the, Lekin unhe samjha diya hai.


Varsha uski baat sun ker aise he chup ker ke baith gayi, Ankush bhi usko sambhalne ka time de raha tha, Varsha kuch der baad uth gayi aur apna coat pehan liya.


Ankush: Kya huwa? Kidhar jaane ki taiyari?


Varsha: Kanha ja sakti hu! Apne bacho ke paas ja rahi hu, Apne ghar!


Ankush(: Seriously!? Abhi bhi usko ghar keh rahi ho? Varsha tumhe lagta hai ke wo insaan abhi bhi tumhe andar ane de ga?


Varsha: I don't care, Lekin main yahan per baithi nahi reh sakti! Mujhe mere bacho ke paas hona chahiye hai.


Ankush(Sigh): Huh, Fine! Lekin raat bohat ho gayi hai, Main bhi saath chalta hu.


Varsha(Nod): Okay!


Ankush bhi uske saath chal diya aur dono kamre se baahir aa gye, Varsha ne ek baar teeno bacho ko daikha to sab soo rahe the aur phir dono baahir aa gye, Ankush ki Car me baith ker dono Avinash ke ghar ki taraf chal diye.


*Screeeech*


Ankush ne ghar ke baahir car ko roka aur dono car se utar ker ghar ki taraf chalne lage, Raat ke 2 baj rahe the lagbhag sabhi gharon ki battiyan band ho gayi thi.


*Knock-Knock*


Varsha ne ghar ke darwaze per dastak di aur dono khade ho ker darwaza khulne ka intezar karne lage kuch der baad darwaza khula aur unke saamne Avinash khada huwa tha.


Unko daikh ker Avinash bina kuch bhi kahe darwaze ko khula chhod ker andar chala gaya, Varsha andar jaane lagi to Ankush bhi uske saath andar aa gaya.


Varsha: Kanha?


Ankush: 10 Minute yahan baith ker chala jaunga! Aise tumhe akeli nahi chhodunga.


Varsha: *Nod*


Varsha aur Ankush dono he ghar ke andar hall me aa gye, Varsha Ankush ko udhar baitha ker jaane lagi, Lekin kuch daikh ker uske kadam tham gye.


Uske saamne deewar per Bharat ki tasveer tangi huwi thi aur usper haar chadhayan huwa tha, Usko daikh Varsha bilkul chaunk gayi.


“3 Din pehle tumhare uncle ka dehant ho gaya tha”


Varsha ke peeche khadi Lakshmi ne kaha to Varsha ghoom gayi, Lakshmi ne white saree pehni huwi thi, Usko daikh ker lag raha tha ke usne kitne dinon se kuch bhi nahi khaya tha.


Varsha: Aunty?.... I'm sorry, M-Mujhe pata he nahi tha.


Lakshmi: Avinash ne tumhe aur bacho ko dhoodhne ki koshish ki thi! Lekin usko tum teeno mile he nahi, Kal Aarav ki Qi ko usne feel kiya to ghar se bhaagte huwe chala gaya tha.


Lakshmi ki baat sun ker Varsha ne yaad kiya to kal Avinash bhi white suit he pehne huwa tha, Varsha ko ab khud ki kahi huwi baato per gussa aa raha tha, Avinash ne uske baap ko khoya tha aur kal usne apne bache ko bhi lagbhag kho he diya tha.


Varsha: Sorry, Aunty...! Ap- Gussa ho kya?


Lakshmi: Main gussa kyu hone lagi? Ye tumhari aur Avinash ke beech ki baat hai... Lekin haan main nirash zaroor huwi thi sab kuch sun ker, Kabhi socha nahi tha ke har din mere kaam me jigyasa dikhane wali ek ladki uska ye arth nikale gi aur khud ke he bacho ki jaan sankat me daal de gi.


Varsha ke paas ab kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Lakshmi ne bhi usko aur kuch bhi nahi kaha aur Ankush ke saamne kursi per baith gayi, Varsha udhar he khadi rahi aur kuch samay ke baad Avinash apne haatho me Aarav aur Urvi ko uthaye aa gaya.


Aarav aur Urvi dono he abhi gehri neend me the, Avinash ne unko Lakshmi ke paas laita diya aur khud bhi uske saath he baith gaya, Varsha bhi ek kursi per uske saamne baith gayi.


Varsha: Avinash, Aunty ne abhi uncle ke baare me bataya!... I'm sorry, Mujhe kal kuch-


Avinash: Papa ko kuch bhi hone se tumhe kuch farak bhi padhta hai kya? Ye pata hote huwe bhi ke unki kya halat hai tum ne to apna he swarth daikha na?...Ek baar main ne tumhe maaf karne ki galti ker di hai ab dobara nahi ker sakta.


Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha bhi nahi, Varsha samajh gayi ke usko ab uski taraf daikhne se bhi ghin aa rahi thi.


Varsha: Ab kya chahate ho?


Avinash(Sigh): Mnemosyne's Gaze!


Naam sunte he Varsha ki aankhe hairat se khul gayi, Ye Lakshmi ki he banayi gayi ek forbidden art thi, Ye hypnosis ki tarha ki he thi, Lekin ye Art usko directly kisi ki yaadon me parvesh karne aur badlav karne me madad karti thi.


Lekin Lakshmi ke khud banane per bhi ye uske liye Use karni easy nahi thi, Usko bhi ye Art ke prayog ke liye support ki zaroorat hoti thi aur uske paas abhi Avinash ek support ke roop me tha.


Varsha: Aunty, ap kya bacho ki yaadein badalna chahte ho?


Avinash: Haan, Bacho ke liye tum sirf ek buri Maa ban jaogi! Unko tumhare wajood se bhi nafrat ho jaye gi aur wo tumhe kabhi daikhna bhi nahi chahe gye, Uske baad tum yahan se ja sakti ho aur kabhi bhi laut ker na ana.


Ankush: Avinash ye kuch zyada ho rah-


Avinash: Beech me bolne ki koshish bhi na karna! Agli baar tumhari kalai nahi gardan ho gi.


Avinash ne uski baat ke beech me he usko dhamki dete huwe kaha, Ankush ko gussa to aya, Lekin usne gussa pee liya aur chup ker ke baith gaya.


Varsha: Aur agar main ye na karu to phir kya karo gye?


Avinash(Sigh): Huh, Phir mere paas aur koi raasta nahi ho ga! Main Avinash Arya, Clan ka Leader ye kasam khata hu ke agli baar tum mere bacho ke kareeb dikhayi bhi di to tumhare baap ke aakhiri shabdon ko pura karte huwe tumhara sar dhar se alag ker dunga.



*Clang*


Avinash ne kehte huwe he clan leader ki sword ko unsheath karte huwe aage rakh diya, Varsha aur Ankush ki saanse thamne ko ho gayi.


Varsha sirf Avinash ki taraf daikhti he reh gayi, Lekin Avinash ne usko ek baar daikha bhi nahi aur baitha raha, Usko daikh ker lag raha tha ke wo sach me sar kaatne se pehle soche ga bhi nahi.


Varsha ne ek baar Lakshmi ki taraf umeed bhari nazron se daikha, Lekin Lakshmi ne bhi uski taraf daikha bhi nahi.


Avinash: Tumhare paas zyada samay nahi hai! Tumhe abhi nirnay lena ho ga.


Varsha ne ek baar dobara un dono ki taraf daikha, Lekin dono he ab badalne ke liye taiyar nahi the, Ye daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Uske paas sach me aur koi raasta nahi tha.


Varsha(Nod): Jaisa tumhe sahi lage! Lekin kya kabhi kabh-


Avinash: Ek baar bhi nahi! Unko tumhara chehara dobara dikhna bhi nahi chahiye.


Varsha bilkul bebas ho gayi thi, Uski nazar uske bacho per chali gayi, Unki wo aakhiri tasveer ko kaid ker lena chahti thi, Avinash bhi baitha intezar karta raha aur aakhir me Ankush ko he Varsha ko uthana per gaya.


Varsha apna sar jhukaye baahir ki taraf chal di, Usne khud he apne ghar ko kho diya tha, Uske dil me ek he chah thi ke ek baar dobara Avinash usko rok de aur kuch aur saza de de.


Lekin usko bhi andaza tha ke Avinash ab dobara vishwas nahi kare ga aur Ankush ke saath baahir chali gayi, Ankush ne uske liye car ka darwaza khola aur Varsha car me baith gayi.


Uske sabar ka bandh toot gaya aur wo car me baith ker rone lagi, Usne sab kuch he kho diya tha, Uska ghar uske bache aur Beatrice sab kuch he cheen liye gye the usse.


“Aur uss raat ke baad me ne tum dono ko kabhi bhi nahi daikha”



Car ke baahir Aarav aur Varsha parchhai ke roop me khade huwe the, Aarav ne uske brain se direct connection banaya tha to Varsha bhi uske saath thi.


Varsha: [Uske baad Avinash ne tumhe kya yaadein di mujhe nahi pata! Lekin wo sab sach nahi thi, Aarav tumhe pura sach nahi bataya gaya, Ye sirf Forged memories hai.]


Aarav(Scoff): [Aur ap ko aisa kyu laga ke aisi reality se bhu buri memories forge ho sakti hai? Meri Maa ne mujhe he maarne ki koshish ki aur wo bhi ek baar nahi do baar? Usse buri chhavi aur kya ban sakti hai ap ki?]


Aarav ki baate sun ker Varsha chaunk bhi gayi aur uske paas kehne ke liye bhi kuch nahi bacha, Aarav ki har baat sach thi.


Aarav: [Ap ko pata hai ap se pehle main ne ye sab kuch Dad ke nazariye se daikha tha!? Kya ap daikhna chaho gi?]


Aarav un memories ki baat ker raha tha jo usne Avinash ko devour karne ke baad daikhi thi, Varsha uski baat sun ker hairaan huwi aur usne sirf nod ker diya.


Aarav ne haath uthaya to unke saamne ka drishya badlne lage, Ab Aarav Avinash ki memories dikha raha tha, Varsha ne apne saamne daikha to usko sirf andhera dikhayi diya.


Varsha: [Ye kya hai?]


*Groan*


Abhi Varsha ne Aarav se pucha he tha ke usko ek taraf se kisi ke karahne ki awaz sunayi di, Varsha ne udhar daikha to usko Avinash khada dikhayi diya, Usne kuch pakada huwa tha.


Aarav: [Hairan ho gayi kya? Kuch andaza hai kya ke ya kya ho sakta hai?]


Varsha ke muh se ek shabd bhi baahir nahi aya, Usko pata lag gaya tha ke Avinash ne kya pakada huwa hai, Uske haath me abhi Beatrice ki soul thi, Jisko wo kanhi se khinch ker baahir nikal raha tha.


Varsha ne andar jhankana chaha to wo aur bhi hairan ho gayi, Uske saamne tha to sirf andhera he, Lekin wo usko mehsoos bhi ker sakti thi aur khud ko khinchate huwe mehsoos bhi ker sakti thi.


Varsha: [Ye kya hai?]


Aarav:
[Limitless Growth]


*Clap*


Aarav ke clap karte he Varsha ko Avinash ki nazar se dikhayi dene laga, Avinash ke saamne ek badi deewar thi aur deewar ke beech me ek chhed bana huwa tha.


Aarav: [Ye meri real potential hai! Limitless Growth, Lekin usko unlock karne ke liye ye deewar mujhe khud se todne ki zaroorat thi, Kyu ke agar main deewar ke dusri taraf ki growth ko control nahi ker sakta tha to wo mujhe control karne wali thi]


Varsha ke paas kehne ke liye shabd nahi the, Usko andar baaki sab souls dikhayi to de rahi thi, Lekin wo samundar me kuch bundon ke barabar bhi nahi thi.

Aarav: [Isko Unlock karne ke liye abhi bhi bohat samay tha! Lekin kisi ko laga ke kisi newborn baby ki soul ko transfer kiya jaye aur usko karte huwe ye chhed ban gaya]


Varsha ko aage ka kuch sochne ke liye aur sunane ki zaroorat nahi thi, Phir Aarav ki ye growth uske aur bhi souls ko devour karne se trigger ho gayi thi aur usko ab bhadne ke liye aur bhi energy chahiye thi.



Aarav: [Aur tab Dad ne dobara ek mushkil nirnay liya! Agar chhed band na kiya jata to baahir sab growth ke liye sirf ek energy ban ker reh jaate, Sab ko bachane ke liye Dad ne usko khatam ker diya]


Avinash ne Beatrice ki Soul ko haatho me he nasht ker diya aur uske baad chhed ko seal karne laga, Avinash ke liye wo nirnay kitna mushkil tha ye uski unstable energy se pata lag sakta tha.


Varsha: [Usne bataya kyu nahi?]


Aarav(Sigh): [Huh, Ap ne kaha ke unhone sach chupaya tha, Right? Ab ap ko batata hu ap ke ghinone sach ko chupa ker unhone hamay kya bataya]


Aarav ne dobara saamne ka drishya badal diya, Ab unke saamne dobara ussi raat ki memories thi, Lekin ye Avinash ki memory thi Varsha ke jaane ke baad ki.


Laskhmi: Avi...?


Lakshmi uth ker Avinash ke paas chali gayi aur usko gale se laga liya, Maa ki bahon me ate he Avinash ke aansu ruk nahi sake aur uske agosh me chehara chupaye wo rone laga.


Avinash in aansuon ko kab se roka huwa tha, Lakshmi ne bhi usko khul ker roo lene diya, Avinash bohat der aise he baitha rota raha aur aakhir shaant ho gaya, Lakshmi uske saamne baith gayi.


Lakshmi: Kya ho gaya tha? Itne aansuon ko chupa ker baitha huwa tha?


Avinash(Sniff): Aise he Kuch soch raha tha!...Usne kya he galat kaha tha? Aakhir ek rakshas he to hu na main? Sab se pehle apne logo ko he apne haatho se maara aur phir ek bachi ko bhi apne haatho se khatam ker diya!? Rakshas he to huwa na?


Lakshmi(Tearful): Aisa kyu bolta hai? Sab kuch tu ne dusron ke liye kiya tha, Lekin bojh uthane ke samay per tu akela kyu ho jata hai?


Lakshmi ne uska chehra thaamte huwe kaha usko sirf apne bete per taras he ata tha, Usne kabhi uske jaisa saaf dil insaan nahi daikha to aur sab dukh bhi uski kismat me he likh diye gye the.


Lakshmi: Ab sach sach bata! Kya sach me tu bacho ki memories me badlav karna chahta hai?


Avinash(Nod): Haan, Lekin unko Varsha ki buri memories nahi deni!...Ab ki baar ap ko mujhe bura banan ho ga.


Lakshmi(Frowns): Avi? Aisa kyu karna chahata hai?


Avinash(Sigh): Huh, Ap ko bataya tha na ke Aarav ki Limits ko seal kiya hai!? Lekin usko seal karna bohat mushkil tha, Meri banayi har seal ko he wo devour ker raha tha aur ant me....ant me mujhe khud ke core se ek seal banani per gayi.


Lakshmi: Huh? Kya matlab?


Avinash: Main uske chhed ko band to nahi ker sakta tha! Lekin main ne usko ab direct ker diya hai, Ab wo kisi ki bhi energy ko aise he nahi khinche ga, Usko ab sirf meri Qi chahiye ho gi, Aarav ke kareeb hone per wo khud he meri Qi khinchne lagta hai.


Lakshmi ne aisa kuch padha huwa tha, Ye karne se Avinash ne Aarav ko stable to ker diya tha, Lekin ab Aarav ke paas ane se uski Qi khinchne lagti thi aur agar uska pura core khali ho jata to Avinash ko bhi khatra tha.


Avinash: Ab bacchon se dur rehne ke liye kuch bahana to chahiye hai na? Agar ek bura baap ban gaya to bahanon ki zaroorat he nahi ho gi na?


Avinash keh to ye muskurate huwe raha tha, Lekin uski muskurahat ke peeche ka dard abhi Lakshmi daikh chuki thi, Usne sirf apne bete ke sar per haath rakh diya.


Avinash: Bacho ko ye bataye ke main ne unki Maa ko tadpaya aur zulm kiya hai! Aur Aakhir me mujhse tang aa ker usne dam tod diya tha.


Lakshmi: Maa ko maar kyu raha hai? Rok kyu nahi raha? Baap nahi to ek Maa to ho gi na?


Avinash: Ek baar bharosa ker ke daikh liya hai! Ab bacho ko dobara uske paas akela nahi chhodunga, Acha hai ke unhe lage ke unki Maa mar gayi hai.




****
Sayani Mansion
France ~ 12:24 AM



“Enough!”


Suhani ne Aarav ko dhaka dete huwe Varsha se alag ker diya, Suhani Aarav ko khoon pee jaane wali nazron se daikh rahi thi, Usne Varsha ko khud ke saath lagaya huwa tha.


Varsha bilkul sadme ki halat me Suhani ke saath lagi roo rahi thi, Varsha yahan khud ko Aarav ki nazron me sahi sabit karne ayi thi, Lekin yahan wo khud ki nazron me he galat sabit ho gayi thi.


Aakash ek taraf khamoshi se baith ker sab kuch observe ker raha tha, Barbie bhi uske saath khada huwa tha, Aarav ki taraf daikh ker usko andaza ho gaya tha ke Aarav ko ab sab kuch pata lag gaya hai.


Varsha: Aarav, Bache!


Varsha uth ker khadi ho gayi aur Aarav ki taraf badhne lagi, Ye daikh ker Suhani ko gussa aya, Lekin usne muh fer liya aur khadi ho gayi.


Varsha Aarav ke saamne aa ker khadi ho gayi, Lekin ab ki baar uski Aankhon me wo aatmavishwas nahi tha, Varsha andar se toot gayi thi, Usne Aarav ke saamne haath jod liye.


Varsha(Tearful): Aarav, Apni Maa ko maaf ker de! Bohat badi bhool ho gayi, Kab main khud ko ahankar me pagal ho gayi mujhe pata he nahi laga *Sob* Apni Maa ko maaf ker de.


Aarav ne Varsha ke haatho ko pakad ker neeche ker diya, Ye daikh Varsh uske haatho ko thaamne lagi, Lekin Aarav ne haath kheench liye.


Aarav(Scoff): Corpse, The Kid Who Was Supposed to Die, Right? Ap ko ek aur baat bataun kya? That kid really did die that day...The person you see in front of you isn’t your kid anymore....Murdon ko dobara zinda karne ki koshish na kariye, Sirf mayusi he ho gi.


Aarav ne Varsha ko dutkarte huwe dhakel diya, Varsha sirf usko hairani se daikhti he reh gayi, Aarav ki ye harkat daikh ker Suhani ke sabar ka band toot gaya.


Suhani(Furious): Aarav, Ab bohat ho gay-


Aarav: Kneel!



[Alpha Presence Activated]


Aarav ki ek nazar per Suhani uske ghutnon per aa gayi, Usko aise daikh ker Aakash ko hansi aa gayi, Usne usko bataya bhi tha ke Aarav kitna strong hai, Lekin ab usne khud mehsoos bhi ker liya tha.


Aarav: Just get out of my sight! Before I do something I'll regret later.


Aarav ki baat sunte he Aakash ne Barbie ko ishara ker diya, Barbie nod karte huwe Varsha aur Suhani ko baahir le gaya, Unke nikalte he Aarav table pakad ker khada ho gaya.


Ab tak to wo khud ko sambhale huwa tha, Lekin uske bhi emotions unstable ho gaye the, Varsha uski Maa thi, Uske saamne hone se wo bilkul unfazed nahi reh sakta tha.


Aakash: Andar dum ghutne laga hai! Kya kehte ho, Fresh air ke liye terrace chalo gye kya?


Aarav(Sweating): *Nod*


Aakash usko saath le ker Terrace per aa gaya, Aakash ne ek cigar ko nikal liya aur usko jalane laga, Aarav terrace se neeche daikhne laga, Usko Barbie neeche Varsha aur Suhani ko car me baithate huwe dikh gaya.


Aarav unki car ko mansion se nikalte tak daikhta raha, Unke baahir jaate he Aarav udhar baith gaya, Aakash uske paas chup ker ke khada raha.


Aarav: Aakash, Tum ne mere liye itna sab kuch kyu kiya?


Aakash: Mujhe laga ke tumhe ab tak pata lag gaya ho ga!?


Aarav(Scoff): Kya ye soch ker tum ne sab kuch kiya ke main tumhara bhai hu? Agar aisa hai to uski zaroorat nahi thi, Tumhare bhai ki soul ko main devour to kiya ho ga, Lekin sirf ek energy ke roop me, Main bhai nahi hu tumhara.


Aakash(Smile): *Nod* Haan, I know ke tum Sagar nahi ho! Huh...Aarav tumhe pata hai main sagar ko nafrat karta tha? Hamesha se mujhe lagta tha ke uske kaaran he main ajeeb hu...Lekin wo bechara to mujhe he bachate huwe mara tha, Mere liye mujhse zyada dukhi wo tha, Wo mujhse alag bhi nahi ho sakta tha...Lekin phir tum aye aur sab kuch badal gaya...Aarav Arya, Ya kahu ke spiderman *Laugh*


Aakash un palon ko yaad ke muskurane laga, Usko daikh ker Aarav mehsoos ker sakta tha ke Aakash sach me khush tha.


Aakash: Aarav tum mere aur Veer ke sab se pehle friend the! Haan, Tum hamare bhai nahi the, Lekin agar wo sach me hamare saamne hote to bilkul tumhari tarha ke he hote, Ye he kaaran hai ke unki soul ko devour karne ke baad hum tumhe he bhai kehne lage...Unhone hamay ye zindgi di thi aur tum ne hamay zindgi jeene ka mauka diya tha, Hum baakiyo ki tarah baahir nikal sakte the aur aj hum jo kuch bhi hai tumhare kaaran he hai, Agar hamay tumhari khatir marna he kyu per jaye hum taiyar hai.



Aarav(Sigh): Huh, Whatever! Lekin mujhse kuch bhi expect na karna ke main tumhara bhai banu ga.


Aarav itne emotions ko daikh ker sach me tang aa gaya tha, Usko daikh ker Aakash sirf muskura diya aur cigar ka anand lene laga.


“Master”


Aarav ko bulate huwe Tinkerbell baahir aa gayi-


Aarav: [Kya ho gaya?]


Tinkerbell: [Ap ka reward kuch minutes ke baad ap claim ker sakte ho! Ap ke liye ek surprise bhi hai, Ya kaho ke bonus hai]


Aarav: [Really!? Huh, Aur dusre kaam ka kya huwa?]


Tinkerbell: [Haan, Main ne error ke liye bhi check kiya tha, Lekin kuch bhi error nahi tha, Urvi per sach me dot nahi tha]


Aarav: [Huh, Lekin ye kaise ho sakta hai?]



Aarav ke saval per Tinkerbell ne bhi haath khade ker diya ke usko kuch bhi idea nahi hai.


Aarav: Aakash....Urvi ke baare me batao gye kya? Main ne Urvi ko khud m-.... marte huwe daikha tha, Phir wo yahan aur zinda kaise hai?


Aakash: Soch he raha tha ke ab tak tum ne pucha kyu nahi! Huh, Uske baare me main bhi kuch bhi khaas nahi janta, Urvi ki body ko Suhani ne claim kiya tha, Usko ek tumhara friend wanha le gaya tha, Unhe bhi Urvi ki dead body he mili thi, Lekin kab raaste me Urvi ki saanse dobara chalne lagi unhe bhi pata nahi hai.


Aarav ko bhi ache se yaad tha ke usne Urvi ki heartbeat ko rukte huwe suna tha, Usko ab bhi pura drishya kisi bure sapne ki tarha yaad tha, Usko Urvi ke zinda hone ki khushi to thi.


Lekin wo hairan huwe bina nahi reh sakta tha, Agar Varsha ne bhi kuch nahi kiya tha to huwa kya tha.


“Uske shareer ko main ne zinda kiya tha”




[You have entered the Domain of the Monarch]


[Prepare for potential encounter with powerful foe]


Aarav terrace se ek empty white space me aa gaya tha, Aarav ne sword ko nikal liya aur ladne ke liye taiyar ho gaya.


*Clanggggggg*


Ek attack ek side se aya aur Aarav mushkil se khud ko defend ker saka, Sirf ek attack ne uska balance bigad diya tha, Earth per ane ke baad usne aisa attack ye dusri baar feel kiya tha, Pehla usne Tarun ka aisa attack feel kiya tha.


“hohoho! Not bad, Young man”


Aarav ko uske side se awaaz ayi to wo uss taraf ghoom gaya, Uske saamne ek vyakti khada huwa tha, Lekin uske kapade bilkul sadharan the aur uske haath me ek purani E rank iron sword pakadi huwi thi aur chehre per ek mask pehna huwa tha.


122175872722ddc8165976c1bf6142dd.jpg

[Check]


[Target is too powerful!⚠️]


[Player cannot check his status]



Aarav: Huh?


[Access Granted!]


[The target has allowed you to check his status]



Vyakti ne Aarav ki taraf daikhte huwe usko check karne ka mauka de diya, Ye daikh ker Aarav ko aur bhi gussa aa raha tha.


[Check]


[
Name: Aarav Arya
Job: Soul Monarch]


Aarav(Shocked): What the fuck?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Aur yahan huwa history unfold ka ant, Khush to bohat ho gye aur action bhi aa gaya :D Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga, Target hamara wohi hai 150 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Lo fail gaya rayta Arav vs Arav
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,942
21,545
144
Thik hai Namkeen bhai apun samajh gaya 😅...
:redface:
Baaki dekhte hain ab ye Urvi ki memory ka kya scene hai...
Bcz Arav k check krne pr bhi koi Dot nhi aaya jiska saaf matlab Hota hai k Urvi ki memory se Arav k erase hone ka (or bhi pata nhi kya kya erase huwa hai) Arav ki punishment or "Will To Live" k saath koi link nhi hai...
Maybe or maybe not :catshrug:
Maybe it have some kind of medical reasons...
Ya phir kisi ne Intentionally bhi yeh kiya ho sakta hai...
Baaki ab ye Arora or pata nhi yrr kya kya naye namoone aa gye hain...
Kaafi ghamasaan bana huwa hai pr umeed hai k aage k updates m ye sab explain ho jai gaa or sab samajh aa sake ga readers ko...
Sab suspense ek saath khol ker rakh diye hai! Ab nashe ker lete hai :D
Pr jab aapka apna aapke saamne ho or aap usse baat to kr sakte ho pr aap uske liye anjaan ho or aap usse bataa bhi nhi sakte k aap uske kon ho ya woh aapke liye kya importance rakhta hai to yeh jo feeling hai na woh bayaan nhi ki jaa sakti.
Ye to deep ho gaya :verysad:
Salty~Otaku bhai ek tarhaan se ye new update ka review bhi de diya hai...
:lol:
 
Top