# 58
Mahila Mukhiya se apani haar swikar karne ke liye anurodh karti hai lekin Mukhiya 'yeh meri shaan ke virudh hai'
Mahila: Jab jeevan hi nahin rahega tu shaan kaisi
Mukhiya: Tu ja yanha se, abhi chunnoti smapat nahin hui hai. Haar meri nahi balki iski hogi.
Mukhiya takatwar ke sath sath dabang bhi tha. Usne apani choton ki parvah na karte hue uthne ka prayatan kiya aur jab usse utha nahin gaya tu usne Ravi ki taang pakad kar kheenchne ka prayas kiya. Vo Ravi ki taang ko hila bhi nahin paya. Usse samajh nahin aa raha tha ki yeh kaise sambhav hai. Thodhi der pehle tu isme itni takat nahin thi.
Mukhiya ne apani donon bhujhaon se jor lagakar bhi usse girana chaaha lekin asfalta hi hath lagi. Tabhi Ravi ne uski gardan ko apani kaankh me bhar kar usse utha liya. Ravi jab uski gardan ko dabane laga tu vo chatpate hue apani gardan ko chhudwane ka paryaas karne laga lekin usse asfalta hi hath lagi. Tabhi vo mahila Ravi se fir se fariyad karne lagi tu Ravi ne usse chhod diya lekin vo dhadham se zameen par gir gaya.
Ravi ko laga ki uski mrituye ho gayi hai tu usse accha nahin lag raha tha. Usne jaldi se uski saans dekhi tu usse laga ki yeh abhi jivit hai tu usne jaldi se pani mangwaya aur uss par pani ke chhente mare tu thodhi der me usse hosh aa gaya aur usne apani haar swikar kar li.
Mukhiya (Zhabru) ke haar swikar karte hi Guruji ne Ravi ki jeet ki ghoshna ki tu logon me khushi ka mahaul ban gaya. Niyam ke mutabik ab Ravi vanha ka Mukhiya niyukt hua aur Mukhiya ki sari mahilayen ab Ravi ki amanat ho gayi. Un sab Mahilaon ko bulane par pata chala ki vo mahilayen 100 se upar thi. In mahilaon me vo mahila bhi shamil thi jiski aankhon me aansu the lekin chehre par Zhabru ke Zinda bach jane ki Khushi bhi thi. Itni mahilayen dekhkar Ravi ko Zhabru ke zulm ka aabhas ho gaya.
Ravi ne Guruji se baat ki aur uske baad Ravi ne Zhabru aur uss mahila ko apane paas bulaya aur kaha 'Tum agar chaho tu isko apane paas rakh sakte ho, lekin tumhe abhi ke abhi iss ganv ko chhodna hoga. Zhabru aur vo mahila Ravi ki baat sunkar uska dhanyawad dete hue vanha se chale gaye.
Unke jane ke baad Ravi ne ghoshna ki 'aaj ke baad Ladki/mahila ko bhi apane mard ko chunne ka utna hi adhikar hoga jitna mard ko hai. Aaj ke baad shaadi keval aur keval donon ki marji se hogi. Ye sari mahilayen aaj se swatantar hai. Jiss mard ne kisi bhi mahila ka chunav kiya hai usme agar mahila ki sehmati hai tu vo vapis uss mard ke paas ja sakti hai. Jo na jana change un sab ki jimmewari meri hogi'
Ravi ki baat sunkar sab taraf khushi aur utsav jaisa mahaul ho gaya. Kafi sari mahilayen vapis un mardon ke paas chali gayi jinhe mardon ne chunna tha. Bahut sari mahilayen aisi bhi thi jinnhe jabardasti Zhabru ne apane paas rakha hua tha vo apane maa baap ke paas chali gayi. Jo baki bach gayi thi unke parbandh Baba ko kehkar Ravi ne karwa diya. Mahi ab Ravi ke sath aa gayi.
Ravi ne Mahi aur Baba ko pehle se hi Rajni se shaadi ka bare me bataya tha jiska parbandh Baba ne pehle hi karke rakha hua tha. Ravi jab Mahi aur Baba ke sath pehle ghar gaya aur taiyar hokar Puja sthal par panhucha tu Rajni pehle se hi taiyar baithi hui thi.
Pandit ji ne un donon ke phere karwaye aur Rajni ke maang me sindur dalwakar Mangalsutra pehnwaya. Shaadi sampann hone ke baad Dulha aur dulhan ko Pandit ji aur Baba se aashirwad mila.
Donon jab ghar panhuche tu Rajni ko Mahi ek kamre me le gayi aur usse vanha baitha diya. Baba ne Ravi ko kucch aushadhiyan aur dudh ka Sevan karne ke liye diya jisse Ravi ko apani choton ke dard me aaram milne laga.
Baba ne Ravi ko bataya ki usse aaj hi baki bachi hui mahilaon se sambandh banana padega.
Ravi: ye kaise sambhav hai, ek sath itni mahilaon ke sath
Baba: Mera matlab hai ki tumhe un sab se akele me milna hoga aur tum un me se kisi ke sath kabhi bhi sambhand bana sakte ho
Ravi: Tab unse kal mil lenge
Baba: Nahin tumhe unse aaj aur abhi akele milna hoga. Sambhand tumhari marji par
Ravi: Tab chalo chalte hain
Uske baad Ravi ne Mahi ko sab samjha diya. Mahi ne sab ko raat ka khana khila diya aur Baba Ravi ko lekar vanha chale gaye janha unhone baki mahilaon ko therane ka prabandh kiya tha.
Baba ke Ghar ki suraksha me kai log lag gaye kyounki ab Ravi Mukhiya tha. Ye sab vanha ke niyamanusaar ho raha tha.
Niyamanusaar Ravi ko baki bachi mahilaon se akele me mIlan karna tha lekin itni mahilaon ke sath ek sath milan asambhav tha. Ravi ne sab Mahilaon ko ek bade se kamre me ek sath bulaya aur kaha 'Jaisa ki maine kaha tha ki Tum sab ab meri jimmewari ho, lekin kisi par bhi koi jor jabardasti nahin hogi. Main tum sab ko ek saptah ki mauhlat de raha hun, jo apani marji se mere sath rehna chahti hai reh sakti hain aur agar Jana chahe tu swatantar hain. Dusri baat sambhand main tabhi banaunga jab tum apani iccha se sambandh banana chaho'
Unme se bahut sari mahilayen ek sath boli 'Aapne ham sab ko itni izzat aur maan samman diya hai tu ham kyoun kahin aur Jana chahenge. Aap jab chahe hamare sath kaisa bhi sambandh bana sakte hain. Ham sab aapki dasiyan hain'
Ravi ne hath uthakar sab ko shant karwaya aur kaha 'Tum sab apane aap ko meri dasiyan samjhna band kar do'
Unme se kucch mahilayen ek sath 'Niyamanusar ham aapki dasiyan hain'
Ravi: Vo sab theek hai lekin tum sab apane aap ko meri dost samjh sakti hain aur ab se apani jindagi ko khul kar jiyo. Main tum sab ki suraksha khane peene aur rehne ka pura parabandh kar dunga
Mahilayen: Hame khushi hai ki aap hame itna maan de rahe hain lekin aapse anurodh hai ki aap gaanv walo ke samne hame dasi ka hi darja dijiye nahin tu hamara jeena mushkil ho jayega
Ravi: Tum sab chinta na karo vo main dekh lunga. Haan tum logon ko baki gaanv walon ke samne jo samjhna hai samjho mujhe koi aapati nahin hai. Haan ek saptah tak tum log acche se soch vichar kar lo ki tum sab kya chahti ho. Ab ham ek saptah ke baad iss bare me baat karenge.
Ravi ki baat sunkar kai mahilayen itni bhavuk ho gayi ki vo aakar Ravi ke paanv chhukar apne aap ko dhanaye manne lagi. Fir dekha dekhi sab ek ek karke Ravi ke paanv chuune lagi.
Ravi ne sabko acche se rehne ke liye bolkar vanha se nikal kar Baba ke sath Ghar aa gaya.
Ghar aakar Mahi ne Ravi ko chhedte hue kaha 'chalo ek aur ladki ko aaj aaurat bana do'
Ravi ne Mahi ko kasakar gale lagate hue 'kaho tu pehle tumhare aaurat banne ka abhyaas karwa dun'
Mahi 'Na baba na, pehle hi itna dard de chuke ho aaj bardasht karne ki halat me nahin hun. Aaj tu aap nayi dulhan ko apani aaurat banao'
Ravi ne uske hothon ko chumte hue 'Tumhe bura nahin lagega'
Mahi bhi chumban ka jawab deti hui 'bura kyoun lagega, mujhe tu pehle se hi pat tha ki aapki bahut sari patniyan hongi'
Uske baad Mahi usse Rajni ke kamre ke bahar lakar 'ab jaiye aapki dulhan aapke intezaar me thak gayi hogi' Ravi Mahi ko ek baar fir se chumkar usse chhod deta hai. Ravi kamre ke andar jakar dekha hai ki.......................................