Chapter 010
“Kya tum mujhe apni kahani suna sakti ho.” Arjun Soumya ke bagal me let kar bola. Soumya uski bahon me aa gayi aur usko apni kahani sunane lagi.
“Main ek middle class family se belong karti hu. Mere papa Rohit ki company me hi kaam karte hai. Aur meri maa housewife hai.
Main bahut khush raha karti thi. Lekin khushi hamesha ki tarah nahi hoti hai. Pichhle birthday par meri mom dad ne ek party rakhi thi. Usme unke kuch colleague bhi aaye hue the.
Us din unke boss bhi aane wale the. Jis karan woh bahut khush the. Lekin unko pata nahi tha ki unhone kisi rakshas ko apne ghar me bula liya hai.
Us din jab Rohit ki najar mujh par padi to usne mujhe propose kar diya. Lekin maine usko mana kar diya. Kyunki main tumse pyar karti thi.
Us din to Rohit kuch nahi bola lekin agle din se hi mere papa ko company me kaam badha diya gaya. Baad me papa ko malum chala ki kyun ho raha hai.
Lekin unhone mujhe kuch nahi bataya. Wo to maine unhe ek din mom se baat karte hue suna to pata chala. Us waqt tak main jaan gayi thi ki Rohit tumhara roommate hai.
Main kuch bhi nahi kar sakti thi. Maine apni family ke liye Rohit ki girlfriend banne ka socha. Uske sath rahte hue mujhe pata chala ki Rohit bahut hi bekar insan hai. Sath hi wah aiyas bhi hai.
Mujhe pata chala ki usne apne company ke employ ki betiyo ke sath sex kiya hai. Unki family ko usne paise dekar chup kara diya hai.
Kisi bhi tarah kar ke maine Rohit ko kabhi aage badhne hi nahi diya. Iske bich usko tumhare bare me pata chal gaya ki main tumse pyar karti hu.
Us din ke baad se woh mujhe lekar tumhare paas jata tha. Aur mujhe tumko bura bhala kahne ke liye bolta tha. Na chahte hue bhi mujhe wo karna padta tha.
Aaj maine tumhare andar self confidence ko dekha. Main tumse baat karna chahti thi. Lekin jab tum ne mere sath one night stand ki baat boli. To mujhe dukh hua.
Lekin main tumse pyar karti thi. Main akhri baar tumhare sath madhosh hona chahti thi. Uske baad pata nahi lekin apne pyar ke sath main ek raat jarur gujarna chahti thi.
Lekin jab tumne bich raste me mujhe chhod diya aur apne upar kabu karne ke liye khud nahane chale gaye to mujhe samajh aaya ki tum auro se alag ho. Khas kar apne roommates se. Isliye maine tumko propose kiya tha.”
Itna kah kar Soumya ruk gayi. Usne apne andar rakhi hui baat ko Arjun ke samne jahir kar diya tha.
Uska man halka ho gaya tha. Wah andar se ab bahut acha feel kar rahi thi. Arjun uski baat sun kar na jane kitni der soch me hi raha.
Antim me wah Soumya ki baal ko sahlate hue bola, “Soumya main tumhare liye thik nahi hu. Main bhi apne roommate ki tarah hi hu. Meri bhi iksha hai ki main bahut sari ladkiyo ko chodu. Unke sath sex karu. Mera sapna hai ki main duniya ka takatwar insaan banu. Meri sakdo patniya ho. Pata nahi meri soch galat hai ya sahi. Lekin sabke apne sapne hote hai. Sayad main tumhare layak nahi hu.”
Arjun ki baat sunkar Soumya ke dil me dhakka laga. Woh bahut der tak apne man me sochti rahi. Kya paise aane ke baad Arjun badal gaya hai.
Uske man me udher bun chalti rahi. Lekin Arjun ne uske sath koi galat kaam nahi kiya tha. Woh chahta to usko andhere me rakh kar uske sath sex kar leta. Uske baad usko auro ki tarah sex ke baad usko kapde ki tarah fenk kar nikal jata.
Lekin Arjun ne to uske sath kuch nahi kiya tha. Idhar Arjun Soumya ka jawab ka intejaar kiye bina nind ki agosh me chala gaya tha. Aaj uske sath bahut sari ghatna ghati thi. Jiske karan woh thak gaya tha.
Bhale hi abhi Soumya nangi uski banho me thi. Lekin ek baar wasna ka bukhar utar jane ke baad woh ab shant ho gaya tha.
Soumya jab apne khyal se bahar aayi to usne Arjun ki ek saman dhadkan suni. Usko samajh me aa gaya ki Arjun ab so gaya hai.
Arjun ki banhe ab bhi uski kamar par lipti hui thi. Uske hath uski kamar ko chhu rahe the. Arjun ki badan ki garmi pakar Soumya ko sakun ka ahsas ho raha tha.
Wah ab faisla kar chuki thi, aaj se woh Arjun ki ho gayi. Uske dil me Arjun ki chhabi to kab se thi. Ab woh Arjun ki ho gayi thi. “I love you.”
Soumya bol kar Arjun ke banho me sikud kar sone lagi. Arjun ki dhadkan ko sunte sunte pata nahi uski kab aankh lag gayi thi.
Kitne dino baad woh shanti se soyi hui thi. Usne bahut hi sundar sapna dekha tha. Jisme Arjun aur wo akele duniya ki sair kar rahe hai.