• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror The Mirror..(complete)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,936
188
Wassup dosto, kya haal hai sabke, ab jab XF pe mauj le rahe ho to acche hi hoge :D
anyway to mudda ye hai ki Apun is Back ! :don: #DilSeWriter. Almost do mahine ho gaye hai hateli lovestory complete huye, jinhone nahi padhi padh ke aao be :roll: , waise to main jald ki story shuru karne wala tha par thoda jyada samay lag gaya, aur ye wo kahani bhi nahi hai jo main shuru karne wala tha, to scene ye hua kemain ek romance genre ki kahani shuru karne wala tha aur meko kayi logo ne kaha ke thodi badi kahani likho to apun ki bhi koshish wahi thi aur maine kuch updates likh bhi liye aur fir apun chala gaya ghumne aur jab waha sewapis aaya to bimar ho gaya :verysad: isiliye us story ke updates edit hi nahi kar paya :sigh2:
Khair bhai tumhara warrior hai wada kiya hai aaj story ka to story to aaj hi aayegi apun wade ka pakka aadmi hai mukarta nahi hai :cool: to pesh hai ye nayi kahani waise ye jyada badi nahi hogi max to max 10-12 updates honge aur tab tak apun dusri story bhi ready kar lega ab isi baat pe bajao taali :cool:
To milte hai pehle update ke sath aaj raat me..

(p.s.:- bhai apun sirf laundo ke liye hai ladkiya baby, shona, janu jo chahe pukar sakti hai :shy: )
congrats for new story
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,936
188
The Mirror
Update 1



Raosaheb ko gujre huye aaj char mahine se upar ho chuke the aur in char mahino me anish apne pita ke maut ke dukh se ab upar chukka tha aur usne apne aap ko kaam ne puri tarah vyast kar liya tha, apne pita ki sehat ke chalte aur baad me unke jane ke gam me anish kaam ki taraf dhyan nahi de paya tha aur jab usne dhyan dena shuru kiya to kaam kafi badh chukka tha…

Raosaheb patvardhan ek jana mana vyaktitva tha, khandani raees aadmi par utne hi saral swabhav ke, raosaheb ko apne purvajo se dher sari sampatti mili thi, kai acre khet aur ek shandaar wada(bangla) jo unke gaon savargaon me tha, Anish raosaheb ka eklauta beta tha jo bachpan se hi shahar me pala badha tha, raosaheb ne bhi apni jawani ka sara samay shahar me bitaya tha, yaha unka acha khasa business tha par jaise jaise unki umra badhte gayi aur anish sab sambhalne laya hua to wo gaon me hi rehne lage, aur anish apni biwi sandhya ke sath shahar me, baad me raosaheb ki tabiyat me bigad ke baad wo unhe apne sath le aaye aur kuch dino baad raosaheb chal base…

Aaj badi mushkil se anish ne kaam se ek hafte hi chhuti li thi aur jo sandhya ke sath savargaon jane ke liye apni car se nikla tha, chuki anish raosaheb ka eklauta beta tha aur unki maut ko char mahine se upar ho gaye the to raosaheb ka wakil baar baar anish ko property ke legal kamo ke liye phone karke bula raha tha taki wo jald se jald sab anish ke naam transfer kar sake par anish kaam me vyast tha par ab wakil ne keh diya tha ke agar sari formalities puri nahi huyi to sab sarkar ke adhin ho jayega aur kuch hath nahi lagega isiliye jana jaruri tha, anish ke hisab se waha sab unke khet aur us purani building ke alawa aur kuch nahi tha jisme anish ko bilkul interest nahi tha aur wo aaj wakil ko jaldse jald gaon ki property ke liye grahak dhundhne kehne wala tha

Waise to ye sab kaam phone par bhi ho jata ya wakil yaha aa raha par marte time raosaheb ne apni bahu se sandhya se baar baar kaha tha ke wo savargaon jaye uske baad baki ki bate kare isiliye sandhya ke agrah ki wajah se bhi anish gaon jane ko ready hua tha, par adhe raste me hi anish ko kaam ke phone aane lage aur sandhya ne gadi ka control apne hath me liya, sath me google maharaj apna map liye margadarsan ke liye tayar the isiliye jyada dikkat nahi ho rahi thi aur gadi chelate huye hi sandhya ke dimag me khayal aane lage

Saat saal pehle sandhya apna education complete karke jagah jagah naukri ke liye apply karne lagi thi aur kayi jagah uski naukri lag bhi gayi thi par har jagah sandhya ko kuch na kuch khatakta tha isiliye usne kahi bhi naukri join nahi ki aur fir ek din use anish ki company se interview ka call aaya, sandhya interview ke liye gayi aur sidha job join karke hi ghar lauti, jispar uske pitaji ko bhi kafi ashcharya hua, par aisa kyu hua ye janne ke liye unhe jyada samay intajar nahi karna pada, badboli sandhya ne unhe apna dinbhar ka sara kissa sunana shuru kiya, aur sandhya ki baate sunte huye company se jyada company wale ne sandhya ke man me ghar kar liya hai ye janne me sandhya ke pita ko jara samay nahi laga, khair sandhya ne naukri join ki, pehli mulakat ka akarshan hamesha sath rene se kab pyar me badla sandhya ko pata bhi nahi chala aur fir do saal me is pyaar ka rupantar jab shadi me hua tab ye to hona hi tha aisa sandhya air anish dono ko janne walo ka kehna tha, handsome rubabdar anish aur najuk akarshak smart sandhya ekdusre ke liye perfect the..

Wahi raosaheb bahut bade aapni the, gaon me janme hone ke bavjud gaon aur shahar dono jagah unka thkana tha, parampara ke sath adhunikta ko samajhne wala aadmi, jo business ke sath sath kheto ki taraf bhi dhyan dete the aur har saal tarakki hi ho rahi thi par isi beech anish ki maa bas char din ke bukhar me unhe chhod kar chali gayi,

Anish tab shahar me hostal me rehkar padh raha tha. Baadme rosaheb ne dheere dheere apni gaon ki sari sampatti samet kar shahar me hamesha ke liye jane ka man bana liya aur anish ki padhai puri hone ke baad use bhi business me jod liya aur hamesha ke liye shahar me bas gaye par fir bhi wo kabhi kabhi gaon aa jaya karte the..

Anish aur sandhya ki shadi ke baad bhi wo dono kabhi savargaon nahi aaye the, kal-kal karte huye unka savargaon jana hamesha talta raha yay u kahe ki anish taalta raha, shayad uski maa ke waha achanak bukhar se marne ki wajah se anish waha na jana chahta ho aisa sandhya ko lagta tha isiliye usne bhi kabhi waha jane ki jid nahi ki

Raosaheb saal me ek do baar jakar waha ka haalchal le lete kar chhe mahine pehle unhe paralysis ka attack aaya aur dekhte hi dekhte do mahino me raosaheb jaisa hatta kata aadmi maut ke adhin ho gaya, kehne ko sabkuch tha, beta bahut raosaheb ka pura khayal rakh rahe the par raosaheb ne hi jivan se mu mod liya tha to koi kya karta, unhone hi jine ki iccha chhod di thi par inte sab me bhi unhone sandhya ko kayi baar savargaon jane ke liye kaha tha aur unki antim iccha yahi thi isiliye aaj sandhya aur anish savargaon ja rahe the…

Raste jab ek railway crossing aaya to sandhya ne car ek side rok di waise bhi crossing abhi band thi waha se ek train gujarne wali thi aur raste par bhi koi khas gardi nahi thi, anish aur sandhya dono car ne baahar aaye aur apne chehre par pani maar kar apne aap ko fresh kiya fir car me apne sath thermos me layichai ur naste par hath saaf kiya, chuki wo log abhi beech road me the isiliye anish ke phone ka network nahi aa raha tha to uska kaam waise hi ruk chukka tha aura b tak railway crossing bhi open ho chuki thi to anish ne wapis gaadi ka control apne hath me liya aur kuch 1 ghante ke ander wo log savargaon pahuch chuke the…


Savargaon, ek chhota lekin sampan gaon, gaon me jyada tar ghar to purine style ke hi the aur kuch hi ghar the jo do manjila the.. sandhya barkai ke gaon ke gharo ka nirikshan kar rahi thi usne aisa mahol pehle kabhi nahi dekha tha aur dekhte hi dekhte unki gaadi unke wade ke kareeb pahuch chuki thi……..
very nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,936
188
The Mirror
Update 2


Savargaon, ek chhota lekin sampan gaon, gaon me jyada tar ghar to purine style ke hi the aur kuch hi ghar the jo do manjila the.. sandhya barkai ke gaon ke gharo ka nirikshan kar rahi thi usne aisa mahol pehle kabhi nahi dekha tha aur dekhte hi dekhte unki gaadi unke wade ke kareeb pahuch chuki thi…

Ab use wada kahe ya chhota kila yahi sandhya ko samajh nahi aa raha tha, aaju baju charo taraf badi diware thi aur us diwar ke saamne ki side 15 foot height ka bada sa darwaja tha jo wade ka main gate tha aur usi darwaje me chhota sa ek aur darwaja tha jo normal height ka tha,

Unki gaadi darwaje ke paas pahuchi, wakeel aur shanbhu jo unka purana naukar tha aur ab wade ka caretaker bhi wahi darwaje ke paas khade th, wakeel ke kehne par unhone gaadi baahar hi khadi kari kyuki itna bada darwaja akele shanbhu se is umra me Khulna mushkil kaam tha, fir shambhu ne wo chhota darwaja khola taki sab ander ja sake jiske khulte hi charrrrr charrrrr ka awaj hua, yaha kisi horror film ka shooting badhiya ho sakta hai aisa khayal sandhya ke man me aaya

Shambhu- chhote malik diwankhana aur niche ke rehne ke kamre kalhich saaf kar diye hai, chhaya bhi aa jayegi abi thode der me wo khane ka bandobast kar degi aap dur se aaye hoge thak gaye hoge, aap aaram karo aur malkin bai ko bhi aaram karne bolo fir dophar me sara wada ghuma dunga aapko ache se chabiya laye hai na aap??

Anish ne ha me gardan hila di, yahi shambhu usko khandhe par bitha kar sara gaon ghumata tha bachpan me ye anish ko yaad aa raha tha,par ab shambhu ki bi umra ho chali thi, kamar jhuk gayi thi, fir anish ne shambhu se uske uske pariwar ke haal chal puche aur shambhu to bas isi me khush ho gaya.. wakeel bhi kal aane ka bol ke nikal gaya aur shambhu bhi “aap aaram karo main hu hi yaha baahar” aisa bol ke baahar aa gaya

Waha kafi purana tha matlab anish ke pehle ki char pidhiyo ka waha basera tha, wo diwankhana (hall) bhi chauras aakar ka kafi bada bana hua tha jisme teen jagah alag alag tarah ki baithak ki vyastha ki gayi thi, ek side bada sa sagwan ka palan tha gaddi, load, takiyo se susajjit jispar 10-15 log aaram se baith sakte the to ektaraf gaddiya bichi huyi thi bhartiya baithak ke liye aur samne bada sa carpet jaha 25-30 log aaram se aa sakte the aur dusri taraf jaha sidhiya thi us taraf ek table laga tha jiske aaju baju char sundar nakkashi ki huyi khurchiya lagi thi ye sirf 3-4 logo ke liye tha

“apne saas sasur yahi baith ke dophar ka chai lete honge..?” aisa khayal ek pal ko sandhya ke dimag me aaya,

Jamin par bicha hua galicha kafi juna ho chukka tha aur uspar dhul bhi kafi ho gayi thi aur shambhu ke saaf karne ke baad bhi wo mehsus ki ja sakti thi, diwaro ka bhi rang uda hua tha, jispar kisi samay me sone ke work wala nakshikaam kiya gaya hoga aisa mehsus hota tha..

Aur in sab me sabse jyada dhyan khich rahi thi to waha diwankhane me lagi taswire, chuki wada kafi purana tha aur anish ke pehle ki char pidhiya waha reh chuki thi isiliye un sab ki badi badi taswire waha lagi huyi thi, ekdum anish ke sabse bade dadaji se leke, kuch painters dwara banayi gayi thi aur kuch photographers dwara khichi huyi,

Ek diwar par pati patni ki jawani ki taswire thi aur dusri diwar par sirf ghar ke purusho ki jisme wo thode budhe dikh rahe the jo sandhya ko thoda ajeeb laga, matlab jitni bhi ghar ki mahilaye thi unke sirf jawani ke photos the to kya raniyo ko budhape me photo khichwane ka hak nahi tha? Aisa khayal sandhya ke man me aaya..ek diwar par sare pariwar ki taswire thi jisme bhi raniya sari jawan thi aur unki god me unke bacche the, ek aur baat yaha alag thi ke anish ke pariwar me pichli 5 pidhio se koi ladki nahi janmi thi har kisi ko sirf ek beta tha…

Sandhya ne shumbhu ko awaj lagaya taki wo un taswiro ke bare me aur jaan sake aur kaunsi tasweer kiski hai ye use pata chale, aur fir shambhu ne us wade ke bare me aur un taswiro ke bare me batana chalu kiya

Shambhu- ye nanasaheb, ye wade ke pahile raja, inhone hi wada banaya tha kuch 150 saal pehle wo time pe kehte hai pure taluke ki sabse badi imarat thi ye aur kai baar angrej bhi aaya karte the yaha, ye jo khrchiya hai yaha par ye angrejo ke liye hi lagayi gayi thi, nanasaheb ki wajah se hi wade ko nana wada bola jata hai, uske baad ye appasaheb, nanasaheb ke bete, ye bhi nansaheb ke jaise hi the par thode dhurt the, uske baad dadasaheb ye aapke dada sasur, ye sab sampatti vaibhav sab inhi ki wajah se hai, vyahar kushal manus jinhone itni badi sampatti khadi ki hai aur utne hi bade daani aur devbhakt , gaon ka bhavani mandir bhi dadasaheb ka banaya hua hai matlab unhone jirnoddhar karaya tha uska, uske baad raosaheb aapke sasur aur ye raha chhote malik ka photo

Shambhi ne ek family photo ki taraf ishara karne bataya

Shambhu- ye chhote malik yani aapke pati ke bachpan ka photo

Anish ka bachpan ka photo dekh kar sandhya muskurayi, shambhu ne use aur bhi wade ka itihas bataya ki kaise baad ke samay me waha se swatantrata sangram ki bhi ladaiya ladi gayi dadasaheb aur appasaheb ke samay, ab tak anish bhi ander aa gaya tha aur shambhu ki bate sun raha tha par itne me use kuch kaam yaad aaya aur wo shambhu ko apne sath lekar baahar aaya aur sandhya waha rakhe ek khurchi par baith gayi aur shambhi ki batayi bato ke bare me sochne lagi aur imagine karne lagi us samay ka mahol aur sochne lagi ye yaha isi table par aise hi ghar ki raniya baithti hongi, aaj sandhya ko bhi yaha aakar kisi rani ke jaisa feel ho raha tha itne me sandhya ka dhyan seedhiyo ki taraf gaya waha ek aurat khadi thi


Gori chitti, badi badi aankhe walo, bade kath ki saari pehni huyi, naak me nath, aankho me kajal, gale me motiyo ki mala, mathe pe kumkum, pairo me payal, yu kahe ki woe k nakhre wali aurat thi jise shringar se prem tha aur wo seedhiyo ke aaju baju bane kathde me se ektak sandhya ko dekh rahi thi…
very nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,936
188
The Mirror..
Update 3



sandhya ka dhyan seedhiyo ki taraf gaya waha ek aurat khadi thi

Gori chitti, badi badi aankhe walo, bade kath ki saari pehni huyi, naak me nath, aankho me kajal, gale me motiyo ki mala, mathe pe kumkum, pairo me payal, yu kahe ki woe k nakhre wali aurat thi jise shringar se prem tha aur wo seedhiyo ke aaju baju bane kathde me se ektak sandhya ko dekh rahi thi…

“shayad ye chhaya hogi..” aisa sandhya ne man me socha aur us aurat ki or dekh ke muskura di lekin us aurat ke chehre par jara bhi fark nahi pada, wo jaisi thi waisi hi khadi rahi aur bas ektak sandhya ko dekhe ja rahi thi, uski aankhe ekdum bhavna rahit hi, uske istarh dekhne se sandhya ko kuch ajeeb lagne laga itne me anish ander aaya jisse sandhya ka dhyan us or chala gaya, usne palat ke anish ko dekha aur fir se sidhiyo ki taraf dekha to ab wo aurat waha nahi thi, wow aha se gayab ho gayi thi

‘arey abhi to yahi thi, kaha chali gayi? Aur sidhiya chadhne ka awaj bhi nahi aaya? Kamal hai’ sandhya ne fir se socha, itne me shambhu bhi wapis ander aaya aur uske piche piche ek aurat aayi aur jaldi se kitchen ki taraf jane lagi..

“arey baap re samay ho gaya, jaldi se aap logo ke liye khana bana deti hu bhuk lag gayi hogi aap ko” wo aurat kitchen me jate jate aisa bol gayi

‘iska matlab ye chhaya hai to wo aurat kaun thi jo abhi sidhiyo par khadi thi?’ sandhya ke dimag me wapis se sawal aane lage the par abki baar usne shambhu ko awaj lagayi aur us aurat ke bare me puchne lagi

“shambu kaka koi aur bhi aaya hai kya upper ki saaf safai karne, kisi bai ko kaha tha kya aapne” sandhya ne shambhu se us aurat ke bare me pucha

“nahi to, maine to kisi ko nahi bola hai aur upar ke ghar me to waise bhi tala laga hai malkin to waha koi kyu jayega” shambhu me bhi sadha sa jawab diya aur sandhya ko sochne par majboor kar diya

“nahi, maine abhi abhi ek aurat ko dekha hai waha, wo sidhiyo par khadi thi, abhi abhi upar gayi hai wo, chalo hum chalk e dekh aate hai” sandhya ne kaha aur uski baat sun ke shambhu thoda darr gaya

“aisa kaise hoga malkin, upar koi kaise jayega, bade malik jate time tala laga ke gaye the waha aur jab chabiya hi hamare paas nahi thi to upar koi kaise jayega” shambhu me sandhya ko samjhate huye kaha

“nahi waha koi to hai chalo dekh aate hai” par sandhya kaha manne wali thi itna keh ke wo sidhiyo se upar ki taraf jane lagi aur shambhu use rokne ke liye piche se awaj lagata tab tak sandhya sidhiya chadh chuki thi, sach me to use shambhu par doubt ho raha tha ke wo kuch chipa raha hai isiliye wo tassali karna chahti thi aur jaise to sandhya upar pahuchu waha right hand par ek bada darwaja tha jo baahar se kadi laga kar band kiya hua tha aur uspar laga hua tala bhi kafi bada tha aur sabse jyada ashcharya sandhya ko tab hua jab usne dekha ke wo darwaja aur wo tala mitti aur makdiyo ke jalo se pura bhara hua tha, uspar dhul jami huyi thi aur kayi dino se is jagah ko kisi ne nahi chhua tha iske chinha saaf dekhe ja sakte the, kayi mahino se sidhiyo se upar ki taraf koi nahi aaya tha kyuki sidhiyo par jami dhul me sandhya ko sirf apne hi pairo ke nishan dikh rahe the

Ye kafi hairani ki baat thi kyuki sandhya ke dimag me ab bhi wo aurat ghum rahi thi jise usne kuch samay pehle dekha tha par ab uske astitva ka kahi koi nishan najar nahi aa raha tha.

Sandya jaldi jaldi sidhiya utar kar niche aayi to usne dekha ke shambhu bahut dhime awaj me anish se kuch baat kar raha tha aur jaise unhone sandhya ko dekha wo dono chup hog aye

“arey yaar dhundho use yahi kahi hogi wo, jyada samay nahi hua hai itni jaldi kaha jayegi” sandhya ne pareshan hote huye kaha

Shambhu ko is baat ka kya jawab de samajh nahi aa raha tha aur fir jab anish ne use ishara kiya to wo anish aur sandhya ke sath wade ke niche ke saare rooms aura age piche ka area dekh aaya par unhe wo aurat kahi bhi dikhai nahi di

Ye log wapis aaye tab tak chhaya sabke liye khana bana chuki thi, anish aur sandhya ne khaya khaya par sandhya ka khane me bhi dhyan nahi tha, reh reh kar uske dimag me khayal aata ke akhir wo aurat ja kaha sakti hai, khana khane ke baad wo log aaram karne kamre me gaye to sandhya ki aankhon ke samne usi aurat ka chehra aa raha tha khas kar uski ankhe jo ektak sandhya ko dekh rahi thi, akhir me sandhya uthi aur wapis se usi khurchi par aakar baith gayi jaha wo subah baithi thi aur sidhiyo ki taraf dekhne lagi is aas me ke wo aurat use dobara dikhegi, upar ke floor ki chabiya anish ke paas thi aur wo aaram kar raha tha shambhu aur chhaya shidhiyo ki saaf safai kar rahe the, thodi der baad jab anish ki neend khuli aur wo baahar aaya to sandhya wahi baiti thi aur shambhu aur chhaya me saaf safai puri kar li thi aur fir chhaya ne sabke liya chai banayi jiske baad anish ko ek call aa gaya par ab sandhya ko wade ka upar ka mala dekhne ki jaldi thi wo janna chahti thi wo aurat kaha gayi hai aur fir anish apna call khatam karke wapis aaya aur usne chabiya shambhu ko pakdayi


Wo tala kafri purana tha aur use kholne ke liye ek nahi balki 4 chabiyo ka uyog karna padta tha, shambhu ne pehli chabi ghumayi fir dusri fir teesri aur jaisi hi chauthi chabi ghumayi wo tala khat ki awaj ke sath khul gaya.. chuki darwaja kafi samay seband tha to wo jaam ho gaya tha shambhu aur anish ne thoda jor lagaya tab wo darwaja charrrr ki awaj ke sath khula…..
Very nice update bhai lagta hai ki sandhya ne kisi ki aatma dekhi hai ya phir sandhya ka veham hoga
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,936
188
The Mirror..
Update 4



Wo tala kafi purana tha aur use kholne ke liye ek nahi balki 4 chabiyo ka uyog karna padta tha, shambhu ne pehli chabi ghumayi fir dusri fir teesri aur jaisi hi chauthi chabi ghumayi wo tala khat ki awaj ke sath khul gaya.. chuki darwaja kafi samay seband tha to wo jaam ho gaya tha shambhu aur anish ne thoda jor lagaya tab wo darwaja charrrr ki awaj ke sath khula…..

Darwaja khulte hi waha maujud dhul ne unka swagat kiya jise dekh ke sab log t6hoda piche hate aur chhaya ne apne chehre par kapda bandh kar sab saaf karna shuru kiya jiske baad sab log ander aaye,

Upar niche ke diwankhane se adhe size ka hall tha jisme beechobeech ek andakruti table laga hua tha jiske dono side dus dus khurchiya rakhi huyi thi, upar ka sara furniture kapde se Dhaka hua tha aur shambhu ne jaise hi kapda hatana shuru kiya sandhya bas use dekhti hi rahi, us table aur un khurchiyo par bahut hi barkai se nakkashi banayi huyi thi, agar ye tablesize me chhota hota to wo ise apne sath jarur le jati aisa khayal uske man me aaya

Wahi hall me se teen rooms ke darwaje dikh rahe the, anish un rooms ki taraf badh gaya,pehli room office jaisi thi, waha likhne ke liye desk wagaire the aur thodi chhoti room thi wo, dusra room raosaheb ka ya yu kahe ki wade ke pramukh vyakti ka tha, jisme bada sa palang jiske upar sundar par purani macchardani kam parda dala hua tha, pura sharir dikhe aisa aaina, shisam ki teen badi badi almariya, basically wo karma aisa tha jaise kisi raja ka hota hai par usse thoda chhota, ab bari aayi teesre kamre ki aur jaise hi sandhya ne us kamre me kadam rakha uske ek anjana khichav mehsus hua us kamre me,ye karma pehle wale se thoda chhota tha, chota sa palang jispar bhi waisi hi sundar lekin purani macchardani thi, ek chota dressing table aur uspar chota lekin khubsurat aaina, jo badhiya tarke se sajaya hua tha aur lakde ki frame me fit kiya hua tha, wo aaina itna khubsurat tha ke use dekhte hi sandhya mano uske pyaar me gir gayi ho,

Baki kamro ke mukabale is kamre me dhul kafi kam thi aur wo aaina wo to bilkul naya dikh raha tha

“hum ise apne sath lekar jayenge” sandhya ne us aaine ko dekhte hi kaha

“kya…? Matlab kuch bhi, hamare modern ghar me modern furniture ke sath ke aaina odd dikhega sandhya.. au rise rakhogi kaha is itne bade dressing table ko..?” anish ne sandhya ko samjhate huye kaha

“wo mera main dekh lungi ke ise kaha rakhna hai kuch soch lungi par ye confirm hai ki hum ye aaina hamare sath lekar ja rahe hai” sandhya ne bhi mano jid pakad li thi

“acha theek hai dekhte hai” itna bol ke anish waha se nikal gaya aur uske piche shambhu aur chhya bhi par sandhya waha ruk gayi, us aaine ke paas jakar khud ko niharne lagi, us aaine ke ird gird kiye koriv kaam par hath ghumakar use mehsus karne lagi..

Ab kafi samay beet gaya tha, kareeb kareeb sham hone aayi thi par sandhya ab bhi niche nahi aayi thi isiliye anish use bulane ke liye upar aaya to usne dekha ke sandhya ab bhi aaine ke samne hi baithi thi aur kareeb jane par sandhya ka uski or dhyan nahi hai ye anish samajh gaya isiliye usne sandhya ka kandha pakad kar hilaya tab sandhya ko hosh aaya, aap koi behad hi khubsurat khawb dekh rahe ho aur koi aapko neend se jaga de aisi sandhya ki halat ho gayi thi

Aankho me ek alag hi chamak, hotho par muskan ke sath jab usne anish ki taraf dekha tab anish ko shadi ke pehle dekhi huyi aur uske man me basi huyi sandhya yaad aa gayi

“kya madam kaha kho gayi, itna pasand aa gaya ye aaina ke humko bhi bhul gayi?” anish ne haste huye kaha aur uska hath pakad kar use uthaya aur dono niche ki taraf aane lage par room se baahar nikalte samay sandhya ne ek baar fir aaine ki taraf dekha mano keh rahi ho ke wo abhi aayi

Niche aane ke baad jab sandhya ko chhaya dikhi tab use wapis se wo dophar ne dekhi huyi aurat ki yaad aa gayi aur jab usne is bare me chhaya se pucha to chhaya ke paas uska koi jawab nahi tha ya chhaya jawab nahi dena chahti thi usne “bapu se puchiye wo bata denge aapko” bolke baat taal di

Par ab sandhya ko gussa aane laga tha usne shambhu ko bulaya aur jaise hi shambhu aaya usne us aurat ke bare me pucha tab shambhu thoda ghabrate huye bola “memsab aap do dino ke liye aayi hai jaldi se apna kaam khatam kariye aur shahar lautjaiye bas”

Shambhu ki baat sun kar sandhya ka gussa badh chuka tha “arey main puch kya rahi hu aur tum jawab kya de rahe ho? Mujhe saaf saaf batao ki wo aurat kaun thi aur hamare wade me kya kar rahi thi?”

Tabhi anish beech me bol pada “jane do na ab sandhya chali gayi hai na ab wo”

“chali gayi matlab? Kaha chali gayi? Kya hawa me gayab ho gayi?”

“ha memsab, waisa hi kuch, aap shahar kelog hai padhe likhe log hai aap log ka vishwas nahi hota hai in sab me par sach to ye hai ki wo aurat pehle bhi is wade me dikhi hai aur fir ekdum se gayab, sab ye baat batate the par badi memsab ka bhi vishwas nahi tha in sab pe aur fir ek din wo badi memsab ko bhi dikhi thi aur us din se jo badi memsab ne palang pakda to chhoda hi nahi isiliye mai keh raha hu aap jaldi se shahar laut jao ache se aur wahi rahi, yaha kuch nahi hai ab sab shamshan ho gaya hai hum bhi aane se ghabrate hai, wo to aaplog aane wale hai pata chala to saaf safai ki hai, saaf safai ke liye bhi koi nahi milta hai yaha” shambhu ne kaha

Shambhu ki baat sun kar sandhya ka gussa aur bhadak gaya “pagalo jaisi baate mat karo wo aurat mujhe din me saaf saaf yaha sidhiyo par dikhi thi, chehra bhi yaad hai mujhe uska”

“par ek pal me gayab bhi to ho gayi thi na wo? Hai yaha jagah aisa ek pal me gayab hone ke liye aur aapne hi dekha than a upar kaisa bada sa tala laga hua tha? Memsab chote malik ko kandhe par khilaya hai maine, main nahi chahta ke aaplogo ko kuch ho baat maniye is budhe ki”

Sandhya ko in sab par bilkul bhi yakin nahi hua tha par shambu jhuth bol raha hai aisa bhi use kahi se nahi lag raha tha par usne ye baat yahi rok di, raat ka khana hone ke baad shambhu aur chhaya waha se chale gaye aur shambhu jate jate subah jaldi aane ka bol gaya, bas 9 baje honge par sab taraf ekdum shanti chha gayi thi, anish laptop par apna kaam karte baitha tha aur sandhya apne sath laya ek novel padhne ki koshish karne lagi aur fir usne book band karke apni aankhe mund ke kuch der tak padi rahi aur fir use baahar se kuch awaj aaya usne baahar aakar dekha to wohi aurat sidhiyo se upar ki taraf ja rahi thi, sandhya chillane hi wali thi ke fir usne socha ke iske piche jakar dekha jaye ki ye kaha jati hai aisa soch ke wo uske piche piche sidhiya chadhne lagi

Wo aurat eke k payari chadh ke upar ja rahi thi aur sandhya uske piche, fir upar jake ke baad wo kamro ki taraf gayi aur sidhe us teesre room me jane lagi us aaine wale room me, darwaje ke paas pahuch ke wo ruki aur fir ander chali gayi aur piche piche sandhya to thi hi,


Wo aaine se saamne jakar khadi ho gayi aur uske piche kuch duri par sandhya ruk gayi fir wo aurat dhire dhire piche palti aura b sandhya uske samne thi, usne apna hath aage kiya aur sandhya ne bhi bagair kuch bole apna hath uske hath me de diya aur fir wo aaine ki taraf jane lagi aur jab aisa lag raha tha ke wo aaine se takrane wali hai wo ek kadam badha kar aaine me sama gayi aur apne sath sandhya ko bhi aaine ke aarpaar le gayi…..
oh Teri .... Yeah kya hua... Sandhya bhi uske saath aaine me chali gyi
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Super-Moderator
41,743
58,922
304
Superb Updateee

Toh woh bhootiya Aaina Sandhya ko itna pasand aagaya ke woh uske saamne hi naajaane kitni der tak baithi rahi.
Sambhu se uss aurat ke baare mein puchne pe usne uss aurat ko aatma hi boldiyaa. Jo ki ek tarah se sach bhi thaa.

Idher Sandhya uss aurat ke saath uss kamre mein aayi aur hypnotise hogyi ho aise uske haath mein haath de ke aaine ke andar chali gayi.

Ab shayad uss aaine se jo bahar aaye woh sandhya naa hoke koi aur ho jo sandhya ke jaise hi dikhe.

Dekhte hai aage kya kya hota hai.
ho sakta hai :D
Bahut Bahut Shukriya bhai :thanks:
 
Top