- 41,737
- 58,921
- 304
The Mirror
Update 2
Update 2
Savargaon, ek chhota lekin sampan gaon, gaon me jyada tar ghar to purine style ke hi the aur kuch hi ghar the jo do manjila the.. sandhya barkai ke gaon ke gharo ka nirikshan kar rahi thi usne aisa mahol pehle kabhi nahi dekha tha aur dekhte hi dekhte unki gaadi unke wade ke kareeb pahuch chuki thi…
Ab use wada kahe ya chhota kila yahi sandhya ko samajh nahi aa raha tha, aaju baju charo taraf badi diware thi aur us diwar ke saamne ki side 15 foot height ka bada sa darwaja tha jo wade ka main gate tha aur usi darwaje me chhota sa ek aur darwaja tha jo normal height ka tha,
Unki gaadi darwaje ke paas pahuchi, wakeel aur shanbhu jo unka purana naukar tha aur ab wade ka caretaker bhi wahi darwaje ke paas khade th, wakeel ke kehne par unhone gaadi baahar hi khadi kari kyuki itna bada darwaja akele shanbhu se is umra me Khulna mushkil kaam tha, fir shambhu ne wo chhota darwaja khola taki sab ander ja sake jiske khulte hi charrrrr charrrrr ka awaj hua, yaha kisi horror film ka shooting badhiya ho sakta hai aisa khayal sandhya ke man me aaya
Shambhu- chhote malik diwankhana aur niche ke rehne ke kamre kalhich saaf kar diye hai, chhaya bhi aa jayegi abi thode der me wo khane ka bandobast kar degi aap dur se aaye hoge thak gaye hoge, aap aaram karo aur malkin bai ko bhi aaram karne bolo fir dophar me sara wada ghuma dunga aapko ache se chabiya laye hai na aap??
Anish ne ha me gardan hila di, yahi shambhu usko khandhe par bitha kar sara gaon ghumata tha bachpan me ye anish ko yaad aa raha tha,par ab shambhu ki bi umra ho chali thi, kamar jhuk gayi thi, fir anish ne shambhu se uske uske pariwar ke haal chal puche aur shambhu to bas isi me khush ho gaya.. wakeel bhi kal aane ka bol ke nikal gaya aur shambhu bhi “aap aaram karo main hu hi yaha baahar” aisa bol ke baahar aa gaya
Waha kafi purana tha matlab anish ke pehle ki char pidhiyo ka waha basera tha, wo diwankhana (hall) bhi chauras aakar ka kafi bada bana hua tha jisme teen jagah alag alag tarah ki baithak ki vyastha ki gayi thi, ek side bada sa sagwan ka palan tha gaddi, load, takiyo se susajjit jispar 10-15 log aaram se baith sakte the to ektaraf gaddiya bichi huyi thi bhartiya baithak ke liye aur samne bada sa carpet jaha 25-30 log aaram se aa sakte the aur dusri taraf jaha sidhiya thi us taraf ek table laga tha jiske aaju baju char sundar nakkashi ki huyi khurchiya lagi thi ye sirf 3-4 logo ke liye tha
“apne saas sasur yahi baith ke dophar ka chai lete honge..?” aisa khayal ek pal ko sandhya ke dimag me aaya,
Jamin par bicha hua galicha kafi juna ho chukka tha aur uspar dhul bhi kafi ho gayi thi aur shambhu ke saaf karne ke baad bhi wo mehsus ki ja sakti thi, diwaro ka bhi rang uda hua tha, jispar kisi samay me sone ke work wala nakshikaam kiya gaya hoga aisa mehsus hota tha..
Aur in sab me sabse jyada dhyan khich rahi thi to waha diwankhane me lagi taswire, chuki wada kafi purana tha aur anish ke pehle ki char pidhiya waha reh chuki thi isiliye un sab ki badi badi taswire waha lagi huyi thi, ekdum anish ke sabse bade dadaji se leke, kuch painters dwara banayi gayi thi aur kuch photographers dwara khichi huyi,
Ek diwar par pati patni ki jawani ki taswire thi aur dusri diwar par sirf ghar ke purusho ki jisme wo thode budhe dikh rahe the jo sandhya ko thoda ajeeb laga, matlab jitni bhi ghar ki mahilaye thi unke sirf jawani ke photos the to kya raniyo ko budhape me photo khichwane ka hak nahi tha? Aisa khayal sandhya ke man me aaya..ek diwar par sare pariwar ki taswire thi jisme bhi raniya sari jawan thi aur unki god me unke bacche the, ek aur baat yaha alag thi ke anish ke pariwar me pichli 5 pidhio se koi ladki nahi janmi thi har kisi ko sirf ek beta tha…
Sandhya ne shumbhu ko awaj lagaya taki wo un taswiro ke bare me aur jaan sake aur kaunsi tasweer kiski hai ye use pata chale, aur fir shambhu ne us wade ke bare me aur un taswiro ke bare me batana chalu kiya
Shambhu- ye nanasaheb, ye wade ke pahile raja, inhone hi wada banaya tha kuch 150 saal pehle wo time pe kehte hai pure taluke ki sabse badi imarat thi ye aur kai baar angrej bhi aaya karte the yaha, ye jo khrchiya hai yaha par ye angrejo ke liye hi lagayi gayi thi, nanasaheb ki wajah se hi wade ko nana wada bola jata hai, uske baad ye appasaheb, nanasaheb ke bete, ye bhi nansaheb ke jaise hi the par thode dhurt the, uske baad dadasaheb ye aapke dada sasur, ye sab sampatti vaibhav sab inhi ki wajah se hai, vyahar kushal manus jinhone itni badi sampatti khadi ki hai aur utne hi bade daani aur devbhakt , gaon ka bhavani mandir bhi dadasaheb ka banaya hua hai matlab unhone jirnoddhar karaya tha uska, uske baad raosaheb aapke sasur aur ye raha chhote malik ka photo
Shambhi ne ek family photo ki taraf ishara karne bataya
Shambhu- ye chhote malik yani aapke pati ke bachpan ka photo
Anish ka bachpan ka photo dekh kar sandhya muskurayi, shambhu ne use aur bhi wade ka itihas bataya ki kaise baad ke samay me waha se swatantrata sangram ki bhi ladaiya ladi gayi dadasaheb aur appasaheb ke samay, ab tak anish bhi ander aa gaya tha aur shambhu ki bate sun raha tha par itne me use kuch kaam yaad aaya aur wo shambhu ko apne sath lekar baahar aaya aur sandhya waha rakhe ek khurchi par baith gayi aur shambhi ki batayi bato ke bare me sochne lagi aur imagine karne lagi us samay ka mahol aur sochne lagi ye yaha isi table par aise hi ghar ki raniya baithti hongi, aaj sandhya ko bhi yaha aakar kisi rani ke jaisa feel ho raha tha itne me sandhya ka dhyan seedhiyo ki taraf gaya waha ek aurat khadi thi
Gori chitti, badi badi aankhe walo, bade kath ki saari pehni huyi, naak me nath, aankho me kajal, gale me motiyo ki mala, mathe pe kumkum, pairo me payal, yu kahe ki woe k nakhre wali aurat thi jise shringar se prem tha aur wo seedhiyo ke aaju baju bane kathde me se ektak sandhya ko dekh rahi thi…