wow bht acyy ja rhyUpdate 12
Subhe, Surya apne college admission ke liye ek lambi line main khada tha. Tabhi, uske paas ek ladki aayi aur usse poochha,
Ladki : Excuse me, kya yahan BCA admission ke liye line hai?
Surya ne uski taraf dekha aur thoda sa smile karke bola,
Surya : Haan, yahi line hai. Tum bhi BCA ke liye ho?
Ladki : Haan, mera naam Naira hai, ( usne muskurate hue kaha ) Aur tumhara?
Surya : Mera Naam Surya Hain aur Tum kaun se batch se admission le rahi ho?
Naira : Main first batch main try kar rahi hoon Aur tum?
Surya : Same here, Waise tum kahan se ho?
Naira : Main Jaipur se hoon,
Surya : Acha, main toh Mumbai ka hi hoon,
Dono main kaafi baatein hui. Unhone apne pasand, hobbies aur future plans ke baare main bhi discuss kiya. Baaton-baaton main unhein pata hi nahi chala ki line kitni jaldi aage badh gayi. Naira ne bataya ki uske father ka naam
Father : Amit Singhaniya (age 46) yeh ek bade business hain.
Aur bohut gamandi insan hain hamesha paiso ke Piche bagta rehta hain
mother:Kavita Singhaniya,( age 44) ek social worker hain. Aur bohut hasmuk lady Hain itne paise hone ke bawajud gamand bilkul Nahin hai
Arti singhaniya (age 19)
UK main fashion designing ki padhai Karne halhi main gayi Hain bohut gamandi Hain Apne samne Kisi ko Kuch Nahin manti
Naira singhaniya ( age 19 )
( Heroin )
Yeh Hain toh Arti ki judwa Behan Lekin use bilkul alag hamesha dusro ki help Karti Hain apni maa per gayi Hain
Kuch der baad, Surya ka number aaya. Usne jaldi se form fill kiya, admission fees jama ki aur baahar aa gaya. Usne Naira ko bola,
Surya : Main canteen jaa raha hoon, kuch khane ka mann hai. Tum chalogi?
Naira : Sorry, Surya, mujhe abhi ghar jaana hai
Surya : Par chalte-chalte ek coffee toh ho sakti hai.
Dono ne canteen se coffee li aur thodi der baatein karte rahe. Phir Naira ne usse apna number share kiya aur bola,
Naira : Aaj toh kaafi accha laga tumse milkar. Ab hum touch main rahenge.
Surya ne bhi apna number diya aur woh dono alag ho gaye.
Surya canteen main ek table par baith kar kuch kha hi raha tha ki tabhi, uske kaan mein ek awaaz padi,
Ladki : Hi Bhai, kese ho?
Surya ne mudkar dekha toh wahan ek ladki khadi thi. Usko dekti Hain surya ke chahre per hilki muskan AA gayi
Surya : Main... bhai? Main tumhara bhai kab se ban gaya?
Sonia : Tabse, jab se tune meri jaan un gundo se bachai thi,
woh haste hue boli.
Surya : Oh, sorry acha Laga tumhare muh se Bhai sunkar
Sonia : acha Badi ajeeb baat Hain jaha tak mujhe pata Hain agar ladka Kisi ladki ki jaan bacha le toh usko Piche pad jata Hain ke gf banao yeh woh
Surya ne thoda uncomfortable feel karte hue kaha,
Surya : Woh toh bas...
Sonia ne uski baat kaat di.
Sonia : Kher, chodo. Inse milo, usne apne saath khadi ladkiyon ki taraf ishara karte hue kaha.
"Yeh hain Sapna Di,
ek ladki ki taraf ishara karte hue. Sapna ne haath hilaya.
"Yeh hain Ishita," ek aur ladki ki taraf. Ishita ne bhi smile kiya.
always logo png
"Yeh hain Diya," teesri ladki.
"Yeh hain Dipali," chauthi ladki
Aur yeh main metali
"Aur main Sonia,
usne jor se haste hue boli.
Sonia : Aur mere do bhai bhi hain, lekin woh chale gaye. Woh hum main drop karne aaye the.
Surya ne un sab se politely haath milaya aur bola,
Surya : Hi girls.
Sab ne "Hi" bola aur uski table par baith gayin. Unke baithte hi Sonia ne bola,
Sonia : Yaar, badi bhok lagi hai. Kuch order kar sakte ho?
Surya : Haan, haan, bilkul,
Surya bola aur un sab se unka order pochne laga.
Sab ka order lene ke baad, woh counter par jaane laga ki tabhi 6 ladkon ka ek group unki table ke paas aaya. Unme se ek ladka, jo unka leader lag raha tha, Sonia aur Sapna ki taraf dekh kar gande tareeke se hasa.
Ladka 1 Hi, chamak challo, kaisi ho tum?
ladke ne Sapna se poocha.
Sapna ne gusse se uski taraf dekha aur boli
Sapna : Tameez se baat karo, samjhe?
Ladka hasa,
Ladka 1 : Arey maaf karna, abhi karta hoon. Kaisi ho, chamak challo jee?
Sonia : Dekho Vinay Tum apni had main raho, warna thek nahi hoga tumhare liye.
Ladke ka naam Vinay Verma tha. Woh hasa aur bola,
Vinay : A ha, kya kar legi tu? Tere dono bhai toh jaa chuke hain yahan se. Ab kaun bachayega tujhe?
Diya ne un sab ko dekha aur bola,
Diya : Dekho, humko jaane do, warna tumhare liye achha nahi hoga.
Vinay : ha, main bhi dekhta hoon ki kya kar legi tu,
Vinay unki taraf badhne laga.
Tabhi, Ishita se raha nahi gaya aur usne zor se Vinay ke gaal par ek thappad maar diya. Thappad ki awaaz se poora canteen hil gaya. Vinay gusse se laal ho gaya.
Vinay : Sali! Teri himmat kaise hui mujhe maarne ki?
usne chilakar bola. Phir usne apne saath aaye ladko ko dekha aur bola
Vinay : Dekh kya rahe ho? Pakdo in sab ko, aur lekar jao ground main. Wahin par sabke saamne inka rape karega, taaki sabko pata chale ki Vinay Verma kya cheez hai.
Unke aate hi ladko ne un sab ko pakad liya. Sonia, Sapna, Ishita, Diya Dipali aur metali sab ko woh ladke ground main lekar chale gaye. Canteen ke saare students, staff aur teacher sab dar ke maare chup-chap khade the.
Vinay, Ishita ki taraf badha, uski aakhon main gussa aur badla lene ki aag thi. Jaise hi woh uske paas pahuncha, achanak ek jordaar kick uske pet par padi aur woh hawa main udta hua peeche jaa gira.
Ek second ke liye sab chup ho gaye. Phir wahan ek chehra nazar aaya, jise dekhkar sab hairan the. Woh koi aur nahi, Surya tha. Usne pehle hi canteen main ek staff member ko phone karke police ko bulaane ke liye bol diya tha.
Vinay utha aur gusse se Surya ki taraf dekha.
Vinay : Tu kaun hai be?
Vinay cilla kar bola
Surya : Main woh hoon jo tumhari hadd dikhane aaya hai,
Surya ne calmly jawab diya
Vinay : Oye, ladko! Isko pakdo aur iski aisi taisi kar do,
Vinay ne chillaya.
Vinay ke 5 friends ne Surya par ek saath attack kiya. Lekin Surya ne ek professional fighter ki tarah un hein face kiya.
Surya ne pehle ladke ko ek hi punch main zameen par gira diya. Doosra ladka jab us par attack karne aaya, toh Surya ne uski wrist pakdi aur use ghuma kar peeth ke bal zameen par patak diya. Teesri ladka uske paas aane laga, toh Surya ne uske chehre par ek punch maara, jisse woh dor jaakar gir gaya
Baaki ke do ladke dar gaye. Woh dono ek saath us par attack karne lage, par Surya ne un hein bhi sambhal liya. Ek ladke ko usne kick maari aur doosre ko punch maara. Dono zameen par gir pade.
Ab sirf Vinay bacha tha. Woh dar gaya tha. Usne pehle kabhi kisi ko itni jaldi itne logon ko marte hue nahi dekha tha. Surya uski taraf badha. Vinay peeche hatne laga.
Vinay : Ab... ab... tu kya karega?
Vinay ne darte hue poocha.
Surya : Wahi jo tum inke saath karne wale the,
Surya ne calmly kaha.
Surya : Bas farak itna hai ki main tumhe maarkar nahi sudhaarkar chhodunga.
Usne Vinay ki collar pakdi aur usko upar uthaya. Phir usne Vinay ko ek hi punch se zameen par gira diya. Vinay ke chehre par khoon nikalne laga. Surya ne use police ke hawaale karne ke liye ready kiya.
Tabhi, police wahan aa gayi aur un sab ladkon ko pakad liya aur Chali gayi
Mumbai airport se nikalne ke baad, Don Corleone aur uske do bodyguards, BG1 aur BG2, seedhe ek luxury five-star hotel main check-in kiya. Corleone ne apni identity chhupane ke liye ek farzi passport aur ek naya naam istemal kiya tha. Uska plan tha ki Veer Singh Raghuvanshi ke birthday se pehle kuch local jaankari jama karega aur apne network ko mazboot banayega.
Hotel ke presidential suite main Corleone ne apni "operations room" banayi. Usne apne local contacts ko phone kiya. Ye contacts woh log the jinse usne pehle bhi deals ki thi, ya jo international crime syndicates se jude hue the
DC (Italian accent): Suno, mujhe jaankari chahiye. Veer Singh Raghuvanshi ke baare main sab kuch. Uski routine, uski family, uski security, uske dushman... sab kuch.
Contact 1 (phone par): Yes, Don. Ho jayega. Lekin ek local feudal lord main itna interest kyun?
DC: Woh koi local feudal lord nahi hai. Woh ek nishana hai. Aur woh tumhare soch se kahin zyada takatwar hai. Yeh kaam bilkul sahi hona chahiye. Koi galti nahi.
Corleone ne apni berahami dikhane ke liye pehla kadam uthaya. Usne Veer Singh Raghuvanshi ke ek bade business partner, jo Mumbai main tha, ki sabse badi warehouse par ek chhota sa hamla karwaya. Usne apne gundo ko bheja. Gundo ne aag lagai, lekin is tarah se ki koi jaan ka nuksaan na ho, sirf paison ka. Gundo ne warehouse main aag lagayi, jisse lakhon ka nuksaan hua. Is hamle se Mumbai ke underworld main yeh khabar aag ki tarah phail gayi ki koi bahut bada khiladi shehar main aa chuka hai.
Corleone ne apne contacts ko Delhi aur Jaipur ke kuch local gangs se milne ke liye bheja. Uska maksad tha unhein apne mission main shamil karna ya unki madad se Veer Singh tak pahunchna. Usne bade amounts main paisa offer kiya.
BG1 (Corleone se) : Sir, hamare local contacts ne kuch reports di hain. Veer Singh Raghuvanshi ki security bohut tight hai. Aur unka network bohot bada hai.
DC (muskurate hue): Acha. Jitna mushkil nishana, utna hi mazedaar maut. Birthday party ke baare main kya Koi details?
BG2 : Haan, Sir. Ek bohut bada event hone wala hai. Bahut saare VIPs honge wahan. Ek bade hamle ke liye yeh bilkul sahi mauka hai.
Corleone ne ek map nikala aur us par Raghuvanshi mansion ka blueprint dekha. Usne Veer Singh ke dushmanon ke baare main bhi jaankari ikatthi karwana shuru kar diya tha, jis main Sir aur GJ jaise log bhi shamil the. Corleone ki strategy thi ki woh apne dushman ke dushmanon ko use karega, ya unhein akele hi khatam kar dega.
Corleone ne apni planning ko aur refined kiya. Uska maksad sirf Veer Singh ko maarna nahi tha, balki Raghuvanshi empire ko hila kar rakh dena tha. Usne apne aapko ek global player banaya tha, aur Veer Singh ko maarne se uska naam international crime world main aur ooncha ho jayega.
"Veer Singh Raghuvanshi,"
Corleone ne wine ka glass uthate hue kaha, "Tumhara waqt khatam ho chuka hai. Kyunke Don Corleone aa chuka hai.
Wahi dusri taraf
Wahin, Shakti Singh Raghuvanshi ek meeting attend karne ke liye ek hotel gaye hue the. Meeting khatam karke Shakti Singh ko bohut tez toilet aayi, toh woh usi hotel ke ek toilet main gaye. Tabhi, unke kaano main halki-halki awaaz aane lagi. Awaaz main Veer Singh ke birthday par hamle ki baat ho rahi thi. Pehle toh Shakti Singh ko laga ki yeh unka waham hai, lekin baad main unhein confirm hua ki nahi, yeh sach hai.
Tab Shakti Singh ne kuch soch kar chupke se us taraf gaye, jahan se awaaz aa rahi thi. Unko Sir ka chehra dikh gaya. Shakti Singh ne chupke se uski photo le li, lekin uske saath jo khada tha, uska chehra unko nazar nahi aa raha tha. Lekin Sir use baat kar rahe the
Sir: "Dekho, plan poora ho chuka hai. Ab hum peeche nahi hat sakte.
GJ (saamne wala): Haan, tum sahi keh rahe ho. Aur tum chinta mat karo, humara plan kaamyaab hokar rahega.
Sir: Haan, GJ, humara plan kaamyaab hona hi chahiye. Agar hum is baar fail hue toh boss humko zinda nahi chhodenge. Samajh rahe ho na tum?
GJ: Ap fikr na karein, Sir. Plan kaamyaab hokar rahega.
Sir: I hope aisa hi ho. Agar hum fail hue toh bhi Don Corleone toh hai na. Usne aate hi attack bhi kar diya hai.
GJ: Kya woh attack usne kiya tha?
Sir: Haan, usne hi kiya tha.
GJ: Phir toh bade jigar wala hai. Ab toh Veer Singh Raghuvanshi nahi bach payega.
Sir: Haan, hai toh. Lekin tum par toh kisi ko shak nahi hua na?
GJ: Nahi, aise kaise hum par shak ho sakta hai? Aakhir yeh plastic surgery kisne ki hai?
Sir: Haan, tum sahi keh rahe ho. Ekdum real jaisi lag rahi hai.
Isi tarah unki baatein hoti rahi aur Shakti Singh Raghuvanshi ne yeh saari baatein apne mobile main video recording kar di. Chupke se woh wahan se nikal gaye. Raaste main woh sochne lage ki yeh baat woh kisko batayein. Apne papa ko toh bata nahi sakte, kyunke ghar ke andar se koi mila hua hai. Ab kisko batayein? Achanak unko pata nahi kyun, Surya ki yaad aayi. Aur woh wahi se Surya se milne uske hotel chale gaye.
Jab Shakti Singh Raghuvanshi Surya ke hotel pahunche, toh unka chehra darr aur chinta se bhara hua tha. Unhone reception par pooncha aur seedhe Surya ke room main chale gaye.
Surya ne darwaza khola aur Shakti Singh ko dekh kar thoda hairan hua.
Surya : Sir? Ap yahan? Sab theek toh hai?
Shakti Singh ne jaldi se andar aakar darwaza band kiya. Unke haath kaanp rahe the aur woh ghabraye hue the.
Sakti Singh : Surya, main tumhare paas ek bahut zaroori baat ke liye aaya hoon. Yeh baat kisi ko pata nahi chalni chahiye, samjhe?
Surya ne unki haalat dekh kar unko paani diya.
Surya : Ap shant ho jaiye. Pehle paani pijiye, phir aram se bataiye kya baat hai.
Shakti Singh ne paani peeya aur phir ek gehri saans li.
Sakti Singh : Surya, Mera papa ki jaan ko khatra hai. Unke birthday par unpar hamla hone wala hai.
Surya yeh sunkar chauk gaya.
Surya : Kya? Ap yeh kya keh rahe hain? Aapko yeh kaise pata chala?
Shakti Singh ne apna phone nikala aur Surya ko video dikhaya, jo unhone hotel ke toilet main chupkar record kiya tha.
Sakti Singh : Main ek meeting main gaya tha aur galti se maine yeh sun liya. Dekho, yeh Sir aur uska aadmi GJ hai, jo papa ko maarne ka plan bana rahe hain.
Surya ne video dekha. Us video main Sir ki awaaz saaf sunai de rahi thi aur uska chehra bhi dikh raha tha. GJ ka chehra saaf nahi tha, lekin unki baaton se poora plan samajh aa raha tha.
Surya : Yeh toh bahut badi saazish hai,
Surya ne video dekhne ke baad kaha
Surya : Lekin yeh Don Corleone kaun hai jiska naam yeh log le rahe hain?
Sakti Singh: Pata nahi Inki baaton se lagta hai ki woh Don Corleone bhi is plan ka hissa hai. Usne papa ke ek business partner par bhi hamla kiya hai. Iska matlab hai ki woh log bahut khatarnak hain.
Surya Aapko kaise pata chala ki inki baatein sach hain?
Sakti Singh : Inki baaton main dum tha aur Kal Raat Sach main papa ke ek business partner per hamla hua tha Aur unhone Don Corleone ke attack ki baat ki. Iska matlab hai ki unka plan shuru ho chuka hai.
Sakti Singh : Aur sabse badi baat Inki baaton se yeh bhi pata chala ki yeh log sirf bahar ke nahi hain. GJ ne plastic surgery karayi hai. Iska matlab hai ki woh family ka hi koi member ho sakta hai, jisne apna chehra badal liya hai. Isliye, main papa ko directly nahi bata sakta. Pata nahi kaun unka apna bankar unke saath dhoka kar raha hai.
Surya ne Shakti Singh ke kandhe par haath rakha.
Surya : Aapne bilkul sahi kiya, jo ap mere paas aaye. Agar ap Raja Sahab ko batate, aur ghar ka hi koi unka dushman hota, toh ap bhi khatre main aa jaate. Aap mujh par bharosa kar sakte hain.
Shakti Singh ne relief ki saans li.
Surya : Ap chinta mat kijiye Ab jab mujhe pata chal gaya hai, toh main raja Sahab ko kuch nahi hone dunga. Hum is mamle ko akele handle karenge, taaki us gaddar ko pata na chale ki hum uske plan ke baare main jaante hain. Pehle hum GJ ki asli identity pata karenge aur Don Corleone ke baare main bhi jaankari ikattha karenge.
Sakti Singh: Theek hai
Main jo bhi information collect kar sakta hoon, Tumhe deta rahunga. Bas Tum yeh yaad rakna yeh matter family ke andar se hi hai. Isliye hum main har kadam soch samajh kar uthana hoga.
Surya : Ap fikar na kariye sab thek ho Jayega
Phir surya ne apna phone nikala aur us video ki ek copy le li.
Surya : Ap fikr mat kijiye. Main sab sambhal lunga. Aur ab apko ghabrane ki zaroorat nahi hai. Hum sab thek kar denge."
Shakti Singh ke jaane ke baad, Surya ek gehri soch main doob gaya. Uske saamne ek bahut badi saazish thi. Veer Singh ke birthday party par hamla hone wala tha, aur sabse badi baat yeh thi ki is saazish main ghar ka hi koi bhediya shamil tha. Surya ko samajh aa gaya tha ki yeh maamla itna aasan nahi hai. Veer Singh ki jaan ke saath-saath poore Raghuvanshi parivar aur unse jude hue logon ki suraksha bhi daav par thi.
Surya ne apni ankheen band ki aur ek gehri saans li. Usne apne man main ek ajeeb sa mantra padha aur tabhi wahan par ek neeli roshni chamki. Us roshni mein se ek bahut hi takatwar aur shaant chehra nikal kar saamne aaya. Yeh Jinn Jagira tha, jisne Surya ke har hukm ko nibhane ka waada kiya tha.
.
Jinn Jagira: Kya hukum Hain mere aaqa Aapne mujhe yaad kiya, iska matlab hai ki koi bahut bada khatra hai. Kya hukum hai?
Surya: (serious hokar) "Jagira, hum main Veer Singh Raghuvanshi aur unke poore parivar ki suraksha karni hai. Unki jaan ko ek bade khatre se bachana hai."
Jinn Jagira: aaqa Kya is khatre ke baare main aap mujhe aur bata sakte hain?
Surya: Veer Singh ke birthday party par ek bahut bada hamla hone wala hai. Aur is saazish main unke hi ghar ka koi bhediya shamil hai, jisne apni plastic surgery karayi hai. Isliye hum main chupke se kaam karna hoga. Kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye ki hum main iske baare main maloom hai.
Jinn Jagira (sir hilate hue) : Jaisa aapka hukm, aaqa. Main apni sabse takatwar jinnon ki team ko bula lunga.
Surya ne usko roka.
Surya : Nahi, Jagira. Yeh kaam bahut hi chupke se karna hoga. Main chahta hoon ki tum apne saath 9-10 jinnon ko le jao, jo har tarah ke khatre se parivar ki suraksha kar sakte hain.
Jinn Jagira : Jaisa ap kahein, maalik. Hum sabse takatwar jinnon ko le jayenge, jo nazar bhi nahi aayenge. Unka kaam hoga Veer Singh Raghuvanshi ke parivar ke har sadasya, khaas karke unki patni aur bachhon ki raksha karna.
Surya ne apni baat ko aur clear kiya.
Surya : Sirf Veer Singh Raghuvanshi ka parivar hi nahi, balke Thakur Digvijay ( surya ke nana ka Ghar ) ke parivar ki bhi suraksha karni hai. Unke mansion ke har kone main tumhare jinn hone chahiye. Koi bhi shak ke daayre main aaye toh us par nazar rakhna, par unko chuna mat, jab tak koi hamla na ho.
Jinn Jagira: Jaisa aapka hukm, maalik. Main abhi sabse takatwar jinnon ko le kar Raghuvanshi Mansion ki suraksha main laga deta hoon. Hum unki family ko har khatre se surakshit rakhenge, aur koi bhi hamare hone ka pata nahi laga payega. Jab aap humein aage ka hukm denge, tab tak hum yahi par unki suraksha karenge.
Jinn Jagira ne sar hilaya, ek halki si roshni chamki, aur woh wahan se gaayab ho gaya. Surya ko pata tha ki usne ab ek bada kadam utha liya hai. Ab Raghuvanshi aur Digvijay parivar bilkul surakshit the. Ab usko bas Veer Singh ki family ka bhediya dhoondna tha aur us international criminal Don Corleone ka pata lagana tha.
Surya ne Kuch soch kar ek call lagaya
Kuch der main samne wale ne call utha li toh surya ne kaha
Surya : hello darling kesi ho
Samne se : you tumhari himmat kesi hui mujhe darling kehne ki jante ho na Kon ho main
Surya : ha ha ache se Janta ho ke Kon ho tum darling ek Kam tha tumse
Samne se : acha tabhi toh main soche ke janab ne itne time bad call kese Kiya hain
Surya : yar be serious family problem Hain
Samne se : sorry bolo Kya baat hain Tum bohut serious lag Rahe ho
Surya : don Corleone Naam ka ek international criminal Hain Jo Meri family ke Piche padha Hain
Samne se : kyaaa yeh Tum Kya Keh Rahe ho
Surya : kyun Kya hua
Samne se : Nahin Kuch Nahin woh Kya Hain na is don Corleone ka case mujhe handle Karne ke Liye diya gaya Hain aur main next flight se Jaipur AA Rahi ho
Surya ( khush hote Hue) : Kya Sachaim darling Tum Jaipur AA Rahi ho
Samne se : shut up agar phir se mujhe darling kaha toh samje
Surya : acha thek Hain Tum aajao Yaha per baat karge aur haa ka time mujhe Bata Dena main Tumhe airport per Lene AA jaoga okay
Samne se : woh toh Tumhe aana ho Hoga samje main Tumhe flight ka time aur details main Tumhe msg kar dungi okay
Surya : okay bye phir Raat ko Milne Hain
Samne se : bye
phir surya call cut kar deta Hain
Raghuvanshi Mansion main Veer Singh Raghuvanshi apne bade se study room main baithe the. Unka chehra shaant tha, par unki aankhon main ek ajeeb si tension nazar aa rahi thi. Tabhi darwaza khula aur unke business partner, Gaurav Kapoor, andar aaye. Gaurav ka chehra peela pad chuka tha aur woh ghabraya hua lag raha tha. Unke peechhe Veer Singh ki wife bhi thi, jo unhein tasalli dene ki koshish kar rahi thi.
Veer Singh: Aao, Gaurav. Baitho. Tum abhi bhi shock main lag rahe ho. Tumhari tabiyat toh theek hai na?
Gaurav Kapoor: (chair par baithte hue, haath kaanpte hue) "Thek kya khaak hoon, Veer? Croredo ka nuksaan ho gaya hai. Poora warehouse jal kar raakh ho gaya. Magar nuksaan se zyada, us hamle ka tarika mujhe dara raha hai.
Veer Singh: Tarika? Woh kaise?
Gaurav Kapoor : Yeh koi aam goondon ka kaam nahi tha, Veer. Woh log bade professional the. Unhone sirf ek jagah aag lagai, magar is tarah se ki poora warehouse uski lapet mein aa gaya. Aur sabse ajeeb baat... unhone kisi ki jaan ko nuksaan nahi pahunchaya. Jaise unka maksad sirf mujhe darana tha."
Veer Singh: (serious hokar) Yeh seedha-seedha mere liye ek message hain
Gaurav Kapoor : Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur tum jante ho, unka leader... woh Italian accent main baat kar raha tha. Aisa lag raha tha jaise woh koi videshi criminal ho.
Veer Singh ne apni ankheen band ki aur gehri saans li.
Veer Singh : Don Corleone,
unhone dheere se kaha.
Gaurav Kapoor : Kaun? Tum kisi ko jaante ho?
Veer Singh: Abhi pakka nahi keh sakta. Par naam suna hai. Yeh lagta hai, koi naya khiladi hamare shahar main aaya hai, aur woh seedha mujhse takkar lena chahta hai.
Gaurav Kapoor : Veer, please, tumhari ladai main main nahi aana chahta. Main abhi se apna business tumse alag kar raha hoon. Jab tak sab theek nahi hota, main tumhari koi madad nahi kar sakta.
Veer Singh ne apna haath Gaurav ke kandhe par rakha. Unki awaaz main ab gusse ke saath-saath ek solid confidence tha.
Veer Singh : Gaurav, tum jante ho, darne se koi solution nahi milta. Agar tum ab peeche hatoge, toh yeh log aur haavi ho jayenge. Main tumhe aur tumhare business ko kuch nahi hone dunga. Yeh meri zimmedari hai.
Gaurav ne unki baat maani, par uske chehre par darr saaf dikh raha tha. Woh utha aur Veer Singh ko "take care" bolkar wahan se chala gaya.
Gaurav ke jaate hi Veer Singh ne apne phone par ek number dial kiya.
Veer Singh: Security Head? Main Veer Singh bol raha hoon. Meri ek meeting hai abhi ke abhi, mere office main. Saare security reports lao, khaaskar jo pichhle 48 ghanto main hue hain. Aur haan, Don Corleone naam ke aadmi ke baare main poori jaankari chahiye. Uska har ek move, mujhe pata hona chahiye."
Veer Singh ne phone rakha aur uski aakhon main ek nayi aag jal uthi. Woh samajh chuka tha ki uske birthday par sirf celebrations nahi, balki ek bada war shuru hone wala hai.
Veer Singh ( man me ) : Corleone Tumne ek bar phir Yaha aakar apni mout ko Bula Liya Hain is bar main bi dekta ho tu kese Bach Sakta Hain pichli bar Tumhe zinda chod kar Meri bool Thi ab ki bar tujhe Nahin chodega yeh wada Raha veer Singh Raghuvanshi ka tujse
~~~aj ke Liye itna hi ~~~
“Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna„
Thank youFantanstic update bro padh kar maja aa gayadekhte hai aage kya hota hai
Update 12

Yar 1 2 din tak Nahin de paoga kyunke Meri wife pregnant Hain 7 month ki toh ap jante hi ho ke pregnant ho toh extra careful rehna padta Hain toh usko doctor ke pass lekar jaan Hain jab free ho Jao toh update de Dunga lekin Koshish karoga ke Kal de du agar Kal Nahin hua toh persoo lazmi Dunga okayNext update kab ayega bro