• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest The Hidden King 👑 (fantasy + magic )

monsterking

New Member
75
71
18
Bahut shandar upd
Update 4
10 year later :-
Aise hi samay bitne Laga aur dekte hi dekte 10 Saal guzar gaye Kisi
Ko pata hi Nahin Chala
Vikram manav aur mehar Jo surya ko Pasand Nahin karte the ab usko Apni jaan se bi ziyada Pyar karte the aur Santi maa bi bohut Pyar Karti Hain aur Sanjay ka toh pocho hi mat
Jaha in 10 saalo main surya ko apno ka bohut Pyar Mila wahi surya ko Apne school main ek ladki se Pyar ho gaya tha aur Sahi time dek kar surya ne usko propose bi kar diya aur us ladki ne accept bi kar diya aur dono ek dusre se Pyar Karne Laga surya bi us ladki ko bohut sare ache ache gift diya aur din bar ise baate karta rehta aur Raat ko uske khayalo main rehta infact surya use itna Pyar karta tha ke ek bar usko bacha ne ke Liye 5 gundo se akele lad padha aur un gundo ki achi kasi dulai kardi
Lekin kehna Hain na ke waqt badalne main der Nahin lagti wahi mere Saath hua
Yeh baat tab ki Hain jab main Apne 12th ka result Lene school gaya tha main us din bohut khush tha kyunke is bar
Mere Bhai Vikram ne pure State main top Liya tha 98% ke Saath aur main sirf 2 mark se state top Karne se reh gaya mujhe duk toh hua lekin khushi bi bohut hui ke Mere Bhai ne state top kiya hain
Kher jab main result lekar jaa Raha ke tabhi mujhe Kisi se Piche se awaz lagai jab Maine Piche mud kar dekha toh yeh koi aur Nahin Meri jaan Thi jis se main bohut ziyada Pyar karta tha main foran uske pass gaya toh woh boli
(Doston main abhi ladki ka Naam Nahin likhoga iska intro bad main Hoga okay)
Ladki : mujhe tumse baat Karni Hain
Main : Kya baat Karni Hain
Ladki : woh main woh woh
Main : woh woh Kya baat hain acha chodo jaan yeh Dekho Mera result kitna acha aya Hain
Ladki : mujhe tumse kuch zarori baat Karti Hain
Main : Kya baat Karni hain Bolo
Ladki : mujhe tumhare Saath ab Nahin rehna
Yeh sunkar mujhe ek zordar bijli ka jatka laga
Aur main bola
Main : Kya baat hain mujse koi galti ho gayi Hain Kya
Ladki : Nahin tumse koi galti Nahin hui Hain Lekin ab main is relation main Nahin reh sakti
Main : Lekin kyun waja Kya Hain
Ladki : waja Hain aukat
Tumhare aur mere bech Zameen asman ka fark Hain
Yeh sunkar mujhe ek jatka laga aur mere ansoo dar dar behne Laga toh woh boli
Ladki : kaha main ek rajkumari ki tarha jeene wali aur kaha Tum ek gareeb Tumne Socha bi kese ke main tuj kese 2 Kodi ke ladke ke Saath Pyar kar sakti ho Pyar to dor ki baat Hain main to tujhe apna noukar bi naa rakho
Main bilkul chupchap wahi kada tha ek sabd bi mere moo se Kuch bi Nahin nilkal Raha tha air mere ansoo Nikal Rahe the
Ladki : jante bi ho main Kon Hain Mera standad Kya Hain main raj Singhania ki beti ho air Tum ne soch bi kese liya ke main tuj se Pyar kar sakti ho
Itna time se main chup tha akhir Maine himmat Karke bol diya
Main : lelelekin woh wada Jo Tum ne Kiya tha uska Kya
Ladki : bad main jaye tera wada aur Maine Tere Saath sirf is liye Pyar ka natak Kiya tha take mujhe Yaha ek guard mil sakhe kyunke Yaha per kutte bohut hote Hain muj jaisi beautiful ladki ko chedne ke liye samje aur ajke bad mere Piche mat aana yeh lo tere gifts Jo tune diye tha sab hain aj ke bad mujse kabhi bi Milne ki Koshish mat karna samji
Yeh kehkar woh waha se chali gayi aur main wahi per guttno ke bal beth kar zor zor se rone Laga
Abhi main roo hi Raha tha ke tabhi Mera phone bajne Laga Lekin Maine koi deyan Nahin diya aur call Apne ap cut ho gayi aur jaise hi call cut hoi toh phir phone bajne Laga is bar main toda sambal gaya aur apna phone utha kar dekha toh Vikram Bhai ki call Thi yeh dekar maine foran call utha li toh samne se Vikram bola
Vikram : kaha Hain tu
Main : kyun Kya hua Bhai
Vikram : papa aur mehar Manav ka accident hua Hain jaldi se city hospital AA jaa
Yeh sunte hi main bohut ziyada gabra gaya aur foran call cut kardi aur phone Apne jeb main dal diya aur waha se Bahar aa kar ek auto main beth gaya aur foran city hospital ponch gaya waha jaa kar dekha toh waha per Vikram Bhai aur Santi maa kadi thi
Main : Bhai papa kese Hain doctor Kya Keh Rahe Hain
Vikram : abhi operation chal Raha hain Kuch pata nahin Hain
Yeh sunkar mujhe bohut duk hua aur main waha se Santi maa ke pass jaakar beth gaya aur unse bola
Main : maa please ap hosla rakhiye sab thek ho Jayega
Lekin santi maa Kuch Nahin boli kareeb 1 gante ke bad doctor ICU se Bahar aya toh hum sab bag kar doctor ke pass gaye toh maa doctor se boli
Santi maa : kya hua doctor sab thek toh Hain na
Doctor : I'm sorry hum ne Apke bete aur beti ko bacha Liya Hain Lekin Apke husband coma main chale gaye Hain
"KYA "
aur yeh kehte hi Santi maa Behosh ho gayi
Humne foran maa ko waha se ek room main sift Kiya aur doctor ne usko ek injection Laga diya aur bole
Doctor : ap inko rest Karne dejiye okay
Phir doctor waha se chale gaye aur main aur Vikram Bhai wahi per beth gaye
Aise hi Raat ho gayi aur Raat se subhe kareeb 8 baje ek inspector waha AA gaya aur bole
Inspector : hello bacho kese ho Tum dono
Vikram Bhai aur main : thek Hain sir
Inspector : ap dono main se surya Kon Hain
Main : jee inspector sir main ho surya my n Kya hua
Inspector : woh Kya Hain na ke jis ne Apke father ka accident kiya tha usko humne pakad Kiya hain
Vikram : Kya Sach main inspector usko chodna mat
Inspector : thek Hain lekin woh Keh Raha tha ke surya ne usko mara tha aur ishi liye humne uska accident kiya hain
Aur yeh sunkar main khud shock ho gaya
Main : Kya woh jhot bol Rahe Hain
Inspector : ha humko bi yahi Laga lekin humne jab hum ne poch tach ki
Toh sab Sach tha
Inspector : xxx location per Apne unko mara tha Kuch yad Hain apko
Jaise hi inspector ne us jaga ka naam Liya thek waise hi mujhe sab Kuch Samaj AA gaya ke woh Kon the toh main bola
Main : haa inspector sir us time Maine hi mara tha unko kyunke woh log ek ladki ke Saath galat Karne wale the toh
Inspector : okay koi baat nahin ab hum chalte Hain hum apko yahi batane aye the ke humne unko pakad Liya
Hain ab hum chalte Hain
Main : okay sir bye
Phir inspector waha se Chala gaya abhi inspector waha se gaye hi the ke achanak Kisi ne mujhe kande se pakad kar Piche ki taraf mudha aur ek zordar
"Chaataakkk"
Tapad itni zor ka the ke mujhe din main hu tare Nazar aane Lage
Is hue achanak hamse ne Vikram Bhai bi shock ho gaya tabhi ek awaz gunj utha
"Toh Tum ho woh jiski waha se mere husband aur Bache aj is halat main Hain "
Yeh lafz kehne wali aur koi Nahin balke Meri Santi maa Thi
Main : Nahin maa woh main
Santi maa ( gusse main) : Kya woh main sab Kuch sun Liya Hain Maine Tumhari waja se aj in teeno ki yeh halat Hain
Vikram Bhai : maa ek bar baat toh Suno Meri
Santi maa : Kya Suno main jaa bol sab Kuch sun chuki ho main aur ab mujhe jhoot bolne ki Koshish mat karna samje
Santi maa : kyun Kiya Tumne aisa ( yeh Keh kar mujhe ek aur tapad jad diya ) jante bi ho yeh wahi Sanjay tha jis ne tab Teri ungli pakadi Thi jab tera koi Nahin tha yeh wahi mehar Hain jisne hamesha Apne hisse ka khana tujhe diya aur Tere hisse ki mar usne Kai Hain
Santi maa : aur aj Teri waja se us sabki yeh halat Hain
Santi maa : lekin ab Nahin Chala jaa Yaha se ab main Teri sakal (face ) bi Nahin dekna Chahti bagwan ke Liye Chala jaa Yaha se aur kabhi bi mat aana wapis
Yeh bol kar santi maa ne mujhe dakha de diya waha se main bi bohut Kuch kehna Chahta tha Santi maa ko Lekin Keh Nahin paya aur chupchap ansoo bahate hue waha se Nikal gaya Piche se Vikram Bhai awaze deta tha Lekin Maine koi jawab Nahin diya jab aane ki Koshish ki toh Santi maa ne usko kasam de di ke woh mujhe roke Nahin
Main hospital se sidhe Ghar aa gaya aur Apne Kuch kapde aur documents ek bag main rak Liye aur waha se Nikal gaya Lekin mujhe oata Nahin tha ke jaha Jaana Hain kyunke mere pass paise bi Nahin the kher jaise taise Karke woh din adjust Kiya
Aur agle din mujhe bok bi bohut lagi Thi toh main Nikal gaya Kisi Kam ko dundne

Kam dundte dundte main ek Kuch dor Nikal jata ho aur phir main us jungle se jitni jaldi ho sakhe toh waha se Nikal na tha kyunke kaha jaata Hain ke is jungle main aj tak Jo bi gaya Hain woh zinda wapis Nahin aaya Hain

Abhi main us jungle se aghe bad hi Raha the ke achanak

"SURYA "
"OO SURYA "

Aisi awaz ayi mujhe aisa Laga ke koi mujhe awaz de Raha Hain

Jab us taraf dekha toh waha per koi jungle ke Ander ki taraf koi jaa Raha tha yeh dekar main dar gaya aur sochne Laga

Main : (man me ) akhir yeh Kon Hain Jo is jungle ki ander jaa Raha have n jabke isko pata bi Hain ke Yaha per sirf mout hi mout milte Hain

Main : shayad isko pata naa ho ke yeh jungle main Bhoot Rehte Hain Kya karo Bacho ya Nahin aur woh Ander kar Kya Raha hain

Main : ek bar dekar ssta ho Kya oata rasta batak gaya ho kyun na usko bacha lo aur jaldi se wapis AA Jao haa yahi thek Hain

Yeh soch kar main bagkar jungle ke Ander Chala gaya aur dekha ke waha koi Nahin Hain jab idhar udhar dekha toh koi NAHI n dek Raha tha lekin n achanak hi Meri Nazar niche pad gayi toh dekha ke waha per bohut sare pairo ke nish Hain

Yeh dekar main un pairo ke Nishan ka Piche Piche chalne Laga

Kareeb 1 gante tak us pairo ke Nishan ke Piche karte karte jab waha tak poncha toh samne dekha ke waha per ek gufa Hain Jo ek ajeeb se Hain

Pahle toh socha ke wapis Chala Jao lekin phir Socha ke Yaha tak AA gaya ho toh aghe bi dekte hain

Yahi soch kar jab main us gufa ke Ander Chala gaya Kuch der chalne ke bad waha per Rasta khatam ko gaya aas pass dekha toh waha per kuch Nahin Mila

Kareeb 30 minute dundne ke bad mujhe waha per ek darwaza Mila Jo bilkul is gufa main Jo Matti Thi us jaise dekne se pata ho Nahin chalta me yeh matti Hain ya darwaza

Khair maine us darwaze ko kol kar jaise hi ander inter hua toh dar ke mare tar tar kampne Laga aur mere mate se pasinaa aane Laga


~~aj ke Liye itna hi ~~


Agar koi galti ho gayi Hain toh sorry aur Pasand aye toh like aur comment lazmi dena

Shandar update
 
  • Like
Reactions: Xabhi123

Devil2912

New Member
14
20
3
Update 19


Woh roshni aakas se hote hue sidhe aakar Surya se takra gayi aur jaise hi us Roshni ne Surya ko chua, ek tez, chaka chaundh karne wala jhatka laga. Surya ki aankhoo ke samne sab kuch safed ho gaya, aur usne apne badan ko hawa main udta hua mehsoos kiya. Ek lamhe ke liye aisa laga jaise uska wajood hi khatam ho gaya ho, aur agle hi pal uski aankhoo ke saamne ek nayi, anjan duniya thi


Jab uski aankheen khuli, woh ek aisi jagah par tha jiske bare main usne kabhi socha bhi nahi tha. Wahan na koi sheher tha, na koi jungle. Bas ek ajeeb si shanti thi, aur hawa main ajeeb si khushbo thi. Uske upar asman bhi nahi tha, bas ek neeli, chamakdar roshni thi. Surya ne apne haath uthaye aur usne dekha ki uske kapde aur badan bilkul saaf the, jaise woh kabhi lada hi na ho


Usne darte hue apne aas pass dekha. Tabhi, uske samne ek aurat aayi. Uski lambi, safed baal the, aur uski aankhoo main ek ajeeb si shanti thi. Usne ek bhi baat nahi ki, bas muskurate hue Surya ki taraf dekha


Aurat : Swagat hai Surya. Tumhara yahan par ( uski awaz aisi thi jaise woh hawa se bani ho, bilkul shant aur sundar )


Surya : (hairan hote hue) Ap... ap kaun hain Aur main yahan kaise aaya

Surya ne darte hue poocha. Uska chehra pareshani se bhara hua tha. Woh hamesha sab kuch control karta tha, par is jagah par usko sab kuch alag lag raha tha


Aurat : Main is jagah ki rakshak hoon. Aur tumhara yahan par barson se intezar kar rahi hoon I
usne ahista se kaha.


Surya : Mera...? Lekin kyun? Mera intezar kyun kar rahi hain ap?


Aurat : Is baat ka jawab tumhe sahi samay aane par mil jayega ( usne muskurate hue kaha ) Aur tumhara intezar yahan is liye ho raha hai taki tum apni shakti hasil kar sako


Surya : (pareshan hote hue) Meri shakti? Meri kaunsi shakti

Surya dimag main ek bhi baat nahi thi, jisse woh apni shakti ko pehchan sake


Aurat : Tumhe Apne sakti chakra hasil Karna hain jis main Panchbhut Hain Tumhe uski khud ki himmat aur takat se hasil Karne honge

Surya : (sochte hue) Thek hai. To... mujhe kahan jaana hoga?

Aurat ne apni aankheen band ki, aur uske saamne ek chamakdar, neeli roshni bani. Usne us roshni ko Surya ki taraf ishara kiya


Aurat : Yeh hai tumhara rasta. Is par chalo, aur tum apni shakti ko hasil kar sakoge Par yaad rakhna, is raste par tum akele ho

Surya ne uski taraf dekha, aur phir usne apne raste ki taraf dekha. Uske andar ajeeb si aag thi ek aag jo usko aage badhne ke liye keh rahi thi. Usne dar ko chora, aur woh us neeli roshni ki taraf aage badne laga.

Jab Surya ne dar ko chora, woh neeli roshni ki taraf aage badhne laga. Uske kadam jaise hi us roshni se bane raste par pade ek halki si awaz gonji, aur woh rasta uske peche se band hota gaya. Uske charon taraf anjan si shanti thi, na hawa, na awaz. Bas woh aur woh neeli roshni.
Chalte chalte, woh ek aisi jagah par pahuncha jahan zameen bilkul saaf nahi thi. Wahan, zameen ajeeb tarah se hill rahi thi, jaise woh sans le rahi ho. Uske samne ek bada, gehra jheel tha, jismain se neli roshni nikal rahi thi. Jhel ke kinare, pani bilkul saaf tha, par jaise hi woh aage badha, ek tez jhatka laga. Zameen uske neche se hilne lagi, aur uske samne ek bada, patthar ka dewar ban gaya


Surya ne us dewar ko dekha. Uske andar ek ajeeb sa dar tha, par usne us dar ko control kiya. Usne yaad kiya ki usne kitni mushkilon ka samna kiya tha. Usne apne ap se kaha

Surya : Main yeh kar sakta hoon


Usne aage badhne ki koshish ki, par har baar jab woh ek kadam badhata, zameen hilne lagti aur ek naya dewar uske samne aa jata. Woh har dewar ko todne ki koshish karta, par har baar woh dewar wahi rehti. Uska saans rukne laga. Uske dimag main ek baat aayi

Surya ( sochta hue ) : Yeh physical taqat ka imtehaan nahi hai

Usne ek gehri saans li aur usne aankheen band ki Usne yaad kiya ki kaise usne har mushkil ka saamna apne dimag se kiya tha. Usne yaad kiya ki kaise usne apne andar ke gusse ko control kiya tha. Usne ab apne dimag ko shant kiya, aur usne us zameen ko mehsos kiya


Jab usne apni aankheen kholi, usne apne ap ko ek aisi jagah par dekha jahan har taraf raste the. Har rasta usko us jheel ki taraf le ja raha tha. Par ek rasta alag tha, aur woh usko dusre raste se door le ja raha tha

Surya ne us raste ko dekha, aur usne bina soche samjhe us raste par chalna shuru kiya Jab woh aghe badha, zameen bilkul shant thi Usne dekha ki woh us jheel ki taraf ja raha tha, jahan se neeli roshni nikal rahi thi

Jab woh us jheel ke pass pahuncha wahan koi nahi tha. Bas woh aur woh neeli roshni thi Surya ne dekha ki jheel ke beech main ek chota sa teela tha, jaha ek chota sa diya jala hua tha. Usne us diye ko uthaya, aur usne mehsos kiya ki uske andar ek ajeeb si taqat thi aur jaise ki surya ne usko mehsos kiya to agle hi pal surya ek nayi jagha per tha

Prithvi ki Pariksha :-


Jab Surya ne us neeli roshni se bane raste par apna pehla kadam rakha wahan ka vatavaran hi badal gaya. Hawa main ek ajeeb si khamoshi thi itni gehri ki uski apni sanson ki awaz bhi gonj rahi thi Uske pairon ke neche ki zamen na mitti thi, na patthar, bas ek thandi, roshan satah thi. Surya aghe badhta gaya, aur uske peche se woh neeli roshni ka rasta dheere dheere gayab ho gaya, jaise uske aane se pehle wahan kuch tha hi nahi


Chalte chalte woh ek aisi jagah par pahuncha jahan har taraf ek ajeeb, nela kanch tha. Yeh aam kanch nahi tha. Har tukda hawa main tair raha tha, aur unki satah par Surya ki alag alag tasverein thi. Un tasveron se ek ajeeb, sunsan awaz aa rahi thi, jaise hawa gonj rahi ho

Awaz : Swagat hai, surya ... tumhari asal duniya main

Surya jatke se ruka Uska dil tez dhadakne laga. Usne darte hue ek kanch ke tukde ko dekha, aur usmain ek haivan ki parchhai thi. Us parchhai ne ek hansi di

Parchai : Tum kya kar rahe ho yahan, surya ? Tumne to bas khoon bahane jaana hai. Tumhari jagha yahan nahi, us tofan main hai jise tumne khud banaya hai

Surya ka chehra gusse se lal ho gaya. Usne ek muthe bech di

Surya : Main haivan nahi hoon!

Surya gusse se kaha


Parchai : Jhoot bolte ho, Surya. Tum wahi ho. Yaad karo, woh raat jab tumne un sabhi logon ko mara tha. Tumhe unki chekhain sunai nahi di? Ya tumne bas unhain marne main maza liya?


Uske aage ek aur kanch ka tukda aya, jismain uski maa ki aankhoo main dar tha. Unki aankhoo se ansu beh rahe the, par woh uski taraf nahi dekh rahi thi. Unki parchai ne apne haath uthaye, aur use door hat gayi Maa ki awaz sunai de rahi hai?

Perchai : Surya... Surya, mat jao... Maa
ne tumse kaha Lekin tumne unki baat nahi suni. Tum bas waha se Nikal gaye


Surya ki aankhoo main ansu aa gaye. Usne apni aankhoo ko band kiya aur usne us dar ko mehsos kiya. Usne yaad kiya ki kaise uski maa ne usko gale lagaya Karti thi. Usne yaad kiya ki kaise uske dada ji ne usko uske ghar bulaya tha. Usne apne dar ko ek taraf kiya, aur usne us awaz ko suni jo uske andar se aayi thi

Awaz : Tum galat ho, Surya. Yeh bas tumhare dar ka aina hai


Surya ne apni aankhoo ko khola, aur usne ek ajeeb si shanti mehsos ki. Usne us kanch ke tukde ko dekha, aur usne usko chua. Kanch ka tukda toot gaya

Parchhai : Tum galat ho Surya. Tum haar gaye ho

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,


Surya : Main galat nahi hoon


Surya aage badna shuru kiya. Ab har taraf uske dar ka aina tha. Uske samne ek aur kanch ka tukda aya, jismain woh ladki thi. Uski aankhoo main dar aur gamand tha

Ladki : Tum ne sakti chakra ko Nahin balke apni taqat ko chua Tum koi aam insan Nahin bohut kass ho

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha

Surya : Main bas apne ap ko dund raha hoon Apne dar ko nahi


Surya ne apni aankhoo ko band kiya, aur usne us dar ko control kiya. Usne apne andar ki shakti ko mehsos kiya, jise Shakti chakra ke naam se jaana tha. Usne us shakti ko mehsos kiya, aur usne apne andar ke gusse ko mehsos kiya. Usne apne ap se kaha

Surya : Main darunga nahi Main har musibat ka samna karunga Main apne dar ko harauga


Jab usne apni aankhoo ko khola uske saamne ab koi kanch ka tukda nahi tha. Wahan ek ajeeb, neeli roshni thi. Usne us roshni ko dekha, aur usne apne ap ko us roshni main chod diya

Jab woh roshni se bahar nikla, woh bilkul thek tha. Uske samne woh aurat aayi Usne Surya ki taraf dekha aur uske chehre par ek ajeeb si muskan thi

Aurat : Tumne pehli pariksha pass kar li, Surya Tumne apne dar ko hara diya. Ab tum agle pariksha ke liye taiyar ho

Surya : Yeh pehli pariksha thi?

Aurat : Haan Yeh Prithvi ki pariksha thi. Prithvi humain hamesha sahi rasta dikhati hai, par agar hum apne dar ke aage jhuk jaate hain, to woh humain nahi dikhati Tumne apne dar ko hara diya aur is liye tumne Prithvi ka imtehaan pass kar liya


Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,

Surya : Main aage badhna chahta hoon

Aurat : Tum aage badh sakte ho

Usne ek pal bhi nahi gawaya aur woh aage badne laga.

Dusri Pariksha :-

Jaal ki Pariksha :-


Jab Surya ne pehli pariksha pass ki, uske andar ek ajeeb si shanti thi. Usne aage badne ka socha, aur tabhi uske samne ka rasta bilkul badal gaya. Woh neeli roshni ab usko ek gehri, andheri gufa main le ja rahi thi. Hawa main ab thandak aur nami thi, aur har taraf se pani ki boondon ki awaz aa rahi thi, jaise woh kuch kehna chahti hon


Surya chalte chalte ek aisi jagah par pahuncha jahan ek bada, gehra jheel tha. Is jheel ka pani bilkul kala tha itna gehra ki uski satah par usko apna chehra bhi nazar nahi aa raha tha. Jheel se ek ajeeb si thandi hawa chal rahi thi, jo uske andar ek anjan dar paida kar rahi thi. Uski sansein thodi rukne lagi, aur uske dimag main ek ajeeb sa sawal aaya

Dimag : Kya yeh safar sahi hai? Kya main sach main ek insan ban sakta hoon?


Tabhi, uske dimag main ek awaz aayi. Woh uski apni awaz thi

Awaz : Tum galat ho, Surya. Tumne apne ap ko mara hai. Tumne sabko chora

Surya ne us awaz ko sunkar, apni aankhoo ko band kiya. Usne yaad kiya ki kaise usne apne ap ko ek insan banaya tha Usne yaad kiya ki kaise usne apne andar ki aag ko control kiya tha. Usne apne ap se kaha,

Surya : Main galat nahi hoon


Surya aage badna shuru kiya, par jaise hi usne apna kadam aghe badhaya, pani hilne laga. Pani ke andar se chehre nikalne lage. Un chehron main kuch aise log the, jinhain usne haivan ke roop main mara tha. Unke chehre par gussa aur gamand tha, aur unki aankhoo main ek ajeeb sa dard tha

Chehre : Tumne humain mara Surya. Tumne hamare gharon ko tabah kiya. Tumne humain mara, par hum ab bhi yahan hain. Tumhe aghe badhne nahi denge

Surya ne un chehron ko dekha, aur uske andar ek ajeeb sa dar tha. Woh dar un chehron ka nahi, balke apni khud ki galti ka tha. Usne us dar ko control kiya, aur usne aage badhne ki koshish ki Par har baar, pani usko peche dhakelta raha


Surya ne socha : Agar main inko hara sakta hoon, to main is pani ko bhi hara sakta hoon


Usne apne haath uthaye, aur us Pani ho Apne samne se hatane ki Koshish ki Lekin agle hi pal Pani ne surya ko ek jatka diya aur surya Piche ki taraf gir gaya


Chehre : Tum hamari aatma ko nahi jala sakte, Surya. Tumne jo kiya, woh galat tha


Surya ne unki taraf dekha, aur usne harr maan li Usne apne hathon ko neche kiya, aur usne apne dar ko mehsos kiya. Uske dimag main ek awaz aayi

Awaz : Tumne harr maan li, Surya

Surya : Main kaise jeet sakta hoon? Main ne bohut logon ko dukh diya hai


Awaz : (ek ajeeb si awaz main) Tumne sahi kaha Surya Tumne logon ko dukh diya hai, par tum usko thek bhi kar sakte ho. Tumhe apne andar ke gusse ko control karna hoga

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,

Surya : Main kaise?


Awaz : Tumhe apne andar ke gamand ko control karna hoga. Tumhe apne ap ko maaf karna hoga


Surya ne apni aankhoo ko band kiya, aur usne apne andar ke gusse ko mehsos kiya. Usne apne ap se kaha

Surya : Main galat nahi hoon


Surya ne apni aankhoo ko khola, aur usne us pani ko dekha. Usne apne haath uthaye aur usne ek gehra sans liya Usne us pani ko chua, aur pani usko andar khinchne laga. Ek pal ke liye usko aisa laga jaise woh doob raha hai, par phir usne apne ap ko pani main chod diya


Jab woh dooba, woh ek aisi jagah par pahuncha jahan har taraf roshni thi. Usne dekha ki uske samne ek bada gola tha, jo usko apni taraf khinch raha tha. Usne us ghole ko dekha, aur usne usko apne andar le liya. Jab woh us ghole ko andar le gaya, usko aisa laga jaise woh bilkul shant ho gaya ho. Uske andar jo dard tha, woh bilkul khatam ho gaya tha. Usne apne ap ko wapis pani main uthaya, aur usne dekha ki pani bilkul saaf tha. Woh saaf pani ab usko ek nayi jagah par le ja raha tha


Jab woh bahar nikla, woh bilkul thek tha. Uske samne woh aurat aayi. Usne Surya ki taraf dekha aur uske chehre par ek ajeeb si muskaan thi

Aurat : Tumne dusri pariksha pass kar
Surya Tumne apne gamand ko hara diya. Ab tum agle pariksha ke liye taiyar ho

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,


Surya : Yeh dusri pariksha thi?


Aurat : Haan. Yeh Jal ki pariksha thi. Jal humain hamesha sahi rasta dikhata hai, par agar hum apne andar ke gamand ko control nahi kar pate, to woh humain nahi dikhata. Tumne apne gamand ko hara diya, aur isliye tumne Jal ka imtehaan pass kar liya

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,


Surya : Main aage badhna chahta hoon

Aurat : Tum aage badh sakte ho

Usne ek pal bhi nahi gawaya aur woh aage badhne laga

Teesri Pariksha :-

Agni Pariksha :-



Jab Surya ne Jal ki pariksha ko pass kiya, uske andar ek ajeeb si shanti thi. Usne apne ap ko dekha, aur usko laga jaise woh ek naya insan ho. Tabhi, uske samne ka rasta bilkul badal gaya. Woh neeli roshni ab usko ek aisi jagah par le ja rahi thi, jahan har taraf aag thi. Hawa main ab tandak nahi, balke ek ajeeb si garmi thi, jo uski sanson ko rok rahi thi.
Surya chalte chalte ek aisi jagah par pahuncha, jahan har taraf laal, peeli aur neeli aag ki laptein thi. Zameen bilkul garam thi, itni garam ki uske pair jalne lage. Uske upar asman nahi, balke aag ke badal the, jo har pal garaj rahe the. Uske aage, usko ek ajeeb sa chehra nazar aaya. Woh chehra ek haivan ka tha, par woh aag se bana tha, aur uski aankhoo main gussa tha


Haivan : Tum yahan kya kar rahe ho, Surya? Tum bas ek aam insaan ho. Tumhari taqat is aag ke aage kuch nahi

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha, Main ek haivan Nahin balke surya ho


Haivan : Jhoot bolte ho, Surya. Tum wahi ho. Tumne apne andar ke gusse ko nahi chora. Tumne apne andar ke gusse ko nahi roka

Surya ne uski taraf dekha, aur usne socha

Surya : Kya yeh Haivan ka astitva hai? Kya yeh meri asliyat hai?


Haivan : Haan, yeh tumhari asliyat hai. Tum sirf ek khooni ho. Tumne un sabhi logon ko mara, aur tumne unko marte hue maza liya

Surya ne apni aankhoo ko band kiya, aur usne us awaz ko suni. Usne apne andar ke gusse ko mehsos kiya, aur usko laga jaise woh bilkul aag se bhara hua ho. Usne yaad kiya ki kaise usne har mushkil ka saamna apne gusse se kiya tha. Usne yaad kiya ki kaise usne apne dushmanon ko mara tha. Usne apne ap se kaha

Surya : Main galat nahi hoon

Tabhi, uske dimag main ek aur awaz aayi. Woh uski maa ki awaaz thi

Maa : Beta, gussa mat karo. Gussa sirf tabahi laata hai

Surya ne us awaz ko sunkar, apni aankhoo ko khola Usne Haivan ki taraf dekha, aur usne kaha

Surya : Main galat nahi hoon

Usne aage badhna shuru kiya, par jaise hi usne apna kadam aage badhaya, Haivan ne us par hamla kiya. Haivan ne ek tez aag ka gola banaya, jisse woh Surya par phenka


"Dhaam!"



ki awaz ke saath, Surya ne usko roka, par woh usko nahi rok paya. Uske haath jalne lage, aur woh zameen par gir gaya


Haivan : Tum harr gaye ho, Surya. Tum aam insaan ho


Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,


Surya : Main aam nahi hoon. Main woh hoon, jo apne andar ki aag ko control kar sakta hai

Usne apne haath uthaye, aur usne haivan ki taraf dekha. Usne apne andar ki aag ko mehsoos kiya, aur usne us aag ko control kiya. Usne apne ap se kaha

Surya : Main gussa nahi karunga


Jab usne apni aankhoo ko khola haivan gayab ho gaya, aur uske samne ek aag ka samundar tha. Is samundar main ek ajeeb si roshni chamak rahi thi. Surya ne socha ki yeh wahi roshni hai, jo usko us anjan duniya main le gayi thi. Usne us roshni ko dekha, aur usne aage badhne ka socha.
Jab woh us samundar ke pass pahuncha, wahan koi nahi tha. Bas woh aur woh roshni thi. Surya ne dekha ki roshni ke andar ek chota sa diya jala hua tha. Usne us diye ko uthaya, aur usne mehsos kiya ki uske andar ek ajeeb si taqat thi.
Surya ne us diye ko uthaya, aur usne mehsos kiya ki uske andar ek ajeeb si taqat thi. Usne apne andar ki aag ko control kiya, aur usne apne ap se kaha

Surya : Main galat nahi hoon


Usne aage badhna shuru kiya, par jaise hi usne apna kadam aage badhaya, uske saamne ek ajeeb si roshni aayi. Woh roshni uske andar ghus gayi, aur usko aisa laga jaise woh bilkul shant ho gaya ho. Uske andar jo gussa tha, woh bilkul khatam ho gaya tha

Ab usko ek nayi jagah par jaana tha


Jab Surya ne Agni ko shant kiya, uske charon taraf ka mausam ekdum se badal gaya. Woh jalte hue maidan aur aag ki laptein pal bhar main gayab ho gayi. Uski jagah ek aisi jagah thi jahan har taraf ek gehri shanti thi, par hawa bilkul bhi shaant nahi thi. Ek ajeeb, anokhi hawa har pal chal rahi thi, aur uski awaz gonj rahi thi, jaise woh kuch kehna chahti ho


Tabhi, uske samne wohi aurat aayi iske lambe safed baal aur shaant aankheen thi. Usne Surya ki taraf dekha aur uske chehre par ek ajeeb si muskan thi.


Aurat : Tumne Agni ko hara diya, Surya Tumne apne gusse aur apni tabahi ko control kar liya. Tumne Apni aag ko shant kar diya

Surya (saans lete hue) : Yeh aag... woh meri taqat thi. Main ne use control kar liya


Aurat: Wahi, Surya. Lekin tumhari asli pariksha ab shuru hogi. Ab tumhe Vayu ki pariksha ko pass karna hoga

Surya : (hairan hote hue) : Vayu... hawa?


Aurat : Vayu azadi hai, Surya. Woh har jagah hai par kahin nahi. Woh sab kuch hai, par kuch nahi. Agar tumne Vayu ki pariksha ko pass nahi kiya, toh tum kabhi apni taqat ko control nahi kar paoge

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,

Surya : Main taiyar hoon


Aurat : Jao, aur apne ap ko dhondho

Woh aurat gayab ho gayi, aur Surya aage badhne laga


chuthi Pariksha :-

Vayu ki Pariksha :-


Jaise hi Surya aage badha, hawa ki tezi badhne lagi. Shuru main, hawa bilkul aam thi, par jaise hi woh aage badha, hawa itni tez ho gayi ki uske kapde udne lage. Uske baal hawa main uddne lage, aur usko laga jaise woh hawa main udd raha ho


Uske samne koi dewar nahi thi, na koi aag, na koi pani. Bas hawa thi. Ek ajeeb, tezi se chalne wali hawa. Yeh hawa usko rok rahi thi. Woh har kadam par use peche dhakel rahi thi. Surya ne apne haathon ko zameen par rakha aur woh aage badhne laga

Uske dimag main ek awaz aayi

Dimag : Tum kahan ja rahe ho, Surya? Tum kyun lad rahe ho? Tum kya ho? Ek insan? Ya ek haivaan?


Surya ne us awaz ko sunkar, apni aankhoo ko band kiya. Usne apne dimag main ek baat ko socha

Surya : Main Surya hoon

Hawa ki tezi badhne lagi

" Shoooo"


ki awaz ke saath, hawa ne ek bada tofan bana diya. Us tofan ne Surya ko hawa main uthaya aur usko ghumane laga. Pzzzzz ki awaz ke saath, usne ek tez bijli ka gola banaya, aur usko Surya par phenka. Surya ne usko roka, par woh usko rok nahi paya

Surya (gusse se) : Tum kaun ho?

Awaz : Main woh hoon, jo tum ho. Tum ek haivan ho Tumne apne ap ko mara. Tumne sabko chora


Surya : Jhoot bolte ho


Awaz : Agar main jhoot bolta hoon, to tumhari taqat kyun nahi hai? Tum kyun hawa main ud rahe ho? Tum kyun apna astitva kho rahe ho?


Surya ne apni aankhoo ko khola, aur usne dekha ki uske haath aur paon bilkul alag ho gaye hain. Woh hawa main udd raha tha, aur usko laga jaise woh bilkul halka ho gaya ho. Usne apne dimag main ek baat ko socha

Surya (sochte hue ) : Main nahi hawa hoon. Main Surya hoon

Usne apne ap ko wapis zameen par uthaya, aur usne us tofan ko dekha. Usne apne haath uthaye, aur usne us tofan ko apne andar le liya

Jab woh us tofan ko andar le gaya, usko aisa laga jaise woh bilkul shant ho gaya ho. Uske andar jo dard tha, woh bilkul khatam ho gaya tha. Usne apne ap ko wapis zameen par uthaya, aur usne dekha ki hawa bilkul shant thi. Woh shant hawa ab usko ek nayi jagah par le ja rahi thi


Jab woh bahar nikla, woh bilkul thek tha. Uske samne woh aurat aayi. Usne Surya ki taraf dekha aur uske chehre par ek ajeeb si muskan thi


Aurat : Tumne chauthi pariksha pass kar li, Surya Tumne apne ap ko dund liya Ab tum agle pariksha ke liye taiyar ho


Surya : Yeh chauthi pariksha thi?


Aurat : Haan Yeh Vayu ki pariksha thi. Vayu humain hamesha sahi raasta dikhata hai, par agar hum apne andar ke shor ko control nahi kar pate, to woh humain nahi dikhata. Tumne apne andar ke shor ko hara diya, aur isliye tumne Vayu ka imtehaan pass kar liya

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha,

Surya : Main aage badhna chahta hoon

Aurat : Tum aage badh sakte ho

Usne ek pal bhi nahi gawaya aur woh aage badne laga


Jab Surya ne Vayu ki pariksha ko pass kiya, uske charon taraf ka mahaul ekdum se badal gaya. Woh tezi se chalti hawa aur uski awaz pal bhar main gayab ho gayi. Uski jagah ek aisi jagah thi jahan bilkul khamoshi thi Na zameen thi, na asman, na koi rang. Bas ek gehri, anant shanti thi. Surya ek anjane, safed ghole main tair raha tha. Uske pass na hawa thi, na aag, na pani, na hi dharti. Bas woh aur woh gehri shanti thi

Surya ne socha ki woh kahan hai. Uske andar ek ajeeb sa dar tha, par woh us dar ko control nahi kar paya. Usne apne ap se kaha

Surya : Main kahan hoon? Kya main mar gaya hoon?

Tabhi uske andar ek ajeeb si awaz aayi. Woh uski apni awaz thi

Awaz : Tum galat ho, Surya. Tum mare nahi ho. Tum bas wahan ho, jahan sab kuch shuru hota hai. Aur sab kuch khatam hota hai

Surya ne us awaz ko sunkar, apni aankhoo ko band kiya. Usne apne andar ki aag ko mehsos kiya, aur usne usko control kiya. Usne yaad kiya ki kaise usne apne ap ko ek insan banaya tha. Usne yaad kiya ki kaise usne apne andar ki shanti ko control kiya tha. Usne apne ap se kaha

Surya : Main galat nahi hoon


Usne apni aankhoo ko khola, aur usne dekha ki uske samne ek chamakta hua gola tha. Woh gola usko apni taraf khinch raha tha. Surya ne usko dekha, aur usne socha

Surya ( sochte hue ) agar main us gole ko chuye, to kya hoga? Kya main mar jaoga? Ya main apne ap ko kho dunga?

Surya ( sochte hue ) : Agar main is gole ko nahi choga, to main kaise aage badhunga?


Usne apne hathon ko aage badhaya, aur usne us ghole ko chua. Ek dam se, uske andar ek tez current doud gaya, aur uski ankhon ke samne sab kuch neela ho gaya. Uske andar ek ajeeb si shanti thi, aur usko aisa laga jaise woh hawa main udd raha ho. Usne apne andar ek ajeeb si taqat mehsos ki, ek aisi taqat jo usko sab kuch karne ke liye keh rahi thi. Usne apne andar Shakti chakra ki shakti ko mehsos kiya


Jab woh roshni se bahar nikla, woh bilkul thek tha. Uske samne woh aurat aayi Usne Surya ki taraf dekha aur uske chehre par ek ajeeb si muskan thi

Aurat : Tumne akhri pariksha pass kar li
Surya Tumne Akash ki Pariksha pass kardi Hain Ab tum apni shakti Chakra hasil kar sakte ho

Surya : Yeh akhri pariksha thi?

Aurat : Haan Yeh Akash ki pariksha thi. Akash humain hamesha sahi rasta dikhata hai, par agar hum apne andar ke shor ko control nahi kar pate, to woh humain nahi dikhata. Tumne apne andar ke shor ko hara diya, aur isliye tumne Akash ka imtehan pass kar liya

Surya ne uski taraf dekha, aur usne kaha

Surya : Main aghe badhna chahta hoon

Aurat : Tum aage badh sakte ho

Usne ek pal bhi nahi gawaya aur woh aage badne laga


Jab Surya aage badha, uske samne ek ajeeb sa manzar tha. Ek tarah se woh ek samundar tha, par us samundar mein pani nahi, balke roshni thi. Har taraf roshni hi roshni thi. Uske samne ek bada gola tha, jo usko apni taraf khinch raha tha. Usne socha ki yeh wahi gola hai, jise usne pehle dekha tha.

Surya ( sochte hue ) : to yeh Hain woh sakti jisko hasil Karne ke liye main Yaha aya ho

Yeh soch kar woh Bina soche samje aghe badne Laga aur surya ne us sakti ho Apne right hand se chua aur aisa Karke hi us pure jagha per Roshani hi Roshani pel gayi aur surya us Roshni ke bech Hawa per udd kar Apne dono haath peela diya aur apni ankheen band kar li aur surya ke sarir se Roshani Nikal Rahi Thi Kuch der bad woh deere Deere niche utarne Laga aur jab woh puri tarha niche utar gaya to usne apni ankheen kol li to uske samne woh aurat AA gayi

Aurat : Tumne Panchbhut ko control kar liya, Surya ab se Tum agni Vayu prithvi jal aur aakas ki sakti ka istemal kar sakte ho

Surya : Kya Sach main me panchmahabhut ki sakti ka istemal kar Sakta ho

Aurat : haa Tum Sach main kar sakte ho

Surya : main Kon ho Kya ap yeh Bata sakti Hain

Aurat : Tum woh ho, jo tum banna chahte ho. Tum ab woh ho, jo har kisi ko bacha sakta hai. Ab tum wapis ja sakte ho
Per ek baat yaad rakna yeh saktiya Tum sirf tab istamal kar sakte ho jab koi khatre main ho ya bohut zarori ho tabhi warna in saktiyou ka istemal matt Karna

Surya : thek Hain Jase ao kahe danyawad


tabhi aurat ne ek ajeeb sa gola banaya, aur usne us gole ko zameen par phenka. Ek dam se, ek tez roshni nikli, jo surya ko apni dunya main wapis lee ayi

Jab surya ne dekha ke abhi toda toda andera Hain aur subhe hone ho ayi Hain to surya waha se sidhe Nikal gaya hotel ki taraf


~~~ aj ke Liye itna hi ~~~~


Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna
Surya ne apne Shakti Punj ko hasil kiya hai ab uske purva janam ka rahasya hai update bahut hi sundar aur suspense rakha hai next update ka intezar rahega woh bhi suspense wala hoga
 
  • Like
Reactions: Xabhi123

monsterking

New Member
75
71
18
Update 5
Kareeb 30 minute dundne ke bad mujhe waha per ek darwaza Mila Jo bilkul is gufa main Jo Matti Thi us jaise dekne se pata ho Nahin chalta me yeh matti Hain ya darwaza

Khair maine us darwaze ko kol kar jaise hi ander inter hua toh dar ke mare tar tar kampne Laga aur mere mate se pasinaa aane Laga


Ab aghe !

Kyunke jaha main kada tha waha se Kuch duri per bohut sare snake 🐍 the Snake itne ziyada the ke ginna mumkin hi Nahin tha

Screenshot-20250717-203037
Snake bohut katarnak lag Rahe the unke kule hue moo ko dek kar jism main khud ba khud kamp sa gaya

Ek pal ke Liye mere dimag main aya ke main wapis Chala Jao Yaha se aur main jaisa hi mudda toh mujhe ek ajeeb ehsas sa hone laga mujhe aisa lag Raha tha ke Mano Yaha koi Hain Jo mujhe pukar Raha Hain aur achanak pata nahin mujhe Kya hua aur mujhe Kya sujhi ke main wapis Piche ghum gaya aur dekne Laga ke aghe Kaise jaya jaa Sakta Hain jab Maine deyan se dekha toh waha per snake ke pass ek Bada ka pathar pada tha aur thek snake ke bich main uper se niche ek rassi latak Rahi Thi aur use aghe ek chota sa pillar bana hua tha in sabko dekar mere chahre per ek muskan AA gayi aur main bag kar us taraf gaya jaha snake tha aur waha per ek Bada sa pathar pada tha us per pair rak kar ek log jump Laga Liya aur jaise hi main niche aane Laga tab mera haath us rassi tak ponch gaya aur Maine usko pakad kar julte hue aghe gaya aur us chote se piller per ek pair rak kar aghe jump Laga Liye aur maim safely niche land ho gaya yeh dekar main bohut khush ho gaya aur main aghe bad gaya


Jaise jaise main aghe bad Raha tha waise waise mujhe dar lag Raha tha ke ab aghe Kya Hoga Kuch pata nahin tha mujhe

Jaise hi main aghe aya toh dekha waha per bohut Sara gold pada hua tha

1752771842826
Jisko dekar ek bar toh mere man me bi lalach AA gaya ke yeh sab Kuch main Apne Saath le Jao Lekin pata nahin mujhe aisa Kya aur ke main itne sare gold ko bi ignore Karke aghe bad gaya

Toh main ab aghe Chala gaya aur jaha per gold pada tha use jagha se aghe Chala gaya aur eb main ek Haal main AA gaya Maine aas pass dekha toh yeh jagha bilkul Khali tha ass pass dekha toh Jab Maine Lekin Kuch Nazar Nahin aaya toh achanak Meri Nazar uper gayi toh main shock main Jo gaya

Screenshot-20250717-214149

Waha per ek Chirag rakha hua tha Jo chamak Raha tha jisko dek kar ek bar mujhe aisa Laga ke Mano main koi Sapna dek Raha ho Lekin main Maine Apne ap per chutki kati toh Yaqeen ho gaya ke yeh Sapna Nahin Hain toh main aghe bad gaya aur Chirag ko utha ne ke Liye haath lagaya toh mere haath main bohut jalad hone lagi aur todi der bad jab Maine Chirag ko utha Liya aur usko dekne Laga

Todi der bad dekne ke bad Maine Socha aur apni Kismat azmane ke Liye us Chirag ko jisne Laga todi der tak jab Maine us jadui Chirag ko gisne ke bad us Chirag se neele 🔵 rang ka duwa Nikal ne Laga jisko dek kar main dar gaya aur Chirag mere haath se niche gir gaya aur main dar ke mare Piche ho gaya todi der tak duwa Nikal Raha tha uske bad duwa nikalna band ho gaya aur us duwe ne Deere Deere ek bohut badi Akriti main badalne lagi
1752773355403

Aur phir us Akriti ne ek jinn ka Roop le Liya jis ko dekar main aur bi bohut ziyada dar gaya aur dar ke mare behosh ho gaya

Mujhe is tarha behosh hota dekar jinn muskurane laga aur uske bad .main behosh ho gaya


Wahi jaise hi surya behosh ho gaya tabhi uper aakas main ek tez Roshni hui tabhi
Ek awaz gunji

Awaz : akhir kar Tum Azad ho gaye

Jinn : jee mahaguru Apke ashirwad se main ek bar phir se Azad ho gaya ho

Awaz : Hume khushi hui Tumhe dekar Lekin yad rakna phir se Tum AUR surya Pichli bar ki tarha galti mat karna

Jinn : ap nischit Rahe is bar hum se koi galti Nahin Hogi

Awaz : yahi Sahi rahega aur haa jitni jaldi ho sakhe surya ke Jeevan ki Yatra ka aramb karwao kyunke agar woh phir se Apne kidd se Azad ho gaya toh agar tridev bi Kuch Nahin kar payege

Jinn : ap Sahi Keh Rahe Hain bohut jald main sab thek kar dunga kyunke agar aj main aur mere aaka Yaha per Meri galti ki waja se hua

Awaz : haa Sahi kaha tumhari galti AUR surya ki nadani se surya ko ab prem ke Saath Kuch aur bi sakhana Hoga apko

Jinn : jaisa ap kahe

Awaz : ab hum chalte Hain surya putra ka deyan rakna

Jinn : ap nischit Rahe mahaguru pranam

Awaz : Vijaybava


Phir awaz aani band ho jati Hain phir jinn surya ko dekar Bolta hain

Jinn : aaka aj bi ap me chahre per woh bolapan aur prem chalakta Hain Jo pahle tha mujhe maaf Karna Meri waja se apki aj yeh halat Hain Lekin ab ki bar main aisa Nahin hone Dunga

Phir jinn ek chutki bajata hain aur surya ko dere dere apni ankheen kul ta Hain aur kada hokar aas pass dekta hain toh achanak uski Nazar us Jin per padti Hain toh surya phir se dar jata Hain

Surya ko is tarha darta dekhkar jinn halka sa muskurata hain aur phir Bolta hain

Jinn : are are ap dariye mat aaka main apka gulam ho apko mujse darni ki koi zarorat Nahin Hain

Surya : ddddekho mmmujhe jaane do waarna mainnnn apppko chooddo gaaa Nahin

Jinn : are Maine kaha na ap mat dariye mujse main apka gulam ho main apka har Aadesh manoga

Surya yeh sunkar pahle khush hota Hain phir Bolta hain

Surya : Kya Tum Sach Keh Rahe ho

Jinn : haa aaka main Sach Keh Rahe ho agar Yaqeen Nahin AA Rahe Hain toh ap Aadesh kijiye

Surya : Hhhmmmmm toh thek Hain mujhe bohut buk lagi Hain mujhe khana khana Hain

DALL-E-2024-01-17-12-56-05-A-vibrant-and-appetizing-array-of-Indian-dishes-displayed-on-a-table-show

Apne samne itna Sara khana dekar surya ki buk aur ziyada bad gayi aur woh tut padha khana per aur pura table Khali kardi usne kyunke surya ko bohut ziyada buk lagi Thi

Khana khane ke bad jinn sab Kuch gayab kar deta Hain aur phir jinn surya se Bolta hain

Jinn : aaka ab hum chale Yaha sr

Surya : kyun Kya hua

Jinn : aaja yeh gufa ab nisht hone wali Hain

Surya : kyaaa Lekin kyun aur kese

Jinn : aaka yeh gufa sirf mere is jadui Chirag ki waja se Sahi salamat kadi thi warna kab ki vir gayi hoti

Surya : Lekin jayege kaha yahi Samaj Nahin AA Raha hain

Jinn : Matlab main samji Nahin

Surya : Mera is dunya main koi Nahin Hain toh kaha raho

Jinn : maf karna aaka Lekin apko ab mere kayal se apni maa ke pass wapis chale Jana chahiye

Surya ko ek jatka lagta hain aur Bolta hain

Surya : apko kese pata Meri maa ke bare main

Jinn : (jhoot bolte hue ) maaf Karna aaka jab ao behosh the tab maine apki sari yaade pad li aur dek bi li ishi liye mujhe sab pata hain

Surya : yeh Tumne acha Nahin Kiya

Jinn : maff Karna aaka galti ho gayi

Surya : chalo maaf Liya Lekin agli bar aisa mat karna

Jinn : thek Hain aaka

Surya : acha jab pata chal gaya Hain phir bi bol Rahe ho ke maa ke pass chale Jao jabke Maine nana ji se Kya waha Kiya tha tumko pata Hain na

Jinn : haa aaka mujhe pata Hain lekin ab woh badal gaye Hain

Surya : acha aur apko kese pata

Jinn : acha apko Yaqeen Nahin Hain na toh thek Hain ap khud hi jaa kar dek lo apni ankhoo se agar woh Sach main badal gaye Hain toh so sabko Sach Bata Dena aur aur mahine badala toh wapis chale Jana

Surya : shayad Tum thek Keh Rahe ho mujhe Kam se Kam Ek bar dek Lena Chahiye aur agar mahin bi badle toh Kam se Kam Ek akri baar maa ko toh dek lunga na

Jinn : haa main bi toh yahi Keh Raha ho

Surya : thek Hain main taiyar ho jaane ke Liye



~~aj ke Liye itna hi ~~~


Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf Karna thank you






Fantastic update bhai great job bhai 👏 👍
 
  • Like
Reactions: Xabhi123
Top