Update 16
Surya us zakmi admi ko apni bike par baitha kar ek private hospital le gaya. Us admi ki halat bohut kharab thi. Uske jism par talwar aur bandook ke zakm the. Jaise hi woh hospital main pahuncha, usne jaldi se reception par jakar us admi ko emergency ward main admit karwaya. Doctor ne jaldi se usko le liya aur uski treatment shuru kar di
Surya bahar intzaar kar raha tha. Uske dimaag main abhi bhi GJ ka chehra ghoom raha tha. Surya Apne man main soch Raha tha
Surya ( man me ) : Kya sirf Gj hi Hain is sab ke Piche ya koi aur bi Hain Kuch Samaj Nahin AA Raha
Yeh sawal uske dimag main ghoom rahe the.
Kuch der baad, ek doctor bahar aaya.
Doctor : Kahan ho tum? Patient ko blood ki zarorat hai. Uska blood group 'A' negative hain
Surya abhi bi Kuch soch Raha tha to doctor ne AA kar surya ko hilaya aur phir se kaha ke patient khoon ki zarorat Hain phir surya hoshaim aya aur bola
Surya : haa haa doctor air main blood dene ke Liye taiyar ho
Doctor : Thek hai, tumhare blood group ka sample do. Agar match hua, toh tum donate kar sakte ho
Surya ne apna blood group test karwaya, aur woh 'O' negative nikla. Usne jaldi se apna blood donate kiya. Uske baad, woh wapis baith gaya.
Kuch der baad, doctor wapis aya aur Surya se kaha
Doctor : Patient ab thek hai uski jaan abhi bhi khatre Bahar Hain 2 se 3 gante main usko hosh AA jayega
Surya : okay thank you doctor
Doctor : Lekin abhi uska deyan rakna agar phir usko aisi koi chot lagi toh iski jaan bi jaa sakti Hain samje
Surya : Doctor, ap chinta mat karo. Main usko hifazat se rakhonga Kyaaik use mil Sakta ho
Doctor ne usko bataya,
Doctor : Haan, tum mil sakte ho Lekin deyan rakna use ziyada sawal jawab mat karna okay
Surya : Ji, mujhe pata hai. Main usko hifazat se rakhoonga.
Surya uske room main gaya aur us admi ko dekha. Uska chehra poori tarah se patti se dhaka hua tha. Uska ek haath aur pair bhi bandha hua tha. Surya ne uske chehre se patti hata di aur uske chehre ko dekha. Jaise hi usne us admi ka chehra dekha, uske hosh udd gaye. Usne kabhi sapne main bhi nahi socha tha ki us admi ka chehra aisa hoga.
Surya : Yeh... yeh kaise ho sakta hai?
Surya ne apne ap se kaha. Us admi ka chehra Raghuvanshi parivar ke us member ka tha jiske bare main koi sapne main bi Nahin soch Sakta Uske chahre par kuch zakhm the, lekin woh pehchan gaya tha ki woh kaun tha. Uske dil ki dhadkan tez ho gayi.
admi ko dekhne ke baad, Surya ke dimag main ek toofan sa uth gaya tha. Usne kabhi socha bhi nahi tha ki GJ ne is admi ka chehra chura kar rakha tha. Uska dimag is raaz ko hajam nahi kar pa raha tha. Woh tezi se room se bahar nikla aur wahi chair par baith gaya. Uski saansein tez thi aur uski aankhoo main ek gehra sadma tha. Usne khud ko sambhalne ki koshish ki
Tabhi waha par Jinn Jagira aaya, jiski ahat tak Surya ko mehsoos nahi hui. Jinn Jagira ka chehra shaant tha, lekin uski aankhoo mein ek alag si chamak thi.
Jinn Jagira : Aaqa, ap theek hain? Apki halat thek nahi lag rahi hai
Surya ne uski taraf dekha aur gehri saans li.
Surya : Jagira, main thek hoon. Bas thoda thak gaya hoon.
Jinn Jagira : Aaqa, main apko kuch batane aya tha. Birthday party ki taiyariyan chal rahi hain. Hamare jinn ne Don Corleone aur sir aur GJ ke network ke baare main kuch zaroori jaankari di hai.
Surya ne uski taraf dhyan diya. Uske dimag main abhi bhi us admi ka chehra tha, lekin usne khud ko control kiya.
Surya : Bolo, kya jankari hai?
Jinn Jagira ne batana shuru kiya.
Jinn Jagira : Aaqa, Don Corleone sur sir aur GJ ne milkar ek bohot bada plan banaya hai. Unhone apne sare admiyon ko birthday party main bhej diya hai. Unke paas A1 se A5 tak ke sare fighters hain.
Surya : "A1 se A5? Yeh kya hai?"
Jinn Jagira : Aaqa, yeh unke sabse khatarnak fighters hain A1 unka sabse best fighter hai, jo talwar aur bandook ka expert hai. A2 ek sniper hai, jo door se hi target ko maar sakta hai. A3 unka sabse taqatwar fighter hai, jo kisi bhi fighter ko akele hi hara sakta hai. A4 unka sabse tez fighter hai, jo kisi bhi situation ko handle kar sakta hai. Aur A5 ek bomb expert hai, jo kisi bhi jagah par bomb laga sakta hai
And inke Saath sur aur Gj ke local gunde bi honge
Surya ne dhyan se suna aur bola,
Surya : Toh unka plan kya hai?
Jinn Jagira : Aaqa, unka plan hai ki woh birthday party main Veer Singh Raghuvanshi ko mar denge aur unki family ko bhi khatam kar denge. Unka maksad sirf Veer Singh ko marna nahi, balke Raghuvanshi parivar ko poori tarah se barbaad karna hai.
Surya : Sir aur GJ?
Jinn Jagira : Aaqa, Sir don Corleone ka sabse vafadar admi hai. Woh har ek kaam ko uske liye karta hai aur Gj sir ka sabse vafadar Hain jaise sir Don Corleone ke liye karta hai.waise hi GJ sir ke Liye karta Hain aur Gj ne hi Veer Singh ki party ki location Don Corleone ko batayi thi.
Surya : Toh humain kya karna chahiye?
Jinn Jagira : Aaqa, humain unka samna karna hoga. Hum unhain rok sakte hain. Hamare paas ek plan hai, jisse hum unko hara sakte hain. Lekin iske liye humain hoshiyaar rehna hoga.
Surya ne Jinn Jagira ki baat par vishwas kiya. Use pata tha ki Jinn Jagira ne uski bohot madad ki hai.
Jinn Jagira : Aaqa, mujhe apse ek request karni thi.
Surya : Bolo, kya baat hai?
Jinn Jagira : Aaqa, mujhe kuch samay ke liye apne ghar jaana hai. Main bohut samay se wahan nahi gaya. Pata nahi kyun, ghar ki bohut yaad aa rahi hai. Ap agar ijazat de toh main chala jaaun?
Surya ne Jinn Jagira ki aankhoo main dekha. Usko uski baat sach lagi. Usne kaha,
Surya : Thek hai Jagira. Tum jaa sakte ho.
Surya : Jinn Jagira, tum kab tak wapis aaoge?
Jinn Jagira : Aaqa pata nahin Kitne din lag Jaye wapis aane ke Liye Kuch pata nahin
Surya : Thek hai Jagira. Lekin jaldi wapis aane ki koshish karna, okay? Mujhe tumhari zaroorat pad sakti hai.
Surya : acha Suno jaane se pehle mujhe ek mask do jis main Mera Chahra puri tarha cover ho jaye Kuch bi Nazar naa aye
Jinn Jagira : jee aaqa
Phir jinn Jagira ne ek chutki bajai aur agle hi pal uske hathain ek magical mask tha jinn Jagira ne woh mask surya ko dete hue kaha
Jinn Jagira : yeh lo aaqa apka kass mask iski sabse kass baat yeh Hain ke jab bi ao is mask ko pehano ge to apni awaz Apne ap badal jayegi
Surya : are waah yeh toh bohut acha mask main thanks for Jagira
Jinn Jagira : shukarya aaqa Kya ab main jaa Sakta ho Kya
Surya : haa ab jaa sakte ho Tum
Phir Jinn Jagira ne sir hilaya aur wahan se gayab ho gaya. Surya akela reh gaya. Uske dimag main ab is admi ka chehra aur Don Corleone ka plan aur Jinn Jagira ki baatein ghoom rahi thi. Aane wale din bohot mushkil hone wale the, aur usko akele hi unka saamna karna tha.
Jinn Jagira ke jaate hi Surya ne woh jaadui mask pehna. Mask pehente hi uski aawaz gehari aur alag ho gayi. Uska chehra poori tarah se chip gaya tha. Surya ne ek aakhri baar khud ko mobile ke camre main dekha aur phir himmat karke room main enter hua gaya.
Admi ko hosh aa chuka tha. Woh bed par letkar uper chat ki taraf ghoor raha tha. Uska chehra ghayal tha, lekin ab saaf dikh raha tha. Uski aankhoo main beete hue dinon ki dar aur bebasi saaf nazar aa rahi thi.
Surya dhere se uske pas gaya.
Surya (badli hui awaz main) : Tumhe hosh aa gaya?
Admi ne mudkar dekha. Usne Surya ko pehchana nahi.
Admi : Tum kaun ho? Aur main kahan hoon?
Suryac: Tum ek hospital main ho. Main wohi insan hoon jisne tumhe un gundo se bachaya
Admi : Kyun? Tumne mujhe kyun bachaya
Surya : Tumhara chehra... Kisi ne chura kar rakha hai. Tum jaisa ek aur admi hai jo tumhari pehchan lekar ghoom raha hai.
Admi : Kya? Tumhain kaise pata?
Surya : Main ek secret agent hoon, aur main GJ aur uske sathi ko dhondh raha hoon.
Admi ne dhyan se Surya ko dekha. Uske mask ke peeche chipe hue chehre main use koi anjan dusman nahi, balki ek dost ka ehsas ho raha tha.
Admi : Main xxx Singh Raghuvanshi hoon Aur veer Singh Raghuvanshi ka xxx ho us GJ ne mera sab kuch chen liya hai. Meri family, meri pehchan sab kuch.
Surya : Tumhe pata hai ki GJ ne tumhara chehra kyun churaaya?
Admi : Haan, mujhe pata hai. Woh kabhi kabhi mujse Milne aata tha aur mujse Bolta tha ke woh Raghuvanshi parivar ko khatam Karna Chahta Hain is kaam main uski madad uska boss jisko woh sir kehkar bulata Hain woh aur don Corleone Naam ka ek international criminal Hain yeh sab Raghuvanshi parivar ko khatam Karna Chahta Hain
Surya : Tumhe pata hai ki GJ ka boss sir kesa dekta Hain
Admi : Nahin maine nahin dekha Lekin ek baat hain
Surya : Kya baat
Admi : yahi ke GJ kabhi kabhi Kisi se phone per baat karta tha
Surya : kisse baat karta Hain Kuch suna Tumne
Admi : Nahin baate toh Nahin suni Lekin GJ usko Dada Bhao ke Naam se bulata tha jab se gj use baat karta tha tab
Surya : acha ab yeh Kon Hain kher is sab baato ko chodo aur Tum rest karo main Kisi Kam se Bahar jaa Raha ho Kisi ki chize ki zarorat ho toh nurse ko Bula Lena okay
Admi : woh toh thek Hain lekin main kab tak Yaha rahoga
Surya : Tum fikar naa karo jald hi is sab ko pakad kar mar Dunga phir tumko bi Apne Ghar lee jaoga okay tab tak Tum yahi safe rahoge okay and agar koi emergency hui toh main apna number nurse ko Dee Raha ho Tum uske mobile se mujhe call Karna okay
Admi : okay thanks you
Surya : it's okay Tum rest karo main chalta ho okay bye
Admi : bye
Wahi jinn Jagira ki taraf :-
Jinn Jagira ne Surya ko mask diya aur use ijazat lekar wahan se gayab ho gaya. Lekin woh apne ghar nahi gaya. Usne ek aisi jagah per gaya jahan koi nahi tha. Usne apne ap se baat karni shuru kar di.
Jinn Jagira : Aaqa, mujhe maaf kar dena, maine apse jhoot bola hai. Main apne ghar nahi, balke apki us shakti ko lene ja raha hoon jiske bina ap adhore hain.
Jinn Jagira : Bale hi apko yudh kala, marshal arts, sab kuch aata hai, lekin ap kabhi bhi us Senapati aur uske saathiyon se nahi jeet sakte. Isi liye main apki us shakti ko sab kuch yaad dilane ja raha hoon.
Jinn Jagira : Ab sirf wohi hain jo us Divya Mani ko bacha sakti hain. Isi liye main usko dhondhne ja raha hoon taaki jab Divya Mani jaagrit ho, tab uski bhayankar shaktiyon ko sirf wohi sambhal sakti Hain
Jinn Jagira ke chehre par ek ajeeb si udaasi aur determination tha. Uska mission ab aur bhi bada ho gaya tha. Uska maksad sirf Divya Mani ko bachana nahi, balke Surya ki madad karna bhi tha, jiske liye woh har had tak jaa sakta tha.
Jinn Jagira ki ankhoo main ek gehra iraada tha. Woh apne ap se kuch soch hi raha tha ki uske saamne achanak Mahaguru prakat ho gaye. Unka chehra shaant aur unki aankhoo main ek gyaan ki gehraai thi. Jinn Jagira unko dekh kar hairan reh gaya.
Jinn Jagira : Mahaguru, ap yahan?
Mahaguru : Jagira, main janta hoon ki tum yahan kyun ho, aur tum kya karna chahte ho.
Jinn Jagira : Mahaguru main aaqa ki shakti ko wapis lene jaa raha hoon. Uske bina, woh us Divya Mani ko kaise bacha payega? Ab sirf wohi hain jo Divya Mani ko bacha sakti hain.
Mahaguru ne ek gehri saans li aur bola
Mahaguru : Jagira Tum thek Keh Rahe ho ab waqt AA Chuka Hain uski sakti ko wapis laane ka air usko sab Kuch dilane ka
Jinn Jagira : Main janta hoon, Mahaguru. Lekin usko dhoondhne main bohut samay lag jayega. Main usko dhondhne jaa raha hoon, taki jab Divya Mani jagrit ho, tab uski bhayankar shaktiyon ko sirf wohi sambhal sake.
Mahaguru : Tum sahi ho Jagira. Lekin tumhe yeh bhi pata hona chahiye agar usko sab Kuch yad AA gaya toh Kya hona tab woh Kisi ko Nahin chodegi
Jinn Jagira : main Janta ho mahaguru ao uski fikar naa kare usko shant Karne ka upay Hain mere pass
Mahaguru : thek Hain phir apna deyan rakna aur jitni jaldi ho sakhe usko dundo samje
Jinn Jagira : thek Hain mahaguru danyawad
Phir mahaguru waha se chale gaye aur jinn Jagira bi waha se gayab ho gaya
Dusri taraf :
Mehar apni train ki khidki ke paas baithi hui thi. Uska dil dar aur excitement se bhara hua tha. Mumbai se Jaipur ka safar uske liye sirf ek physical journey nahi thi, balki uske liye Surya ko dhondhne ki aur wapis Apne Saath lekar Jaana tha
Jaise hi train Jaipur station par ruki, Mehar ne ek gehri saans li aur apne bag ke saath utar gayi. Station ki bheed main, usne apne ap ko akela mehsoos kiya. Phir usne apni aankheen band ki, ek pal ke liye, apne baap ko yaad kiya. Unki tasveer uske dimaag main aa gayi
Tabhi samne se ek ladki bagte hui ayi aur boli
Ladki : mehar tu aa gayi kesi Hain tu
Mehar : main to thek ho tu suna tu kesi hai
Ladki : main hamesha ki tarha first class chal baate bad main karege pahle tu Ghar chal
Mehar : okay chal yarsin bi bohut tsk gayi ho
Phir dono Texi main beth kar chale jate hain Ghar ko taraf
Back to surya
Admi se milne aur uski haalat dekhne ke baad, Surya ke dimag main ab sab kuch saaf ho chuka tha. Use pata chal gaya tha ki Sir aur Don Corleone ka asli maksad kya hai. Ab Surya ke paas do bade kaam the
ek toh Veer Singh Raghuvanshi ki zindagi bachana, aur doosra is admi ko safe Raghuvanshi parivaar tak pahunchana.
Surya hospital se nikal kar sidhe Raghuvanshi Mansion pahuncha. Usne wahan se chupke se Divya ko call kiya
Surya : Divya, main Surya bol raha hoon. Mere paas ek bohot zaroori jaankari hai. Tum jaldi se Kiran ko batao
Divya : Kya hua, Surya? Tumhari awaz ajeeb kyun lag rahi hai?
Surya : Abhi mere pas time nahi hai. Main bas itna chahta hoon ki tum aur Kiran jaldi se Raghuvanshi Mansion aao. Aur haan, Veer Singh ko kuch mat batana, warna sab kuch kharab ho jayega
Divya ne Surya ki baat mani aur usne Kiran ko call kiya. Kiran aur Divya dono jaldi se Raghuvanshi Mansion pahunche
Jab Kiran aur Divya wahan pahunche, toh Surya ne unhein ek kone main le jaakar sab kuch bataya. Usne bataya ki GJ ne kiska chehra chura kar rakha hai, aur woh uski jagah lekar Raghuvanshi Mansion main reh raha hai. Usne unko yeh bhi bataya ki Don Corleone aur sir ka plan Veer Singh ko unke birthday party main maarne ka hai.
Kiran aur Divya dono yeh sunkar shock ho gaye
Divya : Toh ab hum kya karenge, Surya?
Surya : Hum unka saamna karenge. Hum unhein birthday party main hi pakdenge. Lekin ismain humain bohot hoshiyar rehna hoga
Kiran : Lekin kaise, Surya? Unke pas A1 se A5 tak ke fighters hain. Hum akele unka samna nahi kar sakte.
Surya ne muskurate hue kaha
Surya : Hum akele nahi hain. Mere pas ek plan hai. Hum unhain unke hi jaal main phansaenge
Raghuvanshi mension :-
Veer Singh Raghuvanshi ke birthday ki taiyaariyan Raghuvanshi Mansion main zoron-shoron se chal rahi hain. Poore mansion ko khoobsurat roshni aur taaza phoolon se sajaaya gaya hai. Har taraf khushiyon ka mahaul hai. Mansion ka bada sa lawn ek fairytale jaisa lag raha hai, jahan alag-alag tarah ke phool, lights aur decorations se mehfil sajayi gayi hai.
Party ki location ek secret farmhouse, 'Shanti Kunj', hai, jiska zikr pehle kiya ja chuka hai. Lekin Veer Singh Raghuvanshi ne socha ki woh sabko dhokha dega aur party waha hi rakhega, taaki uske dushmanon ko dhokha ho.
Juhi Singh Raghuvanshi ne khud apne haathon se har ek cheez ko sajaaya hai. Unke chehre par ek ajeeb si khushi hai, jaise unhein pata hai ki unka beta, Surya Singh Raghuvanshi, wapis aa gaya hai. Unhone Veer Singh ke liye ek special suit bhi banaya hai, jismain woh bilkul young aur smart lag rahe hain.
Sonia Raghuvanshi ne bhi apne Dada ji ke liye ek special surprise plan kiya hai. Usne apne doston aur Surya ko bhi invite kiya hai. Woh sab is birthday party ke liye bohot excited hain.
Toh wahi Divya aur Kiran ne veer Singh Raghuvanshi se mile aur usko Bata diya ke hum apko protect Karne ke liye aya Hain toh veer Singh Raghuvanshi ne usko bi party main invite Kiya aur party ki asli location Bata di
Aise hi sab Apni apni taiyariyo main Lage hue the koi birthday party ki khushi ke taiyari main to koi us main Raghuvanshi parivar ko khatam Karne ke sabne dek kar khush ho Rahe the aur aise hi karte karte woh din bi AA gaya jis din veer Singh Raghuvanshi ka birthday party Thi sabko guests ko party ki asli location mil chuki Thi Lekin usko yeh bataye gaya tha ke Kisi ko bi woh naa bataye ke party kaha chal Rahi Hain aur unhone bi hami bardi ke hum Kisi ko Nahin batega
Party ki shuruat shaam 7 baje honi Thi Guests aana shuru ho gaye hain. Bohut bade politicians, businessmen aur celebrities bhi is party main shaamil hain. Veer Singh Raghuvanshi sabse mil rahe hain, aur unke chehre par ek confident smile hai. Unhain lag raha hai ki unhone apne dushmanon ko dhokha diya hai. Lekin unhein yeh nahi pata ki unke dushmanon ko sab kuch pata hai, aur woh unka hi intezaar kar rahe hain
Idhar, GJ aur uske saathi party main enter ho chuke hain. Unhone ek bade se truck main bandook, talwar aur bombs chhipa kar rakhe hain. Unka plan hai ki woh birthday party ke dauraan hi Veer Singh Raghuvanshi ko mar denge aur unki family ko bhi khatam kar denge
Wahin, Surya bhi apne doston ke saath party main enter ho chuka hai. Usne ek special suit pehna hai, jismain woh bilkul professional lag raha hai. Surya ka maksad sirf Veer Singh Raghuvanshi ki zindagi bachana nahi, balki Don Corleone aur uske sathi ko pakadna bhi hai
Santi kunj ka mahaul ab poori tarah se badal chuka tha. Shaam ke 7 baj chuke the aur music ki awaaz se poora ghar goonj raha tha. Farmhouse ke bade lawn main, jahan lights aur phoolon ki sajawat thi, guests ek dusre se mil rahe the aur Veer Singh ko unke birthday ki badhai de rahe the.
Veer Singh Raghuvanshi ne ek elegant tuxedo pehna hua tha aur woh bohot handsome lag rahe the. Unke chehre par ek khushi aur garv saaf jhalak raha tha. Woh apne guests se haath mila rahe the aur unka shukriya kar rahe the. Unke bagal main Maya Singh Raghuvanshi khadi thi, jinke chehre par ek shaant muskaan thi. Unhain Veer Singh ki khushi dekh kar bohot achha lag raha tha.
Sonia Raghuvanshi, apne doston ke saath, Veer Singh ko wish karne aayi. Sonia ne ek beautiful designer dress pehni hui thi aur woh bohot khoobsurat lag rahi thi.
Sonia : Happy Birthday, Dada ke ! I love you
Veer Singh : Thank you, meri bachchi
Usne Sonia ko gale lagaya
Veer Singh : Tumhari wajah se hi yeh party itni special hai
Surya, Kiran, aur Divya bhi Sonia ke saath the. Surya ne ek professional suit pehna tha, jismain woh bilkul alag lag raha tha.
Surya : Happy Birthday Raja Sahab
Usne haath badhaya.
Veer Singh ne Surya se haath milaya.
Veer Singh : Thank you, beta. Tumhain dekh kar bohot achha laga.
Uske baad, Kiran aur Divya ne bhi Veer Singh ko wish kiya. Veer Singh ne unka shukriya kiya.
Lekin is khushiyon ke mahaul ke peeche ek gehra raaz chhipa hua tha. GJ aur uske saathi party main enter ho chuke the. Unhone guests ka roop liya hua tha, aur unke paas ek bada sa truck tha, jismain unhone bandook, talwar aur bombs chhipa kar rakhe the.
Idhar, Surya, Kiran aur Divya ne Veer Singh ko ek side main le jaakar baat karne ki koshish ki. Lekin Veer Singh unki baaton ko sunna nahi chahte the.
Veer Singh : bacho main abhi busy hoon. Hum baad main baat karenge.
Surya ne Veer Singh ko samjhane ki koshish ki
Surya : Raja Sahab, hum apko kuch batana chahte hain.
Lekin Veer Singh ne unki baat ko an-suna kar diya aur apne guests ke paas chale gaye. Surya, Kiran aur Divya ne ek dusre ko dekha, unhein ab pata chal gaya tha ki unko akele hi unka saamna karna hoga.
Ab party main sab kuch normal lag raha tha, lekin hawa main ek alag hi tension thi. Abhi aage kya hone wala tha, yeh koi nahi jaanta tha.
Kiran : ab Kya Karna hain yeh to humari baat hi Nahin sun Rahe Hain
Divya : ab Karna Kya Hain Jo bi Karna hain hum 3no ko Karna hoga
Surya : Hum teeno ko Nahin mujhe
Kiran : Matlab
Surya : ab Jo bi Karna hain mujhe Karna hoga Apne parivar ko protect
Yeh kehkar surya waha se Chala jata Hain aur Piche reh jata Hain Kiran aur divya
Divya : Apne parivar se Kya Matlab hain
Iska
Kiran : mujhe bi Nahin pata Lekin humko isper Nazar rakne Hogi Kuch gadbad naa karde
Divya : haa Tum thek bol Rahi ho chalo
Wahi GJ ki taraf
Party ka mahaul ab poori tarah se loud ho chuka tha. Music ki awaaz se hall goonj raha tha. Guests naach rahe the, has rahe the aur Veer Singh ke birthday ko celebrate kar rahe the. Lekin ek kone main, GJ ne apne mobile phone ko nikala aur "Sir" ko call kiya.
GJ : Sir, sab taiyaariyan ho chuki hain. Hum party main enter ho chuke hain.
Samne se : Good, GJ. Ab tumhare pas sirf 5 minute hain. Main Don Corleone ke saath aa raha hoon. Jab tak main wahan pahunchu, tum apne saathiyon ko position lene ko kaho aur sabko pakad lo. Koi bhi zinda nahi bachna chahiye
GJ : Lekin Sir, main kaise...?
Samne se : Tum jante ho ki tumhare paas kya hai. Uska istemaal karo. Tumhain Veer Singh ko marne se pehle sab ko pakad kar rakna Hain samje
GJ ne apni mutthi ko tight kiya.
Gj : Thek hai, Sir.
Usne phone cut kar diya aur apne spies ko call kiya.
GJ : Guys, abhi ke abhi apni position lo. Ek bhi insan zinda nahi bachna chahiye. Aur haan, Veer Singh Raghuvanshi ko marne se pehle, sab kuch khatam karna hoga
Uske saathi, jo guests ka roop liye hue the, ek-ek karke apne bags nikaalne lage. Unke bags main bandook, talwar aur bombs chhipe hue the. Unhone jaldi se apni position li.
GJ ne apne bag se ek bandok nikali aur usko load kiya. Uske chehre par ek ajeeb si smile thi, jaisi woh sab kuch khatam kar dega.
GJ ne phone cut karte hi apne saathiyon ko ishaara kiya. Ek pal ke liye poori party main sannata chha gaya. Sabhi guests, jo abhi tak naach-gaa rahe the, ekdum se chup ho gaye. GJ aur uske saathiyon ne apni bandook aur talwaarein nikaal li Local gunde ne har ek guests ko gher liya.
Sabhi guests hairaan aur dare hue the. Kuch log chilla rahe the, kuch bhaag rahe the. Lekin GJ ke aadmiyon ne unhain pakad liya. Veer Singh Raghuvanshi ne Jo abhi bi chupchap kada tha woh gusse main bola
Veer Singh : yeh Kya baztami Hain Vikram chodo is sabko
( Jee haa doston Gj koi aur Nahin Vinod Singh Raghuvanshi ka beta Hain Vikram Singh Raghuvanshi )
Gj ( haste hue ) : kyun Kya Kiya Maine Dada ji
Veer Singh : Apne saathyo ko ko aur Nikal Jao Yaha se warna humse bura aur koi Nahin Hoga samje
Gj ( haste hue ) : acha sun be budhe per koi tera pota wota Nahin ho samje main Tumhe aur tumhare parivar ko khatam Karne aya ho samje
GJ ko dekha aur veer Singh ke chehre par gussa aur hairani thi.
Veer Singh : Kyun kiya tumne aisa? Kyun dhokha diya tumne?
GJ ne Veer Singh ki taraf dekha aur hansne laga.
GJ : Arre arre, buddhe ko dukh ho raha hai kya? Sun be buddhe, main koi tera pota wota nahi, main toh ek underworld ka saathi hoon, jisne tere pote Vikram Singh Raghuvanshi ke chehre ki plastic surgery ki hai, samjha? Aur ab tak toh woh tera pota Vikram Singh Raghuvanshi mar bhi chuka hoga.
Veer Singh ke hosh ud gaye. Unhein yakeen nahi ho raha tha ki GJ unke saath itna bada dhokha kar sakta hai.
Veer Singh : Tum... tum aisa kaise kar sakte ho? Tumne hamare saath... hamare parivaar ke saath aisa kyun kiya?
GJ ne ek gehri saans li aur bola
Gj : Yeh sab power ke liye hai, buddhe. Tumhare paas jo hai, woh humain chahiye. Aur uske liye hum kisi bhi hadd tak jaa sakte hain
abhi yeh baat kar hi Rahe the ke Tabhi wahan par Don Corleone aur "Sir" bhi A1 se A5 tak ke saathiyon ke saath aa gaye. Don Corleone ne Veer Singh ko dekha aur muskuraya.
Don Corleone: "Hello, Veer Singh Raghuvanshi. Main tumhe yahan dekh kar bohot khush hua. Aakhir, tumhari zindagi main ek naya chapter shuru hone wala hai.
Veer Singh ne gusse se Don Corleone ki taraf dekha
Veer Singh : Tumari himmat kese hui Yaha aane ki
Don Corleone : Main Don Corleone hoon. Main wohi insaan hoon jisne tumhare business partner gurav Kapoor per attack Kiya tha
Veer Singh ke hosh ud gaye. Unhain pata chal gaya tha ki unke dushman kitne khatarnak the.
Veer Singh : Tumne aisa kyun kiya?
Don Corleone : Main bas wahi lene aaya hoon jo barso pahle Tum ne mujse Liya tha power paise aur tumhara parivar
Ab Veer Singh Raghuvanshi ko sab kuch pata chal gaya tha. Lekin ab bohut der ho chuki thi. woh Kya kare Kya Naa kare usko Kuch Samaj Nahin AA Raha tha
GJ aur Don Corleone ki baatein, Veer Singh ko dhokha dena aur unke pote Vikram Singh ko marne ki baat sunkar, Surya ka gussa ab hadd se zyada badh chuka tha. Woh sab kuch chupchap sun raha tha. Uske bagal main Divya aur Kiran bhi khadi thi, jo is dushmani ko aur paas se dekh kar hairaan the. Surya ne un dono ko aankhoo se ishaara kiya aur unhone ek dusre ko dekha, jaise ki unhain pata chal gaya ho ki ab kuch hone wala hai. Surya ne apne bag se woh mask nikala, jo usko jinn Jagira ne diya tha surya ne usko pehna aur jaldi se ek side main chala gaya.
Wahan, khane-peene ki cheezon ke paas ek suit pada tha. Surya ne woh suit pehna. Mask pehne ki wajah se uski aawaz badal gayi thi, aur suit pehne ki wajah se ab koi bhi Surya ko pehchaan nahi sakta tha. Divya aur Kiran, jo kab se herani se Surya ko dekh rahi thi, unko Surya ne chup rehne ko kaha. Surya ek side main gaya, jahan khane-peene ki cheezein rakhi hui thi. Usne usmain se ek bada chamach utha liya aur use khane ki daag ki madad se
"thakk" "thakk" "thakk"
ki awaz nikaalne laga Achanak is awaz ko sunkar Don Corleone aur Sir aur unke saathiyon ko gussa aane laga. Don Corleone ne gusse main kaha,
DC : GJ, jao dekho yeh kaun harami hai aur khatam kar do isko
GJ bhi gusse main uski taraf gaya. Usne socha ki woh Surya ko aasani se pakad lega. Jaise hi usne Surya ke kandhe par haath rakha, agle hi pal GJ hawa main udta hua wapis Don Corleone aur Sir ke pairon main ja gira. Achanak hue hamle se sabhi bokla gaye. Aur ab Surya bhi wahan se aage badha aur Veer Singh Raghuvanshi aur Don Corleone ke beech aakar khada ho gaya.
Apne beech main kisi aur ko aata dekh kar Don Corleone bohot gussa ho gaya aur usne gusse main kaha,
DC : Kaun ho tum aur tumhari himmat kaise hui hamare beech aane ki?
Surya ne uski taraf dekha aur bola,
Surya : Himmat toh bohut hai mujh main. Aur rahi baat iski ki main kaun hoon toh sun..."
"Main hoon Surya Singh Raghuvanshi, Veer Singh Raghuvanshi ka pota aur Shakti Singh Raghuvanshi and Juhi Singh Raghuvanshi ka beta, jo barso pehle apni maa ki jaan bachane ke liye usko chhod kar chala gaya tha aur ab apni maa ki jaan bachane ke liye wapis aa gaya hai. Agar hai himmat toh aao aur muqabla karo mujhse!
Surya ke is elaan ne poori party ko hila diya. Ab Don Corleone aur uske saathiyon ke saamne ek naya dushman khada tha, jiske bare main Kisi ko Kuch pata hi Nahin tha
~~~ aj ke liye itna hi ~~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna