If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Jab Karkash ne Surya ko utha kar portal main dakhil hua to Surya ko laga jaise uski sansain tham gayi ho Woh ek ajeeb se ehsas se guzar raha tha Portal ke andar koi waqt koi jagha nahi thi Charon taraf sirf ek gehra, kala andera tha aur us andere main ajeeb si aawazain gonj rahi thi, jaise koi hazaron salon se ro raha ho Surya ke take hue jism par dard aur bhi bad gaya tha
Kuch pal baad, unka safar khatam ho gayi Karkash ne Surya ko portal se bahar nikala aur woh ek ajeeb si jagha par poncha Yeh koi aam jagha nahi thi Aaspass sab kuch pathar aur kale rang ka tha jaise ki yaha par sare buraiyan bas gayi ho Suraj ki roshni bhi yahan tak nahi ponchti thi Hawa main ek ajeeb si sadi hui boo thi
Un hone ek bade, shandaar lekin daravne mehal main dakhil kiya. Mehal ke andar andera tha lekin har kone main ajeeb si kali aag jal rahi thi jisse pura mehal air bi andere main dob raha tha Darwaze se lekar dewar tak sab kuch kale rang ka tha
Karkash Surya ko lekar ek bade darbar main poncha Darbar ke akhri main ek bada sa takht tha, jis par ek shaks baitha hua tha Uska rang bilkul andera tha uski aankhoo main ek ajeeb si chamak thi, jaise koi aag jal rahi ho. Usne kale rang ke kapde pehne hue the jo uski ruh ki burai ko darsha rahe the. Uske chehre par koi bhav nahi tha bas ek thandak thi
Karkash : Maharaj Kall Dhwaj main us insan ko aapke pass lekar aa gaya hoon
Maharaj Kall Dhwaj ne Surya ki taraf dekha. Uske chehre par ek ajeeb si muskurahat thi, jo uski jeet ko darsha rahi thi Usne ahista se kaha
Kall Dhwaj : Akhir kar tum yahan aa hi gaye Main tumhara kab se intezar kar raha tha
Surya ne Kall Dhwaj ko dekha uski aankhoo main gussa aur himmat thi Uska jism dard se toot raha tha lekin us ne har nahi mani thi
Surya : Tum kaun ho? Tumne mujhe yahan kyun bulaya hai
Kall Dhwaj hasne laga Uski hansi itni daravani thi ki pura mehal kanpne laga
Kall Dhwaj : Main Kall Dhwaj hoon Yaha is andere ka raja
Kall Dhwaj ne Surya ko dekha aur us ne kaha
Kall Dhwaj : Tumhara is dunya main ek hi maksaq hai aur woh hai tumhari shakti ko humain dena Tumhari Panchbhut shakti yani Shakti Chakra ki shakti humain tumse leni hain taki hum apni takat ko aur bhi ziyada badha sakain
Kall Dhwaj ne apne haath uthaya aur us ne ek ajeeb si shakti ko Surya ki taraf panka Yeh shakti itni takatwar thi ki Surya ke jism par dard hone laga. Us ne apne ap ko bachane ki koshish ki lekin uski shakti kam hone lagi
Kall Dhwaj : Tumhe kya laga tha Tum itni asani se mujhe rok paoge Tum ek aam insan ho Main ek asur hoon
Kall Dhwaj ne Karkash ko dekha aur us ne kaha
Kall Dhwaj : Isko us kamre main le jao. Abhi humain iski shakti ko lene ke liye taiyari karni hogi Isko zinda rakna, iske andar ki shakti humain chahiye
Karkash ne Surya ko uthaya aur usko lekar Kall Dhwaj ke hukum par chal pada Surya ko ab ek andere kamre main band kar diya gaya tha, jahan uski shakti ko lene ki sari taiyariyan ki jaa rahi thi. Uski sansein tez thi, aur usko pata tha ki abhi asli jung shuru hui hain
Kall Dhwaj ke mehal ki kaid main Surya ke liye waqt ruk sa gaya tha Raat kab subah main badal gayi usko pata hi nahi chala. Us andere kamre main jahan dewaron se kali shaktiyan tapak rahi thi, usko na bhok lagi thi na pyas. Uska jism jo ab tak Karkash ke war se dard kar raha tha, ab sokh chuka tha Uski aankhoo main ek ajeeb sa khali pan tha. Use laga jaise uski sari shaktiyan uski sari himmat, usme se nikal chuki ho.
Ek pal ke liye us ne aankheen band ki aur apni sanson par dhyan diya Usne bas ek hi cheez sochi yahan se nikal na hain Lekin har taraf kale pathar ki dewarain thi jahan koi umed ki kiran nahi thi Tabhi uske dimag ke ek kone main ek halki awaz ubhri. Yeh awaz uski apni nahi thi jaise kisi ne uske dimag main aakar baat ki ho.
Awaz : Kaise ho, dost
Surya ne jhat se aankheen kholi aur apne aas pass dekha. Us kamre main koi nahi tha. Use laga ki yeh shayed takan aur bhok ka asar hai ya Kall Dhwaj ne uske saath koi mansik khel khel raha hai. Us ne phir se Socha shuru kiya lekin woh awaz phir se ubhri
Awaz : Main koi bram nahi hoon main sachai hoon. Tumhari zindagi ki sabse badi sachai
Surya ka dil ek pal ke liye zor se dhadka Uski aankhoo main hairani aur dar dono the Us ne dhere se kaha
Surya : Kon ho tum Aur tum dikhai kyun nahi de rahe ho
Awaz : Main dikhai nahi deta kyunke main tumhare man main baat kar raha hoon
Surya ne us awaz ko pehchana Yeh wahi ehsas tha jo usko Shakti Chakra se hua tha jab us ne usko pehli baar control kiya tha
Surya : Kya Lekin yeh kaise ho sakta hai Man kaise bol sakta hai
Awaz : Main tumhara man nahi main Shakti Chakra hoon Jisko kuch time pehle tumne control kiya tha, samjhe
Surya ne ek lambi sans li Ab usko pata chala ki uska bram nahi tha Shakti Chakra uske andar hi tha aur woh us se baat kar raha tha
Surya : Acha, toh tum baat kar sakte ho
Shakti Chakra : Haan kar sakta hoon. Lekin sirf tumhare saath aur kisi ke saath nahi
Surya ke andar ka sara gussa aur sawal ek saath ubhar aaye
Surya : Acha phir batao tumne us waqt meri help kyun nahi ki thi jab us asur ne muj par hamla kiya tha
Uski awaz main gussa aur bechani saaf thi
Shakti Chakra : Iske do waja hain Pehli yeh ki abhi tak tumne mujhe puri tarha control nahi kiya hain Meri puri shakti tumhare liye ek hi jatke main sambhalna muskil hain Aur dusri waja tumhe yahan lane ka sabse bada maksad yahi hai. Tumhe jald se jald apni pehli shakti ko hasil karna hoga
Surya ne hairani se pocha
Surya : Kya Meri konsi shakti Mere pass to koi shakti nahi hai
Shakti Chakra : Haan abhi nahi hai. Lekin yahan, is jagha par ek aisi shakti hai jo tumhara bohut samay se intezar kar rahi hai. Woh tumhari pehli shakti hain Tumhe jitna jaldi ho sake us shakti ko hasil karna hoga, thek hain
Surya ne aas pass dekha
Surya : Woh toh thek hai lekin main yahan se niklon kaise is kaid se
Shakti Chakra : Yeh toh asan hain Tum mujhe, yani Shakti Chakra ki shakti ka istemal karlo, lekin...
Surya ne turant pocha : Lekin kya
Shakti Chakra : Lekin uske liye tumhe pehle Dhyan (Meditation) lagana hoga, jis se tumhe meri shakti ka istemal kaise karna hai, yeh pata chal Jayega aur tumhare sharir main achai ki urja aur bi ziyada ho jayegi. Phir tum asani se yahan se nikal kar us shakti ko hasil kar sakte ho
Surya ne sir hilaya
Surya : Woh toh thek hai, lekin mujhe dhyan kitne samay tak karna hoga
Shakti Chakra : Yeh toh nahi pata lekin haan... jab tum mujhe puri tarah control kar loge toh tumhara dhyan apne ap toot jayega
Surya ko uski baat par yakeen ho gaya. Yeh akhri umed thi is narak se bahar nikal ne ki
Surya : Toh thek hain main abhi se dhyan lagata hoon
Shakti Chakra : Thek hain Main tumhe dhyan lagane ke kuch asan upay tumhare dimag main dal raha hoon Tum unko follow karte hue dhyan lagao Tumhe asani hogi Okay
Surya ne Okay kaha, aur apni aankheen band kar li
Jaise hi us ne aankheen band ki uske dimag main ek ajeeb sa tofan utha Pichle kuch dino ki sari yadain uske dimag main ghumne lagi Divya aur Kiran ki bechaini, Raghuvanshi mension ki ladai Karkash ka war aur Kall Dhwaj ki shaitani hansi Uska dimag shant hone ke bajaye aur bhi bechain ho gaya
Lekin tabhi Shakti Chakra ne uske dimag main kuch tasverain ubhari Yeh tasverain dhyan lagane ke asan tareke the Surya ne unhe follow kiya. Us ne apni sanson par dhyan dena shuru kiya, jaise nadi ka pani shant ho jaata hain Dheere dheere uske dimag ka tofan thumne laga Uska har dard uski har bechaini uske dimag se door hone lagi jaise woh hawa main ghum rahe hon
Jab uska man shant ho gaya to uske andar ek roshni chamki Shakti Chakra ki roshni Usko laga jaise woh roshni ab uske jism ke har ek hisse main pail rahi hain Uske haath pair aur uske dil tak main Usko ek ajeeb sa ehsas hua, jaise woh ab aur bi takatwar ho gaya ho.
Us ne is roshni ko apne andar puri tarha se mehsos kiya Us ne jaise hi is roshni ko mehsos kiya, to usko laga ki woh ab apne ap se mil raha hain jo us ne pehle kabhi nahi soche the Usko pata chala ki woh sirf ek insan nahi balke woh is dunya ko Bachane ke liye aya hain
Tabhi uske dimag main ek zor se jatka laga Usko laga jaise uske andar ki roshni ne uske man ko tod diya ho Us ne apni aankheen kholi aur uski aankhoo main ab koi bi dar nahi tha Ab uski aankheen chamak rahi thi, jaise un me aag jal rahi ho. Us ne apne haath uthaye aur us ne apne kamre ko dekha
Surya ne kaha : Shakti Chakra Main ab puri tarah se taiyar hoon
Us ne apne hathon ko uthaya aur ek ajeeb si shakti ko istemal kiya Kamre ki dewarain kampne lagi aur ek zor se awaz aayi Kamal ki baat yeh thi ki Surya ne bina koi jor lagaye sirf apni shakti ke istemal se dewaron ko tod diya
Surya bahar aa gaya Ab woh pehle jaisa nahi tha Uske chehre par abhi bhi wahi shanti thi lekin ab uski aankhoo main ek ajeeb si chamak thi jo uski taqat ko darsha rahi thi. Us ne Kall Dhwaj ke mehal ko dekha aur uske chehre par ek ajeeb si muskurahat aa gayi. Usko pata tha ki usko ab yahan se nikal na hai aur apni pehli shakti ko hasil karna hain Lekin usko yeh bi pata tha ki uski Shaktiyo ka istemal usko aur bi takatwar bana dega
Jinn Jagira side :-
Jaipur ke Raghuvanshi Mansion par gehra andera chha chuka tha Andar, har koi apne kamro main gehri neend main so raha tha lekin hawa main ek anjana sa bhari pan tha Yeh woh bhari pan tha jo teen bhaiyon ke dilon main pichle kayi arse se dabe hue duk jhagde aur jalan se paida hua tha Unhain nahi pata tha ki yeh raat, un ki kismat aur unki yadain dono badalne wali thi
Raat ke 2 baje the jab Raghuvanshi Mansion ke angan main ek halki chamakdar roshni prakat hui Yeh roshni dheere dheere ek insani aakar lene lagi. Uska aakar lene tak woh ek behad ajeeb aur ek roshan shaks main badal gaya Uske haath aur paon lambe aur patle the jaise tare ho Uski aankhoo chamak rahi thi Yeh aur koi nahi, balki Jinn Jagira tha
Jinn Jagira ke chehre par ek ajeeb sa sukoon tha Woh janta tha ki uske aaqa, Surya ne us se kya kaha tha Surya ke dimag main ek bohut hi duk bhara sawal tha ki kaise woh apne hi parivar ke sadasyon ko sahi raste par la sakta hai, bina unko nuksan pahunchaye Jinn Jagira ne Surya ko ek rasta dikhaya tha aur ab waqt aa gaya tha ki woh us raste par chal pade
Jinn Jagira hawa main tairta hua, ahista se Vinod Singh Raghuvanshi ke kamre ki taraf badha Darwaze ke bahar woh ek pal ke liye ruka Usne Vinod ke dil main dabe duk ko mehsos kiya Vinod apne bhai sakti Singh se door ho chuka tha uske dil main ek galti ka boj tha, jisko woh bholna chahta tha
Jinn Jagira ne apne haath uthaye aur apne honton se ek ajeeb sa mantra padhna shuru kiya Mantra ke bol, jaise kisi ne sadiyon se chupa rakhe ho, hawa main gonjne lage Jinn Jagira ke hathon se ek neli aur chamakdar roshni nikal ne lagi Yeh roshni itni tezi se bahar aayi ki us ne Vinod ke kamre ke darwaze ko bi paar kar diya
Roshni andar gayi aur Vinod Singh Raghuvanshi ke sir ke upar mandrane lagi Vinod gehri neend main so rahe the. Jaise hi roshni unke sir par lagi unka jism kampne laga Lekin yeh kamp na dard ka nahi balki ek ajeeb si shanti ka tha Jinn Jagira ne us roshni ko Vinod ke dimag main dakhil kar diya Roshni Vinod ke dimag ki har ek hisse main pail gayi. Us ne Vinod ki yadon ko dekha Har ek yaad, har ek pal Jinn Jagira ki aankhoo ke samne aa gaya Us ne woh sari yadain dekhi, jab Vinod ne apni power ke liye galat rasta chuna tha jab usne Paramveer ke Saath milkar Apne hi parivar walo ko Marna Chaha aur Shakti Singh se usko jalan hone lagi kyunke sakti Singh usse ziyada hosyar tha business main aur jab us ne Pawan Thakur ke saath mil kar kaam karne ka socha tha aur underworld main enter hua
Jinn Jagira ne ek gehri sans li aur us ne un yadon ko mitana shuru kiya Jaise koi purane kitab se bekar lafzon ko mita de, waise hi Jinn Jagira ne Vinod ke dimag se woh sari yadain mita di. Us ne un yadon ko uski zindagi se puri tarah se alag kar diya, jaise woh kabhi hui hi nahi thi
Lekin Jinn Jagira ne sirf yadain mitayi nahi us ne un yadon ko aur bi behtar banaya Us ne Vinod ke dimag main ek nai yaad banayi Ek aisi yaad, jab woh aur Paramveer mil kar apne business ko badha rahe the, jab woh dono bhai ek saath kaam kar rahe the Us ne unke dimag main ek aur nayi yaad banayi ek aisi yaad, jab woh Shakti Singh Raghuvanshi ke saath mil kar kaam karne ka faisla karte hain. Jaise hi yeh nai yadein unke dimag main bani, Vinod ke chehre par ek ajeeb sa sukon aa gaya. Uska matha, jo pehle chinta se bhara tha, ab bilkul saaf ho gaya tha.
Jinn Jagira ne ek lambi sans li aur woh ahista se Paramveer Singh Raghuvanshi ke kamre ki taraf bada Paramveer bi apne kamre main aram kar rahe the lekin unka chehra duk se bhara tha. Unko bi Apne parivar aur Bhai se door hone ka duk tha, aur unko bi apni galti ka ehsas tha
Jinn Jagira ne ahista se Paramveer ke kamre ka darwaza khola Roshni andar gayi aur us ne Paramveer ke sir ke upar mandrana shuru kiya Paramveer ka jism bi kampne laga aur uske dimag main ek ajeeb si shanti aane lagi Jinn Jagira ne uski yadon ko khola aur us ne woh sari yadain dekhi, jab us ne Vinod ke kehne per Apne Bhai aur parivar se dushmani ki thi jab us ne apni power ke liye galat rasta chuna tha aur Apne bhai Vinod Singh Raghuvanshi ke Saath underworld ko join Kiya
Jinn Jagira ne in yadon ko bi mita diya aur unki jagha par nayi yadain bana di. Ek aisi yad, jab woh aur Vinod Singh Raghuvanshi ek saath mil kar kaam kar rahe the, jab woh dono Raghuvanshi parivar ko ek saath lekar chal rahe the Usne Paramveer ke dimag main woh sab kuch daal diya, jo woh chahta tha. Paramveer ke chehre par bhi ek ajeeb si shanti aa gayi, jaise us ne apni zindagi ka sabse bada maksad dhond liya ho
Jinn Jagira ne jab yeh kaam kiya to woh dono bhaiyo ke kamron ke bahar khada ho gaya. Uske chehre par ek ajeeb si muskurahat thi Us ne hawa main ek haath uthaya aur woh pal bhar main gayab ho gaya. Us ne koi nishan nahi choda Sirf ek badla hua dimag aur do bhaiyo ke bich ek naya rishta Jinn Jagira waha se Nikal kar sidhe Pawan Thakur ke Ghar poncha aur uske dimag se bi yeh baat MITA di ke kabhi Vinod Singh Raghuvanshi ya paramveer Singh Raghuvanshi uske Saath mile hue tha yeh sab Kuch ab woh bi Bhool Chuka tha bas usko sirf itna yaq tha ke uska aur Raghuvanshi parivar ke Sath dusmani Hain aur jinn Jagira ne us sabki yadain
mita di jinko yeh pata tha ke Vinod Singh aur paramveer Singh dono underworld se Jude hue Jain
Agli subah, jab suraj ki pehli kiran Raghuvanshi Mansion par aayi, to sab kuch pehle jaisa tha, lekin andar ka mahol bilkul badal gaya tha. Subah 8 baje, Vinod Singh Raghuvanshi aur Paramveer Singh Raghuvanshi ek saath breakfast table par aane lage Unke chehre par ek ajeeb si shanti thi, jaise unhone ek bohut hi achi neend li ho.
Un dono ne ek dusre ko dekha, aur unke chehre par ek ajeeb si muskurahat thi
todi der baad Shakti Singh Raghuvanshi bi breakfast table par aa gaye. Unko laga ki unke bhai abhi bi gusse main honge, lekin unko dekh kar hairani hui Vinod aur Paramveer ka chehra bilkul shant tha
B.chacha : Shakti aao yahan baitho Humne tumse kuch baat karni hain
B.chacha ki baat sunkar sab parivar wale shock ho gaye aur papa ne hairani se b.chacha ko dekha aur woh baith gaya
B.chacha : Shakti main aur Paramveer ne ek faisla kiya hai. Hum dono ne socha hai ki hum teeno ko mil kar kaam karna chahiye Hum teeno ko apne business ko ek saath jodna chahiye Hum teeno ko Raghuvanshi parivar ko ek saath lekar chalna chahiye
Papa ki aankhoo main asu aa gaye. Unko laga ki unke bhai abhi bi unse nafrat karte hain, lekin unko dekh kar hairani hui. Unko pata chal gaya tha ki unke bhai ab badal chuke hain
Papa : Bhai, ap log sach keh rahe ho ap log sach main mere saath kaam karna chahte ho
B.chacha : Haan, shakti Hum teeno mil kar kaam karna chahte hain Hum dono ne socha hai ki hum teeno ko ek saath kaam karna chahiye Hum teeno ko mil kar is Raghuvanshi parivar ko aage badhana chahiye
Shakti : apki baat sunkar mujhe bohut khushi hui. Main apke saath kaam karna chahta hoon
Teeno bhaiyo ne ek dusre ko gale lagaya. Unko laga ki unki zindagi ka sabse bada maksad pura ho gaya ho. Unke chehre par ek ajeeb si shanti aur sukoon tha
Dadaji ne bi unko dekha Unki aankhoo main ansu aa gaye Unko laga ki unka parivar phir se ek ho gaya hain Unhone apne bete ko dekha aur un hone socha ki woh kitna khushnaseb hain Unhone apne ap se kaha
Dada ji : Aaj ke baad, Raghuvanshi parivar phir se ek ho gaya hai. Ab hamare parivar ko koi bi nahi tod sakta
Vidya side :-
Vidya abhi Apne officeain bethi hui tha bilkul shant aur uske chahre per ek muskan Thi lekin uske dimag main abhi bi kaam chal raha tha Ashish Khurana, uska chacha uske diye hue jaal main poori tarah se phas chuka tha 'Grand Vista Heights' project par uske sabse bade business partner ne haath khelench liya tha. Jab yeh khabar media main aayi, to uski company ke shareholders ne apne shares bechna shuru kar diye. Uski company ki market value tezi se gir rahi thi
Ashish apne office main baitha tha, jahan woh kabhi shano shaukat se rehta tha Ab wahan bas khamoshi thi. Uske phone par lagatar loan recovery ke calls aa rahe the Ek ek karke, uske sare bank accounts freeze hote ja rahe the Jab us ne apni wife aur bachon ko phone kiya, to un hone bhi uska phone nahi uthaya. Unko pata chal gaya tha ki unka pati aur baap ab barbad ho chuka hai
Agli subah, uske darwaze par bailiffs aa gaye. Unhone uske ghar ko seize kar liya. Ashish Khurana ab Road par aa chuka tha. Uski sari daulat, uski sari shan sab kuch chin chuka tha Woh hairan tha bechara tha. Us ne kabhi socha bhi nahi tha ki uski bhatiji, jisko us ne kabhi kuch nahi samjha usko is had tak barbad kar degi
Toh wahi Vidya ka mama ab bi apni giraft se chutne ki koshish kar raha tha. Lekin usko pata nahi tha ki woh Vidya ke liye sirf ek mohra tha
Vidya apne office main baithi thi aur TV par breaking news dekh rahi thi. Screen par uske mama ka office dikhaya ja raha tha, jahan CBI ke officers uske sare documents seize kar rahe the. Ek ek karke, uske sare illegal bank accounts, uske business partners aur uske sare galat kaam expose hone lage
Mama jo kabhi bohut hi powerful admi tha ab ek aam insan ki tarah jail main tha. Uske chehre par ab woh guror nahi, balke dar aur sharmindagi thi. Usne socha ki usko Vidya ne dhoka diya. Lekin usko pata nahi tha ki Vidya ne yeh sab uski hi waja se kiya tha.
Kuch der ke baad Vidya apne office main baithi thi. Uske chehre par ab woh badle ki aag nahi thi balke ek ajeeb si shanti thi. Us ne apne laptop par Apne dono dushmanon ki tasver dekhi Ek ek karke us ne unki tasveron ko delete kar diya Lekin abhi bi ek tasver Vidya ne delete Nahin ki Thi Jo uske purane pathner ki Thi
Vidya apni maa ki tasver ko dekha aur us ne socha
Vidya : Maa... aapne sikhaya tha ki insan ko maaf karna chahiye. Par aaj... aaj main aisi jagha kadi hoon jahan agar maine maaf kiya hota, to woh log mujhe aur bi barbad kar dete. Lekin ab... ab unko unki galti ka ehsas ho gaya hai. Ab unko pata chal gaya hai ki jab koi insan kisi ko dhoka deta hai, to uska anjam kya hota hain Lekin ab bi ek insan bacha Hain ab waqt AA Chuka Hain usko barbad Karne ka aur woh Hain Varun chohan
Vidya ne ek gehri sans li. Us ne apne ap se kaha
Vidya : usse badla Lene ke bad main apni family aur apne parivar ke liye kaam karungi Jo yeh company Hain Main is company ko aur bi bada banaungi Main is company ko ek naye mukam tak le jaungi
Uske chehre par ab ek naya maksad tha ek naya junoon tha. Us ne apne laptop par SSR Group ka naam dekha aur uske honton par ek ajeeb si muskurahat aa gayi Vidya Khurana ab sirf ek business woman nahi thi, balke woh ek leader thi, ek malik thi, jo apni family aur apne parivar ke liye kuch bi kar sakti thi
Jaipur ki Central Jail main Hawa main ek ajeeb si sadi hui boo thi aur har taraf ek gehra sannata chaya hua tha. Aaj ka din is jail ke liye aam nahi tha. Ek chote se meeting room main, jahan dewaron par gandi lakerein thi 2 log maujod the Vidya ke chacha aur Vidya ke mama Un dono ke chehre par dar aur bechani aur gussa saaf dikh raha tha Unko pata tha ki unki kismat ab badal chuki hai
Tabhi kamre ka darwaza khula Wahan koi guard ya police nahi thi. Bas ek shaks tha jisne andar aane ka permission de diya tha
Andar Vidya aayi. Us ne ek ajeeb sa confidence aur elegance se bhara hua, ek stylish black pantsuit pehna hua tha. Uske baal khule the, aur uske chehre par ek ajeeb si shanti thi, jaise us ne apni zindagi ka sabse bada maksad paa liya ho. Uske haath main ek chota sa bag tha. Us ne ek gehri sans li aur kamre main andar aa gayi
Jab un teeno ne Vidya ko dekha to un ki aankheen chori ho gayi Unko laga ki unke samne unki barbadi ka karan kada Hain
Ashish Khurana ka chehra pehle se hi gusse se laal tha, ab woh aur bi ziyada gusse se laal ho gayi
( Friend main Vidya ke chacha ko v.chacha likhoga and Vidya ke mama ki v.mama okay)
V.Chacha : Tum... tum yahan kya kar rahi ho? Humari barbadi dekne aayi ho
us ne ek ruki hui awaz main kaha
V.mama ne uski taraf dekha. Uski aankhoo main ab woh guror nahi, balke ek ajeeb sa dar tha
V.chacha : Tum... tum ek dushman ho. Tumne mujhe dhoka diya Tumne meri zindagi barbad kar di
Vidya ne un dono ki taraf dekha Uske chehre par ek ajeeb si muskurahat thi. Us ne ek kursi uthai aur woh un dono ke samne baith gayi. Usko dekte hi, un ki aankhoo main ansu aa gaye Unko laga ki Vidya ne unko hara diya hain
Vidya : Main yahan tum dono ko ek saath dekna chahti thi Main tum dono ko ek saath ek hi jagha par dekhna chahti thi. Tum dono ne ek ek karke meri zindagi barbad kar di thi Tum dono ne mujhe dhoka diya Tum dono ne mujhe barbad kiya
Vidya ne ek lambi sans li aur us ne aage kaha
Vidya : Lekin main tum dono se ziyada taqatwar hoon ab Main tum dono se ziyada intelligent hoon Main tum dono se ziyada samajhdar hoon. Main tum teeno se ziyada himmatwali hoon
V.chacha ne ek zor se awaz main kaha
V.chacha : Himmat Yeh himmat nahi balke dhoka hai Tumne humain dhoka diya Tumne humari zindagi barbad kar di Tumne hamari family barbad kar di
Vidya ne uski taraf dekha aur us ne kah
Vidya : Meri family? Meri family kahan thi jab tum dono ne mujhe dhoka diya Jab meri family ne mera saath nahi diya to meri family kahan thi Jab tumne meri maa ko dhoka diya, to meri family kahan thi Main sirf apne ap ko aur apne parivar ko bacha rahi thi
V.mama ne uski taraf dekha aur us ne kaha
V.mama : Tum jo bi keh rahi ho woh jhoot hain Tumne yeh sab paise ke liye kiya Tumne humain barbad kiya taki tum humari daulat chen sako.
Vidya ne uski baat suni aur us ne muskurate hue kaha
Vidya : Paise ke liye Main paise ke liye yeh sab nahi karungi. Main is liye karungi, kyunke main tumhare saath tumhare jaise logon ke saath kaam karna nahi chahti thi Tum logon ne dhoka diya, tum logon ne galti ki Main sirf tumhe tumhari galti ka ehsas karwana chahti thi
V.Chacha ne ek zor se awaz main kaha
V.Chacha : Tum... tum galat ho Main galat nahi hoon Tumne mujhe dhoka diya Tumne meri zindagi barbad kar di
Vidya ne uski taraf dekha aur usse kaha,
Vidya : Tumhari zindagi Tumhari zindagi tumhari waja se barbad hui hai meri wajah se nahi Tumne mujhe dhoka diya Tumne mere saath jhoot bola Tumne mere saath galat kiya Main sirf tumhe tumhari galti ka ehsas karwana chahti thi
Vidya ne un dono ko dekha aur us ne kaha
Vidya : Aaj tum dono meri waja se yahan ho Lekin kal tum dono ki waja se main Yaha Thi Tum dono apni galatiyon ki wajah se yahan hoge Tum dono ne jo bi kiya woh galat tha Tum teeno ne jo bi kiya uski saza mil gayi hai
Vidya khadi ho gayi aur us ne kaha
Vidya : Main tum dono ko dekne aayi thi Main tum dono ko dekhna chahti thi ki tum dono kitna takatwar ho Lekin tum teeno bohut kamzor nikle Tum dono har chuke ho Tum dono ki zindagi ab khatam ho chuki hain
Vidya ne un teeno ko dekha aur us ne kaha
Vidya : Tum dono ne apni power apne paise aur apni dosti ne barbad kar diya. Tum dono ne apni family aur apne rishton ko barbad kar diya Tum dono ne apni zindagi ko barbad kar diya. Ab tum dono ka koi naam nahi hoga Tum dono ab sirf ek aam insan ho jinke pass kuch nahi hain

Vidya : Ab main ja rahi hoon Lekin yaad rakna. Jab bi tum dono mujhe yaad karoge to tum dono ko apni galti ka ehsas hoga. Tum dono ko pata chal jayega ki tumne kya kiya tha
Vidya ne aahista se darwaza ko khola aur woh bahar chali gayi Darwaze ke bahar ek police officer kada tha, jisne usko dekha aur us ne kaha
Officer : Ma'am, aapke liye ek car khadi hain
Vidya ne uski taraf dekha aur us ne muskurate hue kaha
Vidya : Shukriya
Jab Vidya bahar nikli to us ne ek lambi sans li. Uske chehre par ab woh badle ki aag nahi thi balke ek ajeeb si shanti thi. Us ne apni car main baith gayi aur woh wahan se nikal gayi
Vidya ki car aage bad gayi, lekin jail ke kamre main V.Chacha aur v.mama ki chekhain gonj rahi thi. Unki aankhoo main ansu the Unko pata chal gaya tha ki un ki zindagi ab poori tarah se barbad ho chuki hai, aur iska karan Vidya Khurana nahi balke woh khud the Un ki aankhoo main ek ajeeb sa dar tha Unko pata chal gaya tha ki un hone jo kiya uska anjam kya hota hain
Wahi ek anjan jagha per :-
Himalaya ki choti par ek aisi gufa thi jiska rasta sirf un logon ko pata tha jinhain is dunya ki sachai malom thi Andar ek gehri shanti thi Gufa ke andar pathar par baithe the Mahaguru jin ka chehra shant tha aur aankhoo main hazaron salon ki kahaniyan thi Unke samne, hawa main tairte hue the Jinn Jagira, jo abhi abhi aaye the
Jinn Jagira ne sir jukaya aur us ne kaha
Jinn Jagira : Mahaguru main apni duty kar chuka hoon Vidya Khurana ka badla ab pura ho chuka hain Woh ab apne chacha mama ko un ki galti ka ehsas kar chuki hain Uski zindagi ab uski nahi balke woh SSR Group ki MD hai
Mahaguru ne dhere se apni aankheen kholi aur unhone kaha
Mahaguru : Tumne jo kiya woh sahi tha Uska gussa aur uski nafrat uski taqat ban gayi Jo andere main tha usko andere ne hi sahi rasta dikhaya
Jinn Jagira ne hairani se pocha
Jinn Jagira : Lekin Mahaguru yeh sab Surya ke liye zarori tha Kya usne Ajj tak Jo Kiya ya uske Saath Jo ho Raha hain
Mahaguru ne muskurate hue kaha
Mahaguru : Sab kuch ek dusre se juda hua hain Surya ko apni shakti ka ehsas karana tha Uske liye usko ek aise insan se milna zarori tha jiske dil main badla tha Jab us ne Vidya ko maaf kiya to us ne apni shakti ka pura control kiya Woh ab wohi hain jisko usko banna tha
Jinn Jagira ne sir hilaya aur us ne aage kaha
Jinn Jagira : Lekin Mahaguru Kall Dhwaj aur uska darbar abhi bi bacha hain Kya unko harane ke liye Surya ko apni shakti ka istemal karna hoga
Mahaguru ne ek gehri sans li
Mahaguru : Kall Dhwaj ko harane ke liye Surya ko sirf Shakti Chakra nahi balke apni pehli shakti ka istemal karna hoga Lekin us shakti ko dundhne ke liye, usko ek aisi jagha jaana hoga jahan usko ek aisi cheez milegi jo uski zindagi ka sabse bada maksad hoga
Jinn Jagira ne hairani se pocha
Jinn Jagira : Woh konsi jagha hain Mahaguru
Mahaguru ne apni aankheen band ki aur us ne kaha
Mahaguru : Us jagha ka naam Agnishakti hain Yeh ek aisi jagha hai jahan sirf agni ka raaj hai Wahan ek aisi cheez chupi hui hai, jisko sirf Surya hi hasil kar sakta hai. Jab tak Surya us cheez ko hasil nahi kar leta tab tak uski shakti poori nahi hogi
Jinn Jagira ne socha aur kaha
Jinn Jagira : Lekin Mahaguru yeh toh bohut hi mushkil kaam hain Kya Surya iske liye taiyar hain
Mahaguru ne muskurate hue kaha
Mahaguru : Taiyar toh woh tabhi ho gaya tha jab woh apni iccha se is dunya main aya tha Ab usko sirf sahi rasta dikhane ki zarorat hain Main tumhe ek aur kaam de raha hoon
Mahaguru ne apni aankheen kholi aur us ne kaha
Mahaguru : Tumhe Surya ko uski agli manzil tak le jaana hoga Tumhe usko uski pehli shakti tak pahunchana hoga Lekin yaad rakhna wahan ek bohut bada raaz chupa hua hain Agar woh raaz Surya ko pata chal gaya, to uski zindagi badal jayegi
Mahaguru ne ahista se apni aankheen band kar li aur unhone kaha
Mahaguru : Ab jao Waqt bohut kam hain Kall Dhwaj ki shakti ab aur bi bad ahi hai
Jinn Jagira ne Mahaguru ko akhri baar dekha aur woh hawa main gayab ho gaya Mahaguru ne apni jagha par baithe hue ek ajeeb si shanti se apne honthon par ek muskurahat rakhi
Jinn Jagira ke jate hi gufa main dobara gehra sannata cha gaya Mahaguru ne apni aankheen band kar li aur woh apne dhyan main doob gaye Unko pata tha ki abhi abhi ek bada kaam pura hua hain Lekin unko yeh bi pata tha ki yeh sirf shuruat hain aage abhi bohut kuch hona baki hain
Tabhi hawa main ek ajeeb sa badlav aya Hawa jo ab tak thandi aur shant thi ab ek ajeeb si roshni se bhari hui thi Gufa ke andar pathar aur pahadon par ek ajeeb si chamak ubharne lagi Roshan ne gufa ko puri tarah se roshan kar diya Roshni itni tezi se bad rahi thi jaise suraj ki pehli kiran aayi ho
Roshni ke beech main ek ajeeb si shakti maujod thi Yeh shakti ek ladki ka roop le rahi thi Uski aankheen chamak rahi thi jaise un me hazaron tare hon Uske baal lambe the aur uske chehre par ek ajeeb si shanti thi Usne ek gehri ajeeb si roshni se bhari hui safed rang ki dress pehni hui thi Uska aana uske aane se Mahaguru ko ehsas hua ki yeh koi aam insan nahi balke ek aisi shakti hai jo is dunya ki har ek cheez ko badal sakti hain
Ladki ahista se Mahaguru ke samne aayi. Uska chehra bilkul shant tha, lekin uski aankhoo main ek ajeeb si gehrai thi jaise us ne har ek dunya ko dekha ho
Jaise hi woh ladki wahan aayi Mahaguru ne apni aankheen kholi aur woh apne asan se khade ho gaye mahaguru apni aankhoo aur sir ko niche kiya aur un hone us ladki ko pranam kiya Yeh ek ajeeb sa manzar tha Mahaguru jo is dunya main sabse Badi gyani the aur har koi uske samne jhukta tha Lekin woh us ladki ko pranam kar rahe the
Ladki ne muskurate hue kaha
Ladki : Mahaguru, ap jab bi apna sir jhukate hain to mujhe sharmindagi hoti hai
Mahaguru : Devi ap is dunya main ek aisi shakti hain jiske samne sir jukana ek samman ki baat hain Aapne Divya Mani ki shakti ko hasil kar liya hain Ab ap is dunya ko ek naya mod dengi
Ladki ne ek gehri sans li aur us ne kaha
Ladki : Haan Mahaguru Maine Divya Mani ki shakti ko hasil kar liya hain Yeh shakti ab mere pass hain Lekin main yahan is liye nahi aayi hoon Main yahan Surya ke bare main baat karne aayi hoon
Mahaguru ne uski taraf dekha
Mahaguru : Apke aane se pehle Jinn Jagira yahan tha Maine usko bataya ki Surya ko apni pehli shakti hasil karne ke liye Agnishakti jana hoga
Ladki ne muskurate hue kaha
Ladki : Haan Mahaguru ap sahi hain Lekin Agnishakti jahan woh ja raha hain wahan sirf usko uski shakti nahi milegi balke usko ek raaz bi pata chalega jo uski zindagi badal dega
Mahaguru : Main janta hoon yeh baat Lekin main yeh Nahin Janta ke woh raaz kya hain Lekin kya Surya iske liye taiyar hai Kya woh is raaz ko jhel payega
Ladki ne apni aankheen band ki aur usne kaha
Ladki :Taiyar toh woh abhi nahi hain Mahaguru Lekin woh apni shakti ka pura control karne ke liye usko is raaz ko jhelna hoga Jab tak woh is raaz ko nahi jhel payega, tab tak uski shakti poori nahi hogi
Mahaguru : Lekin Devi woh raaz kya hai
Ladki ne apni aankheen kholi aur us ne Mahaguru ki taraf dekha Uske chehre par ek ajeeb si gehrai thi Us ne kaha,
Ladki: Wohi raaz jo uski aur meri zindagi ka hissa hain Hum dono ek dusre se jud gaye hain Hum dono ek dusre se alag nahi ho sakte Hum dono ek dusre ke saath mil kar kaam karenge main hi surya ho aur surya hi main ho hum dono kabhi bi alag Nahin ho sakte main surya ki parchai ho aur surya Meri parchai Hain
Mahaguru ne uski taraf dekha aur us ne kaha
Mahaguru : Toh... toh ap kaun hain
Ladki ne muskurate hue kaha
Ladki : Mera naam xxx hain Aur main wohi hoon jiski shakti ko Surya ne control kiya hain Main uski aatma hoon aur woh Meri aatma Hum dono ek dusre se alag nahi ho sakte
Mahaguru ne hairani se uski taraf dekha.
Mahaguru : Divya Mani ki shakti...
Ladki : : Haan Mahaguru Maine Divya Mani ki shakti ko hasil ki Hain Aur main yahan is liye aayi hoon, kyunke main chahti hoon ki Surya Agnishakti se apni pehli shakti ko hasil kare Aur jab woh usko hasil kare to usko woh Raaz ka pata chal jaye
Mahaguru ne sir hilaya
Mahaguru : Lekin, Devi kya apka maksad sirf usko uski shakti dena hai
Ladki : ne ek gehri sans li aur us ne kaha
Ladki : Mera maksad sirf usko uski shakti dena nahi balke usko ek naya rasta dikhana hain Usko yeh dikhana hai ki uski shakti sirf ladai ke liye nahi, balke usko apni zindagi ko behtar banane ke liye bi istemal karni hogi

Mahaguru : Lekin Devi kya Surya apko uski aatma ka hissa maan payega?
Divya ne muskurate hue kaha
Ladki : Woh abhi nahi Mahaguru. Lekin jab woh Agnishakti jayega to usko pata chal jayega ki main uski zindagi main kitni zarori hoon Jab tak woh is raaz ko nahi janega, tab tak uski shakti puri nahi hogi

Ladki : Main ja rahi hoon Lekin yaad rakhna Mahaguru Agnishakti, jahan woh ja raha hai, wahan ek bohut bada khatra bi hain Agar woh is khatra ko nahi jhel paya to uski zindagi barbad ho jayegi
Ladki ne ek ajeeb si roshni se gufa ko roshan kar diya Ek pal main woh ek hawa main gayab ho gayi jaise woh kabhi wahan thi hi nahi Gufa main sirf Mahaguru the jinke chehre par ek ajeeb sa dar aur chinta thi Unko pata chal gaya tha ki Surya ki zindagi ab aur bi mushkil hone wali hain
~~~ aj ke Liye itna hi ~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna