If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Raat ki gehri neend ke baad, agle din subah Surya ki aankh jaldi khuli. Uska dil ek ajeeb si bechaini se bhara hua tha. Kal ka din bohut hi ajeeb tha. Ek taraf, usne Jinn Jagira se anokhi batein ki aur Vinod aur Paramveer ko sahi raste par lane ka ek ajeeb sa plan suna, aur dusri taraf, usne Naira ke saath ek khushiyon se bhara din bitaya. Lekin ab, yeh sab peche chotne wala tha. Uska dimag ab sirf aage ki ladai par tha
Surya apne bed se utha aur us ne bathroom ki taraf rukh kiya. Usne thande pani se apna chehra doya aur mirror main dekha. Uske chehre par ab woh purani udasi nahi thi, balke ek nayi shanti aur himat thi. Usne apne ap se kaha
Surya : Aaj se ek naya safar shuru ho raha hai Aaj se tum wahi kaam karoge, jiske liye tum yahan aaye ho
Usne apne dant saaf kiye aur fresh hokar bahar aya
Usne jaldi se apne sare saman ko pack kiya Usne apne kapde, phone, aur kuch zarori chezain ek chote se bag main rakhi. Usne check-in counter par phone kiya aur unse kaha ki woh check-out karna chahta hai. Kuch der baad, ek bellboy aya aur usbne uska saman liya
Surya hotel ke lobby main aya Subah ka waqt tha, is liye lobby bilkul kaali thi Usne check-out kiya aur usne Vidya ko call Liya Kuch der bad Vidya ne call utha li
Vidya : hi surya kese ho
Vidya ki baat sunkar surya ko Kal ki hui gatna yaad AA gayi jis main surya ne Vidya ko Seema ke Saath lasbian karte hue dek Liya tha Vidya ki baat sunkar surya muskurate hue bola
Surya : main thek ho Tum kesi ho
Vidya : main thek ho Tum bolo itne time bad kese yad Kiya Tumne
Surya : haa woh Kuch Kam tha Tumse kaha ho Tum is waqt
Vidya : abhi to main Apne flat main ho kyun Kya hua sab thek toh Hain na
Surya : haa sab thek Hain woh Kya Hain na main Kisi important Kam ke Liye Kolkata jaa Raha ho 3 din bad wapis AA jaoga tab tak Tum mere liye ek flat dund logi Kya
Vidya : oo acha is main tension Lene ki Kya baat hain mera apna flat Hain main bi Yaha akeli Rehti ho din bar office main aur Raat ko Yaha akeli rehkar bor ho jati ho to Tum ek Kam karo yahi per mere flat per shift ho Jao
Surya : woh to thek Hain Lekin apko koi problem to Nahin Hogi is se
Vidya : mujhe Kya problem Hogi main to khush Hogi ke mujhe ek pathner mil Raha Hain
Surya : okay main AA jaoga and thank you bye
Vidya : bye apna deyan rakna
Surya : okay bye
Phir surya phone cut kar deta Hain aur surya ne hotel se bahar nikal ne ka faisla kiya Hotel ke bahar ek cab uska intezar kar rahi thi Surya cab main baitha aur us ne driver se kaha, "Airport"
Car Jaipur ki sadko par daud rahi thi. Subah ka waqt tha, is liye traffic kam tha. Surya khidki se bahar dekh raha tha. Sadko par log tezi se chal rahe the, aur har koi apni zindagi main magan tha Surya ne socha
Surya : Yeh log jante nahi hain ki hamari dunya main kitni burai hai. Woh log jante nahi hain ki koi unki zindagi ko barbad kar sakta hai
Uske dil main ek ajeeb sa dard uth raha tha
Kareeb 40 minute main woh airport pahunch gaya. Airport ke andar, ek ajeeb sa shor tha. Har taraf log daud rahe the. Kuch log khush the, kuch log udas the. Har koi apne safar ke liye taiyar tha. Surya airport ke andar dakhil hua. Usne apna phone nikala aur usne Kiran ko phone kiya
Surya : Main airport pahunch gaya hoon. Tum log kahan ho?
Kiran ki awaz main ek ajeeb si khushi thi.
Kiran : Hum bhi yahin hain, Surya. Bas security se aage aaye hain. Tum jaldi se aao
Surya ne phone cut kiya aur woh jaldi se security check ki taraf badha. Usne dekha ki wahan bohut ziyada bhed thi. Usne jaldi se apni line main khada ho gaya. Jab woh aage badha, to us ne dekha ki Kiran aur Divya gate ke pass uska intezar kar rahe the
Dono ke chehre par ek ajeeb si khushi aur chinta thi Kiran ne Surya ko dekha aur usne kaha
Kiran : Tumhe aane main itni der kyun lagi? Hum kab se tumhara intezar kar rahe hain
Surya : Bas, thoda sa traffic tha
Dono behne ne muskurate hue ek dusre ko gale lagaya. Divya ne kaha
Divya : Ab chalo, flight ka waqt ho gaya hai
Teenon ek saath gate ki taraf badhe. Jab woh gate ke pass pahunche to un hone dekha ki wahan bohut ziyada bheed thi. Har koi boarding ke liye taiyar tha
Surya : Hum itni jaldi kyun ja rahe hain?
Kiran : Yeh hamara first class ticket hai Surya Hamain jaldi se jaana padega
Dono muskuraya aur unhone ek dusre ko dekha. Jab woh plane main dakhil hue, to un hone dekha ki plane bilkul khali thi. Teenon ek saath beth gaye. Surya ne khidki se bahar dekha. Uske dimag main ab bhi us anokhe plan ke bare main chal raha tha, jise Jinn Jagira ne use bataya tha
Divya : Surya, tum kya soch rahe ho?
Surya : kuch kas Nahin bas apni Zindagi main aane wali dino ke bare main soch Raha ho
Kiran ne Surya ka haath pakda aur kaha,
Kiran : Hum hamesha tumhare saath hain, Surya. Tum akele nahi ho. Aur humain pata hai ki tum is ladai ko jeet jaoge
Surya ne muskurate hue unko dekha. Uske dil main ek ajeeb si khushi thi Usko laga ki uske pass ab sirf woh shakti nahi hai, balke uske pass do aise dost bhi hain, jo uske liye kuch bhi kar sakte hain
Plane ne udan bhari. Airport ke runway se upar uthe hi, Jaipur ki roshniyan choti hone lagi. Surya ne socha
Surya : Surya ... ab tumhara safar shuru ho gaya hai. Ab tumhain us dushman ko dundhna hai, jise Kala Saya kehte hain
Uske andar ek ajeeb si himmat aur junoon tha. Usne apni ankheen band ki aur us ne apne ap se kaha
Surya. : Ab bas, Kolkata...
Wahi dusri taraf
Ek ajeeb si dunya main, jahan ka rang sirf kala aur gehra laal tha, ek ajeeb sa insan baitha hua tha. Uska sharer lohe ki tarah mazbot aur uski aankheen angaron ki tarah chamak rahi thi yeh koi aur Nahin balke Karkash tha aur woh us bramhand ke sabse shaktishaali asuro main se ek tha jaha woh Pichle Kahi salon se woh shanti se baitha tha, lekin kuch din pehle ek ajeeb si roshni ne uski shanti ko tod diya tha jaha Karkash ko kall Dhwaj ne Aadesh diya ke us insan ko dundh Nikalo jisne sakti chakra ko control Kiya hain
sakti Chakra ek aisi shakti, jis se sirf bramhand ke sabse shaktishali insan hi control kar sakte the
Kall Dhwaj ne us shakti ko control karne ki koshish ki thi, lekin woh usko hasil nahi kar paya tha. Aur ab, kisi ne usko control kar liya tha ishi liye Karkash ka gussa asman ko choo raha tha.
Karkash : Kaun hai woh Kaun hai woh, jisne woh shakti hasil kar li
Usne apne ap se kaha Karkash ne apne haath uthaye aur usne apne andar ki shakti ko jagna shuru kiya. Uski shakti se pura bramhand hilne laga. Aasman ka rang kala ho gaya aur zameen par lava nikalne laga. Usne apni shakti ka istemal karke us insan ko dundna shuru kiya jisne Sakti Chakra ko control kiya tha. Usne ek ek grah ko dundna shuru kiya lekin usko kuch nahi mila Uska gussa aur bhi badhta ja raha tha
Karkash : Main usko dundh ke rahonga chahe kuch bhi ho Woh insan jo bhi ho woh is dunya ka nahi hai
Karkash ne apni shakti ko aur bhi badhaya aur us ne ek ajeeb sa jaal banaya, jo pure bramhand main phail gaya. Usne us jaal ka istemal karke us insan ko dundna shuru kiya lekin usko kuch nahi mila. Uska gussa itna bad gaya ki uski aankhoo se aag nikal ne lagi
Tabhi, uske jaal ne ek choti si roshni ko pakda. Yeh roshni ek ajeeb se grah se aa rahi thi. Woh roshni itni choti thi ki usko laga ki yeh galat ho sakta hai Lekin us ne us roshni ko dekha. Woh roshni ek ajeeb se grah se aa rahi thi, jise Prithvi kehte the. Uska chehra hairani se bhar gaya
Karkash : Prithvi? Yeh kaise ho sakta hai? Woh insan ek aam grah se hai?
Karkash ka gussa ab hairani main badal gaya. Usne socha
Karkash : Ek aam insan, ek aisa grah jahan log itne kamzor aur nasamaj Rehte hain, woh Sakti Chakra ko kaise control kar sakta hai
Usne apne ap se socha ki usko wahan jana hoga. Usne apne haath uthaye aur usne ek portal banaya, jo usko Prithvi tak le ja sakta tha
Portal ek ajeeb si roshni se bara hua tha. Usme har tarah ke rang the Karkash ne us portal main dakhil hone ka faisla kiya. Uska dil ek ajeeb si bechaini se bara hua tha. Usko pata tha ki yeh safar asan nahi hoga
Jaise hi woh portal ke andar dakhil hua, uske sharer main ek ajeeb sa dard uth ne laga. Uska sharer hil ne laga, jaise woh toot raha ho. Uske chehre par dard aur dar saaf dik raha tha. Usne socha
Karkash : Yeh to bohut mushkil hai
Lekin us ne Himmat nahi hari Usne apne ap se kaha
Karkash : Main usko dundh ke rahonga, chahe kuch bhi ho
Uska sharer bilkul thak gaya tha, lekin usne himmat nahi hari Jab woh portal se bahar nikla, to uske samne ek ajeeb sa grah tha. Yeh grah hara bhara tha, aur yahan par bohut sare rang the. Usne is grah ko pehchan liya yeh Prithvi hi tha
Karkash ne jab Prithvi par kadam rakha, to uske kadmon se zameen hilne lagi. Aasman ka rang badal gaya, aur hava tezi se chalne lagi. Logon ko laga ki yeh earthquake hai Sab log ghabrahat main idhar udhar daud ne lage. Lekin Karkash ne un par dhyan nahi diya. Uska maksad sirf us insan ko dundna tha, jisne Sakti Chakra ko control kiya tha
Usne apni shakti ka istemal kiya aur usne us insan ko dundna shuru kiya. Usko ek ajeeb si roshni dikhi, jo ek city se aa rahi thi. Usne us city ki taraf rukh kiya. Jab woh us city main pahuncha, to us ne dekha ki yahan par bohut sare log the. Usne socha,
Karkash : Itne sare log, main usko kaise dundh paunga?
Usne apni shakti ka istemal kiya aur us ne har ek insan ke andar ki shakti ko dundna shuru kiya. Usne hazaron logon ko dundha, lekin usko kuch nahi mila. Uska gussa aur bhi badhta ja raha tha
Karkash : Yeh kaise ho sakta hai? Usne Sakti Chakra ko control kiya, lekin uske andar to koi shakti nahi hai ( us ne socha ) Kya main galat hoon
Tabhi, usko ek ajeeb si roshni dikhi jo ek ladke se aa rahi thi. Usne us ladke ko dekha Ladke ka chehra usko jaana pehchana laga. Woh ladka ek hotel ke samne kada tha aur uske Saath 2 ladkiya bi kadi Thi yeh koi aur Nahin balke Surya Divya aur Kiran thi Karkash ko surya ke andar ek ajeeb si roshni thi Karkash ne us roshni ko dekha Usko laga ki is roshni main kuch to khas hai
Karkash ne apni shakti ka istemal surya per Karna Chaha aur jaise hi Karkash ne apni sakti surya per istemal Kiya to ishi waqt Karkash ko ek jatka laga aur woh bohut dur jaa gira uske sareer main chote AA gayi Lekin uske bawajud Karkash uth kar beth gaya Karkash ne muskurate hue kaha
Karkash : To tum ho woh insan jisne Sakti Chakra ko control kiya hain akhir kar Maine tujhe dund hi Liya bas ab Raat hone ka intezar kar phir Teri mout pakki hahahahah
Aur Karkash apni bayanakar hasi hasne laga
Wahi Vikram ke private detective ki taraf
Vikram Singh Raghuvanshi se milne ke baad, woh private detective tezi se Raghuvanshi Mansion se bahar nikla Uske dimag main ab bhi us ek crore ki aur Vikram ki ajeeb baat ghoom rahi thi. "Shayad yeh mera bhai hai."
Yeh ek aisi baat thi, jisne uske dimag main ek tofan sa utha diya tha. Usne apni car ki taraf rukh kiya aur woh tezi se apni office ki taraf nikal gaya
Uska office ek chote se kamre main tha jahan sirf ek computer aur kuch files rakhi hui thi Usne computer ko on kiya aur us ne us par kuch search karna shuru kiya lekin usko koi bhi information nahi mili. Woh hairan tha
Detective : Yeh kaise ho sakta hai? Itna bada naam aur iski koi information nahi?
Usne apne ap se socha. Woh janta tha ki uske liye yeh kaam asan nahi hoga lekin us ne Vikram se vada kiya tha ki woh ek mahine main uski poori jankari nikal lega
Usne socha ki woh ab kuch alag karega. Usne apne phone ko uthaya aur us ne kuch calls kiye Usne apne saathi ko bhi phone kiya aur usko kuch files laane ko kaha Jab uska saathi aya, to us ne usko files di Usne files ko open kiya aur us ne usme kuch dekha Woh files, jo us ne kal raat Raghuvanshi Mansion ke security cameras se li thi Usne woh photos dekhi jahan Surya Raghuvanshi Mansion ke andar dakhil hua tha aur uske Saath Vikram Singh Raghuvanshi bi Hain Usne uski photos ko bada kiya, aur us ne usko dekha
Detective : Yeh ladka aam nahi hai Iski aankhoo main ek ajeeb si chamak hain Lekin yeh kaun ho sakta hai Iska koi bhi digital footprint nahi hai
Usne apne saathi se kaha
Detective: Ab hum iska physical pecha karenge. Iski har ek chal par nazar rakhenge
Agli subah woh detective ek aam si shirt aur jeans main tha. Uske pass ek chota sa bag tha, jis main ek camera aur kuch zarori cheezein thi. Usne ek car li aur woh Surya ke hotel ke pass gaya. Usne ek coffee shop main jaakar baith gaya, jo hotel ke thek samne tha. Usne coffee order ki aur us ne Surya ka intezar karna shuru kiya
Kareeb aghe ghante baad, Surya hotel se bahar nikla. Uske chehre par ek ajeeb si shanti aur sukoon tha. Usne ek cab li aur woh airport ki taraf nikal gaya. Detective ne usko dekha aur us ne socha
Detective : Yeh kahan ja raha hai
Usne bhi ek cab li aur woh Surya ka pecha karna shuru kiya
Airport pahunchne ke baad, detective ne Surya ko dekha ki woh do aur logon ke saath tha woh dono ladkiya Thi Divya aur Kiran Detective ne un dono ko dekha aur us ne socha
Detective : Yeh log kaun hain?
Usne unka pecha kiya. Jab woh log security check ke liye line main khade the, to detective ne unki photos li. Usne unke chehre ko apne phone main save kar liya. Jab woh log plane main baith gaye, to detective ne unke flight number aur destination ko check kiya. Woh hairan tha. Unki destination Kolkata thi
Detective : Kolkata? Yeh log wahan kyun ja rahe hain?" Usne apne ap se socha
Detective ne wahi par apni car li aur woh wapis apne office main gaya. Usne apne laptop ko on kiya aur us ne un dono logon ke chehre ko search kiya. Usne unke naam dund liye Kiran Mehra aur Divya mehra Usne socha
Detective : Yeh dono kaun hain? Kya inka Surya se koi connection hai?
Usne apne sathi ko phone kiya
Detective : Hello? Mujhe Kiran Mehra aur Divya mehra ke bare main puri jankari chahiye Jaldi se jaldi
usne kaha. Usne phone cut kiya aur woh socha ki usko ab ek naya plan banana hoga
Kuch ghante baad, uske saathi ne usko phone kiya
Saathi : Maalik, Kiran Mehra ek bank employee aur abhi abhi Kiran me resign de diya Hain Aur Divya ek computer expert aur Hain aur Saath hi Saath Woh Mumbai police main ACP ki post main Hain and yeh dono behne Hain Kiran to Yaha waise hi ghumne ayi Hain Lekin ACP Divya mehra Yaha per Raghuvanshi ko security dene ayi Thi and abhi Divya ka post bi yahi ho gaya Hain
Detective ka chehra hairani se bhar gaya
Detective : acha aur Kiran ka resign dene ka reason Kya Hain
Saathi : Mujhe nahi pata, malik. Lekin sunne main aya Hain ke bank manager uske Saath galat karna chahta tha ishi liye Kiran me resign de diya
Detective : acha aur Kiran bi Mumbai main job Karti Thi right
Saathi : jee haa Malik yeh bi wahi Job Karti Thi
Detective : okay phone rakho
Detective ne phone cut kiya aur us ne socha
Detective: Yeh Surya Kiran aur Divya Yeh log kaun hain aur iska apas main Kya rishta Hain yeh toh Mumbai jaakar hi pata chale ga
Usne Vikram ko phone kiya
Vikram : Haan, kya hua? Tumne use dundh liya?
Detective : ap mujhe Kuch Kam de aur main woh karo na aisa ho Sakta Hain Kya Lekin ek problem hai
Vikram : kesi problem batao
Detective : surya Apne 2 friends ke Saath Kolkata Chala gaya Hain aj subha Jab main uska picha kar Raha tha tab jab Maine in dono ka pata lagaya to pata Chala us main se ek ACP Hain ACP Divya surya uske Saath gaya Hain jab Maine pata lagaya to pata Chala ke woh dono Mumbai se Hain
Vikram detective ki baat sunkar bola
Vikram : mujhe Nahin pata tu Kya karega kese karega Lekin tu surya ki puri information mujhe dega maine Tumhe ek crore de raha hoon
Detective : boss ap fikar naa kare main abhi Mumbai ke Liye Nikal Raha ho main apko uski puri information dekar rahoga ap bilkul tension mat le okay
Vikram ne ek gehri sans li aur us ne socha. Usko pata tha ki detective sahi bol raha hai
Vikram : Thek hai tum abhi Mumbai ke Liye niklo aur mujhe uski poori jankari Chahiye Aur mujhe har ek detail chahiye okay
Detective ne muskurate hue kaha,
Detective : Thek hai boss Ab aapka kaam ho jayega Lekin ek baat Kaho
Vikram : haa Kaho Kya baat hain
Detective : agar woh apka bhai Sach main nikla to ap Kya k arega
Detective ki baat sunkar Vikram hasne laga aur bola
Vikram : usko uski asli jagha per poncha Dunga phir chahe uske liye mujhe Kuch bi kyun na Karne padhe
~~Aj ke Liye itna hi ~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna