Raj 88
Active Member
- 1,585
- 5,145
- 158
Nice update
Nice update broAsur gurdev ki baat sunkar kuchh bola to nhi par uske haav bhav se lag rha tha ki ek manav ko vah apna samrat manane ko taiyaar nhi hai. Yah baat ko gurdev mahsoosh karate hi Gurdev bole
Gurdev : tumhare man me jo bhi vichar janm le rahe hai use yahi khatm kar do yahi tumhare liye achha hoga varna uska anjaam bahut hi bhayaank ho sakta ho skata hai. Yah kabhi bhi mat bhulana ki Mahira bhi vahi par hai or uske rahte hue tum kuchh bhi nhi kar sakte ho yah baat tum achhi trah se jante ho.
Mahira ka naam sunkar vanha par baithe sabhi asur ke sharir me bahte hue khun mano jam se gaye ho kunki is sachai se vah bhi anjaan nahi the ki vah log uske aage pal bhar bhi tik nahi sakte hai.
Idhar college ke chhuti hone ke baad mai apni bike ki traf jaa hi rha tha ki itne me Mahira apni gadi lekar mere karib ruki or boli
Mahira : agar aap chahe to ham aap ko ghar tak chhod sakte hai.
Mai : nahi Mahira tum jao mere pass bike hai tum chali jao.
Meri baat mankar Mahira vanha se chali gyi or mai bhi ghar ki traf chal diya rashte me kuchh hua nhi mai aram se ghar pahucha or har roj ki trah fresh hone ke baad khana lekar room me khakar so gya kuchh der ke liye. Vahi dusari traf KARAN aaj college me Mahira ke dawara use bole jaane ke baad vah gusse me ghar par aya or sidhe apne aap ko room me band kar liya. Yah uska apna baat manvane ke liye sabse bada hathiyaar tha apni maa se idhar Rekha Karan ka intjaar kar rhi thi par kafi samay hone ke baad jab vah nahi dikha to check karne ke liye uske room ki traf chal di jab usne dekha ki room andar se band hai to vah boli
Maa : beta Karan tu anadr hai kya mai kabase tera intjaar kar rhi hu or tu hai ki aakar room me band ho gaya
Karan : maa aap jao yanha se mujhe apse ya kisi se koi baat nahi karni hai
Maa : akhir kar hua kya hai kis baat ko lekar tu itna pareshaan hai mujhase nahu batayega.
Karan : maine bola naa mujhe kisi se koi baat nahi karni hai aap jao yanha se
Maa : kya usne tujhe phir kuchh kaha kya mujhe bata aaj mai uski khal khich lungi uski himmat kaise hui tujhe kuchh bolane ki
Karan : maa aap kuchh nahi kar paogi mai janta hu isliye aap chali jao yanha se
Maa : tu pahale bahar aa iske baad bata tujhe kya hua hai. Usne kya bola hai tujhe jab tu mujhe kuchh batayega tabhi to mai kuchh kar paungi naa
Karan apni maa ki baat sunkar samjh gya ki ab vah jo kuchh bhi bolega maa use sach maan legi kunki vah janta tha ki maa usake liye kuchh bhi kar sakti hai
Iske baad vah bahar aa kar maa ko ulata sidha baat bata deta hai jise sunkar vah gusse me bhar jati hai or ek danda lekar mujhe marane ke liye aati hai. Ab mai to aram se khud ke room me so rha tha par jabse maine vah ring dharan kiya tha mere charo traf ek adrishy surkchha kavach ban gya tha par vah activet nahi tha jise Mahira ne apni saktiyo ke bal par jagrit kar diya or use pahale se bhi jyada powerful bna diya tha. Jaise hi maa mujhe sote samy hi marne ki koshish ki tabhi vah adrishy surakchaa kavach par laga maa kuchh dur jakr gir gyi jiski vajah unke kamr me chot lag gyi or vah chikh uthi or unki chikh sunkar mai uth gya or dekha ki maa niche apna kamar pakadi hui dard se tadp rhi hai to bhag kar unke pass gya or bola
Mai : maa kya hua hai apko aap gir kaise gaye. Apko kahi chot to nahi lagi hai naa
Maa : dur hat mere pass se sab kuchh teri vajah se hua hai aaaaahhhh maa meri kamar gayi
Mai maa ki bato ko najarandaj karte hue unhe god me utha liya or unke kamre ke traf lekar gya or unhe unke bishtar par litane laga par unko sulate wakt mera bailence bigad gya or mai unke upar gir gya tabhi pichhe se papa aa gaye or tej awaj me bole
Papa : aaj teri itni himmat ho gayi ki tu apni maa ke upar hi gandi najar daal rha hai. Rekha ne kai baar bola mujhase par maine uski baat par yakin nhi kiya or agar aaj karan ne mujhe sahi samay par nahi bulaya hota to teri kali kartoot ke baare me pata hi nhi chalta mujhe.
Itna bol kar vah turant mere pass aye or mujhe marne ki koshish ki par unke maar ka mere upar koi asar hi nhi ho rha tha or mai abhi tak samjh hi nhi paya ki papa kya bol rhe hai to mai bola
Mai : nahi papa aap galat samjh rahe hai maine aisa kuchh bhi nhi kiya hai vah maa gir gayi thi to mai unhe unke room me sulane ke liye le aa rha tha agar aapko meri baat par yakin nhi ho rha hai to aap maa se puchh sakte hai.
Par jo baat maa ne boli use sunkar mera to dimag hi chakra gya maa boli
Rekha (maa) : Sushil tum sahi samay par aa gye varna mai kisi ko aaj muh dikhane ke kabil nhi rahti. Maine tumse pahle bhi kai baar iski gandi harkato ke baare me bola par tumne meri baat par yakin hi nhi kiya dekh lo aaj tumhare ankho ke samne yah kya kar rha tha.
Maa ki baat sunkar meri ankho ke samne andhera chha gya. Mujhe to samjh me nhi aa rha tha ki maa aisa kyu bol rhi hai mai to maa ko sirf chot lagne ki vajah se unhe bishtar par lita hi rha tha par inhone to mujhpar hi iljaam laga diya. Idhar papa ne jab maa ke muh se yah jhoothi kahani suni to iske baad to gusse me pagal ho gaye or phir mujhe buri trah se marne lage. Idhar ghar me kaam karne wali ek lady ne didi ko fone karke sari baate bata diya tha jiski vajah se vah bhi ghar aa gayi or papa ko mujhe buri trah marte hue dekh kar unse raha nhi gya or vah bich me aate hue boli
Didi : bas kijiye papa yah aap kya kar rahe hai kam se kam aap se maine aisi ummid nhi ki thi ki aap bhai ke sath janwaro ki trah bartaav karnege.
Didi ki baat sunkar papa gusse me bole
Papa : tu bich me hat jaa Ritu mai aaj is kamine ko jinda nahi chhodunga is manhoos ne janm lete hi apni maa ko kha gya or aaj yah Rekha ki ijjat lutane ki koshish kiya hai.
Didi papa ki baat sunkar meri traf dekhi to mai bola
Mai : nhi didi mai aisa to sapne me bhi nhi soch sakta hu par pata nhi kyu maa mujhe jhoothe iljaam me fasa rahi hai.
Itna bol kar mai rone laga to vah mujhe gale laga kar shant karate hue boli
Didi : chup ho jaa chhotu mai janti hu tu aisa ghatiya kaam kabhi nahi kar sakta hai jarur yah in maa beto ki chal hai tujhe fashane ki isliye mujhe safai dene ki koi jaroorat nahi hai.
Didi ki baat sunkar maa or karan dono ke chahere ke rang ud gaye phir didi boli
Didi : papa apko sayad pata nhi hai ki ghar me kya chal rha hai isliye is masoom par aisa ganda ilaam laga rahe hai or maa aaj tak apne or Karan ki har galti ko najarandaj kiya ki sayad aap log kabhi to sudhar jayenge lekin aaj apne jo kiya hai uske baad to apse ummid ki nahi jaa sakti hai. Aaj aapne bete saman ladke par aisa ghatiya ilajaam lagaya hai.
Papa : tu iski galtiyo ko chhipane ki koshish mat kar .mai kisi ke kahne par nhi balki jo khud ki aankho se dekha hai vahi bol rha hu samjhi
Didi : papa mai yah nhi janti ki aap ne kya dekha hai or kya nhi mai sirf itna janti hu ki Vikaram galat nahi ho sakta hai.
Maa jo pahle se hi Didi ka meri trafdari hamesha karti rahti hai us baat ko lekar gussa rahti thi aaj is trah khul kar bolne se unka dimaag kharb ho gya or unhone vah bol diya jo unko nhi bolna chahiye tha
Maa : mai hamesha se dekhati aa rhi hu ki tu is kamine ka hardam pachh leti hai kahi yah tera yaar to nhi hai jo tu use bachane ki koshish kar rhi hai.
Maa ki baat sunkar Didi ko bharosha hi nhi hua ki yah uski khud ki maa aisa bol rhi hai yah sunkar unki aankho me anshu aa gaye or vah vahi par ghutno ke bal baith kar rone lagi ab unka rona mujhase nhi dekha gya to mai unko shant karate hue bola
Mai : Didi isliye hi mai apko hamesha mere karib aane se mna karta tha kunki mujhe maloom tha ki meri manhooshiyat ka saya ek naa ek din aap par padega hi or dekh lijiye aap par padh hi gya ( gusse me) maa aaj tak apne jo kuchh bhi kiya mai chup chap sunata raha lekin aaj apne Didi ke upar yah ghatiya iljaam laga kar achha nhi kiya. Aap yahi chahti hai naa ki mai ghar se chala jau to aap yah baat mujhe bol deti yu didi ko badnaam karne ki koi jaroorat nhi thi . Mai abhi isi wakt chala jaunga.
Mere jaane ki baat sunkar maa or Karan dono ke chahere par vijai muskaan aa gyi or vahi Didi ne mera hath pakad liya or rote hue boli
Didi : tu akele kahi nhi jayega ab tere sath mai bhi chalungi.
Mai : didi aap mere sath kanha jaogi mujhe khud pata nhi ki mai kanha jaunga or agar is trah se aap mere sath chali jayegi to inka lagaya hua iljaam sahi sabit ho jayega or log aap par unagli uthayenge jo ki mai kabhi nahi dekh sakunga.
Didi : ab yanha par mera koi nhi hai chhotu agar tu mujhe nhi le kar jana chahta hai to bas kuchh der or ruk jaa meri laash ko aag dene ke baad yanha se janha man kare chale jaana mai tunhe nhi rokungi.
Mai didi ki baat sunkar tadap utha or bola
Mai : Didi yah aap kaisi baate kar rhi ho aap aisa kuchh bhi nahi karogi aap ko meri kasam hai.
DDidi : vah sab kuchh mai nhi janti hu mai bas itna janti hu ki ab yaa to tere sath jaungi ya phir mout ko gale laga lungi kunki in jaiso ke bich me rahna ab mere liye muskil hai