Chapter - 3
[To check out what this power entails, call out; System Interface!]
"System interface," Raj ne dhere se jawab diya.
Ab aage --
Raj ke itna kahne ke turant baad, uske saamne 5 list aa gaye.
[Host Attributes] [Skills and Abilities] [Bloodlines] [Quests] [Shop]
"hmm?" Apni aankho ke saamne ye sab dek kar raj ko ye sab jana pahchana lagne laga wo system ko thoda thoda samjane lga tha.
" Host attributes," Raj ko jaise hi uska kaam karna ka tarika samaj aaya usne dhere se kaha.
itna kahne ke baad, raj ke saamne se Host attributes ke aalawa baaki sab gayab ho gya aur host attributes khul kar saamne aa gya.
----------------------------
[Host Attributes]
-Name: Raj krishan singh
-Level: 1
-Class: ?
-Exp: 0/100
-Hp: 100/100
-Energy: 30/30
{Attributes}
»Strength: 1
»Perception: 1
»Agility: null
»Speed: 1
»Bravery: null
»Intelligence: 4
»Charm: null
{Attributes point: 0}
---------------------------
Raj ne jaisa hi apna attributes dekha uska chahra kaala pad.
"Agility, Bravery, Charm, null? Mujhe pta hai main weak hun , kamjor hun lekin itna!" Raj ne apne aap ko dilasa deta hua.
"Agar mera paas bahaduri hi hoti toh main suicide karne jate kya," Usne apne pure beeta kal ko sochte hua kaha kyuki use pta tha usne bachpan se kitna kuch saha tha tabhi wo teji se kahta hai chillata hua," Ab nhi main ab powerfull bnunga."
" lekin ye system purane jamane ki tarah kyu dikhata hai? Level ? Digit ?" Raj ne kahte hua excited ho kar agla tap ko kholna ke liya
"Skills and abilities!" Ko maan main bola.
Fir uske saamne Skills and abilities tab open hone lga toh raj ne kaha ,"mujhse isse aage se bakchodi nhi karni chahiye".
------------------------
{Skills and Abilities]
»Dash - Level 1
»Regeneration - Level 1
»Morph - Level 1
»Toxin immunity - Level 1
»Recreation - Level 1
»Bloodline acquisition level 1
»(Locked)
»(Locked)
»(Locked)
»(Locked)
...
--------------------------
"
aisa lagta hai mera bloodline main mera skin ka calour badalne ki ability jud gai hai,ohh iska naam bhi hai ek, lekin kya bloodline envolve ho sakti hai is system ki madad se toh shyad ek din meri bloodline bahut achi ability ban jaye".
tabhi raj ki nazar recreation par padti hai aur uski aankhein hairat se fail gai.
baakiyon ke alawa, ye ek aisi skill thi jiski koi information nahi likhi thi. usne ghur kar usko dekha aur bola ," iski information nhi di kyun, ye hai kya , shyad mujhe iske liya aur intejaar karna pdega".
Jaise hi uski nazer agli aur antim skill par par padti hai Bloodline acquisition!, uski aankhein bahar aa gai.
"bloodline churane karne ki ability?"
"
Ye majak hai na?" Raj ne halki fulki hasi main pucha," meri bloodline hmsa se bekaar rhi hai aur ab main bloodline chura skta hun?" Raj ne khada hote hua serious tune main pure kamre main ghumate hua kaha.
Raj ko wo sabhi year yaad aa gya. Jab uske sabhi dost , uska bhai apne bloodline ka dikha kar uska majak udate aur jaleel hona padta.
"Lekin aur nhi ab nhi main sabko." Raj ye kahte kahte ruk gya aur uski agressive ho gai.
Raj kuch kahta uske pahle uske saamne ek notification aati hai.
[To use unlocked skill, call out the name of the skill in your mind while adding activate behind or in front]
Raj khada hua aur apna bathtub se bahar nikal kar apni school uniform change kar ke apne room ko dekha jo ek room tha aur usmain ek almari aur sone ke liya bathtub tha.
"System interface band kare!" Ye kah kar raj apne room se bahar nikalta hai aur kahta hai main apne "dash" ka use bahar krunga, ye kahte hua raj room se bahar nikal gya.
Living room se hote hua jaise hi wo hall main pahucha use apne bhai aur maa ki awaz sunai padi.
"Rahul, mujhe visvas hai beta ki aaj tum acha kroge," ek komal si awaz raj ke kano main padti hai, "maina suna hai,wo log mbo Academy ko Scolership bhi denga,"
"Haa , maa, main apko proud feel karunga ," ladke ki aawaz ne reply Kiya , "wo andhe honge jo mujh par concentrate nhi krenge , main pure school ka High class ka mixed blood hun," ladka ne dhimi awaz main garv ke sath kaha.
ye tha raj ke maa aur uska chota bhai aur jaise hi un dono ne raj ko aate hua dekha, un dono ne usse ignore kar diya.
"chalo chale," unhone usse puri tarah se ignore kar diya aur uski ma ne "hmm" kahte hua darwaza dhakel diya, rahul ne sir hilaya.
"Mummy, tum mujhe school nahi chodoge kya?" isse pahle ki wo nikal pate raj ki awaz ne unke kano par dastak di.
Raj ki maa ne apne pair rok liya aur nafrat bhari nazer se usse ghurne lagi , "maina tumse kitni baar kaha hai, main tumhari maa nhi hun maina tum jaise trash ko usi time chor diya , mera ek hi beta hai aur wo ye hai!" Usne rahul ke baal ko sahlate huye kaha, " tum bina kisi achi bloodline ke sirf ek boj ho!" Usne gussa main jawab diya.
" tumhe khusi honi chahiya ki mom aur dad ne apko ghar main rahne diya , tumhari school fees de rha jabki tumhare paas ek achi bloodline nhi hai!" Rahul ne haste hua jawab diya.
"mujhe nhi pta ki maina aur tumhare dad ne tumhare jaisa bekar insan kaise paida kar diya , ek ghatiya mixed blood!" Uski maa fir boli.
Slam!
The door Darwaza toh band ho gya tha, lekin raj kaafi time tak whi khada rha usi position main.
Tabhi rah ko yaad aaya ki jab rahul 5 saal ka tha,toh wo dono bahut khelte tha aur us samay uska bhai bhi use bahot pyar krta tha , shaitani karta tha.
ek samay tha jb wo dono hide and seek khel rhe tha, rahul ko chot lag gai. Chot ki wajah se raj ko galat mana gya aur raj ko 20 kode maare gya. Wo din raj kabhi nahi bhula usne maafi ke liya bheekh mangi.
Raj ko yaad aaya jab rahul 8 saal ka hua tha, toh ye whi tima tha , jab rahul ka bhi behaviour society ke aur log jaise ho gya tha. Rahul ne raj par apni bloodline ability se hamla kar diya tha jisse raj ki pith par 7 inch ka gaav ho gyaa tha.
wahi mom dad jo rahul ki chot par gussa tha whi ab raj ki chot par haas rha tha khus tha smile kar rha tha , aur rahul ki bloodline ki tarif kar rha tha. Kisine bhi raj ki pith ki khabar nhi li.
Thodi der ye sab sochna ke baad raj ne hasta hua kaha," main kya hi umid kar rha tha? Kya main lambe time se aisa nhi feel kar rha ? Aaj ki duniya main aisa hi hota". Wo udaas ho kar haste hua darwaza ke bahar chala gya," oh shit mujhe jaldi school jana hoga mbo se teacher aaj aayenge", raj ne daudte hua kaha.
Raj ne daudte hua kaha ,"acha hua aaj ke time main Plankton City bahut grow kar chuki hai , jagah jagah teleportation public ke liya hai."
"Iske baad, school jane ke liya mukhe bas 2 teleportation se gujarna hoga," Raj ne teleportation main enter krta hua kaha.
5 mint baad raj us teleportation se bahar nikal jata hai aur dusre teleportation ki taraf chala jata hai bhaagte hua.
Finally raj school aa gya. Ek bahut badi se aur chaudi so building thi ye jismain middle school aur High school ke students hai.
Jiske main gate par ek bada sa board lga tha jis main likha tha.
"Eco academy"
Raj teji se school main bhaga jitna tej use uska pair le ja sakte tha. Jaha dusre logo ko unke mom dad car se unki class tk chorne ja rha tha, raj ko apni class tk paidal jana tha.
block c, waha tak raj ko bhaag kar bhi jane main 20 mint lagega.
mixed blood eco academy main training ke alawa math, English jaise subject bhi padhaye jate tha. Eco academy se High school se graduation ke baad , aise collage ya University main ja sakta tha jo kewal mixed blood ke liya tha. Waha par unki class kewal unki bloodline ability par chalegi.
School ke ander aate hi raj ne bahut se logo ka dhyaan apni taraf attract kar liya tha. Log use nafrat bhari nazro se guurne lga tha.
"ohh, ye whi trash hai!" "Ye ab bhi academy kyu aata?, naa toh ye normal human hai naa hi mixed blood ki achi ability hai iske paas" kuch ladke apne baap aur ma ki car main baith kar baat krta hua aa rha tha.
tabhi raj ke nazer ke saamne ek ladki jise dek kar raj purani yaad main chala jata hai.
kuch saalo pahle raj ne ek ladki prajakta ko purpose kiya tha.
Tab prajakta ne apna asli rang dikhaya aur seedhi saadhi wo ladki ne raj ko pather se kuchal diya tha badi muskil se raj ki jaan bachi thi.
Raj ne dhere se kaha ,"tum sab ko iski keemat chukani padegi".
"Arre ye kaisa possible hai, aaj main class main aa gya itni jaldi wo bhi paidal, shyad system ki wajah se main badal rha hun , mera ander powers aa rhi hai", ye sochte hua raj apni class main ek dm last ki apni seat par jaane lagta hai.
thode der baad class main ek aadmi aa kar padhane lagta hai.
Raj ne dhyan se baitha hi tha ki uske saamne ek notification aa jati hai jisse wo hadbada jata hai, aur puri class rah ko dekhne lagti hai.
Raj un sab se maafi mangta hai.
[Daily task completed (1/3): Travel 3km √ ]
class saanth hone ke baad , raj ko notification aayi thi wo yaad aaya.
'Daily task ?'
[Daily task can be found in quests panel]
Hmmm? quests?’ raj ko yaad aaya ki usne school aane ki jaldi main pura system interface toh dekha hi nhi , ’Oh, maina sab nhi check kiya ajeeb chutiya hun, quest aur shayad bloodline bachi hai,’ raj ne sochta hua apna maan main bola , ’System Interface!’
Tunum!
[Host Attributes] [Skills and Abilities] [Bloodlines] [Quests] [Shop]
Jaise hi uski aankhein ke saamne panel aaya raj ne turant bola "quest!".
---------------------
[Quests]
»Daily
»Weekly
»Monthly
»Yearly
--------------------
Thodi der sochna ke baad rah bola ," itna saare quest pahle Daily!" Raj ye maan main bola.
-------------------------
[Quests]
»Daily
-Today’s task (1/3):
.Run 3km (Status: Completed √)
.Climb to a height of 20 meters (Status: 0/20m)
.Carry a total of 150 kilograms (Status: 0/150)
<Rewards for completion: +5 attributes points>
<Punishment for failure: (Hidden!) will be revealed when the host fails to complete the task>
' 20 miter chadna hai? 150 kg weight uthao? Main 20 kg bhi nhi utha skta ye 150 bol rha', ye sab dek kar raj chillane wala tha lekin usne khud ko rok liya.
usi time ek teacher class main aati hai, jise dek kar raj ne system interface bandh kar diya.
Ye ek female teacher thi, jinke brown baal tha. Aur wo ek tight fited jeens main thi. Aur ek leather ki jacket pahne hua thi. Jise dek kar saare students dar jate hai aur teacher bhi chale jate hai dar kar.
- Queen Divya.
.