• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Tawaif

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Updated 12

ajal, jaa Alok babu ke saath...chali jaa beta...kismat fir kabhi aisa mauka nhi degi....nikal jaa is daladal se...Sadaa babu kab pahuch jaaye kuchh nhi pata..aur ek baar wo aa gye to...........”Runa ne shayad unki baate sun li thi, aur kajal ko samjhane ki poori kosis kar rhi thi...whi Alok apne baap ka naam sunkar chaunk gaya. “papa,yha aa rhe hain ?...nhi nhi...unki koi rally hai aaj to....wo yha kaise...” “Alok babu ! aap kuchh nhi jaante apne papa ke baare me...lekin uske liye shayad fir kabhi mauka mil jaaye...abhi aap please jaiye yha se.........waqt jayaada nhi hai..”Jumman ne andar aate huye kaha. “aap logo ka ahsaan rahega......bahut bahut shukriyaa.....is ahsaan ka bada mai jaan dekar bhi nhi chuka paunga.......aaiye chale....chalo kajal......”Alok ki baat khatm bhi nhi huyi thi ki ek baar fir se gadi ke tyro ki charrahat se fiza gunj uthi. Ek tawaif ki badkismati itni aasani se uska pichha nhi chhodane wali thi.Jumman ke chehre par pareshani ke bhaaw the, Runa ke chehre par darr ke ,Alok ke chehre par gusse ke aur Kajal ke chehre par dard ke.....shayad abhi aur tamasha ban’na tha uska.

jabki Kajal ka chehra bilkul shant tha..shayad muhabbat ki shikast maan li thi usne.....Alok ne ek baar uski aankho me dekha aur bahar nikal gaya, jumman pahle hi bahar pahuch chuka tha...Kajal Runa ke paas khadi rahi....sabkuchh uski vajah se ho rha tha , yhi use lag rha tha..ek baap bete ka takraaw hone jaa rha tha...lekin aaj wo ise rok nhi sakti thi. Teen gadiyaan thi..ek me se Sadanand bahar nikle apne bodygaurd ke saath, dusre me se Laila aur 2-3 gunde si shakal wale aadmi...teesre gadi me se koi 4-5 log nikle sabke haath me gun. Sadanand ke chehre se hi lag rha tha ki wo kitne gusse me hain..lekin jaise hi saamne khade Alok par nazar padi saraa gussa mano jhaag ki tarah baith gya ...kam se kam chehre se to yhi lag rha tha. "Alok tum yha???....oh to aakhir tum pahuch hi gaye....koi baat nhi.....aao... ..yha aao mere paas...mai sab janta hu beta, lekin tum bahut bade dhokhe me ho.....wo ..wo ladki....wo ...mai kaise samjhau tumhe...are ...aree..Baazaru hai wo..." " Basss papa !!!, mere sabr ka imtehaan mat lijiye...maine aapse pahle bhi kaha tha ki mai apni Kajal ke baare me ek sabd bardasht nhi karunga....aur aap !.......kyu aaye hain aap yha....??...bataiye.....kyu??" Alok jor se dahada..... Sab log chup the....jumman ek or khada tha ,hath me ek mota sa latth tha...Laila ek tak use ghoor rhi thi aur wo Laila ko, jabki Sadanand ke saath aaye aadmi kuchh doori par hi ruk gaye the.Alok ko dekh Sadanand sakte me the, shayad dar tha ki aaj unke kale karnamo ka chittha unki apni aulad ke saamne na khul jaye. Alok kisi jakhmi sher ki tarah apne hi baap ko ghoor rha tha... "Boliye, kaise jaante hain aap kajal ko....aur kyu aaye hain aap yha......"


"Tere liye aaya hu beta, mujhe pata tha ki ye kothi wali....mera matlab.. ye....ye ladki tujhe faansne ke chakkar me hai... idhar aaya tha rally me to ise hidayat dene aa gya.....puchh leta hu kitne paise legi....." Sadananad ki aawaz fir se halak me hi rah gayi..... "Band kijiye ye natak......Chup ho jaiye....!!!!!!...sach sach bataiye......? kaise jaante hain aap kajal ko??.......pahle se jaante hain aap???...papa, kajal meri zindagi hai, ek baar kho kar badi mushkil se paya hai.....ab duniyaa ki koi taakat mujhe us se juda nhi kar sakti.....aapke haath jodata hu, mujhe Kajal se fir se juda mat kijiye, ....behatar hoga aap laut jaiye.. ....." Seedha sadha se Alok aaj apne hi baap se bagawat kar gya tha.Sadananad hakka bakka use dekhte rah gye. Unhe samajh me aa gya tha ki jabtak Alok bich me hai wo Kajal tak nhi pahuch payenge......aur ab unke dimag me Rajneeti ka kida kulbulane laga....chaal chalne ki sochi............ "Ek baar Runa se baat karne do fir mai chala jaunga."is baar Sadanand ne jumman ki or dekhte huye kaha. Jumman ne ek pal ko kuchh socha, fir Alok ki or dekha aur fir chupchap darwaze ki or badh gaya...Sadanand uske pichhe , Alok bhi pichhe pichhe aane laga.


khel ki sabse badi khiladi Lailaa chuchap sara tamasha dekh rhi thi...wo abhi shayad halaat ka jayza le rhi thi......apni baari ka intzaar ,uske khyaal se to uske paas turup ka ekka tha, bas istemaal aisa soch samjhkar karna tha ki faydaa jyada se jyada ho sake.Wo sabko jata dekh bas muskura kar rah gayi. Idhar Shera , Anjali aur Sophi, do baar rasta bhatak chuke the... "shera bhai, jaldi chaliye kahi der na ho jaye..." Anjali ki aankho me aansu the jabki Shera ke chehre par pareshani aur jhallahat ke bhav, wo to bechara bina kisi vajah ke hi in sab lafdo me fans gaya tha...lekin Shera ka dil bhi aaj zindagi me pahli baar kuchh achcha karke sukoon mahsoos kar rha tha...jo kahani use Anjali ne sunayi thi wo sunkar to ek baar ko patthar bhi pighal jaaye,wo to fir bhi insaan tha.......usne apni aankhe ragad dali aur gadi ko ek baar fir se full speed ke saath sadak par dauda diya. Alok ,Runa ,Jumman, kajal aur Sadanand ....kamre me 5 log the is samay....Laila bahar thi..aur usne shayad Sadanand ko utna hi bataya tha jitne ki unhe jarurat thi....apne saare paate kaise khol deti.......aakhir use bhi to apne "munaafe" Ka khyaal karna tha...uska to "kohinoor" daav par lag gaya tha ..bhala aise kaisemuft me jaane deti.


Sadanand ne ek nazar ghoor kar Kajal ko dekha..un nafarat bahri nighaho ki tapish se saham kar wo masoom fir se Runa ke pichhe simat gayi............Use to koi aitraaz hi nhi to apni usi Tawaif wali duniyaa me laut jaane par,kyuki usne ise hi apni kismat maan liya tha, lekin aaj ye faisla wo akele nhi le sakti thi....kyuki baat aaj muhabbat ki thi, sirf kismat ki nhi......aur aaj uska "pyaar"chattan ki tarah uske aur uske muqaddar ke bich aa khda hua tha....... Dari-dari ,sahmi si Kajal har beet'te pal ke saath apne rab ko yaad kar rhi thi...uska to sabkuchh daav par lagaa tha...barso pahle di gayi wo muhabbat ki kurbani bhi..!!!...kya aaj fir se kismat use maat dene wali thi ?? "Runa, mai tumse kuchh akele me baat karna chahta hu......" Sadanand ek ek sabd ko chabaate huye bole..........apne khoon ke hatho majboor aaj wo Runa se is dhang se baat karne ko majboor the, nhi to fasila kab ka bandook ki naal ke jor par ho chuka hota. "Nhi !!!...mujhe manjoor nhi aapki ye shart..........meri kajal se jude kisi faisle ka haq mujhe hai ya kajal ko...... To ab jo kuchh hoga mere saamne hoga...." Alok Runa se pahle hi bol pada...use dar tha ki aaj fir se ek "rayish" majboor kar dega, ek "garib" majboor ho jayega . Alok ke rahte to aaj tak kisi gair ke saath aisa nhi hua tha, to fir apni muhabbat ke saath wo kaise ye ho jaane deta. Alok ki baat par Sadanand ne khijh kar uski or dekha...zindagi me aajtak kisi ka bardasht nhi kiya tha unhone...lekin aaj chahkar bhi kuchh nhi kar paa rha tha...sadanand ka chehra kathor ho gya...Runa ki or dekha unhone...Runa janti thi Sadanand apni jhuthi shaan bachane ke liye kisi bhi had tak jaa sakta hai...... "Alok babu, bharosa rakhiye ham par....aapki kajal ke kismat ka faisla hum ya koi aur nhi kar sakega...aap aur aapki



ajal karenge......" Runa ne bade maan ke saath Alok ko dekha.......usi par to daav lagaya tha Runa ne aur aaj garv ho rha tha use in muhabbat walo ko dekhkar............ Alok ne ek baar kajal ki or dekha , use aankho hi aankho me apne hone ka bharosa dilaya aur ghar se bahar nikal aaya.Jumman bhi pichhe pichhe chala aaya, Kajal ko Runa ne rok liya... "Kahiye Sada babu, aaj kaun sa sauda karna chahte hain...."Runa ne badi sard aawaz me kaha. "Tum bolo Runa bai !,aaj kismat ne tumhe bhi mauka diya hai.....mango kya mangti ho "ise" Alok ki zindagi se door le jaane ka......." Sadanand ne kajal ki or ghurte huye kaha. "Chhodiye Sada babu, mai jo mangungi ,aap de nhi paayenge...to achcha yhi rahega ki sauda hi karle......jo aap khaki wale aksar karte hain......" Runa ne dil ke dard ko seene me hi dbaa liya tha, "bolo !" "Sada babu, jaante hain ye kaun hai.....??" "haan, ek Twaif ..ek baazaru....." sadanand ne bade bhadde lahje me gaali di Kajal ko.


"Haan, aap jaise ke liye hmari yhi pahchan hoti hai........lekin ek aur pahchan hai iski...jaan'na chaheneg........" "??" "??" Sadanand ke chehre par har pal gusaa badhata ja rha tha, aur kajal ke chehre par dard. "Mohini yaad hai Sadababu ?.......Usi Mohini ki beti hai ye Kajal jiske jism ko seedhi banakar aap apni taajposhi ki gaddi tak pahuche.........usi Mohini ki beti.." Runa ki baat sunkar Sadanand ek pal ko chaunk gaya...lekin tha wo bhi shatir khiladi , agle hi pal khud ko sambhal liya. "haan to thik hi hai , ek tawaif ki beti tawaif hai...isme aascharya ki koi baat nhi hai....sauda bolo apna ...mere paas faltu baato ka waqt nhi hai........." Sadanand ke chehre par sirf nafrat thi. "jitna socha tha usse jayada ghatiyaa nikle aap Sada babau....khair, to mera sauda ye hai ki aap Kajal aur Alok ko yha se jaane de...is desh se door......hmesa hmesa ke liye...warna......" "warna???...warna kya........tu do kaudi ki ran** mujhe dhamki de rhi hai...apni aukat bhool gayi saali...... ek minute



me tera wo haal...." Runa ki baat sakht nagwaar gujri thi sadananad ko. "gusse se nhi hosh se kaam lo MLA Sadanand chauhan.......agar ek ran** apne pe aa gayi to fir bahut kuchh kar jayegi.............mai khud tumhari party me ye khulasa karungi ki kis tarah se tumne Mohini ke saath milkar apne hi party ke Netao ka khoon kiya tha.......kaise satta ke laalach me aakar tumne har us shakhs ke khoon se holi kheli jo tumhari raah me roda tha.......aur fir party ko aur janta ko jawab tum dena Sadanand chauhan....aur haan , ise dhamki mat samajhana.....ye sauda hai..warna har jurm ka saboot mere paas maujood hai...........jo mujhe Mohini dekar gayi thi...." Runa ne andhere me teer chalaya tha lekin laga bilkul nishane pa rtha. "ohhh...to ye baat hai....lekin mai kyu maan lu ki ye sach hai....agar aisa hota to bahut pahle tum mujhe barbaad kar chuki hoti....! " Sadanand ke maathe par shikan ki lakeere aa gayi thi. " Haan jarur kar deti..........lekin tab mujhe pata nhi tha ki jo khel tumne maa ke saath khela whi beti ke saath bhi khel rhe ho..........ek aur vajah thi............kyuki mujhe lagta tha ki Mohini ke saath tumne jin logo ko mara wo Mohini ke muhbbat ke hatyare the.........isiye unke liye wo sajaa thi....aur mujhe tum itne bure nhi lage....isliye mai ab tak chup thi.....lekin aaj nhi.....mai Mohini ko naa bacha saki...lekin Kajal ko kuchh nhi hone dungi...aur ye rha pahla saboot meri baat ka." Runa ne wo tasweer Sadanand ki or badha di jisme wo aur Mohini ek saath baithi thi.


Runa ki baaton se aur wo tasweer dekhakr Sadanand ko yakeen ho chala tha ki Runa sach much bahut kuchh janti hai, aur party to door, kanoon ki shikanaje bhi uski gardan par kas sakte the.....fir oppsition walo ka hangama........poora political career daav par laga nazar aa rha tha sadanand ko. Ab use samajh aa rha tha ki Runa ne wakayi "sauda" barabari ka kiya tha........Ek chhan ko to uska chehra safed pad gaya....Runa se apni shikast use bardasht na thi...aur Alok aur Kajal ko jaane dena to zindagi ki sabse badi shikast hoti......ab Sadanand ke paas ek hi rasta tha, wo rasta jo uske jaise bahubali apne rajneeti me aksar istemaal karte the. "Runa bai, man'na padega ,.....sauda to wakayi baraabari ka kiya hai tumne....lekin mujhe manjoor nhi..." Sadanand ke hotho par ek jahreeli muskaan fail gayi..usne tasweer ko ek kone me fenk diya. Bahar khada Alok bechain huye jaa rha tha , uski muhbaat par itne pahre kyu..??..kyu har baar grahan lag jaata tha uske pyaar ko...??....lekin un aankho me ek junoon tha, wo aankhe bol rhi thi....”Duniyaa idhar se udhar ho jaaye, tumhe jaane nhi dunga”...Kismat aur muhabbat ki jung me ek “Tawaif” ki zindagi ka kya khub khel ho rha tha.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Updated-13

Sadanand ki baat sunkar Runa ka chehra ekdm se gambhir ho gaya...uska daav bekar hone wala tha aur ab wo kuchh nhi kar paa rhi thi....Sadanand ne ek lambi saans li aur bolna suru kiya....... "To Runa bai, basically ab baat ye hai ki Mujhe ye sauda bada mahnga pad rha hai aur itni keemat to mai chuka nhi sakta...ab ek hi rasta hai mere paas......" "Tum sabke yhi maar kar dafan kar du aur apne bete ko lekar jaau yha se.." Apne jeb se cigaar nikal kar sulgaate huye Sadanand ne bade aam se lahje me kaha....jaise mano koi badi mamuli baat kah rha ho. " Sadanand babu, ye muhabbat bhi badi kameeni cheej hai,jisko ho jaaye paga hi kar deti hai...........Alok ki aankho me muhabbat ki jo tadap hai ,aapne shayad dekhi nhi....us muhabbat ko jhukane ki kosis mat karo, haar jaoge.... " Runa kuchh jayda kah nhi paayi, is bar jawab dil se diya usne. "Runa bai, ishq -muhabbat sab kitabi baaten hain....tum mujhe jaanti nhi abhi...pahle baat sirf mere ijjat ki thi..mai nhi chahta tha ki mera beta kisi tawaif ko mere ghar ki bahu banaye, lekin ab baat zid ki hai, ab baat mere guroor ki hai.....aur uske liye mai kisi bhi had tak jaa sakta hu...ya yu kah lo gir sakta hu.." Sadanand ne apne iraade jahir kar diye. "Thik hai Sadanand babu , to fir pahle apne bete ko maar do...kyuki mujhe nhi lagta ki uske rahte aap Kohinoor ko chhu bhi paoge "Runa ne bhi usi andaaj me jawab diya.

Mera beta mere saath jayega.....ab tumne mere paas koi rasta nhi chhoda...tum mere liye ek bahut bada khatra ho aur ab mai tumhe chhod nhi sakta...." Sadanand cigaar foonkta hua bahar nikla, bahar Alok khada tha kuchh door par..Sadanand ne ek nazar us par dali aur apne aadmiyo ki or badh gaya. Runa Kajal ko lekar bahar aa gayi..Alok jaldi se unke paas pahucha......Runa ke chehre par mayoosi thi aur Kajal ki aankho me aansu. "kya hua Runa jee...kajal kya hua...kya kaha papa ne..? Ro kyu rhi ho kajal...mai hu na...kuchh nhi hone dunga tumhe..." Alok ne Kajal ke kandhe par hath rakha ....Kajal ne sooni sooni aankho se uski or dekha.....aaj bhi whi laachari aur bebasi thi un sooni aankho me. "Sadababu, !" Laila jo bahut der se ye tamasha dekh rhi thi ab aur chup na rah saki....use lgaa ab sahi time aa gaya hai apna daav lagaane ka.....Uski aawaz par Sadanand ne mudkar use dekha...Laila jaldi se unke paas pahuchi. "mai do min aapse baat kar sakti hu kya...." Laila ne kaha.....Sadnand ne khijh kar use dekha , "ab tujhe kya baat karni hai..." "kuchh baat bani ???, wo maan gayi aane ko....?? " "nhii"

nhi maani !!...achcha wo..bas...2 min..aap akele me...??" "yhi bol ! jaldi time nhi hai mere paas......." "Wo...wo...kajal ko kaise wapas laana mere ko pata hai...mai us se bolegi to wo aayegi....mai jaanti hu , wo kahi nhi jaa sakti...bas wo ...wo ...keemat thodi......kuchh aur.." Lailaa ko abhi kuchh pata nhi tha ,lekin Sadanad ke tewar dekhkar ye samajh chuki thi ki Sadanand ka sauda Runa ke saath ho nhi paya tha...aur vaise bhi use ye pata hi tha ki Sadanand daulat ka jaal hi bichhayenge aur Runa ko daulat se moh kabhi nhi rha . "Laila bai, yha se ab laashe uthne waali hain, bol to teri bhi uthwa du....."Sadanand ne ghoor kar use dekha, Laila ki halat kharab ho gayi. "Laashennnnn... ?? kiski laashen...aukk.....maine kya kiya Sada babu...mai to yu hi....maaf kar dijiye..." Laila jo karodo ke sapne dekh rhi thi apne "heere" se ,bechari ko maut nazar aane lagi. "To chali jaa yha se....maine sauda karna chaha sirf apne bete se us ladki ko alag karne ka !...apni maut ka sauda nhi kar sakta...mai apne sar par nangi talwaar latakti nhi chhod sakta...ab dafaa ho yha se...aur kuchh boli to....." Sadanand kuchh baten mano khud se kah rhe ho, aakhiri baat hi Laila ke samajh me aayi aur utna hi kaafi tha.


j..jee..mai abhi chali jaati hu......" "nhi abhi nhi jaa sakti...ja..jakar gadi me baith...." "jjj..jee..." Laila pal bhar me sar apne ghutne ke bich chuppaye, apni car me baithi huyi nazar aayi... Sadanand ne apne aadmiyo ko paas bulaya aur kuchh kaha...sab bhi unke pichhe aane lage, sabke paas hi gun thi...do aadmi bahar ki or khade the taaki koi aur bahar se na aa paye is or...aur baki aadmiyo ne aur khadi gadiyo ne ek ghera sa bana liya tha charo or se....... Alok sab dekh rha tha aur Runa ne bhi kuchh kaha tha us se....use yakeen nhi ho rha tha ki uska apna baap itna gir sakta hai ki uske saamne uski muhabbat ka khoon karne wala hai...Alok ke aankhe angaare si dahak rhi thi,uski jabde beech gaye aur nathune foolne lage.. Sadanand Alok ki or badha...unhe khud bhi samaj me aayi aur utna hi kaafi tha.


"jjj..jee..mai abhi chali jaati hu......" "nhi abhi nhi jaa sakti...ja..jakar gadi me baith...." "jjj..jee..." Laila pal bhar me sar apne ghutne ke bich chuppaye, apni car me baithi huyi nazar aayi... Sadanand ne apne aadmiyo ko paas bulaya aur kuchh kaha...sab bhi unke pichhe aane lage, sabke paas hi gun thi...do aadmi bahar ki or khade the taaki koi aur bahar se na aa paye is or...aur baki aadmiyo ne aur khadi gadiyo ne ek ghera sa bana liya tha charo or se....... Alok sab dekh rha tha aur Runa ne bhi kuchh kaha tha us se....use yakeen nhi ho rha tha ki uska apna baap itna gir sakta hai ki uske saamne uski muhabbat ka khoon karne wala hai...Alok ke aankhe angaare si dahak rhi thi,uski jabde beech gaye aur nathune foolne lage.. Sadanand Alok ki or badha...unhe khud bhi samajh me nhi aa rha tha ki Alok se kaise kahe aur Kya kahe... wo khud bhi jaante the ki Alok ka jawab kya hoga..aur ye bhi pata tha ki aaj Alok yha se Kajal ko lekar nikal gya to fir kabhi unke paas lautkar nhi aayega....Aur kahi Runa ne unki asaliyat bata di to...Alok ne police ko bata diya to...?????.....Beta


o haath se jaayega hi ijjat aur shohrat bhi jaayegi, aur kaun jaane budhapa jail ki chakki peeste beete.....Sadanand ne soch liya tha ki kisi bhi haal me wo Runa aur kajal ko yha se nhi jaane de sakte. "Alok beta, dekho meri baat suno...tum in dono ko chhodkar gadi me chalkar baitho...balki tum jao yha se chale jao......main inhe sab samjha dunga..."Sadanand khud se hi nazre chura rhe the, Alok ki aankho ki deewangi bahut kuchh kah rhi thi aur sadaa ko pata tha Alok manega nhi, lekin kisi bhi tarah se Alok ko wha se hatana hi tha aur iske liye kuchh socha tha unhone. Alok ne kuchh nhi kaha bas sawaliya nazro se unhe ghoorata rha........mano puchh rha ho, sach me ?? aapko lagta hai ki mai aisa karunga???.... "Dekho beta........ "Basss , ek aur baar bhi mujhe beta mat kahiyega...!!!!!...kitna badnaseeb hu mai ki aap mere baap ho........nafarat ho rhi hai mujhe apne vajood se ,kash mai anaath hota.....kash aap mere baap na hote..." Alok ki baat me bahut dard tha ,lekin aankho me us se kahi jyada nafrat. "Alok??" Sadanand ke aham ko thes lagi.



chilaaye mat Mr Sadanand chauhan.....!!....nhi to baap-bete ka ye rishta nafrat ki isi aag me bhasm kar dunga.....apni muhabbat ki kasam hai mujhe agar kajal ko kisi ne haath laga diya to wo haath ukhad dunga mai.......ghinn aa rhi hai aapse....kabhi socha nhi tha ki aap itna gir jaayenge..... !! ..kaise soch liya aapne ki aap meri kajal ko...meri kajal ko jaan se...."Alok ki aankhe chhalak padi, buri tarah se apni aankhe ragad dali usne aur kajal ko apne seene me bheench liyaa..aaj use kisi ki parwaah nhi thi. Nafrat se apne baap ko ghoora, Sadanand ko koi khas fark nhi pada. " Mere jeete jee mere kajal ko koi chhu nhi saktaa......kheliye khoon ki holi aap ,lekin wo khoon aapka apna hoga....Aapki bandook se nikli goli pahle mere seene ko chhalni karegi fir meri kajal ko chhu payegi...chalaiye goli....."Alok apne baap ke thik saamne khada ho gaya tha....mano kah rha ho ki dikha do aaj apne nafarat ki intehaa aur dekh lo aaj meri muhabbat ki intehaan. Alok ki aankho se deewangi baras rhi thi , chehra gusse aur nafrat se sakht ho gya tha...saare jamaane ka dard uski un do aankho me simat gya tha....uska apna baap aaj uski muhabbat ka dushman ban gya tha. "Alok, mujhe majboor mat karo......ki mai......" Sadanand ne apni gun Alok par taan di...ek deewane ko daraane chale the..naadan !



Aap kab se majboor hone lage .....kis baat ka intjaar hai aapko......chalayiye goli..." Alok dahadta hua bola.....Sadanand ke maathe par paseena chhalak aaya....haatho me pakdi huyi revolver kaap gayi. "Nhi Alok,please..aap aisa mat kijiye.....aapko kuchh ho gya to mai jee ke hi kya karungi.....Sadanand babu , Mujhe manjoor hai....aapki har baat manjoor hai.....mai chalungi aapke saath......Alok se fir kabhi nhi milungi.......maaf kar dijiye.....please......Runa baaji ,bolo na aap...please Runa baji...mere Alok ko kuchh hua to....." kajal ye sab dekh kar bahut dar gayi thi, wo phoot phoot kar rone lagi...Is haalat ki jimmedar wo khud ko maan rhi thi.........usne ye to kabhi nhi chaha tha....Runa khamosh thi, har baar kurbani Kajal ne di thi, aaj Alok ki baari thi, Runa khamosh hi rhi. kuchh doori par khade jumman se ye sab bardasht nhi ho rha tha...ek aadmi gun ke saath thik uske pichhe khada tha....aaj kitna bebas mahsoos kar rha tha wo..uska apna ghar apna gaon...lekin wo kuchh kar nhi paa rha tha...kaash use pata rha hota ki ye haalat honge to wo bhi "taiyaar" hokar aaya hota mumbai se hi. .... Use poora yakeen tha ki ek minute ko agar Alok bich se hat gaya to Kajal aur Runa ki jaan lene me Sadanand ko ek pal nhi lagea....Alok bhale nadan tha,jumman ne ye sab bahut dekha tha aur yhi vajah thi ki wo bahut bechain ho rha tha



Alok, dekho.." Sadanand kuchh kahne ke andaaz me aage badhe, aur jaise hi Alok ka dhyaan hata pichhe se uske sar par waar hua, is se pahle wo sambhal pata uske paas khade 3-4 aadmiyo ne use daboch liya. Usi pal furti se Jumman ne apne paas khade aadmi ke haath se ek jhatke me gun chheeni aur Sadanand ki or daud laga di.........Sadanand ne jhapat kar niche giri Gun uthayi aur jumman ki or fire kar diya...... "Dhaayen !!! " ek saath do do goliyon ki aawazen gunji aur us tej aawz ke bich ek dardnaak cheekh dab kar rah gayi.



 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Update 14
Dandanaate huye aur gadiyo ke bich rasta banate huye Safari ghusi chali aayi aur uske bahar latakta hua Sheraa...haath me gun taane , jiske nishane par the Sadanand chauhan....uske gun se chali pahli goli Sadanand ke haath par lagi thi aur gun chootkar door ja giri thi ...unka poora haath lahuluhaan ho gya tha....Sadanand ke gun se chali goli Jumman ke right thigh me lagi thi aur wo kuchh door pade karaah rha tha. Apne haath ko pakde Sadanand un bin bulaaye mehmaano ko ghoor rhe the.....Uske nishane par Sadanand the aur Sadanand ke ke saare aadmiyo ki bandook uspar tan gayi thi.....ek do goliya bhi chali lekin abhi Safari ruki nhi thi ,shayad isiliye kisi ko lagi nhi...


Jaise hi Safaari ruki Sabki nazar gadi me baithe baki logo par gayi....gadi ke andar Anjali par nazar padte hi Sadanand chikh uthe "koi Goli nhi chalayega....." Safari ke rukte hi Shera niche kooda aur vaise hi apni gun taane Sadanad ki or badh gaya.. "Aise ku ghoor rhe ho be Neta jee, Shera naam hai apun ka , nishaana bahut achcha hai apun ka...dekha na tu...........shukr manao ki abhi mera mood thoda kharab hai isliye goli tere gun par chalayi, achche mood me hota to ab tak sar na rahta tere kandhe par...abe tum sab gun niche karo nhi to gaye tum logo ke ye Neta jee...abe samajh nhi rhe ho kya..." Shera ne dhamaki di , par asar na hua........Sadanand ek tak use ghoor rhe the jabki whi thodi doori par pada jumman karah rha tha aur shukriyaa bhari nazro se shera ko dekh rha tha. "kya jumman miyaan, akele chale the qila fatah karne...fat gayi na....bola tha na ki tujhe to mai hi marunga....chal apna hisaab hota rahega....abe jumman! yee sab mere ku bahut halke me le rhe hain...dikhau kya jalwaa...."Shera ab dheere dheere mood me aane laga tha aur use dekh Jumman ke chehre ki chamak bhi laut rhi thi....Kya khoob dushmani nibhayi tha Sheraa ne. Idhar Alok aur Kajal dono sakte ki halat me the.......in sabke bich un teeno aadmiyo ne bhi apni gun shera par taan di thi jinhone ab tak Alok ko pakad rakha tha..Alok ne furti se Sadanand ke haath se chhitki huyi Gun utha li aur Sadanand par taan di...,Sadanand sann ho gaye ye dekhkar.....whi haal Gadi se bahar nikalti Anjali ka bhi thi. Kuchh pal ke liye mano waqt ruk sa gya tha....sab ekdusre ki or sawaliya nazro se dekh rhe the. Sabke hi chehre par hairaani thi...Sadanand hairaan the ki Alok ne unpar gun taan di...Alok hairaan tha Anjali ko yha dekhkar aur Anjali



hairaan thi ki uske bhai aur baap aaj ekdusre ki jaan lene ko taiyaar ho gye the.Sophi bichari kajal ki tarah hi dar gayi thi...gadi ke ke kone me sar niche jhukaye dubki thi.. Is se pahle ki Anjali Alok ko kuchh kahti uski nazar Alok ke paas khadi Kajal par padi....Anjali ki aankho se aansu nikal gaye.....Aaj kitne dino baad wo kajal ko dekh rhi thi...aur wo bhi kis haal me....Kajal ne bhi Anjali ki or dekha, aankho ne chand boond moti uske sawagat me bhi chadha diye. Sab hairaan the , lekin sabse jyada hairaan thi Kajal..jaise hi uski nazar us shakhs par padi jo Anjali ke saath aaya tha....mano hazaar volt ka current laga use......Kajal ko kuchh kuchh yaad aa rha tha....pahle to nhi pahchan paayi lekin ab dheere dheere pahchan gayi thi.... kaise bhool sakti thi use !!! Sab chup the Alok ki garaz ne sabki tandra todi.... "Bahut tamasha bana liya aapne , ab bol dijiye apne aadmiyo ko, ek minute ke andar sab yha se chale jaayen, nhi to mai aapko goli maar dunga....." Alok ki baat par sab log jaise sadme ki halat se bahar aa gaye...Sadanand ka sar sharm se jhuk gaya tha...Runa ke chere par garv tha...jis muhabbat ke liye wo lad rhi thi aaj usne saari haden tod kar use sahi saabit kar dia tha....Kajal bhi sann thi... Anjali ko vishwaas nhi hua apne kano par...wo bhai jisne kabhi apne papa ki ek baat nhi taali thi, jiske liye uske papa bhagwaan se pahle aate the, aaj us bhai ne kaha tha ki mai aapko goli maar dunga...ek pal ko dahal gayi Anjali Alok ka ye roop dekhkar,.... cheekh padi....


Bhai, papa hain wo apne..."Anjali ki aankhe dabadabba gayi thi...kaise koi beti ye baat bardasht karti, lekin iska jimmedar kaun tha?? Kash Anjali ko pata hota. Alok ne bhi nam aankho se Anjali ki or dekha..............aur ek behad sard lahje me bol pada.... "Papa hain behan ??....haan papa to hain.....to puchh na papa se,kyu jaan le lena chahte hain is masoom ka...puchh papa se kyu chheen lena chahte hain mere jism se meri rooh...puchh papa se kya galti hai meri Kajal ki.......aur puchh papa se , kisne thama di mere haath me ye bandook..."Alok bahut dard me tha aur ek bahan se jyada uske bhai ka dard kaun samjhataa.... Anjali ki aankhe to pahle se hi nam thi, Alok ki baat par aansu bah nikle...nazre Sadanand ki or uth gayi...jawab maang rhi thi shayad..Sadanand ke paas jawab tha hi kaha..?? "Anjali tu to jaanti hai na Apni kajal ko !!...bata ,kaise chhod deta mai ise...jaan basti hai meri isme...dekh mujhse alag hokar ye kya ho gayi...ek baar shayad kismat ne hme juda kar diya...fir mile to apne papa ne hmesa ke liye ise mujh se chhin lena chaha..........kya karta mai Anjali...lad gayaa apni muhabbat ke liye....aur mai pichhe nhi hat sakta..."


tujhe tera bhai galat lage to le...utaar de mere seene me ek goli...kyuki mere jeete jee to kajal ko koi chhu nhi sakta...fir chahe wo koi bhi ho........" Alok toot gaya tha aur shayad us se bhi jyada dard me thi Anjali. Anjali lagatar apne papa ko dekh rhi thi...unki to laadli thi...lekin aaj uske papa us se nazre chura rhe the... "papa, kuchh to boliye..." "haan....haan..kiya maine ise marne ka prayas......aur mujhe koi pachhtwa nhi....koi bhi shakhs ek Tawaif ko apne ghar ki bahu nhi banayega.........tu nhi jaanti beta...iski maa bhi tawaif thi.......iska khandani pesha....... " "basssss papaaaa........."Anjali buri tarah se cheekh uthi..... " Sharm nhi aati kisi ki majboori ko pesha kahte huye aapko !!! ....Tawaif hona koi dhandha nhi, koi pesha nhi, sirf ek laachari hai...ek aisa daldal hai jisme majboori ki bediyaan pahni ek aurat dhasti chali jaati hai,aur duniyaa ke liye “dhandhewali” ban jaati hai." "Papa,ye to aapne dekh liya ki wo ek Tawaif hai,lekin kabhi socha kyu hai wo Tawaif......socha itni si umr me kyu pairo me ghunghroo bandh kar wo naach rhi hai....kyu wo aankhe itni sooni si hain...kyu un aankho me sapne nhi hain...kyu aapko un aankho ki veerani nhi dikhti aur kyu is kajal me aapko aapki Anjali nhi dikhti......." Anjali aansuo ke bich bolti chali ja rhi thi aur wha maujood har shakhs ki aankhe nam thi..........Sadanand ko aaj aayina dikha diya tha unki


beti ne. "Papa ,wo Tawaif ban gayi aapki beti ke liye....sirf isliye ki aapki beti kisi kothe ki Tawaif ban ne ko majboor na ho jaaye...... is pagal ne apne hisse ki khusiyaa bhi meri jholi me daal di....... wo tawaif bani aapke ghar ki ijjat ke liye......aapki ijaat ke liye papa... " Anjali foot foot kar rone lagi...Alok ekdam sann tha......Sadanand ka bhi whi haal tha...kajal,Runa aur Jumman ki aankho se aansu nikal rhe the. Alok nazro hi nazro me apni muhabbat ke sadke kiye jaa rha tha....uffff! ! kitna dard tha us pagli ki aankho me. "Papa ! kasoor mera hai aur agar Tawaif hone ki sajaa maut hai , To sabse pahle wo sajaa mujhe milni chahiye, kyuki is masoom ke Tawaif banne ki vajah mai hun" Anjali ne apne aansu ponchh liye, uske chehre par ek sakhti thi. Sadanand ki aankho me dekhte huye boli.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Update-15
-----------Anjali ka chehra sakht ho gya tha..Alok aur sadanand use hi dekhe jaa rhe the...aur kajal...wo pagli ek baar fir se ro rhi thi.Kajal ko kothewali, dhandhewali aur ran*** ki galiyon se nawaazne waale Sadanad baabu aaj bebas khade the...unki apni beti ne unhe ek tawaif ka asli chehra dikha diya tha. Sadanand jyada kuchh kah paane ki haalat me nhi lag rhe the tum sab jao yha se...ise le jao paas ke kisi hospital me admit karwa do..." Sadanand ne jumman ki taraf ishara karte huye apne aadmiyo se kaha..aaj jab apni khud ki beti ki ijjat sar-e baazar aa gayi thi ahsaas ho rha tha ki kitna dard hota hai jab kisi ke beti bhari mahfil me ruswaa hoti hai to.. kisi ne kuchh nhi kaha, Sadanand ke chehre par ek mayoosi ka rang tha aur ab wo rang gusse me badal rha tha. unke saare aadmi gadiyo me saawar ho gaye.... kuchh ne jumman ko pakad ke uthaya aur dheere dheere gadi ki or le chale .... Kajal ne badi shukrgujar nazro se Jumman ki or dekha aur haath jod diye...Jumman ki aankho me ek chamak thi....jo karna chaha tha wo kar diya tha usne...kajal Alok ke paas thi uski zimmedari poori ho gayi thi... kajal ko dekh muskuraya aur ek aadmi ka kandha pakade huye dheere dheere gadi me baithne laga. "shukriyaa Sheraa...tera ahsaan rahega mujhpar...kabhi mauka mila to is ahsaan ka badlaa jumman jaan dekar bhi chukayega.." Jumman ne Sheraa se kaha, jawab me sheraa ne ghoor kar use dekha..fir thoda sa muskuraya.. "shukriyaa jumman " Runa ki aankho me aansu the, kabhi socha nhi tha usne ki jumman itna kar jaayega kisi paraye ke liye...Kajal se bhala uska rishta hi kya tha...Alok ki aankhe bhi nam thi...aur wo bhi jumman ko usi apne pan se dekh rha tha...aage badha aur jumman ke haath pakad liye...


jumman bhai, aapka ahsaan kabhi chuka nhi paunga....lekin kabhi koi jarurat pad jaaye to aazma jarur lena..." "kajal ko kabhi chhodna mat Alok babu, bas ...fir milunga.." Jumman ne kaha aur gadi ka darwaza band kiya .Sab gadiyaa ek ek karke chali gayi...Laila apni car se bahar nikli lekin whi khadi rahi.... Sadanad ne shayad isiliye sabko bhej diya tha kyuki ab shayad jo khulasa hone wala tha wo unhe bahut nagwaar gujarata...aisi aashanka unhe ho gayi thi. Kajal, Runa,Alok, Anjali aur uske saath aaya wo ladka, Sophi, Sadanand , Laila aur Shera,...bas itne log hi rah gaye the... Kajal begunaah hote huye bhi sabse nazren chura rhi thi...Alok se bhi door door hi thi..Runa ke pichhe is tarah se chhupi thi mano koi paap kar diya ho usne. Sadanand jinko bhej sakte the bhej chuke the...ab jo wha maujood the ya to unka in sabse vasta tha ya fir wo Sadanand ki baat maane ko majboor nhi the...ab sheraa ko kahte jaane ko to kaun sa wo maan jata.

"ye sab kya hai Anjali...batao mujhe....kya majaak laga rakha hai......aur tum kaise vajah ho iske kothe par pahuchne ki..." Sadanand ab gusse me the. "maaf kar dijiye papa, aur na kar sake to sajaa de dijiye jo chahe......Lekin ab khamosh nhi rah sakti......"Anjali ne kaha aur Kajal ki or badh gayi uska haath pakada aur khinch kar apne saamne kiya. kajal sar jhukaye thi aur aankho se aansu bahkar uske pyaare gulabi galo ko bhigo rhe the.....Anjali ne apne hatho se pakdakar uska chehra upar uthaya....kajal ne uski aankho me dekha aur uske gale lag gayi aur phoot phoot kar rone lagi....kajal ka har aansu Alok ke dil me ek teer ki tarah chubh rha tha...kuchh bhi to nhi kar paya tha wo apni muhabbat ke liye....Anjali bhi uske gale lagi jor jor se rone lagi. "kajal...ye kajal...mat ro...please ab mat ro kajal...bahut ro liya tune...maaf kar de apni is dost ko,...maaf karde meri bahan....."Anjali kajal ko chup kara rhi thi aur khud bhi ro rhi thi.Sadanand kuchh bol nhi paa rhe the. "Anjali, aap kyu aa gayi yhaa...kyu aa gayi aap...dekho aapki kajal kya se kya ho gayi....maut ne bhi gale nhi lagaya ,lekin maut se bhi badi saja mili mujhe....jaane kya gunaah kiya tha maine....." Kajal ke aansu nhi tham rhe the, bar

se dabaa dard aaj phoot padaa tha.Alok ne aage badhkar kajal ke sar par haath rakha...kajal ne ek pal ko bheege nazaro se use dekha aur fir alok se lipatkar rone lagi. Runa ko to sab pata hi tha aur kudarat ke is chamatkaar ko dekhkar baar baar uski aankhe bhi nam ho rhi thi. "Kajal, tumne jo mere liye kiya hai wo kabhi koi apne kisi sage ke liye bhi nhi kar sakta....tumne to aisi kurbaani di hai jo sirf kisso kahaniyo me sun'ne ko milti hai,...kajal, tumhara imtehhan ab khatm ho gya hai....tumhare is pyaare se dil ki pukaar us rab tak pahuch hi gayi.....Kajal, meri or dekho..please." Anjali ne kaha. Kajal ne sar uthakar Anjali ko dekha... "Ise pahchan rhi ho....."Anjali ne saath aaye ladke ki or ishara kiya.... kajal ne dheere se haan me sar hilaya...wo ladka chuchap sar jhukaye khada tha. "ye sab kya ho rha hai...saaf saaf kyu nhi batati.." Sadanand ka sabr jawab de rha tha,guuse me bole.

Pleaseeee..!!" Alok unse bhi tej cheekh pada. Anjali ne Sadanand ki or dekha, fir Kajal se boli. "Kajal, ye mujhe U.k. me mila...mujhe sabkuchh batayaa isne....sabkuchh kajal...lekin aaj wo sabkuchh ek baar tumse sun'na chati hu......please ...bas ek baar.......kyu kiya tumne aisa...batao kyu kiya tumne ye......??" Kajal ke aansu aaj ruk nhi rhe the...usne kabhi socha nhi tha ki use ye mauka bhi milega...kismat aur kudarat dono ne hi us'se muh mod liya tha ,lekin aaj bhi duniyaa me chamtkaar hota hai...Kajal ko yakeen ho chala tha. "batao kajal, kya hua tha...please batao...." Alok ne uske reshmi balo me pyaar se haath pherte huye kaha. Kjalal ne ek nazar Runa par dali, Runa ki aankhe bhi nam thi aur lab muskuraa rhe the,,aaj usne wo kar dikahaya tha jo uske liye kisi ne nhi kiya...ek sukoon tha Runa ke dil me...Kajal ne Lailaa ki or dekha, wo bhi ekdam chup thi aur bahut gusse me bhi lag rhi thi....Kjal ne ek baar Sadanand ki or dekha...aur saham gayi...sawaliya nazaro se fir se Alok

ki or dekhne lagi. "Daro mat kajal...Yakeen rakho mujhpar jaan ,aaj is duiyaa ki koi taaqat tumhe mujhse judaa nhi kar sakti......sabse takraa jayegaa tumhara Alok....meri kasam hai tumhe...batao...sab kuchh batao...."Alok ne uska haath apne haatho me lete huye ykeen dilaya use.... Sheraa whi thodi door par ek khaat khichkar aaram se baith hua tha.....shayad Sadanand par abhi bhi yakeen use nhi tha. Anjali ne Kajal ke kandhe par dheere se haath rakha ....Kajal ne uski or dekha aur Alok ka haath majbooti se pakad liya. "Alok jis din aap U.S.A chale gaye ,mujhe aapke ghar bulaya gaya....aapke papa se hi mujhe pata chala tha ki meri maa ek tawaif hai......aur ye bhi ahsaas hua ki ek tawaif ki beti hona hi ek sajaa thi......mujhe aapse door rahne ka farmaan sunaya gaya.......aapse hmesa hmesa ke liye door jaane ka farmaan...."Kajal ne jabardasti bah aaye aansu ki bundo ko saaf kiya aur bolti chali gayi.

mujhe apni maa se nafrat hone lagi thi.....lekin ek baar apni maa se milna chahti thi...puchhna chahti thi ki aisa kyu kiya unhone....mumbai gayi mai lekin meri maa is duniyaa se ja chuki thi !!...meri maa buri nhi thi Alok !!!...meri ma bahut achchhi thi......bahut achchi thi meri maa..." kajal ne ek nazar Runa par dali aur fir Sadanand par...Sadanand ne nazre jhuka li... Kajal ki aankhe fir se chhalak aayi.... ye dastaan kah pana bahut mushkil ho rha tha uske liye, lekin Tawaif thi, dard ki aadat ho chali thi, fir se bolne lagi.......


 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Update-16

Kajal bolti chali gayi...beeti huyi dardnaak yaaden usi aaj bhi kal ki huyi baat ki tarah yaad thi... “Mai mumbai me apne maa se milne gayi thi,lekin unke gujar jaane ki khabar se bahut toot gayi thi....kaisi bhi thi meri maa thi.” “Aap to pahle hi mere paas nhi the Alok ab apke saath ki umeed bhi na rahi.....meri maa bhi chali gayi thi mujhe chhodkar.....is poori duniyaa me koi mera na tha...maine soch liya tha ki mai kolkata hmesa ke liye chhod

dungi.......kaha jaungi, kya karungi,kuchh pata nhi tha, lekin kolkata hmesa ke liye chhod dena tha, kyuki wha rahkar aapse door rahna mere bas me na tha" Kajal ki sooni aankhe Alok ke chehre par jam gayi. Kajal aage batane lagi... "Mumabi se kolkata wapas mai apne hostel pahuchi, kuchh aisi keemti cheejen thi jinhe lene wapas aana pada.....apne room me mai aapse judi kuchh yaaden , kuchh tasweeren aur aapki chand nishaniya samet rhi thi ki jor jor se kisi ne darwaza khatkhataya...maine darwaza khola , Anjali thi." Kajal ne kaha aur chup ho gayi..........Anjali samajh gayi uski majboori. Ek lambi saans li Anjali ne aur ab usne kahani aage badhayi.. "College ke dino me hi mera Rajan ke saath....matlab hum dono ek dusre se pyaar karte the.....ya yu kahu ki mujhe ye galatfahmi huyi thi."Anjali ne ek dard bhari nigaah saath khade us ladke par daali........

Ek din Kajal ne hme dekh bhi liya tha saath me, lekin maine ise nhi bataya, kashh bata deti...ek shaam hum...hum..dono bahak..bahak gaye......"Anjali ne badi mushkil se ye alfaaz kahe the...apne bhai aur papa ke saamne aisi baaten kaise kar sakti thi koi ladki ,lekin aaj wo majboor thi. "Rajan ne mujh se shadi ka vaada kiya tha...lekin mujhe nhi maloom tha ki mere saath dhokha ho rha hai......"Anjali ne us ladke ki or fir nafarat se dekha. "Yhi Rajan hai.....Anjali ne us ladke ki taraf ishara kiya..." "isne hum dono ki video bana li thi aur mujhe tarah tarah se blackmail karne laga....paise ki baat tak to mai bardasht karti gayi..fir yha tak...ki..ki..mujhe apne dosto ke saath.......muhabbat kabhi thi hi nhi ise....."Anjali ki aawaz aansuo me bheeg gayi. Alok ka chehra gusse se laal ho gaya...tamtamaaya hua aage badha aur us ladke ka girehbaan pakad liya...Alok ke ghunse ki chot naak par padte hi wo ekdam ladkhadaa kar jameen par gir pada..... Alok apne pairo se use bure tarah maarne laga...Anjali ne jaldi se aage badhkar Alok ke aage hath jod diye.

Nhi bhai, ab nhi...please...ise Cancer hai......bas kuchh din hain....." Anjali ne rote huye kaha....Alok ko eka-ek jaise break lag gaya. Us ladke ki naak se blood nikalne laga tha...wo chuchap uthkar khada hua aur apna chehra saaf kar liya.....Alok dukhi man se aakar Kajal ke paas khada ho gaya. "Aage bolo" Alok ne kathor swar me kaha. Anjali fir se batane lagi........ "Bhai, aap is shahar me the nhi, aur shayad aapse ya papa se kahne ki meri himmat bhi nhi hoti......mujhe kuchh samajh me nhi aa rha tha ki kya karu,...ek kajal hi bachi thi jise mai ye bata sakti thi ..mai hostel pahuchi......Kajal ko sari baat batayi...apne dukh me dukhi mai ye bhi na samajh paayi ki kajal khud kitne bade dard me thi....kaash mujhe pata hota kajal...kyu nhi bataya tune mujhe , bata ...kyu..?"Anjali ne rote huye kajal se puchha. "Anjali , jab tum mere paas aayi ,us samay mera man bahut dukhi tha...mere paas jeene ki koi vajah na thi...lekin tumhari baat sunkar ek vajah mil gayi thi...maine use samay soch liya tha ki kya karna hai..."


Anjali ki baat sunkar jaise mujhe ek maksad mil gaya tha...maine Anjali ko ye kahkar wapas bhej diya ki mai use milkar smajahungi . Ise yakeen dilana aasana na tha lekin maine samjahaya ki ek kosis karne me kya burayi hai, aakhir Anjali maan gayi.....maine Rajan ka phone number liya...baat ki phone par, jitna maine socha tha ye us se kahi jyada kameena nikla...."Kajal ne ek nafarat bhari nigaah kuchh door khade Rajan par dali... “Ummeed to mujhe pahle bhi nhi thi lekin is se baat karke yakeen ho gaya tha ki yo kya chahta hai. kisi bhi keemat par ye samajhane wala nhi tha” "Rajan ne kayi baar mujhe dekha tha anjali ke saath, isne khud mujhse kaha...isne mujhse bhi whi chaha jo isne Anjali ke saath kiya tha...aur badle me isne mujhe wo video tape dene ka vada kiya.....mai achchhi tarah se samajh rhi thi ki Anjali ko is daldal se nikalne me mai khud usi daladal me fansne ja rhi thi...aur ye bhi achchi tarah se jaanti thi ki ye sauda sirf ek dhokha tha..wo clip ye kabhi mujhe nhi dega...” “mere paas sirf ek hi rasta tha..... jeene ki koi vajah nhi thi, maine soch liya tha ki pahle is kutte ko khatm karungi aur fir khud ko....kam se kam apni dost ke kise kaam to aa sakungi....uski zindagi to bach jayegi.... badi mushkil se ek gun ka intzaam kiya aur iske bataye jagah par pahuchi......"Kajal Alok ka haath apne haatho me liye bolti jaa rhi thi. "Mujhe nhi pata tha ki mere andar itni himmat kaha se aa gayi thi..........shayad jeene ki khwahish khatm huyi to marne ka dar bhi khatm ho gaya tha........mai wha pahuchi........iske saath do log aur bhi the us kamre me....aur ab mujhe lagne laga tha ki jo mai soch kar aayi hu wo kitna mushkil hai......" " Is se pahle ye mere saath kuchh karta maine wo clip dikhane ko bola , jo isne mujhe dene ko kaha tha..., iclip sne

dikhayi mujhe............ab mujhe kisi bhi tarah se wo clip is se lekar use destroy karna tha......mai ye bhi samajh rahi thi ki ab mere saath kya hone wala hai...maine bina koi der kiya is par gun taan di.....aur isse wo clip maangne lagi...." "mujhe pata tha ye dega nhi, aur ise bhi lag rha tha ki mai sirf daraa rhi hu....maine iske ek saathi ke pair me goli maar di.......jis se ise yakeen ho ki mai sirf dara nhi rahi....aur aakhirkaar darkar isne me wo clip mere hawaale kar di...” “ Is se pahle ki mai in sab ko goli maar kar khud ko khatm kar paati pichhe se koi bhari chij mere sar par lagi , mere haath gun par apne aap kas gaye aur ek goli aur chali aur usi ke saath ek cheekh bhi gunji.........kise lagi, kahaa lagi mujhe kuchh pata na chala......aankho ke saamne andhera sa chhane laga...aur behosh hone se pahle jo aakhiri baat mujhe yaad thi wo ye ki maine wo clip paas me rakhi sharab ki botle me daal di thi....." Anjali ki aankho me aansu the, kitna kuchh kiya tha Kajal ne uske liye.....Alok ki aankhe bhi bhar aayi thi..kuchh door khade Rajan ko aise ghoor rha tha ki uska bas chale to tukde tukde kar de abhi uske. Sadanad ek dam chup the..jaise jaise kajal bolti jaa rhi thi unke chehre par bhi dard ki lakeere badhti chali jaa rhi thi. Kajal ne ek nazar Rajan par dali aur fir Lailaa par...fir se bolne lagi... "meri aankh khuli to pata chala ki mai police station me thi....ek baar ko laga ki shayad kuchh achcha hoga mere saath

ekin mai galat thi....ek kamre me mai thi aur 3-4 police wale aur ye " usne Lailaa ki or ishaara karte huye kaha. "Police inspector mujhe kisi bhediye ki tarah ghoor rha tha...mai samajh gayi ki sirf chehre badle the , haiwaniyat yha bhi utni hi thi....wo inspector mujhse bola.. "chhori, wo ladka to mar gya jisko teri goli lagi thi.......ab to tujhe faansi hogi faansi !!...par mai bacha sakta hu tu kahe to..."isne ek hawas bhari nazar mujh par dali... Mai itni majboor thi ki kuchh kah nhi paa rhi thi.. Lailaa mujhe badi der se ghoor rhi thi...fir isne us inspector ko bahar le jakar kuchh kaha..aur fir kuchh der baad Lailaa mere paas aayi... "Dekh chhori, tu mujhe badi seedhi lag rhi hai isliye teri madad karne ko dil chah rha hai...fans to gay hai tu buri tarah se...aur faansi to chhod, ye police wale tere saath kya kya karenge tujhe nhi maloom...are ye to sabse bade..........khair chhod, koi hai jise bulana chahegi...??"mai lailaa ki baat ka matlab kuchh kuhch samajh rhi thi, lekin kise bulati, tha hi kaun mere paas...?? "Dekh, un laundo ne paise de diye hain aur bayaan ye diya hai ki tu ek randi hai aur apni marji se wha gayi thi...fir paise ki baat pat tune goli chalayi...aur uska dost maraa gya...ab meri baat sun, pahli baat to ye ki jaisa mujhe samajh


me aa rha hai tera koi hai nhi is duniyaa me, dusri baat ye ki ye police waale aaj raat tere saath sabkuchh karenge.......sab kuchh samajh rhi hai na.......aur teesri baat , ab ye har roj hoga tere saath jabtak tujhe umr kaid ya 2025 saal ki sajaa na ho jaaye.." Lailaa mujhe samjha rhi thi ya dara rhi thi mujhe nhi pataa, lekin uski baaten bebuniyaad nhi thi. Mai kuchh kah paati is se pahle Laila ne wo kaha jiske baad mai kuchh aur soch hi na saki.... "Aur wo video clip bhi hai mere paas, us launde ko paise diya hai na maine....us clip ke andar ka sara "saaman" nikalwa liya hai maine...wo ladki jiski video hai kaun hai re....??? " Laila meri haalat se luft le rhi thi, lekin mai kuchh nhi kar sakti thi.... ab mai aur jyada majboor thi...mujhe lag rha tha ki meri vajah se wo clip ab is chudail ke paas aa gayi thi aur Anjali ki ijjat bhi iske haath me thi. Maine pahli baar Lailaa se baat ki.. "aap..aap kaun ho.....aur yha kyu aayi ho ??......aur kya help karogi aap meri...??" "Haan, Rajaaaa !!!!,,,ye ki na tune mudde ki baat...to jaisa ki maine bataaya, mera nama Laila hai...sangeet premi hu.........mumbai me rahti hu...mera dhandaha.....matlab mera kaam dham yha bhi hai,,abhi kuchh panga ho gya tha to is inspector ko paise khilaane aayi thi.....” “teri jaisi aur bhi ladkiyaan hai na mere paas.........wo kya hai na meri kuch ladkiyon ko pakad liya tha isne...bahut bada kamina hai,lekin paise ke liye kuchh bhi karta hai..." Laila bata rhi thi aur ab mai sab samajh rhi thi wo kya kah rhi hai.

Abhi dekh, mai ise paise khilayegi,iske raat ka jugad karegi....aur bhi bahut kuchh karna padega...us ladke ko bhi paise degi,sab maamla set kar legi...lekin tujhe mere saath chalna hoga...jaha mai le chalegi...aur aaj se tu whi karegi jo mai kahegi...bol majoor hai....." Meri aankho se aansu bah rhe the lekin aisa koi tha nhi jise mere aansuo ki parwaah ho....mai sar jhukaye sunti rahi. Isne clip aur ladki ki video ke baare me jo kaha us se mujhe yakeen ho gaya tha ki us clip ka data recover karwa liya tha isne....... Lailaa ne uske baad bahut der tak inspector se baat ki.....Mai chah kar bhi kuchh kar nhi sakti thi..... mai iske saath aa gayi....mai ye nhi kahungi ki mujhe pata nhi tha ki mai ek kothe par jaa rhi hu, lekin ye jaanti thi ki agar mai us raat na aati to bhi meri aabroo ki dhajjiyaan ud chuki hoti...... mere paas koi rasta nhi tha......khud ko kismat ke hatho chhod diya . Ek baar us jagah pahuchi to samajh me aane laga ki mai akeli nhi thi. Wha majud har ladki ki aisi hi daastaan thi...har ladki kisi apne, ya kisi dhokhe ka shikar thi........mujhe lagne laga tha ki meri maa ki bhi jaroor koi aisi hi majboori rahi hogi.....lekin meri maa tab bhi mujhe meri gunahgaar lagti thi...tab tak ,jab tak Runa baji ne sab sach nhi bataya unke baare me. Jab itni saari mujh jaisi, zahar ka ye ghoont har roj has kar pee jaati thi to mai kyu nhi.......jab meri jaise hazaro whi dard seene me lekar jee rhi thi to mai kyu nhi... Usi din se maine jaan dene ka khyaal chhod diya......aur ek baar pairo me ghunghroo baandhe to fir har dard har takleef unki jhankaar me dab kar rah gayi...aankho ki nami kisi ko dikhti hi


nhi, dikhti thi to sirf hotho ki hasi. Kajal apni baat kah chuki thi, Anjali ka chehra aansuo se bheeg gya tha...Alok ke aankho me dard tha aur chehra par gusaa...wo kabhi Laila ko ghoor rha tha aur kabhi Rajan ko....Laila sabko ek saath dekhkar khamosh thi.....usne hmesa yhi socha tha ki us clip ke baare me kahkar wo Kohinoor se apni har baat manwa legi , aur badle me Sadanand se moti rakam mil jaayegi.....lekin uski har chaal naakam ho gayi thi, aur ye kudarat ka insaaf tha jo waqt par Rajan aur Anjali ko bhej diya tha..Laila kasmasaa kar rah gayi. Anjali aage badhi....... “kajal ! kaise bardasht kar gayi meri jaan, kaise ??...itna dard..!!..kaise pee gayi tu jahar ka ye ghoonth......” “Kajal ! tujhe nhi pata....is kutte ne...Rajan ne sab bataya mujhe.......na to wo ladka teri goli se mara tha na wo clip Laila ke paas thi.....wo ladka inspector ke enconter me mra tha aur wo clip tune poori tarah se destroy kar diya tha..... koi clip nhi thi Laila ke paas.......inspector ne paise liye aur lailaa ne apne kothe ke liye tera sauda kiya.......”


Laila Raajan ko pahle se jaanti thi...us din police station me usne ise clip ke baare me bataya ....Is lailaa ne tujhse jhooth bola taki tu kabhi wha se bhagne ki kosis na kare...kyuki ise pata tha jiske liye tu jaan tak dene ko taiyaar thi uske liye kuchh bhi kar sakti thi.....aur inspector ne tujh se jhoot bola , vajah tu khud jaanti hai...." Anjali ro rhi thi ..uska rom rom aaj Kajal ka karzdaar tha. Sab log shaant the....Lailaa aur Rajan apne gunaho wale kaale chehre ko ujaale me dekh nhi paa rhe the...Sadanand sharm se sar jhukaaye khade the......jiske liye har kadam par kaante boye usne unki ijjat bachane ke liye khud apni raah me kaante bo liye the.....Alok aur Anjali ki aankhe kajal ki deewanagi par nam thi...... Runa aur Shera aisi muhabbat par fakr mahsoor kar rhe the. Aur Kajal, sirf sooni sooni aankho se apni hatheli ko dekh rhi thi...shayad kuchh dundh rhi thi.....kaha kho gayi thi itne dino se wo muhabbat wali lakeer???.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Update-17

Alok ne kajal ko gale se laga liya... "kya muhabbat nibhayi hai tumne jaan....i love you...maaf kar do apne Alok ko kuchh kar nhi paya mai....." kajal Alok ke seene se lag gayi... Anjali ki aankho me khusi ke aansu the.....whi haal Runa aur Shera ka bhi tha..Sophi bhi ab thodi sahaj lag rhi thi....aur uski aankho me bhi aansu tair rhe the..

"kajal!" Rajan ne badi himmat karke dheere se pukara. Kajal Alok se alag huyi aur uski or dekha.....wo dheere dheere chalta hua kajal ke paas ayaa.... "maafi ke layak to nhi hu..kyuki mere maafi maang lene se tumhare zindagi ke wo keemti saal wapas nhi aa jayenge....lekin kajal mujhe mere kiye ki sajaa mil gayi hai...til til kar mar rha hu......har roj ek maut marta hu....kajal ! wo sab hone ke baad maine apne gang ke liye ek murder kiya...kanoon se bachne ke liye mujhe U.K bhej diya gaya....wha par bhejkar mujhe mere hi logo ne akela chhod diya.." "kuchh din hi huye ki meri tabiyat bahut jyada kharab ho gayi....Dr. se pata chala ki mujhe cancer ho gya hai kajal......shayad Anjali ko dhokha dene aur tumhari zindagi barbaad karne ki saja mili hai mujhe...mere dono gurde kharab ho gaye hain....." Rajan ki aankho se aansu nikal gaye. "Ilaaj to door mere paas india aane ke paise nhi the.....mujhe samajh me aa rha tha ki tum jaisi masoom ke sath jo kiya maine uski sajaa mujhe mili hai..........har roj mandir jata tha ki kisi tarah ek baar marne se pahle tumse mil lu....tumhare aur Anjali ke pairo par sar rakhkar maafi maag lu...shayad dil ka dard kuchh kam ho jaaye......aur aakhir shayad bhagwaan ko mujhpar taras aa gya.... ek roj mujhe Anjali mil gayi..."


Rajan ke chehre par pachhtawe ke bhav the aur aankho me yachna...lekin bahut der ho chuki thi aur uska paap kudarat ke kanoon me maafi ke layak na tha. "Anjali se maafi maang li maine aur sabkuchh bata bhi diya...sach jaankar khud ye mujhe yha le aayi.......mujhe maaf kar do kajal...maine tumhari zindagi barbaad kar di...mujhe maaf kar do...please forgive me.." Rajan kajal ke saamne apne ghutne ke bal baitha haath jode ro rha tha. "chal ja kutte yha se........koi maafi nhi......." Sadanand ne jhatke se uska gala pakda aur dusri or jameen par dhakel diya. "Sadaa babu.....!! " Runa chilla uthi... "Mohini , kajal ki maa tawaif bani, aap chahte to wo bach jaati....aap bhi saajhe daar the.....galtiyaan to aapne bhi kam nhi ki hain....boliye khud ko kya saja denge aap....." Runa ne gusse se unhe ghhorte huye kaha. "jo tum kaho Runa" Sadanand ne hathiyaar daal diye the.


Mai kaun hoti hu kuchh kahne wali, "Runa ne sard lahje me kaha. "Maine tumhe maaf kar diya Raajan ..."in sab ke bich ek dheemi si aawaz Kajal ke hotho se nikli. Rajan ke aankho se aansu bah rhe the, usne shukriya bhari nazro se Kajal ko dekha aur haath jod diye. Alok ne kajal ka matha choom liya aur apne saath lagaye gaadi ki or badh gaya. Sophi, Runa aur Sheraa bhi unke pichhe pichhe chal diye.......Laila whi khadi rhi. "Laila, dua karna ki fir kabhi tera mera saamna na ho...maine aaj tak kisi aurat ki jaan nhi li hai, lekin koi kasam bhi nhi khayi hai.."Jaate jaate Shera gurrate huye Laila se kahta gaya. Kajal ek pal ko thithki , Laila ki or gayi do kadam...


"Laila baji, har tawaif ki tarah aapki bhi jarur koi majboori rahi hogi, lekin ek baat kahe jaati hu....aapke saath jo hua uski saja kisi aur ko to nhi milni chahiye na.......wo saari ladkiyaan aapi beti jaisi hain....kabhi maa ban kar sochiyega, har kadam par khud ko galat lagengi aap.....ek aurat hokar ek aurat ki majboori ka fayda uthaya aapne....khuda na kare ki kabhi kisi masoom ki aah lag jaye aap ko, ek pal me sab khtam ho jaayega......khuda Hafiz Laila baji.." Kajal ne kaha aur Alok ke saath chal di. Laila ko sar jhuka hua tha sharm se..kajal ki baaten seedhe dil par lagi thi, kudarat ke kayi karishme to aaj usne khud dekhe the...jinhe kanoon sajaa na de paya unhe kudarat ke kanoon ne diyaa tha...Lailaa ne ek baar kajal ki or dekha lekin kuchh kah na saki. Shayad kahne ko jyada kuchh tha nhi uske paas.Lekin badalane ko bahut kuchh tha. "kajal" Sadanand ne pahli baar use uske naam se pukara tha. Alok aur kajal dono hi ruk gaye.. "mujhe bhi maaf kar do......"


kajal ne mud kar unki or dekha... "jee, kar diya maaf....." bas itna hi kaha usne. "Alok !, kaha jaa rha hai..ghar chal beta..." Sadanand fir se bole. "Papa ! mai apni kajal ko lekar yha se jaa rha hu...agar kabhi aapko maaf kar paya to jarur laut aaunga....aur ek baat aapse kah kar jata hu....- koi masoom Tawaif banti hai sirf isliye ki aap jaise safedposh chahte hain ki wo tawaif bane......aap jaise logo ko wo sirf ek jism lagti hai....kyuki aapke andar ka insaan mar gaya hai.....unki peeda nhi dikhti aapko......dil rota hai fir bhi wo hasti hai, un hotho ki hasi ke pichhe ek dard hota hai aur har us dard ki ek kahani hoti hai.........jis din aap ki soch badal gayi, koi ladki aapko Tawaif nhi lagegi.. aur us din aapko uske ghunghruon ki jhankaar nhi uske aanksuo ki pukar sunayi degi ..aur Tab aapko har kohinoor me ek kajal dikhayi degi....ek Anjali dikhayi degi..." Alok muda aur kajal ko khud me samete chal diya.Sadanand aur Laila dono ke liye bahut kuchh rah gya tha sochne aur karne ko.


Waqt aur haalat ke thapedo se ladkar apni muhabbat ki kasti ko sahil tak le aayi thi kajal, har jakhm , har dard bardasht kar gayi, shayad isiliye kar paayi kyuki wo Tawaif thi aur Tawaif ka matlab hi dard hota hai .kajal ki muhabbat me shiddat thi, kabhi pana chaha hi nhi usne , bas har kadam muhabbat nibhati gayi thi, aur isiliye shayad aaj uski muhabbat uske paas laut aayi thi.......Aaj Ek Tawaif ki muhabbat jeet gayi thi.




The end
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Super-Moderator
61,971
46,996
354

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 

Shah40

Active Member
1,354
2,155
143
Top