• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 313 93.7%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 21 6.3%

  • Total voters
    334

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
vote here hay guys vote here for my friend mr. magnificent nd make him the biggest don of Foram.
 
  • Like
Reactions: Shanu

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Muje to kuch gadbad lag rhi hai khi aisa na ho new born ant sb s class ki faat ker rakh de
DeepHeart💘 bhai ab wo akele apne aura se pure JEJU island ko hila ke rakh diya tha. To kuch to karega hi wo:smartm::hint:
or last apne rider miya ko he ijjat bachani pade sb ki ja ker q valentine bhai khi aisa to koi plan nhi hai
Ab mera plan kya hai bhai ye to aapko wakt aane par pata chal hi jayega:hidee:
or hai wo sachin miya ko samjho khe ka plan b ker rhe hai khi aisa na ho plan b plan a se bhi zayada flop na jao phir wohi sada sa chehra le ker ghoomega sachin....... 🤣🤣🤣🤣
Sb jldi hi smjha jayenge bhai, aap fikar mat karo.
Aapka bahut bahut sukriya DeepHeart💘 bhai. Keep supporting ☺️👍
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट वेलेंटाइन राइडर भाई
शानदार अपडेट था मजा आ गया भाई
राइडर का खौफ बैठ गया रियूजी कोटों के मन में

जों अभी बहुत बुरा हूआ क्यूंकि आंट क्वीन बहुत पावरफुल आंट को जन्म दिया हैं जिसके ओरा मात्र से पुरे आइलैंड में भुकंप आने लग गया
ऐसे वक्त में कोटों का अपनें अंदर कमजोरी महसूस करना
दुसरे सभी के लिए जानलेवा हो सकता हैं
Ye to aapne bikul sahi kaha Zoro x bhai.
Lakin kahi na kahi Ryuji Koto ko bhi to uski aukat ka pata chlna tha. :hit:
Aur jab aapko uske real plan ka pata chlega aap sub log kud galiya doge use:hit:
राइडर अपने दिमाग का बहुत शानदार इस्तेमाल कर रहा हैं
वो जेजू आइलेंड में राइड में शामिल हैं
लेकिन किसी को पता नहीं
Nahi usne saaf mana kar diya hai chairman Xabhi ko. Wo kisi bhi tarah se raid ka hissa nahi hai.:nana:
राइडर की गिल्ड में तीसरा सदस्य कोई लड़की हीं होंगी
Aisa aapko kyu lagta hai bhai.:akshay:
अपडेट कमाल का था वैलेंटाइन राइडर भाई
Aapka dil se sukriya Zoro x bhai itne beautiful review ke liye.
Keep supporting ☺️👍
Nice👍
Bhai fight start ho na val
Bhai maj lagta ha sub hunter wat lagun wall ha bahut hunter muat ha ga is raid ma
Last ma hunter riders aan pad ga
Kya pata Anil p bhai kya hoga is raid me ye to wakt hi batayega. Lakin itna kah skta hu ki yaha bahut jyada bawal hone wala hai. Aur aapko bahut hi jyada maja aane wala hai. :happy:
Aapka Sukriya Anil p bhai is review ke liye.
Keep supporting ☺️👍
 
  • Love
  • Like
Reactions: Xabhi and Zoro x

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Ryuji Koto aur Rider ki fight ka nateeja Rider ki jeet hona tha, ye to pehle hi pata tha,
Correct:coffee1:
parantu kahin na kahin Ryuji se jitna expect kiya tha wo us se bhi kamzor types nikla...yahaan do possibilities hain, ki ya to Rider sach mein bohot zyada strong ho chuka hai ya fir jo aakriti Ryuji ne Rider ke pichhe dekhi, uske kaaran uska morale aur himmat dono hi khatam ho gayi thi...
Aapki dono hi bate sahi hai Death Kiñg bhai.
Quki apna Rider such me kafi Strong ho cuka hai iske bare me bhi aapko jldi hi pata chlega.
Ryuji fight khatam hone ke baad bhi dara hua tha us aakriti ke kaaran, abhi tak clear nahi hua hai ki asal mein wo tha kya, shayad koyi nayi ability ho Rider ki..?
Nahi koi new skill nahi hai. usne apne bloodlust skill ko activate kar diya tha. Jiske wajah se Ryuji koto ki uske aura ki image dekh kar hi fat gayi aur wo abhi tak sadme me hai. :popcorn:
Ek aur cheez jo saamne aayi hai wo, hai Rider ki shadows se judi ek nayi ability...
Shadow exchange :cool3:
Rider fight ke baad soch raha tha ki uske shadow soldiers ko koyi bhi apne shareer ke andar detect nahi kar paaya,
Ye usne kai reasons ke karan kiya tha. Jinme us time ka main kaam tha Kya S Rank hunturs uske shadow Soldiers ko detect kar pate hai ya nahiB-)
aur uske ghar ke pichhe jab us chor ke andar Rider ne apne ek Orc ko bhi bhej diya... Kya ye us naye title ke kaaran possible hua hai, jo Rider ko tower ke andar Demon King ko maarkar mila tha? Jiske zariye wo kisi ke shareer ke andar apne shadow soldiers ko bhej sakta hai... Iska effect ye bhi to possible hai ki is skill ke kaaran, Rider us shadow soldier ki jagah khud ko teleport bhi kar sake...
Rider apne Shadow ko kisi ke bhi human/huntur ya kisi bhi chij ke shadow me save krke rakh skta hai. :bigboss1:
Aur ha use Demon King BARAN ko maar kar hi Shadow Exchange ki new skill mili hai jo aage bahut hi jyada kaam aane wali hai. Aur ye mainly teleport ka hi kaam karti hai bas waha apne hero ka koi Shadow Soldiers phle se mujood hona cahiye. :hukka:
I mean, ki bhale hi wo soldier kisi ke shareer ke andar ho, but still agar Rider teleportation skill ka use kar paaya, to use Jeju Island jaane ki shayad zarurat hai hi nahi...
:noo:Body me nahi bhai sirf Shadow me hi rah sakti hai. Aur har live person ki ek Shadow to jarur hoti hai.
Jab zyada zarurat hogi, tab wo teleport karke wahaan pahunch sakta hai... Waise ab Rider ne Jeju Island par jaane se mana kar diya hai to mujhe nahi lagta ki baaki logon ke bas ki home waali hai, raid ko successfully complete karna... Dekhte hain ki Jeju Island par kya – kya hota hai...
Baki logo ke bs me bhi hai bhai aakhir sub S Rank hunturs hai. Lakin ye jo naya 🐜 ant aaya hai. Iske power ka trailer to aap bhi dekh chuke ho.
But ha JEJU island ke raid me aapko full maja aane wala hai. Her ek Update suspence se bhara hua hai.
Rider ke mutaabik uske Pita Aloknath ek raid ke dauraan gaayb huye the aur fir kabhi nahi laute...
Correct:coffee1:
Kavita ko abhi pata nahi hai ki Rider bhi ek hunter hai, I think use achha nahi lagega jaankar ki jis wajah se uska Pati gaayab hua, usi khatre ke beech ab Rider bhi maujood hai...
Tabhi to Rider nahi gaya. Ek reason ye bhi hai na jane ka.
Dekhte hain Rider kaise convince karega Kavita ko agar use is baare mein pata chalta hai to...
Hope so sub acha hi rahe:pray:
Idhar Kavya ab ek chhoti bacchi ke roop mein aa gayi hai aur mujhe lagta hai ki wo ye deserve bhi karti hai... Abhi mauka mila hai use apna bachpan dobara jeene ka to ismein koyi burayi nahi...
Bilkul sahi kaha aapne koi bhi ghar me sbse chota ho aisi situation me wo aur chota ho jata hai.:baby:
Rider ne bhi in dono ke hi kaaran, Jeju Island par jaane se apne kadam waapis kheench liye hain, par jaayega to wo zaroor, chaahe abhi jaaye ya baad mein...
Dekhte hai.
Idhar Jeju Island par ek nayi ant ka janm hua hai, joki baaki sabhi ants se zyada strong lag rahi hai... Queen Ant ki baaton se to yahi laga ki use sabse zyada ummeed isi ant se hai, dekhte hain ki ye kitni strong hai...
Trailer to dikha hi diya tha.:akshay:
Ek normal ant ne jo tabaahi machayi thi Japan mein, use dhyan mein rakha jaaye to kaafi hunters ki jaan jaane waali hai is raid mein... Meeting mein Hunters ne jo discussion kiya uske hisaab se bhi, evolution ek badi problem hai is raid mein... Wo log bas expect kar sakte hain ki kam hi ants ka evolution hua ho, warna...
:pray:
Beharhal, Ajay bhi is raid main participate karne waala hai, wo kaise maana, ye bhi ek sawaal hai... Ab shayad jald hi Jeju Island ka scene shuru hone waala hai...
Ajay ka reason pata chlega next update me. JEJU island suru ho gaya hai.
Rider ko jo log apna naam waapis lene ke liye darpok aur weak keh rahe hain, dekhna hai ki Rider kaise un sabke munh band karega...
Band bhi honge ya nahi:boredom:
Both the updates were really good bhai... Build-up towards the raid is becoming more intense.

Waiting For Next One...
Aapka tahe dil se bahut bahut sukriya Death Kiñg bhai. Aapne JEJU island se releted almost sari bate notice ki hai. Jo aapke ek bahut ache Reader hone ki pahchan batati hai.
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Bach gaye update time se de diya warna aj na chodne wala tha main.......
Angry Get Out GIF
Bach gaya:sad:
Hmmm toh raid ki planing badi duper duper dikhi muje....
Anjana rahul ko milakar thousands of hunter khud ba khud help ke liye agai sye h jo ki bahut acha support rahega...
Ha ab koi chota matter thodi hai ye. Her situation ke liye ready rahna cahiye.:bigboss1:
Par lol ye sangam ka lamba jikra huva h muje lagta h raid mai se koyi na koyi ant jarur bach kar sangam ke pass bhoond panga karegi sangam se aur uski hero giri picheade mai ghus jayegi.....
Ab wo to hai hi publisity wala banda jaha se milega wo to wahi phuch jayega lene. :hinthint:
Aur te hunter vivek ka bi jikra bada huva h jiski gf piche backup ke liye rah gayi h matlb vivek ki jaan shat pratishat khatre mai h....
Jay hai wo.
Matlab A rank hunters borders ko cover kiye huve honge aur hamla karenge ....matlab bawal fight hogi aur manish ki bato se ye feeling bi spast arahi h.....
Ye backup ke liye hai taki koi 🐜 yaha se bahar na ja paye.
Warplane ka jo jikra kiya h uski soon ke muje ek tom cruise ki movie yaad agayi ...janha sab aliens se ladne jate h aur solid dhunayi hoti h unki...
Edge Of Tomorrow name tha movie tha mujhe bhi wo pasnd hai. :vhappy1:
Aur aisa he yanha ho raha hunter ayat sachin jay hari jay ja rahe h ...aur jay ne kya firki li h sachin ki lol matlab saand bana diya sachin ko ....aur jay niche dekh raha tha us heesab se jeju iland ki toh maa behan rakhi h ...
Ab dosto ke bich hasi majak to chalta hi rahta hai. S Rank DENGOUN jaha open hota hai waha yahi haal hota hai.
Aur wo japenese raiyu ji lota ...wo sensitive naak wala kai aur wo transleter jo bi thi wo sab kya cover kar rahe h aur kaise attack karenge....
Wo baki ant's ka dhyan batayenge.
par ab asli point par ata hu muje string gut feeling kyo arahi h ki jaise inhone plan kar rakha h kya mutant ants ne bi planing kar rakhi h aur wo fly kar sakti h toh dur se he wo sabko dekh nahi lengi kul milake bhasad machegi aur rider ki kami khalegi...agai maza ayega na bheedu.....
Nahi Ant's abhi itni Intelligence bhi nahi hui hai ki wo plan kar paye kuch bhi.
Baki aapke is beautiful review ke liye dil se sukriya Sandeep singh nirwan bhai.
Update 93 bohot hi jabardast raha Itachi_Uchiha.... literally Ryuji koto ke expression ko imagine kr hi hassi aarahi thi bechara budha hogaya par bal na gayo bechare ko bhi
:laugh::evillaugh:sahi kaha.
Xabhi jaisa ban jana chahiye khao. Piyo aur chief giri kro kayeko khali pili huntur giri kr rela hai aaj ye Rider ne usko sikhaya jo update 94 me bhi usse realise hogaya ki
:gaylaugh:ab apne Xabhi sir ke bare me mai kuch nhi bolunga.
Ryuji koto:- ab mai kamjor hogaya hu....

Lemme to Ruji koto: nhi budhe tu budha hogaya hai chawan parash khaa tu ab :D
:evillaugh:
Khair aate update 94 par to idhar hame pata chala ki rider nahi gaya hai Jeju island par aur news wale bhosdike apni hi gaand khuja rahe hai saalo ki gand kiwde chal rahe honge ki anchoring krte samay gaand ki gandmari kr rahe the khair iss se apne rider ko kono fark na pada......
Inka to kaam hi hai rai ka pahad bnana.
ab aate hai uss gandmare fatte chut ki paidaish uss chaku dhari admi par jisne uss aurat par chaku rakha hua tha jaha pohoch kr rider ne uss se aurat ko bachaya aur usse uss bhuke darinde najane kya kya kahne ka man kr rela hai uss orc ko bc jibh to aise fira raha tha ki samne uski biwi baithi ho
ahemm-ahemm :D
Aiso ke liye yahi best tarika hota hai.:hukka:
Aur yaha rider ne wo jagah bhi dekhliya jo Subham ne dhund nikali thi khair sayad rider yahi jagah chose krega apne guild ke liye dekhte hai
Rider bas name ka Guild Master hai sare management ka kaam Shubham hi karega.
Aur yaha maa,kavya aur rider ki jo family scene ju ne dikhayi wo bohot hi mazedar aur dil ko chu jane wali thi khair rider ki maa ne rider se uske pita ke baare me bhi pucha lekin rider ne baat ka simple hi jawab diya ki ussne nahi suna unke bare me kuch.
Ha family wala part mera bhi best part hai.
Khair ab aate hai update 95(A) par jo bohot hi intresting raha literally sabhi ko tension thi Jeju island ke raid ko lekr aur dar bhi tha unke ander khair Rider aana tay hai ki uski jarurat padegi hi raid me.
Jarurat to hai jo dought lakin kya wo aayega :hide1:
Update bohot hi smoothly chala ye aur aagla update bohot dhamakedar hone ki asanka hai Khair dekhte hai kya hota hai!!

Take care bhai.......
Bahut bahut sukriya Sanki Rajput bhai itne dhasu review ke liye.
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Bhai mast majedar lavely updated bhai nimet kay huwa ried roll pathha hai ki nahin bhai waiting for next update bhai
Bahut bahut sukriya N.s.m.d bhai.
Keep supporting ☺️👍
Sukriya devil@07 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Superb Update 😍

Intajaar Rahega agle bhag ka
Sukriya Surya_021 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Mast update bhai ☺️😊
Sukriya Shanu bhai.
Keep supporting ☺️👍
बहुत शानदार लाजवाब इंट्रो था जेजू आइलेंड इंडियन राइड टीम का
सभी हंटर्स के मनोभावों को अच्छे से दर्शाया हैं भाई
शानदार लाजवाब अपडेट वेलेंटाइन राइडर भाई
Bahut bahut sukriya Zoro x bhai.
Keep supporting ☺️👍
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Hunter rider kaha hai,
Saath kyo nahi aaya
Apne family ke wajah se usne aane se mana kar diya Chinturocky bhai.
Super update bro rider nhai ayega kya raid par ?
Waiting for next
Fihal to family ke wajah se mana kar diya hai isi liye nahi aaya Ranha bhai. Ab aage ka kuch kah nahi sakte hai.
Aapka Sukriya Ranha bhai.
Keep supporting ☺️👍
Awesome update bhai keep posting
Sukriya Shahrukh bhai.
Keep supporting ☺️👍
Bahut hi shaandar update diya hai Itachi_Uchiha bhai....
Nice and awesome update.....
Sukriya parkas bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice update
Sukriya krish1152 bhai.
Keep supporting ☺️👍
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Nice updates awesome👍
Sukriya Vk248517 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice update ☺️☺️☺️
Sukriya Scorpionking bhai.
Keep supporting ☺️👍
Sukriya Smith_15 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Mast hai bhai
Sukriya Sidh bhai.
Keep supporting ☺️👍
Bro jaisa ki rider ka system hai vaisa system koi or enemy me mat dalna isse maza nahi ayega kyuki rider k pass hiden ye system hi hai jo isko kabhi bhi surprise kar sakta hai to aisa koi or system enemy mat Lana story me
Nahi nahi story me ye system bas apne hero ke paas hi rahega.
Aur Rider ke paas hi sirf ye System kyu hai ur ye system kaise bana iski bhi ek story hai:bigboss1:. Aur kai reasons jo sayad aapko 140- 150 update ke Lagbhag pata chlega.
Baki aapka sukriya Ghanshyam markande bhai.
Aise hi pyar aur support karte rahiye.
 
  • Like
Reactions: Zoro x and Xabhi

@09vk

Member
358
1,324
123
UPDATE - 94



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Mai, Ryuji Koto ke challenge ko accept kar leta hu. Fir hum dono ke bich fight start hoti hai. Jise phle to Ryuji koto hmke me lete hai. Lakin jab mai smile krte hue usko gussa dilata hu to wo apne full strength ke sath mujhse fight krne lagta hai. Lakin abhi bhi wo mujhe touch bhi nahi kar pata hai. Jisase wo bahut jyada gusse ne aa kar mujhe jaan se marne ke bare me soch leta hai. Aur mere gaal par ek cut de deta hai jisase Mai bhi ab serious ho kr us par Attack kar deta hu. Lakin hum dono ko itna serious hote hue dekh kar baki sub hum dono ko rok dete hai. Aur match ko yahi khtam kar dete hai. Lakin ab Ryuji koto sdme me ja cuka tha na jane kyu.


AB AAGE.......

WHITE TIGER GUILD BUILDING
6 : 00 PM


Sachin apne cabin ke ander apne chair par baitha hua tha. Uske cabin me is time sirf ek hi light jal rahi thi. Baki pura cabin andhere me duba hua tha.
Sachin one side transparent glass se bahar ki taraf dekhte hue apne apne man me na jane kya sochne me laga hua tha.

Sachin apne man me ' Kya aisa kuch hona possible hai ? '
' Mujhe to abhi tak yakin nahi ho raha hai ki wo ek aisa huntur hai ki jo continuously Strong hote ja raha hai. '
' Mujhe to aacharya hai ki ye aur kitna jyada worthy banega. '
' Huntur Rider ko Recruit karne ki kosis karna fruitless hai. '
' Lakin abhi bhi bahut se tarike hai Telented hunturs ke sath relationship banane ke. '
" Ab time hai Plan B ka. "


TU... TU...

Tabhi Sachin ke phone par ek massage aata hai aur wo apna phone utha ka wo massage dekhne lagta hai aur kud se kahta hai " Ye jarur 4 din baad JEJU island par hone wale Raid me participate karne wale hunturs ki list hogi. "

Lakin jb Sachin massage ko read karta hai to usko bahut bada jhatka lagta hai. Uski aakhe badi badi ho jati hai.

Sachin almost chillate hue " Huntur Rider ka name is list me nahi hai ?! "

Use to yakin hi nahi ho raha tha is baat par wo fir se us list ko dhyan se read karta hai. Lakin jab name list me ho tab na wo use dikhe.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

AN 5 STAR HOTEL
6 : 23 PM


Japan ke sare hunturs ko Delhi ke hi ek top rating ke 5 class hotel me thraya gaya tha.
Ryuji Koto bhi is time apne room me tha. Uske room me ek bada sa royal Bed Attached bathroom ke alawa, samne sofa ka pura set aur bhi baki jaruri saman tha.
Ryuji Koto is time single sofe par baitha hua tha. Aur uske samne table par ak bade se jar me ice cubes ke bich vodka ki ek bottle rakhi hui thi. Sath me 2 glass bhi side me rakhe hue the.

Ryuji Koto phone par apne Draw Sword Guild ke vice master Reiji Sugimoto se baat kar raha tha. Jo ki is time Japan me tha aur inke Guild se sirf yahi ek S Rank huntur yaha India nahi aaya tha. Na hi ye JEJU island ke Raid me participate kar raha tha.

Ryuji Koto phone par " Sugimoto bhai, Yaha India me ek talented huntur hai. "

Reiji Sugimoto " Hahah.... Lakin mujhe abhi bhi yakin hai wo Tmse kamjor hi hoga. "

Ryuji Koto sochte hue " Well.... Mai is barr me yakin ke sath kuch nahi kah skta hu. "

Reiji Sugimoto " Us huntur ka name kya hai ? "

Ryuji Koto " Rider ! "
" Ye abhi haal hi me S Rank huntur bana hai. "

Reiji Sugimoto " Kitni ajib baat hai iska name yaha nahi hai. "

Ryuji Koto surprise ke sath " Huh ? "
" Tm kahna kya cahte ho ? "

Reiji Sugimoto " Ahh ! Lagta hai mai phle hi bata diya. "
" Actually, abhi kuch der pahle hi India ne JEJU island par Raid me jane wale apne hunturs ki final list bheji hai. "
"
Anubhav,

Jay,
Sachin,
Aayat,
Hari,

Ajay. "
" Ye sare un hunturs ke name hai jo 4din ke baad hone wale Raid me participate karenge. "

Ryuji Koto abhi bhi Surprise ke sath " Kya ? Ye sahi nahi ho skta hai ? "
" Kya ye log pagala gaye hai. Aisa kabhi nahi ho skta hai ki Chairman Xabhi, Rider jaise telented hunturs ke bina ye Raid team banaye. "

Reiji Sugimoto " Well, hum kya kar skte hai ? "
" Is Raid me phle se hi 16 S Rank hunturs participate kar rahe hai. "
" Jisase waha koi problem nahi hoga. "

Ryuji Koto " haaa.... Mai bina wajah ki tention le raha hu. "
" Mai tumhe baad me call karta hu, kab Raid start ho jayega. "

Reiji Sugimoto " Ha. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

JEJU ISLAND

JEJU island me Ant nest ke ander ek bahut badi Ant khadi thi. Uski aakhe Red color ki thi. Aur uska baki ka body pure White color ka tha. Ye koi aur nahi Ant's Queen hi thi. Jo ek bahut bade guffa type jagah me khadi apne samne jamin par rakhe apne bade bade uncountable eggs ko dekhte hue kud se kahti hai " Hme ye Island chod kar jana hi hoga. "
" Yaha hmare khane ke liye ab kuch nahi bacha hai. "
( Ek taraf pade kuch ant's ki mari padi body ko dekhte hue ) " Mere Childrens ab ek dusre ko khane lage hai. "
" Hmare Empire ko support karne ke liye ab yaha aur khana nahi bacha hai. "
" Hum ab aise nahi rah sakte hai. "

Itna kah kar Ant Queen sare Ant's egg ke bich rakhe hue ek sbse bade almost 4 feet ke aur transparent egg ke paas ja kar use dekhte hue aage kahti hai " Hme aur bhi jyada strong Soldiers ki jarurat hai. "
" Hme ek ultimate Soldier ki jarurat hai, jo ki hamare empire ko lead kr ske. "
" Hmare Empire ke glory ke puri duniya me faila sake. "
" Jo Enemy hme rokna cahe unke dil me hmara dar paida kar sake. "

Us bade Egg ke ander ka Ant, egg ke ander rahte hue bhi apne man me Queen ki ye baate dohrane lagta hai. Jaise ki wo yaad kar raha ho ' Hmare Empire ki glory ko pure world me failana hai. '
' Jo Enemy hame rokne ki kosis karenge. Mai unke dil me hamara dar paida karunga. '
' Mai jarur hmare Enemy ke d me hmara dar paida karunga. '

Queen " Tmhe baki sub se bahut jyada Strong bana hai. "

Big egg Ant ' Mai sbse jyada strong banunga. '


Crack..... Crack......

BOOMMM...........

Fir achank se wo bada egg crack hone lagta hai. Aur uske ander se sbse phle ek ant ka hath hi bahar aata hai. Aur uskebaad pura egg tut jata hai aur usme se ek black color ka Ant bahar aata hai. Jo ki apne do panjo par hi khada tha. Aur uske wings bhi the. Aur usne bahar nikalte hi apne aura ko full relese kar diya. Jisase waha ek bahut hi bada dhamaka hota hai. Aur na sirf is pure guffa me balki pure island par is dhmake ki aawaj sunayi det hai. Sath me hi uske aura ko bhi pure island par feel kiya ja sakta tha. Wo itna jyada powerful tha. Pure island me se kahi bhi raha kar uske aura ke release hone ke se hue dhmake ko dekha ja sakta tha. Aisa lag raha tha jaise koi bahut hi bada dhamaka hua ho.

SCREEEEEEEECCCCCHHHH..........

Wo Black Ant sath me bhut hi tej aawaj me chillata hai jo ki pure island par gunjne lagti hai. Ye bahut hi khatarnak najara tha koi kamjor heart wala to ye dekh kr wahi heart attack se mar jaye.

Queen Ant us black color Ant ki taraf dekhte hue dur se hi kahti hai " Bas ab mere bachhe tum khao jitna ho sake uthna khao... "
" Aur jitna ho sake uthne jyada Strong bante jao..... "
" Mere bacche. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


RIDER HOME
7 : 09 PM



Mai apna decision xabhi ko batane ke baad Huntur Association se nikal kar wapas se hospital chla jata hu. Aur waha se apni Maa ko hospital se discharge karwa kar ghar par le aata hu. Kavya bhi hmare sath hi thi. Jo morning se hi Maa ke paas hi ruki hui thi. Wo to Maa ke paas se hatne ke name hi nahi le rahi thi. Aur aisa hona swabhavik bhi tha aakhir 4 saal baad jo Maa ko wapas paya tha hum dono ne.
Lakin fir bhi usne Maa ka morning se bahut ache se khyal rakha tha Mammy to ab bilkul thik thi. Lakin fir bhi wo mammy ki her ek baat ko darkinar karte hue unka pura dhyan rakh rahi thi. Mere hospital me na rahne ke time usne hi mammy ko jabrdast Lunch karwaya tha.


Creeaaaaakkkk.....
Tap... Tap... Tap...


Maine apne ghar ka main door open kiya aur hum tino door hote hue drawing room me pahuch jate hai. Aur waha pahuchte hi jo najara hum dekhte hai hmare kadam wahi ruk jate hai. Mai to samne ka najara dekh kr ekdam shocked ho jata hu.
Jabki Kavya apni najre idhar udhar curane lagti hai. Aur Maa wo samne ka najara dekh kr ekdam shocked thi.

Darsal drawing room ka haal hi is time kuch aisa tha ki hum shocked hue bina nahi rah sake. Sare saman bikhre hue the. Sofe par snacks ke tukde bikhre hue the. Sofe ke takiye niche jamin par gire pade the. Kavya ke kapde bhi yaha waha gire pade the. Table par bhi dher sari gandgi faili hui thi. Tv ke upar bhi kapde tange hue the. Pura kamare me sb faila hua tha.

Mai ye sub dekhte hi apne man me sochne lagta hu ' Jab tak mai Demon castle me raha us time me Kvaya ne pure ghar ko mess kar diya hai. '

Kuch...
Aur mai halka narajgi se kavya ke gaal pakd kr pull karne lagta hu.

Kavya " Ouchie..... !!! "


Hahahahha.....

Tabhi hum dono ke piche khadi Maa hasne lagti hai. Hum dono thode surprise ke sath ghum kar unko dekhne lagte hai to wo smile krte hue kahti hai " To meri princess abhi bhi wahi choti bacchi hai. "

Kavya ( thoda sharma kar ) " Wo mammy, mai to Hmesa saaf hi rakhti hu ghar. "
" Ye bas last ke kuch din maine safayi par dhyan hi nahi diya to ho gaya. "
" Sorry mammy !! "

Maa haste hue " koi baat nahi meri princess. "
" Mujhe bhi ghar ka koi kaam kiye hue 4 year se jyada ho chuka hai. "
" To kya tum log meri help karna chahoge, is kaam me ? "

Mai bhi ye sub sun kar smile karne lagta hu. Hum Mammy ko kaam karne se mana karte hai lakin fir bhi wo nahi manti hai to hum tino mil kar sab saaf safayi me lag jate hai.
Kavya ja kar vacuum cleaner le aati hai aur wo pure ghar ko saaf karne me lag jati hai.

Mai kapdo ko utha kar ek tab me daalne lagta hu. Aur fir sare kapde utha lene ke baad tab ko mai bathroom me rakh deta hu. Kapdo ko wash karne ke liye. Uske baad mai sara kachra utha kar dustbin me dalne lagta hu.
Maa ek kapde se TV aur baki table sofa saaf karne lagti hai.

Maa safayi karte hue " Ye ghar ab purana ho chuka hai. "
" Yaha bahut si jagah par ab mail jama ho gayi hai. Jo ki pahle nahi thi. "

Mai bhi dustbin me kuda rakhte hue " Well, ye wahi ghar hai jisme hum Bachpan se rahte aa rahe hai. "

Tabhi safayi karte hue mammy ki najar TV ke bagal me rakhe ek photoframe par padti hai. jo ki hmari family photo thi. Usme mere mammy, papa khade the. Aur unke aage hum dono khade the. Ye hmari bachpan ki pic thi. Jisme mai to normal hi khada samne dekh raha tha. Lakin Kavya ek icecream khate hue apne balo ki do choti banaye hue ek bahut hi cute smile ke sath Mammy aur papa ko dekh kar smile kr rahi thi.
Wo use utha kar kpde se thik se saaf krne ke baad us par hath ferte hue kahti hai " Rider.... "
" Jab mai soyi hui thi. Kya tmne apne pita ke bare me koi bhi news suni ? "

Mai kud der silence rahne ke baad niche dekhte hue nirasha se kahta hu " Nahi, maine kuch bhi nahi suna unke bare me. "

Meri baat sun kar Maa wapas se photo par hath fekte hue kuch sochne lagti hai. Wahi mai apne man me kud se kahne lagta hu ' Agar maine apne mammy ko bata diya ki mai bhi papa ke hi tarah ek huntur hu... '
' To mujhe dar hai ki mammy ka kya reaction hoga, wo kya kahengi ? '
' Mammy Is purane ghar ko chor kar kisi dusre ghar me nahi jana cahti hai iska bhi ek reason hai. '
' Bhle hi mai ab itne jyada paise earn kar chuka hu. Aur kisi ke bhi imagination se bahut jyada future me earn kar skta hu. Jisase ki hum ab aasani se kisi bhi achi jagah ja kar rah sakte hai. '
' Lakin Yaha is ghar me mere abhi bhi rahne ka aur iska rent pay karne ka bhi ek reason hai. '
' Meri Mammy aaj bhi mere Papa ka wait kar rahi hai. Jo bhut pahle ek Dengoun ke ander missing ho gaye the. '
' Meri Mammy ko aaj bhi ummid hai ki mere papa yaha wapas aane ka rasta ek na ek din dhundh hi nikalenge. '
' Meri Mammy ko is jagah ki.... "
' Nahi meri Mammy ko abhi bhi meri jarurat hai. '
' Isi liye mai JEJU island ke raid me hissa nahi le skta hu. '



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTER ASSOCIATION CONFRENCE HALL


Huntur Association ke confrence hall me is time ek bade se stage par samne ek bahut badi screen lagi hui thi. Jis par JEJU island ke Ant's ke bare me video ke jariye dikhaya ja raha tha. Aur screen ke hi samne khada huntur association ka hi ek Member as a anchor sbko screen se dekh kr explain kar raha tha. Screen ke dono taraf 2-2 minister baithe hue the.
Aur stage ke niche hall me dher sari chairs par Reporters baithe hue the. Aur stage ke side se aur niche ki tarah Cameraman apne camra ke sath sub shoot karne me lage hue the.

Anchor screen ki taraf dekh kar media ko sb explain karte hue " Jis Rate se Ant army evolve ho rahi hai wo phenomenal hai. "
" Her bar jo unke new Soldiers born ho rahe hai wo apne se phle ke sare Ant's ko dominant kar rahe hai. "
" Aur hum is baat se hi ye bahut aasani se samjha skte hai ki wo aakhir kis rate se evolve ho rahe hai. "



IMG-20220908-193143

" Abhi same screen par aap jo image dekh rahe hai wo ant's ke stage 1 or stage 2 ke evolutionary phase ki pic hai. "
" Is satage me to ye ordinary Ant's ki tarah hi behave karti hai jo ki badi muskil se jamin par rengati hai. "
" Inme sirf yahi anter hota hai ki ye Ant's size me bahut hi jayad badi hoti hai. "



IMG-20220908-193159

" jabki .... "
" Ye pic us time hi hai jab Ant's apne evolutionary phase ke 3rd stage me hoti hai. "
" Ant's ab hum humans ki taraf apne arm's ke use se clna suru kar deti hai. Inke Giant head ab small ho jate hai. "
" Ye ab apne charo hath arms ko use krne lag jate hai. "
" Sirf 2 year ke ander hi inme kafi jyada badlaw aaya hai. "



IMG-20220908-193238

" Aur ye image abhi haal hi ki hai. "
" Ye usi Ant ki image hai jisne kuch din phle Japan me bawal machaya hua tha. "
" Ye ab almost human ke tarah hi ban gaye hai. "
" Aur ab to inke back par Wings bhi nikal aaye hai. "

1st minister " To iska Matlb ye hai ki ye sub ab sky me fly karne layak ho gayi hai ? "

Anchor , minister ki taraf dekhte hue " Aapne bikul sahi kaha. "
" Sayad ye Last chance ho India aur Japan ke joint Raid team ka in ant's ko Harane ke liye. "

2nd minister " Ab mai clearly smjh skta hu ki kyu mostly hunturs in Ant's ko dekhne ke baad waha se bhag jate hai. "

3rd female minister " Well, hme khusi hai ki ek retired huntur ne bhi is Raid team me join hone ka courage dikhaya hai. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

NIGHT TIME
9 : 28 PM



Ghar ki puri safayi karne ke baad mai khana kaa kar bahar tahalne ke liye nikla tha. Tahalate hue mai apne phone ko nikal kar news check krne lagta hu. To waha mujhe tarah tarah ke news dikhne lagte hai.

" Huntur Rider ka name participate ki list me kyu nahi hai ? "

" Sirf S Rank huntur ban jane se uski personality completely change nahi ho skti hai. Ek baar jo E Rank banta hai wo Hmesa hi ek E Rank hi huntur rahta hai. Jarur wo dar gaya hoga aur dar se kahi bhag gaya hoga. "

" Yaha tak ki retired huntur Ajay bhi is Raid me hissa le raha hai. Lakin Darpok huntur rider nahi. "

" Ek S Rank huntur aisa behave bilkul bhi nahi karta hai. Mujhe apni country ke liye sad feel ho raha hai iske wajah se. "

Aise hi na jane kya kya mere bare me news par bola ja raha tha. Sare logo ke comments bhi aise hi the.
Mai chlta hua apne phone me ye sub dekhte hue kud se kahta hu ' Mujhe in hate comments se bikul bhi fark nahi padta hai. '
' Mujhe to bas is baat ki chinta hai Kavya par in sub ka kya Effect padega. '

Wahi mujhe dekh ke mere aas paas se gujar rahe baki log aaps me hi bate kr rahe hote hai " Huh ? Ye Rider hi hai na ? "

2nd person " Ha ye wahi hai, darpok huntur. "


TRIN.... TRIN....

Tabhi mere phone par kisi ka call aane lagta hai aur mai call ko pick up karta hu.

Dusre side se " Bade bhaiya, mai bol raha hu Shubham. "

Mai " Ohhh Shubham tum ! Kya tum abhi bhi hotel me roke hue ho ? "

Shubham " Nahi, ab nahi bade bhaiya. "
" Mai haal hi mai new jagah shift ho gaya hu. Acha hua ki meri mammy mere touch me thi. Unhone ne hi mera yaha rahne ka intejam karwaya hai. "
( khusi se ) " Are haa bade bhaiya, maine ek office dhundha hai. Mujhe pura yakin hai ki aapko wo jagah jarur pasand aayegi. Ek baar aapko time mile to aap yaha aa jao aur ek baar office ko dekh lo ? "

Mai " office ? "

Uske baad mai use abhi aane ko bol deta hu. Aur Shubham bhi mujhe apna new address massage kar deta hai.
Mai bhi ek cab karke Shubham ke new apartment par pahuch jata hu. Waha se o mujhe paas me hi ek jagah le jata hai jaha usne hmare office ke liye jagah dekhi hui thi.

Hum dono is time ek bahut bade khali space me khade the. Jisme office ke kaam me aane wale chair, table , cabin aur bhi bahut se chije rakhi hui thi.

Shubham excitement ke sath " Agar aap ek Guild banana cahte ho to sbse phle aapko jis chij ki jarurat wo hai ek office ! "
" Aapka is office ke bare me kya khyal hai bade bhaiya ? "
" Na hi sirf ye ek best places me se ek hai, balki ye aapke ghar se bhi jyada dur nahi hai. "

Mai thode surprise ke sath pure office ko dekhte hue " Abhi ke liye hum bas 2 hi log hai. "
" Tumhe nahi lagta hai ye place hmare liye kuch jyada hi badi hai ? "

Shubham mujhe smjhata hue " Aap kahna kya cahte ho bade bhaiya ? "
" Aapko Guild Master, Vice Guild Master aur guild ke baki Members ke liye space cahiye hoga. "
" Agar aap koi guild start karte hai to aapko kam se kam 3 log cahiye hi hote hai. "

Mai, Shubham ki taraf dekhte hue " To mujhe lagta hai ki mujhe ek aur person ko recruit karna hoga. "
( Apne man me ) ' Mujhe to aacharya hoga agar yaha koi huntur hua to. Quki mai janta hu mai unhe bas as a filler hi use karunga. Mere Guild ko start karne ke liye. '

Tabhi Shubham ko achanak se kuch yaad aata hai aur wo apne pocket me hath daal kar kuch dundhte hue mujhse kahta hai " Are ha bade bhaiya, Mujhse koi mila tha jo aapko dundh raha tha. "

Mai thoda surprise ke sath " Mujhe dundh raha tha ? "
" Kon ? "

Shubham " Wo koi foreigner tha. Jo ki English me baat kar raha tha. "
( Mujhe ek card dete hue ) " Ye aadmi kah raha tha ki wo 17th September tak India me hi rahne wala hai. "
" Sath me use ummid thi ki aap usase contact karoge. "

Mai card le kar dekhte hue apne man me ' Ek foreigner jo english me baat kar raha tha.... Aakhir kon ho skta hai ye ? '

Abhi mai aage aur kuch kahta usase phle hi mujhe kuch feel hota hai. Aur meri aakhe sky blue color ki akdam se glow karne lagti hai.


Tap... Tap... Tap...

Mai piche mud kar apni aakhe band karke kuch karte hue Shubham se kahta hu " 1 second rukna. "

Shubham confused hote hue " Kya hua bade bahiya ? "

Mai kuch second baad Shubham ki taraf dekh kar ek smile ke sath " Mujhe abhi turant ghar wapas jana hota. Tum aaram se ghar chale jana. "
" EXCHANGE. "


SSSSSS.........
SSSSSS.........


Aur agle hi pal mai Shubham ke samne se Teleport ho jata hu aur mera ek Shadow Soldier meri jagah aa jata hai.
Quki Shubham ne bhi meri is Skill ko nahi dekha tha to wo bas aapne muh ko fade mujhe gayab hote hue aur uske baad meri jagah par aaye Shadow Soldier ko hi dekhta rahta hai.
Use to abhi jo hua us baat par yakin hi nahi ho raha tha ki mai aise gayab kaha ho gaya. Lakin fir kud ko control me karne ke baad wo bhi waha se apne apartment ki taraf nikal padta tha.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

RIDER HOUSE BUILDING BACK SIDE AREA
10 : 48 PM


Hahahaha......

Mere hi neighbourhood ke piche ke gali me ek musalman type ka 35+ age ka aadmi mere hi ek pados ki lady ke gale par ek sharp chaku lagaye evil hasi has raha tha.
Wo lady bhi in sub se bahut jyada dar gayi thi jisase uske aakho se lagatar aasu bahte hue uske galo se hote hue chaku par gir rahe the.

Aadmi evil smile ke sath " Agar tmne koi bhi aawaj ki to mai tumhe maar dunga. "
" Tum to phle se hi janti hogi ki yaha kitne log ab tak mare ja chuke hai ? "

Lady rote hue dar ke sath " P.... Please mujh...e mat maro... "

Aadmi " Isi liye to mujhe ye aas pados ki jagah mujhe itni jyada pasand hai. "


Ssssssssssss......

Tabhi piche ek ek aawaj dono ko sunayi deti hai " Sahi kaha ! "
" Mujhe bhi ye aas pados ka ilaka isi liye bahut pasnd hai. "

Ye aawaj sun kar wo aadmi turant hi piche mud kar dekhta hai to us gali ke starting me mai apne paint ke pocket me dono hath dale aaram se khada tha.

Darasal hua ye tha ki maine apna jo shadow Soldier yaha nigrani ke liyechoda tha Usi ne mujhe ye bataya tha aur mai turant hi apne shadow exchange skill ki help se Office se yaha aa gaya tha.

Mai santi se " Mai utsuk hu janane ke liye. "
" Ki aakhir ye kaam tum kyu karte ho ? "

Wo aadmi mujhe nahi janta tha. Aur age me bhi mai usase bahut chota tha jisase wo mujhe halke me lete hue mere taraf dekhte hue ek evil smile ke sath kahta hai " kyu ? "
" Kya tum yaha mujhe koi updesh dene aaye ho ? "
" Tumhara yaha aane ka reason kya hai ? "
" Lakin ab tmne mujhse ye sub karne ka karan pucha hai to mai unko nirash nahi karunga. "
" Mai ye sub karta hu kyuki mujhe ye sub karne me bahut hi jyada maja aata hai. "


Run.... Run....

Itna kah kar wo apne full speed me mere taraf chaku point karte hue aane lagta hai. Mai apni jagah santi se khada rahta hu. Wo mere paas aa kar mujhe mere solder se ek side se pakad kar aage kahta hai " Tmne dekha, agar mai apne se kamjor kisi ko dekhta hu to mai uske sath sach me panga karne aa jata hu. Aur fir mai..... "

Wo abhi aage kuch aur kahta usase phle hi mai apne aura ko halka sa relese karte hue apne sky blue eye ke sath use dekhte hue cold tone me kahta hu " Sayad mai bhi is feeling ko bahut ache se janta hu. "
" Lakin ek baar tum is feeling ke sikar ho jaoge tab... "
" Wapas tum pahle jaise kabhi nahi ban skte ho. Aisa karna bahut hi mushkil hota hai. Smjh lo next to impossible. "


SWOSSS....... SWOSSS.....
Aaahhhhh..... Agghhhh.......


Aur itna Bolte hue mai us aadmi ke kuch smjhne se phle hi uske hath se badi furti se chaku ke ker ke uske hi dono pairo me jaang aur pure pairo par kai jagah thik thak cut laga cuka tha. Ye sub maine bas 5 second ke ander hi kiya tha. Wo aadmi wahi jamin par gir gaya tha aur dard se chillane ke sath chatpata raha tha.

Mai us lady ki taraf dekhte hue jo ki ye sub dekh ke ab shocked hui padi thi kahta hu " Isase phle ki aur bhi jyada late ho. Tumhe apne ghar chle jana cahiye. "


Run.... Run....

Ye sunte hi wo lady waha se apne full speed me bhag jati hai. Uske jane ke baad mai apne glow hoti aakho ke sath clod tone me us aadmi se kahta hu " Midnight se phle, apne aap ko badal lo. "

Iske baad mai apne ek high orc us aadmi ke hi Shadow me chod deta hu aur uski Shadow me chupe high orc ki taraf dekhte hue apne man me kahta hu ' Agar ye kamina Midnight tak apne aap ko na badle to isko maar dena. '

Ye sun kar High orc apne lip ko apne hoto par firate hue smile krne lagta hai.


Tap... Tap... Tap...

Mai fir waha se wapas mud kar apne ghar jane lagta hu aur jate hue kahta hu " Mai Ummid karta hu ki tum kal jinda rahoge. "
( Apne man me ) ' Quki mai kuch abhi tak nahi janta hu ki ek high orc me aakhir kitna patience hota hai. '
( Upar sky me moon ko dekte hue ) ' Kal wo din hai. Jab JEJU island ka Raid start hoga. '



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

NEXT MORNING

TADDDD..... TADDDDD.......

TADDDD..... TADDDDD.......

Sea ke upar se Indian army ka ek plan JEJU island ke liye India se kafi speed me nikal chuka tha. Isi plan ke ander Indian Hunturs baithe hue the.

Wahi japanese hunturs bhi sare apne country me bilkul taiyar baithe hue the. Aur sare apne Guild me phuch cuke the. Sirf Ryuji Koto ka hi aana baki tha. Wo bhi ready ho kar bas niklne hi wala tha.
Fir achanak se wo apna phone nikal kar kisi ko call krne hi wala hota hai. Ki uske hath kapne lagte hai. Sayad wo apne hi guild ke Vice Guild Master Reiji Sugimoto ko call lagane wala tha. Lakin jab uske hath kapne lagte hai to wo apne phone ko wahi niche table par rakh deta hai.

Ryuji Koto apne man me ' Ye feeling jo abhi is moment me mai feel kar raha hu. '
' kya ye death ki feeling hai ? '

Itna sochte hi koto ko Rider ke sath fight ka wo last moment yaad aa jata hai jab rider bhi apne aura ko relese karke uske upar Attack karne hi wala tha. Tab use rider ke piche me ek bahut bada dark blue nd black color ka ek sir dikhayi diya tha. Jo ki muh fade uske hi taraf badh raha tha. Bahut hi jyada darawna tha wo. Isi ke karan to match ke baad wo itna jyada dara hua tha.

Koto kud ke sir ko pakd kar apne aap ko saant krte hue " Haha... Mujhe yakin nahi ho raha hai. "
" Mere khyal se mai ab weak ho gaya hu. "









Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice one
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Kya fadu update tha bhai maza aya padh kr... Ye rider ne apna naam nhi likhaya jeju island ke liye or uska sochna bhi jayaj hai 4 saal se apni ma ke Thik hone ki pratiksha kr rha tha or jb thik hokr aayi hai to thoda samay chahiye hi chahiye sath bitane ka,
Baikul sahi kaha aapne Xabhi bhai.:coffee1:
yha hame aapne Kavya or rider ka MA ke samne Vahi Chhote bacche banna padh kr anand aa gya or Vo feel bhi bahatreen tarike se hua mujhe,
Mera bhi favt. Part yahi hai:cool1:
rider island to jayega hi pr vo kab jata hai ye dekhne vali baat hai...
Aap Chairman ho aap jyada jante hoge. :boobyattack:
Ye koto isliye dar gya tha kyoki usne rider ke ek shadow solder ko rider ke bagal se jhakte dekh liya tha or ab uski death ka purvabhas hua hai Lagta hai isliye Ghar se nikalte huye kanp gya...
Usne apni bloodlust skill activat ki thi. Jisase koto ko rider ka aura ka imaginary image face dikha tha. Wo use hi dekh kar itna dar gay. :esc:
Akhir ye kon nya aa gya muhalle me sankiyo ka chuja jisko sabak sikhane ke liye rider ko apna ek orc Uski shadow me chhodna pda...
Apne Sanki Rajput se bhi bada wala tha ye. Lakin kuch gun unke bhi isme the. :aetsch:
Rider ko shubham ne phone kiya or apne nye Ghar ka address btaya or sath me office kholne ki jagah bhi dikhai, lekin ye kon aa gya Jisne rider ke liye ek msg chhoda aur apna card dekr gya shubham ko kahi vo apne Nirwan to nhi Ya fir aloknath...
Na dono me se koi nahi hai. :noo:
MA ko Aaj bhi apne pati ke vapas aane ki ummid hai or vo Isiliye Apne rent ke ghar se kahi or nhi Jana chah rhi hai yha rider se hame ye bhi pta chla ki MA rider ke hunter vali baat nhi janti hai...
Sahi kaha.
India se Kafila nikal chuka hai ab Dekhte hai kya hota hai vha, ye koto ne vice guild master ko kyo phone kiya tha akhir uska koi dusra plan to nhi hai...
Uska ek bahut bada plan hai jiske bare me jldi hi pata chlega.
Vo 🐜 ant ki Rani ko dikhaya aapne or sath hi uske ek Angrakshak ko bhi jo vha Rani ke baad sabse takatvar lag rha hai, uski ek dahad se pura island me sunai di hai, Bahut Jabardast takkar hone vali hai bhaya...
Ye to hai.
Apan to :popcorn: :popcorn2: khate huye padhunga aage... Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing update with awesome writing skills bhai
Jarur Xabhi bhai. Aap kud dekhna story me bhi aap sbse special tarike se puri raid dekhoge.
Aapka tahe dil se sukriya Xabhi bhai itne beautiful review ke liye.
प्रणाम भाई सहाब

हर युद्ध में जीते कोई भी पर कुछ ज़िंदगी हार जाती
देखते है इस लड़ाई मैं कौन कौन बचाता हैं,
Bilkul sahi kaha aapne aisa bahut kam hota hai jaha loss na ho :bigboss1:
बाकी हमे तो ये भी देखना है कि कब हमारा अभिनेता राइड पेलाई सुरू करता हैं 😁
Phle wo waha pahuche tab na Sk. Bhai. :pepelmao:
 
Top