• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Short stories written by me

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kon si story aap aage aur padna pasand karenge

  • Koi Lauta Do Mujhe

    Votes: 0 0.0%
  • Bank Robbery

    Votes: 0 0.0%
  • Khoya Hua Pyaar

    Votes: 0 0.0%
  • Mysterious Island aur Khazana

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    1
Status
Not open for further replies.

ag86

The Witcher
Prime
14,420
10,761
229
res
 
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,514
70,681
354
:congrats: for new thread:flowers:
 
  • Like
Reactions: ag86

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,789
32,485
259
lovely kahani ..
rohit ek best ladka jisko pehli baar pyar hua shreya naam ki ladki se ,,shreya bhi usko pasand karti thi ,,ek din rohit ne restaurant me le jakar shreya ko pyar ke baare me bataya aur usne bhi haa keh diya par buri kismat ki shreya ki maut ho gayi road cross karte waqt 😔.. aur us waqt rohit apna rumal lene ander jaa raha tha ..

shreya ki maut ne rohit ko tod diya par wo apne atit ko badalna chahta tha isliye time machine banane ki thaan li ,

18 saal baad usko kaamiyabi mili aur usne time machine bana li ,aur past me jaake rohit ko aagah kar diya ki shreya ka saath ek pal bhi naa chhode ,,rohit ne baat maan li aur shreya ki maut ka haadsa tal gaya 😍.
par future ke rohit ka accident ho gaya par past ke rohit ne usko aspatal leke gaya aur blood bhi diya jisse wo theek ho gaya 😍.

aur apne pyar ko paane ke liye kiye gaye mehnat me safal ho gaya rohit aur past present ,future sab badal diya 🤩🤩..

koshish karnewalo ki kabhi haar nahi hoti aur uska example rohit hai 🤩..
 
  • Love
Reactions: ag86

ag86

The Witcher
Prime
14,420
10,761
229
lovely kahani ..
rohit ek best ladka jisko pehli baar pyar hua shreya naam ki ladki se ,,shreya bhi usko pasand karti thi ,,ek din rohit ne restaurant me le jakar shreya ko pyar ke baare me bataya aur usne bhi haa keh diya par buri kismat ki shreya ki maut ho gayi road cross karte waqt 😔.. aur us waqt rohit apna rumal lene ander jaa raha tha ..

shreya ki maut ne rohit ko tod diya par wo apne atit ko badalna chahta tha isliye time machine banane ki thaan li ,

18 saal baad usko kaamiyabi mili aur usne time machine bana li ,aur past me jaake rohit ko aagah kar diya ki shreya ka saath ek pal bhi naa chhode ,,rohit ne baat maan li aur shreya ki maut ka haadsa tal gaya 😍.
par future ke rohit ka accident ho gaya par past ke rohit ne usko aspatal leke gaya aur blood bhi diya jisse wo theek ho gaya 😍.

aur apne pyar ko paane ke liye kiye gaye mehnat me safal ho gaya rohit aur past present ,future sab badal diya 🤩🤩..

koshish karnewalo ki kabhi haar nahi hoti aur uska example rohit hai 🤩..
Wow
Shukriya apne meri kahani padi aur aapko pasand ayi
Ye kahani originally maine kafi saal pahle xossip k Valentine's story contest k liye likhi thi
Adirshi bhai k sahyog se mujhe ye story wapas mil payi kyuki iski koi copy maine apne paas save nahi ki thi
Khair aur bhi kai kahaniya hain jo milne pe yahan post kar dunga
Aur time nikal k aur nayi short stories bhi likhunga iss thread pe
 

ag86

The Witcher
Prime
14,420
10,761
229
2nd story


Bank Robbery

Raat ke 12 baj chuke the par mujhe neend nahi aarahi thi. Bus karwat pe karwat badalta jaa raha tha. Aaj tak kisi ka purse bhi chori nahi kiya tha par aj dosto ke sath mil kar bank robbery ka plane bana diya tha. Bus ye paiso ka lalach hi tha jo main iss kaam ke liye tayyar ho gaya tha. Mere alawa mere teen dost Rahul, Farhan, aur Anuj iss plan me shamil the. Plan Rahul ne banaya tha. Hum sub BCom ke student the aur income ke liye chhoti moti part time job kar rahe the. Hum charo middle class family se the, par humari ayyashiya kafi bad gayi thi. Bike se ghumna girlfiriend pe kharcha karna daru peena ye sub humari aadato me shamil ho chuka tha par in ayyashiyo ke liye paise kam pad rahe the. Fizool kharchi ki vajah Hum kayi logo ke karzdaar bhi ho chuke the. yahi vajah thi ki hum is apraadh ke liye tayyar ho gaye the.
Anuj ne to kidnapping ka idea diya tha kyuki bank robbery zyada risky hoti hai. Par main kidnapping me sath dene ke liye tayyar na hua. Waise bhi hum koi criminal to the nahi hum kisi bachche ko takleef pahuchana bhi nahi chahte the aur kidnapping me fairauti mil hi jaaye ye bhi koi sure nahi rahta. Fir Rahul ne mere ghar se kareeb 7 KM door isthit SBI bank me robbery ka suggestion diya. Rahul ka wahan account to nahi tha. Par uske kuchh janne walo ka account wahan tha jinke sath vo wahan kai baar jaa chuka tha. Rahul ne hume bataya ki wahan security ke naam par sirf ek security guard rahta hai. Rahul ne bataya ki hum shukrawaar ko daka dalenge aur Rahul ne kareeb kam se kam 50 lakh milne ki ummid jatayi. 50 lakh milne par hum me se ek ke hisse me sade 12 lakh rupay aate jo ki humare liye kafi badi rakam thi. Iss rakam se hum kayi saal bina kamaye apna kharcha chala sakte the, ise kisi karobaar me laga sakte the. Waise uss bank kafi logo khas kar paiso walo ke accounts the iss wajah se 1 caror se zyada cash milne ki bhi ummid thi.
Plan banae ke baad hum kayi baar wahan gaye. Halaki hum charo kabhi ek sath bank nahi gaye. bank me jaakar humne apne mobile se chori chhipe wahan ki video bana li thi aur plan bana shuru kar diya tha. Vo bank koi bahut bada bank nahi tha. Ek branch Level ka bank hi tha. Bank me aage ek haal tha jisme counters aur andar tijori thi. Humne dakaiti ke liye dopahar 3 baje ka time tay kiya kyuki iss waqt bank me bheed bahut kam hoti hai. Roebbery kr liye hume chaar guns ki zarurat thi jo ki Farhan ne apne contact ke zariye hume 2-3 din ke liye uplabdh kara di. uski kayi criminals se dosti thi joki paise lekar kuchh din ke liye hathiyaar available kara dete the. Hume 10000 rupay me 2 din ke liye guns farhaan ne dila di. Waise bhi 2 number guns koi licancy to hoti nahi hain. Humne tay kiya ki hum charo do bikes se wahan jayenge. Vo bikes hum chori karenge, hum helmet lagake jayenge aur wahan ek dusre ka naam lekar baat nahi karenge, aur hum awaz badal kar baat karenge. Hum iss plan se related koi bhi baat phone pe ya SMS ke zariye nahi karte the. Hum baat ke liye messenger ya social site ka use karte the. Humare liye sabse badi chunauti thi rebbery ke baad bhaagna. Police humara peechha na kar paye isliye humne tay kiya tha ki hum galiyo wale raste se jayenge.Khair ye sub sochte sochte hi meri aankh lag gayi, subah 7 baje Farhaan ke messege se aankh khuli. Maine mobile dekha usme humare group me FarhahAnuj aur Rahul ke messege the ki good luck and get ready.
Plan ke mutabik hum subah ghar se nikal gaye aur tay ki gayi jagah par bike chori karne ke liye kareeb dopahar ke 1 baje pahuch gaye, wahan humne sabse pahle ek no parking place se do pulser bike masterkey se chori ki. Ye jagah uss bank se kareeb 15KM door thi. Humne do motercycles churayi koi hume dekh nahi paya, fir hum seedhe bank ke liye nikal gaye. Mera dil zoro ka dhadak raha tha. ummid ke mutabik hum theek 3 baje bank me pahuch gaye. Do bikes pe hum char log sawar the. hum charo ne Helmet pahna hua tha aur gloves bhi pahne the. Maine apne rumal me behosh karne ki dawa laga li thi. Hum bank ke gate ke paas pahuche aur turant security guard ko rumal sungha diya jisse vo behosh ho kar wahi gir pada. Humne tay kiya tha ki Anuj gate par hi khada rahega, plan ke mutabik Anuj gun lekar bank ke gate par khada ho gaya taki koi bahar na jaa paye, aur agar police aa rahi ho to hume pata chal jaaye. Hum yani main Rahul aur Farhan bank me enter hue "hands up....koi hilega nahi..." Apni avaz ko thori bhari banate hue humne kaha. Wahan zyada log nahi the. Kareeb 7-8 costumers honge aur baki bank worker the. Koi bhi police ko inform na kar paye isliye Rahul aur Farhaan unpar nazar rakhe the aur bandook taane the. Main manager ke office me pahuch aur usse kaha ki jaan pyaari hai to sara ka saara paise hume bag me bhar do. Maine use bag de diya aur tijori se sara maal bag me bharne ko kaha. Usne tijori kholi aur usme bhare note mere bag me bharne laga. Wahi Hall me Rahul aur Farhaan logo par nazar rakhe the, unhone wahan paise jama karne wale aur dene wale counters par baithe bank worker ko bag de diya aur unhone ne bhi sare paise bag me daal diye. Fir hum teeno turant bank se bahar aa gaye,sara kaam 3-4 minut me ho gaya tha. humne bike start ki Anuj gate pe khada un logo pe bandook taane tha taaki ve koi harkat na kar paaye. Bike start hote hi Anuj meri bike ke pichhe wali seat pe baith gaya aur hum tez raftaar me wahan se nikal gaye. Abhi tak kisi ne police ko complaint nahi ki thi par zahir si baat hai ki humare jane ki baad turant police ko soochna de di gayi hogi. Hum galiyo wale raste se bhaag rahe the koi shaq na kar paye isliye hum alag alag ho gaye the. Main aur Anuj ek bike pe the wahi dusri pe Farhan aur Rahul the. Paiso ka ek bag humare paas tha aur doosra unke paas, bag ko Anuj ne apni shirt me chhupa liya tha. Humne jo shirt pahan kar robbery ki thi vo raste me hi utar di hum andar alag color ki shirt pahne hue the taki koi hume pahchan na paye. Humne plan banaya tha ki hum bikes se gali wale rasto se hote hue paas ke chhote jungle me pahuchnege. Hum waha pahuche Rahul aur Farhan bhi bike se wahi pahuch chuke the. Humne turant sare paise ek bag me rakhe vo school bag tha. Humne helmet aur bikes wahi chhori aur turant jungle se nikalkar kar road pe aa gaye. wahan se humne ek bus pakar li fir bus se hum kayi sawariya badalte hue sahi salamat apne apne ghar pahuch gaye. Paiso ka bag Anuj ke paas tha, anuj akela hi rahta tha isliye uske yahan itne rupyo ke pakre jane ka koi khatra nahi tha. Humne tay kiya tha ki kuchh din tak hum aapsa me koi bhi contact nahi karenge, paise bhi apas me baad me hi baatenge. Rahul aur Farhan ne tay kiya tha ki we paise le kar Mumbai chale jayenge aur wahan aish karenge.Hume loot me kareeb 62 lakh ka cash mila. Main apni family yani maa baap aur bhaiyo ke sath rahta tha. zahir si baat hai mere ghar me itni badi rakam chhupana asaan nahi tha.
Bank me itni badi robbery hone ke baad police par pressure pad gaya tha aur police jaldi se jaldi robbers ko pakdna chahti thi. Hum sari updates newspapers ke zariye le rahe the. Newspaper me hi humne pada ki police ko jungle me chhodi hui humare bikes aur helmet mil gaye the. Vo to milni hi thi aur vo bikes chori ki thi isliye un bike ke zariye abhi bhi police hume nahi pakar sakti thi. Wardaat ko do hafte ho gaye to Rahul aur Farhan Anuj se apne hisse ke rupay yani kareeb 15-15 lakh se zyada rupay lekar Mumbai nikal gaye. Unke jane ke baad maine bhi Anuj se milna shuru kar diya maine tay kiya tha ki main paise usi ke paas rakhe rahne dunga. Kyuki apne ghar me main itni badi rakam nahi chhupa sakta tha. Anuj ne bhi mera hissa alag karke safe rakh diya tha. Main aksar Anuj ke paas ata aur apne hisse me se kharche ke thore bahut paise le leta. Hum zyada paisa ikattha kharch bhi nahi kar sakte the kyuki isse kisi ko chi shaq ho sakta tha. Duniya ki nazar me hum chhoti moti naukri hi karte the. Rahul aur Farhan to mumbai chale gaye the. Par maine aur Anuj ne abhi naukri nahi chhodi thi kyuki agar hum charo hi ek sath wardaat ke turant baad apni apni naukriya chhor dete to kisi ko bhi shaq ho sakta tha.
Wardaat ko ab kareeb ek mahina beet chuka tha police abhi bhi bikes dhundhne ke alawa kuchh nahi kar payi thi. Maine bhi soch liya tha ki kab tak apne hisse ke paise Anuj ke paas rakhe rahne dunga, isliye paise apne ghar me hi kisi sutcase me lock karke safe rakh lunga. Ye soch ke main Anuj ke ghar jaa raha tha. Jub Anuj ke ghar pahucha to waha tala laga hua tha. Mera dil dhakk se ho gaya akhir anuj kahan jaa sakta hai uske paas mere hisse ke 15 lakh rupay hain. Maine use call kiya par phone switch off tha, messege kiya par messege ka bhi koi reply nahi aya main behad pareshan ho gaya. Vo kiray ke makaan me rahta tha. Maine aas paas walo se puchha to unhone kahan ki Anuj kahan gaya iska unhe pata nahi hai. Maine uske makan malik se baat ki to unhone kaha ki Anuj ne kaha tha ki ab vo yahan nahi rahega rahega aur sara bacha kiraya dekar kahi chala gaya. Maine Rahul aur Farhan ko phone karke puchha par Anuj ke baare me unhe bhi kuchh bahi maloom tha Anuj ka phone unhe bhi off mil raha tha. Main chah kar bhi ab kuchh nahi kar sakta tha.
Shayad kisi ne ne sahi kaha hai bure kaam ka anjaam bura hi hota hai, mere liye to ye baat sahi hi sabit hui.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top