• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Sabhi91

Active Member
1,395
3,958
159
SAAJAN
UPDATE- 229
5th Janam Ki Love Story Continues...

Kuch samay taduprant dono sadhwiya phir upasthit huyi aur unhone phir hamse kuch kaha lekin iss bar bhi unki bhasa hamari samajh me nahi aayi...hame to ye bhi samajh nahi aaya ki vastav me ye bhasa koun si bhasa hai... ? sansar ke kis kone me boli jati hai... ? kam se kam aaj ke adhunik sansar me to yeh bhasa shayad kisi bhi rastra me nahi boli jati hai...

Mujhe iss baat ka yakin to ho chuka tha ki ho sakta hai koi puratan bhasa rahi hogi…? Philhal sadhwiyo ka ishara samajh kar hum dono bhi unke piche piche chal pade..chitra mera hath pakad ke bilkul chipak kar chal rahi thi..

Chalte huye kuch kshan baad hum unn sadhwiyo ke sath ek bade se kaksh me pahuch gaye jaha koi mahan sadhak apni sadhana me leen baithe huye the..kintu unke darshan karte hi hame ek ashcharya ka mahan jhatka laga..

Ab Aage…….

Ashcharya janak baat to ye thi ki yogi maharaj padmasan ki mudra me baithe huye the aur hawan pujan me leen the..kintu jhatka lagne wali asal baat ye thi ki vah pujan to avashya kar rahe the lekin vaha unke samne koi pratima sthapit nahi thi balki samne aasan par swayam unka hi kata hua sir rakha hua tha aur vah apne hi kate huye shish ka abhishek karte huye sadhana me talleen the.

Badi ajib sthiti thi..kya koi sadhak aisa bhi ho sakta hai jo apna sir kaat kar samne rakhe aur phir apne hi sir ki sadhana me leen ho jaye….? Inn sari paristhitiyo par vichar karne ka anukool samay nahi tha…main aur chitra ye drishya dekh kar hairan rah gaye. Abhi hum iss drishya ke jhatke se bahar ubre bhi nahi the ki tabhi uss sadhaka ke kate huye sir ke shree mukh se awaz nikalti dekh kar chounk gaye..

“Aaiye, Padhariye Saajan, aap ka hardik abhinandan hai…aapki pratiksha karte karte chaar sadiya vyateet ho gayi, tab ja kar aapke darshan prapt huye hain.” Uss sadhak ke kate huye sir ke shree mukh se awaz nikli.

Main aur chitra hairani se mook darshak ki bhanti uss sadhak ke kate huye sir ko bolte huye dekhte rah gaye…yogi maharaj ke kate huye sir ke mukh se nikle huye ek ek shabd meri samajh me aa gaye..kintu shabd samajh me aana ek alag baat hai aur shabdo ka arth samajhna dusri baat hai…unke shabd bhale hi meri samajh me aa gaye the kintu kahne ka taatparya samajh me nahi aaya ki chaar shatabdiyo se vo sadhak mera intazar kar rahe hain…?

Chitra (hairan)--Iska kya matlab hua, yuvraj…?

Jitu—pata nahi..ab iska matlab to yogi maharaj hi samjha sakte hain ..

“Saajan, ashcharya me mat padiye…aapki duniya se sadhako ka sadhana sansar bada vichitra hota hai…yaha ka har sadhak apne aap me ek vichitra sansar samaye huye hai…aur hum chaar shatabdiyo se aapke aane ki pratiksha kar rahe hain…aap ka yaha aana to poorv niyojit hi tha aur aapko yaha tak aana hi tha…kintu aapke yaha aane me itna lamba samay vyateet ho jayega hum samajh nahi paye…kintu aaj hamari lambi sadhana sarthak ho gayi…aapke charan padte hi hamari ye sadhana sthali pavitra ho gayi.” Yogi raj ne apne shree mukh se bahut hi shant swar me vinamrata se kaha.

Jitu—kintu aap meri pratiksha kyo kar rahe the vah bhi itne lambe antaral se…?

Sadhak—saajan, sadiyo se hamare paas rakhi huyi aapki dharohar aapke supurd kar ke hum rin mukt hona chahte hain..aapki amanat aapke hatho surakshit soumpne ke liye hi hum aapke yaha aagman ki pratiksha kar rahe the…ye tilism aapki iss dharohar ki suraksha hetu hi nirmit kiya gaya tha jo aapke hatho me aapki dharohar aate hi toot jayega..aapke atirikta anya koi bhi yaha tak nahi pahuch sakta.

Jitu (hairan)—meri dharohar..! meri koun si dharohar aapke paas hai..? meri to kuch bhi samajh me nahi aa raha yogi raj..

Sadhak—ye mera kata hua sir jiski main aradhana kar raha hu..vastav me yahi aapki dharohar hai…isko hi aapke supurd kar ke hum rin mukt hone ki anubhuti prapt karna chahte hain…aapke sparsh karte hi ye kata hua sir neel mani me badal jayega…

Jitu (shocked)—kyaaa..? aapka ye kata hua sir meri dharohar hai…?

Sadhak—hey saajan, ye mani koi sadharan mani nahi hai…ye aapke janmo janmo ki tapasya ka parinam hai…ise dharan karte hi aapke andar kayi daivik shaktiya jagrit ho jayengi…aap sansar ki kisi bhi bhasa ko samajh aur bol sakenge…chahe vo bhasa vartaman ki ho ya phir aadikalin ho…aap kisi bhi bhasa ko jaan samajh sakte hain…itna hi nahi agar ko aapke samne ek bhi shabd na bole tab bhi aap uski moun bhasa ko samajh sakte hain..kisi ke bhi mann me chal rahe vicharo ko padh sakte hain…iske madhyam se aapko apne pichle janam ka smaran bhi ho jayega…yadi aap kahi jana chahe to iska smaran karte hi tatkal aap apni manovankshit jagah par pahuch jayenge..chahe aap kahi bhi ho, kisi bhi haal me ho, desh kaal aur paristhitiyo ke bandhan se mukt ho kar aapke dwara mani ke smaran karte hi aap ka bhoutik astitva vaha prakat ho jayega…baki sab aap isko sparsh karte hi samajh jaoge…atah aap isko grahan kar mujhe iss rin se mukt karne ki kripa kare saajan..

Maine to yogi raj sadhak ki kuch baate suni aur kuch ansuni hi rah gayi…kyon ki meri avastha uss samay ardh murchhit jaisi ho rahi thi…aur main ashcharya ke mahasagar me jaise dubkiya laga raha tha…mujhe apna astitva pata nahi jaise akash me ud raha tha ya ki sagar ki gaharayi me tair raha tha…? Mere liye kuch bhi tay karna asambhav jaisa lag raha tha.

Phir bhi sadhak ke dubara kahne par main thoda hosh hawash me louta aur unke samne rakhe kate huye sir ko jaise hi sparsh kiya vaise hi unka vo kata hua sir aloukik tez roshni se jagmagane laga…meri ankhe swarah hi band hone lagi…hum kuch samajh pate ki tab tak dusre ashcharya ka jhatka lag chuka tha…yahi haal chitra ka bhi tha..

Maine ankhe khol kar dekha to vaha ab na to koi ashram tha aur na hi samne vo yogi raj dikhayi diye..aur to aur hame yaha tak utha kar laane wala vo vat vriksh hi vaha moujud tha.

Dhire dhire vo roshni mere andar samane lagi aur main sangya shunya ho kar vahi par gir gaya...chitra to kab ki murchhit ho chuki thi...yahi avastha kanva rishi ke ashram me divya ki ho rahi thi...hamare behosh hote hi hame apne pichle janam ki yaade ek ek kar ke taro taza hone lagi...divya aur mera atoot prem dikhayi dene laga...pari ki nafrat drishti gochar hone lagi..


"Upar Ambar Niche Dharti, Beech Me Hain Dil Ke Afsaane,
Afsaano Me Dard Hai Kitna, Pyar Ke Dushman Ye Kya Jaane."

Kuch samay pashchat jab vo roshni ka aavran dhire dhire samapt hua aur phir ek cheekh ‘’divyaaaa’’ ka naam chillate huye sath hi meri ankhe khuli to maine khud ko jamin par pade huye paya…meri ankho se ashruo ki jal dhara pravahit ho rahi thi..samne hi chitra chetna shunya ho kar padi huyi thi…pahli bar chitra ko dekh kar mujhe usko apni baho me samet kar pyar karne ki teevra abhilasa hone lagi…usko uthane ke liye maine uthne ka prauatna kiya to uth nahi paya…

Sharir ekdam kamjor aur jarjar ho chuka tha..sharir me itni bhi shakti shesh nahi bachi thi ki uth kar khada ho jaau…uth kar khade hona to door ki baat hai, hath pair hilana bhi sambhav nahi lag raha tha…sirf saanse hi chal rahi thi…lekin pichli ghatnao par avishwas karne ka to sawal hi paida nahi ho raha tha kyon ki pichli ghatnao ke sakshi ke roop me vo mani mere andar moujud ho kar apne hone ka ehsaas kara rahi thi…vah iss baat ki gawahi de rahi thi ki jo kuch bhi hua, vah satya tha, jo ghata vo satya tha.

Dhire dhire phir se meri ankhe band hone lagi…iske sath hi meri chetna vilupt hoti ja rahi thi..maine khud ko chaitanya rakhne ka bahut prayas kiya kintu ab swayam ki chetna par mera koi niyantran nahi rah gaya tha aur antatah main punah achet hota chala gaya.

Na jane kitni hi der tak main achet pada raha..jab chetna vapis louti to maine apne andar kayi shaktiyo ka samavesh mahsoos kiya…sharir pahle ki tulna behad majbut aur shaktishali lag raha tha..maine uthne ka prayas kiya to iss bar kisi bhi tarah ki kathinayi pesh nahi aayi.

Maine nazre ghuma kar dekha to chitra abhi bhi vaisi hi avastha me sangya shunya ho kar niche padi huyi thi…maine turant uske paas ja kar usko apni god me utha liya aur uske chehre ko dekhne laga.

Jitu—mujhe maaf kar dena chitra..main tumhe aur tumhare prem ko samajh nahi paya tha kintu ab mujhe sab kuch yaad aa chuka hai…hosh me aao chitra..ankhe kholo..

Mere kayi bar awaz dene par bhi jab use hosh nahi aaya to na jane mujhe kya sujhi ki mere hoth apne aap hi uske adhro ki tarah jhukte chale gaye aur phir uske adhro ka raspan karne lage.

Jaise hi hamare adhro ka milan hua vaise hi chitra ke jism me halchal honi shuru ho gayi aur usne ankhe khol kar jaise hi mujhe apne hotho ka ras pite huye dekah to maare khushi ke vah mujhse kas ke chipak gayi aur mera sath dene lagi.

Chitra—saajannn..

Jitu—chitra..tumhe hosh aa gaya..

Chitra (chounk kar)—aaaannnn…saajann..vo sadhaka aur ashram kaha gaya…main yaha kaise aa gayi…?

Jitu—vo sab gayab ho gaya…chalo ab vapis chalte hain…

Chitra—saajan, ab to mujhse shadi karoge na... ?

Jitu (mushkura kar)—ab to jabardasti tumse shadi karunga main..

Ye sunte hi vo mere gale se jhul gayi aur ek bar phir se hum hotho ke gahan chumban me kho gaye…jab chumban toota to hum vapis apne ashiyane ki taraf lout chale…

Chitra—kya ye tilism ab toot gaya saajan…?

Jitu—haan, aao chale..

Phir chitra ka hath pakad kar maine divya ke paas jane ka dhyan kiya to turant hi adrishya ho kar kanva rishi ke ashram me pahuch gaya..ashram me pahuchte hi mere kano ek cheekh mere kano me goonj uthi..

“Saajannnnnnn.”
Great Anand bhai.....
Jitu ko qpne peechli janam yaad aa gaya hai. Ab dhekte hai kaise wo pari ko handle karta hai......

Kya Jitu k sath diya ko v apne purv janam ki yaadein wapas aa gaya hai....
Waiting for next update....
 

Vinod1368

Member
418
657
108
अति उत्तम एपिसोड। आखिरकार तिलिस्म टूट गया और नीलमणि साजन को मिल गई। साजन और दिव्या को अपना अलोकिक अमर प्रेम की भी याद आ गई।
 

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,877
143
Aanad bhai 3 dino tak padkar yaha tak pehucha hu ,bahut hi shandar kahani ke Rachyeta hai aap, bat agar aadrsho ki ho ya shaktiyo ke ,raj ya yu kahe sajan ke sochne ke tarike ki ,behad hi khubsurat likha hai aapne. Bus jaha ek kami Muzay lagi ki sequence ki kami hai ,pachve janam ki bhi kahani sath hi chal rhai hai magar sach kahu to jo Anand vartman kahani ko padne me aa rha hai wo past ki kahani me itna nahi aata . Request kerunga ki vartman kahani ke comparison me past ki kahani ke update chote rhy to bahut hi aaccha hoga , bus aage ke liye aapko shubhkamnaye dete hue agle update ka besabri se intzaar hai ???
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top